SERPs ka matlab hota hai. “Search Engine Results Page” Yani search engine results me ek bar me show hone wale page. Aaj mai is post me aapko SERP performance ke bare me details se bta raha hu. Agar koi bat samajh na aaye to niche comments me puch sakte ho.
Agar aap blogging me newbie ho to ye article aapke liye bahut important hai. So carefully padhiye or SERPs ko ache se samajhiye. Actually har blog ki ranking SERPs me perfect nahi hoti hai. Kyuki ye sirf search engine me index page par depend nahi karti hai. Balki kei or wajah se bhi site page ki search engine me position decide hoti hai.
Kuch blogger schte hai ki sirf google search console me page ka index hona hi page ko search results me top position me la sakta hai. But wo log bilkul galat hai. Kyuki post index hone se position tay nahi hoti hai.
Isliye only post ka google webmaster tool me index hona bhar se hi aapki post SERP me first position me nahi hogi. Iske liye aapko post me kuch or SEO rules follow karne honge. Jinme se kuch important tips ke bare me mai aapko details se bta rahahu.
SERPs Kya hai? Search Engine Results Page Performance 5 Tips
SERPs ka matlab hota hai search engine results page yani google search me jo 10-12 results show hota hai unhe hi SERPs kahte hai. Ab hume apni site ki post ko in 10 results me lane ki jankari sikhni hai.
1. Proper Image Optimization:
Maine already iske bare me Blog Ki Images Ko SEO Friendly Kaise Banaye article me details se jankari di hai ki kaise hum blog post SEO optimize kar search engine me site ki better rank bana sakte hai or apne blog par jyada organic traffic pa sakte hai.
Aap post ki image ko optimize kar uski 30% search rank improve kar sakte ho. Iski complete infomation ke liye aap upar di post padh sakte hai.
2. Post Interlinking:
Post me interlinking yani dusri post ke link add karne se bhi post google search engine me high rank hoti hai. Bas aapko post me other post ka link add karne ki perfect knowledge honi chahiye.
Bahut se blogger post me other post ka link add karte samay direct uska title add kar dete hai. But iske bhi kuch tarike hote hai. Jinhe follow karke aap SERPs me apni site ke pages ki better position bana sakte ho. Maine iske bare me bhi kuch article likhe hai.
- Anchor Text Kya Hai or Ye SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hote Hai [SEO Guide]
- Blogger Ki Post Me Dusri Post Ke Link (URL) Kaise Add Kare
Agar aap kisi post ka link dusri post me add karoge to us post ko search karne par dusri post bhi show hogi. Is tarah sirf ek post ka link add karne se aapki search engine me 2 post show hogi to aapko search engines se jyada traffic milega.
3. Referral Links:
Search engine social sites par share ki gayi post ko sabse fast index karta hai or iski position bhi SERP me achi hoti hai. So jab bhi aap koi ew post share karo to use social media facebook, twitter, google plus and other par share jarur kare.
Maine iske bare me Social Media Sites Se Adhik Traffic Pane Ke Top 5 Clever Ways, (101) Blog Ki Traffic Kaise Badhaye 101 Popular Tarike 2024, Website Blog Ki Traffic Badhane Ke 50 Best Tarike in Hindi, Google Plus Se Blog Ki Traffic Badhane Ke Top 5 Tarike article likhe hai. Aap ek bar inhe padh sakte ho.
4. Add a Proper Meta Description:
SERPs me site page ki position sabse jyada post ki meta description par decide karti hai. Hum jo post me 160 words me meta tag description add karte hai. Wo post ke bare me summary ka kaam karti hai or googlerobot ko post ke bare me jaruri information deti hai. SERPs me har post ke sath ye description show bhi hoti hai.
Meta description lines ko padh kar hi user aapki post par click karta hai. Isliye humesha meta tag me post ke bare me jaruri words hi use kare. Galati se bhi post se unrelated words use na kare.
5. Properly Use Robots.txt File;
Robots.txt file ka kaam hota hai ki search engine me aapki site ka kya kya content dikhana hai or kya kya hide karna hai. Isiliye kei bar galti se new blogger se galat robots.txt code bhi add ho jata hai. Jiski wajah se unki site ki search engine me behtar ranking nahi ban pati hai or site SERPs me kam show hoti hai.
Blogspot User Google Webmasters Tools Kaise Use Kare; SEO Guide Post me maine iske bare me details se information btayi hai. Agar aap blogger user hai to is post ko ache se follow karke robot.txt file use kare.
