Maine July 2024 me blogging start ki thi. Blogging ke 2+ year ke safar me maine bahut si hosting and plugins ka istemal kiya hai. Aaj main aapko SupportMeIndia blog par use hone wali themes, hosting and plugins ke bare me details se btaunga. Agar aapko SMI blog pasand hai or aap iske according hosting and plugins ka istemal karna chahate ho to ye post specially aapke liye hi hai. Which hosting and plugins am I use?
Har blogger chahata hai ki uski blogging ki shuruaat achhi ho or wo kam time me successful blogger ban jaye magar aesa bahut kam logo ke sath hota hai. It was my good luck, mujhe kuch hi months me blogging me achhi success mil gayi or main bahut kam time se blogging se monthly lakho rupees earning karne laga.
is bich maine maine apne WordPress blog kel iye kafi hosting server and plugins ka istemal kiya. Finally, mujhe jo hosting and plugins best lage or jinki service achhi thi unke bare me aapko bta raha hu. Sath hi aapko ye bhi btaunga ki main abhi konsi hosting and plugins ka istemal kar raha hu.
Table of Contents
Which Hosting and Plugins am I Use on SupportMeIndia Blog.
Jaisa ki maine upar btaya hai maine July 2024 ko blogging ki shuruaat ki thi. Starting me maine blogger.com par free blog banaya tha but after 2-3 month blog ko WordPress par shift kar liya. Iski wajah thi WordPress par blogspot se jyada features hona.
WordPress par bahut sari or themes or plugins available hai aap inki help se apne blog ke sath jo chaho kar sakte ho. Starting me better themes o plugins ki information na hone par WordPress users ko bahut si problem hoti hai. Mere samne me bhi yahi sawal tha ki main konsi theme or plugins use karu.
Starting me maine mythemeshop ki themes istemal ki magar kuch time bad mujhe Genesis Framework ke bare me pata chala to maine genesis theme use karne ka failsa liya. After some time, SupportMeIndia blog par genesis framework+child theme use ho rahi thi.
Mai abhi Genesis framework + self designed child theme use kar raha hu or apni sabhi sites par mostly genesis framework hi istemal karta hu. Kyuki ye customize karne bahut easy hai. Aap bina genesis framework ko edit kiye child theme me kuch bhi editing kar sakte ho.
Main apne sabhi readers ko bhi WordPress ke liye best no.1 theme Genesis Framework istemal karna hi suggest karunga.
Now, hum sabkuch chord kar SMI par use hone wale plugins and hostings ke bare me bat karte hai. Mere sath inka experience bahut achha raha hai. Chaho to aap bhi inhe istemal kar sakte ho.
Hosting
WordPress par blog start karne ke liye good hosting service choose karna bahut mushkil hai kyuki mostly WordPress guide karne wale apne apne affiliate program ko hi best btate hai. Iski wajah se newbie blogger ko bahut problem hoti hai.
So yaha main kisi ko best ya bad btane ki koshish nahi kar raha hu. Main sirf apna experience bta raha hu baki aap khud decide kar sakte hai ki meri bate sahi hai ya galat.
Starting me maine SupportMeIndia par Hostgator India se shared plan buy kar WordPress blog install kiya tha uske bad Bluehost India ke shared hosting ka istemal kiya. Both are best magar dono ke sath traffic high hone par site speed down ho jati thi.
In my experience, Hostgator India and Bluehost India dono ki shared hosting services same hai. Magar jab mere pas traffic jyada ho gaya to maine Godaddy se VPS hosting (Virtual Private Server) buy kiya. Magar godaddy ka server kai bar bahut down ho jata tha isiliye maine Bluehost India se VPS Server purchase kar blog transfer kar liya.
But abhi bhi mujhe site down hone ki problem thi jab bhi blog par jyada traffic hota site load hone me bahut time leti hai. So maine decide kiya ki ab India ke nahi USA server ka istemal kiya jaye or maine Bluehost.com ka VPS server buy kiya.
Awesome, Bluehost.com ki hosting best thi or meri site ab 1 second me open hone lagi thi. Bluehost India and Bluehost.com me bahut jyada different hai. Agar aapko 100% uptime hosting chahiye to aap in dono me se USA server ko choose kare. Same yahi main Hostgator India and Hostgator.com ke liye kahunga.
Maine hostgator india or hostgator.com ko bhi try kiya hai but ya bhi same bluehost jaisi service hai. Haa hostgator.com best hai but uski security better nahi hai. Aapke sath hacking jaisi problem hone par support nahi milega.
Afte some time, mujhe site down problem hone lagi or bluehost par mera ek blog hack ho gaya. Uske bad maine Siteground hosting buy ki but yaha jitna dikhaya jata hai utna milta nahi or iski limits bhi hai.
Ab maine Amazon AWS cloud hosting try ki or maza aa gaya. Web hosting me ye sabse better nikla, But yaha price ki problem thi or bahut jyada product hone ki wajah server manage karna thoda hard tha. Ab mujhe talach thi ek aese server ki jo same AWS jaisi service provide kare or usme AWS jaise extra products na ho.
