Jab bhi website ya blog ko google, bing, yahoo and other all search engines me submit karne ki bat hoti hai to hum apni site ko ek sath sabhi search engines me submit karne ke bare me sochte hai. Agar haa to aaj main aapko aesi hi jankari dene wala hu. Jisse aap apni site ko sabhi search engines me ek sath submit kar sakoge. Sirf ek click karne se aapki site all search engines me submit ho jayegi. Internet par aapko bahut sari Search Engine Submission service provide karne wali sites mil jayegi magar un sabki service true nahi hoti. Website Ko All Search Engine Me Submit Kaise Kare?
Website ya blog banane ke bad or usme 5-10 Quality Content wali post likhne ke bad sabse important kaam hota hai apni site ko sabh isearch engines me submit karna or apni posts ko search results me top par lana. Maine already website ko search engines like Google, Bing, Yahoo, Yandex etc. me submit karne ke bare me bta chuka hu. In sabki jankari ke liye aap ye articles read kare.
- Blog Ko Google Webmaster Tool Me Submit Kaise Kare
- Blog Ko Google, Bing, Yahoo Search Engine Me Submit Kaise Kare
Internet par aapko bahut sari tools and sites mil jayegi jo website ko one click se all search engines me submit karne ki service deti hai. But wo sabhi truest nahi hoti hai or aapke email address and other personal information ka galat fayda uthati hai. So agar koi search engine directory submission sites personal documents information share karne ke liye kahe to uska istemal na kare.
Websites Ko Sabhi Search Engines Me Submit Kaise Kare
Jaisa ki main aapko upar bta chuka hu ki internet par mojud sabhi search engine submission service dene wali sabhi sites true ervice offer nahi karti hai. But main yaha aapko jis site ke bare me btane wala hu wo na na sirf true service provide karti hai balki aapke email address ka galat fayda bhi nahi uthati.
Baki sites ki tarah is par aapko personal information share karne ki jarurat nahi hai. Mai bat kar raha hu Entireweb Free Search Engine Submission site ki jisse apa free me apni site ko all search engines me ek sath submit kar sakte ho.
Worldwide yani duniya me entireweb site ko 3.5 million people se bhi jyada iska istemal karte hai. Ye Free Submission, Automatic Resubmissions, and Entireweb Directory 3 service provide karti hai. Aapko jo plan choose karna hai wo kar sakte ho.
Yaha tak ki SEO expert Neil Patel bhi apni post Get Google to Instantly Index Your Website ke step 11 me is tool ke bare me bta chuke hai.
Step 1:
Sabse pahle aap Entireweb.com site par jaye.
- Apni website ka Full URL add kare.
- Apna email address add kare.
- Proceed button par click kare.
Step 2:
Ab jo page open hoga usme aapko plan choose karne ke liye kaha jayega. Ek bar aap sabhi plan ke features ka review kar le uske bad aapko jo plan best lage wo select kare.
- Agar FREE plan use karna hai to Free plan ke Choose plan button par click kare.
Step 3:
Ab Entireweb tool aapki site ko sabhi search engines me submit karna start kar dega. Site ko sabhi search engine me completely submit hone me 30 second to 2 minutes ka time lag sakta hai. Yaha aap iska screenshot dekh sakte hai.
Is tarah se aap apni site ko one click se all search engines me submit kar sakte hai. Entireweb ke alawa kuch or bhi best search engine submission sites hai. Aap chahe to inka bhi istemal kar sakte ho or apni site ko google, bing, yahoo and other search engines me submit kara sakte ho. Jaise:-
- Free Web Submission
- Free Website Submission
- Free Search Engine Submission
- Submit Site to Search Engine FREE!
Mujhe in sabhi me Entireweb site sabse best or secure lagti hai. Kyuki iska istemal karne ke bad mujhe spam mail ya other koi bhi problem nahi huyi warna dusri search engines submission sites ka istemal karne se unwanted mails aane lag jate hai.
