Blog Ko Google Me First Page Par Lane Ki 3 Super SEO Tips

Har blogger ki sirf ek hi koshish rahti hai ki uski post search engine me first page par show ho or use jyada organic traffic mile. Jab wo iske bare me jankari pata karta hai to use sabse pahle pata chalta hai SEO ke bare me magar wo iske bare me achhe se jan nahi pata or bad content likhna shuru kar deta hai. Results, uske blog ki search rank high ki jagah or jyada low ho jati hai. In this post, mai aapko only 3 successful SEO tips bta raha hu jo aapko search engine se better traffic dila sakti hai.

SEO techniques you are ignored

SEO ka matlab hota hai search engine optimization yani is type ka content write karna jo search engine me top position par show ho. Iske liye aapko google and other search engines ki guidelines follow kar ke post likhni hoti hai or keywords ko SEO ke rules ke anusar post content me use karna hota hai.

But some writer SEO ke bare me galat jankari sikh kar ya kuch bad way apna kar uselss content likhna shuru kar dete hai or wo sabse important factor ko bhool jate hai. Jiski wajah se humari site ki search rank increase hone ki jagah kam ho jati hai.

Jab tak aapke pas good user experience nahi hoga aap kabhi bhi ek Good SEO nahi ban sakte. Isiliye aankhe band karna chordhiye or SEO ke bare me sikhne ke sath sath apne anubhav se bhi kuch sikhiye. Ek better SEO expert banne ke liye aapko behtar experience hona jaruri hai.

3 Super Success SEO Techniques Jo Bahut Se Writer Bhool Jate Hai

Ho sakta hai mai yaha aapko jo trick bta raha hu unke bare me aap already jante ho but ek bar post ko achhe se padhe or soche ki wakai mai sahi kah raha hu or kya aap sach me ye galtiya kar rah ho.

1. Post Topics and Heading:

Aapki post ko search engine me first position par dikhane ke liye sabse important hota hai post ka title better hona. Agar aapki post ka topic effective hoga to user use jarur pasand karega or us par utna hi jyada click karenge.

Google hume post title me 65-70 characters use karna allow karta hai. In 65 characters me hume ek powerful title create karna hota hai. Some blogger is factor ko bhool jate hai or bad title use generate karna shuru kar dete ha. Like:

  • Post topic me 50% hindi and 50% english words use karna.
  • Title limit se jyada length ka post topic choose karna.
  • Extra words kyu, kaise and other ka jyada istemal karna.
  • Other blog post se matched topic select karna.
  • others.

Maine bahut se blogger ko dekha hai jo apne blog ki post ka title kuch is tarah rakhte hai. What is SEO – SEO क्या है is tarah ke topics galat hai. Aysa writer is liye karte hai taki search engine me unki post ko hindi or english user like kare.

But aesa nahi hai, mai ye nahi kahta ki aap post topic me english words use mat karo karo but only keywords ko english me likho baki sab hindi me hi likho. (Ye tips sirf hindi blogger ke liye hai hinglish blogger ke sath aysa nahi hai.)

Title tag sirf search engine ke liye hi important nahi hota hai balki post title user ke liye bhi utna hi important hota hai.

Mai manta hu ki aap SEO expert ho or aapko iske bare me sabkuch aata hai. But search engine terms & algorithms time to time change hoti rahti hai. So mai aapko suggest karunga ki aap user friendly post title select kare. Post topic post content ke saman important hota hai. So is type ke topics select kare jinhe har ek user like kare.

Aapko ye pata karna hoga ki aapki post ke liye kounsa title better rahega or kis par log jyada click karenge. I sure ek optimize title se aapko 100% organic traffic milega or us par jyada se jyada visitors click karenge. Yaha mai aapko kuch bate bta raha hu jo aapko title tag create karte time follow karni chahiye.

  • Kabhi bhi auto-generated title tag use na kare, Some tools aapko automatically title create karke deti hai unse bache or apne experience ke hisab se topics create kare.
  • Title me rich keywords and brand words use kare.
  • Don’t follow keywords stuffing. I mean kabhi bhi topics me keywords repeat na kare.
  • Always apne reader ke liye post topics likhe jo apaki post ko padhte hai. Only search engine ke liye nahi.
  • I know title me keyword use karna achhi bat hai but google bahut smart hai. Aapko keywords se jyada is bat par focus karna chahiye ki content kis bare me hai. (What about content)
  • Agar aap post title or content me kam se kam keywords use karoge to ye search engine ke sath aapke readers ke liye bhi behtar hoga.

