Blog Ko Google Me First Page Par Lane Ki 3 Super SEO Tips

Har blogger ki sirf ek hi koshish rahti hai ki uski post search engine me first page par show ho or use jyada organic traffic mile. Jab wo iske bare me jankari pata karta hai to use sabse pahle pata chalta hai SEO ke bare me magar wo iske bare me achhe se jan nahi pata or bad content likhna shuru kar deta hai. Results, uske blog ki search rank high ki jagah or jyada low ho jati hai. In this post, mai aapko only 3 successful SEO tips bta raha hu jo aapko search engine se better traffic dila sakti hai.

SEO techniques you are ignored

SEO ka matlab hota hai search engine optimization yani is type ka content write karna jo search engine me top position par show ho. Iske liye aapko google and other search engines ki guidelines follow kar ke post likhni hoti hai or keywords ko SEO ke rules ke anusar post content me use karna hota hai.

But some writer SEO ke bare me galat jankari sikh kar ya kuch bad way apna kar uselss content likhna shuru kar dete hai or wo sabse important factor ko bhool jate hai. Jiski wajah se humari site ki search rank increase hone ki jagah kam ho jati hai.

Jab tak aapke pas good user experience nahi hoga aap kabhi bhi ek Good SEO nahi ban sakte. Isiliye aankhe band karna chordhiye or SEO ke bare me sikhne ke sath sath apne anubhav se bhi kuch sikhiye. Ek better SEO expert banne ke liye aapko behtar experience hona jaruri hai.

3 Super Success SEO Techniques Jo Bahut Se Writer Bhool Jate Hai

Ho sakta hai mai yaha aapko jo trick bta raha hu unke bare me aap already jante ho but ek bar post ko achhe se padhe or soche ki wakai mai sahi kah raha hu or kya aap sach me ye galtiya kar rah ho.

1. Post Topics and Heading:

Aapki post ko search engine me first position par dikhane ke liye sabse important hota hai post ka title better hona. Agar aapki post ka topic effective hoga to user use jarur pasand karega or us par utna hi jyada click karenge.

Google hume post title me 65-70 characters use karna allow karta hai. In 65 characters me hume ek powerful title create karna hota hai. Some blogger is factor ko bhool jate hai or bad title use generate karna shuru kar dete ha. Like:

  • Post topic me 50% hindi and 50% english words use karna.
  • Title limit se jyada length ka post topic choose karna.
  • Extra words kyu, kaise and other ka jyada istemal karna.
  • Other blog post se matched topic select karna.
  • others.

Maine bahut se blogger ko dekha hai jo apne blog ki post ka title kuch is tarah rakhte hai. What is SEO – SEO क्या है is tarah ke topics galat hai. Aysa writer is liye karte hai taki search engine me unki post ko hindi or english user like kare.

But aesa nahi hai, mai ye nahi kahta ki aap post topic me english words use mat karo karo but only keywords ko english me likho baki sab hindi me hi likho. (Ye tips sirf hindi blogger ke liye hai hinglish blogger ke sath aysa nahi hai.)

Title tag sirf search engine ke liye hi important nahi hota hai balki post title user ke liye bhi utna hi important hota hai.

Mai manta hu ki aap SEO expert ho or aapko iske bare me sabkuch aata hai. But search engine terms & algorithms time to time change hoti rahti hai. So mai aapko suggest karunga ki aap user friendly post title select kare. Post topic post content ke saman important hota hai. So is type ke topics select kare jinhe har ek user like kare.

Aapko ye pata karna hoga ki aapki post ke liye kounsa title better rahega or kis par log jyada click karenge. I sure ek optimize title se aapko 100% organic traffic milega or us par jyada se jyada visitors click karenge. Yaha mai aapko kuch bate bta raha hu jo aapko title tag create karte time follow karni chahiye.

  • Kabhi bhi auto-generated title tag use na kare, Some tools aapko automatically title create karke deti hai unse bache or apne experience ke hisab se topics create kare.
  • Title me rich keywords and brand words use kare.
  • Don’t follow keywords stuffing. I mean kabhi bhi topics me keywords repeat na kare.
  • Always apne reader ke liye post topics likhe jo apaki post ko padhte hai. Only search engine ke liye nahi.
  • I know title me keyword use karna achhi bat hai but google bahut smart hai. Aapko keywords se jyada is bat par focus karna chahiye ki content kis bare me hai. (What about content)
  • Agar aap post title or content me kam se kam keywords use karoge to ye search engine ke sath aapke readers ke liye bhi behtar hoga.

