Swift BIC code kya hai or apni bank brach ka Swift BIC code Kaise pata kare? Is sawal ka jawab lagbhag har ek AdSense user janna chahata hai. Swift code ki wajah se bahut logo ko google AdSense ka payment nahi mil pata hai. Isliye mai is article me aapko swift bic code ke bare me kuch important bate bta raha hu. Sath hi kisi bhi bank ka swift code pata karne ka tarika bhi bta raha hu.
Google AdSense india me wire transfer ke throw payment karta hai. Jiski full information maine Adsense Me Apna Bank Account Kaise Add Kare post me already btayi huyi hai. Adsense par apna bank account add karne ke liye hume IFSC or SWIFT Code ki jarurat hoti hai.
IFSC code to hum aasani se pata kar lete hai but SWIFT BIC code sabhi bank branch khas kar ke local bank branch me available nahi hota hai. Jisse hume swift code pata karne me bahut confusing hoti hai. But is post ko padh kar aapki ye confusing dur ho jayegi.
Google AdSense me swift code galat add karne se bhi AdSense us bank ko payment kar deta hai. Isliye swift code ke bare me ache se confirm karke hi AdSense payment form me sahi information bhare. Jisse aane wale time me aapko payment mil sake.
SWIFT BIC Code Kya Hai – What is SWIFT BIC Code?
Swift code Business Identifier Codes ka standard format hota hai. Isko internation money transfer ke liye use kiya jata hai. Swift code se bank country, bank location, bank branch or bank ka pata chalta hai. Swift code me in charo ke code hote hai. Ise hum is screenshot se samajh sakte hai.
Is screenshout se aapko aasani se samajh aa gaya hoga ki swift code kya hai.Or ye kya kaam aata hai. Ab humko apni bank branch ka swift code janna hai. To chaliye iske bare me bhi mai aapko details se bta deta hu.
SWIFT BIC Code Kya Hota Hai Or Kisi Bhi Bank Branch Ka SWIFT Code Kaise Pata Kare
Apni bank branch ka swift code pata karne ke liye mai aapko yaha par jo tricks bta raha hu unhe ache se padhe or samajhe uske bad hi action le. Kyuki jara si galati se aapko AdSense ka payment nahi milega.
Bahut si local bank branch me swift code available nahi hota hai. Ayse time me hum apni bank branch ke najdeeki kisi or bank branch ke swift code ko google AdSense me use kar sakte hai. But swift code usi bank ka hona chahiye. Google iski hume permission deta hai.
Example, Aapka account state bank of india me hai to aap najdeeki kisi state bank of india ka hi swift code istemal kar sakte ho. Google AdSense me swift code use karne ke 2 tarike hai.
- Apni bank branch ka swift bic code use kare.
- Or agar aapki bank branch me swift code available na ho to apni bank ke sabse pass wali bank ka swift code use kare.
Ab mai yaha aapko swift code pata karne ka jo tarika bta raha hu. Use carefully padhe. Mai chahata hu ki aapko swift code ke bare me ek ek step samajh me aaye or aapko koi problem na ho.
Sabse pahle aapko pata karna hai ki humari bank branch me swift code available hai ya nahi. Iske liye aap apni bank ke customer care me call kar sakte ho. Agar unka jawab na ho to humare pas second option hai ki hum kisi najdiki bank ka swift code use kare. Iske liye hum online internet ki help lenge. Internet par aysi bahut si site hai jo aapko sabhi banks ke swift bic code ki information deti hai. Mai yaha aapko aysi hi ek site ke bare me bta raha hu.
- Sabse pahle aap ifscswiftcodes.com site par jaye or sabse upar SWIFT Code par click kare.
- Ab apne country yani india par click kare ya fir ye link open kare All swift code in INDIA.
- Aapka kis banke me account hai uska name select kare .Jaise state bank me hai to state bank select kare.
- Apna state select kare.
- Apna city select kare.
- Apni branch select kare. Agar aapki branch me swift code available nahi hai to apni bank ke sabse pass wali bank select kare.
- Yaha par aapki bank ka swift code hoga. Or iske niche uski sari information hogi.
Is tarah se aap online kisi bhi bank ka swift code pata kar sakte ho. But yaha ek sabse badi problem hai ki aap jis nearby bank ka swift code use kar rahe ho. Wo real me aapki bank branch se sabse jyada pass me hai ya nahi. Agar aapko ye confusing hai to chaliye mai aapko iska bhi tarika bta deta hu.
Sabse Najdeeki (Nearby) Bank Ka Konsi Hai Kaise Pata Kare?