Iske alawa mai is bare me bahut articles likh chuka hu. Aap iske liye humari baki SEO related post read kar sakte hai.

2. Post Length: More Content

Sab jante hai ki post ki better search ranking ke liye post content length bahut important hai. Aapki post me jitna jyada quality content hoga us post ki utni hi better search rank hogi. But kuch writer ise bhool kar bas search engine friendly post likhne me lage rahte hai or jab unhe traffic nahi mil pata to wo other blogger se kahte hai ki “Mere blog par SEO friendly content hone par bhi mujhe traffic nahi mil pa raha hai, mai kya karu.” Its very bad, Aesa nahi karna chahiye, hum only ek side dekh kar nahi chal sakte security ke liye har taraf dekhna jaruri hai. Theek wese hi only search engine ke liye post likhna sahi nahi hai.

Long content humesha search engine me first page par show hota hai but iska matlab ye nahi hai ki aap post me kuch bhi likh do. Post ke har paragraph me clear or useful information honi chahiye. Examples, Neil patel ek ayse writer hai jinke ek ek articles par millions views hote hai. Why, kyuki wo long content likhte hai or bilkul clear information share karte hai. Jise padhne ke bad user ko koi shikayat nahi rahti. I mean unhe post me jarurat se jyada badiya jankari milti hai.

Agar aap short and poor content likhoge to bhale hi wo sometime ke liye top position banaye rakhe. Aane wale dino me uski position down hoti jayegi. Becoz is duniya me sirf aap hi ek writer nahi ho aapse better likhne wale bhi bahut hai, aapko un sabhi be better likhna hoga.

Mai manta hu ki low quality content good nahi hai but long content kabhi bekar nahi hota. Never, content ki length jyada hogi to usme kuch na kuch sikhne ko jarur milega.

Online content marketr humesha kahte hai ki long content likho ye success ki sabse fisrt sidhi hai but bahut se blogger aesa nahi karte hai or ise avoid kar dusri choti choti post likhte rahte hai. Jo sirf kuch time ke liye search engine me show hoti hai uske bad unka search engine se name-o-nishan meet jata hai.

Aapke audience ko more content chahiye so jitna ho sake apne har topic par achhe se or clear tarike se samajhane ki koshish kare.

3. Your Experience:

Aapko blogging me kitna time ho gaya hai 1 month, 6 month, 1 year ya isse bhi jyada or agar abhi tak aapki site par traffic nahi hai to iska main reason hai aap abhi tak khud ko pahchan hi nahi paye. Hume kya karna chahiye se pahle ye sochna hai ki hum kya kar sakte hai.

Khud ki life ko chordh kar dusro ko follow karne wale humesha piche rah jate hai. Agar kuch karke dikhana hai to apne aap ko pahchano or apne experience se kaam karo. Bahut se blogger dusro ke dekhe dekhe unke jaisi post likhte hai. Iska result ye hota hai ki reader use usi ki copyrighting samajh lete hai.

Mai humesha apne reader se kahta hu ki kuch aesa kaam karo jo bilkul alag ho or log aapko sabse alag najro se dekhe. Jab tak aap bheed se bahar nahi nikaloge tab tak aapko koi nahi pahchan sakega. Khud ko sabit karna hai to sabse alag hat kar likho.

Jo dusre log likh sakte hai wo tum bhi likh sakte ho to tum wo kyu nahi karte jo tumhara deemag kahta hai or tumhe jo karna chahiye. Tumhe agar kisi kaam me thoda waqt ho gaya hai to tumhe uske bare me bahut kuch pata chal jata hai. Apne experience se pata karo ki aapke liye kya behtar ho sakta hai.

Aapke reader aapse kya chahate hai and wo aap me kya pasand karte hai, aapko wohi karna chahiye. Agar aap usse hat kar kaam karoge to shayad hi success ho pao. Some people kahte hai ki mai kis topic par post likhu. Mai aapko suggest karunga ki ek time ke bad agar aapko experience hoga to aapke pas content likhne ki kami nahi hogi. In my case, mere pas already itne topics hai ki mai sabhi par post nahi likh sakta.

You can’t have “good SEO” unless you have a good user experience. To have “good SEO” you must have great content (a beneficial user experience).