- Blog Ko Google Search Engine Me Index Karane Ki Top 5 Tips
- Search Engine Me Site Ki Top Rank Banaye Rakhne Ki 100 Best Tips
Agar aapko aesi hi koi top and truest search engines submission site ke bare me pata hai to aap uske bare me comment me jarur btaye. Sath hi is post ko social media par apne friends and other blogger ke sath share jarur kare.
Thanks for vising.
waleedkhalid
thank you share the post
birmingham
thanks you share the post
Vishal Raj
बहुत अच्छी जानकारी
Sadupayog Blog
Sir Aap Wakai me Blogging Field me humare ideal hai..Thanks a lot for this valuable post.
balvant
Thanks sir aap is articles ko share kiya apaki vajah se mene meri website ko sabhi search engine add kar paya.
Farhan zafar
Hello bhai please mujhe btayein k submit karne k liye hame kaun sa email dena chahie . I mean jis email se blog bana ho wahi ya fir jis se bloga na bana ho usse bhi ho skta hai ??? Reply plz
Jumedeen khan
Koi bhi email use kar sakte ho lekin jis email se blog manage karte ho usi se karna better hai.
mukesh saini
very helpful thanks sir…
Kalpesh Damor
sir blog me adsense approved kiya tha ab me jab domain ad karta hu to ads show nahi hoti hai iske liye kiya karan ho sakta hai
Jumedeen Khan
Adsense approve hone ke bad jab aap site par ad code lagate ho to google aapki site ka review karta hai uske bad ad show hote hai.
Manhar
Hello sir
kya blog ko ek bar hi submit karna padta hai ya iss submit ke bad 5 to 6 article likhne ke baad dusri bar submit karna padta hai ?
Jumedeen Khan
yes ek bar hi submit karna hai uske bad google aapki site ki new posts ko apne aap index kar lega.
Kunj Bihari
Very useful Tricks
Jatin
Great information. Thanks but i wanted to know how to index backlinks and also how to index every blog post as soon as possible ? Please tell this
And thanks for this nice post
md shahid
Sir agar kisi blog me search engine se traffic na ho lakin facebook se achha traffic ho to Kay hum us blog me AdSense ke liye apply karte hai to kay apply hoga google adsense
Jumedeen Khan
Yes kar sakte ho.
md shahi
Sir mere ek blog ka adsense approve nahi horaha hai to Kay mai us blog me dusre blog ka adsense code laga sakta hu
Jumedeen Khan
Yes laga sakte ho.
Qulsum Pathan
Sir mene 1 blog create kiya hai abhi 1/ week pehle hi bus ab ye janna hai ki love story vagera Jese blog AdSense approval de deta ya Nahi..??
Jumedeen Khan
Yes but content sahi hona chahiye.
Deepak sahoo
wordpres me ak video striming or downloading website jaise banaye uske bareme ak post likho na bro
Vikash
Nice junned good information
Nitesh
Hello bro ye kaise ho sakata hai?
Koi verification ke bina website ko sabhi search engines me submit kaise hoga, Agar hoga to hum kisi bhi dusre ki website ko submit kar sakte hai Kyuki verification ki jaroorat to nhi padegi.
Secure website aisi nhi hoti mere hisab se
Jumedeen Khan
Aap sirf submit kar sakte ho verify karne ke liye aapko paid plan use karna hoga. Nahi dusre ki site ko verify tabhi kar sakte ho jab aapke pas uske email address ka access ho.
jignesh
sir aapne bhaut achchi jankari share kiya he thanks..
me aapka blog ko regularly padta hu.
Nadim Ansari
Sir Maine 2 din pahle entirweb me submission kiya lekin abhi Kisi engine par mera blog nahi aa raha
Jumedeen Khan
Isme thoda time lagta hai. 1-2 week me aapka blog search me aa jayega.
Ramesh Prajapati
yadi mere blog par adsense approved hai aur mai template edit karna chahta hu to mujhe koi problem to nahi hogi jaroor bataye.
mai kewal head tag meeta tag me kuch changes karna chahta hu
Jumedeen Khan
No problem kar sakte ho.
