अगर आपके पास Smart Phone है तो आपको पता होना चाहिए कि आप क्या कर सकते हैं। इस आर्टिकल में मैं आपको बता रहा हूं कि आप calling, messaging, chatting, internet चलाने के अलावा अपने smartphone से कुछ और भी काम कर सकते हैं। स्मार्ट फोन में कुछ ऐसे फीचर्स (features) भी होते हैं जिनके बारे में आप शायद ही जानते हों। जैसे फोटो खींचना, movie बनाना, रिमोट को चेक करना, multiple panoramic shot, high quality lens बना कर big cinema बनाना जैसे अन्य बहुत काम किए जा सकते हैं।

Aaj ke time me har ek aadmi ke pas android mobile, iOS, iPad, wondwos phone, apple smartphone mil jayenge. Mai yaha par aapko smartphone ke kuch top features ke bare me bta raha hu agar aapne ye feature try nahi kiye ho to aap try kar sakte hai.
Smart Phone Kar Sakta Hai Ye 10 Kaam Shyad Aap Inke Bare Me Nahi Jante Honge
Smartphone ne aaj bahut se kaam aasan kar diye hai. Aaj computer par hone wale kaam online internet se smart phone par hi ho jate hai. Aayiye inme se kuch ke bare me hum bhi jante hai ki Smartphone kar sakta hai ye 5, 7, 10 kaam, jinke bare me har koi nahi janta hai”.
1. TV Ya Kisi Or Remote Ko Check kare:
Bahut bar humare sath aysa hota hai ki TV, Music player, DVD ka remote kaam karna band kar deta hai to hume bahut problem hoti hai. Ye problem shayad aapko bhi aayi hogi. Ayse time me hum remote ki battery, sell change karke remote ke sahi hone ka pata lagane ki koshish karte hai.
Jab battery, sell change karne ke bad bhi remote kaam nahi karta to hume ye confusing rahti hai ki remote sahi hai ya kharab ho gaya hai. Magar aapka smart phone is is problem ko 1 second me solve kar sakta hai yani ab aap apne android phone se remote ke sahi ya kharab hone ka pata laga sakte hai.
- Internet Se Ghar Baithe Online Paise Kaise Kamaye
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
Remote Sahi Hai Ya Kharab Kaise Pata Kare?

Smart phone se kisi bhi remote ka sahi ya kharab hone ka pata lagana bahut hi aasan hai. Meri btayi ye trick follow kare.
Apne smart phone ka camera on kare or remote ke sensor ko camera ke samne kar ke remote ka koi bhi buttan dabaye. Agar remote sahi hoga to remote ke sensor ki light blink karti huyi nazar aayegior agar sensor light blink nahi hoti hai to aapka remote 100% kharab hai.
2. Use Your Smart Phone as a Projector:
Projector ke bare me to aap jante hi honge. Projector ka kaam hota hai zooming karna. Cinema hall me aap bade parde par jo seen dekhte ho use projector se hi bada kiya jata hai. Aaj mai aapko aysi trick bta raha hu jiski madad se aap apne smart phone ko projector ki tarah istmal kar sakte ho or apne ghar ki kisi bhi diwar par parda laga kar bade parde par movies dekh sakte hai.
Smart Phone Ko Projector Ki Tarah Istmal Kaise Kare?

Ji ha dosto ab aap apne smart phone ki madad se apne ghar me hi cinema hall bana kar movie dekh sakte hai. Iske liye aapko bas ek shoes cartoon or Magnifying glass ki jarurat padegi. Follow below step:-
- Magnifying lens ko shoes box ki ek side me rakh ke mark kare or mark kiye gaye cartoon ko blad se kat kar holl bana le.
- Box me holl karne ke bad lens ko us me fit kar ke gond ki madad se chipka de.
- Ab aapko image ke anusar box me dusri taraf apna smart phone rakhne ke liye stand banana hai. Aap koi bhi cheez ki madad se stand bana sakte hai.