Agar aapne galat bank ka swift code AdSense me add kar diya to AdSense to us bank ko payment kar dega. But wo bank aapko payment nahi karegi. Isliye carefully apni bank ke sabse najdeeki bank ka hi swift code use kare. Iske liye aap google ki madad le sakte ho.
- Upar btay site par aap Country > Bank / institution > State tak aasani se pahuch jate ho.
- Uske bad aata hai City, jisme un cities ke name hote hai jaha par swift code wali bank hoti hai.
Aapko yaha par jitne bhi cities ke name mile aap un sabhi ki apni bank branch ke address se duri pata kare. Iske liye aap google search engine me ye topic search kare. “Your Bank Address Name to Swift Code Bank Address Name Kilometers“. Jaise:- Alwar to Neemrana Kilometers. Ab jaise hi aap enter key button dabaoge aapke samne ek maps open hoga. isme aapko sari infomrmation mil jayegi.
Is tarah aap sabhi bank ki duri pata kare or jo aapki bank ke sabse najdeeki ho usi bank ka swift code use kare. Confirm karne ke liye ek bar apni bank ke customer care me call jarur kare or apni nearby bank ka swift code confirm jarur kare.
Finaly, Mai aapse ke bar fir se kahna chahunga ki swift code AdSense me add karne se pahle aap ache se confirm kar le ki aap sahi code use kar rahe ho ya nahi. Is post me btaye tarike se aap sabkuch pata kar sdakte ho. Fir bhi mai aapse kahunga ki aap ek bar customer care me call karke confirm jarur kare.
Agar aapko is post me share ki gayi janakri better lage to is post ko social media par apne friends ke sath share jarur kare.
Ajinkya
Hello Sir Me SWIFT-CODE ke liye bank me gaya to bank wale puch rahe he ki paise konse County se aane wale he, to konsi County batau sir
Jumedeen Khan
USA
Deepkaksiya
Bhai main jhunjhunu me khetri se thoda door hu mere village me sbi ka bank hai par but main online search karta hu to swift code nahi mil raha hai to kya main khetri vala swift code use kar sakta hu kya.
Jumedeen Khan
Deepak ek bar is post ko pur padh lo uske bad searching karo. Aapko apne najdiki branch a swift code use karna hai. Iske liye aa apni ban kbranch se contact kar sakte ho.
nitesh
Bhai mene check kiya mere ass pass sirf meri main city jo 80km door hai ke bank pr hi swift code available hai pr is pr click krne pr city main aur commercial do option hai
Jumedeen Khan
Aap mujhe apni city ka name btao main check karta hu.
nites
bhai Swift code ke liye city choose krne ke time mera town to nahi aa rha pr main city aa rhi hai aur usme bhi main city aur commercial ke liye swift code aa rha hai to commercial choose krna hoga na
Jumedeen Khan
Nahi aap apne nearby bank ka swift code use karo.
nitesh
bhai pan card ki jaroorat kb pdti hai
Jumedeen Khan
Aap 18+ ho ya nahi uske liye pan card ki jarurat padti hai.
nitesh
Ha me 18+ hu pr mere pass pan card nahi hai adhar card hai
Jumedeen Khan
Nahi hai to banwa lo future me iski jarurat pad sakti hai.
nitesh
nearby bank usi branch ka hona chahiye ya koi bhi chalega
Jumedeen Khan
Usi bank ka matlab jaise aapka account SBI ka hai to sbi bank ki nearby bank ka swift code use kar sakte ho. Post me already bta chuka hu thoda carefully read kiya karo.
aman
Sir kya pan card ki jrurat padti hai kya
Jumedeen Khan
Yes padti hai.
aman
Sir agar o sabse najdeek ka swift code na ho galti se dur ka dal jaye to kya hoga ya fir pass se thote dur ka dale to kya hoga sir
Kyuki duri google map google me pta nhi chal rha hai
Kya kru
Kya mai dusre branch se khata khulva lu kya
Jha swirt code avilable ho
kya mai dusre ke khata ko use kar sakta hu kya
OR dusre person ka khata khulvake uska use kar sakta hu kya
Jumedeen Khan
Fir adsense aapko payment nahi karega or karega to galat swift code wali bank aapke account me payment nahi bhejegi yani aapko paisa payment nahi milega. Aap apne bank ke manager se bat kare unhe kahe ki mujhe payment lene ke liye swift code ki jarurat hai.
