Adsense Ads Ki Only Width Ka Responsive Size Kaise Show kare

Hum jo apne blog or website par AdSense ke ads lagate hai. Unme ek most problem hoti hai ki agar hum custome big size ke ads create karte hai to mobile version me kam ad click milte hai or agar hum mobile recommended or responsive ads choose karte hai to desktop version me ads par click kam hote hai. But aaj mai aapki is problem ko solve karne ja raha hu.

Show Responsive Width Adsense Ads

Ji ha dosto, Aaj mai aapko ek aysi trick btane ja raha hu. Jisse aap apne blog par desktop, laptop, tablet, mobile or kisi bhi size ki screen wali device me feet ads dikha sakte ho.

Hindi blog par sabse jyada visitor mobile user hote hai. Shyad aapke bhi honge. Isliye AdSense user ko sabhi device me perfect ads show karne me problem hoti hai. But is post me btayi trick se aap kisi  bhi size ki scrren me full width ads dikha sakte ho.

Agar hum custome size ka big ads use karte hai to wo mobile me show hone me problem karta hai. Show hone me jyada time leta hai or pura dikhayi nahi deta hai. Or agar hum responsive ya little size ka ads use kare to wo computer me sahi result nahi de pata hai. Iske 2 bade reason hai.

  1. Responsive ads add karne par desktop me uski height kam hoti hai.
  2. Recommended size jasie 300×250 or 336×280 ads use karne par uski width kam hoti hai.

Iske bare me mai kafi din se soch raha tha. Or aakhir me maine iska solution nikal liya. Iske liye hume bas AdSense ads ke sath thodi si extra css coding hai. Agar aap iska example dekhna chaate hai to mere blog ko alag alag device me open karke dekh sakte ho.

Adsense Ads Ki Only Width Ka Responsive Size Kaise Set kare – Customize Ads

Aap jab AdSense par new ads create karte ho to aapko kuch is tarah ka ads code milta hai. Or aap ise direct apne blog me add karte ho.

<script async src="//pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js"></script>
 <ins class="adsbygoogle"
  style="display:inline-block;width:400px;height:300px"
  data-ad-client="ca-pub-xxxxxxxxxxxxxxxxxx"
  data-ad-slot="xxxxxxxxxxxxxx"></ins>
 <script>
 (adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({});
 </script>

Full size ka ads dikhane ke liye aapko is ads ke sath is tarah se extra coding add karni hai.

<div style="float:none;margin:10px 0 10px 0;text-align:center;">
 <div class='myads'>
 <script async src="//pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js"></script>
 <ins class="adsbygoogle"
  style="display:inline-block;width:100%;height:300px"
  data-ad-client="ca-pub-xxxxxxxxxxxxxx"
  data-ad-slot="xxxxxxxx"></ins>
 <script>
 (adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({});
 </script></div></div>

Ab aap check kar sakte hai ki ads ki height to pixel me show hogi or AdSense ki width present (%) me show hogi. Is tarah aap is trick se ads ki responsive width dikha sakte ho.

I sure aapko isse 101% adhik ads click milenge. (Ye ek trick hai or isse AdSense par kya effect padega. Iski meri or supportmeindia ki koi guarantee nahi hai. Aap apni marzi se is trick ko use kar sakte ho.)

Agar aapko AdSense ke bare me ye trick pasand aaye to ise social media par apne friends or dusre AdSense user ke sath jarur share kare. Jisse koi or bhi aapki help se is trick ko use kar sake.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (152)

  1. Avatar for shubham palkheshubham palkhe

    hello sir ..
    jese aapki website support me india me jo header ka ad laga huva h vo horizontal h aur mera vartical show ho raha h
    mujhe mera ad horizontal dikhna h to aap bata sakte h me kese header ke add ko horizontal bana sakta hu..

  2. Avatar for PravinPravin

    Sir maine apne Link ad ka size 2 bar change kiya hai kuch problem to nahi hogi naa.

    Notepad me pest karke size kam jyada kiya hai..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      No problem.

  3. Avatar for Sahil KumarSahil Kumar

    जुमेदीन भाई लगता है आप अपने बलॉग के पोस्ट में जो दो एड उपयोग करते हो, वो इसी तरीके से करते हों।

    क्या मैं सही हुँ? कृपा बताएं।

    धन्यवाद।

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes, Main rectangle ad use karta hu.

      • Avatar for Sahil KumarSahil Kumar

        Kya bhai responsive ads ka rectangle ad use karte hain?