SANJAY KUMAR
Thank u jumedin ji….
Hello sir
Me sanjay
Me aapka blog ko regularly padta hu
Bahut achhi bate btate ho app sir technology know bare m
….me bhi aap jaisa bnna
Chahta hu…pr smjh me nhi aa rha h ki kiske bare m likhu….sir M painting bnata hu…to us par kis trh blog likhu. …give me suggestion sir…plz sir…jumedin khan ji
Jumedeen Khan
Paiting ke liye mere hisab se youtube best hai. Video me jyada achha lagega.
kavya
Hi sir aapse seh ek help chaiye mere google webmaster tools mey 1 crwel erroe show ho rha hai kya aap bta skty hai mey essy kesy fix kro ya koi aapky pass link ho toh jaror share kry.
Jumedeen Khan
Us crawl eror ko open karo or usme jo link ho wo aapki site par work kar raha hai ya nahi use fix karo.
Raju Roy
sir,
1.kya aap bata sakte hain ki photo editing karne ke liye konsa software use karte hain.
2.sir, blog ke liye konsa niche best hai.
Jumedeen Khan
1. Photoshop
2. Jism aapka interest ho or jiski aapko knowledge ho.
Bindass Blogger
Very well written and great information for beginners 🙂 have a happy blogging !
ajay gupta
vaah aapne ye bahut achhi jankari ko share kiya nice tricks sir
Shivaay singh
Hello sir , aapki post bhut hi usefully hai . Sir mera aapse ek question hai ki jab aapne blogging start ki thi to aapki same kon kon se problem aaye . Or aapne unhe kaise solve kiya . Plz plz sir i need answer .
Jumedeen Khan
No problem, Main jo bhi karta hu pahle uske bare me sikhta hu.
rohit
aapki blogger to wp migration ki post padhi kafi acchi tarike se aapne btaya hai. lekin mere kuch question hai.
1. jab me blogger pr post likhta tha tb custom permalink ka use kiya hai. mtlb post title se permalink link alag hai. to WordPress me ye links kaise ayege.
2. blogger. se wp me import krne ke baad Google Webmaster’s me kya changes krne hoge.
3. 5-6K Daily Traffic Aata ha iske liye kon si hosting best rahegi.
Jumedeen Khan
WordPress me jab post likhte hai to post title ke niche permalink ka option aata hai. Ya fir aap yoast plugin use karte ho to post editor se niche slug ka option aata hai waha URL add akr sakte ho.
Shailesh Chaudhary
Hi,
Bhai Web Master Concle par bar-bar Crawl Error aa rha hai. Maine kuch Post delete kiya tha iske liye. But mai Bar-bar fix karta hu tab bhi aate rahte hai. Aap Koi tarika Batao jisse Crawl Error ko parmanetly Fix Kiya ja sake
Thanks
Jumedeen Khan
Jo crawl error aa raha hai wo link aapki site par nahi hona chahiye. Uske kuch bad ye error solve ho jayega. Agar aapko jaldi karna hai to crawl error wale link ko blog homepage par redirect kar do.
Manbhawan Pandey
Sir mere blog me adsense approve nahi ho raha please check my blog.
Sir blogger ke kuch ache template bhi kuch email pe send kar dijiyega
Jumedeen Khan
Aap custom domain use karo ho jayega.
shahzaib
sir me ne blog me floating share button add kiya hai jo pc me to side pe show hota hai lekin mobile pe text k front pe a rha hai is no kaise theek karo
Jumedeen Khan
CSS coding se kar sakte ho.
VISHAL
Aapne header me 1 aur siderbar me 2 ad lagaye hai kya aap bata sakte hai inke kaise lagate hai aur inki size kitne rakhni chahiye . for wordpress blog
Jumedeen Khan
Direct widgets me ad code paste karo header me responsive or sidebar 300×600.