Finally, maine DigitalOcean Cloud Server choose kiya. Excellent, jitna kaha jata hai iska usse kahi jyada achha hai. Mujhe apni pasand ki or aesi hostingf mil chuki thi jiska uptime 100% tha. Iski service ke bare me janne ke liye aap ye post read kare.
- DigitalOcean Se 2 month Cloud Hosting Kaise Kharide
- DigitalOcean Cloud Hosting Last 3 Month Review 2024 (Hindi)
By the way, agar aapko indian server chahiye or aapka mostly traffic india se hai to aap Hostgator India and Bluehost India me se kisi se bhi hosting le sakte ho or agar aapko server manage karne ki basic knowledge hai to aap DigitalOcean Cloud hosting use kare.
Note: Support Me India abhi DigitalOcean Cloud Hosting par host hai.
Plugins
WordPress ke liye free and paid bahut sare plugins hai. Maine best plugins ke bare me WordPress Par Site Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari and WordPress Par Blog Banane Ke Bad Kya Kare – 50 Jaruri Tips iske bare me already btaya hua hai ki kon konse plugins ka istemal karna chahiye.
But yaha bat ho rahi hai SupportMeIndia par use hone wale plugins ki to main aapko iske bare me bhi bta deta hu. Halanki main kuch secret plugin use karta hu jinse share nahi kiya ja sakta magar jinhe share kar sakta hu wo ye hai.
- Akismet: Apne WordPress blog ko Spam Commenting se secure karne ke liye akismet plugin meri first choice hai.
- Yoast SEO: Without SEO ke blog kabhi successful nahi ho sakta or WordPress ko SEP friendly banane ke liye yoast SEO meri pahli pasand hai.
- Ad Inseter: Affiliatwe banner, Google adsense ads and other advertising ke liye ad inserter sabse best hai. Wese maine Advanced Ads ka bhi istemal kiya hai magar ye plugin best or mera favorite hai.
- Social Warfare: Maine social share button ke liye bahut sare plugins try kiye magar mujhe sabse best social warfare lagta hai.
- W3 Total Cache: Agar cache plugin ki bat kare to meri first choice W3 total cache plugin hai. Isse aapki site baki cache plugin ki tulna me first load hoti hai.
Ye wo plugins hai jinhe me abhi SupportMeindia blog par use kar raha hu. Actually, mujhe jyada plugins istemal karne pasand nahi hai isse site par bad effect padta hai or site speed bhi slow hoti hai.
Inke alawa ye kuch or plugins hai jo meri nazar me har WordPress ke liye jaruri hai. Main bhi jarurat padne par inhe use karta hu or apne readers ko bhi recommended karta hu ki wo bhi inhe use kar sakte hai.
- Jetpack: Apne visitors ko post and comments ki notification send karne, image ko fast load karne, related posts and extra widget etc. ke liye jetpack plugin sabse best hai. Only jetapck aesa plugin hai jo akela aapko kai sare plugins ke jitne features provide karta hai.
- WP Super Cache: W3 total cache ke bad meri second choice WP Super Cache plugin hai or agar aap paid cache plugin use karna chahate ho to WP-Rocket best hai.
- Q2W3 Fixed Widget: Sidebar widget & other widgets ko fixed, sticky banane ke liye.
- Contact Form 7: Without knowledge blog par contact form add karne ke liye.
- WP-DBManger: Database optimizing and backup lene ke liye.
- Duplicator: Blog ka backup download karne ke liye.
- WP-Sweep: Database se extra tables ko remove karne ke liye main wp sweep plugin use karta hu.
- WP-Optimize: WordPress database ko optimize karne ke liye ye mera favorite plugin hai.
Ye sabhi meri second choice hai main jarurat padne par inhi plugins ka istemal karta hu. Mostly mujhe inki jarurat nahi hoti agar aapko hai to aap inhe istemal kar sakte ho. Sabhi top level plugins hai.
Note:- Abhi page cache ke liye SupportMeIndia par Fast-CGI cache istemal hota hai.
CDN (Content Delivery Network)
Website blog ko speed up banane ke liye CDN service istemal karna bahut jaruri hai. Without CDN aapki site slow load hogi or image very slowly open hoti hai.
Agar aap best CDN providers search karoge to sabse jyada aapko CloudFlare ke bare me suggestion milenge. Mostly blogger cloudflare ke liye hi suggest karte hai. Iski main wajah hai cloudflare free plan offer karta hai jo ki koi or CDN provider nahi karta.
Koi bhi newbe blogger apne blog par easily cloadflare CDN service enable kar sakta hai. Agar aapko iski jankari chahiye to aap Blog Par Free CloudFlare CDN Setup Kaise Kare Complete Guide article read kare.
Iske alawa cloudflare Free SSL Certificate bhi provide karta hai so agar aapko apni site free me https:// security enalbe karni hai to aap cloudflare choose kar sakte ho. Iski jankari ke liye ye post read kar sakte hai, WordPress Blog Me CloudFlare Free HTTPS SSL Setup Kaise Kare.