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Yes you can also check my blog source code.

  4. Avatar for Mohammed IkramMohammed Ikram

    bhai kya hum jis dusre blog par ads show karana chate hai uska domain hona zaruri hai ya blogger par bhi laga sakte hai isse AdSense block to nahi hoga

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Blogger par bhi laga sakte ho but 6 mahine old blog par usse pahle domain hona jaruri hai,

  5. Avatar for Rishikesh MishraRishikesh Mishra

    Hello Mai rishikesh mishra aapse 1q hai ki mainene AdSense ke liye apply ki tha aur maine blog ka address change kar ka dusra naam rakh diya hai to google AdSense ki taraf se message aaya hai ki account change ho gaya to ab kya karekare

  6. Avatar for Rishikesh MishraRishikesh Mishra

    Hello bhai mera web Helpanyhindi. blogspot. com hai maine AdSense ke liye apply kiya huaa tha disapprove ho ga ab kya kare plz help sir blog kholkar dhekho kya kai hai plz sir plz help

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapko AdSense ka jo mail aaya tha wo dikhao.

  7. Avatar for Rishikesh mishraRishikesh mishra

    Bhai kaise creat kiya jata hai banane ke liye link bhej doo jisse banaya jata hai

  8. Avatar for Rishikesh mishraRishikesh mishra

    Bhai Mera 1 din pahle google AdSense approve hua hai purahane AdSense account se login kiya hu kitne dinbaad ads show hoga

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ab aap apne blog par ads bana kar ad code add karo. uske bad AdSense aapki site ko check karega or agle kuch day me ads show hone lag jayenge.

  9. Avatar for Mahaveer JainMahaveer Jain

    Bhai Earning ke liye konsa ads size Best Rahega

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Koi fix size nahi hai. aap size change karke try kar lo. jisme jyada benefit ho wo use karo.

  10. Avatar for Rishikesh mishraRishikesh mishra

    Q1 bhai ye batao kya ek AdSense se do blog par ads laga sakta hu
    Q2 ads kaise create kare jab google AdSense log in karta hu to mera earning report aa jata hai
    Q3 Mera blog 6month se purana hai ads show nahi hota hai aur hmtl me code kaise copy Android me karte hai help help he

  11. Avatar for MYCMYC

    bahut hi acha blog hai. Me AdSense ko ad inserter se use kar raha hu. Text Ad links kaise lagte hai kripya batayen. Thanks

  12. Avatar for Rishikesh mishraRishikesh mishra

    Sir mere blog par google AdSense show nahi ho raha hai google AdSense login kiya hu please batao

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ads lagane ke bad aapko adsene ka koi mail aaya ho to wo dikhao.

    • Avatar for Rishikesh mishraRishikesh mishra

      Nahi sir aaya but kal show kar raha tha mujhe lagta hai ki settings me problem ho gai hai sir apna whatsapp number bhej do aur sir settings reset karne ka tarika bhi batao

      • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

        Adsense me setting reset nahi hoti hai. Aap kuch day wait karo. AdSense ka message jarur aayega.

    • Avatar for Rishikesh mishraRishikesh mishra

      Sir usme AdSense ke sthan par likha rahta hai ki content is not available

      • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

        Aap mujhe facebook par screenshot dikhao

  13. Avatar for Mahaveer JainMahaveer Jain

    Bhai-jaan Mene Low CPC wali Ads Ko Block Kar Diya Aur Mere Blog Par Acchi CPC aa rhi hai.. Thanks bro

  14. Avatar for Manish sharmaManish sharma

    1.भाई ये बताये मानो मेरा AdSense account approved हो गया है। तोह मैं उसकी हेल्प से कितनी साईट पर AdSense के ads लगा सकता हु।
    2. जब मैं किसी दूसरी साईट पर एड्स लगाउँगा तोह उस साईट पर भी ट्रेडफिक होनी चाइये।

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. apni 4-5 sites par.
      2. ha jaruru hona chahiye.

  15. Avatar for vivek rajvivek raj

    aapka matlv hai bhai mai post ka tittle galat de raha hu yahi na esliye nhi aata hai.

    mai sahi tittle deta hu bhai to v same to same wesa aata hai instead results par click karne par mera blog ka post samne aaga hai bas koi koi post direct serch me aaraha hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Vivek aap post title me means galat use kar rahe ho. chalo mai aapko rample btata hu.
      1. FACEBOOK PHOTO TAG VERIFICATION ID KAESE OPEN KARE 2 METHOD – isme “KAESE” word galat hai sahi word “kaise” hai.
      2. Android phon me video call kaese karte hai – is title me “kaese” or ” phon” d oword galat hai hai.
      Shayad ab aapko or jyada example btane ki jarurat nahi hau. Aapi bhaut si post ke titlem yahi problem hai.