Aap bhi meri tarah ek blogger hai to fir aapke pas content ki kami kyu hai. SEO sabkuch ho sakta hai but experience master techniques hai. Jo shayad SEO se jyada effective hota hai. Aap jo search engine guidelines ko follow karke nahi kar sakte jo apne experience se kar sakte ho.

If you like this content plz share this with your friends.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (113)

  1. Avatar for Mani SharmaMani Sharma

    blog ke head pe image jaise ‘supportmeindia’ kaise lagaye

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      CSS coding se laga sakte ho.

  2. Avatar for Naushad AnsariNaushad Ansari

    Aapki website per di hue information ko follow karte hue sirf 3 month me 70000 alexa rank tak aa gaya. I know alexa rank sab kuch nahi hai fir bhi sirf 3 month me mere liye ye karna ek sapne jaisa tha jise sakaar karne me aapka bahut bada yogdan raha thank you so much always keep smiling take care sir

  3. Avatar for Laziz KhanaLaziz Khana

    बहुत ही आसान लफ्ज़ों में आप बड़े काम की बातें बता देते हैं। आपकी ये खासियत काबिलेदाद है। शुक्रिया।

  4. Avatar for rovin singhrovin singh

    sir post me hum focus keyword kitne bar or kis – kis jaghe par use kar sakte hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Jitni bar jaha jarurat ho use kar sakte ho.

  5. Avatar for VISHALVISHAL

    Kya aap bata sakte hai block resources ki link ko fetch ya fetch and render karna chahiye . fetch karne par result complete aata hai aur fetch and render karne par partial aa raha hai ,mene 10 days pahale kush link ko fetch and render kiya aur status abhi bhi partial show ho raha hai. aur desktop ya mobile me se kya select karna chahiye.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye option sirf ye dekhne ke liye hai ki google aapki site ko kaise index karta hai. Ya fir aapki news site hai to aap apni posts ko jaldi search lana chahate ho to iska istemal karo warna jaruri nahi hai. Mobile or computer aapko jisme index karani hai wo select karo.

  6. Avatar for mohd sajidmohd sajid

    Dhanywad Jumeden Khan Bhai Apki Es Post Sa Muja Bhut Kuch Sikhna ko Mela webtechnicalsupports.blogspot.in Ya Mara Blog Hain Mana Abhi Adsense Ka Leya Apply Nahi Keya Hain Mari Site Pa Daily 100-150 Traffic Ha App Mari Site Dhak Ka Muja Kuch Tips suggested Kara Ke main aga kya karu

  7. Avatar for Sunil Yadav.. ..Sunil Yadav.. ..

    Nice post .. Thanks

  8. Avatar for SHIVAM VERMASHIVAM VERMA

    SIR PLEASE EK BAAR MERA BLOG DEKH KAR BATAYE KUCH PROBLEM TO NAHI HAI MERE CONTENT SHAI HAI KI NAHI PLEASE SIR REPLY KARE

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapke blog par koi content nahi dikh raha hai.

  9. Avatar for rockyrocky

    Sir pls meri site dekh kar batayeki kya wo traffic ane layak hu agar nhi to mai. Kya karu pls reply kare apne mere pichle comment ka rply nahu kiya tha

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapki site open nahi ho rahi DNS error aa raha hai.

  10. Avatar for piyush sainipiyush saini

    nice article dear thanks for the same. my page precisebench.com domain authority is less than 20. please suggest some fast working ways. thanks in advance

  11. Avatar for RohitRohit

    Bahut he badiya or informative article likha hai. Maine bhi kai jagah padha hai k article lamba hona chahie. Par apke hisaab se ek badiya long article ki lenth kitne words ki honi chahie.. ?
    Or jaise k 1000 words wale article me keyword density kitni rakhni chahie?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1000 words hone chahiye. SEO ke anusar 2 ya 2-5%

  12. Avatar for JandailJandail

    sir domain or sub domain se traffic par kya fark padta hai ? matlab konsa sahi hai traffic ke liye samjhaye .

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Domain is tarah se hota hai. example.com ab hum isme kitne bhi subdomain ban sakte hai jaise. abc.example.com dono ki ranking ek hi hoti hai bas part alag ho jate hai.

