SWIFT BIC Code Kya Hai Apni Bank Ka SWIFT Code Kaise Pata Kare

Swift BIC code kya hai or apni bank brach ka Swift BIC code Kaise pata kare? Is sawal ka jawab lagbhag har ek AdSense user janna chahata hai. Swift code ki wajah se bahut logo ko google AdSense ka payment nahi mil pata hai. Isliye mai is article me aapko swift bic code ke bare me kuch important bate bta raha hu. Sath hi kisi bhi bank ka swift code pata karne ka tarika bhi bta raha hu.

What-is-SWIFT-BIC-Code-All-Information-About-SWIFT-Code

Google AdSense india me wire transfer ke throw payment karta hai. Jiski full information maine Adsense Me Apna Bank Account Kaise Add Kare post me already btayi huyi hai. Adsense par apna bank account add karne ke liye hume IFSC or SWIFT Code ki jarurat hoti hai.

IFSC code to hum aasani se pata kar lete hai but SWIFT BIC code sabhi bank branch khas kar ke local bank branch me available nahi hota hai. Jisse hume swift code pata karne me bahut confusing hoti hai. But is post ko padh kar aapki ye confusing dur ho jayegi.

Google AdSense me swift code galat add karne se bhi AdSense us bank ko payment kar deta hai. Isliye swift code ke bare me ache se confirm karke hi AdSense payment form me sahi information bhare. Jisse aane wale time me aapko payment mil sake.

SWIFT BIC Code Kya Hai – What is SWIFT BIC Code?

Swift code Business Identifier Codes ka standard format hota hai. Isko internation money transfer ke liye use kiya jata hai. Swift code se bank country, bank location, bank branch or bank ka pata chalta hai. Swift code me in charo ke code hote hai. Ise hum is screenshot se samajh sakte hai.

Swift BIC Code Example

Is screenshout se aapko aasani se samajh aa gaya hoga ki swift code kya hai.Or ye kya kaam aata hai. Ab humko apni bank branch ka swift code janna hai. To chaliye iske bare me bhi mai aapko details se bta deta hu.

SWIFT BIC Code Kya Hota Hai Or Kisi Bhi Bank Branch Ka SWIFT Code Kaise Pata Kare

Apni bank branch ka swift code pata karne ke liye mai aapko yaha par jo tricks bta raha hu unhe ache se padhe or samajhe uske bad hi action le. Kyuki jara si galati se aapko AdSense ka payment nahi milega.

Bahut si local bank branch me swift code available nahi hota hai. Ayse time me hum apni bank branch ke najdeeki kisi or bank branch ke swift code ko google AdSense me use kar sakte hai. But swift code usi bank ka hona chahiye. Google iski hume permission deta hai.

Example, Aapka account state bank of india me hai to aap najdeeki kisi state bank of india ka hi swift code istemal kar sakte ho. Google AdSense me swift code use karne ke 2 tarike hai.

  1. Apni bank branch ka swift bic code use kare.
  2. Or agar aapki bank branch me swift code available na ho to apni bank ke sabse pass wali bank ka swift code use kare.

Ab mai yaha aapko swift code pata karne ka jo tarika bta raha hu. Use carefully padhe. Mai chahata hu ki aapko swift code ke bare me ek ek step samajh me aaye or aapko koi problem na ho.

Sabse pahle aapko pata karna hai ki humari bank branch me swift code available hai ya nahi. Iske liye aap apni bank ke customer care me call kar sakte ho. Agar unka jawab na ho to humare pas second option hai ki hum kisi najdiki bank ka swift code use kare. Iske liye hum online internet ki help lenge. Internet par aysi bahut si site hai jo aapko sabhi banks ke swift bic code ki information deti hai. Mai yaha aapko aysi hi ek site ke bare me bta raha hu.

  1. Sabse pahle aap ifscswiftcodes.com site par jaye or sabse upar SWIFT Code par click kare.
  2. Ab apne country yani india par click kare ya fir ye link open kare All swift code in INDIA.
  3. Aapka kis banke me account hai uska name select kare .Jaise state bank me hai to state bank select kare.
  4. Apna state select kare.
  5. Apna city select kare.
  6. Apni branch select kare. Agar aapki branch me swift code available nahi hai to apni bank ke sabse pass wali bank select kare.
  7. Yaha par aapki bank ka swift code hoga. Or iske niche uski sari information hogi.