  16. Avatar for pramodpramod

    sir domin name buy karne me your profile publicly and you domin private isme 289 ka charge to lagta iska kya matlb hai
    aur address kis front me likhe ki invalid na bataye as my add vill Kasraon post semramanapur dist fatehpur to kaise likhe plz help me

  17. Avatar for vijay panaravijay panara

    Sir maine ek blog banaya hai . qb tak 40 post bee daal diye Hai LAkin traffic bahut kam hai , aap mera blog dekh ke bata sakte hai is mai koi Seo ko kami Hai ya dusra koi problem hai , muje dekh ke bato sir….

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap blog par wohi post share kar rahe ho jo pahle se bahut blogger share kar chuke hai. Ab aap socho jis jankari ko user pahle se padh chuke hai use aapke blog par kon padhega. So behtar hoga ki aap sabse alag post karo. Dusro se related post karne par traffic kam hi milega.

  18. Avatar for vivek rajvivek raj

    bhai mai ye janna chahta hu ki jab mai apnakoi v post ko Google pe serch karta hu to agr mere post 1 page rank par nhi Dikhta Hai to to upar serch Box ke niche 2 option aata hai.
    1 showing results for or dusra serch Instead for.jab mai serch Instead for pe click karta hu to Jo post Maine Google me serch liya tha vo upar me dikhta hai.yesa kue hota hai
    direct serch me kue nhi aata

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap post title me galat words use kar rahe ho. So jab bhi hum search engine me koi galat word search karte hai ti search engine hume uska sahi words btata hai. Means aap meaning mistake kar rahe ho.

  19. Avatar for PramodPramod

    bhai blogger aur WordPress konsa platform achha hai. aur blogspot blog par achhi earning kar sakte hai kya.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      WordPress jyada bettr hai. Kyu nahi blogger par bhi paise kama sakte ho.

  20. Avatar for KailashKailash

    jume deen bhai muje meri website par jo post ki hui hai unko search engine me dikhana taaki koi kisi post ke baare me khoze to use post dikhe.
    bhai muje meri website ko aur jyada sunder dikhana hai
    kese karu.

  21. Avatar for dilipdilip

    godaddy se domain le RHA hu to account usi email I’d se banana hoga jisase blog h ya dusri email I’d se bhi bana sakta hu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Kisi bhi email id se domain register kar sakte ho.

  22. Avatar for rohaanrohaan

    Hy brother mere blog me DNS error aa RHA hai . domain godaddy se kharida hua hai. kaise fix kare ishe bataiye thoda??

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapne blog kacname dns record galat add kiya hai. Godaddy par sahi cname record add karo.

  23. Avatar for Amit bhatiAmit bhati

    bhai html language me autocomplete=”off” ka kya mtlb hota h plz details me btaye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Maine html me ye coding kahi nahi dekhi. Fir bhi ayse codes ka matlab kisi product ko hide ya band karne se hota hai.

  24. Avatar for zishan ali gulzarzishan ali gulzar

    sir maine template change kiya fir v wahi prblm hai, google search me title ke bagal me (132) likha huwa hai,,,aur iske sath google search me title ke niche jaha pe “Search Description” Show hota hai waha pe blog ke niche footer me jo widget rkhe hai uska nam show hota hai,,,sir kaise kare plz mera ye prblm solve kr dijiye iske wajah se traffic low ho gya hai,

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Zishan aapne abhi template change kiya hai. Ab google ko aapki post index karne me time lagrga. lagbhag 10 din me sab sahi ho jayega. turant nahi hota.

  25. Avatar for mohd shariqmohd shariq

    bhai me ek blog banana chahta hu per mere samajh nahi aa rha ke me apni site ka address kya dalu. mere paas do name he. 1. likemeindia.blogspot.com aur dusra hindidemo.blogspot.com aap mujhe bata sakte ho bhai ki mere liye kon sa name achcha rahege. pls help me bro

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sorry mai aapko blog name giude nahi kar sakta. Aapko apne blog ka name khud choose karna hoga.

