Jab bhi website ya blog ko google, bing, yahoo and other all search engines me submit karne ki bat hoti hai to hum apni site ko ek sath sabhi search engines me submit karne ke bare me sochte hai. Agar haa to aaj main aapko aesi hi jankari dene wala hu. Jisse aap apni site ko sabhi search engines me ek sath submit kar sakoge. Sirf ek click karne se aapki site all search engines me submit ho jayegi. Internet par aapko bahut sari Search Engine Submission service provide karne wali sites mil jayegi magar un sabki service true nahi hoti. Website Ko All Search Engine Me Submit Kaise Kare?
Website ya blog banane ke bad or usme 5-10 Quality Content wali post likhne ke bad sabse important kaam hota hai apni site ko sabh isearch engines me submit karna or apni posts ko search results me top par lana. Maine already website ko search engines like Google, Bing, Yahoo, Yandex etc. me submit karne ke bare me bta chuka hu. In sabki jankari ke liye aap ye articles read kare.
- Blog Ko Google Webmaster Tool Me Submit Kaise Kare
- Blog Ko Google, Bing, Yahoo Search Engine Me Submit Kaise Kare
Internet par aapko bahut sari tools and sites mil jayegi jo website ko one click se all search engines me submit karne ki service deti hai. But wo sabhi truest nahi hoti hai or aapke email address and other personal information ka galat fayda uthati hai. So agar koi search engine directory submission sites personal documents information share karne ke liye kahe to uska istemal na kare.
Websites Ko Sabhi Search Engines Me Submit Kaise Kare
Jaisa ki main aapko upar bta chuka hu ki internet par mojud sabhi search engine submission service dene wali sabhi sites true ervice offer nahi karti hai. But main yaha aapko jis site ke bare me btane wala hu wo na na sirf true service provide karti hai balki aapke email address ka galat fayda bhi nahi uthati.
Baki sites ki tarah is par aapko personal information share karne ki jarurat nahi hai. Mai bat kar raha hu Entireweb Free Search Engine Submission site ki jisse apa free me apni site ko all search engines me ek sath submit kar sakte ho.
Worldwide yani duniya me entireweb site ko 3.5 million people se bhi jyada iska istemal karte hai. Ye Free Submission, Automatic Resubmissions, and Entireweb Directory 3 service provide karti hai. Aapko jo plan choose karna hai wo kar sakte ho.
Yaha tak ki SEO expert Neil Patel bhi apni post Get Google to Instantly Index Your Website ke step 11 me is tool ke bare me bta chuke hai.
Step 1:
Sabse pahle aap Entireweb.com site par jaye.
- Apni website ka Full URL add kare.
- Apna email address add kare.
- Proceed button par click kare.
Step 2:
Ab jo page open hoga usme aapko plan choose karne ke liye kaha jayega. Ek bar aap sabhi plan ke features ka review kar le uske bad aapko jo plan best lage wo select kare.
- Agar FREE plan use karna hai to Free plan ke Choose plan button par click kare.
Step 3:
Ab Entireweb tool aapki site ko sabhi search engines me submit karna start kar dega. Site ko sabhi search engine me completely submit hone me 30 second to 2 minutes ka time lag sakta hai. Yaha aap iska screenshot dekh sakte hai.
Is tarah se aap apni site ko one click se all search engines me submit kar sakte hai. Entireweb ke alawa kuch or bhi best search engine submission sites hai. Aap chahe to inka bhi istemal kar sakte ho or apni site ko google, bing, yahoo and other search engines me submit kara sakte ho. Jaise:-
- Free Web Submission
- Free Website Submission
- Free Search Engine Submission
- Submit Site to Search Engine FREE!
Mujhe in sabhi me Entireweb site sabse best or secure lagti hai. Kyuki iska istemal karne ke bad mujhe spam mail ya other koi bhi problem nahi huyi warna dusri search engines submission sites ka istemal karne se unwanted mails aane lag jate hai.
- Blog Ko Google Search Engine Me Index Karane Ki Top 5 Tips
- Search Engine Me Site Ki Top Rank Banaye Rakhne Ki 100 Best Tips
Agar aapko aesi hi koi top and truest search engines submission site ke bare me pata hai to aap uske bare me comment me jarur btaye. Sath hi is post ko social media par apne friends and other blogger ke sath share jarur kare.
Thanks for vising.
Nitesh
Hello bro ye kaise ho sakata hai?
Koi verification ke bina website ko sabhi search engines me submit kaise hoga, Agar hoga to hum kisi bhi dusre ki website ko submit kar sakte hai Kyuki verification ki jaroorat to nhi padegi.
Secure website aisi nhi hoti mere hisab se
Jumedeen Khan
Aap sirf submit kar sakte ho verify karne ke liye aapko paid plan use karna hoga. Nahi dusre ki site ko verify tabhi kar sakte ho jab aapke pas uske email address ka access ho.
jignesh
sir aapne bhaut achchi jankari share kiya he thanks..
me aapka blog ko regularly padta hu.
Nadim Ansari
Sir Maine 2 din pahle entirweb me submission kiya lekin abhi Kisi engine par mera blog nahi aa raha
Jumedeen Khan
Isme thoda time lagta hai. 1-2 week me aapka blog search me aa jayega.
Ramesh Prajapati
yadi mere blog par adsense approved hai aur mai template edit karna chahta hu to mujhe koi problem to nahi hogi jaroor bataye.
mai kewal head tag meeta tag me kuch changes karna chahta hu
Jumedeen Khan
No problem kar sakte ho.