Search Swift BIC Code

Is tarah se aap online kisi bhi bank ka swift code pata kar sakte ho. But yaha ek sabse badi problem hai ki aap jis nearby bank ka swift code use kar rahe ho. Wo real me aapki bank branch se sabse jyada pass me hai ya nahi. Agar aapko ye confusing hai to chaliye mai aapko iska bhi tarika bta deta hu.

Sabse Najdeeki (Nearby) Bank Ka Konsi Hai Kaise Pata Kare?

Agar aapne galat bank ka swift code AdSense me add kar diya to AdSense to us bank ko payment kar dega. But wo bank aapko payment nahi karegi. Isliye carefully apni bank ke sabse najdeeki bank ka hi swift code use kare. Iske liye aap google ki madad le sakte ho.

  1. Upar btay site par aap Country > Bank / institution > State tak aasani se pahuch jate ho.
  2. Uske bad aata hai City, jisme un cities ke name hote hai jaha par swift code wali bank hoti hai.

Aapko yaha par jitne bhi cities ke name mile aap un sabhi ki apni bank branch ke address se duri pata kare. Iske liye aap google search engine me ye topic search kare. “Your Bank Address Name to Swift Code Bank Address Name Kilometers“. Jaise:- Alwar to Neemrana Kilometers. Ab jaise hi aap enter key button dabaoge aapke samne ek maps open hoga. isme aapko sari infomrmation mil jayegi.

Check Your Nearby Bank Branch Swift Code

Is tarah aap sabhi bank ki duri pata kare or jo aapki bank ke sabse najdeeki ho usi bank ka swift code use kare. Confirm karne ke liye ek bar apni bank ke customer care me call jarur kare or apni nearby bank ka swift code confirm jarur kare.

Finaly, Mai aapse ke bar fir se kahna chahunga ki swift code AdSense me add karne se pahle aap ache se confirm kar le ki aap sahi code use kar rahe ho ya nahi. Is post me btaye tarike se aap sabkuch pata kar sdakte ho. Fir bhi mai aapse kahunga ki  aap ek bar customer care me call karke confirm jarur kare.

Agar aapko is post me share ki gayi janakri better lage to is post ko social media par apne friends ke sath share jarur kare.

Reader Interactions

Comments (140)

  1. thanks sir very useful post and your site help
    and thanks for just reply…
    swift code ke bare me apki help chahie
    me haryana se hu
    state bank of patiala me mera account hai
    mere account branch or distic me swift code nhi hai …mene net par search kiya hai apke link par.
    meri bank branch se sabse najdik hissar distic hai vhanha swift code avilable hai
    distic change hone par…..payement hogi ya nhi..

    • Aap ek bar ye customare care me call karke confirm kar lo.

      • sir mene try kiya
        but unhone kha ki bank brach me jao or info lo

        • Aap fir se call karo or unhe kaho ki humare district me kaha kaha par swift code available hai.

          • thanks sir
            mene just call kiya..
            wo kah rhe hai hamare pass iski koi jankari nhi hai..
            branch me pata karo..
            branch maneger kahata hai ye swift code kya hota hai…
            sir mene apke link swiftcodeinfo par click kiya..
            1st baar me my distic sirsa and near distic hissar me total 17 branch show hui but no swift code show
            2nd search kiya to only hissar distic search hua or 1 branch show hui with swift code

          • Aap mujhe contact form me message send karo. main iska solution bta dunga.

  2. Sir,i m from ajmer and my account is in pnb bank.swift code is not available for ajmer,koi nearest branch samaj nahi aarhi hai konsi nearest branch lu bhilwara ya jaipur.or agar swift code me bhilwara ya jaipur pnb bank ka dalunga tho payment meri ajmer wali branch me yani mere account me kese aayega.how it is possible .??