Inke alawa bhi abhi or bhi bahut si tips hai jinhe follow karke hum SERPs me apni site ki rank better kar sakte hai. Jinke bare me mai aapko aane wale time me btaunga.
Agar aapko ye article pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.
Shubham Gupta
Bahut Badhiya information hai. Thanks.
Vandana
Very Helpful Information sir,
Is there any tool for check SERP of Websites or Blogs
SADHAN DAN
Hello sir aap kuchh question ka jawab dijiye please ye mene bahut se blogger se puchha he.
1. Ham kaise pta kare ki kon si site hame do follow link de raha he ya no follow
2. Mujhe kaha kaha se back links Mila he kaise pta kare
3. Search Analytic me jo average position he wo kitna best he.example: 10.9, 88.9
4. Kya ham post likhte samay heading ko do baar use kar sakte he(Heading, Subheading, Etc.)
4. Aap kon sa link pradan karte ho no follow ya do follow
5. Comment ke through back links banate bakt post ka URL dena achhi hoti he ya apne blog website ka link
Jumedeen Khan
1. Link par right click karo or tag karo karo nofollow dofollow jo bhi tag hogi pata chal jayega.
2. Backlink checker tool par check karo.
3. 10 se kam.
4. Yes but jarurat padne par hi.
3. Depend on content.
4. Blog ka URL post ke URL ko har koi remove kar dega.
amit
Helpful post
Dipak Vasava
Google search console and Google Webmaster tool ek Hi hai na?
Jumedeen Khan
yes dono ek hi hai.
kunal kushwah
jumeed sir post ka title h2 me show ho raha hai.use h1 me kese change karu
Jumedeen Khan
Blogger me already post ka title h1 me hota hai oe SEO ke hisab se hu mek hi h1 tag use kar sakte hai.
sumanth
Sirji, you are super. I enjoyed reading your article. and i wish you all the best. This is simply fantastic
pramod
bhai… mere pass AdSense account nahi hai mgar meri bhai ke pass hai abhi mujhe AdSense account milega kya kyo ki mere bhai aur hamara adress pata naaam to same hi ayenga na …
Jumedeen Khan
But aapka name to alag hoga na. or aap apne name se banaoge, no problem
Naveen
Sir msword pr likh kr nlog prcopy kaise kr sakte hai
Jumedeen Khan
Naveen bro ek hi sawal ko kitni bar repeat karoge. Mai aapko 2 bar pahle iska reply kar chuka hu ki kar sakte ho.
Naveen
Sir hm aisa kr skte hai ki pehle hum ms word pr likhr fir copy kr le apnr blog pr
Jumedeen Khan
a kar sakte ho.
rohit
mera blog blogger par hai. Agar ham kisi ko apne blog ka author bana de. Toh wo mere blog ka sab kuch dekh skta hai. Mera mtlb hai pageview template setting layout AdSense email etc
Jumedeen Khan
Ha dekh sakta hai. Jab aap kisi ko blog ko admin hi bana donge to wo us blog ka malik ban jata hai. Or uske bad us blog par uska full control hota hai.
kiran pawar
Jumedeen Khan ji aap badhiya information share karate. aapki website ki bajase mai blogging ke bare bahut kuch jan chukka hu. thanks so much
gangwar
Hello sir mujhe ye bataye ki templates karidne se AdSense account j as jaldi aporvo hoga sir main free wala primuam version templates use karata hu plzz help me
Jumedeen Khan
Nahi template se AdSense par koi effect nahi padega.
sarfaraz
Hi, JUME DEEN bhai mene AdSense ke liye apply kiya thaka pichle 28 tarik ko , uske bad mujhe AdSense ki traf se ek mail aya ke “Your application has been successfully reviewed” mene adscode ko aapne blog par add kiya uske bad 7 din ke bad kal fir se ek mail aya AdSense ki taraf se… mujhe samjme nehi arahahe ke me kya karu abhi tak mera ads show nehi ho raha hai.. niche mene dono screenshot diya hai.. plz dekh kar koi solve batao.. plz bhai
Jumedeen Khan
Dono report normal hai. Aa ek kaam karo AdSense par log in karke my ads par click karo or aapne jo ads create kiye hai unke right side status me dekho green color me new likha hai ya active. agar new likha hai to abhi aap wait kare AdSense abhi aapki site ka review complete nahi kar saka hai.
