Spam and Phishing Emails Me Kya Difference Hai

Aaj ke time me emails humari day-to-day life ke integral part ban gaye hai. Isi ke sath spammers ki spam and phishing email send kar logo ke sath fraudulent karne ki activity bhi badh gayi hai. Aese me aapko pata hona chahiye ki Spam email kya hai? Phishing email kya hai? aur in dono me kya antar hai? taki aap isse bach sako.

Difference Between Spam and Phishing Emails

Agar aap apne daily and office life me email istemal karte hai to Email spamming se bachne ke liye aapka ye janna bahut jaruri hai ki spammer email ke madhyam se aapki personal information ko kaise churate hai.

Sath hi aapka ye janna bhi bahut important hai ki spam and phishing email me kya different hai? Is post me hum in dono ke bare me details se bta rahe hai. What is the Difference Between Spam and Phishing Emails?

In dono ke bich antar janne se pahle hum janenge ki spam kya hai? spam emails kya hai? aur phishing emails kya hai?

Spam Kya Hai? – What is Spam in Hindi

Spam anchahe email (unsolicited e-mail) hai jo usually kuch na kuch sell karne ki koshish karne ke liye user ko bheje jate hai. Spamming karke spammer user ki sensitive information pane ki koshish karte hai.

Spamming anchahe message send karne ke liye messaging system ka upyog hai. Jisme spam ads, visurs, malware shamil hota hai, ye user ki details chura ka uska galat istemal karte hai.

Spam Email Kya Hai? – What is Spam Emails in Hindi

Spam email un emails ko kahte hai jinhe puri tarah se kisi service or product ko sell karne ke purpose se bheja jata hai. Spammer email users ki long list bana lete hai aur fir un sab par mail send karte hai.

Spammer ko ummid hoti hai ki itni badi list se kuch na kuch user to jarur email open kar jawab denge. Is tarah se spammer users ko illegal tarike se fraudulent quasi-legal schemes de kar bad product sell karte hai.

Kuch common spam email examples:- Travel, lottery, Credit card, debit card, Bank loan and fake antivirus etc.

Phishing Email Kya Hai? – What is Phishing Emails in Hindi

Phishing email un emails ko kahte hai jo specifically user ki personal derails like credit card info, bank account details, password, OTP pin etc. pata karne ke liye bheja jata hai.

Is tarah se phishing emails ke madhyam se apna personal data share karna fraudulent ka karan banta hai aur aapka bada nuksan ho skata hai.

Kai bar ye phishing email aapke sahoygi, jankar person, company ke name se aate hai ya fir unke bare me pucha jata hai. Aese me unse bachna aasan nahi hota hai.

Ab spammer spam mails me product sell ke alawa malware, virus etc. script send karte hai. Jise open karne par user ke computer me virus enter ho jate hai.

Ab tak aapko spam and phishing emails me antar samajh aa gaya hoga lekin fi bhi main yaha aapko explain karke bta deta hu.

Spam Emails and Phishing Emails Me Kya Fark Hota Hai?

Kuch internet user spam and phishing ko same samajh lete hai lekin in dono me bahtu antar hai jo nimn prakar hai.

  1. Spam and phishing email me sabse bada difference ye hai ki spam mail usually service or product sell karne wale hote hai, jabki phishing email user ki sensitive information ke liye.
  2. Spam email itna danger nahi hai jitna ki pishishing email hota hai.
  3. Jaha spam mail me product, service ko sell karne ki koshish ki jati hai, whoi phishing mail se aapka persona data chori karne ki koshish ki jati hai.
  4. Spam mail ko open karne me problem nahi hoti hai lekin phishing mail ko open karne se malware aapke pc me enter ho jata hai.
  5. Spam mails ki tulna me phishing mails ko hackers handle karte hai aur unki script ya link ko open karne par wo aapke device ko hack kar lete hai.

Agar aap janna chahate hai ki hum google gmail account me phishing mail ka pata kaise lagaye to iski jankari niche di gayi hai.

Spam and Phishing Emails Ka Pata Kaise Lagaye

Phishing and spam emails ka pata lagane ke liye koi special trick nahi hai. Aapko kuch important details ke bare me jan kar kuhd pahchan karni hogi ki konsa mail spam hai?

Fir bhi main aapko yaha kuch tarike bta raha hu jinse aapko phishing mail ki pahchan karne me aasani hogi.

1. Malicious website links

Phishing email ki normally aur simple pahchan hai ki in mails me bad websites ke links hote hai. Jise valid site ki tarah dikhane ke liye hide kiya jata hai.

Ye mostly banking website ki login roop me hote hai taki user inme apne net banking username password type kare aur wo is details ko chori kar le.

2. Infected attachments

Iske 2 prakar hote hai jinko aap phishing email list me shamil kar sakte hai.

  • HTML Attachment: Ye basically infected .html file hai jo inbox me hi open hote hai.
  • Macros: Ye contain attached documents hote hai jinhe click karne ke bad hi khola jata hai.

Jaise hi aap is type ke attached file or documents ko open karte hai aap to aap cyber criminals ke liye apne system  pc me access allow kar dete hai.

3. Eye Catching Subject Lines

Phishing email ke type me se sabse normally baat ye hai ki inke title subject ki lines aesi hoti hai jo true lagti hai aur user easily attract ho jata hai.

Jaise ki winning amount ka dawa kiya jata hai ki “aapne is company se 10,00 rupee jite hai ya fir aapko company ki taraf se 10k ka gift card mila hai.

Is tarah ke phishing emails ka shikar banne se bachne ke liye in cheezo ko dhyan me rakhe.

  • Kisi email me personal details pucha jaye to use ignore kare.
  • Email offer dekh kar kisi bhi tarah ki personal information share na kare.
  • Kisi bhi website ko open karne se pahle https, domain check kar le.
  • Company ki direct call kare aur spam emails ke bare me btaye.

Security ke liye Phishing emails se bachne ki aur adhik jankari ke lyie humara ye article read kare,

At Last,

Yaha par di gayi spam and phishing email ki jankari aapke system ko malicious phishing attacks se bachane me important bhumia nibhayegi aur aap iske bad phishing mails ko aasani se pahchan lenge.

Agar aap chahate hai ki aapke galti se malicious website open karne par aapke pc me koi problem na ho to aap apne pc me ek achha antivirus istemal kare.

Agar aapko humari ye post pasand aaye to ise apne dosto ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (8)

  1. Avatar for Anoop bhattAnoop bhatt

    Sir email par kaam ke message ki alg se list banane ka koi option hai to please iske bare me bataye

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aap gmail par label create kar sakte ho.

  2. Avatar for DeepeshDeepesh

    Sir spam ki baat kare to bahut sare faltu ke spam traffic kabhi 2 aate hai unko block karne ke liye tips provide kare..
    Nice article sir…

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aap spam filter use kare aur spam ko achhe se samajh le gmail par sirf jaruri mails ko open kare baki ko avoid kare.

  3. Avatar for Ajay kumar guptaAjay kumar gupta

    Is post me apne spam aur pishing email me antar bataya jo ki bahut hi useful information is best post ke liye thnks !

  4. Avatar for kumarkumar

    me abhi tak is bare me thoda confuse tha thanks aapne is doubt ko clear kar diya.

    spam or phising email ko rokne ke liye kya hame time to time spam filter ko update karna padta h. jaise ki third party filter hote j

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Yes karna chahiye.

  5. Avatar for Manjeet singhManjeet singh

    Really very needful article Sir aisi hi post share karte rahiye taki logo ko daily kuch naya sikhne ko mile

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...