Feedburner Feed Me Post Ki Only Summary Kaise Show Kare

Email marketing har blog ke liye important hota hai kyuki iski help se hum apne old visitors ko return apne blog par bula sakte hai. But problem tab hoti hai jab email feeds me humari puri post ka content show hota hai. Isse reader puri post email me hi padh lenta hai or humari site par visit nahi karta hai. Jis se hume koi bhi fayda nahi hota hai. Is article me mai aapko feedburner feed me post ki only summary kaise dikhate hai ke bare me bta raha hu.

Show only post summary in feedburner feeds

maine apni pichli post Feedburner Ka Email Delivery Time Kaise Change Kare me btaya tha ki hum kis tarah post delivery time change kar ke apne eamil market ko increase kar sakte hai. Aaj is post me aapko bta raha hu ki kaise hum apne blog ki new post ki delivery me full post ki jagah sirf post summary show kar sakte hai.

Email marketing ke bina blog adhura hota hai. Kyuki iske bina offline visitors ko aapki activity ka pata nahi chalta hai. Aagar aapke blog par 5000 email subscriber hai to aapko har new post par 1000 to 3000 pageviews email marketing se mil jayenge. So aapne ne abhi tak apne blog par email service active nahi ki hai to aap pahle Apne Blog Ke Liye Feedburner Par Account Kaise Banaye post padh kar agle 5 minute me apne blog ke liye feedburner account bana kar email marketing shuru kar sakte hai.

In this post, Is post me btayi only summary ki ki trick isliye important hai kyuki jab reader aapki puri post mail me hi padh lega to wo aapki site par visit kyu karega. Isse aapki site par pageviews, traffic, ranking and other kuch me bhi increasing nahi hogi. So feedburner feed me post ki only summary dikhana blog traffic ke liye very important hai.

Feedburner Feed me Post Ki Only Summary Kaise Dikhaye – Email Marketing

Ye tips sirf un blogger ke liye hai jo google ki free email marketing service feedburner ko use karte hai. Agar aap bhi unhi blogger me se ek hai to aap is post ko follow kar apni site par feedburner feed ki only post show hone ki setting kar sakte ho.

Option 1:

Sabse pahle aap feedburner.google.com site par jaye or apni gmail ID se log in kare.

  1. Ab aapko jis blog par setting karni hai us par click kare.

Selct Your Feedburner feed

Option 2:

  1. Ab Optimize par click kare.
  2. Summary Burner par click kare.

Setting Feedburner

Option 3:

  1. Aapko feedburner feed me post content ke kitne chracters dikhane hai wo select kare.
  2. Summary content ke bad visitors ko site par aane ke liye apni hisab se message likhe. Jaise “Humari puri post padhne ke liye site par ivsit kare“.
  3. Ab Activate par click kare or check kijiye ki summary activation enable hua hai ya nahi.

Summary Burner Settings

That’s all right, Bas ab aapki new post feedburner feeds me full show nahi hogi. Agar aapko is processing ko follow karne me koi problem hoti ha to don’t worry niche commnet box me apni problem commnet kare.

I sure is trick ki har ek new blogger ko jarurat padti hai. So agar aap bhi new blogger ho to ye post aapko jarur pasand aayegi. Agar ha to is post ko share jarur kare sath hi post ke bare me commnet bhi kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (35)

  1. Avatar for AbhishekAbhishek

    Thank you so much sir.
    My biggest problem has been resolved. Very good article.

  2. Avatar for KamalKamal

    Es article se mujhe kafi help mele thanks. .
    Mere “follow by email” blogger widget me email id bharkar click karne par sbse upar ye likha aa raha h
    “Sorry, not a valid Captcha answer. Please try again.”
    But eske baki content, sb pahle jaise he h & esse subscription bhi ho raha he
    So mai ye upar likha Ko kaise fix karun (htau)
    Plz help

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      No worry ye koi problem nahi hai.

  3. Avatar for Dhaval RathodDhaval Rathod

    Bahut achhi jankari share ki aapne brother

  4. Avatar for SADHAN DANSADHAN DAN

    Sir hamne summery setting kar li he fir bhi pura post hi email me jaa raha he. Mera abhi tak 4 Subscriber ho gaye he. Sir Subscribe karte bakt captcha aa raha he usko kaise hataye
    Please dono ka jawab dijiye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap feedburner settings sahi se karo problem nahi hogi. Jo steps btaye hai unhe ek bar fir se follow karo.

  5. Avatar for SADHAN DANSADHAN DAN

    Mene comment policy pada he. Hello sir mere blog me Koyi bhi post Ko read Karne par ek author box he uske kaise hataye. Mera Bahut bada photo lag raha he. please check technicalsadhan.in

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Blogger template >> edit html folder me jao or about us page ki coding search karke delete kar do problem solve ho jayegi.

  6. Avatar for omkumar agarwalomkumar agarwal

    Sir mere 2 question hai pls answer de dijiye
    1. Blog template m heading kya hai aur iska kya benefit hai

    2. Inappropriate content kya hota hai aur ye mere blog m kaha par hai aur ise delete kaise karun

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Jaise mere blog ke top me subscrie box show hota hai or top me menu bar hai wo heading hota. Heading me aap blog ka logo set kar sakte ho. Blogger ke layout option me dekho iska option bhi hoga.
      2. Iske bare me mai already aapko reply kar dunga hu.