VISHAL
BEST ARTICLE HAI .THANKS
RUSHEEK
Bro mene apni site me free claudfler ka ssl liya he lekin vo har post me Kam nahi Kar Raha http mixing ka problem he iske liye mene apki post bhi follow ki or kus plugin bhi use kiye lekin abhi tak jam nahi bana Raha to please iska koi solution Bataye
2) Kya ye problem theme ke Karan ho sakta he
Jumedeen Khan
Nahi theme ki wajah se nahi hai. Cloudflare cache delete karo or koi cache plugin use karo to usk ibhi and maine psot me jo https mixed content ko fix karne ka plugin btaya hahi wo sah ise use karo.
Ravi Kumar
Wow Jumedeen Ji,
Ye post padhkar mujhe apne shuruati din yad aa gaye. Jab main kisi bhi tarah ke submission forum nahi chhodta tha. Sabhi search engine forum me blog link submit karta tha.
Lekin ab main is tarah bilkul bhi submission nahi karta. Mera manana hai, hamare potentiel visitors Google aur bing ko use karte hai.
Aur dusri baat kisi unknown search engine men blog submit karane se spam traffic ka risk bana rahta hai.
Vaise aapka post great hai.
Thanks
Ravi Kumar
Asween
Very useful information
Is tips ki help se ab hum humari site ko automaticaly sabhi search engines par submit kar sakate he,hume harek search engine par bari bari se jakar usme apni site submit karne ki jarurat nahi he or isse kaafi time saving bhi hoga.
shahzaib
sir Kya in search engines k liye sitemap create nhi karna pare ga
Jumedeen Khan
Nahi.
rajdev
Good article, Nice work done by the author. thank you.
dhan mohan
bhot hi acchhi post hai
Qasim Butt
Bro me apne blog pe posts ko thumbnail ke begair show karana chata hun kaise karun ? please bataden.
Jumedeen Khan
Feature image use mat karo.
Nadim Ansari
Sir mujhe dekhne nahi aata Ki mere blog par roj kitne pages view hote hai language analytics Ki Hindi Ho hai to aap direct Bata sakte hai kaise dekhooo simple language me
Jumedeen Khan
Very simple analytics homepage par jao or real time >> overview par click karo, Yaha aapko live traffic dikhega. Total traffic kel iye audience >> overview par click karo or jis din ka traffic dekhna hai wo date select karo.
Nadim Ansari
Sir agar ek blogger Ki 500 pages roj view hote hai to uska kamai monthly kitna hoga
Jumedeen Khan
Ye uske traffic par depend karta hai. $1 to $5 ho sakti hai ya fir sse bhi kam jyada.
Yogesh Tulani
Very nice post bhai par kuch ques hai mere
Bhai Kya is se Site ke panelise hone ka Bhi Dar hai? Kahin google isko spam na samajh le bhai ..
ap ne isko personally use kiya hai? Or kya is se apko fayda hua ?
Jumedeen Khan
Maine ise use kiya hai no problem fir bhi google ke bare me kuch nahi kah sakte.
Ayesha Ali
Sir Kia ap apka Youtube channel mujhe de sakte ho ? Ap bara wo use kartey hen. Mujhe Paise ki bohat zarurat he or me kamana chata hun.
Jumedeen Khan
Very good but mere channel par bahut kam subscribers hai jinse aapko koi fayda nahi hoga. Aapko khud ka channel banana chahiye.
Manoj Yadav
Agar mai apne blog ki sabhi post ka backup download na karke use copy krke kisi aur blog me pest krke publish karta hu to kya ye copyright mana jayega.
Jumedeen Khan
Agar aap ye karke old blog kse data delete kar doge to koi problem nahi hogi.
BK Murli
BHaiji, muze mere blog ko wordpress par lana hai,
mene articles padhe par muze nahi smz aa rha he.
Jumedeen Khan
Aapko fir se samajhna hoga ya fir aap kisi or se blog ko wordpress apr move karwa lo.
BK Murli
Hello Bhai,
Blog kaise banate hai, muze aapke jaisa blog banana hai.
Jumedeen Khan
Ye post padho WordPress Par Site Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari
Nadim ansari
Sir kitne der me hamara website aaega sabhi search engine par aur kaise pata chalega
Jumedeen Khan
1-2 day me aapki site search engines me show hone lag jayegi.
