Smarphone aaj kal har koi use karne laga hai. actualy aaj ke time me smartphone hona ek fashion ban gaya hai. smartphone hang hone or kam memory ki problem har user ko hoti hai. jiski wajah se user bahut pareshan rahte hai. but kuch aysi tricks hai. jinhe follow karke aap apne adroid smartphone ki memory bhi badha sakte hai. or apne mobile ki hang hone ki problem ko bhi solve kar sakte hai.
Smartphone to sab use karte hai. but sabko smarphone ki puri jankari nahi hoti. aaj smart phone me ayse new features aa rahe hai ki hum smart phone se ayse ayse kam kar sakte hai ke aap soch bhi nahi sakre. mai iske bare me mai pahle bhi post kar chuka hu. aap chahe to Smart Phone Kar Sakta Hai Ye 10 Kaam Kya Aap Ne Kabhi Try Kiya Hai post pad sakte hai. isme aapko smartphone se hone wale bahut kamo ke bare me pata chalega.
- Computer Me Facebook Messenger Apps Kaise Use Kare
- Computer Keyboard Ke Top 15 Shortcuts Jo Bana De Aapka Kaam Aasan
Smartphone me ek or common issue hoti hai. mobile ki battery kam chalna. iski wajah se 60% user pareshan rahte hai. aap chahe to Smart Phone Ki Battery Life Badhane Ke 10 Android Apps pad kar isme btaye apps try kar sakte hai. jo aapke mobile ki battery life ko30% tak badha dete hai.
SmartPhone Ki Memory Kaise Badhaye Top 5 Tarike
to chaliye ab hum bat karte hai top 5 tips ki jinhe follow karke aap apne smartphone ki memory ko or badha sakte ho.
1. Delete Extra Apps:
smartphone me extra apps hi sabse badi problem hote hai. inhi ki wajah se aapka phone bar bar hang hota hai. inhi ki wajah se aapke phone ki memory bhari rahti hai.
So bina kam ke extra apps ko uninstall kar de. I mean delete kar de. iske liye aapko jo bhi apps mobile se delete karna hai. us par thodi se figure dabaye rakhe. aysa karne se uninstall ka option aa jayega. us par click karke extra apps delete kar de.
2. Photo Or Video Ko Memory Card Me Save Kare:
Smartphone me better camera features hone ki wajah se user camere ki jagah apne mobile se hi apne or dosto ke photo or video shut karte hai. ayse me ye photos or videos mobile memory me save ho jate hai. so agar aap apne smartphone ko hang hone se bachana chahate hai to apne photo or videos ko memory card me save kare, iske liye aap 16GM ya 32GB kar memory card use kar sakte ho.
3. High Quality Video Use Nahi Kare:
kabhi pbhi apne phone me phone supporting se jyada quality ka video play na kare. ise mobile par bura asar padta hai. or mobile kharab bhi ho sakta hai. exaple aysa karne se phone bad me hang hone lag jata hai. so jitna aapka phone support kare. wohi video mobile me use kare.
sath hi apne mobile se high quality jaise 4k ke video shut ne kare. isse mobile par bahut jyada dabav padta hai. aapne kei bar video bante waqt dekha bhi hoga ki mobile video save karte time hang ho jata hai.
4. Move Apps To Memory Card:
Mere hisab se uc browser, opera mini or 2-5 game apps to har kisi ke mobile me mil jate hai. agar aap bhi inme se ek hai to aap in apps ko bina delete kiye bhi apne phone ki memory badha sakte ho.
Iske liye sabse pahle aap apne jaruri apps ka backup bana le. uske bad setting me ja kar available apps ko memory card me move kar le.
5. Delete Apps Cache:
Apne mobile ki memory badhane or hang hone ki problem ko solve karne ka sabse acha tarika hai 2-5 days me apps ki history chaching delete karte rahna. isse mobile ki memory me pryapt jagah bani rahti hai. or koi apps hang bhi nahi hota hai.
