Smart Phone Automatically Kar Sakta Hai Ye 4 Kaam (New Tips 2024)

Kya aapko pata hai ki aapke mobile phone me kai aese feature hote hai jinhe activate karne ke bad phone automatically work karta hai aur aapke bahut se kaam apne aap ho jate hai. Ab android mobile bahut smart ho gaya hai ye aapki location aur aapki activity ko bhi track karte hai. Yaha main aapko android mobile ke 4 shortcuts bta raha hu jinse aap mobile ko hath lagaye bina kai sare kaam kar sakte hai.

Smart Phone Automatically Working Shortcuts

Mobile phone me bahut se aese features hote hai jinke bare me hume nahi pata hota ya fir hume lagta hai ki unki jarurat nahi hai aur hum unke bare me janne ki koshish nahi karte hai. Yaha par btaye gaye android features ke bare me jan kar aap hairan rah jaoge.

Kai bar hume kisi place par phone suddenly silent ya off karna hota hai ya fir hum chahate hai ki hume call, SMS karne wale ko apne aap reply mil jaye to friends aap ye sabhi kaam real me apne smartphone se kar sakte ho. Chaliye jante hai kaise.

Mobile Phone Automatically Kar Sakta Hai Ye 4 Kaam – New Shortcuts 2024

Lock Unlock Kar Sakte Hai

Agar aap apne android phone ko kisi important place par lock unlock rakhna chahate hai to aakp bas ek settings karni hogi.

  1. Go to your phone settings.
  2. Ab Security >> Location me ja kar Smart Lock enable kare.
  3. Yaha Trusted Places ki setting me aap un jagaho ki location add kare jaha aap chahate hai ki aapka phone automatic unlock ho jaye.

Is setting ko enable karne ke bad aapke dwara select kiye gaye places par aapka phone apne aap unlock ho jayega. Same process aap lock karne ke liye follow kar sakte hai.

2. Aapka Phone Automatic Reply Karega

Mobile me automatic reply ke kai option hote hai. Jaise, I’m busy, I’m sleeping, I’m driving etc. lekin kya aapko pata hai ki aapka mobile automatic aap jo kar rahe wo reply kar sakta hai.

Jaise ki aap car driving kar rahe hai to aapka phone I’m driving hi reply karega. Iske liye bhi aapko phone setting activate karni hogi.

Agar aap iPhone ka istemal karte hai to aap Do not Disturb setting me ja kar iska option enable kar sakte hai aur agar aap android user hai to aapko google play store se Android Auto app download karna hoga.

3. Phone Apne Aap Silent Mode Me Chala Jayega

Hum sabhi ke sath ek problem hoti hai ki bahut si jagah par humara phone hume hi distrub kar deta hai. Jaise ki aap meetup me ho ya koi aur important work ya deal kar rahe ho. Agar aap chahate hai ki aapka phone chunida jagaho par apne aap silent ho jaye to ye possible hai.

Aap jis jagah par phone ko silent karna chahate ho waha phone apne aap silent mode par chala jayega iske liye aapko bas ek chota sa kaam karna hai.

  1. Apne phone ki settings me jaye.
  2. Sound settings me jaye aur Do Not Disturb setting ko activate kare.

Ye feature google maps and google calendar ki help se work karta hai. Agar aap iPhone user hai to automatic silent mode ke liye Do Not Disturb setting me jaye aur Scheduled toggle ko switch on kar de.

4. Mobile Automatic Photo Ki Backup Banayega

Ji haa dosto, aapka phone apne aap aapki sari photos ka backup bana sakta hai. Iske liye aapko google photos ki setting me jana hoga. Google photos settings me ja kar backup ka option enable kar de.

Uske bad aapka phone aapke sare photos ko google cloud me store kar lega. Google cloud me aapko 15GB storage milta hai uske bad aapko pay karna hoga.

Is tarah aap apne smartphone se ye 4 kaam apne aap kara sakte ho. Agar aapko inke alawa koi aur shortcut ke bare me pata ho to aap uske bare me comment me bta sakte hai.

Ye bhi padhe,

I hope aapko ye article pasand aayega, agar haa to ise social media par apne dosto ke sath sahre jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (11)

  1. Avatar for Ajay kumarAjay kumar

    wow beautiful information…
    aapne jo janakari share kiye vah vakai bahut hi best information hai.
    kyonki hame kabhi pata nahi tha is tricks ke baare me lekin, aaj aapki post ko padhkar pata chal gaya hai. so very good

  2. Avatar for Virendra mauryaVirendra maurya

    amazing very interesting tips

  3. Avatar for Nikhil JainNikhil Jain

    wow….. kafi bdhiya… smartphone to sach me smart nikla

  4. Avatar for amjadamjad

    wao bro bahut acha post hai. mujhe iski jankari nahi thi.

  5. Avatar for SanjaySanjay

    Sir aesa koi option Nahi hota kya jisme yadi ham cell ko pocket me rakhe to wo vibration mode pe Chala Jaye ar pocket k Bhar ring mode pe rhe

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      I think aesa koi feature nahi hai.

  6. Avatar for Jan Bharat TimesJan Bharat Times

    श्रीमान जी मैं आपका बहुत दिनों से नई-नई जानकारियों को देख रहा हूं आपकी वेबसाइट मुझे बेहद अच्छी लगी

  7. Avatar for dharmesh rajputdharmesh rajput

    sir nice and helpfull jankari dene ke liye dhanyawad

  8. Avatar for neeraj sharmaneeraj sharma

    again good information

  9. Avatar for Virendar SinghVirendar Singh

    Bahut hi badhiya jankari share ki sir aapne, auto lock & unlock aur mobile apne aap silent ho jayega is ke baare me pehle pata nahi tha, dhanyavad aapka in tips ko share karne ke liye.

  10. Avatar for ankitankit

    bhut ache sir very helpful post

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...