SEO Friendly Web Hosting Kaise Choose Kare 5 Important Tips

Website or blog par google search traffic pane ke liye Backlink, Content Quality, Sitemaps, SEO Optimization ki jarurat hoti hai lekin mere hisab se google se achha traffic pane ke liye SEO-Friendly Web Hosting use karna bhi jaruri hai. So chalo jante hai, SEO friendly web hosting kaise chune aur iske important features kya kya hai?

SEO Friendly Web Hosting

Kisi bhi cheap hosting ke sath WordPress blog start karna matlab google se search traffic pane ki koi parwah na karna. Maine aese bahut se blogs dekhe hai jo cheap hosting le kar blog shuru karte hai aur unka blog quality content hone par bhi rank nahi kar pata hai.

Isiliye aaj main ye post likh raha hu taki log bekar ki hosting le kar apna time west na kare aur ek achhi hosting ke sath blogging start kare taki unhe jald se jald success mil sake.

Blog Ke Liye SEO Friendly Web Hosting Kaise Chune, 5 Tips

SEO Friendly web host ka matlab aesi hosting se ho jo google algorithms rules ko follow karti ho. Yaha main web hoasting ke 5 important features ke bare me bta raha hu jo web hosting ko SEO friendly banati hai.

SEO Friendly Web Hosting Kaise Chune? SEO-Friendly web host ke sath aapke blog ka SEO friendly hona bhi jaruri hai, jiske liye aap ye guideline read kar sakte hai.

SEO Friendly Web Hosting 5 Important Features:

1. High Uptime Guarantee

Lagbhag 99% web hosting compaines high uptime ki guarantee deti hai lekin unme se kuch hi web provider 100% uptime de pate hai. Uptime us time ka percentage hai jab aapki site online and accessible hoti hai. Aapki site ka uptime jitna jyada hoga aapko utna hi jyada organic traffic milega.

Aur agar aapki site ka downtime jyada hai aur site bar bar down hoti hai to google aapki site ki rank (achhe content ke bavjud) down kar dega kyuki wo nahi chahata ki koi user google search karke aapki site open kare aur user ko jaruri jankari na mile.

Ek cheap web hosting se higher uptime ki ummid nahi ki ja sakti. Better aur adhik reliable web hosting provider higher uptime guarantee provide karte hai aur unki bat sach bhi hoti hai.

Best results ke liye aesi hosting choose kare jo minimum 99.9% ya isse jyada uptime guarantee deti ho. Ye per day 1.4 minutes aur per year 8+ hours downtime hota hai. Isse kam uptime dene wali hosting ka use na kare.

Aese kisi bhi host se savdhan rahe jo 100% uptime ka dawa karta ho lekin real me wesa na ho. Har ek hosting kuch seconds ke liye down hoti hai. So achhe se review karne ke bad hi hosting chune.

2. Server Response Time

Uptime aapki site ko humesha online aur accessible rakhta hai lekin agar aapki site ka server slow hai to bhi aapki site google me top rank nahi pa sakti.

Google ke according aapki site par achha content hone ke sath sath uska good design aur speed up hona bhi jaruri hai aur site ko speed up karne ke liye ek faster server ki jarurat hoti hai.

Market me bahut sare web hosting providers hai jo fast server ka dawa karte hai lekin unme se kuch hi ka server real me fast hota hai.

Aap ek aesi web hosting use kare jiska server response time 200 ms ke under ho. Apni site ke server ka response time check karne ke liye aap google page speed tool ka use kar sakte hai.

3. Server Location

Aapki site ka server jitna fast hoga site utni hi fast load hogi aur user ko utni hi jaldi content mil payega lekin aap server location choose karke is process ko aur bhi fast kar sakte ho. Jaise ki aapki site indian users ke liye hai to aap indian location choose karke page loading time ko aur fast kar sakte ho.

Lagbhag sabhi hosting provider server location provide karte hai. Aap apne users ke according server location choose kare. For example, aapki site indian users ke liye hai aur aap USA location server use kar rahe hai to usse jyada better hai ki aap indian location choose kare.

Aap shared, VPS, dedicated koi bhi hosting plan select karte ho aapka data kisi na kisi location par store kiya jata hai aur waha se hi all world me transfer kiya jata hai. Aap chahe to multiple server location use kar sakte hai.

4. Multiple Options

Hum sabhi jyada se jyada features wali service ko pasand karte hai. Web hosting ke sath bhi kuch aesa hi hona chahiye. Aesi hosting use kare jo SEO Freindly features provide kare. Jaise ki,

  1. Automatic Backups: Agar kuch galat ho jata hai to aapki site server se delete ho sakti hai, Aese me aapke pas uska backup hona jaruri hai. Aap manually backup bana sakte hai lekin har bar aesa nahi hota so web hosting aesi choose kare jo automatically backup feature provide kare.
  2. SSL Certificate: HTTPS ab ranking factor ban chuka hai. Agar aap abhi ssl use nahi kar rahe hai to bad me kar sakte hai. So aesi hosting use kare jo ssl certificate provid karti ho.
  3. Multiple Hosting Plans: Jaise hi aapki site grow karti hai aur site traffic badhta hai to aapki hosting requirements bhi badh jati hai. So aesi hosting use karo jo easily plan upgrade karne ki service deti ho.

