अगर आपके पास Smart Phone है तो आपको पता होना चाहिए कि आप क्या कर सकते हैं। इस आर्टिकल में मैं आपको बता रहा हूं कि आप calling, messaging, chatting, internet चलाने के अलावा अपने smartphone से कुछ और भी काम कर सकते हैं। स्मार्ट फोन में कुछ ऐसे फीचर्स (features) भी होते हैं जिनके बारे में आप शायद ही जानते हों। जैसे फोटो खींचना, movie बनाना, रिमोट को चेक करना, multiple panoramic shot, high quality lens बना कर big cinema बनाना जैसे अन्य बहुत काम किए जा सकते हैं।

Aaj ke time me har ek aadmi ke pas android mobile, iOS, iPad, wondwos phone, apple smartphone mil jayenge. Mai yaha par aapko smartphone ke kuch top features ke bare me bta raha hu agar aapne ye feature try nahi kiye ho to aap try kar sakte hai.
Smart Phone Kar Sakta Hai Ye 10 Kaam Shyad Aap Inke Bare Me Nahi Jante Honge
Smartphone ne aaj bahut se kaam aasan kar diye hai. Aaj computer par hone wale kaam online internet se smart phone par hi ho jate hai. Aayiye inme se kuch ke bare me hum bhi jante hai ki Smartphone kar sakta hai ye 5, 7, 10 kaam, jinke bare me har koi nahi janta hai”.
1. TV Ya Kisi Or Remote Ko Check kare:
Bahut bar humare sath aysa hota hai ki TV, Music player, DVD ka remote kaam karna band kar deta hai to hume bahut problem hoti hai. Ye problem shayad aapko bhi aayi hogi. Ayse time me hum remote ki battery, sell change karke remote ke sahi hone ka pata lagane ki koshish karte hai.
Jab battery, sell change karne ke bad bhi remote kaam nahi karta to hume ye confusing rahti hai ki remote sahi hai ya kharab ho gaya hai. Magar aapka smart phone is is problem ko 1 second me solve kar sakta hai yani ab aap apne android phone se remote ke sahi ya kharab hone ka pata laga sakte hai.
- Internet Se Ghar Baithe Online Paise Kaise Kamaye
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
Remote Sahi Hai Ya Kharab Kaise Pata Kare?

Smart phone se kisi bhi remote ka sahi ya kharab hone ka pata lagana bahut hi aasan hai. Meri btayi ye trick follow kare.
Apne smart phone ka camera on kare or remote ke sensor ko camera ke samne kar ke remote ka koi bhi buttan dabaye. Agar remote sahi hoga to remote ke sensor ki light blink karti huyi nazar aayegior agar sensor light blink nahi hoti hai to aapka remote 100% kharab hai.
2. Use Your Smart Phone as a Projector:
Projector ke bare me to aap jante hi honge. Projector ka kaam hota hai zooming karna. Cinema hall me aap bade parde par jo seen dekhte ho use projector se hi bada kiya jata hai. Aaj mai aapko aysi trick bta raha hu jiski madad se aap apne smart phone ko projector ki tarah istmal kar sakte ho or apne ghar ki kisi bhi diwar par parda laga kar bade parde par movies dekh sakte hai.
Smart Phone Ko Projector Ki Tarah Istmal Kaise Kare?

Ji ha dosto ab aap apne smart phone ki madad se apne ghar me hi cinema hall bana kar movie dekh sakte hai. Iske liye aapko bas ek shoes cartoon or Magnifying glass ki jarurat padegi. Follow below step:-
- Magnifying lens ko shoes box ki ek side me rakh ke mark kare or mark kiye gaye cartoon ko blad se kat kar holl bana le.
- Box me holl karne ke bad lens ko us me fit kar ke gond ki madad se chipka de.
- Ab aapko image ke anusar box me dusri taraf apna smart phone rakhne ke liye stand banana hai. Aap koi bhi cheez ki madad se stand bana sakte hai.
- Apne smartphone me koi bhi movie ya video chala kar stand par rakhe. Mobile ki screen Magnifying lens ki taraf karni hai.
- Aapke mobile ke focus ko cutch kar Magnifying lens use zooming kar output nikalega. Ab mobile ko aage piche kar ke aapko jis size me video dekhna hai set kare.
- Mobile ki video brighttness 100% kar le taki video full clear dikhe.
3. Panorama Shouts Me Kai Bar Dikhna:
Aap panorama apps se ek sath apne kei pose shoot kar sakte ho. Agar aapke smart phone me panorama app nahi hai to yaha se download kar le. Hum jab apna photo lete hai to usme aas pass ke log bhi dikhayi dete hai magar panorama apps ki madad se aap sirf apna hi photo sout kar sakte ho.
