Smart Phone कर सकता है ये 10 काम क्या आपने कभी Try किया है?

अगर आपके पास Smart Phone है तो आपको पता होना चाहिए कि आप क्या कर सकते हैं। इस आर्टिकल में मैं आपको बता रहा हूं कि आप calling, messaging, chatting, internet चलाने के अलावा अपने smartphone से कुछ और भी काम कर सकते हैं। स्मार्ट फोन में कुछ ऐसे फीचर्स (features) भी होते हैं जिनके बारे में आप शायद ही जानते हों। जैसे फोटो खींचना, movie बनाना, रिमोट को चेक करना, multiple panoramic shot, high quality lens बना कर big cinema बनाना जैसे अन्य बहुत काम किए जा सकते हैं।

Aaj ke time me har ek aadmi ke pas android mobile, iOS, iPad, wondwos phone, apple smartphone mil jayenge. Mai yaha par aapko smartphone ke kuch top features ke bare me bta raha hu agar aapne ye feature try nahi kiye ho to aap try kar sakte hai.

Smart Phone Kar Sakta Hai Ye 10 Kaam Shyad Aap Inke Bare Me Nahi Jante Honge

Smartphone ne aaj bahut se kaam aasan kar diye hai. Aaj computer par hone wale kaam online internet se smart phone par hi ho jate hai. Aayiye inme se kuch ke bare me hum bhi jante hai ki Smartphone kar sakta hai ye 5, 7, 10 kaam, jinke bare me har koi nahi janta hai”.

1. TV Ya Kisi Or Remote Ko Check kare:

Bahut bar humare sath aysa hota hai ki TV, Music player, DVD ka remote kaam karna band kar deta hai to hume bahut problem hoti hai. Ye problem shayad aapko bhi aayi hogi. Ayse time me hum remote ki battery, sell change karke remote ke sahi hone ka pata lagane ki koshish karte hai.

Jab battery, sell change karne ke bad bhi remote kaam nahi karta to hume ye confusing rahti hai ki remote sahi hai ya kharab ho gaya hai. Magar aapka smart phone is is problem ko 1 second me solve kar sakta hai yani ab aap apne android phone se remote ke sahi ya kharab hone ka pata laga sakte hai.

Remote Sahi Hai Ya Kharab Kaise Pata Kare?

Check TV remote

Smart phone se kisi bhi remote ka sahi ya kharab hone ka pata lagana bahut hi aasan hai. Meri btayi ye trick follow kare.

Apne smart phone ka camera on kare or remote ke sensor ko camera ke samne kar ke remote ka koi bhi buttan dabaye. Agar remote sahi hoga to remote ke sensor ki light blink karti huyi nazar aayegior agar sensor light blink nahi hoti hai to aapka remote 100% kharab hai.

2. Use Your Smart Phone as a Projector:

Projector ke bare me to aap jante hi honge. Projector ka kaam hota hai zooming karna. Cinema hall me aap bade parde par jo seen dekhte ho use projector se hi bada kiya jata hai. Aaj mai aapko aysi trick bta raha hu jiski madad se aap apne smart phone ko projector ki tarah istmal kar sakte ho or apne ghar ki kisi bhi diwar par parda laga kar bade parde par movies dekh sakte hai.

Smart Phone Ko Projector Ki Tarah Istmal Kaise Kare?

Use smartphone as a projector

Ji ha dosto ab aap apne smart phone ki madad se apne ghar me hi cinema hall bana kar movie dekh sakte hai. Iske liye aapko bas ek shoes cartoon or Magnifying glass ki jarurat padegi. Follow below step:-

  1. Magnifying lens ko shoes box ki ek side me rakh ke mark kare or mark kiye gaye cartoon ko blad se kat kar holl bana le.
  2. Box me holl karne ke bad lens ko us me fit kar ke gond ki madad se chipka de.
  3. Ab aapko image ke anusar box me dusri taraf apna smart phone rakhne ke liye stand banana hai. Aap koi bhi cheez ki madad se stand bana sakte hai.
  4. Apne smartphone me koi bhi movie ya video chala kar stand par rakhe. Mobile ki screen Magnifying lens ki taraf karni hai.
  5. Aapke mobile ke focus ko cutch kar Magnifying lens use zooming kar output nikalega. Ab mobile ko aage piche kar ke aapko jis size me video dekhna hai set kare.
  6. Mobile ki video brighttness 100% kar le taki video full clear dikhe.