5. Read Reviews

Alright, main man leta hu ki aap ek achhi web hosting istemal kar rahe hai lekin kya aap jante hai ki wo real me wei hi service provide karte hai jaisa wo kahte hai. I think world top and higher price hosting ke sath bhi aesa nahi hai.

Maine bahut si top and popular hosting ko us karke dekha hai, unka kaam “uchi dukan fike pakwan” jaisa hai. So koi bhi hosting lene se pahle uska review kar le. Aap iske liye google search kar sakte ho. Review read karte time ye bhi dekh le ki review karne wala person kaun hai kyuki kuch log affiliate commission ki wajah se bad service ka bhi good review kar dete hai.

After that, aap apne hisab se dekhe ki aap jo hosting use karne ja rahe hai wo aapki site ke liye better hai ya nahi.

6. Responsive Support Time

Aesa nahi hai ki har website owner aur bloggers hosting expert hota hai aur aasani se server par site manage kar sakta hai. Ek newbie ko site manage karne ke liye hosting support ki jarruat hoti hai.

So jab bhi aapko koi problem ho to aap hosting support team ki help se use turant solve kar sakte ho. Isse aapki site downtime ki problem se bach jati hai.

Agar aap ek developer aur hosting expert ho to aapko iski jarurat nahi hai aur agar nahi ho to aesi hosting choose karo jiski support team ka responsive time achha ho.

Ek good host 24/7 support for free provide karta hai. Aap jo hosting use karne ja rahe hai uske support team ke bare me pata kar le aur fast support time wali web hosting hi use kare.

Final Words,

Is post ko padhne ke bad aap samajh gaye honge ki Good, reliable web hosting ko hi seo-friendly web hosting kahte hai. Agar aap ek achhi hosting use nahi kar rahe ho to iska matlab aap google traffic ko janbujh kar ignore kar rahe ho.

Also read:

Aapko google se achha traffic chahiye to aesi hosting us karo jo upar btaye 5 features provide karti ho. Main aapko ek tips deta hu manna na manna aapki marzi hai.

Cheap hosting use karke wordpress blog run karne se better hai blogspot par blogging kare.

Agar aapko ye article pasand aaya ho to ise social media par other blogger ke sath share karur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (14)

  1. Avatar for Priya NagPriya Nag

    Sir pahle mai hostgator ki Linux share hosting ka STARTER plan use karti thi. ab mai BUSINESS plan use karna chahti hu.
    BUSINESS plan buy karne par automatic STARTER se BUSINESS me upgrade ho jayega ya manually karna hoga. agar manually karna hoga to kaise? kuch tips dijiye. Thoda detail me bataiye ga.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      upgrade हो जायेगा

      • Avatar for Priya NagPriya Nag

        Jo mai STARTER plan use kar rahi hu, wo abhi expire hone ko kafi samay hai. agar aise mai BUSINESS kharidti hu to usme apne blog ka backup add karna nahi padega kya ya automatic ho jayega.

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          नहीं बैकअप add करने की जरुरत नहीं होती है, फिर भी एक बार आप अपने होस्टिंग सपोर्ट से बात करलें

  2. Avatar for gagan raypariyagagan raypariya

    sir hosting kitne type ki hoti hai hai ,inka kya fayda hai kya nuksan,ye kya kya kaam aati hai please thodi detail dijiye mujhe wordpress par blog start karna hai

  3. Avatar for rovin singh chauhanrovin singh chauhan

    sir apne bahut he jaruri article likha hai blogger ke liye asha karta hu ap aage bhi aise helpful article hamare liye share karte rahinge.

  4. Avatar for Akshay AnvekarAkshay Anvekar

    Sir digital ocean web hosting kharidna chahta hu. Aap iska aur ek review article likhiye.

  5. Avatar for Vishvajit RaoVishvajit Rao

    thankyou sir is post ke liye.Sir aap kaun sa hosting use karte hai please tell me

  6. Avatar for Adip GauravAdip Gaurav

    Very informative article bro. keep sharing.

  7. Avatar for Akash YadavAkash Yadav

    bahut hi achi jaankari share ki sir thanks.

  8. Avatar for ankit lahariyaankit lahariya

    sir yah bhut helpful post hai agar shayad me aapke blog par nhi aata to shayad hi me k success blogger ban jata sir mera successs blogger hone me aapka bhut barda hath hai sir
    dil se aapka sukriya

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...