  26. Avatar for Ankit JhaAnkit Jha

    Google analytics is not working on my blog even i have added the tracking to my blog 2 weeks before, have you any idea why this problem is happening ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      You have not able to complete processing. Its simple problem confirm all setting right now.

      • Avatar for Ankit JhaAnkit Jha

        But i have filled all the answers which it ask during registeration. Can you suggest me some best alternatives of google analytics which support real time stats, traffic counter tool for blog ?

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Ankit bas yahi to aapki sabse badi kami hai. Are bhai jab aap sabhi settings sahi se karoge to analytics 100 nahi 101% work karega.

  27. Avatar for ARUN YADAVARUN YADAV

    Q1 – ads bana liye but widgets m add karne par white show ho raha h or post m ads add hi nahi ho rahe

    Q2 kya pahle Html m ads lagane hote h

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Abhi AdSense aapki site ko check karega uske bad ads show honge. iska aapko mail aayega.

  28. Avatar for AmjadAmjad

    JDK Bhai

    YouTube Pe Monetization Kab kare aur Adsens ke liye kab apply kare

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Jab aapke videos par 3000-5000 views ho jaye tab karna.

  29. Avatar for Rajesh RathodRajesh Rathod

    information achhi hai. bhai

  30. Avatar for Sahil kumarSahil kumar

    Bhai aap se coding me thodi si sayad galti ho gyi ho agar is trick ko Blogger me use kare to.

    ” ki jagah sayad ‘ lagenge jo aap ne coding ki uper wali 2 line di hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sahil isme koi galti nahi hai. aa ‘ ya ” kuch bhi use kar sakte ho. but code ke first or last me same comma hona chahiye.

  31. Avatar for devdev

    bhayi mene godaddy par apni new site ka domain add kar diya he forwad option me par phir b purani site khul rhi he mere new site par kyo redirect nhi ho rhe he readers..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap forword setting me sahi domain add nahi kiya ho e check kar lo or sahi kiya ho to godaddy care me bat karo.

  32. Avatar for amitamit

    Hey, sir,meri site ki traffic nhi badh rhu hai,meri site:- oxfordtricks.in
    Mujhe samajh nhi aa rha hai,kya aap check kr meri help kr skte hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      follow there tips
      1. SEO friendly post likho.
      2. fast loading theme use karo.
      3. post me kam se kam 1000 words use karo.
      4. post me high ranking keywords use karo.

  33. Avatar for Sandeep KumarSandeep Kumar

    Bhai me PayPal account banana chahta hu
    Business ya individual ko select karu me bidvertiser aur clixcence se payment receive Karna chahta hu.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      individual select karo.

  34. Avatar for AryanAryan

    Bhai mai soch ra hu pehle mai free Domain le leta hu uske bad goggle AdSense approve kar lu fir thode dino bad hum godaddy se domain kharid le koi dikkat to ni hogi usse bhai mai esa isliye keh ra hu ki mera abi debit card ni aya bank ne kha ha 30 day ke bad ayega aur debit card ke bina muje godaddy se payment katane me dikkat hogi

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapko jo bhi better lage kar sakte ho. Good luck.

  35. Avatar for saddam husensaddam husen

    Hey!
    Jume deen Khan
    Aapne ke accha experiment kiya hai. Mai aapse ye puchna cahata hu ki aapne isko khud try kiya hai. Agar aapne isko khud try kiya hai to iska Google AdSense par kuch negative Prabhao to nahi padha hai Naa..

    kyoki ye Google AdSense ke rule ke khilap hai aur Agar hum Aisa karte hai to Hmara Google Adsense ka acount Banned ho Sakta hai..

    Mere Kahne ka mtlab ye hai ki aap ek baar google AdSense ki team se iss trick ke bare me baat kare aur unse puche ki ek trick Legal hai ya phir aisa karne se hamara acount Danger Zone to Nahi Jayega..
    Muje Aapke Response Ka wait rahega. Aap ek baar jarur Adsense team se iss bare me baat kare..

    Regard.
    Saddam Husen

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Welcome saddam hshen,
      Mai pichle 2 week se is trick ko use kar raha hu. Mujhe isme koi negative effect nazar nahi aaya and maine bahut se popular bloggers ki site check ki hai wo kuch aysi hi trick use kar ads ki width ko 100% me set karte hai. Maine 10-17 blogger ki site check karne ke bad hi ye kadam uthaya hai. But fir bhi AdSense team iske khilap kya charge legi kuch kah nahi sakta.

