Maine July 2025 me blogging start ki thi. Blogging ke 2+ year ke safar me maine bahut si hosting and plugins ka istemal kiya hai. Aaj main aapko SupportMeIndia blog par use hone wali themes, hosting and plugins ke bare me details se btaunga. Agar aapko SMI blog pasand hai or aap iske according hosting and plugins ka istemal karna chahate ho to ye post specially aapke liye hi hai. Which hosting and plugins am I use?
Har blogger chahata hai ki uski blogging ki shuruaat achhi ho or wo kam time me successful blogger ban jaye magar aesa bahut kam logo ke sath hota hai. It was my good luck, mujhe kuch hi months me blogging me achhi success mil gayi or main bahut kam time se blogging se monthly lakho rupees earning karne laga.
is bich maine maine apne WordPress blog kel iye kafi hosting server and plugins ka istemal kiya. Finally, mujhe jo hosting and plugins best lage or jinki service achhi thi unke bare me aapko bta raha hu. Sath hi aapko ye bhi btaunga ki main abhi konsi hosting and plugins ka istemal kar raha hu.
Which Hosting and Plugins am I Use on SupportMeIndia Blog.
Jaisa ki maine upar btaya hai maine July 2025 ko blogging ki shuruaat ki thi. Starting me maine blogger.com par free blog banaya tha but after 2-3 month blog ko WordPress par shift kar liya. Iski wajah thi WordPress par blogspot se jyada features hona.
WordPress par bahut sari or themes or plugins available hai aap inki help se apne blog ke sath jo chaho kar sakte ho. Starting me better themes o plugins ki information na hone par WordPress users ko bahut si problem hoti hai. Mere samne me bhi yahi sawal tha ki main konsi theme or plugins use karu.
Starting me maine mythemeshop ki themes istemal ki magar kuch time bad mujhe Genesis Framework ke bare me pata chala to maine genesis theme use karne ka failsa liya. After some time, SupportMeIndia blog par genesis framework+child theme use ho rahi thi.
Mai abhi Genesis framework + self designed child theme use kar raha hu or apni sabhi sites par mostly genesis framework hi istemal karta hu. Kyuki ye customize karne bahut easy hai. Aap bina genesis framework ko edit kiye child theme me kuch bhi editing kar sakte ho.
Main apne sabhi readers ko bhi WordPress ke liye best no.1 theme Genesis Framework istemal karna hi suggest karunga.
Now, hum sabkuch chord kar SMI par use hone wale plugins and hostings ke bare me bat karte hai. Mere sath inka experience bahut achha raha hai. Chaho to aap bhi inhe istemal kar sakte ho.
Hosting
WordPress par blog start karne ke liye good hosting service choose karna bahut mushkil hai kyuki mostly WordPress guide karne wale apne apne affiliate program ko hi best btate hai. Iski wajah se newbie blogger ko bahut problem hoti hai.
So yaha main kisi ko best ya bad btane ki koshish nahi kar raha hu. Main sirf apna experience bta raha hu baki aap khud decide kar sakte hai ki meri bate sahi hai ya galat.
Starting me maine SupportMeIndia par Hostgator India se shared plan buy kar WordPress blog install kiya tha uske bad Bluehost India ke shared hosting ka istemal kiya. Both are best magar dono ke sath traffic high hone par site speed down ho jati thi.
In my experience, Hostgator India and Bluehost India dono ki shared hosting services same hai. Magar jab mere pas traffic jyada ho gaya to maine Godaddy se VPS hosting (Virtual Private Server) buy kiya. Magar godaddy ka server kai bar bahut down ho jata tha isiliye maine Bluehost India se VPS Server purchase kar blog transfer kar liya.
But abhi bhi mujhe site down hone ki problem thi jab bhi blog par jyada traffic hota site load hone me bahut time leti hai. So maine decide kiya ki ab India ke nahi USA server ka istemal kiya jaye or maine Bluehost.com ka VPS server buy kiya.
Awesome, Bluehost.com ki hosting best thi or meri site ab 1 second me open hone lagi thi. Bluehost India and Bluehost.com me bahut jyada different hai. Agar aapko 100% uptime hosting chahiye to aap in dono me se USA server ko choose kare. Same yahi main Hostgator India and Hostgator.com ke liye kahunga.