  13. Avatar for MEGHRAJ MeenaMEGHRAJ Meena

    Hello sir mera account AdSense par apply nhi ho rha h sir vese mere blog m koi Kami nhi h fir bhi nhi ho rha h sir Aap dekh kar bta sakte h kya…?
    Sir jab bhi apply karta hu to ye msg aata h

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapki site google guidelines or AdSense policy dono follow nahi karti hai or na hi aapki site par organic traffic hai. Aap ye kamiya door karke fir se AdSense ke liye apply karo.

  14. Avatar for vikashvikash

    Thanks jummdin khan me ne aapka post read ki jisse muje seo ke bare me jyada jankari mili

  15. Avatar for RohitrajRohitraj

    Mai apne WordPress blog me apke blog ke jaisi hi Theme lagana chahta hu, same 2 same esi theme mujhe kaha milegi.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye genesis theme hai ye aapko studipress par milegi.

      • Avatar for rohitrajrohitraj

        Sir ye genesis theme to 59$ me mil rahi hai. Kya ye free nahi hai ?

  16. Avatar for Mahaveer JainMahaveer Jain

    apke ye article hamari bahut madad karega.. Thanks buddy

  17. Avatar for ManishManish

    jume deen sir please answer some of my Question-

    1) sir main agar mere blog ki template change karta hu to mujhe kya kya karna hoga jisse mere blog ki search ranking down na ho or AdSense ke ads bhi show ho..

    2) main apne blog me domain add karta hu to mujhe domain ko search console me add karna hoga or sitemap bhi submit karna hoga ya nahi…..

    3) AdSense me meri earning bhut slow hai 1 click ka 0.01 se 0.06 milta hai isse kaise increase karu..

    4) mere pass blogging se related ek latest post hai jisse maine kudh likha hai or vo post 600 word ki hai kya aap vo post apni site par publish karege…….

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. aapko blog ki tempalte me meta tag and other verify coding add karni hogi.
      2. Yes karna hoga.
      3. aap high cpc keywords par post likho.
      4. Mai wohi post accept karta hu jo SMI ki guest policy follow karti ho. aap policy padh kar pata kar sate ho.

  18. Avatar for vivek choudharyvivek choudhary

    Jumedeen ji aapne meri comment approve nahi kiye. mere liye ye jaroori hai pls mujhe bata dijiye ki blogger blog me ek din me kitni post publish kar sakte hai. iski koi limit hai ya jitni chahe kar sakte hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Kitni bhi kar sakte ho mai aapko old comment par reply kar chuka hu.

  19. Avatar for Amit kumarAmit kumar

    अच्छी पोस्ट है jumedeen bro .

  20. Avatar for hidaythidayt

    sir mjhe ek help chahiye aap se. mujhe ye janna hai k blog jis email se bna ho use nikaal kr doosra emil bloge men add kr skte hin.mujhe apne blog ka emil chang kr na hai.pleas btain

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes aap blogger setting me ja kar new autohr details add karke us administer bana sakte ho.

  21. Avatar for mohd sarfrazmohd sarfraz

    hello sir aapke english blog smw par daily page view kitna hai.please reply jaroor kre
    estimate ke liye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      sarfraz, aap sirf helping question puch sakte ho.

  22. Avatar for Vivek DarjiVivek Darji

    Very Nice Post…..log esa samaj lete he ki ye aasaan he lekin ye blogging jab Karne bethte he to unhe esa lagne lag jaata he ki traffic nahi aa rahi earning nahi ho raha aur wo hi aksar haar maan jaate he isliye jab Bhi hum Kuch Kare Himmat rakhke Kare aur sabse Kuch alag Kare….

  23. Avatar for RohitashRohitash

    Sir, aapki Seo techniques khafi acchi thi, unhe padhkar khafi sikhne ko mila hai, or Main bhi Alwar (Rajasthan) se hi hu.

  24. Avatar for RusheekRusheek

    Bro मैं डेबिट कार्ड लेने के बारे में सोच रहा हू प्लीज मेरे क्वेश्चन का जवाब दीजिए
    १) क्या कार्ड लेने के लिए कोई शुल्क लगता है

    २) डेबिट कार्ड लेने के बाद हर महीने या हर साल कोई शुल्क देना पड़ता है

    ३) गो डैडी या कोई और वेबसाइट से होस्टिंग या डोमेंन खरींदु तो उसके लिए कोई शुल्क या चार्ज लगता है

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Nahi ye free service hai bad me 100 yearly charge hota hai.
      2. ha bilkul lagta hai sabhi paid hosting provder hai.

