WordPress ki tarah blogspot or blogger blog posts par last modified date or last updated date time show karna support nahi karta hai. Aap WordPress par easiliy last modified date display kara sakte ho but blogger me ye feature available nahi hai. So agar aap blogger blog ki posts me last updated date time dikhana chahate hai to ye post aapki help kar sakti hai.
WordPress ki tarah hi blogger platform bhi kafi popular blogging platform hai or many peoples blogspot par blog host karte hai. But blogger par hum wo sabkuch nahi kar sakte jo hum chahate hai. So iske liye hume kuch other tips ka sahara lena padta hai.
- Success Blogger Banne Ke Liye Ye 5 Tips Follow Kare
- Blogger Blog Ki Security Ke Liye HTTPS Enable Kaise Kare
Jab hum koi post write karte hai to future me kuch time bad use update karne ki jarurat padti hai. Aese me hum chahate hai ki humari post ko update ki gayi wali date show ho taki reader or search engine ko post update ka pata chal sake or hume jyada views mil sake.
Table of Contents
Last Modified or Updated Date Display Karna Kyu Karuri Hai ?
Suppose, aapne 1 january 2024 ko blogger blog ke bare me post likhi or usme kuch topic explain kiye. Now, blogger ne us topis me changes kiye to aapko post update karni hogi. Iske liye aap simple article ko edit karoge or usme jaruri update wale changes karke use update karoge.
But blogger posts me post update karne ke bad bhi date wohi rahti hai. Isiliye aapke koi post update karne se aapko bahut kam benefit milega kyuki user or search engine kisi ko bhi post update ke bare me jaldi se pata chahi chalega.
Users and search engine always recent or latest content ko jyada like karte hai. Aese me agar aap post ki date change kare to search engines bhi use top position par show karne lagega or aapko jyada organic traffic milega. Sath hi aapke direct user bhi us post ko fir se read karna pasand karenge.
Why to Display Last Modified or Updated Date in Your Posts:
- Search engine me post ki ranking better hogi.
- Jo reader us post ko already padh chuke the update hone par use fir se padhna chahenge.
- Blog post par traffic badhega or sabhi users updated post ko like karte hai.
- Aapki site ki search rank and value increase hogi.
- Logo ko site par recent content milega or wo aapki site ko jyada like karenge.
Koi bhi user old out date stories ko read akrna pasand nahi karega. Example, jab koi user google me apna topic search karta hai to use usse related 2 post mili jinme se ek 2024 ki hai or ek 2024 ki to wo 2024 wali post ko read karna pasand karega or 2024 wali post ko avoid kar dega.
How to Display Last Modified Date of Blogger Posts in Hindi
Jaisa ki main already upar bta chuka hu ki blogger me last updated date time display karne ka koi feature nahi hai. Isiliye aap iske liye kuch trick use kar sakte ho. Iske liye aapko blogger template me koi code add karne ki jarurat nahi hai. Aap ye step follow kare.
Step 1:
- Sabse pahle aap blogger dashboard par jaye.
- Ab aapko jis blog ki post me setting karni hai uske drop down menu par select kar ke posts par click kare.
- Ab jis post ko update karna hai uske samne Edit par click kare.
- Ab right sidebar me post settings choose karke published on par click kare.
Step 2:
- Set date and time par click kare.
- Ab yaha par calendar me post ki updared or modified date or time set kare.
- Done par click kare.
- Finally, sari setting karne ke bad update button par click kare.
Aap chahe to yaha par future date bhi set kar sakte hai. Aapke post update karne ke bad google search engine post ko crawl kar post ki modified date search results me show karega.
Step 3:
Abhi aapko ek kaam or karna hai. Post date ke samne last updated show karne ke liye aapko blogger template me thodi editing karni hogi.
- Blogger dashboard >> template par jaye.
- Edit html par click karke Ctrl+F button dabaye or <data:post.dateHeader/> search kare.
