Smart Phone कर सकता है ये 10 काम क्या आपने कभी Try किया है?

अगर आपके पास Smart Phone है तो आपको पता होना चाहिए कि आप क्या कर सकते हैं। इस आर्टिकल में मैं आपको बता रहा हूं कि आप calling, messaging, chatting, internet चलाने के अलावा अपने smartphone से कुछ और भी काम कर सकते हैं। स्मार्ट फोन में कुछ ऐसे फीचर्स (features) भी होते हैं जिनके बारे में आप शायद ही जानते हों। जैसे फोटो खींचना, movie बनाना, रिमोट को चेक करना, multiple panoramic shot, high quality lens बना कर big cinema बनाना जैसे अन्य बहुत काम किए जा सकते हैं।

Aaj ke time me har ek aadmi ke pas android mobile, iOS, iPad, wondwos phone, apple smartphone mil jayenge. Mai yaha par aapko smartphone ke kuch top features ke bare me bta raha hu agar aapne ye feature try nahi kiye ho to aap try kar sakte hai.

Smart Phone Kar Sakta Hai Ye 10 Kaam Shyad Aap Inke Bare Me Nahi Jante Honge

Smartphone ne aaj bahut se kaam aasan kar diye hai. Aaj computer par hone wale kaam online internet se smart phone par hi ho jate hai. Aayiye inme se kuch ke bare me hum bhi jante hai ki Smartphone kar sakta hai ye 5, 7, 10 kaam, jinke bare me har koi nahi janta hai”.

1. TV Ya Kisi Or Remote Ko Check kare:

Bahut bar humare sath aysa hota hai ki TV, Music player, DVD ka remote kaam karna band kar deta hai to hume bahut problem hoti hai. Ye problem shayad aapko bhi aayi hogi. Ayse time me hum remote ki battery, sell change karke remote ke sahi hone ka pata lagane ki koshish karte hai.

Jab battery, sell change karne ke bad bhi remote kaam nahi karta to hume ye confusing rahti hai ki remote sahi hai ya kharab ho gaya hai. Magar aapka smart phone is is problem ko 1 second me solve kar sakta hai yani ab aap apne android phone se remote ke sahi ya kharab hone ka pata laga sakte hai.

Remote Sahi Hai Ya Kharab Kaise Pata Kare?

Check TV remote

Smart phone se kisi bhi remote ka sahi ya kharab hone ka pata lagana bahut hi aasan hai. Meri btayi ye trick follow kare.

Apne smart phone ka camera on kare or remote ke sensor ko camera ke samne kar ke remote ka koi bhi buttan dabaye. Agar remote sahi hoga to remote ke sensor ki light blink karti huyi nazar aayegior agar sensor light blink nahi hoti hai to aapka remote 100% kharab hai.

2. Use Your Smart Phone as a Projector:

Projector ke bare me to aap jante hi honge. Projector ka kaam hota hai zooming karna. Cinema hall me aap bade parde par jo seen dekhte ho use projector se hi bada kiya jata hai. Aaj mai aapko aysi trick bta raha hu jiski madad se aap apne smart phone ko projector ki tarah istmal kar sakte ho or apne ghar ki kisi bhi diwar par parda laga kar bade parde par movies dekh sakte hai.

Smart Phone Ko Projector Ki Tarah Istmal Kaise Kare?

Use smartphone as a projector

Ji ha dosto ab aap apne smart phone ki madad se apne ghar me hi cinema hall bana kar movie dekh sakte hai. Iske liye aapko bas ek shoes cartoon or Magnifying glass ki jarurat padegi. Follow below step:-

  1. Magnifying lens ko shoes box ki ek side me rakh ke mark kare or mark kiye gaye cartoon ko blad se kat kar holl bana le.
  2. Box me holl karne ke bad lens ko us me fit kar ke gond ki madad se chipka de.
  3. Ab aapko image ke anusar box me dusri taraf apna smart phone rakhne ke liye stand banana hai. Aap koi bhi cheez ki madad se stand bana sakte hai.
  4. Apne smartphone me koi bhi movie ya video chala kar stand par rakhe. Mobile ki screen Magnifying lens ki taraf karni hai.
  5. Aapke mobile ke focus ko cutch kar Magnifying lens use zooming kar output nikalega. Ab mobile ko aage piche kar ke aapko jis size me video dekhna hai set kare.
  6. Mobile ki video brighttness 100% kar le taki video full clear dikhe.