    • Aap bas apne sabse nearest wali bank ka swift code use karo payment aapke bank account me aa jayega. Aapke pas bhilwara or ajmer ki bank ke swift code available hai to aap dono ki duri apni bank se check kar lo ye duri aap google me check kar sakte ho.

      • Bhai ajmer city me hi mera account hai lakin jaipur or bhilwara dono alag alag city hai,or ajmer city me swift code nahi hai
        Bhilwara or jaipur me swift code available hai, kya karu?

        • Aapko already bta chuka hu ki google me search karlo jo bank aapke sabse pas hai uska swift code use karo. Post ko ache se padh lo.

  3. sir me ye janna chata hu ki agar jis bank me mera acc. h us bank me swift code na ho to hum apne nazdiki kisi b bank ka swift code use kar sakte h per kya jab AdSense hme pyment karega to kya jis bank ka humne code dala h us bank me money aayega ya jis bank me hamara acc. h usme ?

    • Payment aapke bank account me aayega. yani aapki bank branch me.

  4. kya swift code dusre jagah use kar sakta hu.. mera account samebank se dusri jagah se khulwaya ha.. jaise maine azamgarh me account open karwaya to isme duser place as varanasi ka swift code use ho sakta ha…

    • Ha kar sakte ho but wo bank aapki bank ki hi honi chahiye jaise aapka account sbi me hai to aap sbi ka hi swift code use kar sakte ho.

  5. SWIFT-BIC NEAREST CITY USE KARNE SE PAYMENT SURE ATA HAI.

    • Aapki bank ke jo sabse najdeeki bank hai usi ka swift coed use karo.

  6. Bhai mere blog par AdSense kyun nahi approve ho RHA hai jabki mere blog par 37post 800 page views hai bhai help me

    • 500 pagevies daily hone chahiye

  7. Great post, i learnt many things from this post.

  8. Pahele to ek baat kahunga, ki aap hindi bhasha ke ek bahetrin blogger hai.

    Mera saval google AdSense ke bare me hai, maine google AdSense ka ek account banaya tha, unfortunaltly mera application reject ho gaya tha,

    Ab muje blog update & repair kar ke fir se apply karna tha, par galati se maine vah application rejection vala mail delete kar diya tha

    Ab muje samj nahin aa raha tha ki application re submit kese karu.

    Usi chakkar me maine dusra mail id bana kar us se apply karne ki koshis ki,

    Google AdSense ne mera pahele vala account hi deseble kar diya kyun ki vah par head 1 hi AdSense ac. Allow karte hain.

    Aur dusre naye account se bhi error aane lagi hai ki …

    “Aap ko google AdSense programe ke liye is vakt allow nahin kar sakte hai..”

    Ek account=disabled
    Dusra=open with error

    Ab aap hi koy solution batao…

    3rd id banau ki kuch aur karu?

    Note=maine google policy ke hisab se content bhi edit & polish kar liya hai.. bas khali…

    Application
    Re submission ka link source hi nahi mil raha hai…

    • Aapko first to usi id se apply karna tha. Ab aapke pas do option hai. ya to aap pahli gmail id ko recover karo oya fir diffrence address se udsri id se AdSense ke liye apply karo. Iski information old account se match nahi honi chahiye.

  9. sir maine apna blog ka jetpack plugin update kiya th,,but uske bad mera blog ka dashboard me ‘site stats’ show nhi kr rha he kya kare,,,

    • Jetpack plugin setting me ja kar site stats ka feature active karo.

  10. mai jana chahta hu ke AdSense cpc ” kya kar rahe ho, क्या कर रहे हैं
    matab hindi me or hindi english me post likane se ko farke padata hai kya

    kya m ek post me dono basa use kat sakta hu
    eg. wwe news in hindi-English

    • Nahi nahi kar sakte. aap ek hi languages me writing karo.

  11. sir maine godady se domain name aur web. builder liya hai pr mughr ribbon theme lagani hai website builder me koi upload ka option nahi hai please help me..

    • Aap godaddy customer care me call karo. wo aapko sabkuch ache se samajha denge.

  12. Sir IFSC CODE KYA HOTA HAI

    • Bank ki passbook par likha hota hai. Wo dekh lo.