Panorama Se Sirf Apna hi photo Shoot Kaise Kare?
Agar aapko ek hi photo me apne kei pose shoot karne hai to ye bahut aasan hai aapko bas photo shoot karte waqt photographer ke piche se dusri taraf bhagna hai. Is tarah aap ek hi photo me kei jagah aa sakte ho.
4. Earphone Se Photo Shout Kare:
Aap apne smart phone ke earphone ko kya kaam me lete ho Music, FM sunne me. Magar kya aapko pata hai ki aap earphone ki madad se photo bhi le sakte ho. Chalo aaj mai aapko btata hu ki earphone se photo kaise khich sakte hai.
Earphone Se Photo Kaise Khich Sakte Hai?
Aap jab new smart phone kharidte ho to lagbhag sabhi ke sath earphone aata hai. Earphone sirf music sunne ke kaam hi nahi aata hai balki isse hum photo bhi khich sakte hai.
Actually, earphone me jo play / pause ka buttan hota hai usse aap smart phone ko bina touch kiye photo khich sakte ho sath hi aap value kam jyada wale buttan se camera ko zoom in and zoom out kar sakte ho. Apne aap ka photo khichne me ye trick bahut kargar hai. Yaad rahe ye trick extra liye gaye earphone me kaam kam karta hai isliye extra earphone lene se pahle check kar le.
5. Lens Ki Quality Badhana:
Humare smart phone ka camera acha hone ke baad bhi kei bar hum usse or bhi acha photo lene ki sochte hai. Ye aadat lagbhag sabhi smart phone user ki hoti hai. Wo sochte hai ki kash mai thoda or acha photo khich sakta to mai aapko ek tips bta raha hu apne smart phone ke camera ki quality se bhi jyada better photo lene ki.
Smart Phone Ke Camera Ki Qulity Kaise Badhaye?
Jab aap apne smart phone se photo shoot karo to smart phone ke camera par pani ki ek jara si boond dal kar photo shoot kare or result dekhe photo kitna better aata hai. Isse bina zooming kiye kafi had tak zooming me photo shoot hota hai yani aap is trick ki madad se photo ko or bhi jyada zoom kar sakte ho. (Dhyan rahe mobile ke andar pani nahi jana chahiye sirf jara si ek boond hi use karni hai.)
6. Android Device Manager:
Android device manager ek aysa apps hai jo aapke khoye huye phone ka pata laga sakta hai. Iski madad se aap apne khoye huye phone ke password bhi change kar sakte ho or phone ke sare data bhi mita sakte ho. Jisse phone dead ho jayega or chor ke koi kaam ka nahi rahega. Wese internet par phone ki location btane wale bahut se apps hai par ye apps sanse alag hai. Phone location pata karne ke liye aap ye post read kare Mobile Phone Khone Par Mobile Ki Location Kaise Pata Kare
Android Device Manager Kaise Kaam Karta Hai?
Sabse pahle apne smartphone me android device manager apps download kar le. Aap yaha se bhi download kar sakte hai.
- android device manager apps ko apne phone me install kare.
- Ab apps ko apne google account se connect kar le.
- Ek bar google account se connect hone ke bad jitni bar aapka phone activate hoga utni bar aapke google account par uski jankari bhej di jayegi.
- Sabse khas baat ye hai ki aapke phone ke chori hone ke baad aap apne phone ke password change kar sakte ho.
- Aap chaho to is apps ki madad se phone ke sare data delete / remove kar apne chori huye phone ko dead kar sakte ho.
7. Smart Phone Ki Soud Quality Badhana:
Bahut se phones me high volume speaker na hone ke karan adhik sound nahi hoti magar aap chahe to is trick se apne smartphone ki sound ko kafi had tak badha sakte ho. Iske liye aapko seese ke ek khali zaar ki jarurart padegi.
Smart Phone Ki Soud Quality Kaise Badhaye?
Apne smartphone me music on kar ke phone ko khali zarr me rakh de or result dekhe phone ki aawaz kafi had tak badh jayegi. Zaar me phone rakhne se speaker ke sound idhar udhar nahi failti or zaar ke upari khule hisse se ekdam bahar aati hai, isliye phone ki sound badh jati hai.
8. Use Your Phone as a Wireless Hotspot:
Ji haa, dosto aap apne smart phone ko modem, wireless ki tarah bhi use kar sakte ho. Bahut se logo ko iski jankari nahi hoti or wo apne computer ke liye new modem, wireless kharid lete hai. Mai unse kahna chahunga ki agar unke pas smart phone hai to unhe modem lene ki koi jarurart nahi hai.
Smart Phone Me Wireless Hotspot Kaise Use Kare?
- Apne phone ki setting me jaye.
- More option par click kare.
- ‘Tethering & portable hotspot’ par click kare.
