Blog Ko Google Me First Page Par Lane Ki 3 Super SEO Tips

Har blogger ki sirf ek hi koshish rahti hai ki uski post search engine me first page par show ho or use jyada organic traffic mile. Jab wo iske bare me jankari pata karta hai to use sabse pahle pata chalta hai SEO ke bare me magar wo iske bare me achhe se jan nahi pata or bad content likhna shuru kar deta hai. Results, uske blog ki search rank high ki jagah or jyada low ho jati hai. In this post, mai aapko only 3 successful SEO tips bta raha hu jo aapko search engine se better traffic dila sakti hai.

SEO techniques you are ignored

SEO ka matlab hota hai search engine optimization yani is type ka content write karna jo search engine me top position par show ho. Iske liye aapko google and other search engines ki guidelines follow kar ke post likhni hoti hai or keywords ko SEO ke rules ke anusar post content me use karna hota hai.

But some writer SEO ke bare me galat jankari sikh kar ya kuch bad way apna kar uselss content likhna shuru kar dete hai or wo sabse important factor ko bhool jate hai. Jiski wajah se humari site ki search rank increase hone ki jagah kam ho jati hai.

Jab tak aapke pas good user experience nahi hoga aap kabhi bhi ek Good SEO nahi ban sakte. Isiliye aankhe band karna chordhiye or SEO ke bare me sikhne ke sath sath apne anubhav se bhi kuch sikhiye. Ek better SEO expert banne ke liye aapko behtar experience hona jaruri hai.

3 Super Success SEO Techniques Jo Bahut Se Writer Bhool Jate Hai

Ho sakta hai mai yaha aapko jo trick bta raha hu unke bare me aap already jante ho but ek bar post ko achhe se padhe or soche ki wakai mai sahi kah raha hu or kya aap sach me ye galtiya kar rah ho.

1. Post Topics and Heading:

Aapki post ko search engine me first position par dikhane ke liye sabse important hota hai post ka title better hona. Agar aapki post ka topic effective hoga to user use jarur pasand karega or us par utna hi jyada click karenge.

Google hume post title me 65-70 characters use karna allow karta hai. In 65 characters me hume ek powerful title create karna hota hai. Some blogger is factor ko bhool jate hai or bad title use generate karna shuru kar dete ha. Like:

  • Post topic me 50% hindi and 50% english words use karna.
  • Title limit se jyada length ka post topic choose karna.
  • Extra words kyu, kaise and other ka jyada istemal karna.
  • Other blog post se matched topic select karna.
  • others.

Maine bahut se blogger ko dekha hai jo apne blog ki post ka title kuch is tarah rakhte hai. What is SEO – SEO क्या है is tarah ke topics galat hai. Aysa writer is liye karte hai taki search engine me unki post ko hindi or english user like kare.

But aesa nahi hai, mai ye nahi kahta ki aap post topic me english words use mat karo karo but only keywords ko english me likho baki sab hindi me hi likho. (Ye tips sirf hindi blogger ke liye hai hinglish blogger ke sath aysa nahi hai.)

Title tag sirf search engine ke liye hi important nahi hota hai balki post title user ke liye bhi utna hi important hota hai.

Mai manta hu ki aap SEO expert ho or aapko iske bare me sabkuch aata hai. But search engine terms & algorithms time to time change hoti rahti hai. So mai aapko suggest karunga ki aap user friendly post title select kare. Post topic post content ke saman important hota hai. So is type ke topics select kare jinhe har ek user like kare.

Aapko ye pata karna hoga ki aapki post ke liye kounsa title better rahega or kis par log jyada click karenge. I sure ek optimize title se aapko 100% organic traffic milega or us par jyada se jyada visitors click karenge. Yaha mai aapko kuch bate bta raha hu jo aapko title tag create karte time follow karni chahiye.

  • Kabhi bhi auto-generated title tag use na kare, Some tools aapko automatically title create karke deti hai unse bache or apne experience ke hisab se topics create kare.
  • Title me rich keywords and brand words use kare.
  • Don’t follow keywords stuffing. I mean kabhi bhi topics me keywords repeat na kare.
  • Always apne reader ke liye post topics likhe jo apaki post ko padhte hai. Only search engine ke liye nahi.
  • I know title me keyword use karna achhi bat hai but google bahut smart hai. Aapko keywords se jyada is bat par focus karna chahiye ki content kis bare me hai. (What about content)
  • Agar aap post title or content me kam se kam keywords use karoge to ye search engine ke sath aapke readers ke liye bhi behtar hoga.

Iske alawa mai is bare me bahut articles likh chuka hu. Aap iske liye humari baki SEO related post read kar sakte hai.