- Apne smartphone me koi bhi movie ya video chala kar stand par rakhe. Mobile ki screen Magnifying lens ki taraf karni hai.
- Aapke mobile ke focus ko cutch kar Magnifying lens use zooming kar output nikalega. Ab mobile ko aage piche kar ke aapko jis size me video dekhna hai set kare.
- Mobile ki video brighttness 100% kar le taki video full clear dikhe.
3. Panorama Shouts Me Kai Bar Dikhna:
Aap panorama apps se ek sath apne kei pose shoot kar sakte ho. Agar aapke smart phone me panorama app nahi hai to yaha se download kar le. Hum jab apna photo lete hai to usme aas pass ke log bhi dikhayi dete hai magar panorama apps ki madad se aap sirf apna hi photo sout kar sakte ho.
Panorama Se Sirf Apna hi photo Shoot Kaise Kare?
Agar aapko ek hi photo me apne kei pose shoot karne hai to ye bahut aasan hai aapko bas photo shoot karte waqt photographer ke piche se dusri taraf bhagna hai. Is tarah aap ek hi photo me kei jagah aa sakte ho.
4. Earphone Se Photo Shout Kare:
Aap apne smart phone ke earphone ko kya kaam me lete ho Music, FM sunne me. Magar kya aapko pata hai ki aap earphone ki madad se photo bhi le sakte ho. Chalo aaj mai aapko btata hu ki earphone se photo kaise khich sakte hai.
Earphone Se Photo Kaise Khich Sakte Hai?
Aap jab new smart phone kharidte ho to lagbhag sabhi ke sath earphone aata hai. Earphone sirf music sunne ke kaam hi nahi aata hai balki isse hum photo bhi khich sakte hai.
Actually, earphone me jo play / pause ka buttan hota hai usse aap smart phone ko bina touch kiye photo khich sakte ho sath hi aap value kam jyada wale buttan se camera ko zoom in and zoom out kar sakte ho. Apne aap ka photo khichne me ye trick bahut kargar hai. Yaad rahe ye trick extra liye gaye earphone me kaam kam karta hai isliye extra earphone lene se pahle check kar le.
5. Lens Ki Quality Badhana:
Humare smart phone ka camera acha hone ke baad bhi kei bar hum usse or bhi acha photo lene ki sochte hai. Ye aadat lagbhag sabhi smart phone user ki hoti hai. Wo sochte hai ki kash mai thoda or acha photo khich sakta to mai aapko ek tips bta raha hu apne smart phone ke camera ki quality se bhi jyada better photo lene ki.
Smart Phone Ke Camera Ki Qulity Kaise Badhaye?
Jab aap apne smart phone se photo shoot karo to smart phone ke camera par pani ki ek jara si boond dal kar photo shoot kare or result dekhe photo kitna better aata hai. Isse bina zooming kiye kafi had tak zooming me photo shoot hota hai yani aap is trick ki madad se photo ko or bhi jyada zoom kar sakte ho. (Dhyan rahe mobile ke andar pani nahi jana chahiye sirf jara si ek boond hi use karni hai.)
6. Android Device Manager:
Android device manager ek aysa apps hai jo aapke khoye huye phone ka pata laga sakta hai. Iski madad se aap apne khoye huye phone ke password bhi change kar sakte ho or phone ke sare data bhi mita sakte ho. Jisse phone dead ho jayega or chor ke koi kaam ka nahi rahega. Wese internet par phone ki location btane wale bahut se apps hai par ye apps sanse alag hai. Phone location pata karne ke liye aap ye post read kare Mobile Phone Khone Par Mobile Ki Location Kaise Pata Kare
Android Device Manager Kaise Kaam Karta Hai?
Sabse pahle apne smartphone me android device manager apps download kar le. Aap yaha se bhi download kar sakte hai.
- android device manager apps ko apne phone me install kare.
- Ab apps ko apne google account se connect kar le.
