Second Hand Laptop Kharidne Se Pahle Ye 12 Cheeze Check Kar Le

Har koi brand new laptop purchase nahi kar sakta iski main wajah hai low budget. Agar aapke pas bhi kam budget hai aur aap laptop buy karna chahate ho to aap ek second hand laptop kharid sakte hai. Bas purana laptop lene se pahle aapko kuch jaruri bato ka khyal rakhna hoga. Yaha main aapko 10 baate bta raha hu jo aapko old laptop buy karne se pahle check kar leni chahiye.

Second Hand Laptop Lene Se Pahle Check Kar Le Ye 12 Cheeze

Second-hand laptop lene me koi burai nahi hai bas aapko cheez sahi milni chahiye aur ek acha laptop aap tabhi le sakte ho jab aapko uska experience hai. Main aapko suggest karunga ki aap purana laptop lene se pahle achhe se pata kar le ki aapki deal aapke liye beneficially hogi.

Kai bar second hand product buy karne par dhoka ho jata hai aur hume bekar ya ghatiya device de diya jata hai par agar aap savdhani barto to ek achha used laptop pa sakte ho. Isme niche btayi tips aapki help karengi.

Second Hand Laptop Kharidne Se Pahle In 12 Bato Ka Khyal Rakhe

Sabse pahle to aap ye jan lo ki koi person apne device ko tabhi bechega jab uske device me koi problem ho ya fir use paiso ki jarurat ho. Mostly, device problem hone par hi user use sell karta hai.

1. Aapki Jarurat Kya Hai?

Second hand laptop lena ho ya naya usse pahle aapko ye pata kar lena hai ki aapki jarurat kya hai. For example, aap kis kaam ke liye laptop kharid rahe ho aur aapko kitna 2GB 4GB RAM, CPU, STORAGE etc. aur agar aapko computer game khelne hai to GRAPHICS ki jarurat hai.

Main aapko 4GB RAM suggest karunga. Agar aap 2GB RAM wala old laptop le rahe hai to usse behtar hai aap na hi le. Achhi aur average speed ke liye 4GB RAM hona behtar hai. Sath hi ek achhi company ka laptop le.

2. Don’t Pay Too Much

Ek second hand laptop brand new laptop se cheapest hona chahiye tabhi use lene me fayda hai. So research kar lo ki aap jo product le rahe ho uske aur new product ke kafi different hai.

10%, 20% discount price wale old device lene se behtar hai aap thode paise aur karke lew hi le lo. Sath hi cheapest price ke chakkar me bahut jyada used laptop bhi na le.

3. Laptop Ki Body Check Kare

Second hand laptop buy karne se pahle sabse important hai ki aap uski body ko achhi tarah se check kar le kahi koi crack to nahi hai. Laptop frame kharaanch aaur crack free hona chahiye. Sath hi aap missing screws, loose hinges, and any other irregularities bhi check kar le.

4. Screen Condition Check Kare

Laptop ki screen condition good and proper working hai ya nahi check kar le. Screen flickering, discolouration, brightness and bad pixels sabkuch check kar le.

Kai bar laptop me screen problem aa jati hai ya screen kharab ho jati hai aur usi ki wajah se user use theek karwa kar ya local repairing karwa kar sell kar deta hai aur kharidadar ko pata bhi nahi chalta hai.

5. Keyboard and Trackpad Check Kare

Second hand laptop lene se pahle check kar le ki uske keypad and trackpad sahi se kaam kar rahe hai ya nahi. Laptop me jyadatar touchpad problem hoti hai so touchpad ko achhe se check kar le.

Keyboard ko achhe se check kar le ki kahi koi broken key to nahi hai aur all button proper work kar rahe hai ya nahi.

6. Laptop Plug & USB Port Test Kar Le

Ek time aesa bhi aata hai jab hum laptop keypad aur trackpad se bore ho jate hai. Aese me hum external keyboard aur mouse ke istemal se laptop par work kar sakte ho.

So aap external mouse and external keyboard bhi laptop me laga ke dekh le bad me pata chale ki extra plug kaam nahi kar rahe hai to bahut problem hogi. Sath hi USB ports, headphone jack, ethernet ports, HDMI, SD card slot, CD/DVD drive and other available inputs test kar le.

7. Battery Health & Life Check Kare

Second hand laptop lene se pahle sabse jaruri hai ye pata karna ki laptop ki battery ki life and heath kaisi hai. Agar laptop battery perform achhi nahi hai to aap laptop par achhe se work nahi kar paoge. Battery ko full charge karke dekh le ki wo maximum kitne hours tak chalti hai sath hi battery ki health details bhi check kar le.

8. CD/DVD Drive Check Kare

Laptop DVD player ka proper kaam karna bahut jaruri hai iske bina laptop me motherboard repairing, windows installation, antivirus and other many software install nahi kar sakte hai.

So aap old laptop device lene se pahle check kar le ki uska DVD player sahi se work kar raha hai aur usme CD proper play ho rahi hai.

9. Webcam and Speakers Check Kare

Most laptop ke webcams yani camera mediocre hote hai aur bahut kam log iska istemal karte hai lekin fir bhi jaruri hai ki laptop ka webcam working condition me ho.

Sath hi old laptop kharidne se pahle uske speakers ko achhe se check kar le ki proper work kar rahe hai ya nahi. I know bahut kam log laptop speaker istemal karte hai lekin jab aapke pas extra speaker nahi hote to ye kaam aate hai.