In my case mere pas Sony Xperia C hai. ise mere pas 1 years se jyada time ho gaya hai. but koi ise dekh kar ye nahi kah sakta ki maine ise 1 sal pahle liya hai. becoz maine aaj tak is mobile me 3 se jyada extra apps install nahi kiye hai.
- Computer Keyboard Ke Top 15 Shortcuts Jo Bana De Aapka Kaam Aasan
- Mobile Se Paise Kamane Ke 5 Best Android Apps
Agar aap khud ki free website banana chahate ho to Website (Blog) Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye post pad kar aap agle 5 minute me apni website bana kar ready kar sakte ho.
Agar aapko internet se paise kamane ki jankari chahiye to aap humari Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike post padiye. is post me btaye sare tarike free hai. jin par aap bina paisa kharch kiye online paise kama sakte ho.
sir ek baat puchni hai wo first paragraph me hack galti se likha hai ya keyword ke liye stemal kiya hai aapne use asal me sayad waha par hang aana tha na ??
Thank for advice, yes wo galti se likha tha ab use change kar diya hai.
Sir amp ye btaeye ki agr main apna phone Root krke Ram bdha lu or bad m usko unroot kr du to kya Ram bdhi hui hi rhegi. .ya jo pehle hi thi whi aa jaygi unroot hone pr. Please answer. Sir.
Phone ko root karne ke bad use unroot nahi kar sakte. Fir uske sare feature manually ho jate hai. Agar aapka phone uske bad kharab bhi ho gaya to theek hone ki guarantee nahi rahegi.
Sir me apne phone ki memory badana chata hu bina kuch deleat kare kase badau iphone h
Is post me btaye tips follow karo.
Bhai koi hindi to english dictionary android app ke bare mein bataiye
sir mujhe karbonn a5i hindi typing karna hai maine bahut app use kare hai google hindi input bhi please help me sir version 2.3.6
sir mai apne phone ko root karna chahata hoo kase kare
Root karne se aapka phone humesha ke liye kharab bhi ho sakta hai.
sir , my name is parveen kumar
sir mai jab bhi internet chlata hu to thodi der ke bad hi bhut sara data use hua milta h plz help me plz
and ek baat or agar aapke pas free internet ki koi trick ho to mujhe btao plz
aap internet use karoge to data charge to lagega hi, nahi mere pas free net ki koi trick nahi hai.
aap free theme use karte hai ya premium
Free theme mythemeshop ribbon.
sir mai new WordPress blog bana raha hu. Mujhe ye theme kaisi hai chek karke bataye plz. WordPress.org/themes/hiero/ Aapka suggetion chahiye.
mere hisab se aap ise ek bar try karke dekho. or iski loading speed check karo. agar speed achi ho to use kar sakte ho.
bhyi aap thik se vichar kar ke jawab de dijiye jo mene kal post dali thi us post ke kuch word me apni site ka name dalke or us post ke kuch word search kiye to jo mene kal post dali thi wo search me aa gayi or b post sath me aa gayi par jab mene sirf apni site ka name dalke search kiya to sirf site search me ayi post 1 b nhi ayi
to bhyi aap ye bataiye ki sitemap me prlm he ya phir mene abi 2 din phle sitemap dala is wajah se search me post nhi ayi shayd kuch din baad aa jaye plz bro sirf 1 minnute ke liye soch ke bata dijiye apne hisab se
Dev site ka name search karne se site hi search me aayegi. post tabhi search me aayegi jab koi usse padega or aap post ke name se search karoge.
bahut achha bhai thanks,
apps ko moov karne se memory card khali hoga ya ram,please
phone memory yani ram.
Google cookie kya hota hai. mera mobile me ek bar ye problem create ho gayi thi
Hum jo roj google me search karte hai. wo sari history google me save ho jati hai. use hi google coockies kahte hai.