Maine hostgator india or hostgator.com ko bhi try kiya hai but ya bhi same bluehost jaisi service hai. Haa hostgator.com best hai but uski security better nahi hai. Aapke sath hacking jaisi problem hone par support nahi milega.
Afte some time, mujhe site down problem hone lagi or bluehost par mera ek blog hack ho gaya. Uske bad maine Siteground hosting buy ki but yaha jitna dikhaya jata hai utna milta nahi or iski limits bhi hai.
Ab maine Amazon AWS cloud hosting try ki or maza aa gaya. Web hosting me ye sabse better nikla, But yaha price ki problem thi or bahut jyada product hone ki wajah server manage karna thoda hard tha. Ab mujhe talach thi ek aese server ki jo same AWS jaisi service provide kare or usme AWS jaise extra products na ho.
Finally, maine DigitalOcean Cloud Server choose kiya. Excellent, jitna kaha jata hai iska usse kahi jyada achha hai. Mujhe apni pasand ki or aesi hostingf mil chuki thi jiska uptime 100% tha. Iski service ke bare me janne ke liye aap ye post read kare.
- DigitalOcean Se 2 month Cloud Hosting Kaise Kharide
- DigitalOcean Cloud Hosting Last 3 Month Review 2025 (Hindi)
By the way, agar aapko indian server chahiye or aapka mostly traffic india se hai to aap Hostgator India and Bluehost India me se kisi se bhi hosting le sakte ho or agar aapko server manage karne ki basic knowledge hai to aap DigitalOcean Cloud hosting use kare.
Note: Support Me India abhi DigitalOcean Cloud Hosting par host hai.
Plugins
WordPress ke liye free and paid bahut sare plugins hai. Maine best plugins ke bare me WordPress Par Site Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari and WordPress Par Blog Banane Ke Bad Kya Kare – 50 Jaruri Tips iske bare me already btaya hua hai ki kon konse plugins ka istemal karna chahiye.
But yaha bat ho rahi hai SupportMeIndia par use hone wale plugins ki to main aapko iske bare me bhi bta deta hu. Halanki main kuch secret plugin use karta hu jinse share nahi kiya ja sakta magar jinhe share kar sakta hu wo ye hai.
- Akismet: Apne WordPress blog ko Spam Commenting se secure karne ke liye akismet plugin meri first choice hai.
- Yoast SEO: Without SEO ke blog kabhi successful nahi ho sakta or WordPress ko SEP friendly banane ke liye yoast SEO meri pahli pasand hai.
- Ad Inseter: Affiliatwe banner, Google adsense ads and other advertising ke liye ad inserter sabse best hai. Wese maine Advanced Ads ka bhi istemal kiya hai magar ye plugin best or mera favorite hai.
- Social Warfare: Maine social share button ke liye bahut sare plugins try kiye magar mujhe sabse best social warfare lagta hai.
- W3 Total Cache: Agar cache plugin ki bat kare to meri first choice W3 total cache plugin hai. Isse aapki site baki cache plugin ki tulna me first load hoti hai.
Ye wo plugins hai jinhe me abhi SupportMeindia blog par use kar raha hu. Actually, mujhe jyada plugins istemal karne pasand nahi hai isse site par bad effect padta hai or site speed bhi slow hoti hai.
Inke alawa ye kuch or plugins hai jo meri nazar me har WordPress ke liye jaruri hai. Main bhi jarurat padne par inhe use karta hu or apne readers ko bhi recommended karta hu ki wo bhi inhe use kar sakte hai.
- Jetpack: Apne visitors ko post and comments ki notification send karne, image ko fast load karne, related posts and extra widget etc. ke liye jetpack plugin sabse best hai. Only jetapck aesa plugin hai jo akela aapko kai sare plugins ke jitne features provide karta hai.
- WP Super Cache: W3 total cache ke bad meri second choice WP Super Cache plugin hai or agar aap paid cache plugin use karna chahate ho to WP-Rocket best hai.
- Q2W3 Fixed Widget: Sidebar widget & other widgets ko fixed, sticky banane ke liye.
- Contact Form 7: Without knowledge blog par contact form add karne ke liye.
- WP-DBManger: Database optimizing and backup lene ke liye.
- Duplicator: Blog ka backup download karne ke liye.
- WP-Sweep: Database se extra tables ko remove karne ke liye main wp sweep plugin use karta hu.