3. Panorama Shouts Me Kai Bar Dikhna:

Aap panorama apps se ek sath apne kei pose shoot kar sakte ho. Agar aapke smart phone me panorama app nahi hai to yaha se download kar le.  Hum jab apna photo lete hai to usme aas pass ke log bhi dikhayi dete hai magar panorama apps ki madad se aap sirf apna hi photo sout kar sakte ho.

Panorama Se Sirf Apna hi photo Shoot Kaise Kare?

Agar aapko ek hi photo me apne kei pose shoot karne hai to ye bahut aasan hai aapko bas photo shoot karte waqt photographer ke piche se dusri taraf bhagna hai. Is tarah aap ek hi photo me kei jagah aa sakte ho.

4. Earphone Se Photo Shout Kare:

Aap apne smart phone ke earphone ko kya kaam me lete ho Music, FM sunne me. Magar kya aapko pata hai ki aap earphone ki madad se photo bhi le sakte ho. Chalo aaj mai aapko btata hu ki earphone se photo kaise khich sakte hai.

Earphone Se Photo Kaise Khich Sakte Hai?

Aap jab new smart phone kharidte ho to lagbhag sabhi ke sath earphone aata hai. Earphone sirf music sunne ke kaam hi nahi aata hai balki isse hum photo bhi khich sakte hai.

Actually, earphone me jo play / pause ka buttan hota hai usse aap smart phone ko bina touch kiye photo khich sakte ho sath hi aap value kam jyada wale buttan se camera ko zoom in and zoom out kar sakte ho. Apne aap ka photo khichne me ye trick bahut kargar hai. Yaad rahe ye trick extra liye gaye earphone me kaam kam karta hai isliye extra earphone lene se pahle check kar le.

5. Lens Ki Quality Badhana:

Humare smart phone ka camera acha hone ke baad bhi kei bar hum usse or bhi acha photo lene ki sochte hai. Ye aadat lagbhag sabhi smart phone user ki hoti hai. Wo sochte hai ki kash mai thoda or acha photo khich sakta to mai aapko ek tips bta raha hu apne smart phone ke camera ki quality se bhi jyada better photo lene ki.

Smart Phone Ke Camera Ki Qulity Kaise Badhaye?

Jab aap apne smart phone se photo shoot karo to smart phone ke camera par pani ki ek jara si boond dal kar photo shoot kare or result dekhe photo kitna better aata hai. Isse bina zooming kiye kafi had tak zooming me photo shoot hota hai yani aap is trick ki madad se photo ko or bhi jyada zoom kar sakte ho. (Dhyan rahe mobile ke andar pani nahi jana chahiye sirf jara si ek boond hi use karni hai.)

6. Android Device Manager:

Android device manager ek aysa apps hai jo aapke khoye huye phone ka pata laga sakta hai. Iski madad se aap apne khoye huye phone ke password bhi change kar sakte ho or phone ke sare data bhi mita sakte ho. Jisse phone dead ho jayega or chor ke koi kaam ka nahi rahega. Wese internet par phone ki location btane wale bahut se apps hai par ye apps sanse alag hai. Phone location pata karne ke liye aap ye post read kare Mobile Phone Khone Par Mobile Ki Location Kaise Pata Kare

Android Device Manager Kaise Kaam Karta Hai?

Sabse pahle apne smartphone me android device manager apps download kar le. Aap yaha se bhi download kar sakte hai.