2. Post Length: More Content

Sab jante hai ki post ki better search ranking ke liye post content length bahut important hai. Aapki post me jitna jyada quality content hoga us post ki utni hi better search rank hogi. But kuch writer ise bhool kar bas search engine friendly post likhne me lage rahte hai or jab unhe traffic nahi mil pata to wo other blogger se kahte hai ki “Mere blog par SEO friendly content hone par bhi mujhe traffic nahi mil pa raha hai, mai kya karu.” Its very bad, Aesa nahi karna chahiye, hum only ek side dekh kar nahi chal sakte security ke liye har taraf dekhna jaruri hai. Theek wese hi only search engine ke liye post likhna sahi nahi hai.

Long content humesha search engine me first page par show hota hai but iska matlab ye nahi hai ki aap post me kuch bhi likh do. Post ke har paragraph me clear or useful information honi chahiye. Examples, Neil patel ek ayse writer hai jinke ek ek articles par millions views hote hai. Why, kyuki wo long content likhte hai or bilkul clear information share karte hai. Jise padhne ke bad user ko koi shikayat nahi rahti. I mean unhe post me jarurat se jyada badiya jankari milti hai.

Agar aap short and poor content likhoge to bhale hi wo sometime ke liye top position banaye rakhe. Aane wale dino me uski position down hoti jayegi. Becoz is duniya me sirf aap hi ek writer nahi ho aapse better likhne wale bhi bahut hai, aapko un sabhi be better likhna hoga.

Mai manta hu ki low quality content good nahi hai but long content kabhi bekar nahi hota. Never, content ki length jyada hogi to usme kuch na kuch sikhne ko jarur milega.

Online content marketr humesha kahte hai ki long content likho ye success ki sabse fisrt sidhi hai but bahut se blogger aesa nahi karte hai or ise avoid kar dusri choti choti post likhte rahte hai. Jo sirf kuch time ke liye search engine me show hoti hai uske bad unka search engine se name-o-nishan meet jata hai.

Aapke audience ko more content chahiye so jitna ho sake apne har topic par achhe se or clear tarike se samajhane ki koshish kare.

3. Your Experience:

Aapko blogging me kitna time ho gaya hai 1 month, 6 month, 1 year ya isse bhi jyada or agar abhi tak aapki site par traffic nahi hai to iska main reason hai aap abhi tak khud ko pahchan hi nahi paye. Hume kya karna chahiye se pahle ye sochna hai ki hum kya kar sakte hai.

Khud ki life ko chordh kar dusro ko follow karne wale humesha piche rah jate hai. Agar kuch karke dikhana hai to apne aap ko pahchano or apne experience se kaam karo. Bahut se blogger dusro ke dekhe dekhe unke jaisi post likhte hai. Iska result ye hota hai ki reader use usi ki copyrighting samajh lete hai.

Mai humesha apne reader se kahta hu ki kuch aesa kaam karo jo bilkul alag ho or log aapko sabse alag najro se dekhe. Jab tak aap bheed se bahar nahi nikaloge tab tak aapko koi nahi pahchan sakega. Khud ko sabit karna hai to sabse alag hat kar likho.

Jo dusre log likh sakte hai wo tum bhi likh sakte ho to tum wo kyu nahi karte jo tumhara deemag kahta hai or tumhe jo karna chahiye. Tumhe agar kisi kaam me thoda waqt ho gaya hai to tumhe uske bare me bahut kuch pata chal jata hai. Apne experience se pata karo ki aapke liye kya behtar ho sakta hai.

Aapke reader aapse kya chahate hai and wo aap me kya pasand karte hai, aapko wohi karna chahiye. Agar aap usse hat kar kaam karoge to shayad hi success ho pao. Some people kahte hai ki mai kis topic par post likhu. Mai aapko suggest karunga ki ek time ke bad agar aapko experience hoga to aapke pas content likhne ki kami nahi hogi. In my case, mere pas already itne topics hai ki mai sabhi par post nahi likh sakta.

You can’t have “good SEO” unless you have a good user experience. To have “good SEO” you must have great content (a beneficial user experience).

Aap bhi meri tarah ek blogger hai to fir aapke pas content ki kami kyu hai. SEO sabkuch ho sakta hai but experience master techniques hai. Jo shayad SEO se jyada effective hota hai. Aap jo search engine guidelines ko follow karke nahi kar sakte jo apne experience se kar sakte ho.

If you like this content plz share this with your friends.

Reader Interactions

Comments (113)

  1. Sir Kya mujhe aap supportmeindia ki child theme de sakte ho please?

    • Mai genesis theme use karta hu aap buy karke use kar sakte ho.

  2. Mr.Jumedeen,Yeh aapki site pe categories ke niche jo powered by google Posts list hai voh kaise aata hai.I mean me apni site pe aise hi apni posts ki list add karna chahta hu so yeh kaise karu ?

