Blogspot Country Specific Redirect URL Ko Kaise Band Kare

Jab hum kisi xyz.blogspot.com blog ko open karte hai to wo xyz.blogspot.in me redirect ho jata hai. Or agar aap isi blog ko kisi or country me kholenge to .in ki jagah us country ka specific domain (Country level domain) open hoga. Jaise aap pakistan me blog open karoge to uska url xyz.blogspot.pk hoga. To chaliye aaj hum isi ke bare me bate karte hai.

Stop BlogSpot Country Specific Redirecting Url

Aapne dekha hoga ki jab bhi hum kisi xyz.blogspot.com blog ko open karte hai to wo apne aap xyz.blogspot.in me redirect ho jata hai. Blogger blog me country ke hisab se alag alag domain open hota hai. Ise Country Redirection Specific URLs kahte hai.

Aaj mai aapko is article me isi ke bare me btaunga ki isse humara kya fayda hai or kya nukshan. Aap is post ko carefully padhiye. I sure aapko isme achi jankari milegi.

Blogger google ki hi service hai or blogger par google ka pura control hota hai. But google ne hume kuch ayse features diye hai. Jinse hum apne blogspot free blog ko naya look de sake. Wese hi hum chahe to is blogspot.com ki jagah blogspot.in redirection ko band kar sakte hai. Jisse aapka blog only blogspot.com domain se hi khulega.

Q 1: Google Ne Blogspot Par Country Specific redirect URL Kyu  Shuru Kiya?

Blogger blogging ka sabse bada free platform hai or lakho log is par apne blog banate hai. Ayse me google ko sabhi blogs ko track karne me problem hoti hai. Isiliye google ne january 2012 me blogger par country redirection specific domain service start ki jisse google ko country ke hisab se blogger blog ko track karne me aasani hoti hai. Iske bad hum blogspot.com blog ko jis country me kholte hai. Wo usi country ke domain se open hota hai. Jaise pakistan me blogspot.pk, USA me blogspot.us or UK me blogspot.uk etc.

Q 2: Kya Mai Blogspot Country Redirect Specific Domain Ko Band Kar Sakta Hu?

Yes, Bilkul kar sakte ho. Aap Javascript ki help se country redirect specific domain ko stop kar sakte ho. Is post mai aapko isi ke bare me bta raha hu. Usse pahle mai aapko iske fayde or nukshan ke bare me btana chahuna.

Blospot Country Redirect Specific Domain Ko Band Karne Ke Fayde Aur Nukshan

Yaha mai aapko country specific redirection ko stop karne ke fayde or nukshan ke bare me kuch bate bta raha hu. Jisse aapko ise band karne se pahle kuch sochna nahi padega.

1.  Blogspot.com Country Specific Redirection Band Karne Ke Fayde

  1. Alexa Rank Effect: Isse humare blog ki alexa rank kam ho jati hai. Kyuki humara blog alag alag country me alag alag domain se open hoga. Jisse humare main domain xyz.blogspot.com ko koi fayda nahi hai.
  2. Social Effect: Jab koi humare blog ki post ko social sites facebook, google plus, twitter and other par share karta hai to blog ke share kiye gaye link alag alag domain par count honge jisse humare main domain ko koi fayda nahi hai. Jaise agar aapke blog par blogspot.com se 10 social share or blogspot.pk, blogspot.us, blogspot.uk and other se aapke blog par 50 share huye hai to aapke blog me only 10 share hi mane jayenge to blog ke main domain se huye hai.
  3. Other Commenting Error: Agar aap apne blog par kisi dusre platform ka comments feature add karna chahoge to aapko usme bhi county specific redirect domain ke karan issue aayega.
  4. Adsense earning problem: Kuch users ko aapke blog ka ountry level domain se open hona pasand nahi hai. Or na hi wo blog par advertising ko like karte hai. Jisse aapki AdSense earning low ho sakti hai.

2. Blogspot.com Country Specific Redirection Band Karne Se Nukshan

Blogspot country redirect specific url ko band karne se koi nukshan nahi hai. Aap kabhi bhi aysa kar sakte ho.

Ha google ko jarur nukshan hoga. Isse use aapke blog ko track karne me problem hogi. Jisse aapko koi nukshna nahi hoga.

Note:- Aap kabhi bhi country level domain redirection ko stop kar sakte ho or kabhi bhi start kar sakte ho. Iske liye aapko bas apne blog me ek chota sa javasript code add karna hai.

Blogspot.com Ka Country Specific Redirect URL Kaise Band Kare

Agar aap apne blogger blog par country specific redirection ko band karna chahate hai to ye simple step follow kare.

Option 1: Sabse pahle aap ye code copy kare.