3. Panorama Shouts Me Kai Bar Dikhna:

Aap panorama apps se ek sath apne kei pose shoot kar sakte ho. Agar aapke smart phone me panorama app nahi hai to yaha se download kar le.  Hum jab apna photo lete hai to usme aas pass ke log bhi dikhayi dete hai magar panorama apps ki madad se aap sirf apna hi photo sout kar sakte ho.

Panorama Se Sirf Apna hi photo Shoot Kaise Kare?

Agar aapko ek hi photo me apne kei pose shoot karne hai to ye bahut aasan hai aapko bas photo shoot karte waqt photographer ke piche se dusri taraf bhagna hai. Is tarah aap ek hi photo me kei jagah aa sakte ho.

4. Earphone Se Photo Shout Kare:

Aap apne smart phone ke earphone ko kya kaam me lete ho Music, FM sunne me. Magar kya aapko pata hai ki aap earphone ki madad se photo bhi le sakte ho. Chalo aaj mai aapko btata hu ki earphone se photo kaise khich sakte hai.

Earphone Se Photo Kaise Khich Sakte Hai?

Aap jab new smart phone kharidte ho to lagbhag sabhi ke sath earphone aata hai. Earphone sirf music sunne ke kaam hi nahi aata hai balki isse hum photo bhi khich sakte hai.

Actually, earphone me jo play / pause ka buttan hota hai usse aap smart phone ko bina touch kiye photo khich sakte ho sath hi aap value kam jyada wale buttan se camera ko zoom in and zoom out kar sakte ho. Apne aap ka photo khichne me ye trick bahut kargar hai. Yaad rahe ye trick extra liye gaye earphone me kaam kam karta hai isliye extra earphone lene se pahle check kar le.

5. Lens Ki Quality Badhana:

Humare smart phone ka camera acha hone ke baad bhi kei bar hum usse or bhi acha photo lene ki sochte hai. Ye aadat lagbhag sabhi smart phone user ki hoti hai. Wo sochte hai ki kash mai thoda or acha photo khich sakta to mai aapko ek tips bta raha hu apne smart phone ke camera ki quality se bhi jyada better photo lene ki.

Smart Phone Ke Camera Ki Qulity Kaise Badhaye?

Jab aap apne smart phone se photo shoot karo to smart phone ke camera par pani ki ek jara si boond dal kar photo shoot kare or result dekhe photo kitna better aata hai. Isse bina zooming kiye kafi had tak zooming me photo shoot hota hai yani aap is trick ki madad se photo ko or bhi jyada zoom kar sakte ho. (Dhyan rahe mobile ke andar pani nahi jana chahiye sirf jara si ek boond hi use karni hai.)

6. Android Device Manager:

Android device manager ek aysa apps hai jo aapke khoye huye phone ka pata laga sakta hai. Iski madad se aap apne khoye huye phone ke password bhi change kar sakte ho or phone ke sare data bhi mita sakte ho. Jisse phone dead ho jayega or chor ke koi kaam ka nahi rahega. Wese internet par phone ki location btane wale bahut se apps hai par ye apps sanse alag hai. Phone location pata karne ke liye aap ye post read kare Mobile Phone Khone Par Mobile Ki Location Kaise Pata Kare

Android Device Manager Kaise Kaam Karta Hai?

Sabse pahle apne smartphone me android device manager apps download kar le. Aap yaha se bhi download kar sakte hai.

  1. android device manager apps ko apne phone me install kare.
  2. Ab apps ko apne google account se connect kar le.
  3. Ek bar google account se connect hone ke bad jitni bar aapka phone activate hoga utni bar aapke google account par uski jankari bhej di jayegi.
  4. Sabse khas baat ye hai ki aapke phone ke chori hone ke baad aap apne phone ke password change kar sakte ho.
  5. Aap chaho to is apps ki madad se phone ke sare data delete / remove kar apne chori huye phone ko dead kar sakte ho.

7. Smart Phone Ki Soud Quality Badhana:

Bahut se phones me high volume speaker na hone ke karan adhik sound nahi hoti magar aap chahe to is trick se apne smartphone ki sound ko kafi had tak badha sakte ho. Iske liye aapko seese ke ek khali zaar ki jarurart padegi.

Smart Phone Ki Soud Quality Kaise Badhaye?