      • Hello sir mujhe kam se kam 1 dollar AdSense se earn karna hai lekin bahut kam ho raha hai kuch batayenge aap .

        • Jitni mehanat karoge utna hi milega.

      • Mai hamesh facebook pe share karti hu fir bhi ad click nahi aata hai

        • Click aapko search engine se aaye visitor se jyada milte hai.

      • aur aap ye bhi bataiye ga ki aap aur kaun kaun se tarike use karte hai online earning ke liye

        • Mai AdSense, affilaite, designing and other kei tarah se online money earn karta hu.

  3. mai godaddy se domain lena chahta hoo lekin mere pas credit card nahi hai kya aap apne card se domain buy kr ke mujhay de sakte ho mai apko payment kr doo ga

    • Aap apne debit card se payment kar sakte ho.

  4. Bhaijan
    1) YouTube ke lie video modify karna h best free software ka naam bataiye
    2)Maine apka post padha tha AdSense wala kya abhi wo trick kaam krti h YouTube pr 5 video upload kar k savi me 500 view ho jaye to yutube pr fir apne blog ko add kr sakte h
    3) YouTube par ek email se kitna channel bana skte h
    4) agar AdSense approve hone k baad sari videos delt kr du YouTube PEr aur fresh video daalu to kya mujhe nuksaan hoga YouTube aur blog k lie AdSense k taur par

    • 1. Camtasia studio
      2. haa karta hai.
      3. jitne aap chaho.
      4. nahi nahi hoga.

  5. jume deen bro ek AdSense ki taraf se notification aya iska matlab kya hai
    ‘ one or more of your site has been voilation of AdSense policies ‘

    action par click karu ya na karu

    • Aap AdSense policy ka ulaghan kar rahe ho action par click karke is issue ko fix karo.

  6. sir apne jo info share kri hai bhut he bdiya hai jb mene title pda to muje lga apne wo he likha hoga jo muje pta hai pr apne kuch NEW likha jo mene socha bhi nhi tha thx for this wonderful info

  7. Jumedeen Bhai Aap Hume Ye Bataye
    Aapka Blog top pe Aane Ka Karan Kya Hai

    1, Aap Google Service Ko Paisa Datey hain Ya

    2. Aap Khud Mehnat Kar Ke Website Ko First Page Pe laye Hain

    3. Aapka Website Dusra Supportmeworld.com ka post Kareb 20 Hain Aur Uska Traffic Acha Hai Kyu

    4. Dusre Logo Ke Website Pe 300 post Hai Fir bhi unka Rank Acha Nahi Hain Iska Karan Kya Hain

    5. Facebook post me image Pe link kaise Add Kartey Hain

    • 1. Nahi maine kabhi koi paid service use nahi ki hai.
      2. Mehanat to karni hi hoti hai mehanat ke bina kuch bhi nahi hai.
      3. Us par sirf 6-7 post hai. Ha traffic to hai.
      4. Sabke work karne ki style alag hoti hai mai apni style me work karta hu.
      5. aap facebook status me post ka link share kiya karo fir us post ki feature image automatically facebook par show hogi.

  8. आप ने बहुत बाड़िया जानकारी सेयर की हैं इसके लिए बहुत-बहुत धन्यवाद,,

  9. Bahut hi badiya Jaankari hai khaan ji…. Thanks aakhir me mujhe jo Jaankari chahiye tha woh aapne post kar diya….
    Thanks….

  10. Salam bhai,…mera swal hai
    1) commentluv enabled blog par comnnt kr k apni blog ki ranking increase krne me koi nuksaan to nahi h na agar better rank Wale blog pr comnt kru aur same niche k blog pr
    2) daily kitna backlink banana sahi hoga jisse humminbird nuksan na phuchaye

    • 1. kar sakte ho isme koi problem nahi hai.
      2. backlinks daily nahi bnate hai. Jab aapko kisi site se traffic milega to hi aapko backlinks milega.

  11. awesome information diya hai aspne
    Zumedeen bhai aap great ho aapke is a articles se bhot sare new blogger ko seo ke bare info milega nice a articles
    bro

  12. bro ek help cahiye mere blog me comment box show nhi ho rha hai only Leave a reply a rha hai uska niche comment box nhi hai help

    • Aap blogger setting me ja kar google plus comment feature ko disable karo.

  13. Jummedeen Bro App Ye Btye Ki Apki Site Optimization Post Hai Supportmeworld Pr Syad Ya supportmeindia Par Usme Jo Codi Hai Vo Shi Hai Ki Nhi Vo Puchna tha kya vo shi hai mai un sare codes ko use kru to koi problem to nhi hogi ????

    • Akash ji maine wo sab try karne ke bad hi publish ki hai. Abhi bhi mai wo coding use karta hu. Yes aap use kar sakte ho koi problem nahi hai.