Dusri bank me khulwa sakte ho but usi ke name se jiske name se adsense hai.
amit kumar
sir mai panipat (haryana) ka rhne wala hu or pure panipat me sbi ke 2 hi branch hai jisme SWIFT BIC Code hai. 1 branch mere bank branch se 19.3 kilometer ki duri pr hai or 2 dusra branch mere bank branch se 21 kilometer ki duri pr hai to mai kon se bank branch ka code use kru.
Jumedeen Khan
19.3KM wali branch ka.
aman
SearchFind State Bank of India (SBI) Commercial Branch SWIFT CodeCountry NameBank / Institution State City BranchSWIFT Code of State Bank of India (SBI) Commercial Branch, Raipur CitySWIFT Code :SBININBB193Bank :STATE BANK OF INDIA (SBI)Branch :COMMERCIALAddress :RAIPURCity :RAIPURState :CHHATTISGARHCountryINDIA (IN)We always welcome all viewers who let us know If there is/are any discrepanc-y(ies)/mistake(s) in the provided information. SoFeedbackus to serve you better……………….
uske bad dusra
SearchFind State Bank of India (SBI) Sme Br-Raipurerstwhile Sb Indore Branch SWIFT CodeCountry NameBank / Institution State CityBranchSWIFT Code of State Bank of India (SBI) Sme Br-RaipurerstwhileSb Indore Branch, Raipur CitySWIFT Code :SBININBB714Bank :STATE BANK OF INDIA (SBI)Branch :SME BR-RAIPURERSTWHILE SB INDOREAddress :OPP. RAMKUMAR COLLEGE GATE G.E. ROAD RAIPUR 492001City :RAIPURState :CHHATTISGARHCountryINDIA (IN)We always welcome all viewers who let us know If there is/are any discrepanc-…………..
uske bad 3ra
Find State Bank of India (SBI) Sme Raipur Branch SWIFT CodeCountry NameBank / Institution State City BranchSWIFT Code of State Bank of India (SBI) Sme Raipur Branch, Raipur CitySWIFT Code :SBININBB646Bank :STATE BANK OF INDIA (SBI)Branch :SME RAIPURAddress :ZONAL OFFICE BUILDING BYRON BAZAR RAIPUR 492001City :RAIPURState :CHHATTISGARHCountryINDIA (IN)We always welcome all viewers who let us know If there is/a………….
sir search karne par 3no dikha RHA hai branch raipur ka but samjh nhi arha hai kounsa use karna hai
sir app btao n ki 3no me se kounsa use karna hai plz sir
Jumedeen Khan
In sabki apni branch se duri check karo or sabse nearest branch ka swift code use karo. Aap google map par duri check kar sakte ho.
aman
sir gariyaband me swift code nhi hai sbse pass Raipur ka dikha RHA hai plz reply jisme 3 swift code branch se dikha RHA hai app search kar btao kiska use karna hai plz
Jumedeen Khan
Aman already bta chuka hu sabse pas ki branch ka swift code use karo.
aman
sir mera khata sbi gariyaband me khulwaya hu but mera ghar janjgir champa ke ek village me rhta hu kha ka swif code use kru dusra swift code aur ifsc code alg hota hai kya
Jumedeen Khan
Apni bank ka ya apni bank ke sabse najdeek wali bank ka.
tushar
Bhai jaise mere bank me swift code available nahi hai to mai apne sbse paas waale bank ka swift code use kar raha hu but IFSC code mujhe apne bank ka use karna hai ya jis bank ka swift use kar raha hu uska plss btaye¿¿
Jumedeen Khan
IFSC code apni hi branch ka use karna hai.
Goyal
sir aapne uper image me demo deke jo code btaya hai SBIINBB750 iske last me no. hai 750
but maine apne pnb bank ka swift pta kiya to wo PNBINBBMBD dikha raha hai uske last me koi no. nahi hai balki MBD hai kya ye code bhi sahi hota hai ¿¿¿¿
Jumedeen Khan
Iske bare me aap bank customer care me bat karo.
Goyal
Bhai unse pucha to unhone to delhi ka code dikha diya but delhi to bahut dur hai mere ghar se moradabad sabse jyada paas hai or uska code PUNBINBBMBD dikha raha hai
Jumedeen Khan
Its ok aap wohi ocde use karo jo aapki bank ke sabse najdeek hai aap bas customer care me call karke ye pata karo ki ye code sahi hai ya galat.