- WP-Optimize: WordPress database ko optimize karne ke liye ye mera favorite plugin hai.
Ye sabhi meri second choice hai main jarurat padne par inhi plugins ka istemal karta hu. Mostly mujhe inki jarurat nahi hoti agar aapko hai to aap inhe istemal kar sakte ho. Sabhi top level plugins hai.
Note:- Abhi page cache ke liye SupportMeIndia par Fast-CGI cache istemal hota hai.
CDN (Content Delivery Network)
Website blog ko speed up banane ke liye CDN service istemal karna bahut jaruri hai. Without CDN aapki site slow load hogi or image very slowly open hoti hai.
Agar aap best CDN providers search karoge to sabse jyada aapko CloudFlare ke bare me suggestion milenge. Mostly blogger cloudflare ke liye hi suggest karte hai. Iski main wajah hai cloudflare free plan offer karta hai jo ki koi or CDN provider nahi karta.
Koi bhi newbe blogger apne blog par easily cloadflare CDN service enable kar sakta hai. Agar aapko iski jankari chahiye to aap Blog Par Free CloudFlare CDN Setup Kaise Kare Complete Guide article read kare.
Iske alawa cloudflare Free SSL Certificate bhi provide karta hai so agar aapko apni site free me https:// security enalbe karni hai to aap cloudflare choose kar sakte ho. Iski jankari ke liye ye post read kar sakte hai, WordPress Blog Me CloudFlare Free HTTPS SSL Setup Kaise Kare.
Cloudflare ke Alawa MaxCDN sabse best CDN provider hai. Iske alawa or bhi bahut sare CDN hai magar sabse jyada log in dono ka hi istemal karte hai. MaxCDN cloudflare se jyada behtar hai ya Cloudflare MaxCDN se jyada behtar hai is bare me ek taraf decide karna mushkil hai.
Dono CDN apni apni jagah best hai. Jaha MaxCDN ka support awesome hai waha cloudflare ka free plan best hai. Mostly personal bloggers cloudflare free plan ka hi istemal karte hai.
Note: SupportMeIndia par abhi koi bhi KeyCDN CDN Service istemal hota hai.
Final Thoughts
Finally, main aapse yahi kahunga ki success blogging karne ke liye aapki site ka speed up hona jaruri hai. Ek bar aap apni site ka complete setup kar lete ho to use successful banane ke jyada aasani ho jati hai.
Isi bat ko dhyan me rakhte huye maine sabhi WordPress bloggers ke liye WordPress Par Blog Banane Ke Bad Kya Karna Chahiye – Complete Setup Guide article likha hai jisme aapko WordPress blog banane ke bad kya kya karna hota hai or WordPress ko setup karne ki complete process btayi gayi hai. Agar aap bhi WordPress user hai to ek is article ko jarur read kare.
Agar aapko SupportMeIndia blog pasand hai or isse helpful and useful information milti hai to ise social media sites par apne friends ke sath jarur share kare.
Prahalad
Sir aapke blog ka homepage custom hai ya didar yani recent post wala ya antarik plese bataye
जुमेदीन खान
ये कस्टमर डिजाइन है
Paresh
Me Best Theme Dundh Raha Tha App Ki Post Se Muje Mili Or ise Muje Adsdnsd Approval Bhi Mila, Meri Site Ab Approve Hai. Thank You Bro.
Inspire Status
Brother mare ek website hai. Voh mai ne digitalOcean pe host ki hai. lakin mujhe yeh nhii pta hai k mai kitne plugins uss website pe use karta huu.. Limit kitni hai iss plugins kii.. Please brother tell me.
जुमेदीन खान
आपको जितनी जरूरत हो आप अपने plugin use कर सकते हो
Kashif
mobile me meri website me logo left aur menu icon aur search icon dono ek saath right me aa rahe hai
me chahata hu ki menu icon left me aur logo center me aur search icon right me aaye iske liye kya changes karne honge?
