Aapne dekha hoga ki jab hum kisi facebook page par message send karte hai to turant us page ki taraf se thank you ya koi or message aata hai. Ye message facebook page ki auto reply message service se bheja jata hai. Is post me aaj mai aapko isi ke bare me btane wala hu.
Facebook ne auto reply message feature ko isliye banaya tha ki facebook page par jyada user hone ki wajah se sabhi ko reply karna possible nahi hai. So aap apne visitors ko ek auto reply message ke throw apni pareshani bta sakte ho or use contact karne ka koi or tarika bta sakte ho.
- Facebook Par Apna Page Kaise Banaye aasani se
- Hamari Facebook Profile Ko Kis Kisne Dekha Hai Kaise Jane
Facebook twitter, google plus ki tarah hi ek popular social media site hai or hum facebook par apni site and blog ka promotion kar logo tak apni bat pahucha sakte hai. Facebook ne apne business ka parchar karne ke liye facebook page ki service chalu ki thi jis par hum apne sabhi social media user se jud sakte hai.
- Maine Internet Par First Income Kaise Aur Kaha Se Ki – SMI Admin
- Facebook Account Safe Kaise Rakhe 11 Secret Tips
Ab hum bat kar rahe hai facebook page par auto reply message active karne ki to iske liye hume 2 kaam karne honge.
- Sabse pahle hume apne facebook page par auto reply message service enable karni hogi.
- Service enable karne ke bad hume facebook page par auto reply message set karna hoga.
Yaha mai aapko dono ke bare me step by step bta raha hu. Agar aapko koi bat samajh na aaye to niche comment me puch sakte ho.
Facebook Page Par Auto Reply Message Service Kaise Shuru Kare
Sabse pahle hume facebook page par auto reply message service enable karni hai. Iske liye aap apne facebook page par jaye ye step follow kare.
- Facebook page ki settings par jaye.
- General option par select kare.
- Messages option ke samne Edit par click kare.
- “Allow people to contact my Page privately by showing the Message button” ke samne tick kare.
- Save changes par click kare.
Ab koi bhi user aapke facebook page par aapko message send kar sakta hai. Or aap unhe facebook page se hi reply karke apne relationhip ko or better bana sakte hai.
Ab sawal ye hai ki aap har time to facebook par online rahte nahi ho. Or aap chahate ho ki aap har user ko uske message ka offline rah kar bhi reply kar sako to facebook ki auto reply message responsive service aapke kaam aa sakti hai. Iske liye aapko bas facebook page par auto reply message add karna hoga. Uske bad jab bhi koi aapko message karega to wo message automatically message bhejne wale ke pas chala jayega. Is message me aap apne hisab se apni site ka link, contact karne ka tarika, mobile number ya fir aap jo chaho message add kar sakte ho.
Apne Facebook Page Me Auto Reply Message Kaise Set Kare
To ab mai aapko bta raha hu ki kaise aap apne facebook page par auto reply message add kar sakte ho. Iske liye aap ye step folow kijiye.
- Facebook page par jaye or settings par click kare.
- Ab Messaging section par click kare.
- Responsive time display: Yaha par aapko ye set karna hai ki jab koi aapko message kare to use uska reply kab mile. Aap turant, kuch minutes bad, 1 hours bad, kuch ghante bad or ek day ke bad ka time choose kar sakte ho.
- Instant Replies: Turn on instant replies par tick kare.
- Customize your instant reply: Yaha par aapko jo bhi message set karna hai wo message likhe. Aap yaha par only 250 character ka hi reply message set kar sakte ho.
- Add Personalization: Yaha par click karke aap apni site ka link, apne page ka name reply message me add kar sakte ho.
- Sabhi setting karne ke bad Save Reply par click kare.
Bas ab jab bhi koi aapke facebook page par koi message bhejega to use aapka set kiya hua automatic reply message mil jayega. Or wo aapke btaye address par aapse contact kar sakega. Wakai me ye facebook ka bahut acha feature hai. Jo humare kaam ko or bhi aasan bana deta hai.
- Twitter Ke Top 20 Useful Shortcuts Aapke Bahut Kaam Aa Sakte Hai
- Twitter Par Account Kaise Banaye – Step By Step Jankari
Is tarah se aap facebook page par auto reply message ki service ko enable kar sakte ho or apne facebook page par responsive auto reply message set kar sakte ho.
Agar aapko facebook auto reply wali jankari achi lage to is post ko social media par apne dosto ke sath share jaru kare.
Aryan
Hello sir ek problems ho gai..maine pichhle 3-4 dino se facebook page par blog link nahi share kar paa raha hu..
Error yah aa raha hai…
Couldn’t Update Status
There was a problem updating your status. Please try again in a few minutes.