Apne smartphone me music on kar ke phone ko khali zarr me rakh de or result dekhe phone ki aawaz kafi had tak badh jayegi. Zaar me phone rakhne se speaker ke sound idhar udhar nahi failti or zaar ke upari khule hisse se ekdam bahar aati hai, isliye phone ki sound badh jati hai.

8. Use Your Phone as a Wireless Hotspot:

Ji haa, dosto aap apne smart phone ko modem, wireless ki tarah bhi use kar sakte ho. Bahut se logo ko iski jankari nahi hoti or wo apne computer ke liye new modem, wireless kharid lete hai. Mai unse kahna chahunga ki agar unke pas smart phone hai to unhe modem lene ki koi jarurart nahi hai.

Smart Phone Me Wireless Hotspot Kaise Use Kare?

  1. Apne phone ki setting me jaye.
  2. More option par click kare.
  3. ‘Tethering & portable hotspot’ par click kare.
  4. Portable WI-FI hotspot ko on kare.
  5. Ab Portable WI-FI hotspot ko left side par click kare or apne WI FI ke password set kare taki koi or aapke wi fi se net na chala sake.
  6. Ab apne PC me network search kare waha aapke phone ke wi-fi ka naam aa jayega. Apne password set kar ke connect kar le.

9. Set Mobile Data Limit:

Apne android mobile me aap ne ye option jarur dekha hoga par ise kaise use kare iski jankari shayad hi kuch logo ko hogi. Kei bar kya hota hai ki hum internet chalate rahte hai or jyada internet pack istmeal hota hai or jab MB khatm ho jati hai to humare sare paise bhi kat jate hai. Ye bat aap bhi jante hai ki net pack na ho to internet chalane par kitne adhik paise kat’te hai. Aaj mai aapko aysa tarika bta raha hu jiski madad se aapka ek bhi rupees nahi katega.

Mobile Data Limit Set Kar Ke Paise Kaise Bachaye?

Set Data Limit

Aap mobile data limit option par ja kar orange color ki line se data limit set kar sakte hai.

Man lo aapki sim me 200 MB hai or aap internet chala rahe hai. Isliye bar bar apna internet pack check karte rahte hai ki kahi pack khatm na ho jaye or aapke paise na kat jaye. Is problem ko khatm karne ka tarika smart phone me pahle se hota hai. Bas aapko data limit set karni hai.

  1. Agar aapke phone me 200MB hai to aap phone ke data limit setting me ja kar orange line se 190MB par data limit set karo.
  2. Ab jab aap 190mb use kar loge to smart phone data connection ko automatic band kar dega.
  3. So agar aap ye bhi set kar sakte hai ki aaj mujhe kitni mb use karni hai TO isse aapke paise nahi katenge or aapko smart phone pahle hi alert kar dega.

10. Use Multiple Google Account in One Smart Phone:

Agar aap apne smart phone me ek hi google account use karte ho to mai aapko bta du ki aap ek se jyada google gmail account bhi smart phone me ek sath use kar sakte ho. Isse aapko bar bar dusri id se log in karne ki jarurat nahi padegi or aapko 2-3 email ID manage karne me aasani hogi.

Smart Phone Me Multiple Google Accounts Kaise Use Kare?

  1. Apne phone ki setting me jaye.
  2. Ab account>> Add account par click kare.
  3. Apni email id se log in kare.
  4. Is tarah aap kei email id se log in kar sakte ho.

Apne phone 3-4 google account se jyada account se log in na kare warna aapki email id block bhi ho sakti hai. So main aapko yahi kahunga ki aap ek phone me kam se kam account se log in kare ya fir ek se sign out karne ke bad dusre se sign in kare.

Ummid hai aapko meri ye post pasand aayi hogi. Agar ye bat sach hai to is post ko share karke aap bhi humari help kare or agar aapko internet se related koi sawal pchna hai to mai aapko comment karne ko suggest karna chahunga.

Reader Interactions

Comments (313)

  1. hi. .. kisi app ke under se kisi kisi code ko photo me kaise change kare please help me. ….

  2. jumedeen khan mujhe ye batao ki meri face book id 1 year se band hai kholne ke liye koi upay hai kya fast

    • Nahi ab tak wo deactivate ho gayi hogi.