Qulsum Pathan
Hello sir mene 1 blog create kiya hai usme thodi dikkat arahi hai Kya aap bata sakte hain …mere is blog about me author widget me Jo information kaise change karu…kyu ke mene HTML me Jake dekha WO source nahi mila Jahan me information change kar saku aap check kar ke batayenge me Kya karu….???
Jumedeen Khan
Blog dashboard layout option par ja kar kar sakte ho.
Qulsum Pathan
Sir wahan se to about widget add kar sakte hai mere tamplate me Jo author widget already add hai WO kaise customize karu mene edit HTML me bhi uski coding ko dekha magar wahan esi koi coding hai hi nahi Jahan me about author kuch changes kar saku…??
Jumedeen Khan
Aap blog ki template >> edit HTML section me jao or jo words about author me likhe huye hai unme se koi word search karke search karo or about author ki detials ko change kar lo.
Qulsum Pathan
OK sir Thankew so much ab mera about info customize hogaya hai apki help se thanks for your help ……
Kunal kumar
Hello bhai, aapki post hmesha se hi achi aur informative hoti h , ek regular reader hone k wajah se maine ye baat notice kri h k aapne website, blog and seo se related bhut se article share and post krey .
Kuch aisa kaam real back links aur must do steps in seo k liye bhi kr dijiye to bhut badhiya hoga.
Aur ek question internet PR back links bnane k liye tools aur Kai sites milti h Jo 20000 tak back links provide krti h free of cost ya kuch site jaise traffic generators etc trh k hoti h to kya ye real hoti h.
Me ye sb isliye puch RHA hu kyuki aapke post se Maine website seo ka but much sikha onpage offpage mgr phr bhi quality back links nhi bn RHA
Thanks
Jumedeen Khan
Ok jarur karunga. Yes ye fake hoti hai. Inme se 5% site hi real hoti hai.
Reetesh chandrawandhi
Very good information bro me bhi is site ka use jarur karunga or apni website ko sabhi search engine me submit karunga
Rahul Tiwari
Bahut achchi jankari di aapne. Entireweb par maine submit bhi kar diya. ab baaki dusri sites ko raat me check karunga. Thanks 🙂
Anand Kumar
धन्यवाद खान भाई, मैंने इसपर अपने ब्लॉग को ऐड कर दिया है. लेकिन कन्फर्म नहीं हूँ कि क्या सच में सारे सर्च इंजन में ब्लॉग सबमिट हो जायेगा? यहाँ पर सारे पोस्ट्स को भी तो सबमिट करने की जरूरत नहीं पड़ेगी न?
Jumedeen Khan
Nahi, Is service ko 3 to 4 million people use karte hai.
Mukesh Gupta
Very good article sir bahut badhiya jankari di aapne keep Sharing ham aapke sath hai.
M.S.A.
Bahut hi acchi post share ki hai aapne kyu ki maine bahut saare search engine mew apne site ko nahi sumbit kar paya tha.Q ki mai 2g network ka use karta tha aur 2g network se ek ek karke sabhi sites me blog ko sumbit karna bahut muskil tha.Lekin aaj apne is tips ko bata kar ham par bahut bada ahsan kiya hai iske liye bahut bahut thanks..
Gaurav
Bro aap jo apne post me image upload karte hai usme green color se outline ho jata hai.. Uske liye aapne kon sa code add kiya hai… Kya aap bo code mujhe bata skate hai pls…
Jumedeen Khan
Ye outline nahi border hai jo coding se nahi image par lagaya gaya hai.
Bheru singh
Nice post sir
Badiya jankari share kiya si apne isse bahut help milega
Sir ek problem hai me theme change karna chahta hu pr dar hai ki koi setting a seo ke liye problom to nhi hogi matlb purani setting wapas karni pdegi kya
Jumedeen Khan
Aap first old theme ka backup le lo koi problem ho to fir se old theme install kar lena.