Mere blog ki link facebook group me share ho rahi hai, aur mere page page par dusre ke blog ke link bhi share ho rahe hai lekin mere blog ke link share nahi ho rahe hai..
Muze laga facebook ne page ke liye mera blog url block kiya hoga isliye facebook unblock ke liye 2 bar requset bhi kiya lekin abhi 3-4 din ho gaye. problem solve nahi hui.
Agar aap meri kuch help kar sakte hai to please jarur bataye muze aur kya karna hoga.
Jumedeen Khan
Facebook ne aapki ID ko link share karne se block kar diya hai. Aap kisi or ID se try kare share ho jayega.
Aryan
Bhai link facebook group me share ho rahi hai. sirf facebook page par link share nahi ho rahi hai.
dusare id se bhi kisi bhi facebook page par mere blog ki link share nahi ho rahi hai.
Jumedeen Khan
Kisi “bug” wajah se aesa ho raha hai aap facebook ko report karo, ya fir wait kuch time bad ye theek ho jayega.
ashok
sir… Hamne kuch messages bina padhe hi “spam” kar diye hai. Ab hame wo messages padhane hai; but padh nahi paa rahe hai. “view spam messages” par ham click kar rahe hai but. Last ka ek hi msg show ho raha hai. Baki older msg show nahi ho rahe hai… Plz plz plz help
Jumedeen Khan
Aapke comment humesha ke liye delete ho gaye hai. Ab aa pwo comments nahi padh sakte.
mohammed ikram
bhai kya domain ko WordPress se blogger par le ja sakte hai agar le ja sakte hai to wo kaise plz help me
Jumedeen Khan
WordPress blog ka backup le kar blogger blog me upload karo.
Harshad Bataviya
webmaste Data Structured error ko fix kese karte hai…..
error :
missing : updates
missing : author
missing : entry-title
Jumedeen Khan
Post ko fetch karte time update time aouthor name or post title ko sahi focus karo.
zishan ali gulzar
sir mai jis template ko use kr rha hun agar mera koi page 404 error hota hai to automatic us template ki website me chla jata hai kaise thik kre
Jumedeen Khan
Aapki template me redirection code add hai. Aap is code ko tabhi hata sakte ho jab aapko blogger ki coding aati ho. Ya fir aap template change kar lo.
Harshad Bataviya
sir aaj jab mene apne facebook page open kiya to vo scroll nahi ho raha tha… mene browser bhi change kar ke dekh liya to sabhi me ye problem aa raha hai…. ye ek he fb page me problem hai… baki ke jo mere page hai usme koi problem nahi hai to iska kya solustion hai….
scroll na hone ki vajah se me apne koi post me send nahi kar sakta pls help me…
Jumedeen Khan
Harsheet. aapka ek facebook page scroll nahi ho raha but baki ho rahe hai to ye facebook ki problem hai apne aap solve ho jayegi.
Harshad Bataviya
sir aapne kaha ki facebook ka problem hai apne aap solve ho jayega lekin aaj 2 din ho gaye hai abhi tak problem vesa he hai….. mere facebook ka page load ho jane ke bad uski timeline scroll nahi ho pa rahi hai aur right side ki scrollbar bhi chali jati hai aur ye sirf page ki timeline par hi ho raha hai… agar me about, photos, Likes ya kisi dusre option jau to vaha par scroll ho raha hai par page ke timeline scroll nahi ho rahi hai…. pls sir iska kuch solution dijiye… pls sir….
Jumedeen Khan
Iska koi soltion nahi hai. Aap facebook site ko customize to kar nahi sakte. Aapne facebook page ka link btao mai check karta hu.
Harshad Bataviya
sir kuch settings ho to bataye….
kyuki jab login hone ke bar page load ho raha hota hai tab scrolling hota hai lekin jese he page load ho jaya hai vese he facebook timeline jump ho kar top par chale jati hai aur bad me scrolling hona bandh ho jata hai. facebook.com/CareerGujarat
Jumedeen Khan
Aapke facebook page par koi scrollin fikx hone ki problem nahi hai. Maine open karke dekha hai sabkuch sahi hai. Aapke browser me koi hack problem hogi.
Harshad Bataviya
sir ye problem jab me apne facebook page me login hota hu tab aata hai…..
Jumedeen Khan
Harshad ye problem aapke hi browser me ho sakti hai. mere browser me sahi open ho raha hai. Aap firefox me page open karke dekho ya kproxy.com site par open karke dekho.
Harshad Bataviya
sir me bina login kiye open karu to koi problem nahi ho raha hai… par jab me apne fb account me login hota hu bad me ye problem hota hai… mene firefox, opera , IE or crome sabhi me dekh liya aur dusre pc par bhi dekha sabhi me ye problem aa raha hai….