- Ab is code ke samne Last Updated: Likh kar setting save kar de. Is tarah
Last Updated: <data:post.dateHeader/>
Ab aapne jis post ko edit kiya tha use open karke check kare ki last update or modified date time sahi se show ho raha hai ya nahi. Agar nahi ho rahi ya koi error aa raha hai to aap iske bare me comment me puch sakte ho.
- Blogger Blog Me Static Pages Sitemap Kaise or Kyu Use Kare
- Blogger Me Custom Redirect Error 404 (Page Not Found) Kaise Set Kare
We hope aapko ye post pasand aayegi or aapko isme helpful information mili hogi. So please is post ko social media par apne friends ke sath share jarur kare.
नवीन शर्मा
सर ये अपडेटेड डेट गूगल सर्च पर भी दिखाई देगी जहां पर हमारे आर्टिकल की डेट लिखी होती हैं?
Jumedeen khan
Yes
Anuj
Mai apne blog ke ek post me weekly Magazine provide karta hu jisme Magazine ka front image aur kuch keyword bar bar change karke update karta hu to isme koi dikkat to nahi hai
Jumedeen khan
Nahi
Sagar Kumar
Sir Maine Aapke website “supportmeindia” Ko Jab Google Me Search Kiya. Tab Aapke Website Ke niche Kuchh Page Aa Rahe The!
Ex: Blog, Income report, Support me india Seo.. ETC
Sir Plz Btyiye Ye Aapne Kaise Lagaya!
Jumedeen
Iski jankari aha hai Google Sitelinks Kya Hai
VIJENDRA SINGH
Hello sir
Aap se mera ek sawal hai ki post ka title change karne ke bad old posts me add link url bhi change karna hoga plz. reply.
Jumedeen Khan
Nahi jaruri nahi hai.
izhar ansari
thankyour sir and aapko eid mubarak ho sir aap ne meri help kardi aap hi mere guru ho sir
Ravi Burman
sir me apne blog par paid android apps share karna chahta hun sir agar me apps ka real discription copy karke paste karta hun to kya ise copyright mana jayga aur vo english me bhi hoga isse koi problem to nahi
Jumedeen Khan
Yes aap apne tarike se likho.
सचिन
बहुत ही बढिया जानकारी दिया आपने। मुझे लगता है आप पुरे भारत ऐसे पहले blogger हैं जो अपने readers के comment का answer जल्दी देते हैं और शायद इसी वजह से इस blog पर comments बहुत ज्यादा होते हैं।
ram sharma
sir main apne blog ki post ko fb page se link nahi kar paa raha hoon agar aisi koi post ho toh plz bataye…..
Jumedeen Khan
Blog psot ka link copy kar direct facebook par share karo.
Mohammad Safwan
Nice information bhaiyya…
Agar hum blogger ki post ko update karte hai to parmalink change ho jate hai. suppose aapne post 1 january ko published ki to blogspot mai uska link kuch is tarah hoga like (www.xyz.com/2017/01/your-permalink). But Jab aap is post ko Feb. mai update karoge or date change karoge to iska permalink change ho jayga like (www.xyz.com/2017/02/your-permalink).
So aapko iske baare mai bhi thodi information add karne chaiyye thi. i hope aap samagh gaye honge
Abrar
Sir mene apne blog me) social media lagaya hai Jaise fb g+) to hum apne mobile me blog ko open Karte Hain to vo social media) mobile me nahi dikhte jab hum viwe web version open Karte Hain to waha Par show hote hai lekin mobile version me show nahi hote
Sir meri help karo take social media mobile version me Bhi show ho
Please sir
Jumedeen Khan
Abrar aap site ka link btate to main check kar leta. Abhi link btao main isi comment me fir se reply kar dunga.
Abrar
Sir mera ye mera blog hai abhi kaam karna Shuru Hi kiya hai
9RCH.Blogspot.com
Jumedeen Khan
Welcome bro and good luck. Kabhi jarurat pade to bta dena.