Cloudflare ke Alawa MaxCDN sabse best CDN provider hai. Iske alawa or bhi bahut sare CDN hai magar sabse jyada log in dono ka hi istemal karte hai. MaxCDN cloudflare se jyada behtar hai ya Cloudflare MaxCDN se jyada behtar hai is bare me ek taraf decide karna mushkil hai.
Dono CDN apni apni jagah best hai. Jaha MaxCDN ka support awesome hai waha cloudflare ka free plan best hai. Mostly personal bloggers cloudflare free plan ka hi istemal karte hai.
Note: SupportMeIndia par abhi koi bhi KeyCDN CDN Service istemal hota hai.
Final Thoughts
Finally, main aapse yahi kahunga ki success blogging karne ke liye aapki site ka speed up hona jaruri hai. Ek bar aap apni site ka complete setup kar lete ho to use successful banane ke jyada aasani ho jati hai.
Isi bat ko dhyan me rakhte huye maine sabhi WordPress bloggers ke liye WordPress Par Blog Banane Ke Bad Kya Karna Chahiye – Complete Setup Guide article likha hai jisme aapko WordPress blog banane ke bad kya kya karna hota hai or WordPress ko setup karne ki complete process btayi gayi hai. Agar aap bhi WordPress user hai to ek is article ko jarur read kare.
Agar aapko SupportMeIndia blog pasand hai or isse helpful and useful information milti hai to ise social media sites par apne friends ke sath jarur share kare.
Galib
Bhai, 10k daily traffic ke liye kounsi hosting lena sahi hai, need suggestion.
Arvind
Bhai meri website par traffic India se aata hai aur Abhi traffic bhdne lga hai, par day 5000 ka traffic ke liye konsi hosting bdiya rahegi ??
जुमेदीन खान
आपके लिए Cloudways hosting बेस्ट है
Surendra
Bhai , Hostgator india ki Cloud hosting kaisi hain . Mai cloud hosting ka baby plan buy karne ki soch raha hun . Lekin maine iske negative review jayada dekhe hain mouthsoth par . Iski speed kafi slow hain … Agar aapne use ki hain toh apna review mere sath share karen .
Mai Php website ke liye cloud hosting lena chahta hun jiski speed badhiya ho or Data transfer fast ho agar real time visitor 100 ho . Aap mujhe suggest karen ki konsi hosting mujhe leni chahiye .
जुमेदीन खान
अगर आपको fast server चाहिए तो फिर आप cloud hosting like AWS, Google cloud या फिर DigitalOcean server use करो, और अगर आपके visitor India से है तो Hostgator India से hosting लो
Amit
Sir aap ye post ke andr heading kese add krte ho orange background and icon ke sath
जुमेदीन खान
ये CSS code से design किया गया है
Amit
Sir aap codes share kr skte ho kya
जुमेदीन खान
Nitesh
Adsense approved blog me broken link checker plugin use karna chahiye ya nahi?
Prahalad
Sir aapke blog ke home page me jo home function widget jo category ke liye use kiya gya hai kya vo genesis theme ke sath milta hai ya aapne ise banaya hai ya sirf stylish kiya hai krpya reply kare
जुमेदीन खान
e child theme feature hai jo manually bana hai.
Shelish
Sir me sampal child theme me apni khud ki style.css file kaise jod sakta hu
Aur aapke home page par jo category ke liye jo box bane hai Vo kaise banaye jate aur unko kya kahte hai
Aur jo aapne recent post ka jo widget apne blog ke home page par lagaya hai grid style me vo kaise lagaya hai aur unke code muje kaha mil sakate hai
जुमेदीन खान
इस सबके लिए आपको थोड़ी coding आनी चाहिए, तभी आप समझ सकोगे
Shelish
Sir kya aapne genesis ke sath magzine pro child theme ko customize kiya hai
Plese reply
जुमेदीन खान
नहीं, sample child theme को
Prahalad
Sir aapke blog ka homepage custom hai ya didar yani recent post wala ya antarik plese bataye
जुमेदीन खान
ये कस्टमर डिजाइन है
Paresh
Me Best Theme Dundh Raha Tha App Ki Post Se Muje Mili Or ise Muje Adsdnsd Approval Bhi Mila, Meri Site Ab Approve Hai. Thank You Bro.
Inspire Status
Brother mare ek website hai. Voh mai ne digitalOcean pe host ki hai. lakin mujhe yeh nhii pta hai k mai kitne plugins uss website pe use karta huu.. Limit kitni hai iss plugins kii.. Please brother tell me.
जुमेदीन खान
आपको जितनी जरूरत हो आप अपने plugin use कर सकते हो
Kashif
mobile me meri website me logo left aur menu icon aur search icon dono ek saath right me aa rahe hai
me chahata hu ki menu icon left me aur logo center me aur search icon right me aaye iske liye kya changes karne honge?