जुमेदीन खान
इसके लिए आप CSS से मेनू icon को left में सेट करो इस तरह से
.menu-css{float:left;}
ayyub
Thank you for sharing your experience
Parmeshvar bana
Bhai aapki theme konsi hai
जुमेदीन खान
यह सवाल तो बिल्कुल वैसा ही है, जैसे रामायण पढ़ने के बाद पूछना कि राम कौन था।
Khustar Noorani
Sir ,,, Aapke dwara di gai jankaari kaafi helpfull hoti hai
Aman
YouTube per Ek video upload Karne per Kitni income hoti hai
जुमेदीन खान
जितने ज्यादा view आयेंगे और जितने ad click होंगे उतनी ज्यादा एअर्निंग होगी
Sarthak
Main php version aur MySQL version update karna chahta hu. To kaise karu . Digitalocean pr nginx Ubuntu 18.04 run kr rha hu
WordPress use krta hu..
Please guide me sir
जुमेदीन खान
Aap DO par new server setup kar blog ko us par move kar lo.
Sarthak upadhyay
Sir, mai sarthak
Maine Genesis ka nulled theme use kiya tha to site down ho gai thi. aapko call par bataya tha. Aapke instruction ke hisab se maine use hata diya to sab normal ho gaya
Lekin, Mai Genesis framework child theme me saath Lena chahta hu. Kya aap Bata sakte hai kaun sa childtheme aap prefer krte hai jo studiopress me ho aur sabse accha ho. Superfast ho aur studiopress team ke through hi built kia gaya ho. Please, sir reply….
जुमेदीन खान
studiopress ki sabhi theme best hai, aap apni pasand ki koi bhi choose kar sakte ho. Aap humare affiliate link studiopress themes se buy kar sakte ho.
Sarthak
Thanku Sir, mere ko sabse fast theme chahiye. Please bata de kaun si child theme fast rhegi. Mai aapke affiliate link se hi lunga..
जुमेदीन खान
Academy pro ya authority pro me se koi ek le lo.
Sarthak
Authority pro le raha hu to Debit card support nahi kr rha. Credit card hai nahi mere pas. Kya credit card banavana padega.
जुमेदीन खान
Aap global debit card se pay kar sakte ho.
abhinav
Hii……bhai me hosting kharidna chahta hu but vahan 2 option hain “select server location kay” hamen kon sa select karna chahiye, india ya usa???
Jumedeen khan
Agar aap Indian traffic ke lyie site banana chahate ho to india warna USA select karo, hindi site ke liye India server location better hai.
Manish Raj Chauhan
thank your so much sir kafi time se acha social sharing plugin search ker raha tha kafi use bhi kiye par koi kaam nahi the wo but jo apne suggest kiya social welfare plugin i like it very much simple and elegant..
Aakib javed
Genesis child theme ki design kaise Kar sakte Hain.
Jumedeen khan
Kisi bhi theme ko design karne ke liye aapko coding ki knowleldge honi chahiye.
shiva
ye coding aapne kaha se seekhi please sir bataye???
Jumedeen khan
internet se.
Lok Prabhat
Bhai mere website me Yoast SEO has not been able to fetch your site’s indexability status me green nahi ho raha hai plz bato
Jumedeen khan
Yoast ki guideline ko sahi se read kar follow karo.
Sagar
Sir g Maine genesis framework theme ko buy karne ki koshis kiya Lekin SBI ke debit card se Nahi Ho raha hai please mujhe bataiye ki konsa card use karu
Jumedeen khan
Debit card se nahi hoga apa credit card ya global debit card use karo jo international transaction support karta ho.
Raghuvar Jha
Sir me genesis ka Digital Pro theme use kar raha hu kya aap bata sakte hai ki Aapka jo home page par Menu bichme or Latest post kaise add kara
Jumedeen khan
Wp dashboard >> Appearance >>Widgets par jao featured post ka option mil jayega.
amin
sir ji aap kaun sa child theme use karte hai please bataye
Jumedeen khan
Main self designed child theme use karta hu.
Amin
Sirji theme developing ke liye aap koi plugin use karte hai ya fir software please bataye
Jumedeen khan
Mujhe basic coding aati hai.
Rushikesh Sonawane
Hi bro!
maine elementor page builder ki madat se static home page banaya tha. Par abhi me kam se kam plugins ka istemaal karna chahata hun. To me plugin aur performence ke sambhandit kuch sawal puchna chahata hun.
1. Bro me elementor page builder ko uninstall karna chahata hun. But usase pahale mujhe without plugin static home page design karne ka solution dhundna padega.
Bro mujhe thodi bahoot coding aati hai. To maine uska istemaal karke fa-fa icons, links ke madat se designing bhi ki thi.