10. Wireless Connectivity Check Kare

Agar aapke laptop me WiFi connection kaam nahi karta hai to wo koi kaam ka nahi hai kyuki aaj ke time me har ek user internet ka istemal karta hai aur apne smartphone hotspot se hi PC me net chalata hai.

So ye bhi check kar le ki aap jo laptop le rahe hai usme WiFi network successfully connect ho raha hai aur aap internet chala sakte hai.

11. Windows and Software Licence Check Kare

Second hand laptop lene se pahle uska operating system check kar le aur sat hi all other software ke licence bhi check kar le.

Computer me windows and kuch psoftware paid hote hai jinke liye hume pay karna hota hai. Lekin seller copyright windows and free software daal kar de dete hai jisme unhe windows+softwae price kam karke jyada benefit ho jata hai.

Sath hi wo buyer ko thoda kam price me product dete hai aur buyer cheapest samajh kar le leta hai. So achhe se check kar le ki aap jo laptop le rahe hai usme original windows and software licence ke sath install hai.

12. Confirm Kar Le Ki Ye Deal Beneficial Hai

Used computer laptop lene se pahle last me ye confirm kar le ki aap jo used laptop le rahe hai usme aapko koi nuksan to nahi hai aur aap use kharid kar fayda uthane wale hai. Jab aap puri tarah satisfied ho jaye to hi old product buy kare.

Aap upar btayi baato ko khyal me rakh kar used laptop buy kar sakte ho to aap nishchit hi ek achha laptop pa sakte ho aur apni budget problem se bach sakte ho.

Ek aur jaruri bat kisi unknown person se product na kharide apne area ke aas-pas aur jankar se hi kharide taki baad me problem hone par solution nikal sake.

Agar aapko ye article pasand aaye to ise social media par apne dosto ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (21)

  1. Avatar for IshikaIshika

    Sir aisa PUBG ke liye Gaming laptop lene se pehle kin baato ka dhiyan rakhun?? Like RAM, etc, kitna hona chahiye

  2. Avatar for Rajkamal lohraRajkamal lohra

    Sir video editing and blogging ke liye konsa second hand laptop lena chahiye?

    • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

      4GB RAM वाला ले लो

  3. Avatar for deepakdeepak

    sir window corrupt hone par data recovery kaise karen…
    sir important data loss ho gaya mera pls.

  4. Avatar for MD Arshad KhanMD Arshad Khan

    भाई मेरे को new laptop buy करना है मैं उस Laptop से Videos Editing और Blogging करना चाहता हु और थोड़ा बहुत gaming भी करना चाहता हु मेरे लिए बेस्ट Laptop कौनसा रहेगा।

    • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

      4 ROM वाला और HP, Dell का ले लो

  5. Avatar for Umesh NinaweUmesh Ninawe

    thank you sir ye wala topic choose karne ke liye, muze boht confusion tha secound hand laptop ko lekar abhi ye doubt bhi clear ho gya thanks

  6. Avatar for computerwalicomputerwali

    वाकही में बहुत बढ़िया ब्लॉग है हम पिछले कुछ दिनों से आप के ब्लॉग पर रेगुलर आ रहे है क्यों की आप का ब्लॉग के Content बहुत अच्छे है और आशा करते है की आप इसी तरह रोज़ाना लेख लिखोगे | ध्यन्यवाद

  7. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    Aapne bahut acchi jankari di hai very very thanks sir

  8. Avatar for Chandan GuptaChandan Gupta

    Nice informations..

  9. Avatar for VikramVikram

    M pichhale 4 din se aisi hi koi post dhund raha tha .. finally .. thanks

  10. Avatar for Bheshpratap sahuBheshpratap sahu

    बहुत अच्छी पोस्ट है भाई जुमेदीन मुझे ये बताओ की अगर हम blogging करते हैं तो हमें computer लेना चाहिए या laptop और आप blogging के लिए कौन सा Laptop use करते हैं ?

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Agar aap ghar par blgoging karte ho to computer better hai aur office se karte ho to laptop better hai. Main laptop an desktop dono use karta hu.

  11. Avatar for Anoop BhattAnoop Bhatt

    Bahut achi jaankari share ki aapne
    Sir kya blogging ke liye high rem, proccer system ki jaroort pad sakti hai ya kam proccecer rem se bhi kaam ho sakta hai

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aapko sirf blogging karni hai to high processor ki jarurat nahi hai.

  12. Avatar for viram singhviram singh

    Sir thanks for this information.

  13. Avatar for Rupendra KumarRupendra Kumar

    Bhai jaise ham koyi purane Computer ya laptop online store se kharidte hai to unme kaise ye sab Chek kare

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Online second hand product lena nahi chahiye. Second hand product direct customer ke pas ja kar lo.

      • Avatar for Rupendra kumarRupendra kumar

        thank you bhai. to buy karne se pahle sidha contact karna jaroori hai

        • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

          Agar nuksan nahi uthana hai to direct owner se milo aur ye sab bate follow karo.

  14. Avatar for ankit lahariyaankit lahariya

    Sir thanku batane ke liye
    is post se bhut logo ko help mil sakti hai
    or mujhe v ab mai jab second hand laptop luga to in bato ka deyan rakhuga

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...