  3. sir mere paas ek leptop aur ek smart phone hai. agar me apne phone ke cemera ko on karke kahin rakh dun toh me kis trah us phone ki live recording apne leptop par kaise dekh sakta hun ya phir dusre smart phone kaise dekh sakta hun

    • ai jald hi iske bare me post likhunga wo padh lena.

  4. mere phone on nhi ho rha h aur uska light senser tho chal rha h charging pe lga rha hu tho light senser kaam kr rha h aur m power key se phone on kr rha hu tho on nhi ho rha plz iske baare m btaao

  5. sir ye lensh kaha milega hamko batoo kaha se le ham

    • Market me kahi se bhi le sakte ho.

  6. Bhai mein apne fone ko restart karu to mere photos nahi udne nahi chahiye to mein kya jaru jab mein fine ko restart karta hu to mere sare photos delete ho jate hai

    • Aap photos ko memory card me move karke card ko phone se alag karke phone reset karo.

  7. Sir mai intex aqua ace phone use karta hu kya koi aisi app hai jis se ki mai apni aavaj badal kar kisi ko call kar saku chahe wo muje kitne bhi dino se janta ho par meri aavaj bilkul na pahchan paye agar aisi koi app hai to please muje bataye

  8. Sir mai new gmail banata hop tho ban bhi jati hai lekin jab kise me play store me apni gmail I’d daalta hop tho do not username and passward aata hai iske liye mujhe kiya karna hoga

    • Aap sahi password or sahi username use kiya karo.

  9. Hello Sir..
    I m Babul Arya,
    From.- Bihar

    mai koi v online work mobile k through kr k kuchh pese kmana chahta hun.
    plz koi achha advice den.?.

    r blogging k bare me v btaye.
    is se kese income kmaya ja skta h kya process h. in details plz.

    • Mai is sab ke bare me kei post kar chuka hu aap humari make money se related post padho.

  10. sire lava iris 356 yuj kar rha hu mere Mobil me auto rotation no hi fer bhe mere Mobil me auto rotation nhi kam kar rha hi kya kru sir please sir koi upay btaye

    • ap mobile ko ek bar reset karo uske bad setting karo ho jayega.

  11. Hello friend mere pass Samsung galaxy grand max hai or me usko update karna chata hu kaise kare pls…. help me

  12. sir mai kisi bhi app se online recharge karta hu to ho nahi ho pata hai usme likhta hai trasection failed debit card se karta hu please mujhe bataye kis trah se hoga jo jo option ata hai mai sab dal deta hu phir bhi nahi hota hai

    • Aapka debit card online shoping support nahi kar raha hai apni branch ya customer care me call karo.

  13. paytm dvara recharge kaise kiya ja h sir please btaiye ..

    • Bahut simple hai aap paytm par account banao or direct mobile recharge option me number or amout dal kar debit card se payment karo.

  14. Sir aap kya mobile repair ke baare me v btayenge

    • Nahi ye tips maine sirf aapki help ke liye share ki hai.

  15. sir….mera moblie me kabhi kabhi touch kam karna band kr deta hai…fir ek do din me fir kaam karna start kr deta haii……kya karu ….kahi heatng prob. to nhi?

    • Aap mobile repairing center ya shop par dikhao.

  16. Gmail password badalne ka koi aasan tarika batayen.

    • Aap gmail par log in karke password change kar sakte hai.

  17. sir mera naam ambrish singh hai mere pass micromax canvas doodle 4 hai isme recent app one click me clear nahi hote hai mujhe ek ek karke karna padta hai…. agar koi recent app clear karne ka app ata hai to bataiye yaa koi tarika bataiye clear karne ka

  18. Sr.wifi lagane men kitna kharch ho ga kiya ye kahin bhi lagaya ja sakta hai

    • Nahi jaha par wifi landline ho wohi par lagaya ja sakta hai. totally 5000 ke aaspas.

  19. Mere playstore me download painding aaraha hai download nahi ho raha hai to to plz halp me

    • Aapke mobile me playstore updated nahi hai. Aap jab bhi koi apps download karte ho to pahle playstore update hone lag jata hai. Aap ya to ise kuch time ke liye ayse hi rakh do ya 3g use karo.

  20. sir ji mere pass micromex canvas android phone h. usme outomatick wi fi on ho jata h. mujhe bar bar off krna padta h. wi fi apne aap on kyu hota h. plz bataye. me bahut preshan hu

    • Ye aapke phone ki problem hai ek bar phone ko reset karke dekh lo.