  36. Avatar for zishan ali gulzarzishan ali gulzar

    sir aap bta sakte mera blog me main jo post krta hun aur jb wo google search me ata he to (132)uske bad post ka title rhta ya mera site v search krte hai toaisa hi (132) uske bad site ka title rhta hai.. aap ek bar check kijiye na google pe mera site ka…sir kaise thik kre ise

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Maine aapse kaha tha ki aap template change kar lo. Second robot.txt file use mat karo.

  37. Avatar for ARUN YADAVARUN YADAV

    In order to complete your request to show ads on your own website, you need to implement the ad code on kinghtricks.com. Your upgrade request can only be reviewed once your ad code has impressions on that domain. Learn more
    mera Adsense par ye mes. show ho raha kya mera YouTube se blog m Adsense approve ho Gaya Mujhe koi email nahi aya h

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iska matlab hai ki aap AdSense par ads bana kar is site par ads code add kare. Uske bad AdSense aapki site ka review karega or ads show hone lag jayenge.

      • Avatar for ARUN YADAVARUN YADAV

        par muje AdSense approved ka koi bhiemail nahi aya h

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          abhi aapka AdSense fully approve nahi hua hai. Ads lagane ke bad hoga tab mail aayega.

  38. Avatar for AryanAryan

    Bhai meri ek aur problem hai meri site traffic bi Acha aa ra lekin Alexa rank kyu ni show ho rai mai apke sare rules follow kiye lakin Alexa ni show ho rai mai bhut paresan hu bhai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Thode din wait karo alexa rank bhi show hone lag jayegi.

  39. Avatar for rohitkumarrohitkumar

    Sir mai sab kuch kar chuka hu lekin AdSense ki cpc nahi bad rahi hai. Plz koi solution bataiye. Cpc .02 hai.
    30-40 click per day mil jate hai. Lekin income $1 ki bhi nahi hoti h

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Rohit AdSense ki cpc low hone ka sabse bada reason hota hai post me badiya keywords ka nahi hona. google keyword planner par high cpc keyword search kiya karo or post me use kiya karo. Adsense cpc badh jayegi.

  40. Avatar for Sandeep KumarSandeep Kumar

    Bhai please post kar dijiye aap se kahe huye 10 day ho gya

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sandeep bro mai si time thoda busy hu. Aap dekh sakte hai maine hindi.supportmeindia.com par abhi tak koi post nahi ki hai. Supportmeindia par hi mushkil se post kar pa raha hu 15 april tak mujhe time milega. Tab mai aapke liye ke ki jagah 5 post kar chuka. Plz understand my problem. Bro post karne se mujhe fayda hi hoga nukshan nahi but time mile tabhi kar paunga.

  41. Avatar for chenaksh dhomanechenaksh dhomane

    Jaisa ki apane kaha tha ki AdSense me prodomain lagavo waisa hi maine AdSense me blogspot hatakar add website kiya fir bhi blog
    Pe add display nhi ho rahi hai 2 din ho gaye template me add dikhati hai lekin view blog me nhi dikhati firse blogspot lagaya to
    Add dikhati hai to fir kya problem ho raha hai bhai
    Plz help me muze aur konsi setting karna padega

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap direct AdSense par xyz.com domain add kar rah ho. Bro pahle domain register to kar lo or use blog me add karo.

  42. Avatar for ManishManish

    Sir aap konsa comment system use ksrte hai.

    Aur mine by default wala comment system change karna hai to mai kaise karu please bataye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Mera blog WordPress par hai. Aap blogger par comment box change nahi kar sakte.

  43. Avatar for surendra rsdpsurendra rsdp

    haan bhai payment mil gayi hai . galti mujhse hi ho gayi ki maine apna bank accont blance check nahi kiya kyu ki payment toh 28 Tarik ko aa gaya tha .

    aapne ab tak meri bhut help ki hai isliye Dil Se Thanks Aor god Aapko itna success banaye ki Aap 1 month me 1000000 ₹ Earn kar sake .

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Thanks god,
      surendra mujhe iske bare me aapse jyda tention thi. Kyuki mai nahi chahata ki kisi ki mehanat ki kamayi use na mil sake.

  44. Avatar for AryanAryan

    Acha ye btaiye free Domain aur paid domain lene me kya antar hi dono me achai aur burai kya kya hai jarur bataye ye bat

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aryan free domain me koi bruai nahi hai. But wo achi service nahi de pate. Aap paid domain loge to kal ko aap us site ke customer care me call karke problem solve kar sakte ho. Free domain me aysa nahi hota.