जुमेदीन खान
इसके लिए आप CSS से मेनू icon को left में सेट करो इस तरह से
.menu-css{float:left;}
ayyub
Thank you for sharing your experience
Parmeshvar bana
Bhai aapki theme konsi hai
जुमेदीन खान
यह सवाल तो बिल्कुल वैसा ही है, जैसे रामायण पढ़ने के बाद पूछना कि राम कौन था।
Khustar Noorani
Sir ,,, Aapke dwara di gai jankaari kaafi helpfull hoti hai
Aman
YouTube per Ek video upload Karne per Kitni income hoti hai
जुमेदीन खान
जितने ज्यादा view आयेंगे और जितने ad click होंगे उतनी ज्यादा एअर्निंग होगी
Sarthak
Main php version aur MySQL version update karna chahta hu. To kaise karu . Digitalocean pr nginx Ubuntu 18.04 run kr rha hu
WordPress use krta hu..
Please guide me sir
जुमेदीन खान
Aap DO par new server setup kar blog ko us par move kar lo.
Sarthak upadhyay
Sir, mai sarthak
Maine Genesis ka nulled theme use kiya tha to site down ho gai thi. aapko call par bataya tha. Aapke instruction ke hisab se maine use hata diya to sab normal ho gaya
Lekin, Mai Genesis framework child theme me saath Lena chahta hu. Kya aap Bata sakte hai kaun sa childtheme aap prefer krte hai jo studiopress me ho aur sabse accha ho. Superfast ho aur studiopress team ke through hi built kia gaya ho. Please, sir reply….
जुमेदीन खान
studiopress ki sabhi theme best hai, aap apni pasand ki koi bhi choose kar sakte ho. Aap humare affiliate link studiopress themes se buy kar sakte ho.
Sarthak
Thanku Sir, mere ko sabse fast theme chahiye. Please bata de kaun si child theme fast rhegi. Mai aapke affiliate link se hi lunga..
जुमेदीन खान
Academy pro ya authority pro me se koi ek le lo.
Sarthak
Authority pro le raha hu to Debit card support nahi kr rha. Credit card hai nahi mere pas. Kya credit card banavana padega.
जुमेदीन खान
Aap global debit card se pay kar sakte ho.
abhinav
Hii……bhai me hosting kharidna chahta hu but vahan 2 option hain “select server location kay” hamen kon sa select karna chahiye, india ya usa???
Jumedeen khan
Agar aap Indian traffic ke lyie site banana chahate ho to india warna USA select karo, hindi site ke liye India server location better hai.
Manish Raj Chauhan
thank your so much sir kafi time se acha social sharing plugin search ker raha tha kafi use bhi kiye par koi kaam nahi the wo but jo apne suggest kiya social welfare plugin i like it very much simple and elegant..
Aakib javed
Genesis child theme ki design kaise Kar sakte Hain.
Jumedeen khan
Kisi bhi theme ko design karne ke liye aapko coding ki knowleldge honi chahiye.
shiva
ye coding aapne kaha se seekhi please sir bataye???
Jumedeen khan
internet se.
Lok Prabhat
Bhai mere website me Yoast SEO has not been able to fetch your site’s indexability status me green nahi ho raha hai plz bato
Jumedeen khan
Yoast ki guideline ko sahi se read kar follow karo.
Sagar
Sir g Maine genesis framework theme ko buy karne ki koshis kiya Lekin SBI ke debit card se Nahi Ho raha hai please mujhe bataiye ki konsa card use karu
Jumedeen khan
Debit card se nahi hoga apa credit card ya global debit card use karo jo international transaction support karta ho.
Raghuvar Jha
Sir me genesis ka Digital Pro theme use kar raha hu kya aap bata sakte hai ki Aapka jo home page par Menu bichme or Latest post kaise add kara
Jumedeen khan
Wp dashboard >> Appearance >>Widgets par jao featured post ka option mil jayega.
amin
sir ji aap kaun sa child theme use karte hai please bataye
Jumedeen khan
Main self designed child theme use karta hu.
Amin
Sirji theme developing ke liye aap koi plugin use karte hai ya fir software please bataye
Jumedeen khan
Mujhe basic coding aati hai.
Rushikesh Sonawane
Hi bro!
maine elementor page builder ki madat se static home page banaya tha. Par abhi me kam se kam plugins ka istemaal karna chahata hun. To me plugin aur performence ke sambhandit kuch sawal puchna chahata hun.
1. Bro me elementor page builder ko uninstall karna chahata hun. But usase pahale mujhe without plugin static home page design karne ka solution dhundna padega.
Bro mujhe thodi bahoot coding aati hai. To maine uska istemaal karke fa-fa icons, links ke madat se designing bhi ki thi.
But maine us coding ko text editor me jab past kiya. To properly work nahi kar raha hai. I mean me ek line me sirf teen div dhikhana chahata tha. Isiliye maine CSS me{display: inline-block;} yah code apply kiya. But yah note pad, W3 schools me kaam to kar raha hai. Lekin WP me nahi.
To mujhe aisa koi solution athva article ki link provide karo. Jisse me plugin ke bina static home page design kar saku.
2. Kal aapne pagination code ko use karne ko kaha tha. But us method ko follow karne ke liye, spinets code pluin install karni padi. To kya ise avoid karne ke liye. pagination code phunction.php me nahi install kar sakate.
3. Bro jab bhi ham ko cache plugin install karke setup karte hai. Aur usi time gtmetrix page speed check karate hai. To sab boost ho jata hai. Lekin kuch dino baad jab ham firase test karate hai. To speed bilkul kaam ho jata hai. Aisa kyon jabki plugin already installed hai.
