Which is Best SEO vs Social Media Marketing? Yeh sawal aapke mann mai ek baar toh jarur aaya hoga ki aapko apni website par traffic badhane ke liye kis par jyada focus karna chahiye SEO ya Social Media Marketing (SEO or SMM) par. To chaliye jante hai ki blog traffic badhane ke liye in dono me se konsa tarika jyada behtar hai.
Apni website blog par traffic lane ke liye marketing karna bahut jaruri hai aur traffic lane me social media marketing saur search engine optimization sabse best way hai, dono hi blog ke liye bohot jaruri hai.
Agar aap apne blog ko successful blog banana chaahte ho to aapka in dono par seriously work karna hoga. Aap jitne achhe se marketing karoge aapki site par utna hi jyada visitors aayenge.
Newbie blogger ke liye ek confusing bani rahti hai ki use kis par jyada dhyan dena chahiye, to chaliye dekhte hai ki aapke liye konsa tareeka jada acha hai.
Organic SEO Kya Hai?
Organic SEO digital marketing ka grandfather hai. SEO or search engine optimization karke aap apni site ko search engines results pages me top ranking me la sakte ho.
Is method se post content me keywords ka istemal kar use google me top position me lane ke liye optimizing ki jati hai. Iski adhik janakri yaha hai, SEO Kya Hai – Search Engine Optimization in Hindi.
Social Media Marketing Kya Hai?
Social media marketing communication ke bare me hai jaha par aap apne social friends ke sath apne business ko promote kar sakte ho. Aap iski help se people ke sath naturally engage kar sakte ho.
Agar aapki koi site hai to uske articles ko social media sites (facebook, twitter, google+, linkedin, pinterest etc.) par share kar traffic boost kar sakte ho.
Social media marketing me success hone ke liye aapko ye pata hona chahiye ki aap social media se kya hasil karna chahate hai. Bina kisi wajah se social media marketing me aksar log fail ho jate hai.
SEO Vs Social Media Marketing – Kya Best Hai?
In dono me se konsa best hai ye aapke work par depend karta hai, agar aap short time ke liye traffic pana chahate ho to aapko social media ka istemal karna chahiye aur agar aap long time ke liye traffic pana chahate ho to aap SEO par focus kare.
Ek blogger ke liye search engine optimization social media marketing se kahi jyada jaruri hai. Aap ek blogger hai to sabse pahle apni site ka SEO kare uske bad social media promotion par kaam kare.
Aap SEO friendly content likhe aur sath hi use social media sites par bhi promote kare, aapko dono tariko par focus karna hai lekin SEO par jyada care karna hai kyuki isse aapki site top search me aayegi aur aapki site ka organic traffic badhta rahega.
Chaliye ab main aapko btata hu ki kin logo ko kis par jyada focus karna chahiye aur kyu?
1. Website aur Blog
Agar aapka koi blog hai ya online business hai toh aapko jada focus seo (search engine optimization) per karna chahiye kyu ki seo se aapko long term mai bohot traffic mil sakta hai or wo badhta bhi rahega.
Lekin agar aapko jald hi traffic ki need kyu ki aapke online business mai koi offer chal raha hai toh aapko social media ka bilkul use karna chahiye jisse aap users ko apni website pe jaldi la sakte hai.
4. Event Blogging
Aaj kal Event blogging bohot chal rahi hai aur bohot log isse lakho mai paisa bhi kama rahe hai. Toh agar aapko event blogging ke liye traffic chahiye toh aapko social media marketing pe jada focus karna chahiye.
Kyu ki event blogging short time ke liye ki jaati hai or agar aap seo pe focus karenge aapko bohot time lag jayega or ho sakta hai aap apni site ko rank na kara pao.
5. News portal
Agar aapka koi news portal hai toh aapko dono per hi focus karna chahiye social media marketing or seo pe lekin usse bhi jada mai aapko suggest karunga ki aap subscriber base pe focus karen.
Kyu ki news portal mai updates bohot jaruri hote hai aur updates aap sirf subscriber base banane se bhej sakte ho. Iske liye aap email marketing aur web push notification service use kar sakte ho.
6. Coupon Website
Agar aapki koi coupon website hai toh aapko apna main focus seo pe rakhna chahiye kyu ki discounts or coupon codes se related bohot searches kiye jaate hai.
Aur agar aap sath hi sath thodi bohot social media sharing bhi karenge toh aap bohot easily apni coupon website ko ek high traffic waali website bana sakte hai. Aap deal dosto ke sath share karke jyada sale pa sakte hai.
7. Affiliate Website
Aaj ke time pe affiliate websites ka bhi bohot chalan hai or log easi websites ko bohot pasand bhi karte hai kyuki is type ki site se earning jyada hoti hai. Aap kam traffic par bhi kuch sale karke achhi income kar sakte ho.
Affiliate websites ke mai aapko suggest karunga ki phele aap social media marketing se thoda bohot traffic generate karen fir uss traffic ko apna subscriber base bana le jisse aap baad mai unko offers details bhej sakte hai. Sath hi apa web push notification bhi use kare.
SEO and SMM Merits and Demerits
Toh ab hum SEO(search engine optimization) or social media marketing(SMM) ke merits or demerits dekhenge ki inme kya kya kamiya aur kya kya achaiya hai.