  45. Avatar for AryanAryan

    Bhai ap muje ye bataye ki muje free me domain lena chaiye ya 100 rupees me kon sa acha rehega

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      100 rupees wala.

      • Avatar for dilipdilip

        bhai mijhe bhi batao ki 100 rs me domain ek Sam k liye h ya mahine k liye

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Dilp 100 rupees me ek sal ke liye hai. godaddy se le lo

  46. Avatar for surendra rsdpsurendra rsdp

    brother, aapne post ke ist me jo ads lagaya hai uski size kya hai . kyu ki yeh wo size hai jisko use karne par laptop aor computer par sabse jayada click milte hai isliye mai iski size ke baare me janna chahta hu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      700×300 Surendra aapki AdSense ki payment mili ya nahi.

    • Avatar for Sandeep KumarSandeep Kumar

      God kare ki aap isse bhi acchi earning kare. Jo dusre ke liye dua kare me uske liye jarur karta hu

  47. Avatar for chetan kumarchetan kumar

    lekin heading or sub-heading kaise likhate eske bare me hame vistar bata sakate hai kya? please

  48. Avatar for vakilvakil

    bhai maine aapke sabhi post pade hai.aapne dusri site check ki hai maine jo comment me link diya hai vo site dekhker bataiye ki mera likhne ka tarika kaisa hai ya or kuch change karu. maine template badal diya to firse puri setting karna padegi.vaise mai seo ke bareme jada knolage lene ki koshish kar raha hu.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Acha tarika hai. Ha jitna ho sake SEO ko follow karo.

  49. Avatar for devdev

    Bhayi aap meri baat nhi smghe me WordPress par chalane wapis blogger par aa gya hu mughe godaady mene dusri site banayi h godaady SE domain manage me forward ka option hota h usme krna h plz subdomoin me add karu ya bina subdomain me add karu forward krne ke liye 1 site SE dusri site par visitor pahuchaye jaye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Dev aapki bat me achi tarah samajh raha hu aap jitna sawal puchoge utna hi jawab dunga. Subdomain me nahi main domain se hi forward karo.

  50. Avatar for AryanAryan

    Acha ye btao hum agar free me domain le le to 6 mnth se pehle goggle AdSense lga sakte ya sirf muje kharidna hi padega domain

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Adsense ko domain chahiye fir chahe aap use free me lo ya paiso me. Wese aap 100 rupees ka domain nahi le sakte kya.

  51. Avatar for Amit bhatiAmit bhati

    bhai meri site par pahle koi godaddy ki error aa rahi thi to mene aapse pucha tha to aapne bola ki domain fir se add karo

    to phir mene godaddy ki mere account se Cname ki sari record jo add thi wo delete kar di or jab me wapis apne blog par aaya or www ke sath domain lagaya or save ki to wo automitic save ho gai or jo 2 record aati h wo nai aai ab aap hi btao ki record hi nai aai to me domain phir se kaise add karu
    us domain ki jagah agr me koi dusri domain lgata hu to 2 record aa jati h lekin wahi lgatahu to nai aati plz help me aap meri site ko open karke dekh lo

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ameet isme hum kuch nahi kar sakte. Blogger me ye problem bahut dino se hai. Plz understand.

    • Avatar for Sahil kumarSahil kumar

      Asal me wo do record apne aap nahi aate, jab do me se ek record dalne ka time aaye to forn save changes par click karo, dono records apne aap show honge.

      Mujhe bhi ye problem aai thi.

  52. Avatar for vakil shaikhvakil shaikh

    hii manish sharma mai aapko suggetion duga ki aap blog me seo friendly article daale or day ke 400 se 500 page view ke baad hi AdSense ke bareme soche ager aap aisa nahi karege to aage chalker aap succsess nahi ho payoge blogging me

  53. Avatar for vakil shaikhvakil shaikh

    bhai mai apne blog ki traffic kaise bada sakta hu.or ha ager hum new blog banaye or old blog ke post new blog per redirct kare to kya problems aa sakti hai. hame fir se puri design karna padegi blog ki ya search engine per koi asar hoga domain vahi rakhna chahta hu.please bataiye mere blog ko 8 month ho gaye hai maine firbhi AdSense ke add nahi lagaye hai taki mai AdSense me succsess hona chahta hu blog ki traffic kaise badaye ye to pata hai mager jab share karta hu post to sirf 100 se 150 hi viws hote hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap regular post kiya karo. Vakil mai blog par traffic badhane ke bare me kei post kar chuka hu. Or aap wese bhi smi ke old user ho to aapne wo post padhi jarur hogi. Ab follow karne ki koshish karo.