  25. Avatar for SwapnilSwapnil

    NIce Seo techniques shred. every blogger should follow above tips.

  26. Avatar for vivek choudharyvivek choudhary

    jumedeen ji, ek emai id se blogger blog me ek din me kitni post publish kar sakte hain. iski koi limit hai ya fir jitni chaho kar sakte hai kyoki mujhe ek friend ne bataya tha ki sirf 3 post hi kar sakte hain.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi aesa kuch bhi nahi hai. Aap kitni bhi post kar sakte ho.

  27. Avatar for Abdul RazzaqAbdul Razzaq

    mai godaddy se domain lena chahta hoo lekin mere pas credit card nahi hai kya aap apne card se domain buy kr ke mujhay de sakte ho mai apko payment kr doo ga

  28. Avatar for Zishan Ali GulzarZishan Ali Gulzar

    Sir Ek Questn Tha – Mera Page Jab har roj 200 Tha Us Tym Alexa Rank 10 lakh tha,,par ab jab page view bad raha hai to alexa rank aur ghat raha hai aisa kyun…??? suppose abhi mera page view 1500 roj hai to alexa rank 17 lakh ho gaya,, koi upay bataye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Alexa rank aapki site ki traffic par nahi balki is par depend karta hai ki log apaki site ko kitna pasand karte hai.

  29. Avatar for sandip jethvasandip jethva

    hi jumedin sir, meri site ek wallpaper ki hai… traffic bhi accha hai… n click bhi acchi aati hai but cpc bahut low hai….0.03..plz aap dekhlo meri site and bataiye ki me kya karu….

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sandeep aap AdSense policy follow kkiya karo or AdSense ke anusar ad use kiya karo.

  30. Avatar for Shfaat KhanShfaat Khan

    Bhai kya tum mujhe ye btaa saktey ho ki tum apni is site me jo image banakar lagatey ho vo kaise banatey ho??

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Khan ji aap koi bhi photo editer se image bana sakte ho. Mai photoshop use karta hu.

  31. Avatar for AbhishekAbhishek

    jumme Deen Bro A Ye Btye Adsense Ne Ads Limit Hta Di Jaisa Ki Aapne Kha To Kya Jdya Ads Lgane Pr Cpc And Ctr Pr Affect Nhi Hoga Kya???

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes bilkul hoga. Jyada ad unit use karne se CPC and CTR low ho sakti hai.

  32. Avatar for sudesh kumarsudesh kumar

    hello bhai g mere google search consol me structured data me ye error aa raha he ye image par error he ye keise solve hoga plz batiye

    datePublished A value for the datePublished field is required.
    cancelheadline A value for the headline field is required.
    cancelpublisher A value for the publisher field is required.
    warningdateModified The dateModified field is recommended. Please provide a value if available.
    warningmainEntityOfPage The mainEntityOfPage field is recommended. Please provide a value if available.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap apne blog ka drta highlight karo.

      • Avatar for sudesh kumarsudesh kumar

        you meann data highlight

        1 or baat puchni thi ki me riboon them use kar raha hu me maggner theam usr karna chahta hu me ise buy nahi kar pa raha quki paypal par mera debit card support nahi kar raha kahi or se kar sakta hu to plz help
        or agarme theam change karta hu to kya mujhe sari setting htmal me fir se karni padegi.
        app solutionforcomputer.com me dekh kar bataiye ki kya ise change karne ki jarurat he . bese mera change karne ka main reason he niche footer me cradits

    • Avatar for sudesh kumarsudesh kumar

      bhai apne data highlighter karne ko bola tha bo mene kar deya par ab bhi ye error aa rahe he.

      • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

        Wait after some time your problem automatically solved.

  33. Avatar for mdbarkatmdbarkat

    hello, main ap se ek help chahta hun. main google AdSense ke liye apply kardiya hun aur muje confirm ka email bhi aagya hai . or maina ads unit create karke Blog main Laga diya hun. magar abhi tak Show nahi hua hai. mera matlb kab tak ye blank ads rahega..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Barkat aapke lbog par ads lagane ke bad AdSense aapki site ka review karega uske bad ad show hong. aap kuch time wait kare.

  34. Avatar for Preet RajputPreet Rajput

    dear bro,

    Very good post but mujhe apki ek or baat achi lagi ki aap sab ko reply krte ho with solution and i really appreciate for this can you help me in my AdSense approval ?