  1. android device manager apps ko apne phone me install kare.
  2. Ab apps ko apne google account se connect kar le.
  3. Ek bar google account se connect hone ke bad jitni bar aapka phone activate hoga utni bar aapke google account par uski jankari bhej di jayegi.
  4. Sabse khas baat ye hai ki aapke phone ke chori hone ke baad aap apne phone ke password change kar sakte ho.
  5. Aap chaho to is apps ki madad se phone ke sare data delete / remove kar apne chori huye phone ko dead kar sakte ho.

7. Smart Phone Ki Soud Quality Badhana:

Bahut se phones me high volume speaker na hone ke karan adhik sound nahi hoti magar aap chahe to is trick se apne smartphone ki sound ko kafi had tak badha sakte ho. Iske liye aapko seese ke ek khali zaar ki jarurart padegi.

Smart Phone Ki Soud Quality Kaise Badhaye?

Apne smartphone me music on kar ke phone ko khali zarr me rakh de or result dekhe phone ki aawaz kafi had tak badh jayegi. Zaar me phone rakhne se speaker ke sound idhar udhar nahi failti or zaar ke upari khule hisse se ekdam bahar aati hai, isliye phone ki sound badh jati hai.

8. Use Your Phone as a Wireless Hotspot:

Ji haa, dosto aap apne smart phone ko modem, wireless ki tarah bhi use kar sakte ho. Bahut se logo ko iski jankari nahi hoti or wo apne computer ke liye new modem, wireless kharid lete hai. Mai unse kahna chahunga ki agar unke pas smart phone hai to unhe modem lene ki koi jarurart nahi hai.

Smart Phone Me Wireless Hotspot Kaise Use Kare?

  1. Apne phone ki setting me jaye.
  2. More option par click kare.
  3. ‘Tethering & portable hotspot’ par click kare.
  4. Portable WI-FI hotspot ko on kare.
  5. Ab Portable WI-FI hotspot ko left side par click kare or apne WI FI ke password set kare taki koi or aapke wi fi se net na chala sake.
  6. Ab apne PC me network search kare waha aapke phone ke wi-fi ka naam aa jayega. Apne password set kar ke connect kar le.

9. Set Mobile Data Limit:

Apne android mobile me aap ne ye option jarur dekha hoga par ise kaise use kare iski jankari shayad hi kuch logo ko hogi. Kei bar kya hota hai ki hum internet chalate rahte hai or jyada internet pack istmeal hota hai or jab MB khatm ho jati hai to humare sare paise bhi kat jate hai. Ye bat aap bhi jante hai ki net pack na ho to internet chalane par kitne adhik paise kat’te hai. Aaj mai aapko aysa tarika bta raha hu jiski madad se aapka ek bhi rupees nahi katega.

Mobile Data Limit Set Kar Ke Paise Kaise Bachaye?

Set Data Limit

Aap mobile data limit option par ja kar orange color ki line se data limit set kar sakte hai.

Man lo aapki sim me 200 MB hai or aap internet chala rahe hai. Isliye bar bar apna internet pack check karte rahte hai ki kahi pack khatm na ho jaye or aapke paise na kat jaye. Is problem ko khatm karne ka tarika smart phone me pahle se hota hai. Bas aapko data limit set karni hai.

  1. Agar aapke phone me 200MB hai to aap phone ke data limit setting me ja kar orange line se 190MB par data limit set karo.
  2. Ab jab aap 190mb use kar loge to smart phone data connection ko automatic band kar dega.
  3. So agar aap ye bhi set kar sakte hai ki aaj mujhe kitni mb use karni hai TO isse aapke paise nahi katenge or aapko smart phone pahle hi alert kar dega.

10. Use Multiple Google Account in One Smart Phone:

Agar aap apne smart phone me ek hi google account use karte ho to mai aapko bta du ki aap ek se jyada google gmail account bhi smart phone me ek sath use kar sakte ho. Isse aapko bar bar dusri id se log in karne ki jarurat nahi padegi or aapko 2-3 email ID manage karne me aasani hogi.