Iske alawa mai is bare me bahut articles likh chuka hu. Aap iske liye humari baki SEO related post read kar sakte hai.

2. Post Length: More Content

Sab jante hai ki post ki better search ranking ke liye post content length bahut important hai. Aapki post me jitna jyada quality content hoga us post ki utni hi better search rank hogi. But kuch writer ise bhool kar bas search engine friendly post likhne me lage rahte hai or jab unhe traffic nahi mil pata to wo other blogger se kahte hai ki “Mere blog par SEO friendly content hone par bhi mujhe traffic nahi mil pa raha hai, mai kya karu.” Its very bad, Aesa nahi karna chahiye, hum only ek side dekh kar nahi chal sakte security ke liye har taraf dekhna jaruri hai. Theek wese hi only search engine ke liye post likhna sahi nahi hai.

Long content humesha search engine me first page par show hota hai but iska matlab ye nahi hai ki aap post me kuch bhi likh do. Post ke har paragraph me clear or useful information honi chahiye. Examples, Neil patel ek ayse writer hai jinke ek ek articles par millions views hote hai. Why, kyuki wo long content likhte hai or bilkul clear information share karte hai. Jise padhne ke bad user ko koi shikayat nahi rahti. I mean unhe post me jarurat se jyada badiya jankari milti hai.

Agar aap short and poor content likhoge to bhale hi wo sometime ke liye top position banaye rakhe. Aane wale dino me uski position down hoti jayegi. Becoz is duniya me sirf aap hi ek writer nahi ho aapse better likhne wale bhi bahut hai, aapko un sabhi be better likhna hoga.

Mai manta hu ki low quality content good nahi hai but long content kabhi bekar nahi hota. Never, content ki length jyada hogi to usme kuch na kuch sikhne ko jarur milega.

Online content marketr humesha kahte hai ki long content likho ye success ki sabse fisrt sidhi hai but bahut se blogger aesa nahi karte hai or ise avoid kar dusri choti choti post likhte rahte hai. Jo sirf kuch time ke liye search engine me show hoti hai uske bad unka search engine se name-o-nishan meet jata hai.

Aapke audience ko more content chahiye so jitna ho sake apne har topic par achhe se or clear tarike se samajhane ki koshish kare.

3. Your Experience:

Aapko blogging me kitna time ho gaya hai 1 month, 6 month, 1 year ya isse bhi jyada or agar abhi tak aapki site par traffic nahi hai to iska main reason hai aap abhi tak khud ko pahchan hi nahi paye. Hume kya karna chahiye se pahle ye sochna hai ki hum kya kar sakte hai.

Khud ki life ko chordh kar dusro ko follow karne wale humesha piche rah jate hai. Agar kuch karke dikhana hai to apne aap ko pahchano or apne experience se kaam karo. Bahut se blogger dusro ke dekhe dekhe unke jaisi post likhte hai. Iska result ye hota hai ki reader use usi ki copyrighting samajh lete hai.

Mai humesha apne reader se kahta hu ki kuch aesa kaam karo jo bilkul alag ho or log aapko sabse alag najro se dekhe. Jab tak aap bheed se bahar nahi nikaloge tab tak aapko koi nahi pahchan sakega. Khud ko sabit karna hai to sabse alag hat kar likho.

Jo dusre log likh sakte hai wo tum bhi likh sakte ho to tum wo kyu nahi karte jo tumhara deemag kahta hai or tumhe jo karna chahiye. Tumhe agar kisi kaam me thoda waqt ho gaya hai to tumhe uske bare me bahut kuch pata chal jata hai. Apne experience se pata karo ki aapke liye kya behtar ho sakta hai.

Aapke reader aapse kya chahate hai and wo aap me kya pasand karte hai, aapko wohi karna chahiye. Agar aap usse hat kar kaam karoge to shayad hi success ho pao. Some people kahte hai ki mai kis topic par post likhu. Mai aapko suggest karunga ki ek time ke bad agar aapko experience hoga to aapke pas content likhne ki kami nahi hogi. In my case, mere pas already itne topics hai ki mai sabhi par post nahi likh sakta.

You can’t have “good SEO” unless you have a good user experience. To have “good SEO” you must have great content (a beneficial user experience).