  54. Avatar for vakil shaikhvakil shaikh

    jumedeen bhai ek baar mere site check karke bataiye ki muje kaise article likhne hai mai mobile repairing ke bareme jankri share kar raha hu.check this my website and help brother mobile75help.blogspot.com

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Vakil aap sabse pahle blog ki template ko theek karo ya template change karo. Or sidebar me itni jyada widget use mat karo.

  55. Avatar for AryanAryan

    Bhai maine apni site pe 10 post dal di aur meri site ko 25 din hue hai kal meri site pe 108 pageviews the aur aj 200 ke par ho gye kya hum AdSense lga sakte hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Daily 500 se jyada pageviews hone chahiye.

    • Avatar for DilipDilip

      Aryan me apko kuch batana chahta hu ki kam se kam 300 pageviews per day Google se bhi hone chahiye AdSense k liye

    • Avatar for Ankit JhaAnkit Jha

      Jume deen bro mujhe aisa bilkul nahi lagta ki AdSense ke liye 500+ daily pageviews hone chahiye kyuki maine jab apne blog banaya usi din 4 post kiye custom domain leke fir AdSense ke liye apply bhi kr diya aur agle din hi approve ho gaya lekin yeh baat hai jabtak aapke blog ka look professional aur fast loading blog na ho toh nahi apply karna chahiye AdSense ke liye

      • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

        Ankit AdSense ki policy me saf likha hai ki aap AdSense ke liye tabhi apply kar sakte ho jab aapki site par 300 pageviews google search engine se aaywe visitors se ho. To 200 other bhi ho sakte hai. Isliye mai kahta hu ki kisi ka AdSense account disapproved na ho. Aapko maine pahle bhi kaha tha ki kabhi kabhi AdSense ki alti se AdSense approved ho jta hai. Isme apne aapko smart mat mano. Ye google ki galti thi. Or galtiyo se aadmi mahan nahi banta. Agar kisi ke blog par 500 pageviews daily honge to AdSense jaldi approved ho jayega. Warna isme time bhi lag sakta hai or nahi bhi to koi guaratee nahi hai. Aapki jankari ke liye bta du ki india me AdSense approved karna bahut mushkil hai. Aapko approved ho gaya hai ye mai manta hu but unki feeling samajho jinka abhi tak nahi hua hai.

  56. Avatar for sumitsumit

    sir ye thik h kya mere template me ye editing ka option aa raha tha

  57. Avatar for sumit basriyasumit basriya

    Aap kiske bharose bogging kar rahe hai, AdSense kal ke date aap website ke add pe ek bhi click nahi, aayegi to aap kya karoge, mai janta hu aisa nahi hoga, aap apni felling bataye,

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Adsense ke alawa bhi or bahut option hai. Mai kisi bhi company ke ads laga sakta hu jise affiliate marketing kahte hai.

  58. Avatar for mohd sarfrazmohd sarfraz

    sir image ke alt aur title tag me kya likhe dono me ek hi keyword likhne se seo freindly post hoga ki nahi

  59. Avatar for Manish sharmaManish sharma

    सर एक बात बताये की कोई मेरी साईट है xyz.blogspot.com मैंने बिलकुल नयी बनाई है और पहले ही दिन 300 Pagviews हो गए और रोज 300-400 Pageviews हो रहे है तोह मैं एडसेंस को अप्लाई कर सकता हु। और मैं कितने दिन बाद एडसेंस अप्लाई कर सकता हु

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi kar sakte. Adsense ke liye apply karne ke liye aapki site par seo ki setting, 8-10 original content wali post, jaruri pages, acklinks, 500+ pageviews hone jaruri hai. Jo aap ek din me nahi kar sakte.

      • Avatar for Manish sharmaManish sharma

        Sir Aap Ye Btaye Ki AdWords se Bhi Ads lga Saktey Hai Isme Jyada rule Toh nhi hai

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Adwords par aap apni site ke ads register kar dusri AdSense par ads dikha sakta hai. Matlab AdSense jo ads show karta hai unke log adwords ko paise dete hai. Ye aapko ads lagane ki service nahi deti hai.