4. Bro ek plugin hai. Swift performance lite yah ek cache plugin hai. Aur mujhe lagata hai. Ki vo W3 total Cache se kahi guna behtar hai. Aapne ise kabhi use kiya he ya fir suna hai?
Jumedeen khan
1. Jab tak aap manually frontpage design nahi kar lete ho tab tak plugin use karo. Aap mujhe ask.supportmeindia.com par contact kro waha evening me aapki live help kar sakta hu.
2. Kar sakte ho lekin uske liye aapko thodi bahut php coding aani chahiye.
3. Aesa nahi hota hai, aap repear kiya karo.
4. Main server cache use karta hai, Nginx Fast CGI cache provide karta hai jo plugin se better hai.
Ajay Bidwe
हेलो सर जी मैंने वर्ड प्रेस पर एक ब्लॉग बनाया है पर मैंने Google सर्च कंसोल में सबमिट किया पर मैंने आपके सारे पोस्ट जॉब सर्च कंसोल में ऐड करने के लिए थी ना तुम्हें सब कुछ पढ़ चुका हूं
उसे फॉलो भी कर चुका हूं अभी तक मैंने जब भी मैं सर्च काउंसिल में सबमिट करने के लिए जाता हूं
तो वह वेरिफिकेशन Failed बोलता है मैंने वर्ड प्रेस की सारी Important आपणे bataya हुऐ pluglins एक्टिवेट कर चुका हूं
और उसे जो वेरिफिकेशन कोड होता है
Google का तो वह भी मैं सबमिट जब भी करता हूं तो सबमिट करने के बाद वेरीफाई करने के लिए जाता हूं तो वह failed
बोलता है
प्लीज मेरी हेल्प कीजिए
Jumedeen khan
Aap different email id and different method se verify karo.
sarthak upadhyay
sir, main godady ki hosting use kar rha hu, high quality theme upload karta hu to meri website downtime me chali jati hai, isliye main hostgator ka baby plan lena chahahta hu. mere kuch questions hain answer de dijiye.
1. mere se hostgator kaa baby plan thik rahega kya, yah kitne visitors ko jhel sakta hai.
2. baby plan India best rahega ya phir baby plan usa.
3 kya high qualirty theme upload karne par baby plan me koi effet to nahi hoga, matlab downtime me to nahi aa jaaegi website.
4. yah daily kitne visitors ko jhel sakti hai.
please answer
Jumedeen khan
1. Aap shared hosting par traffic limit count nahi kar sakte. Agar usme kam site host hai to jyada traffic handle kar sakta hai aur jyada site host hai to kam traffic.
2. India se traffic hai to india hi sahi hai.
3. Nahi.
4. Traffic theme par depend nahi karta.
sankalp
A2hosting kaisi hai bro as per digital ocean comparison
nam bahut suna hai a2hosting ka…
Jumedeen Khan
Sorry bro maine ise kabhi try nahi kiya so no suggestion.
Sanjay
Sir me database backup ko lekar pareshan hoo
Database ke liye me aapne jo bataya wp db manager wo install kiya hai
Kya usse database ko download karke apne pas rakhna hota hai?
Agar mere blog ko kuch hua to fir se phele jaisa ho jayega?
Aur blog ko problem kyo aur kaise hoga?
Jumedeen Khan
Aap direct phpmyadmin se database ka backup lo wo sabse better hai.
Anand Kumar
Aapke kahe anusar main Digitalocean se hi hosting buy karunga kyonki aapki harek salah mere liye useful sabit hui hai. Lekin ye bata dijiye ki mujhe kaun sa plan (kitne cost wala) lena chahiye? kya kisi festival mein special discount offer chalta hai, like Holi.
Suppose yadi Holi mein kuchh special discount milne ki sambhawna ho to main wait kar sakta hoon. Hosting ke sath hi main Theme bhi buy karna chahta hoon. Mere electronics blog ke liye kaun sa premeum wordpress theme suitable hoga? Theme mein bhi SEO, loading speed, ads friendly, mobile friendly chahta hoon. (Sorry for regular question comment)
Anand Kumar
Ek aur sawal, aap free SSL certificate use karte hain ya paid? Kya SSL hamein hosting mein hi mil jayega ya fir alag se invest karna hoga?
Jumedeen Khan
Main cloudflare flexible SSL use karta hu. Look here WordPress Blog Me CloudFlare Free HTTPS SSL Setup Kaise Kare
Jumedeen Khan
Anand aapko web hosting category me Digitalocean ki puri jankari mil jayegi.
Anand Kumar
Main sasta aur achchha hosting khojte khojte pareshan ho gaya hoon lekin koi dhang ka mil hi nahin raha hai. Main 60,000 users monthly ke liye hosting lena chahta hoo lekin mera budget 5000 rs for 1 year hi hai. Kya itne budget mein mere jarurat ke anusar hosting mil sakta hai? Hostgator par Baby plan mujhe achchha laga lekin 1 saal ke liye jyada price leta hai.