      • Avatar for omkumar agarwalomkumar agarwal

        But sir aapne ye nahi bataya ki mere Blog main ye kaha par h aur ise delete kaise karu

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Agarwal maine adsense ke bare me post ki thi adsense in wajah se disable ho sakta hai. Use padh kar aap khud pata kar sakte ho ki aapki sit par kis type ka content nahi hona chahiye.

  7. Avatar for omkumar agarwalomkumar agarwal

    Thanku very much sir ,
    Meri bahut badi problem solve ho gai is artical se

  8. Avatar for manoj singhmanoj singh

    badiya article bhai jaan

  9. Avatar for Nikhil JainNikhil Jain

    very helpfull information for a new blogger

  10. Avatar for Nilesh VermaNilesh Verma

    hey bro AdSense pr sign up krne ja raha tha.. AdSense ke website pr aaisa likha hai.. (Your phone number and the mailing address associated with your bank account so you can get paid. It’s a must. ZIP code and all .. ) iska mtlab kya ? 1) mera khudka personal mobile number aur email id bank ko attach hone jaruri hai ? ya phir 2) maine jis email id par YouTube channel create kiya hai aur jis number channel verify kiya hai wo number aur email id bank ko attach krna hai kya ? bro jawab detail me dena

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. ha aapke bank account ki information or AdSense ki information same honi chahiye.
      2. Yes aapne jis mobile number se gmail ID banayi hai usi ko bank me add karwana padta hai.

  11. Avatar for satish kushwaha(TechYukti)satish kushwaha(TechYukti)

    Very nyc information bro.

  12. Avatar for Rishabh GuptaRishabh Gupta

    bhai ye aero aur number iss software se he padte hain and ye free hai kya?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      aap photohop software use kar sakte ho.

  13. Avatar for Rishabh GuptaRishabh Gupta

    bhai mujhe ye btao ki ye jo images mein aap aero lagate hain woh ap kis softwarese lagate hain?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Snagit

  14. Avatar for Mo AzizMo Aziz

    jumedeen bhai
    thanks iss post ke liye

  15. Avatar for NileshNilesh

    AdSense pr sign up mein website maag raha hai.. mujhe YouTube channel ke liye AdSense accouent chahiye.. waha pr mein apne yputube channel ka address dalu kya

  16. Avatar for NileshNilesh

    hey bro AdSense pr sign up krne ja raha tha.. AdSense ke website pr aaisa likha hai.. (Your phone number and the mailing address associated with your bank account so you can get paid. It’s a must. ZIP code and all .. ) agar maine apna YouTube channel 2 re mobile number se verify kiya hai..wo number mere bank accouent ko attach nahi hai toh iss se kuch problem hoga kya payment mil e mein

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iska matlab hai ki aapka mobile number or address wohi hona chahiye jo aapke bank account me hai. aap wo number bank me ja kar apne account me add karwa sakte ho or AdSense account bana sakte ho.

  17. Avatar for yashyash

    Sir meri website par me guest post ko kese add kru…
    Ki meri website par bhi koi guest post kar ske…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Pahle aap apni site par traffic badhao uske bad hi koi aapki site par guest post kar sakta hai.

  18. Avatar for devdev

    Thanks bhayi is post ka me kafi din se wait kar rha tha..or bhayi ab pata nhi kyo aap mere q ka ans nhi dete ho agar meri taraf se koi galti hui h to mughe maaf kar dijiyega apka daily reader dev…..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Dev mai aapki har commnet approved karunga or har commnet ka jawab dunga. bas aap ek hi sawal ko bar bar mat pucha karo.

  19. Avatar for swapnil jambhaleswapnil jambhale

    Jumedeen Khan ji kal mujhe AdSense approval mila magar abhitak mere account par hosted account hi likha huea hai or ad bhi show nahi show ho rahi hai. please kya aap meri healp kar sakte hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapne pichli commnet me mujhe btaya tha ki aapke AdSense account me ads create karne ka option show ho raha hai or aapne ads bhi bana liye hai. But aaj aap kah rahe ho ki aapke AdSense account me hosted account likha hua hai. Jabki hosted account se hum sirf YouTube par ya jis blog ke throw AdSense account bnanaya hai. us blog par hi ads show kar sakte hai. But fir bhi mai aapke question ka jawab de raha hu AdSense par jao or right side me gear icon par click karo uske bad settings par click kar ke left side me site management par click kar ke apni site ka link add karo. Iske bad AdSense aapki site ka review karega or jab review complete ho jayega to aapko iska message mil jayega.

      • Avatar for swapnil jambhaleswapnil jambhale

        Jumedeen Khan ji review complete hone me kitna time lagta hai. or review complete hone ke bad ad show hote hai kya

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Iska koi fix time nahi hai. ye google par depend karta hai ki wo aapki site ko review karne me kitna time lega.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...