    1- mera AdSense account activated hai but ad display nahi ho rhi account abhi fully activated nahi hai koi way hai jise mai jldi activate kr sko meri website gadget, tech related hai or daily 300 user organic goolge search k throw aate hai but Ad activate nahi ho rhi

    2- kya muje google AdSense ka account Buy kr lena chahiye jo already fully activated ho ?

    agr buy kr lena chahiye to kitne ka ? and agr aap k paas hai koi account sale krne k liye to muje sale kr do.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. aapka AdSense account jab fully activate ho jayega to ads show hong.e aap wait kare iske siwa koi rasta nahi.
      2. Ha agar aapko koi aesa account mil sakta hai to kar sakte ho. But ho sakta hai use blgo se connect karne se google fir se blog ka reveiw karne lage to same issue hoga.

  35. Avatar for पूजा शर्मापूजा शर्मा

    जुमे दीन जी मेरा आपसे ये सवाल है की अगर हम पैड थीम (जैसे genesis या newspaper )को फ्री में use करे तो क्या प्राब्लम होगी ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Haa, bilkul paid theme ke free version me bad url ya other links add hote hai jinse aapko problem ho sakti hai.

      • Avatar for Roshani SinghRoshani Singh

        aap kaun sa plgin use karte hai apne post tab widget me jo aapke side baar me

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Mai only 3 pljugin use karta hu, ad injection, jetpack or yoast SEO.

  36. Avatar for जमशेद आज़मीजमशेद आज़मी

    साइट को सर्च इंजिन के फर्स्‍ट पेज पर लाना आसान नहीं हैं। इसके लिए काफी मेहनत की जरूरत होती है। जुमेदीन भाई, आपने अपना जो मुकाम बनाया है, उसके पीछे आपकी मेहनत हैं। मैं आपकी मेहनत और जज्‍़बे काेे सलाम करता हूं। बस आप ऐसे ही हम सबका मार्गदर्शन करते रहिए।

  37. Avatar for Yasir KhanYasir Khan

    Sir Kya mujhe aap supportmeindia ki child theme de sakte ho please?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Mai genesis theme use karta hu aap buy karke use kar sakte ho.

  38. Avatar for karan jethwakaran jethwa

    Mr.Jumedeen,Yeh aapki site pe categories ke niche jo powered by google Posts list hai voh kaise aata hai.I mean me apni site pe aise hi apni posts ki list add karna chahta hu so yeh kaise karu ?

      • Avatar for Roshani SinghRoshani Singh

        Hello sir mujhe kam se kam 1 dollar AdSense se earn karna hai lekin bahut kam ho raha hai kuch batayenge aap .

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Jitni mehanat karoge utna hi milega.

      • Avatar for Roshani SinghRoshani Singh

        Mai hamesh facebook pe share karti hu fir bhi ad click nahi aata hai

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Click aapko search engine se aaye visitor se jyada milte hai.

      • Avatar for Roshani SinghRoshani Singh

        aur aap ye bhi bataiye ga ki aap aur kaun kaun se tarike use karte hai online earning ke liye

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Mai AdSense, affilaite, designing and other kei tarah se online money earn karta hu.

  39. Avatar for Abdul RazzaqAbdul Razzaq

    mai godaddy se domain lena chahta hoo lekin mere pas credit card nahi hai kya aap apne card se domain buy kr ke mujhay de sakte ho mai apko payment kr doo ga

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap apne debit card se payment kar sakte ho.

  40. Avatar for Rashid wahabRashid wahab

    Bhaijan
    1) YouTube ke lie video modify karna h best free software ka naam bataiye
    2)Maine apka post padha tha AdSense wala kya abhi wo trick kaam krti h YouTube pr 5 video upload kar k savi me 500 view ho jaye to yutube pr fir apne blog ko add kr sakte h
    3) YouTube par ek email se kitna channel bana skte h
    4) agar AdSense approve hone k baad sari videos delt kr du YouTube PEr aur fresh video daalu to kya mujhe nuksaan hoga YouTube aur blog k lie AdSense k taur par

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Camtasia studio
      2. haa karta hai.
      3. jitne aap chaho.
      4. nahi nahi hoga.

  41. Avatar for AryanAryan

    jume deen bro ek AdSense ki taraf se notification aya iska matlab kya hai
    ‘ one or more of your site has been voilation of AdSense policies ‘

    action par click karu ya na karu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap AdSense policy ka ulaghan kar rahe ho action par click karke is issue ko fix karo.