Smart Phone Me Multiple Google Accounts Kaise Use Kare?

  1. Apne phone ki setting me jaye.
  2. Ab account>> Add account par click kare.
  3. Apni email id se log in kare.
  4. Is tarah aap kei email id se log in kar sakte ho.

Apne phone 3-4 google account se jyada account se log in na kare warna aapki email id block bhi ho sakti hai. So main aapko yahi kahunga ki aap ek phone me kam se kam account se log in kare ya fir ek se sign out karne ke bad dusre se sign in kare.

Ummid hai aapko meri ye post pasand aayi hogi. Agar ye bat sach hai to is post ko share karke aap bhi humari help kare or agar aapko internet se related koi sawal pchna hai to mai aapko comment karne ko suggest karna chahunga.

Reader Interactions

Comments (313)

  1. Kiya koi aisa aap Hai jisse ham aapne chere ke jagaha kisi bhi hiro ya hiroin ka chera lagta ho pls fast me answer

    • Google play store me magic apps search karo. Bahut mil jayenge.

      • g bahi .mujhy pakistan bazarya net bat karni .call 2frend.com ke elawa koi wabsaite ya koi apps han to bta dein plz .mein is waqt iraq contry mein …plz rplly

        • Aap is post me btaye tarike se duniya me kahi bhi call kar sakte ho.

  2. sar ek Android app h jisme dd durdarsan
    chenal widaout data k chalta h plz us app k bare m batae

  3. sar hd movie dowenlod ki koi achhi site batao jisae now movie bhi hd me dowenlod ho jae

    • Krazyweb.com

      • hii i am using blustacks software but it is not installation on my laptop this is but are this software is 2gbphisician memery and auto back instolation pad so,please help me..

        • Blustacks ko install hone me time lagta hai. kyuki ye 250+ mb ka software hai.

  4. Hello sir mai micromaxA37B use Kar raha hu is me Hindi words bar bar likha ja raha hai mai kya karu help me

  5. Asalam ali kum bhai me eak wifi ko hack karna chata ho kese karu
    WO airtel ka hai hamdono ne saat me liya tha psr airtel usne mnaa kar diya hai bhai help me

    • wa sorry bro maiaysi jankari nahi deta.

      • Sir mera chota. Bhai meri wattsup bar bar hack kr leta h mai presaan hu or vo khta h tum meri wattsup hack kr ke dikhao to mai tumari wattsup hack ni kruga iska koi solution hai kya sir plz tell

        • @Salman mai is blog par hacking ke bare me jankari share nahi karta.

  6. Bhai jaise apne kaha hai ki yadi koi humare website me ads par click karega to hame dollar main paise milte hai.

    Par yadi maan lijiye ki Maine apna website bana liya aur apke Kahe anusaar ads bhi daal diya.
    To kya yah jaruri hai ki koi ads par himn click Kare. Yadi koi hamare ads par click nahi karta balki hamare website me post par click karke information padhta hai aur kuchh samay bhi padhkar bitaata hai to kya hame logo dwara hamare post ko aur usme likhe jaankaariyon padhne par time paas karne par hame paise milenge ya nahi.

    • Nahi aapki site ki post padhne or post ke link par click karne se bhi paise nahi milte hai. isse aapki site ki ranking badhegi. paise aapko sirf ads par click karne se hi milenge.

  7. Sir g mere dost ne mere android phone me apne wifi ka password dala or use show nhi kiya muje vo password janne k liye kya karna hoga please tell me solution

    • Phone ki wifi setting par jao or jaha password set karte hai. waha show password par click karo. password show ho jayenge.

  8. sir me animation photo bnana chahta hu , sir kya kisi bhi number ka msg cheak kr skte he? plz reapy …

  9. Dost hame ye batao ke mai hotspot ke jariye kitne duri tak connect kar sakte hai

    • lagbhag 1015 feet tak

      • Sir ji mere mobile mai kuch apps apne aap download ho jati hai net chalu krte hi kya app ata sakte ho aisa kyo ho raha hai

        • Aap phone setting me auto update ko band karo.