SEO Merits:
- Long term ke liye bohot effiective hai
- jada trusted hota hai incompare to social media makerketing
- Yeh free tareeka hai agar aapko seo karna ata hai toh
- agar aapka online business hai toh jo log search karte hai wohi log jada buy karte hai
SEO Demerits:
- SEO ke jariye traffic aane mai bohot time lagta hai
- agar aapka koi competitor ata hai toh usse aapki ranking or traffic kharab ho sakta hai
- agar koi search algorithm mai update ata hai usse aapki ranking or traffic kam ho sakti hai
Yeh toh the SEO ke merits or demerits ab dekhte hai Social media marketing ke Merits or Demerits
SMM Derits:
- Fast response SMM se aapko ek dam se traffic mil sakta hai
- agar aapko apni reach bhadani hai toh smm ek bohot acha tareeka hai
- agar aapka online business hai toh smm aapko apne customers ke communicate karne mai help kar sakta hai
- aap targeted logo ko apna product show kara sakte ho
SMM Demerits
- Agar aap apne social media traffic ko subscribers mai change nahi karte hai toh usse aapka traffic loss ho sakta hai
- agar aapke paas phele se likes pr subscribers nahi hai toh aapko paise kharch karne padenge.
Toh Yeh the SMM ke merits or demerits
Ummid hai ki aapko saare sawalo ke jawab mil gaye honge agar aapka koi sawal hai toh aap niche comment mai pooch sakte hai.
- Blog Par SEO Friendly Article Kaise Likhe – 10 Best Tips 2025
- Schema Markup Kya Hai or Ye SEO Ke Liye Kyu Important Hai
Aur ye jankari achhi lage to is post ko share jarur kare.
Dharmendra Yadav
Sir mai janana chahta hu ki jo bhi website hamare website ki competitior website yaa jo Google pr top rank list me ho tho uske back aur kya kya off page techniques use kiya iske baare me kaise pta kre
Jumedeen khan
researching tools ka istemal karo. sab pata chal jayega.
vikas
it’s very helpful information for me ,
have many confusion clear about seo or smm
thanks for give us this type of info..
Prashant
Is article ki bahut jyada jrurt thi and thanks jumeddeen bahi is article ko lane ke liye , mera b news blog hai and me confused tha k seo p dhayan du ya invest krk social. Traffic lu , ab doubt clear hogya but ek question jarur karna chaunga.. Jab b koi nayi news aati h to usme hum jyada se jyda 300 word ka post hi likh pate h or seo k hisaab se minimum 700-800 words hona chaiye , to iska kya solution hai.. 300 words vale post kbhi bhi rank nahi ho payga kya..??
Jumedeen khan
Aayenge, ek aap sabse pahle post karo aur apni site ko Domain authority and page authority, backlink increase karo.
Ajay kumar
Vaah sir bahut badhiya article hame behad pasand aaya. Sir but, ek sawal hai ki hamari ek news website hai. Ham social media share widget add karna chahta hu. Jisme ki whatsapp, facebook, Twitter etc feature available ho. Paid ya free jo bhi best ho vo bataye ??
Jumedeen khan
Har social media site widget provide karte hai, aap google search karo iska link mil jayega.
Bhavishya arora
iss post se lagta hai mujhe SEO par jyada dhyan dena hoga or organic traffic par concentrate karna hoga thank you sir.
sandeep kkumar
Aaj ki ye post sabhi ke liye jaruri hai..thnks for sharing
Aur aisi hi post likhte rahe thnku
pramod
very nice post bahut hi kaam ki post thi lekin mera ek sawal hai ek alag topic par please ans jarur de me wait karunga.
meri ek status blog hai jisko facebook ne block kar di hai lagbhag 3-4 mahine se. mene fb app id bhi bnayi hai par usme blog ka link add nahi kiya tha. lekin ab fb app me blog ka link dal rha hoon to add nahi ho rha hai, kyoki fb ne us link ko blog kar diya hai.
mujhe btaye ki me us link ko jaldi se jaldi kaise unblock karu please. bahut try kar liya nahi ho rha hai.
log bol rhe the ki facebook debugger me dekho par mene try kiya mujhe wha se bhi kuch suggestion nahi mila. ek baar aap meri blog check krke jarur dekhe or btaye please…… thanks
Jumedeen khan
Ye problem tab hoti hai jab aapki site facebook policy ke hoti hai. Aapki site ko facebook debugger par run karne par ye error aa raha hai.
We can’t review this website because the content doesn’t meet our Community Standards. If you think this is a mistake, please let us know.
Means aapko facebook se contact karna padega. I hope aapki site unblock kar di jayegi.
Pramod
jo form ki link aapne di hai mene us par bahut baar appeal kar di hai fir bhi nahi ho rha hai
Jumedeen khan
Wait facebook team response jarur karegi isme time lagta hai.
jalaj pandey
thanks for sharing such an article Ayush and Jumedeen bro
manjeet singh
This article is very helpful for SEO beginners thanks for publish
Vishvajit Rao
Thanks sir aapne bahut hi badhiya post share kiye hai marketing ke bare me.
Yah post read karne ke bad hume seo vs marketing acchhe se samajh aaya hai.
Deepak sahu
is post ko padhne ke baad ek baat to clear ho gayi ki mujhe seo pe dhyan dena chahiye ya social media marketing pe. thanx
rovin singh chauhan
best seo decision article thanks. is post ko padhkar koi bhi samajh sakta hai unhe apne blog ke liye kis type ka seo karna chahiye.