<script type="text/javascript">
var blog = document.location.href.toLowerCase();
if (!blog.match(/\.blogspot\.com/)) {
blog = blog.replace(/\.blogspot\..*?\//, ".blogspot.com/ncr/");
window.location.replace(blog);
}
// Source: 
</script>

Option 2: Ab aapko ye code blog ki template me add karna hai.

  1. Apne blogger blog ke dashboard par jaye or drop down menu par click kar Template par click kare.
  2. Ab Edit HTML par click kar ke ctrl+F key button daba kar <head> code search kare.
  3. Ab <head> ke niche (Below) upar diya gaya code paste kare.
  4. Save template par click kare.

Add stoping country specific redirect url code

Bas ab ek bar apne blog ko open karke check kare ki ye trick sahi kaam kar rahi hai ya nahi. Ab jab bhi koi user aapke blog ko open karega to blog top level domain yani blogspo.com se hi open hoga.

Is tarah se aap apne blog par country level domain redirection ko stop kar sakte ho. Or apne blog ki ranking me sudhar kar sakte hai. Agar aapka is post me btayi jankari ke bare me koi sawal hai ya fir aapke pas country specific redirection ko band karne ki koi or tips hai to aap comment me apni bat share karke humare readers ki help kar sakte ho.

Agar aapko blogger ke bare me ye trick achi lage to aap ise social media par apne friends or dusre blogger ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (34)

  1. Avatar for ShyamShyam

    सर मेरे वर्डप्रेस ब्लॉग का url kisi aur website pr redirect hota hai main kya karu. Problem kaise solve hogi.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      theme change karo.

  2. Avatar for Dharmendar GourDharmendar Gour

    Dear Please solve my problm mere blog par maine 1 mahine pahle custom domain lagaya ab phle ke blog par koi visit karta hai to redirect option show ho raha hai jisse koi visitors us par aana nahi chhhata hai mere aadhe visitors kam ho gaye hai please solve my problem.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Redirection sahi se karo.

  3. Avatar for SaddamSaddam

    Sir Maine blog address me Jake edit karne ki koshis ki thi URL change me liya per sir jab main naya URL dale or save pe click kiya to ek option aya ki costom domain remove Maine socha ki ya URL change kar dagi per nahi hua or error msg show horaha ta Maine fhirsa apne wahi URL dale or save lardiya lakin teb se Mara blog open nahi horaha hai Google error page 404 show horaha hai plz sir help me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap apne blog ka url btao mai check karke aapko reply karta hu.

  4. Avatar for jayvirjayvir

    mere blog me aane vali is warning ko kai se door kare : Editing your template so that it mixes HTTP and HTTPS may affect the security and user experience of your blog when it is viewed over HTTPS

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap apne blog ki template me dekho. Aapne kahi http wala link to add nahi kiya hai. Use delete kar do.

  5. Avatar for sunil bhargavsunil bhargav

    sir mere blog se old url hat gaya hai and domain se hi open ho raha hai, aapne kaha tha ki ise phir se add kar lo maine bahut koshish ki lekin m thak gaya hu mujhse add nahi ho raha hai. mera old blog hai, bhargavsunil.blogspot.com and new domain hai astroambe.in mera blog kewal ise se open ho raha hai or maine jo old doamin se post banayi thi wo open nahi ho rahi hai. plz aap hi add kar do

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      new domain se aapki sabhi post open ho rahi hai. Koi problem nahi hai. Agar fir bhi aap new domain add karna chaho to aap blogger dashboard > settings > Blog Address par ja kar new domain e samne cancel par click karke domain remove kar do.

  6. Avatar for kabeerkabeer

    Hello sir Maine chitika par account banaya hai mai log in kaise karu chitika par username dalu ya kuch aur reply

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      username hi dalna hai.

  7. Avatar for hassanhassan

    bhai aapne mera problem thik nhi kiya na…
    hamne aapko mail kiya facebook par bhi problem bataya ki AdSense ka ads nhi lag raha hai aap mera website ka usser name password le kar mera site ko khol kar dekhte kaha par kiya galti hai wo aap sahi kar dete aap ko jab time mile tab kar dete aapki bahut maharbaani hoti plz.. bhai mera help kar do…

    AdSense ka mail aaya tha maine aapko mail bhi kiya tha AdSense ke mail ko copy kar ke plz help me bro hmse ab nhi ho raha hai plzzz aap sirf ads problem thik kar dijye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Hsan aapke blog me bahut kamaiya hai. Maine aapse unhe sudharne ko kaha tha but aap aysa nahi karte ho to AdSense approved kaise hoga.
      1. Aapne mere sath kei or blogger ki post copy ki hai. Sabse pahle unhe delete karo.
      2. apne blog par achi template use karo.
      3. Blog par privacy policy, about us page bnano.
      4. Blog ko google bing yahoo se submit karo.
      5. Blog ka sitema bana kar googlebing me submit karo.
      6. Blog par traffic badhao kam se kam 500 pageviews per day hone jaruri hai.
      7. Adsense use karne ke liye aapko custom domain lena padega.
      Finaly blog par post ,images kuch bhi copy kiya hua nahi hona chahiye. Agar aap in bato ko follow nahi karoge to mai to kya koi bhi aapki help nahi karega.