- Portable WI-FI hotspot ko on kare.
- Ab Portable WI-FI hotspot ko left side par click kare or apne WI FI ke password set kare taki koi or aapke wi fi se net na chala sake.
- Ab apne PC me network search kare waha aapke phone ke wi-fi ka naam aa jayega. Apne password set kar ke connect kar le.
9. Set Mobile Data Limit:
Apne android mobile me aap ne ye option jarur dekha hoga par ise kaise use kare iski jankari shayad hi kuch logo ko hogi. Kei bar kya hota hai ki hum internet chalate rahte hai or jyada internet pack istmeal hota hai or jab MB khatm ho jati hai to humare sare paise bhi kat jate hai. Ye bat aap bhi jante hai ki net pack na ho to internet chalane par kitne adhik paise kat’te hai. Aaj mai aapko aysa tarika bta raha hu jiski madad se aapka ek bhi rupees nahi katega.
Mobile Data Limit Set Kar Ke Paise Kaise Bachaye?

Aap mobile data limit option par ja kar orange color ki line se data limit set kar sakte hai.
Man lo aapki sim me 200 MB hai or aap internet chala rahe hai. Isliye bar bar apna internet pack check karte rahte hai ki kahi pack khatm na ho jaye or aapke paise na kat jaye. Is problem ko khatm karne ka tarika smart phone me pahle se hota hai. Bas aapko data limit set karni hai.
- Agar aapke phone me 200MB hai to aap phone ke data limit setting me ja kar orange line se 190MB par data limit set karo.
- Ab jab aap 190mb use kar loge to smart phone data connection ko automatic band kar dega.
- So agar aap ye bhi set kar sakte hai ki aaj mujhe kitni mb use karni hai TO isse aapke paise nahi katenge or aapko smart phone pahle hi alert kar dega.
10. Use Multiple Google Account in One Smart Phone:
Agar aap apne smart phone me ek hi google account use karte ho to mai aapko bta du ki aap ek se jyada google gmail account bhi smart phone me ek sath use kar sakte ho. Isse aapko bar bar dusri id se log in karne ki jarurat nahi padegi or aapko 2-3 email ID manage karne me aasani hogi.
Smart Phone Me Multiple Google Accounts Kaise Use Kare?
- Apne phone ki setting me jaye.
- Ab account>> Add account par click kare.
- Apni email id se log in kare.
- Is tarah aap kei email id se log in kar sakte ho.
Apne phone 3-4 google account se jyada account se log in na kare warna aapki email id block bhi ho sakti hai. So main aapko yahi kahunga ki aap ek phone me kam se kam account se log in kare ya fir ek se sign out karne ke bad dusre se sign in kare.
Ummid hai aapko meri ye post pasand aayi hogi. Agar ye bat sach hai to is post ko share karke aap bhi humari help kare or agar aapko internet se related koi sawal pchna hai to mai aapko comment karne ko suggest karna chahunga.
Suraj
sir
mere sim k sare number delete ho gaye hai . kya mai unhe wapas pa sakta hu
Aman Rajput
kya me bina mb karch kiye movie dhek sakta hu android me.
Jumedeen Khan
Nahi.
sachin pillu pal
hello sir u r great aapne bahut achhi jankari di dhanywaad.
MAHAMMA AMAN
Mai apna FB acaccount. Bandh karna chahta hu to kaise karu plz reply me
Jumedeen Khan
Bahut simple hai facebook setting > account setting me jao or account ke samne deactivate par click karo.
sohan rawat
Nice job
kavit
Sir ji cab book krni hoti h subki I’d alag alag h
Per samart phone 1 hi h.
Phone me 2 I’d se jyada I’d nhi open hoti
Phone limit puri batata h.plz help kya kren.tnx
Jumedeen Khan
Alag alag browser me kar sakte ho.
hubaira mohammadi
Hello sir m apna blog banaya h
hubairatrick.blogspot.com
Is se m apna sab kuchh shear kar pata hu but aap jaise. Comments dekh lete h aor us ka jawab bhi dete h ye kaise hoga mujhe samajh m.n araha h please bata dijiye
Jumedeen Khan
Aap blog ki template change karo. ye post padho Blogspot Par Free Blog Banane Ke Bad Kya Kare Full Guide
manjeet singh
dost mere phone se jo ki ( spice mi-506 ) hai se fB par punjabi show nhi ho rahi hai , phone me hindi , english , marathi , urdu , etc bhasha to hai punjabi nhi hai , mene kai punjabi wale apps liye , phone me punjabi ka key bord to show ho raha hai pr na to kuchh likh raha hai or na fb dosto ka punjabi me likha pad pa raha hu ,
sunil kumar
Humko Indian team me jana h kaese jaege please any no
Shubham
Mera Facebook password kisi ne hack kar liya hai so please help me .. mujhe apna password badlne ka trick batae
Jumedeen Khan
Bahut hi simple hai facebook setting me ja kar apne password change kar lo or strong password banana.