  14. bro agar me apne blog par hingslish aur origianl हिन्दी dono me post dalu to kya isse koi problem to nahi hogi. ya google Adsense isko unlike to nahi karta.
    aur han mera blog ek tech blog he. agar me us par hindi kahaniya dalu to koi nuksaan to nahi he.. me ek hi blog me sabhi topic par post kar sakta hu kya

    • Adsense ko koi problem nahi hai. But ek jagah par ye sab karne se khichdi pakane jaisa kaam h ojayega or reader use pasand nahi karenge. So mai aapko iske liye suggest nahi karunga.

  15. Nice Post सर क्या आप मुझे बता सकते है जेसे आपकी हर पोस्ट में गूगल के लेफ्ट और राईट साईट में 3 लाइन के एड आते है उन्हें किस तरह लाया जाता है

    • Ye lin ad unit hai aap jab new ad unit create karo to ad type me links ad select karo.

      • मेरे एड्संस अकाउंड में केवल यह तीन ही ओप्संस आ रहे है
        Text & display ads
        display ads only
        text ads only
        जो आपने Links ad का ओप्संस बताया है वो वह नहीं आ रहा है तो इसे केसे अनेबल करे

        • ad size option me showing ke samne click karke link ads select karo.

          • Thanx हो गया बस एक सवाल का और जवाब दे दो इस कॉड को अपनी हर पोस्ट के बिच में कैसे सेट करे

          • Agar aapko blog WordPress par hai to plugin use karo or agar blogger par hai to maine iske bare me kuch post ki hai wo post padho. I mean blogspot se related post.

          • मेरा ब्लॉग वर्डप्रेस पर ही कोन सा प्लग इन इस्तेमाल करू और उसी सेटिंग किस तरह करू अगर आपकी उस से जुडी पोस्ट हो तो लिंक देने की क्रप्या करे

          • Ye post padho WordPress Blog Par Ad Injection Plugin Kaise Use Kare in Hindi

  16. bahut hi laa jawab post likhi hai bro.

    • Welcome saban, but jo samajhe usi ke liye lajawab ho sakti hai.

  17. sir kya me kisi book se li gayi kahani ko apne blog par publish kar sakta hu..
    yadi bo kahani kisi blog par pehle se hi hui to ky bo Copyright hogi
    ya story Copyright nahi mani jati
    plsss suggest me

    • Kar sakte ho kahaniya copyright nahi hoti hai. Bas aap kisi ki copy mat karna.

  18. Realy ye post lajavab hai, post read karne se hi pata chal jata hai ki aap itane successful kyu ho? Aapki site par itana traffic kyu hai?
    Har post par aapki talent ke shath hardworking bhi dhikhai deti hai, thanks for very nice information

  19. sir, ham jyada se jyada ek post ki size limit kitni rakh sakte hai with image .use seo me koi farak padta hai?

    • Jitne aap kar sako, minimum 1000 words hone chahiye.

  20. Anout SEO very important post dear i m really impress this post but kuchh baaten aisi hai jinko padhne ke baad iss natije par pahunchte hain ki ziyadah keyword ke chakar mein asal metter ko bhool jana hi sab se badi kami hai 1 baat saaf karden ki iska matlab kya hai

    Kabhi bhi auto-generated title tag use na kare, Some tools aapko automatically title create karke deti hai unse bache or apne experience ke hisab se topics create kare.

    2. Agar koi post karni hai to uss mein mein dubbel keyword use karta hun For Exampel mujhe post likhni hai

    hajj ka tariqa wa masaile hajj

    Ab agar iss title m agar mein next yeh likhta hun (complet information about hajj) to kya seo par koi effect ya google ko koi shikayat hogi

    3. Long content post ki baat agar karen to ab aapko pata hai ki islamic post koi bhi dekhen agar complet likhen to laghbhag bahut nahi kafi lambi chodi ho jati hai to kya uss baat ko 2 part i mean 2 post mein likhna bitter hai ya 1 saath hi sab kuchh 1 post mein likhna better rahega

    Really sory sawaal kafi lamba hai but mere liye kafi inportant hai shayad yahi sawal 2sre log bhi janna chahte hain 1 ke badle sabki problem solve hojae baray meharbani waqt miljay to clear karden

    Thanks again for very usefull important better post shaering

    • 1. Some auto title generate tool hoti hai jo sabko ek jaise hi title create karke deti hai. Jo ki aapke liye better nahi hota hai, Aap apne experience ke hisab se post title create karo.
      2. Yes, complet information about hajj title better hai.
      3. Ek part do parto se jyada better hoga. but keywords stuffing isue ki wajah se aap duable part bana sakte ho.
      Aap islamic post likhte ho isliye aap SEO se jyada user experience ko jyada follow kare.