YouTube channel create karne aur video upload kar earning karne ke bare me bahut si post aur video tutorial share kiye ja chuke hai lekin ye post un sabhi se alag hai. Yaha main ek YouTube Channel nahi balki ek Successful Youtube Channel banane ke bare me step by step details se btaunga. Ek Successful YouTube Channel Kaise Banaye?
Successful channel yani channel banate hi us par views and subscriber aane shuru ho jaye aur aapko channel par subscribe or videos par views badhane ke liye koi struggle na karna pade. Ye thoda mushkil hai lekin agar aap sahi tarike se shuruaat karoge to aasan ho sakta hai.
Normally, hum youtube par channel start karne ke liye ye process follow karte hai.
- Sign in on YouTube and Create a Channel
- Create and Upload Some Videos
- Try to Cross YouTube Monetize Limits.
Ye 3 step follow karne me hume kai month nikal jate hai aur kafi struggle karne ke bad bhi kuch logo ko monetization nahi mil pata. Actually, starting ka tarika hi galat hai youtube par safal hone ke liye aapko achhe se starting karni hogi.
YouTube par ek successful channel start karne ke liye aapko normal process ke alawa kuch advance karna hoga tabhi aapke channel create karte hi aapko subscribers aur views milen shuru honge.
Table of Contents
Ek Successful YouTube Channel Kaise Banaye – 5 Tips 2024
Ek success youtuber banne ke liye aapko planning ke sath starting karni hogi aur shuruaat se hi achha support hasil kar chalna hoga aur support aapko tabhi mielga jab aap kuch naya aur brand karenge. Ab main main topic par aata hu. Chaliye jante hai 0 subscriber and 0 views se youtube channel grow kaise karte hai.
How to Start a Successful YouTube Channel – Full Guide in Hindi:
1. Create and Setting up Channel
Jab hum youtube par channel banate hai to bahut si settings hoti hai jo karni jaruri hoti hai. Sabse pahle hum channel create karne ke bare me janenge.
Step 1: Create Account
YouTube par channel banane ke liye aapko gmail account ki jarurat padegi. So sabse pahle aap apna gmail account create kar le iske liye aap Gmail Account Kaise Banaye post check kare.
Step 2: Sign in on YouTube
Gmail account create karne ke bad aap https://www.youtube.com site par jaye aur top right side me SIGN IN par click kar apni gmail id se log in kare.
Step 3: Create Channel
YouTube par log in karne ke bad YouTube Channel Switcher par jaye aur Create a new channel par click kare.
Step 4: Choose Brand Name
Ab jo page open hoga usme aapko apne youtube channel ke liye brand name select karna hoga. Yani ek aesa name jo aapke work, videos se related ho.
YouTube channel ke liye ek achha name choose karne ke liye ye guideline check kare YouTube Channel Ke Liye Good Name Choose Karne Ki 10 Tips.
Ab aapka youtube channel create ho chuka hai bas uski jaruri settings karni baki hai. Aapko ye sab setting karni hai.
- Upload Channel Logo and Covert Art.
- Add Channel Description and Contact email address.
- Also add social profile links in about section.
- Create a Intro video fr your channel.
- Upload a trailer and enable watermark in settings.
- Also setup channel google+ profile completely.
In steps ko complete karne ke bad aapko kuch aur setting karni hai jiske liye aap humare ye article read kare aur channel setup complete kare.
- Youtube Par Video Upload Karne Ki Default Setting Kaise Kare
- Youtube Videos Ki SEO Setting Kaise Kare Top 20 Important Tips
After that, aapka youtube channel successfully setup ho chuka hai. Ab aapko sahi tarike se apne channel par kaam shuru karna hai.
2. Making Successful Videos
YouTube channel setup complete karne ke bad aapko first video channel par uploa karni hai. Aap chahe to apne kaam ke bare me ek trailer bhi bana sakte hai aur usme bta sakte hai ki aap is channel par kya karne wale hai.
1. Make First Video
Aapki first video aapke work ke bare me honi chahiye jaisa ki main upar ki line me bta chuka hu aapko first video me ye btana hai ki aap is channel par kis subject ki video upload karne wale hai.