sarfaraz
new likha hai abhi tak active nehi huya..bhai 7 din hogaya or kitna din leta hai aapko pata hai kya ? thaks for reply
Jumedeen Khan
Bro iska koi fix time nahi hai or aapke pas wait karne ke siwa koi or option nahi hai. Adsense ke reply ka wait karo.
sarfaraz
Thanks bhai help karne ke liye …
Yuvraj
Bhai mene jesa aapne btya wese apna YouTube account ke thotugh blog ad kr diya or code bhi ad kr diya but meri rpm AdSense me dhree dhree km ho rhi h YouTube ke through bnaya h or page view to bd rhe h 1500 se upr h or video ko 44k view ho gye h to rpm km q ho rhi h or blog ka ad kb tk confirmation hpga blog pe 500 se 1200 view daily h
Jumedeen Khan
Ye post padho or page rpm ko ache se samajho. Adsense RPM Kya Hai or Adsense RPM increase kaise Kare [What is RPM]
jitender singh
sir WordPress mein theme change nhi ho rahi hai jabki Apperance mein theme mai jaa raha hu whaa sirf ek hi theme show ho rahi hai aur koi nhi aur theme kasie ayegi
mai your domain name /wp-admin kr k login kar raha hu
sach mano sir WordPress mere liye toh ek naye planet jasia hai
Jumedeen Khan
aap ye step follow karo go to WordPress dashboard > appearance > theme and click add new.
Agha Hassan
Jummedin bro mojhe apke sath kam karna hai bro kiya ap rakhoge mojhe money ki zarurat hai bro
Jumedeen Khan
MSorry bro mere pas is time koi kaam nahi hai.
Ankit Jha
bhai jab aap new post share kar hi rahe ho toh meri guest post bhi share kar do aur next month ke toh kafi din baaki hai
Jumedeen Khan
Ankit maine aapki wo post check ki hai. Bro usme widget me code add karne ke siwa kuch nahi hai. Or iske bare me mai kei bar post kar chuka hu.
Ankit Jha
bro uske alawa aur koi tarika nahi hai bina code modify kiye page level ads lagane ka, Koi baat nahi aapko pasand nahi toh
Jumedeen Khan
Welcome parvez. keep visiting on my blog.
Umesh Chavan
bahut badiya post hai.
Ravi Kumar
bhaiay aaj mere comments box me ek question puchha gaya, ” bro aap hame ye bataye agar meri website ko Facebook ne block kar diya to, kya hum link shortner se link short karke fb pe share kar sakte hai” avi tak amine public nahi kiya,
achha bhaiaya mera manna hai Facebook mere blog ko kyu block karegi, galat kam to nahi kar rahe,
ha jayda link share karne se bhi website block hoti hai,
~~~~~~~~~~~
mere pass koi blocked website nahi Thi jisse mai try karta , agar aap iske bare me jo bhi jante hai hame bataye
Jumedeen Khan
Facebook aapko ek site ke liye nahi sabhi sites ke link share karna block kar deta hai. Uske bad aap koi bhi link share nahi kar sakte na short karke na full links.
Narayan Soni
Sir Ads Injection ke Uper bhi koi post likhiye isme kaha kaha ad code dalna he kese dalna wagera wagera kyoki jo naye WordPress blogger he jo blogger se WordPress me aaye he unke liye sir please.
Jumedeen Khan
Already likh chuka hu aap mozedia.com par post padho.
Mukesh Yadav
Bahut achha jankari diya bhai aapne mai bhi yahi kahta hu ki post index hona utna jaruri nahi hai…
Kiranbhai
Bhaiya meri comments in article se related nahi hai fir bhi mai puchhna chahta hu.. Mai bhi ribbon theme use kar raha hu, but kuchh problems aa rahe hai
1. Related post me 3 post show ho rahi hai , jyada show karne ke liye kya karna padega?
2. Related post ki jagah – box aria bar bar change kyu ho jate hai…?
Jumedeen Khan
1. aap singlepost.php folder me ja kar 3 search karke 6 kar do.
2. Sabka hota hai.
Ankit Jha
bhai rajasthan kab laut rahe ho ?
Jumedeen Khan
Ankit next month. Kuch imortant work karna hai. Jisme time lagega.
Naveen
Sir hum aisa kr skte hai ki pehle MS word pr likhe fir paste kr dai
Jumedeen Khan
Ha likh sakte ho.
Pramod
bhai agar meri ek post mujhe kuch particular keyword me google first page par lani hai to kya karu matlab post kaise likhni hogi
Jumedeen Khan
Ye post padho Blog Post Me High Quality Keywords Kaise Aur Kaha Use Kare