Aap bhi meri tarah ek blogger hai to fir aapke pas content ki kami kyu hai. SEO sabkuch ho sakta hai but experience master techniques hai. Jo shayad SEO se jyada effective hota hai. Aap jo search engine guidelines ko follow karke nahi kar sakte jo apne experience se kar sakte ho.

If you like this content plz share this with your friends.

Reader Interactions

Comments (113)

  1. jume deen sir please answer some of my Question-

    1) sir main agar mere blog ki template change karta hu to mujhe kya kya karna hoga jisse mere blog ki search ranking down na ho or AdSense ke ads bhi show ho..

    2) main apne blog me domain add karta hu to mujhe domain ko search console me add karna hoga or sitemap bhi submit karna hoga ya nahi…..

    3) AdSense me meri earning bhut slow hai 1 click ka 0.01 se 0.06 milta hai isse kaise increase karu..

    4) mere pass blogging se related ek latest post hai jisse maine kudh likha hai or vo post 600 word ki hai kya aap vo post apni site par publish karege…….

    • 1. aapko blog ki tempalte me meta tag and other verify coding add karni hogi.
      2. Yes karna hoga.
      3. aap high cpc keywords par post likho.
      4. Mai wohi post accept karta hu jo SMI ki guest policy follow karti ho. aap policy padh kar pata kar sate ho.

  2. Jumedeen ji aapne meri comment approve nahi kiye. mere liye ye jaroori hai pls mujhe bata dijiye ki blogger blog me ek din me kitni post publish kar sakte hai. iski koi limit hai ya jitni chahe kar sakte hai.

    • Kitni bhi kar sakte ho mai aapko old comment par reply kar chuka hu.

  3. अच्छी पोस्ट है jumedeen bro .

  4. sir mjhe ek help chahiye aap se. mujhe ye janna hai k blog jis email se bna ho use nikaal kr doosra emil bloge men add kr skte hin.mujhe apne blog ka emil chang kr na hai.pleas btain

    • Yes aap blogger setting me ja kar new autohr details add karke us administer bana sakte ho.

  5. hello sir aapke english blog smw par daily page view kitna hai.please reply jaroor kre
    estimate ke liye

    • sarfraz, aap sirf helping question puch sakte ho.

  6. Very Nice Post…..log esa samaj lete he ki ye aasaan he lekin ye blogging jab Karne bethte he to unhe esa lagne lag jaata he ki traffic nahi aa rahi earning nahi ho raha aur wo hi aksar haar maan jaate he isliye jab Bhi hum Kuch Kare Himmat rakhke Kare aur sabse Kuch alag Kare….

  7. Sir, aapki Seo techniques khafi acchi thi, unhe padhkar khafi sikhne ko mila hai, or Main bhi Alwar (Rajasthan) se hi hu.

  8. Bro मैं डेबिट कार्ड लेने के बारे में सोच रहा हू प्लीज मेरे क्वेश्चन का जवाब दीजिए
    १) क्या कार्ड लेने के लिए कोई शुल्क लगता है

    २) डेबिट कार्ड लेने के बाद हर महीने या हर साल कोई शुल्क देना पड़ता है

    ३) गो डैडी या कोई और वेबसाइट से होस्टिंग या डोमेंन खरींदु तो उसके लिए कोई शुल्क या चार्ज लगता है

    • 1. Nahi ye free service hai bad me 100 yearly charge hota hai.
      2. ha bilkul lagta hai sabhi paid hosting provder hai.

  9. NIce Seo techniques shred. every blogger should follow above tips.

  10. jumedeen ji, ek emai id se blogger blog me ek din me kitni post publish kar sakte hain. iski koi limit hai ya fir jitni chaho kar sakte hai kyoki mujhe ek friend ne bataya tha ki sirf 3 post hi kar sakte hain.

    • Nahi aesa kuch bhi nahi hai. Aap kitni bhi post kar sakte ho.

  11. mai godaddy se domain lena chahta hoo lekin mere pas credit card nahi hai kya aap apne card se domain buy kr ke mujhay de sakte ho mai apko payment kr doo ga

  12. Sir Ek Questn Tha – Mera Page Jab har roj 200 Tha Us Tym Alexa Rank 10 lakh tha,,par ab jab page view bad raha hai to alexa rank aur ghat raha hai aisa kyun…??? suppose abhi mera page view 1500 roj hai to alexa rank 17 lakh ho gaya,, koi upay bataye

    • Alexa rank aapki site ki traffic par nahi balki is par depend karta hai ki log apaki site ko kitna pasand karte hai.