Yaad rahe aapki first video jitne logo ko attract karegi aapka channel utni hi speed se aage badhega. Mujhe nahi pata aap kis topic par kaam karne wale ho lekin ye point suggest kar sakta hu.
- Aap channel par kis category ki video daloge.
- Aapke channel ka future kya hai.
- Aap kab kis din se shuru karne wale hai.
- Aapki videos kis time publish hongi.
- Next videos kitne time bad upload karoge.
- and many more jo aapko better lage.
Apni fisrt video complete kare aur channel par upload kare. Uske liye ek achha title select kare jaise “First Video of Support Me India” taki aapke channel par jyada se jyada user attact ho sake.
2. Invite Your Friends
Apne channel par first video upload karne ke bad aapke social media par jo bhi fans aur friends hai sabhi ko channel subscribe karne ke liye invite kare. Aapko jo bhi subscribers milenge wo aapke liye motivational ka kaam karenge.
Aap 100, 200, 500, 1,000 or 10,000 jitne bhi subscribers kar sako kar lo jitne jyada subscribers milenge utni hi achhi starting hogi. Agar aap chaho to next video ka time 5-7 bad de sakte ho aur is bich logo ko apne channel se jod sakte ho.
3. Do Research and Start Your Work
Jab aapne channel banaya tha to aapke pas uske liye ideas to honge hi ki aapko kis type ki video banani hai. Lekin thoda research kare le aur aap jis topic par video banane wale hai uske bare me pata kar le ki kahi kisi aur ne to aesi video nahi bana rakhi hai.
Agar koi already aesa kar chuka hai to aapko more awesome and more better karna hoga. Mujhe nahi pata aap kya karoge bas aapki second video aapke all subscribers ko pasand aani chahiye. Itna achha karo ki ek bhi user aapke channel ko unsubscribe na kare.
Video upload karte time achhe se thumbnail, description and title choose kare aur good tags add kare taki aapko better se better response mil sake.
3. Increase Your Channel’s Success
I’m sure agar aap upar ke steps sahi se follow kar lete ho to aapki starting 101% better hogi aur aapko shuruaat se hi views and subscribers milne shuru ho jayenge. Ab bas aapko apne channel ki success ko aur behtar banana hai.
1. Buy a High Quality Camera
First video banane ke liye aapne apne smartphone camera ya personal camera ka istemal kiya hoga. Lekin ab aapko serious work karna hai to thoda invest karna hoga aur ek achhi quality and achhi video capacity ka camera lena hoga.
Aap apne budget ke hisab se camera le sakte ho bad main aap youtube earning receive karke camera upgrade kar lena. Agar aapke pas latest android mobile hai to possible hai uska camera achha ho aur aapka new camera na lena pade.
2. Choose a Better Screen Recorder
YouTube ke liye high quality videos banane ke liye aapke PC me ek achha screen recorder hona jaruri hai. Computer ki screen record karne ke liye aapko kai sare free software mil jayenge jinme se ye 2 best hai.
- OBS Studio
- Ice Cream Screen Recorder
Agar aap mobile uer hai to mobile ki screen record karne ke liye ye guideline check kare Android Mobile Ki Screen Record Karne Ke Top 7 Free Apps.
Ye 2 screen record sabse better hai. OBS me aapko screen record karne me kisi bhi tarah ki problem nahi hoti hai. Isse aap long se long video record kar sakte ho.
3. Choose a Good Video Editing Software
Video ko better banane ke liye aapke pas ek achha video editing software hona chahiye taki aap achhe se video editing kar paye. Main yaha kuch better video editor ke bare me bta raha hu.
- Light Works
- YouTube Video Editor
- Movie Storm
- Camtasia Studio
Adhik jankari ke liye aap google search kare “Top Video Editing Software” Is bare me kai articles mil jayenge jinme good video editing software ke bare me btaya gaya hai.