Kya kabhi-kabhi festival etc me hosting mein bumper discount offer bhi aata hai ya sirf normal offer hi hota hai? Yadi kisi festival etc mein discount offer hota ho to ab kis festival mein offer aa sakta hai?
Ek sawal, chahe shared hosting ho ya cloud hosting, Search Engine Optimization donon mein same hota hai ya ye bhi plan ke upar depend karta hai? Means kya kisi plan mein SEO exclude bhi ho sakta hai?
Aap mujhe koi final hosting ke bare mein bata dijiye jo mere liye sabse best ho, budget koi khas mayne nahin rakhta lekin SEO, speed etc ke matter mein main samjhauta nahin karna chahta. (Main Adsense ke matter mein bhi aapke reply ka wait kar raha hoon).
Jumedeen Khan
Sahi me SEO same hota hai. Ye kya hai mere bhai SEO aapko khud karna hai. Cheap hosting aapki site ko down kar degi jisse aapki site ko rank karne me problem hogi better hai aap koi achhi hosting use karo main aapko digitalocean ya siteground suggest karunga.
Dipanjal Bhattarai
Sir me ak news website banana chahata hu hosting main Koun app installation karna padta he
WordPress ya dushra koi
Jumedeen khan
wordpress
Deepesh
Sir aapki banai hui child theme mujhe mill sakte hai
Nahi to child theme banane ke bare me ek post likhe thanks
Priyo Nayak
Bro aap Siteground hosting use kar rahe the. Usme koi Problem hui hai kya?
Jumedeen khan
Achhi hai but utni bhi nahi jitni wo btate hai. Main problems uski limits hai, usse bhi badi problem wo machines se jyada kharch support par karte hai. I love siteground support but mujhe support ki jarurat hi nahi hai to siteground mere liye sahi nahi hai.
Priyo Nayak
Bro aapki website ki speed sabse best hai jitne bhi maine website check kiye hain abhi tak. kaise hai itna speed and abhi kaun sa hosting best hai??
Aur haun bro adsense approve ke liye kitne posts ki jarurat hai? mujhe approvance nahi mil raha hai plz check my website and tell me where the fault.
Jumedeen khan
Follow below steps.
1. Use a framework like Genesis
2. Build a Clean Child theme.
3. Choose a Good Host (I use digitalocean)
4. Choose Nginx server and configure it properly.
5. Customize WordPress as you need.
6. Use a Good CDN ( Use use cloudflare)
7. Optimize WP database.
After all, aapka blog fast open hoga.
Adsense approve karane ke liye psots ki nahi unique content ki jarurat hai chahe 5-10 post hi ho but achhi ho.
vivek kumar verma
sir maine aapka post padh k wordpress pe free sign up kiya hai par ab mujhe aage smj nhi aarha ki kse free domain add kru wordpress app se……plzz bta dijiye step by step
Jumedeen khan
Ye post check karo WordPress Par Site Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari
Rinky
Nice article!!!
going to install those plugins
RABARI PRAKASH
Sir muje genesis framework theme use karne me bahot confusing he. usme genesis framework theme he to use child theme ka Kya uses hota he is me theme konsi he genesis framework ya child theme in Donome fark Kya he.inhe customize kese kare.inhe download kese kare aur wordpress par install kese kare. Aur use bad kya kare. Plz help me sir.sir iske bare me ek post likho plz ye bahot confusen he.new wp bloggers ke liye. plz sir one post for genisis framework and child theme all solutions. PLZ help me sir.
Jumedeen Khan
Iske bar me already kafi blogger likh chuke hi aap google me “genesis tutorials” likh kar search karo.
anuj kumar
jay hind sir
1.sir mera akismet conect nhi ho pa raha hai usme firwall blocked likh ke ata hai.
2.jetpact bhi conetct nhi ho pa rha kya kre
Jumedeen Khan
Iske liye aapko .htaccess file edit karni hogi behtar hoga aap apne hosting providers se contact karo wo aapki problem solve kar denge.
Anuj kumar
sir .htaccess file me coding kese kre mene free hosting le rakhi hai abhi. contect support nhi hai
Jumedeen Khan
Iske bare me kuch articles read karo.
kavya
sir mujhe bhi siteground ki cloud hosting chahiye to best plan konsa lena chahiye daily ke 25 k to 30k visitor’s hai. please help me sir
Jumedeen Khan
Aap cloud hosting $80 wala plan le sakte ho.
Mahendra
hello sir mere wp blog par comment me
Name
Email
Website
Ka option q nahi aarha hai
Jeisa ki aap ki site par hai
Jumedeen Khan
Aap jetpack plugin ke comment feature ko disable karo.
sandeep sharma
Sir Aapne jo har blue colour ki heading di usme konsi CSS coding use kari hai please bataye
sir mene bahut try kiya hai but nhi mili ye coding pelase bataye help me.
Jumedeen Khan
Aap us blue heading par right click karke inpect par css code dekh sakte ho.
Indrajeet raj
Sir ji kisi bhi thame ka child thame bana sakte hai, kya.
Mere blog me w3 ya super cache plugin install nahi de raha hai.