  42. Avatar for Himanshu GrewalHimanshu Grewal

    sir apne jo info share kri hai bhut he bdiya hai jb mene title pda to muje lga apne wo he likha hoga jo muje pta hai pr apne kuch NEW likha jo mene socha bhi nhi tha thx for this wonderful info

  43. Avatar for shailesh Kumarshailesh Kumar

    Jumedeen Bhai Aap Hume Ye Bataye
    Aapka Blog top pe Aane Ka Karan Kya Hai

    1, Aap Google Service Ko Paisa Datey hain Ya

    2. Aap Khud Mehnat Kar Ke Website Ko First Page Pe laye Hain

    3. Aapka Website Dusra Supportmeworld.com ka post Kareb 20 Hain Aur Uska Traffic Acha Hai Kyu

    4. Dusre Logo Ke Website Pe 300 post Hai Fir bhi unka Rank Acha Nahi Hain Iska Karan Kya Hain

    5. Facebook post me image Pe link kaise Add Kartey Hain

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Nahi maine kabhi koi paid service use nahi ki hai.
      2. Mehanat to karni hi hoti hai mehanat ke bina kuch bhi nahi hai.
      3. Us par sirf 6-7 post hai. Ha traffic to hai.
      4. Sabke work karne ki style alag hoti hai mai apni style me work karta hu.
      5. aap facebook status me post ka link share kiya karo fir us post ki feature image automatically facebook par show hogi.

  44. Avatar for Zishan Ali GulzarZishan Ali Gulzar

    आप ने बहुत बाड़िया जानकारी सेयर की हैं इसके लिए बहुत-बहुत धन्यवाद,,

  45. Avatar for Hindi Me ShikshaHindi Me Shiksha

    Bahut hi badiya Jaankari hai khaan ji…. Thanks aakhir me mujhe jo Jaankari chahiye tha woh aapne post kar diya….
    Thanks….

  46. Avatar for Ikraam wazidIkraam wazid

    Salam bhai,…mera swal hai
    1) commentluv enabled blog par comnnt kr k apni blog ki ranking increase krne me koi nuksaan to nahi h na agar better rank Wale blog pr comnt kru aur same niche k blog pr
    2) daily kitna backlink banana sahi hoga jisse humminbird nuksan na phuchaye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. kar sakte ho isme koi problem nahi hai.
      2. backlinks daily nahi bnate hai. Jab aapko kisi site se traffic milega to hi aapko backlinks milega.

  47. Avatar for n.k detrujan.k detruja

    awesome information diya hai aspne
    Zumedeen bhai aap great ho aapke is a articles se bhot sare new blogger ko seo ke bare info milega nice a articles
    bro

  48. Avatar for Anup sahuAnup sahu

    bro ek help cahiye mere blog me comment box show nhi ho rha hai only Leave a reply a rha hai uska niche comment box nhi hai help

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap blogger setting me ja kar google plus comment feature ko disable karo.

  49. Avatar for AkashAkash

    Jummedeen Bro App Ye Btye Ki Apki Site Optimization Post Hai Supportmeworld Pr Syad Ya supportmeindia Par Usme Jo Codi Hai Vo Shi Hai Ki Nhi Vo Puchna tha kya vo shi hai mai un sare codes ko use kru to koi problem to nhi hogi ????

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Akash ji maine wo sab try karne ke bad hi publish ki hai. Abhi bhi mai wo coding use karta hu. Yes aap use kar sakte ho koi problem nahi hai.

  50. Avatar for mohd shariqmohd shariq

    bro agar me apne blog par hingslish aur origianl हिन्दी dono me post dalu to kya isse koi problem to nahi hogi. ya google Adsense isko unlike to nahi karta.
    aur han mera blog ek tech blog he. agar me us par hindi kahaniya dalu to koi nuksaan to nahi he.. me ek hi blog me sabhi topic par post kar sakta hu kya

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Adsense ko koi problem nahi hai. But ek jagah par ye sab karne se khichdi pakane jaisa kaam h ojayega or reader use pasand nahi karenge. So mai aapko iske liye suggest nahi karunga.