- Ek bar google account se connect hone ke bad jitni bar aapka phone activate hoga utni bar aapke google account par uski jankari bhej di jayegi.
- Sabse khas baat ye hai ki aapke phone ke chori hone ke baad aap apne phone ke password change kar sakte ho.
- Aap chaho to is apps ki madad se phone ke sare data delete / remove kar apne chori huye phone ko dead kar sakte ho.
7. Smart Phone Ki Soud Quality Badhana:
Bahut se phones me high volume speaker na hone ke karan adhik sound nahi hoti magar aap chahe to is trick se apne smartphone ki sound ko kafi had tak badha sakte ho. Iske liye aapko seese ke ek khali zaar ki jarurart padegi.
Smart Phone Ki Soud Quality Kaise Badhaye?
Apne smartphone me music on kar ke phone ko khali zarr me rakh de or result dekhe phone ki aawaz kafi had tak badh jayegi. Zaar me phone rakhne se speaker ke sound idhar udhar nahi failti or zaar ke upari khule hisse se ekdam bahar aati hai, isliye phone ki sound badh jati hai.
8. Use Your Phone as a Wireless Hotspot:
Ji haa, dosto aap apne smart phone ko modem, wireless ki tarah bhi use kar sakte ho. Bahut se logo ko iski jankari nahi hoti or wo apne computer ke liye new modem, wireless kharid lete hai. Mai unse kahna chahunga ki agar unke pas smart phone hai to unhe modem lene ki koi jarurart nahi hai.
Smart Phone Me Wireless Hotspot Kaise Use Kare?
- Apne phone ki setting me jaye.
- More option par click kare.
- ‘Tethering & portable hotspot’ par click kare.
- Portable WI-FI hotspot ko on kare.
- Ab Portable WI-FI hotspot ko left side par click kare or apne WI FI ke password set kare taki koi or aapke wi fi se net na chala sake.
- Ab apne PC me network search kare waha aapke phone ke wi-fi ka naam aa jayega. Apne password set kar ke connect kar le.
9. Set Mobile Data Limit:
Apne android mobile me aap ne ye option jarur dekha hoga par ise kaise use kare iski jankari shayad hi kuch logo ko hogi. Kei bar kya hota hai ki hum internet chalate rahte hai or jyada internet pack istmeal hota hai or jab MB khatm ho jati hai to humare sare paise bhi kat jate hai. Ye bat aap bhi jante hai ki net pack na ho to internet chalane par kitne adhik paise kat’te hai. Aaj mai aapko aysa tarika bta raha hu jiski madad se aapka ek bhi rupees nahi katega.
Mobile Data Limit Set Kar Ke Paise Kaise Bachaye?

Aap mobile data limit option par ja kar orange color ki line se data limit set kar sakte hai.
Man lo aapki sim me 200 MB hai or aap internet chala rahe hai. Isliye bar bar apna internet pack check karte rahte hai ki kahi pack khatm na ho jaye or aapke paise na kat jaye. Is problem ko khatm karne ka tarika smart phone me pahle se hota hai. Bas aapko data limit set karni hai.
- Agar aapke phone me 200MB hai to aap phone ke data limit setting me ja kar orange line se 190MB par data limit set karo.
- Ab jab aap 190mb use kar loge to smart phone data connection ko automatic band kar dega.
- So agar aap ye bhi set kar sakte hai ki aaj mujhe kitni mb use karni hai TO isse aapke paise nahi katenge or aapko smart phone pahle hi alert kar dega.
10. Use Multiple Google Account in One Smart Phone:
Agar aap apne smart phone me ek hi google account use karte ho to mai aapko bta du ki aap ek se jyada google gmail account bhi smart phone me ek sath use kar sakte ho. Isse aapko bar bar dusri id se log in karne ki jarurat nahi padegi or aapko 2-3 email ID manage karne me aasani hogi.
Smart Phone Me Multiple Google Accounts Kaise Use Kare?
- Apne phone ki setting me jaye.
- Ab account>> Add account par click kare.