      • Avatar for hasanhasan

        thik hai bro mai follow karta hu…..

  8. Avatar for chenaksh dhomanechenaksh dhomane

    mera blog pahle blogspot pe tha tabhi AdSense accout apporoval ho gaya tha
    add bhi dikh rahi lekin maine godady se domain lagaya apane kaha waise setting ki
    lekin domain name lagne ke add disply nhi hoti mai 1 se 2 din ruka fir bhi kuch nhi hua
    wapas maine blogspot lagaya to add disply hoti hai to muze AdSense ke account me kuch setting
    karna padega kya?ki kuch aur karna padega

  9. Avatar for shahadatsherani indianshahadatsherani indian

    Good information dear mene aap se kai baar apne blogspot ko chaik karne ke bare me kaha magar aapne abhi tak mujhe kuchh bhi answer nahi diya me aapka blog din me 10 baar jaroor parhta hun or bahut kuchh sikha hai Plz 1 baar other bhi nazare karam hojae ki iss blog me kya karun aisa ki mera massag har shakhs ko mile or deen islam ke bare me woh kuchh sikhe plz chaik my blog

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapke blog me koi kami nahi hai. Bas aa post title or content me sabhi words capital use mat karo.

  10. Avatar for bharatbharat

    Muje meri I’d sigal neme karni h

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Bharat yaha par aapko blogging ki information milegi. Facebook par faltu tips ki nahi.

  11. Avatar for Ravi Kumar sahuRavi Kumar sahu

    Whatsapp ka theame change karne ka koi tarika, avi available hai, maine bahut jagah search ki, kai language me nahi aai,
    agar aapke pass ho to mujhe mail ka

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap whatsapp+ use karo.

  12. Avatar for abdul khanabdul khan

    assalamu alaikum bhai….bhai ek bahut badi samssya aagyi hai…kisi ne meri website ka domain copy krliya hai…me 2din pahele google me aese hi kuch baatein search kr raha tha achanak meri najar is pe padi….usne mere page ka privacy bhi same copy kr ke likha hai…aur domain bhi…aap kuch batayen me kiya krun…me apni aur uski website ka link bhej raha hun aap check krlen….usne ek word sirf kam krdiya hain baaki ka same hi hai domain…..10 din pahele hi usne shuruwat ki hai ye blog ki…mera 5month hogaya hai…meri website ka linkl hai. achhisoch.com/ aur uski website ka link ye hai achisoch.com/ usne sirf ek h kam krdiya hai.. kuch information den bhai…is ko apne mind se domain lena chahiye tha isne to abhi se copy krna chalu krdiya..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap whois.com par us domain ki details search karo or uske mobile number par call karke usse iske bare me btao. Baki aap domain ke 1 sal old hone se pahle kuch nahi kar sakte.

      • Avatar for abdul khanabdul khan

        thankyou so much bhai

  13. Avatar for Arun YadavArun Yadav

    mere 2 sawal h
    1 blog m jase aap n tag laga bloging. Make money online ye m apane bloge m kase lagau

    2 blog m last m copyright wale m kya likhana h help

  14. Avatar for Arun YadavArun Yadav

    bhai meri website ko dekh kar batao kya kami h

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Blog ko ache se design karo.

  15. Avatar for mohd sarefrazmohd sarefraz

    hello sir hosting lene ke liye payment kisse karna padega .atm se .credit card se
    aur sir yost plug in free hai ki paid.?
    aur sir humne aapse pehle puchha tha apke hindi blog par.AdSense ka ads hamre template me lag gaya hai.
    use kaise remove karu.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Agar aap india ki kisi hosting company se hosting le rahe ho to aap ATM card se payment kar sakte ho. or agar other country ki hosting company se le rahe ho to aap sirf credit card ya paypa se hi payment kar sakte ho.
      Aapne us ads ko jo code apni site par lagaya hai use remove kar do.

  16. Avatar for Ravi Kumar sahuRavi Kumar sahu

    bhaiya maine to xyz.com ki hui hai, yani .com ka domain li hai, mera blog 3 domain se open hoti hai,
    1… xyz.com
    2….xyz.blogspot.com
    3…..xyz.blogspot.in
    to mera avi main domain xyz.com hai, to mai kar sakta hu, ya uske liye hai jo free domain use karta hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye sirf .blogspot.com user ke liye hai.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...