    • Naveen bhai. IFSC (Indian Financial System code) ek unique alphanumeric code hota hai. jo RBI ke through sabhi bank ko alag-alag diya jata hai. IFSC codes ka use Electronic payment jaise Real Time Gross Settelment, Wire Transfer, Internet Banking, Fast Payment, Centralised Fund Management System ke liye kiya jata hai. Ye 11 alpha numeric character ka hota hai isme pahle ka 4 character Bank ko represent karta hai, 5th character zero, Last 6 character branch ko represent karta hai. Yeh code apko apki passbook me mil jayaga or agar aap Internet banking use karte hai toh waha bhi hota hai. iske ilava aap direct bank se bhi le sakte hai.

  13. Sir maine apke sabhi steps follow kiye par AdSense ki cpc nahi badh rahi hai. 0.02 Cpc hai. Mai ise badhana chahta hu ye kaise badhegi.

    • Rohit aapki post me koi kami nahi hai. Bas aap ye strp follow karo.
      1. post me same size ke 1 se jyada display ads use mat karo.
      2. Post me links ads use karo is waqt links ads ki cpc jyada hai.
      3. Post me jaruri keywords use kiya karo. high cpc wale. Mai next post isi ke bare me karunga. Ussre aapko high cpc keywords ke bare me pata chalega.

  14. bhaiya Mai ye nahi samjha jaise maine AdSense me jo account add kiya hai, usi ka swift code hona chahiye , ya aaspass ke koi bhi bank ka to us bank me phir se account khulana to nahi padega

    • Nahi us bank me account nahi khulwana hai. Agar aapki bank me swift code avaiable nahi hai to sabse pass wali bank ka swift bic code use kar sakte ho.

  15. Aap every comment ka answer deto ho, ye bahut achhi thing hai. Thanks for article, good job

  16. Bro aap mere liye apne hi site par ek kisi phone par post write kar dijiye jaise apne mujhe samjya tha, agar aap post ko apne site publish nahi karna chahte hai hai to mere liye write kar dijiye , apka bahut help ki jarurat hai, bro Maine abhi site start kara hai, apki help ki jarurat hai. Please mere liye post write kar dijiye……please bro

    • ok, mai is bare me hindi.supportmeindia.com par post karunga.

  17. Sabse Najdeek 1st number par Jaipur Aor 2nd number par Nimraana

    mahwa to jaipur – 121 KM
    mahwa to Nimraana – 154 Km

    • Fir aapne sahi code add kiya hai. ab agar aapka bank account name or AdSense payee name same hai to aapko payment mil jayega.

  18. Bhai aap meri baat samaj kyu nahi rahe hai . maine totaly check kar liya hai ki dausa me kahi bhi swift bic code nahi hai Yaha tak ki SBI costumer care ne bhi yehe bola hai ki Dausa ke kishi bhi branch Me Swift bic code available nahi hai Aor costumber ne mujhse kha ki mai Jaipur ka use kar sakta hu .

    Ab last suggestion yehi hai ki ek baar aap puree traha check karo aor mujhe batao

    Aor haan sahi traha se check karna kyu ki aap sirf Naam dekhkar mujhe bata rahe ho isliye aap bhi traha check karo

    • Surendra duasa me swift code available nahi hai. maine aapko galati se swift ki jagah ifsc code bta diya. Aap is post me btayi last trick se check karo ki jaipur ki bank aapki bank ke sabse karib hai ya nahi.

  19. OK ap ko koi template pata ho to bataye Jo edit ho jata ho

    • Aap google me search karo bahut mil jayenge.

  20. helpful jankari aap itni achhi jankari kaha se late ho

    mene browser ki history delete ki fir bhi tamplate edit karte time kuchh bhi remove nhi hota hai attribution me true likha h uski jagah false nhi hota hai yani true rwmove nhi ho RHA h

    • Dilip kuch tmeplate me hacking code hota hai. Jab hum unhe edit karne ki koshish karte hai to edt html option hack ho jata hai. Aap ek bar template ka backup le kar template change karke dekhe.