Syed Omer
I Was Eagerly Searching This Tip Finally Aapke Paas Padhne Ko Mili Thanks For The Valuable Information
Jumedeen Khan
Welcome omer.
manish
Sir main ek music wep site bnana chahta hu agar main Indian song upload karu ga to bo copyright ho ge ye to Pkka H but bollywood bale clm to nahi kar de ge Or bahut se music site H net Par bo kya kar te H please reply
Jumedeen Khan
Bilkul kar sakte hai.
Vickie
Very useful information for me sir…
Mahtab
jo font aap apni image me jada use krte hai jaise is post me apne isko likha gai how to show last modifid…. is font ka name kya hai
Jumedeen Khan
Gabriola nad kabhi post se related comment bhi kar diya karo.
sanju dangar
Sir aapne is post se mera kaam aasan kar diya, me kahi deeno se research kar raha tha ki aapki post me last updated kaise aata hai, or meri site par update karne ke bavjud bhi pata nahi chalta tha, thanks sir bina bataiye meri problem solve kar di
Jumedeen Khan
Welcome sanju, please share this post.
Rohit SHARMA
It’s such a useful tip, I will definitely Apply this on my blog
Robin Singh
Sir jab ham seo yoast use karte hai to usme description 160 character ki hoti hai usme..apni post ka main keyword kitni baar use kar sakte hai…?
Jumedeen Khan
Ek bar, baki aapko usme post ke bare me likhna hai ki is post me kya jankari hai.
suraj deshmukh
Ye jo aapne below post title social sharing button lagaye hai is ke liye konsa plug in use kiya hai.
Jumedeen Khan
Social warfar
dilip chauhan
Ek problem aa rahi hai apne blog ke theme me data:post.dateHeader diya hai yah code mere blog me nahi hai koi dusra code ho to bataye
Jumedeen Khan
Isme se kuch word search kar lo.
Babita Singh
बहुत ही अच्छी जानकारी…धन्यवाद |
dilip Chauhan
Jumedeen jankari bahut achhi hai main iske baare me janaa chahata tha but jankari nhi mil rahi thi thanks for sharig it……
Junas
sir mera blog ek develpoer ne banaya hai..usne uska number de k zoho.com se mail banaya hai mere blog k liye…agr me change password karu to uske number par v msg jayega kya??
sir sab ki help karte ho app mera v thoda help karo plz
Jumedeen Khan
Mail usi number par jayega jo number mail par add hai aap first mail wale mobile number change karo uske bad password.
Shashank
Bro apne YouTube vali post me likha h ki 4 _ 5 video me 500 views pakar AdSense account aproov karva sakte h.
Lekin agar mai 1 hi video me 3000 views pakar AdSense ke liye apply karu to kya aproove ho jayega.
4 ki jagah sirf 1 hi video se.
Jumedeen Khan
Miane aesa kahi bhi nahi likha aapko koi galat fahmi huyi hai. Aap 4-5 video upload karo or jab un par 2000-3000 views ho jaye to aap AdSense ke liye apply karo. 1 video se approve hoga ya nahi kah nahi sakta.
Ajay vashisth
Jume din g isse post permalink change
To nhi hoga na
Jumedeen Khan
Try kar ke dekh sakte ho.
vivek choudhary
Jumedeen ji aapne bohot hi badhia post ki hai, ye wakai me sabhi blogger blog ke lie helpfull hai aur mere lie bhi but aap ye bataye ki isse post ki link to change nahi hogi na.
Jumedeen Khan
Link change nahi hogi.
vijay singh
sir aapne accha likha hai. aap roz acchi acchi post likhte ho me rozz aapki website visite krrta hu. aapne mere blog trickpapa.tk ke liye jo tips di thi uske liye thanks
Dhrubajyoti Haloi
Mene Code place kiya lekin nehi huwa … Last update nehi show huwa.. plz help me
Jumedeen Khan
Apne blog ka link btao main check kar ke dekhta hu.