Jumedeen Khan
Nahi child theme framework ke sath use kar sakte hai. Please contact your hosting providers.
imrankhan
bhai meri wordpress website main attacker bahut aa rhe hai jisse vps server down ho jata hai Baar baar main kiya karu attacker ke load ko hutane ke liye. ya vps server ko har waqt normal karne ke liye.
Jumedeen Khan
Cloudflare CDN use karo wo attackers ko block kar dega.
imrankhan
Bhai main All Ready Cloudflare CDN User Kar Rha Hu or Main Kuch Plugins Use Karta Hu 1.Wordfence 2.Jetpack 3.W3total Cache ek sath use kar rha hu
Jumedeen Khan
Aap cloudflare security medium rakho or satyh hi akismet plugin use karo.
Govind Prajapati
Sir meri website wordpress pr h
Maine apne post ke jitne bi article the un sab ka title change kar diya
But goolge me WO old title hi show ho RHA h please help me sir
Jumedeen Khan
Wait kuch day bad old title remove ho jayega.
Deepak M Jain
Sir , mera ek blog jo blogger par th mene us par domain b liya hua hai. adsense bhi approved hai or blogger par ads bhi show hote the but abhi mene use wordpress par shift kiya hai, ab ads ki jgh yellow black space show ho raha hai. koi solution btaye please
Jumedeen Khan
Aapko wordpress par bhi same domain use karna hoga. Agar wohi domain hai to ek bar blog ki theme karke dekho or ad code fir se add karo.
Bheru singh
Achi jankari diye hai sir apne
Mera ek problem hai.
Sir mere blog me w3 plugin install karta hu to
Not available aa rha hai sir koi solutions dena
Mtlb kahi bar uninstall karke try kiya same problem aa rhi hai
Jumedeen Khan
First aap cpanel me ja kar w3 total cache ko completely uninstall karo fir dubara se install karo ho jayega. Ye post padho W3 total cache plugin ko uninstall kaise kare
Bheru singh
Thnx sir
Sir me apse contact krna chahta hu kaise karu
Koi person kam se mene contact form se apko mail kiya hai but uska response nhi mila or facebook par msg bhi kiya hai
Jumedeen Khan
Main jaldi hi apake mail ka reply karunga.
suraj
Sir Genesis Self Hosted Child Theme kese banate uske bare me hame jankari dijiye kyu ki mene ek child theme to purchase kiya he magar me usme jeseki Read More button ki class ka css change karta hu to work nahi karata
Jumedeen Khan
Child theme banane ke liye aapko PHP, CSS, HTML coding aani chahiye y fir aap child theme buy kar lo.
RAHUL KUMAR SINGH
Hello Sir,
Sir ye child theme kya hoti hai aur iss theme ka overall price kitna padta paypal account se.
Jumedeen Khan
Genesis framework ko edit karna allow nahi hai. Isiliye wo alag se child theme ka option deta hai. Usse hum genesis framework ko chahe jaise edit kar sakte hai. Aap studiopress site par price check kar sakte ho.
kedar
hello Bhai, as koi trick he jo ek content me kitna Adsense earning ho ra ha pata chale . agar koi method he to mujhe batao
Jumedeen Khan
URL channel use karo. Check this post AdSense Me Custom URL Channels Kaise Use Kare
kedar
Sir mere google console me ek error search trafic>inetrnation traffic >lanuguage ” “Your site has no hreflang tags.
Google uses hreflang tags to match the user’s language preference to the right variation of your pages.” is ko kese fix kare . is bare me ak post likiya full image and step and step guide kar ke likhiya
Jumedeen Khan
Ignore it, Isse koi problem nahi hogi.
RAHUL KUMAR SINGH
HELLO SIR,
sir maine apni website ke header me google,bing,yandex and google+,pinterest ke verification code daal ke site verify ki thi aur google analytics ka bhi code daala tha aur ye sab code yoast seo me bhi daale the but abhi check kiya too dekha ki header me koi bhi code ni hai aur analytics bhi work ni kar raha. but inspect me jaakar dekha to head me saare verification code show ho rahe hai.jabki yoast plugin me sab kuch thik hai.aisa kyu hua sir pls suggest kare.
Jumedeen Khan
Aap google bing verify code sirf yoast plugin me add karo blog header me nahi. Blog header me sirf analytics code add karo.
Abhinav Ranjan Jha
Nyc atricle. Keep it up
Nikhil Jain
jab aap USA le servers par gye the tb loading ko ya traffic ko kuch fark pahda tha kya? kyki kehte hai na ki jis country me aap ho agar usi country ki hosting lo fir sbse jyada traffic aata hai aur speed bhi jyada hoti hai.
Jumedeen khan
USA ka server Indian hosting server se jyada best hai. Ji ha USA ka server istemal karne se traffic badha hai site pahle se jyada fast load hoti hai.
vikas
sir aapke article ke word ke writing itne bade kaise hai plz reply karna sir mai wait kar raha hoo
Jumedeen khan
Aap words ka size CSS coding se change kar skate ho. Jaise
p{font-size: 18px}
Ravi Kumar
but bhai jab font-size: 18px karta hu to mobile par site responsive nahi rehti hai…
Jumedeen khan
Try carefully or font-size 18 mat rakho 16px is best size.