          • Avatar for Manish sharmaManish sharma

            Sir Main Aapko Ek site Bta Rha Hu Topedu-education.blogspot.Com Ye Jo Site hai sir Isme Na hi Domain Use Kiya Hai Aur Na hi About us, Privacy policy,Contact us page Nhi hai. aur is Site pr ads lge huye hai ye kaise possible hai. Sir Aap Btaye Ye ads Kaise Lgaye hai.

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Bahut simple us blog ko 6 month se jyada time ho gaya hai. Aap 6 month bad blogspot.com domain par bhi AdSense use kar sakte ho. Usee pahle domain lena padta hai.

          • Avatar for Manish sharmaManish sharma

            Ye Toh thik hai or AdSense Ko Contact us , Pivcy policy ,About us page Chaiye inke bager Kaise approved Ho Gya AdSense

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Inke alawa other page bhi bana sakte ho. Or aapki site par original badiya content hai to inke bina bhi AdSense approved ho jata hai.

  60. Avatar for mohd sarfrazmohd sarfraz

    superb article .my big problems solve.
    sir hmare pass blogger blog hai ab hume wp par jana hai.
    to sabse pehla step hamara kaha se shuru hota hai.domain aur hosting ke baad

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      sabse pahle aap domain lo uske bad hosting fir hosting par WordPress blog install karo. Uske bad WordPress blog me blohspot blog import karna hai. Bas ho gaya gaya.

  61. Avatar for suraj deshmukhsuraj deshmukh

    par google hume adcode edite karne ki permition nahi deta

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      suraj already post me iske bare me bta chuka hu. Secod aapko bta du ke bnahut se AdSense user is trah ki trick use karte hai.

  62. Avatar for amitamit

    bhai aap mera problam nai samjhe jab hm blog me custom domain add karete h to www ke sath domain daalte h to jo cname ke 2 records aate h na wo nai aa rahe ye bol raha hu me wo kyo nai aa rahe

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Amit mai aapki problem samajh raha hu aap blog me custom domain add karte time jo cnam record milta hai wo ab show nahi ho raha hai. Iske bare me bts chuka hu ki blogger me ye problem bahut dino se hai bahut se blogger isse pareshan hai. Aapse ye bhi kaha hai ki aap koi bhi record add kar domain add kar do or blog me domain add karke kuch timebad blog ko open karke dekho.

  63. Avatar for devdev

    Bhayi kya aap mughe bata skte ho ki ham apne phlwe wali site ke visitor ko dusri site par forward kr skte h or kese Mene go Daddy SE domain register kiya h

  64. Avatar for Ravi Kumar sahuRavi Kumar sahu

    mujhe contact us page banana hai, wo kaise banaye mai aapko ye puchh raha tha, agar aap iske bare me jaldi me ek post likhte to aur bhi achha rehta

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ok mai iske bare me post kar dunga.

  65. Avatar for dilipdilip

    mera jis gmail I’d se blog h bah gmail account ko kisi ne hack karke new Delhi me PC me open kiya tha usne I’d se koi massage bheja ya nhi ye kaise pata kare

    2. ab mene password change kr diya hai to ab koi hack to nhi kar lega old password se

    3. me apni gmail I’d me koi setting nhi kar sakta jisase I’d sirf mere hi divice par open ho

    ap iske answer jarur dena me bahut musibat me hu ki kahi galat n ho jaye

  66. Avatar for amitamit

    bhai 1 problam ho gai plz help
    pahle meri site par domain add tha lekin kabhi kabhi usme automitic godaddy open ho jata tha isliye mene socha ki phir se add karu domain ko to mene godaddy account me apne sare records delete kar diye lekin jab hm blog me domain add karte h to jo 2 records aate h na wo nai aa rahe h mene kitni baar try kar liya plz help kya me aapko call kar lu kya plz bhai urgent h domain add karne par bhi wo 2 records nai a rahe h

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Blogger me ye problem bahut dino se hai. Iska solution humare pas nahi hai. Aap godaddy par koi bhi code add kare ke domain blog me add karo. Uske bad agar blogger coding ko galat btayega to sahi coding bhi show hogi. Ok kar sakte ho.

    • Avatar for Nishant GuptaNishant Gupta

      Iske liye aap goddady customer support me bat kar lijiye aap ka problem solve ho jayega mera sath bhi ek bar yesa hi hua tha mene custmer support me contact kiya wanha se problem ka solution ho gaya tha

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...