  10. Bhai abhi Maine apna website nahi banaya aur gaon main rahta hoon aur yahi par online business karna chaahta hoon.
    Main apse AdSense account main do chijo ke baare main puchhna chaahta hoon.

    1. Company name . – company name main kya likhe jabki abhi mane website bhi nahi banayi hai abhi Sab kuchh achhi tarah se jaanna chaahta hoon.
    Website babaane ke baad company name main kya likhenge .

    2. AdSense account me address – main gaon main rahta hoon aur gaon main hin online business karna chaahta hoon jabki gaon main home number nahi hota , gaon main logo ke naam se hi Sab jaante hai..baki saara address ka detail hota hai .jaise village name, post office, district, state, pincode, kewal house number nahi hota hai. To address kaise likhelikhe.

    • 1. aap AdSense banate samay company nahi dusro option choonna jo ki personal person ka hota hai.
      2. aapko apna sahi address bharna hai. aapka postman post ghar pahucha dega.

  11. me lenono vide 3X technology ka mobile kharidna chahta hu. kya vr technology free me milegi.

  12. Bhai main apse Facebook ke baare main puchhna chaahta hoon.

    Maine apna Facebook account bana kar log in kiya hai .
    Log in karne ke baad Add friends ki list main bahut se logo ka post aa raha hai jisme .photo ke baad likha hota hai Add friends.
    Bhai main in sab main se kisi ko friend nahi banana chaahta par Jjsé banana chaahta hoon uska naam aur photo add friends ki list main nahi aa raha.
    Mere friends ka Facebook account hai main apne Facebook me add friends ki list main uska naam photo sahit paana chaahta hoon taaki uske saath Facebook.par post kar saku.

    Kaise main uske post ko add friends ki list main laaun jabki add friends ki list main uska naam pahle se nahi hai.
    Please tell me.

    • facebook search box me apni friends ka name ya facebook id likh kar search karo. agar uski id publicly hogi to aapko mil jayegi.

  13. Sir ye magnifit lance kis dukan pe milta h.

    • aap market me ja kar puch sakte ho. mujhe iske bare me pata nahi hai.

  14. I wanted to thank you for this very good read!! I certainly loved
    every little bit of it. I have you saved as
    a favorite to look at new things you post…

  15. sir mene 2.5x ka magnifier lans kharida lekin isse saaf image nhi dikh rahi.mujhe konsa lans kharidana hoga,jisse video saaf dikhe

    • aap mobile konsa use kar rahe ho.

  16. mere celkon a10 android mobile me hola launcher phone ko restart ya switch off ya reboot ya restore karne par bhi ye hola launcher barbar automatically install ho jata hai .
    mujhe ise permnantely delete karna hai plz bataiye kaise delete kare hamesha ke liye.
    ager mai use unistall bhi kar deta hu to main phone ko restart ya restore ya switch off karta hu to wo phir se apne aap install ho jata h. plz bataiye kaise hoga ?

    • ise aap permanantly reove nahi kar sakte. sirf unistall kar sakte ho.

  17. Projector bnane k liye koi bhi lense use kiya ja sakta hai? Ya fir koi ache quality ka lense hi use krna hoga? Noemal magnifying glass se projector acha video display nhi krta hai, aisa maine kr k dekha hai.

    • aapne third quality ka magnify glass use kiya hai. post me jo glass btaya gaya ghai wohi use karo.

  18. sir phone ki internal storage badane k lia kya Karna hoga……..aur sir mere phone m to koi extra app bi nhi hai jiski bajah se internal storage full ho…..plz sir bataye

  19. sir trueccaller life360 isaki kankari dijiye.

  20. Thanks on your marvelous posting! I certainly enjoyed reading it, you are a
    great author.I will ensure that I bookmark your blog and definitely will come back
    later on.