SHAHID HUSSAIN
Boht achhi jankari di aapne sir mera ek swal he ribbon theme me font ki boht badi problem he ise solve kese karen muje ribbon theme ka font size bdhana he help me
Jumedeen khan
Bahut simple hai CSS coding me ye code use karo.
body{font-size: 18px}
Luqman
very nice. bahut hee helping post hai. apny favorite blog ki plugins and theme ke baare me jaan kar acha laga ab hum bhe apny favorite SMI Blog ki trah apni blog bnainge. Thanks
ketan kumar
free hosting lene ke liye konsi site behtar hai??
Jumedeen khan
Digital Ocean
rohan
sir apne itni acchi jaankari di uske liye thanks. mera ek sawal hai. sir maine apka blog pc me bhi dekha aur mobile par bhi. bahut accha laga. mera question ye hai ki me apneblog me apke blog ke jaisa top navigation bar add karna chahta hu. wo me add kar lunga bas aap ye bata dijiye ise pc me fix aur mobile me unfix kaise kare. me ribbon theme use karta hu.
agar aap mera question samjh nhi paay ho to me detail se bata deta hu.
matlb blog ko mobile me open karne par navigation bar fixed na ho scroll ho but pc me open karne par top me fix rhe. iske liye koi coding bata dijiye. mujhe ummeed hai aap meri help jaroor karenge.
Jumedeen khan
Aap ye code use karo.
1. For Desktop
.your-navigation-class{
position: fixed;
}
2. For Mobile
@media only screen and (max-width: 768px){
.your-navigation-class{
position: absolute;
}
}
Qasim Butt
Bro i have created my Disclaimer Page with an online tool , jo ke apne bhi apni ek page pe wohin sy banaya he to kia ye copyright hota he kia or issy adsense approve hone ke channces kam ho jaty he kia?
Jumedeen khan
No problem.
Rekha kumari
hello bro…. ek sawal hain
Genesis framework theme ek bar buy karne ke baad life time yuj kiya ja sakta hai
Jumedeen khan
Yes lifetime use kar sakte ho.
Sumit
Brother Kya main Genesis ya koi bhi nulled theme use kar sakta hu kya? agar nahi to kyu…? or ha to please disadvantage bhi bataye.
Jumedeen khan
Nahi kyuki isse aapki site hack ho sakti hai.
Surendra Kumar
Bro , Jb ham cdn or ssl active karte hain toh hamare paas phele se hi cloudflare me standard lavel ka cache hota hain . .
Agar ham third party cache plugin ka use kare toh cloudflare me se cache disable karna thik rahega ya rehne den .
जुमेदीन खान
Cloudflare cache use करते हो तो plugin की जरुरत नहीं है
VISHAL
DUPLICATOR plugin ko install karne ke bad backup ke liye kya karna chahiye v
Jumedeen khan
Check this post How to Make Backup Using Duplicator Plugin.
Munnir Shaikh
smi par konsi plugin aur hosting use hoti hai ye jankar acha laga mai aapse janna chahunga aap contact us aur sitemap page ke liye konsa plugin use karte hai.
ek aur baat ager aap sitemap page ke liye plugin use nhi karte to kya aap munhe wo coding provide kar sakte ho jiska use mai apne website par kar saku q ki mujhe lagta hai wp site ke sitemap page ke liye plugin use karna site loading ko badhana hai jo mai nhi chahta.
Jumedeen khan
Main contact form ke liye google docs form use karta hu or sitemap ke liye yoast plugin. Aap yoast plugin se hi sitemap bana sakte ho.
vaishali sharma
I getting this error on login in dashboard of website
This page isn’t working
http://www.makemerichest.com redirected you too many times.
Try clearing your cookies.
ERR_TOO_MANY_REDIRECTS
Please help me
Jumedeen khan
Aap .htaccess file me ye code add karo.
RewriteCond %{HTTPS} off
RewriteRule (.*) https://%{HTTP_HOST}%{REQUEST_URI} [R=301,L]
Deepika Bisht
Aap ek honest blogger ho. Kyuki yeh personal baate mere hisaab se koi esa blogger nahi hoga jo share karna chahyega lekin aapne is post ke jariye apne readers ko honestly ek sahi jankari di.
Aur me bhi aapko thanks kehna chaungi!
Ashutosh
bahut badhiya article apne readers ke liye. bahut kuchh naya janane ke liye mila. thank you for sharing this..
Asween
Very excellent information
Padhe yaa sune gyan ke siva jo sbse mhtvpurn gyan hota he vah he personal experience dwara prapt kiya gya gyan or aapne jo yhaa apne experience dwara prapt ki hosting or plugins ki knowledge hume di he vah humare bahut kaam me aayegi or hum iska jitna jyaada ho shake utna faayda uthayenge
Thanks a lot for sharing this information with us
Qasim Butt
Such a Amazing Post !!!
Shailesh Chaudhary
Great Exprience… Thanks For Sharing
Nitin Sachdeva
Sir aapne bahut bdiya information share ki hai.