Jumedeen Khan
Mai isme aapki hitni help kar sakta tha kar chuka hu.
zishan ali gulzar
sir maine apka sara post lgvg pd liya he,,but mere sath ek prblm he ur hmesa dimag chlta rhta he,,jaisa mera blog av free blogger me ur maine usme bahut mehnt krke achhe se design kiya hun,,, to kya main apna blogging future blogger pe bna skta hun ya WordPress pe jana hi padega,,,,ur kya mujhe free blogger pe rhne se traffic me effect padega,,,sir thoda detail smjhaye
Jumedeen Khan
Zishan WordPress or blogger dono blogging platform hai. Dono ke ek hi kaam hai. Bas fark itna hai ki aapko blogger par ka mfeatures milte hai or WordPress par aap apne blog ko puri tarah control kar sakte ho. Jo chaho change kar sakte ho. My means WordPress par bahut jyada features hai. Bas isi ki wajah se WordPress blogger se better hai.
Ankit Jha
Yeh trick friends ke sath prank karne ke liye achhi hai. waise jume deen bro maine jab apna blog banaya tha usme custom robots tags header setting kiya tha YouTube ka ek video dekh kar uske baad se jab bhi main koi post dalta usme jyada views nahi ho pate jabki main android tricks jyada dalta hu blog pe aur wo tricks rarely interner pe milta hai fir bhi traffic mein kuch improvment nahi dikhi, So maine kal uss setting ko disable kr diya, google kitna time lagayegi usey fix karne me ?
Jumedeen Khan
Isme 1 to 5 day lag sakte hai. Ankit maine iske bare me post ki thi aap wo follow kar lete.
Ankit Jha
Ha bro maine aaj hi aapka wo post padha lekin main ab uss setting se itna panic ho gaya hu ki usey disable hi rehne dunga
Jumedeen Khan
Oh! ankit blogging me gusse se nahi dimag se kaam lete hai.
Aryan
aur bhai sabse niche likha hota hai created by sora template, distribute by gy… isko kaise hataye ya change kaise kare
Jumedeen Khan
apne blog ki template me jao or jo delete karna hai wo search karke delete kar do.
Aryan
blog me hindi me kaise likhte hai jaise apna comment yha kare, subscribe button k upar likha hota hai yha apna email dale ye sab hm kaise kare
Jumedeen Khan
Ye post padho Hindi Me Type Kaise Kare – हिंदी में टाइप कैसे करें?
Md Arshad Noor
Aur Jumedeen me aapse aur ek baat puchhna chahta hu ki aapne Coding language kaha seekha. yani aap kaun se site se Coding language seekhe.
Jumedeen Khan
Maine coding apne aap sikhi hai. Iske liye kisi bhi site ya koi course nahi kya hai. Arshad coding ke bare me aapko jo sawal puchne hai wo ek hi bar me ek hi comment me puch sakte ho. Ek sawal ke liye bar bar comment mat karo.
Md Arshad Noor
Bhai apko Naturally Tilent hai kya….
mere khyal se koi bhi Coding language to apne aap sekh nahi sakega….
Aur Bhai me jab apko call karts hu to “Your call can’t be Connected” batata hai. aisa kyo……?
Jumedeen Khan
Arshad aapki bat sach hai. But ye bhi sach hai maine sabkuch apne aap hi sikha hai. Mujhe kisi se sikhna pasand bhi nahi hai. Aap sunday ko call karo.
Md Arshad Noor
Jumedeen Bhai aap Post me code Jo dalte ho usko kaise dalte ho?
Aur iske lia kaun sa plugin use karte ho.
Jumedeen Khan
Mai WordPress cryon syntax plugin use karta hu.
Prince Akashii
Hello sir
kya aapko coding language aati hai
agar ha to kon kon si
jaise html, javascript, c , c , css etc.
Jumedeen Khan
Ha aati hai. sab aati hai but html sabse jyada.
Ravi Kumar sahu
bhaiya aaj se kuchh din pahele aapne ek site kisi ke question me aapne comments ki thi, but mujhe mil nahi rahi hai,
Q…..kisi bhi website owner ka details ke liye website
Jumedeen Khan
whois.com par check karo.
vivek choudhary
kya aap mujhe koi esi site bata sakte hai jisse me hindi me html,javascript or css seekh saku ya fir aap hi apne blog me sikhana shuru kar dijiye.
Jumedeen Khan
Nahi meri nazar me aysi koi site nahi hai. Aap google me search kar sakte ho, Sorry mai only blogging ke bare me guide kar sakta hu.
vivek choudhary
accha to bas itna bata dijiye ki me kon sa course karu html wagerah acche se seekhne ke liye.
Jumedeen Khan
Aapko koi bhi course karne ki jarurat nahi hai. blogger par ek extra blog bana kar use edit kiya karo.