4. Change Your Badroom to Office Room
Koi bhi kaam ho use seriously na karne par safalta nahi milti. Aap chalte firte youtube blogging me success nahi ho sakte so serious work karo aur work karne ke liye sabse better jagah hoti hai office jaha aapko koi distrub karne wala nahi hota.
Agar aap special office nahi bana sakte to apne badroom ko hi office bana sakte ho. Room ki arrangement apni jarurat ke anusar karo aur apne ghar ke kisi table ko apna office counter bana lo. Uske bad kaam karne me maja aayega.
4. Partnership with Other YouTubers
Ab aapka successfully channel shuru ho chuka hai aur aap achhi achhi video bhi bana rahe ho ab time hai apne jaise dusre youtubers e milna aur unke sath partnership karna.
YouTube hume featured channel ya recommended channels koa option deta hai jisme hum kisi aur channel ko add kar sakte hai. Aap iska sahi istemal utha kar apne youtube channel ka traffic increase kar sakte hai.
Yaha aap dekh sakte hai maine ek channel me supportmeindia channel ko add kiya hua hai.
Aap bhi is tarike se apne related person ke channel ke sath partnership kar sakte ho aur apne channel par subscribers and views badha sakte ho. Ye post aapki isme help karengi.
- Youtube Channel Par Subscribers Badhane Ki 20 Best Tips
- Youtube Videos Par Views Kaise Badhaye – 10 Best Tips in Hindi
Iske alawa aap jaise bhi kar sako dusre youtuber se relation bana kar apne channel ko logo tak pahuchaye taki unhe aapke channel ke bare me pata chale aur wo aapke sath jud sake.
5. Promote Your Channel and Videos
Internet par koi bhi business ho promotion ke bina rank karna aasan nahi hota hai. Aapko bhi ek safal youtube banne ke liye apna channel aur videos ko promote karna hoga. Iske liye aap social media ka sahara le sakte hai.
Apne youtube channel ke name se facebook, twitter, google+ etc. par profile banaye aur logo ko follow and connect karne ke liye kahe. Iske alawa email, whatsapp aap jaise bhi kar sako apne channel ko promote karo.
Agar aapko budget problem nahi hai to aap channel name se facebook page banaye aur use promote kare ya fir aap adwords advertisement ka istemal kar sakte hai.
Aap apne alawa pane dosto ko bhi unke group me channel promote karne ke liye kah aur jitna ho sake utna jyada promotion kare.
Agar aap kar sakte hai to apne channel name ka domain le kar blogger.com par ek free blog banaye aur usme apne work ko achhe se explain kare. Time to time usme kuch articles publish kare aur apni video ke sath kuch text content likh kar share kare. Isse aapke channel ki google rank improve hogi.
Final Words,
Maine yaha par ek successful channel start karne ka jo tarika btaya hai agar koi use step by step follow kar le to 100% ek safal channel bana sakta hai. Ek successful youtube channel banane ke liye ye process bahut hi important hai. Agar aap youtube par serious work karna chahate ho to ise sahi se samajhe aur follow kare.
Sirf youtube channel banana aur usme video upload kar dena kafi nahi hota hai safal hone ke liye mehanat karni hoti hai aur mehanat to koi bhi kar sakta hai. Aap jis speed se ye steps follow karoge aapka channel bhi utna hi teji se aage badhega.
So jitna ho sake ek behtar shuruaat kare aur shuru se hi logo ko apne sath le kar chale taki aapko 10, 20 subscriber ya views ke liye struggle na karna pade.
- YouTube Channel Par 10,000+ Views Pane Ki Top 10 Tips
- YouTube Offline Kya Hai? YouTube Video Ko Offline Save Kaise Kare
Agar aapko humara ye article helpful and useful age to ise social media par apne dosto ke sath share jarur kare aur sath hi humare youtube channel ko bhi subscribe kar le.
Mona jangra
Sir sir maine bhi apna new YouTube channel bnaya h. Sir abhi mujhe jyada kuch smjh nhi aa rha h. Content to bht h pr kis trh kya kru confuse ho rhi hu. Sir mujhe aapki help chahiy aapse kaise contect kr skte h
Jawed Akhtar
Nice tips for youtuber ..