- Apni email id se log in kare.
- Is tarah aap kei email id se log in kar sakte ho.
Apne phone 3-4 google account se jyada account se log in na kare warna aapki email id block bhi ho sakti hai. So main aapko yahi kahunga ki aap ek phone me kam se kam account se log in kare ya fir ek se sign out karne ke bad dusre se sign in kare.
Ummid hai aapko meri ye post pasand aayi hogi. Agar ye bat sach hai to is post ko share karke aap bhi humari help kare or agar aapko internet se related koi sawal pchna hai to mai aapko comment karne ko suggest karna chahunga.
krishna gurjar
Brother mujhe bataiye ki kya hum android phone se apni website bana sakte hai Blog ke bare me muje puri jankari do plzzz
Jumedeen Khan
Ha bana sakte ho. Ye post padho Free website banane ki puri jankari
virendra choudhary
bhai
mere galaxy s4 he jissse remote control wala features muje smj nhi aaya h ,,,, wo konsi apps tv ac etc cantrol hote he ,,? or wo keval smart tv ko hi cantrol kr sqta he ya normal tv ko bii
or bhaiiii isme cmera ki power bdana ho ta kya kre ,,?
tnq
Jumedeen Khan
Koi bhi TV ho sab me kaam karta hai.
virendra choudhary
bhaiii
wo konsii app he iska name bta doo ,,plzz
Jumedeen Khan
Google play store par ja kar TV remote search karo. Bahut sari apps smilegi. Koi bhi download kar lo.
pukhrajpukhrajsad
Kya hu bhai koi tv app ka name to btavo
Jumedeen Khan
Aap bina internet ke kuch bhi nahi chala sakte. Hotstar app use karo.
hubaira mohammadi
Mere mobile me otg saport n h m kia karoo jis se mere mobile m otg saport ho jay
hitesh kumar
Email se phone number kaise wapis kese late hai
kiran
mere phone ka back camera on nhi hota jab b on kro phone off ho jta h mai kya kru.
chandrapal
aap pehle mobile setting m ja ke use reset kr k dekhe yesa krne se aapka data khtm ho jayenga
uske baad bhi na ho to aap mobile shop pr chack krbao
Vishal adwani
Meri pen drive me kuch show nahi Ho raha jab me laptop me laga raha Hu sirf ye Bata raha hai install Ho chuki hai pen drive SanDisk Ki pen drive hai 8gb Ki and mere laptop me wifi connected show Ho raha hai but Vo limited access show kar raha kya karu help kare
Jumedeen Khan
Aap pandrive ko kisi or computer me laga kar check karo. aap jis broadband connection se apne laptop ko jod rahe ho. Laptop ko usse internet data nahi mil raha hai.
Kamran
Sir mera phone samsung galaxy note2 kisi ne chori kar liya hai par uska net nahi chalu hai aur na hi g+ account hai please help me
Jumedeen Khan
Fir koi solution nahi hai. net chalu hone par hi aap phone ka pata laga sakte ho.
Binay
Lenovo A6000 mobile mein otg support kaise karega..
Vicky Sagar
Bhai mujhe smartphone k hardware ke bare m btaiye ki phone me kon si cheej kya krti h
Jumedeen Khan
Vicky hardware ke bare me mai aapko guide nahi kar sakta. iske liye aap hardware macknice se contact karo.
Pankaj Kumar
Bhai jaise mujhe mobile ki khobiyon ke baare main acchi tarah se pata hai ki kaun se company ka kaun sa mobile sabse top aur features wala aur sasta hai to kya main in companion ke mobile ko Jo best features wali aur sasti hai.
Apne website main inka post bana sakta hoon ya nahi.
Jaise Samsung mobile, intex mobile, lava mobile, Karbonn mobile etc companion ke mobile main ye mobiles sabse top hai.
Kya dushri companion ke bandhiya mobilon main se Jo best khubi wali aur sasti hai in mobile ko apne website main post karne se website ke blok hone ki sambhawna rahti hai ya nahi.