  51. Avatar for Deepak GulatiDeepak Gulati

    Nice Post सर क्या आप मुझे बता सकते है जेसे आपकी हर पोस्ट में गूगल के लेफ्ट और राईट साईट में 3 लाइन के एड आते है उन्हें किस तरह लाया जाता है

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye lin ad unit hai aap jab new ad unit create karo to ad type me links ad select karo.

      • Avatar for DeepakDeepak

        मेरे एड्संस अकाउंड में केवल यह तीन ही ओप्संस आ रहे है
        Text & display ads
        display ads only
        text ads only
        जो आपने Links ad का ओप्संस बताया है वो वह नहीं आ रहा है तो इसे केसे अनेबल करे

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          ad size option me showing ke samne click karke link ads select karo.

          • Avatar for DeepakDeepak

            Thanx हो गया बस एक सवाल का और जवाब दे दो इस कॉड को अपनी हर पोस्ट के बिच में कैसे सेट करे

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Agar aapko blog WordPress par hai to plugin use karo or agar blogger par hai to maine iske bare me kuch post ki hai wo post padho. I mean blogspot se related post.

          • Avatar for DeepakDeepak

            मेरा ब्लॉग वर्डप्रेस पर ही कोन सा प्लग इन इस्तेमाल करू और उसी सेटिंग किस तरह करू अगर आपकी उस से जुडी पोस्ट हो तो लिंक देने की क्रप्या करे

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Ye post padho WordPress Blog Par Ad Injection Plugin Kaise Use Kare in Hindi

  52. Avatar for Md SabanMd Saban

    bahut hi laa jawab post likhi hai bro.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Welcome saban, but jo samajhe usi ke liye lajawab ho sakti hai.

  53. Avatar for mohd sharikmohd sharik

    sir kya me kisi book se li gayi kahani ko apne blog par publish kar sakta hu..
    yadi bo kahani kisi blog par pehle se hi hui to ky bo Copyright hogi
    ya story Copyright nahi mani jati
    plsss suggest me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Kar sakte ho kahaniya copyright nahi hoti hai. Bas aap kisi ki copy mat karna.

  54. Avatar for sanju dangarsanju dangar

    Realy ye post lajavab hai, post read karne se hi pata chal jata hai ki aap itane successful kyu ho? Aapki site par itana traffic kyu hai?
    Har post par aapki talent ke shath hardworking bhi dhikhai deti hai, thanks for very nice information

  55. Avatar for raviravi

    sir, ham jyada se jyada ek post ki size limit kitni rakh sakte hai with image .use seo me koi farak padta hai?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Jitne aap kar sako, minimum 1000 words hone chahiye.

  56. Avatar for shahadat khan sheranishahadat khan sherani

    Anout SEO very important post dear i m really impress this post but kuchh baaten aisi hai jinko padhne ke baad iss natije par pahunchte hain ki ziyadah keyword ke chakar mein asal metter ko bhool jana hi sab se badi kami hai 1 baat saaf karden ki iska matlab kya hai

    Kabhi bhi auto-generated title tag use na kare, Some tools aapko automatically title create karke deti hai unse bache or apne experience ke hisab se topics create kare.

    2. Agar koi post karni hai to uss mein mein dubbel keyword use karta hun For Exampel mujhe post likhni hai

    hajj ka tariqa wa masaile hajj

    Ab agar iss title m agar mein next yeh likhta hun (complet information about hajj) to kya seo par koi effect ya google ko koi shikayat hogi

    3. Long content post ki baat agar karen to ab aapko pata hai ki islamic post koi bhi dekhen agar complet likhen to laghbhag bahut nahi kafi lambi chodi ho jati hai to kya uss baat ko 2 part i mean 2 post mein likhna bitter hai ya 1 saath hi sab kuchh 1 post mein likhna better rahega

    Really sory sawaal kafi lamba hai but mere liye kafi inportant hai shayad yahi sawal 2sre log bhi janna chahte hain 1 ke badle sabki problem solve hojae baray meharbani waqt miljay to clear karden

    Thanks again for very usefull important better post shaering

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Some auto title generate tool hoti hai jo sabko ek jaise hi title create karke deti hai. Jo ki aapke liye better nahi hota hai, Aap apne experience ke hisab se post title create karo.
      2. Yes, complet information about hajj title better hai.
      3. Ek part do parto se jyada better hoga. but keywords stuffing isue ki wajah se aap duable part bana sakte ho.
      Aap islamic post likhte ho isliye aap SEO se jyada user experience ko jyada follow kare.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...