Mohammad
Sir mere channel par 250000 lakh veiws or 240000 whatch time ho gaya hai lekin abhi tak incom show nahi hui q sir plese help me
जुमेदीन खान
monetization enable karo aur analysis report check karo.
suresh kumar
bahut accha likha hi aapne
Azharuddin Ansari
Sir , agar maine ek Youtube Channel banaya aur us naam se pahle se hi 7-8 Channels hai to us Channel ka naam Search karne se sabse upar kiska Channel ka naam dikhega
Jumedeen khan
Jis par sabse jyada better content aur traffic hoga.
Rahul
Superb gide about youtube channel. Thanks Sirji….
niamat
background image ki size kya hoti ha or kaha se banaye uski logo
Jumedeen khan
1280×720 online kai tools hai google search karo.
Manisha gupta
Mujhe bhi apna youtube channel open karna but kaise samjh nhi a raha h plzz sp meri help kro ho ske to watsaap kro plzzz m bht confuse hu…
Antarpal SINGH
Hello SIR==
Mai bhi pichle ek mahine se youtube channel ki tyaari kar raha hu lekin bus ye soch raha hu abhi tak ki jab new channel bnaayu to dobara bnaane ki jrurat na pde sb setting ek baar me hi ache se karna chahta hu iske liye mujhe aapki help chahiye … Thanks Sir, I Hope Aap meri bahut ache se or ache tareeke se help kroge…
Jumedeen khan
Yes aapki har mumkin help ki jayegi. Aap apne sawal ask.suportmeindia.com forum par puch sakte ho.
Rashmi
Sir mujhe study success motivation ka you tube channel banana hai
Aasif Ali
Sir maine aapki is post ki padhkar ek new youtube channel banaya hai pahle wala delete kar diya ab i post ko follow karke channel par kaam karunga thanks for sharing this useful tips.
Nagesh Lingayat
Informative blog! Thanks for sharing it.
Adip Gaurav
Great Tips.
Nitish Sharma
Bahut hi achhe se btaya aapne. Mein bhi apna youtube channel ko esi trike se growth jarur karugaa.
Jagpal Kumar
भाई क्या में एजुकेशन पर चैनल बनाऊ बो भी अपने स्टेट के ऊपर तो चैनल चल सकता है की नहीं
Jumedeen khan
Agar aap sah ise kaam karoge to bilkul chal sakta hai.
Sachin Dhrangdhariya
Thanks Jume Deen bhai
Is post Ko padh kar muje bhi
YouTube par success ban ne ki ummid Jag gayi Hain
Thanks bhai
Kya me apki blog ka review Apne YouTube channel par upload kar Sakta hu?
Me Sab se pehle apki blog ka review upload Karna chahta hu
Me aapki anumati chahta hu
Yes or no
Jumedeen khan
Why not bro kar sakte ho.
MN Hemant
Mera ek YouTube channel hai, MN Hemant nam se… par aapka yah information padhkar bahut help mila
Pinki kumari
Jumedeen khan Sir, aapne bahut hi badhiya jankari di. Aapka bahut-bahut shukriya.
dharmesh rajput
Youtube account create karne ke liye aapne bahut hi achhi jankari share ki hai
arti maurya
sir aapki jankari hume bahut acchi lagi
AMAN KUMAR SINGH
बहुत अच्छी आर्टिकल लिखी आपने
Bheshpratap sahu
JDK bhai har youtubers ke liye helpful hai. Vaise aap kab videos upload karenge.
Jumedeen khan
1-2 day me karne wala hu.
Anoop Bhatt
Bhut acha article hai sir youtube channel create karne ke bare me sir
Youtube ke liye video banane ke liye kya kya chahiye
Prahlad
Sir ji aapne bahut badiya site banayi hai muje aapse help chahiye mene apne blog me aapke dwara author box ke code apne template me add kiye par auterbox keval home page par hi aa raha hai har post ke sath nahi aa raha hai
Jumedeen khan
Aap dusri theme use kare jisme already author box ho.