SANJAY KUMAR
Thank u jumedin ji….
Hello sir
Me sanjay
Me aapka blog ko regularly padta hu
Bahut achhi bate btate ho app sir technology know bare m
….me bhi aap jaisa bnna
Chahta hu…pr smjh me nhi aa rha h ki kiske bare m likhu….sir M painting bnata hu…to us par kis trh blog likhu. …give me suggestion sir…plz sir…jumedin khan ji
Jumedeen Khan
Paiting ke liye mere hisab se youtube best hai. Video me jyada achha lagega.
kavya
Hi sir aapse seh ek help chaiye mere google webmaster tools mey 1 crwel erroe show ho rha hai kya aap bta skty hai mey essy kesy fix kro ya koi aapky pass link ho toh jaror share kry.
Jumedeen Khan
Us crawl eror ko open karo or usme jo link ho wo aapki site par work kar raha hai ya nahi use fix karo.
Raju Roy
sir,
1.kya aap bata sakte hain ki photo editing karne ke liye konsa software use karte hain.
2.sir, blog ke liye konsa niche best hai.
Jumedeen Khan
1. Photoshop
2. Jism aapka interest ho or jiski aapko knowledge ho.
Bindass Blogger
Very well written and great information for beginners 🙂 have a happy blogging !
ajay gupta
vaah aapne ye bahut achhi jankari ko share kiya nice tricks sir
Shivaay singh
Hello sir , aapki post bhut hi usefully hai . Sir mera aapse ek question hai ki jab aapne blogging start ki thi to aapki same kon kon se problem aaye . Or aapne unhe kaise solve kiya . Plz plz sir i need answer .
Jumedeen Khan
No problem, Main jo bhi karta hu pahle uske bare me sikhta hu.
rohit
aapki blogger to wp migration ki post padhi kafi acchi tarike se aapne btaya hai. lekin mere kuch question hai.
1. jab me blogger pr post likhta tha tb custom permalink ka use kiya hai. mtlb post title se permalink link alag hai. to WordPress me ye links kaise ayege.
2. blogger. se wp me import krne ke baad Google Webmaster’s me kya changes krne hoge.
3. 5-6K Daily Traffic Aata ha iske liye kon si hosting best rahegi.
Jumedeen Khan
WordPress me jab post likhte hai to post title ke niche permalink ka option aata hai. Ya fir aap yoast plugin use karte ho to post editor se niche slug ka option aata hai waha URL add akr sakte ho.
Shailesh Chaudhary
Hi,
Bhai Web Master Concle par bar-bar Crawl Error aa rha hai. Maine kuch Post delete kiya tha iske liye. But mai Bar-bar fix karta hu tab bhi aate rahte hai. Aap Koi tarika Batao jisse Crawl Error ko parmanetly Fix Kiya ja sake
Thanks
Jumedeen Khan
Jo crawl error aa raha hai wo link aapki site par nahi hona chahiye. Uske kuch bad ye error solve ho jayega. Agar aapko jaldi karna hai to crawl error wale link ko blog homepage par redirect kar do.
Manbhawan Pandey
Sir mere blog me adsense approve nahi ho raha please check my blog.
Sir blogger ke kuch ache template bhi kuch email pe send kar dijiyega
Jumedeen Khan
Aap custom domain use karo ho jayega.
shahzaib
sir me ne blog me floating share button add kiya hai jo pc me to side pe show hota hai lekin mobile pe text k front pe a rha hai is no kaise theek karo
Jumedeen Khan
CSS coding se kar sakte ho.
VISHAL
Aapne header me 1 aur siderbar me 2 ad lagaye hai kya aap bata sakte hai inke kaise lagate hai aur inki size kitne rakhni chahiye . for wordpress blog
Jumedeen Khan
Direct widgets me ad code paste karo header me responsive or sidebar 300×600.
VISHAL
BEST ARTICLE HAI .THANKS
RUSHEEK
Bro mene apni site me free claudfler ka ssl liya he lekin vo har post me Kam nahi Kar Raha http mixing ka problem he iske liye mene apki post bhi follow ki or kus plugin bhi use kiye lekin abhi tak jam nahi bana Raha to please iska koi solution Bataye
2) Kya ye problem theme ke Karan ho sakta he
Jumedeen Khan
Nahi theme ki wajah se nahi hai. Cloudflare cache delete karo or koi cache plugin use karo to usk ibhi and maine psot me jo https mixed content ko fix karne ka plugin btaya hahi wo sah ise use karo.
Ravi Kumar
Wow Jumedeen Ji,
Ye post padhkar mujhe apne shuruati din yad aa gaye. Jab main kisi bhi tarah ke submission forum nahi chhodta tha. Sabhi search engine forum me blog link submit karta tha.
Lekin ab main is tarah bilkul bhi submission nahi karta. Mera manana hai, hamare potentiel visitors Google aur bing ko use karte hai.
Aur dusri baat kisi unknown search engine men blog submit karane se spam traffic ka risk bana rahta hai.
Vaise aapka post great hai.
Thanks
Ravi Kumar
Asween
Very useful information
Is tips ki help se ab hum humari site ko automaticaly sabhi search engines par submit kar sakate he,hume harek search engine par bari bari se jakar usme apni site submit karne ki jarurat nahi he or isse kaafi time saving bhi hoga.
shahzaib
sir Kya in search engines k liye sitemap create nhi karna pare ga
Jumedeen Khan
Nahi.