Please tell me.
Jumedeen Khan
Ha bana sakte ho. nahi isse aapki site block nahi hogi.
Vishal adwani
Bhai agar aisa hai to mujhe apni website jarur batana
amir
sir my amir khaleel hi me YouTube se kamai karna chata plz apna whatapps id yh phon no do plz my whatsapp no 916180166 hi or mere mobile no 8116785020 hi plz help me
Jumedeen Khan
Aap mujhe facebook par contact kar sakte ho.
Abuzar siddiqui
hello bhai Android mobile se photo ka background kaise change hota hai please bhai tell me
mayur
Sir micromax a65 version hai root kese kare kingoo root kingroot farmaroot vroot z4root sb use kr liye pr ni ho rha kuch solution batay
kaifi
Blog kaise bnaye blog or website same hi ko kaHteh na..or blog bnane ke baad kya kre jo earning kr sake ye AdSense kya hai kaise kre …plzzz btaye maine WiFi lGaY hai ghar me is liye aBhi new hun..sab kuch janna chahta hun…net nhi rahne ke karan mai kuch nhi kr Saka bt ab meri app help kijiye
Jumedeen Khan
aap ye post padho Website (Blog) Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye
Albert
Sir kya main apne mobile me DSLR Camera taif ka photo Khich ya Edito kar sakta hun kya agr yesi koi apps ho to plz sir Bataye.
Jabir Husain
Hi
mere pas ‘Samsung Galaxy Core ll’ aur usme “Android Device Manager” install kar k apke bataye gaye instructions ko follow kiya. but is app me sirf ‘Ring’ ka option highlight ho raha hai magar ‘Lock’ & ‘Erase’ ke options highlights nahi ho rahe.
Please your solution.
Jumedeen Khan
Iske liye aapke khoye huye phone me iski setting enable honi chahiye.
suraj
Hello friends mai apna photo google pe upload karna chah rahe hai
Jo,ki koi mera naam se search kar to mujhe dekh sake
Jumedeen Khan
Aap apna photo facebook ,google plus, twitter or blog kisi par bih pubcly upload karo. Google me aapka photo show hone lag jayega.
suresh
Mere paas samsung grand prime phone hai muje usb cable se LED tv ke sath conect karna hai nahi ho raha please kaise kare
muzammil
Bhai mera phone samsung galaxy e7 hain mere mobile par otg support nahi hain kya koi aisI trike hain jis se main otg support kar sak ta hun
Jumedeen Khan
Nahi aysi koi trick nahi hai.
Lucky
Bhai muje apni google id se apne content delete karne mere google I’d par kuch number dowle save ho gaye hai muje unhe delete karne hai
Jumedeen Khan
Apni google id par ja kar privacy policy me sabkuch only me kar do. Aapki sari information hide ho jayegi.
Alfahad khan
Bhai mujhe call hack karne ke bare me bata sakte ho
Jumedeen Khan
Sorry Alfahad mai hacking ki jankari nahi de sakta.
Alfahad khan
Bhai mujhe kafi jarurat hai app mere no. pe de sakte hai i promise koi miss use nahi hoga
Jumedeen Khan
Mera matlab hai ki mai hacking ki jankari nahi deta hu.
Mahesh rathod
sir mera ans abhi tak nahi mila sir ak asi app h jisme widout data k dd durdarshan chenal chalta h plz
Jumedeen Khan
Nahi aysi koi apps nahi hai.
sameer Raza khan
Me saudi Arabia me hu mujhe kuch apps ply store se lod krna he jese hotstar ki aap pr jab ise dwonlod kr ne ke liye ply store me jata hu to bolta he ye aap ki contry ke liye nahi he block he to kuch ho sakta he bhai
Jumedeen Khan
Sameer, aapke country me internet full allow nahi hai. So isme mai or aap kuch nahi kar sakte. ye aapki goverment par depend karta hai. Uske allow karne par hi aap ye apps use kar sakte ho.