But maine us coding ko text editor me jab past kiya. To properly work nahi kar raha hai. I mean me ek line me sirf teen div dhikhana chahata tha. Isiliye maine CSS me{display: inline-block;} yah code apply kiya. But yah note pad, W3 schools me kaam to kar raha hai. Lekin WP me nahi.
To mujhe aisa koi solution athva article ki link provide karo. Jisse me plugin ke bina static home page design kar saku.
2. Kal aapne pagination code ko use karne ko kaha tha. But us method ko follow karne ke liye, spinets code pluin install karni padi. To kya ise avoid karne ke liye. pagination code phunction.php me nahi install kar sakate.
3. Bro jab bhi ham ko cache plugin install karke setup karte hai. Aur usi time gtmetrix page speed check karate hai. To sab boost ho jata hai. Lekin kuch dino baad jab ham firase test karate hai. To speed bilkul kaam ho jata hai. Aisa kyon jabki plugin already installed hai.
4. Bro ek plugin hai. Swift performance lite yah ek cache plugin hai. Aur mujhe lagata hai. Ki vo W3 total Cache se kahi guna behtar hai. Aapne ise kabhi use kiya he ya fir suna hai?
Jumedeen khan
1. Jab tak aap manually frontpage design nahi kar lete ho tab tak plugin use karo. Aap mujhe ask.supportmeindia.com par contact kro waha evening me aapki live help kar sakta hu.
2. Kar sakte ho lekin uske liye aapko thodi bahut php coding aani chahiye.
3. Aesa nahi hota hai, aap repear kiya karo.
4. Main server cache use karta hai, Nginx Fast CGI cache provide karta hai jo plugin se better hai.
Ajay Bidwe
हेलो सर जी मैंने वर्ड प्रेस पर एक ब्लॉग बनाया है पर मैंने Google सर्च कंसोल में सबमिट किया पर मैंने आपके सारे पोस्ट जॉब सर्च कंसोल में ऐड करने के लिए थी ना तुम्हें सब कुछ पढ़ चुका हूं
उसे फॉलो भी कर चुका हूं अभी तक मैंने जब भी मैं सर्च काउंसिल में सबमिट करने के लिए जाता हूं
तो वह वेरिफिकेशन Failed बोलता है मैंने वर्ड प्रेस की सारी Important आपणे bataya हुऐ pluglins एक्टिवेट कर चुका हूं
और उसे जो वेरिफिकेशन कोड होता है
Google का तो वह भी मैं सबमिट जब भी करता हूं तो सबमिट करने के बाद वेरीफाई करने के लिए जाता हूं तो वह failed
बोलता है
प्लीज मेरी हेल्प कीजिए
Jumedeen khan
Aap different email id and different method se verify karo.
sarthak upadhyay
sir, main godady ki hosting use kar rha hu, high quality theme upload karta hu to meri website downtime me chali jati hai, isliye main hostgator ka baby plan lena chahahta hu. mere kuch questions hain answer de dijiye.
1. mere se hostgator kaa baby plan thik rahega kya, yah kitne visitors ko jhel sakta hai.
2. baby plan India best rahega ya phir baby plan usa.
3 kya high qualirty theme upload karne par baby plan me koi effet to nahi hoga, matlab downtime me to nahi aa jaaegi website.
4. yah daily kitne visitors ko jhel sakti hai.
please answer
Jumedeen khan
1. Aap shared hosting par traffic limit count nahi kar sakte. Agar usme kam site host hai to jyada traffic handle kar sakta hai aur jyada site host hai to kam traffic.
2. India se traffic hai to india hi sahi hai.
3. Nahi.
4. Traffic theme par depend nahi karta.
sankalp
A2hosting kaisi hai bro as per digital ocean comparison
nam bahut suna hai a2hosting ka…
Jumedeen Khan
Sorry bro maine ise kabhi try nahi kiya so no suggestion.
Sanjay
Sir me database backup ko lekar pareshan hoo
Database ke liye me aapne jo bataya wp db manager wo install kiya hai
Kya usse database ko download karke apne pas rakhna hota hai?
Agar mere blog ko kuch hua to fir se phele jaisa ho jayega?
Aur blog ko problem kyo aur kaise hoga?
Jumedeen Khan
Aap direct phpmyadmin se database ka backup lo wo sabse better hai.