Pankaj Kumar
Bhai main aap se is topic ke atirikt kuchh puchhna chaahta hoon please bataayiye
Main ek din main whatapp, messenger se kitni der tak aur kitni baar free main voice call kar Santa hoon.
Aur isi prakaar Skype se bhi kitni baar aur kitni der tak ek din main voice aur
video call free main kar Santa hoon.
You are may best helper.
Please tell me.
Jumedeen Khan
Jab tak aapke mobile MB pack hai tab tak kar sakte ho.
ashish agarwal
Bhai mujhe asi SAP chahiye Jesse me kisi ka bhi no ho me us number ko track jar lu
naresh kumar
Sir mera mobile lava iris x5 4g kho gya hai kya iska pata lagaya ja sakta hai please batae
akib khan ansari
hallo mujhe ye batao ki hotstar se cricket online kaise dekhte hai please comment
Jumedeen Khan
Bahut simple hai aap hotstar apps ko apne mobile me install karo or uske home page par jao. waha par first me hi live cricket ka option hota hai us par click karke dekh sakte ho.
Imteyaj alam
Sir mujhe ap se ek help chahiye, agar koe admi mera phone touch karta hai to uski photo hamari mobile me ajae
Girish joshi
Hi
Sir aap apne phone me playstore se
cm security
naam ka app install kar dijiye. Isase aapke phone ko koi touch karta hai to uski pic aa jayegi..
Vinod prajapat
thanks bhai meri gmail id open ho gayi h mene ek computer me apni gmail id ko open kia or usme forget password kiya to mobile no. se recovery ho gayi or new password dal dia ye kam mobile se nahi hua
Ayesha Pallett
Galaxy S7 It’s not just a new phone. It brings a new way of thinking about what a phone can do
Vinod prajapat
MeMere gmail accont ka password bhul gaya hu jab gmail login karta hu to ye aata h
Your password was changed 26 days ago.Didn’t change your password?
Or foget password karne par option aate h
Contact information
Where should we email you to reset your password? (Required)
Enter an email address where we can reach you about resetting your password. Double check that you have access to it because you can’t change it later.
It helps if you enter an email address that you already added to this account.
Pata nahi kon si email id h isme
Jumedeen Khan
Aapne jo recovery email id dali thi wo add karo ya mobile number se password reset karo.
Vinod prajapat
Recovery email id yaad nahi h or mobile no se reset kese karu
ye id mere email messenger me khuli hui h but usme password nahi dikhai deta
Jumedeen Khan
1. go to gmail.com
2. click on need help?
3. i don’t know my username par select karo or continue par click karo.
4. ab Enter your recovery phone number par select karke apne mobile number add karo.
is tarah se kar sakte ho.
robin chauhan
By Robin
Hlo sir u r great
Bhut achi jankari di apne
Sir mujhe btayenge ki
Fake pic bnane ke liye
Kon se app ki jarurat
Hoti h and fake video bnane ke liye bhi koi app ho to bta dijiye.sir plzz ans me???
Vinod prajapat
Sir mere Nokia xl phone m google play service chalta nahi bar bar stop ho jata uske bina koi bhi game ya bade aap nahi chal pate
Jumedeen Khan
Aap google play services ko update kare.
Neeraj
Ye blog dekh ke batao AdSense mil sakta hai kya or design kaisi he blog ki anybloghelp.blogspot.com
Jumedeen Khan
Ha ho sakta hai.
bharat
Bhai mere ko single name I’d banani h Facebook ki… Trick btao
shashank shekhar
sir mujhe ek form fill krna h phone se uspe photo or signature upload kar skte h????ya nahi plz tell me quickly
vikash vashishtha
Pahale apana mujhe fb ki emel id do me fb par bat karunga
Jumedeen Khan
facebook.com/jumedeenkhan
shail malik
Friend mujhe is site me apni picture lagani h please help
vaibhab kushwaha
Kisi phone ki play store ki id pata ho to ham kaise pata kare ki us id se kitne aaps download hue hai.
Ye pata chal ja raha hai ki kitne aaps unstal hue hai pr ye nahi pata chal rha ki kaun kaun se aaps abhi hai us phone me.
Pratik Gidde
Hi bro Main samsung galaxy grand 2
Use karta hu aur mera friend samsung core prime use karta hai aur uske phone me app hide Options aata hai aur mere phone me aap hide Options nahi aata
Please please please please kuch tarika batado jise me app hide kar saku aur mere bhi phone me aap hide Options aa sake
shail malik
360 launcher install karo hide apps option aajayega