  13. hi jumedin sir, meri site ek wallpaper ki hai… traffic bhi accha hai… n click bhi acchi aati hai but cpc bahut low hai….0.03..plz aap dekhlo meri site and bataiye ki me kya karu….

    • Sandeep aap AdSense policy follow kkiya karo or AdSense ke anusar ad use kiya karo.

  14. Bhai kya tum mujhe ye btaa saktey ho ki tum apni is site me jo image banakar lagatey ho vo kaise banatey ho??

    • Khan ji aap koi bhi photo editer se image bana sakte ho. Mai photoshop use karta hu.

  15. jumme Deen Bro A Ye Btye Adsense Ne Ads Limit Hta Di Jaisa Ki Aapne Kha To Kya Jdya Ads Lgane Pr Cpc And Ctr Pr Affect Nhi Hoga Kya???

    • Yes bilkul hoga. Jyada ad unit use karne se CPC and CTR low ho sakti hai.

  16. hello bhai g mere google search consol me structured data me ye error aa raha he ye image par error he ye keise solve hoga plz batiye

    datePublished A value for the datePublished field is required.
    cancelheadline A value for the headline field is required.
    cancelpublisher A value for the publisher field is required.
    warningdateModified The dateModified field is recommended. Please provide a value if available.
    warningmainEntityOfPage The mainEntityOfPage field is recommended. Please provide a value if available.

    • Aap apne blog ka drta highlight karo.

      • you meann data highlight

        1 or baat puchni thi ki me riboon them use kar raha hu me maggner theam usr karna chahta hu me ise buy nahi kar pa raha quki paypal par mera debit card support nahi kar raha kahi or se kar sakta hu to plz help
        or agarme theam change karta hu to kya mujhe sari setting htmal me fir se karni padegi.
        app solutionforcomputer.com me dekh kar bataiye ki kya ise change karne ki jarurat he . bese mera change karne ka main reason he niche footer me cradits

    • bhai apne data highlighter karne ko bola tha bo mene kar deya par ab bhi ye error aa rahe he.

      • Wait after some time your problem automatically solved.

  17. hello, main ap se ek help chahta hun. main google AdSense ke liye apply kardiya hun aur muje confirm ka email bhi aagya hai . or maina ads unit create karke Blog main Laga diya hun. magar abhi tak Show nahi hua hai. mera matlb kab tak ye blank ads rahega..

    • Barkat aapke lbog par ads lagane ke bad AdSense aapki site ka review karega uske bad ad show hong. aap kuch time wait kare.

  18. dear bro,

    Very good post but mujhe apki ek or baat achi lagi ki aap sab ko reply krte ho with solution and i really appreciate for this can you help me in my AdSense approval ?

    1- mera AdSense account activated hai but ad display nahi ho rhi account abhi fully activated nahi hai koi way hai jise mai jldi activate kr sko meri website gadget, tech related hai or daily 300 user organic goolge search k throw aate hai but Ad activate nahi ho rhi

    2- kya muje google AdSense ka account Buy kr lena chahiye jo already fully activated ho ?

    agr buy kr lena chahiye to kitne ka ? and agr aap k paas hai koi account sale krne k liye to muje sale kr do.

    • 1. aapka AdSense account jab fully activate ho jayega to ads show hong.e aap wait kare iske siwa koi rasta nahi.
      2. Ha agar aapko koi aesa account mil sakta hai to kar sakte ho. But ho sakta hai use blgo se connect karne se google fir se blog ka reveiw karne lage to same issue hoga.

  19. जुमे दीन जी मेरा आपसे ये सवाल है की अगर हम पैड थीम (जैसे genesis या newspaper )को फ्री में use करे तो क्या प्राब्लम होगी ?

    • Haa, bilkul paid theme ke free version me bad url ya other links add hote hai jinse aapko problem ho sakti hai.

      • aap kaun sa plgin use karte hai apne post tab widget me jo aapke side baar me

        • Mai only 3 pljugin use karta hu, ad injection, jetpack or yoast SEO.

  20. साइट को सर्च इंजिन के फर्स्‍ट पेज पर लाना आसान नहीं हैं। इसके लिए काफी मेहनत की जरूरत होती है। जुमेदीन भाई, आपने अपना जो मुकाम बनाया है, उसके पीछे आपकी मेहनत हैं। मैं आपकी मेहनत और जज्‍़बे काेे सलाम करता हूं। बस आप ऐसे ही हम सबका मार्गदर्शन करते रहिए।