Goyal
bhai kaise karu
ek call lagi thi 2 din se try kar raha hu
wo bhi usne tamiz se baat ni kari bus ye code bta ke bich me phone cut kar diya
& mai kya apne paas wala code 3,4 website pe try karke daal du ¿¿¿
Jumedeen Khan
Ok internet par aap ek do bar achhe se check karke use kar sakte ho but confirm kar lete to achha hota.
Rajen dhidhi
Jis bank me khata hai jaise SBI aur usme swift code nahi to ham kisi dusre sbi ka hi code use karenge ya kisi bhi bank jaise icici ,pnb , hdfc ka bhi use kar skte hai. . . Aur us state me kewal ek hi dist me swift code available h . To hamara sbi me khata h to usi bank ka use kare ya kilo meter ke hisaab se kare . Aur kilo meter me jyada difrence na ho jaise 5,10, km to hamare dist se us dist ke koi bhi bank ka swift code us kar sakte h kya .18*11*2016
Jumedeen Khan
sirf usi bank branch ka kar sakte ho kilo meters se matlab nahi hai jo sabse pas ho uska swift code use karo.
raaz
Bhai mera account jabalpur ka hai . aur me Bhopal shift ho gya hu . to me kaun sa swift code use karunga . Jo site apne batai hai . usme jabalpur show nahi kar raha hai . plz help
Jumedeen Khan
Raaz mai already post me detail se explain kar chuka hu step sahi se padho.
ranjeet buk
bhai mai afzalgarh me rehta hu or yahan pe swift code availble nahi hai or hamare sbse paas me moradabad ki branch hai bt uska swift code maine 2 website pe chek kiya un par alag alag aa raha hai plss help me n kya aap iska sahi code pta kar sakte ho sbi bank moradabad u.p.
Jumedeen Khan
Aap customer care me call karke swift code confirm kar lo.
Jack
Your post is valuable.
Uttam
सर मेरे एडसंस payment method मे निचे एक मॅसेज Intermediary bank (ask your bank)
If your wire transfer is going through an intermediary bank, it must be based in the United States.
Intermediary bank name (optional)
Intermediary SWIFT-BIC (optional)
FFC or FBO (ask your bank)
If your bank requires For Further Credit (FFC) or For Benefit Of (FBO), add the instructions exactly as your bank specifies.
For further credit / For benefit of (optional)
यहीं लिखा है। तो यहा मै क्या लिख सकता हू।
Jumedeen Khan
Is sari details ko edit karo or apni sahi details add karo.
uttam
सर मेरे गाँव के आसपास यवतमाल,चंद्रपूर, अकोला है। मुझे सिर्फ अकोला के बँक का SWIFT CODE नागपुर, आैर मुंबई का swift code मिला अकोला नजिक है, नागपुर उपराजधानी आैर मुंबई मेरे राज्य की राजधानी है। इसमे मै किस बँक का कोड युज कर सकता हूं
Jumedeen Khan
जो आपकी बैंक ब्रांच के ज्यादा नजदीक हो
uttam
सर्वप्रथम यह इंफर्मेशन देनेको धन्यवाद सर ।सर मेरा गाँव यवतमाल जिलेमें है ।मैने दूसरा जिला चंद्रपूर जो मेरे गाँव के आसपास है, इस जिले का SWIFT -BIC कोड एडसंसमे युज किया तो चलेगा क्या सर?
Jumedeen Khan
Yes chalega.
RAJ
mera bank account badarwas mein he jiski district shivpuri he badarwas bank branch ke sabhi transaction shivpuri head branch se hote hein but shivpuri head branch mein bhi swift code nhi he/ kya mein kisi or dist. ka swift code use kar sakta hun. guna jo ki shivpuri se bhi nazdeek head branch he jismein swit code available he.
Jumedeen Khan
Main aapko already kah chuka hu ki aapko apni ban kbranch ke nearest bank ka swift code use karna hai. Ab aa ye easily pata kar sakte ho ki aapke aaspaps kis bank me swift code hai main iske bare me website bhi bta chuka hu.
Mahaveer Jain
Dear sir,, Swift code ke regarding mujhe ek issue hai. apne kaha ki pass wali bank ka swift code chahiye……
Mera HDFC me account hai.
Me Bharatpur RAjasthan se hu aur Mere Near Ahmedabad aur Delhi Ke Swift code wali Bank pass hai.
Par me bank gya to unhone mujhe HDFC ka swift Mumbai Branch ka diya aur bole ki tension na lo apka paisa account me aa jaye……..
I Got little confuse about it……
I Hope ki Mera swift code sahi ho
Jumedeen Khan
Maine is bare me jab mujhe swift code ki jarurat thi to AdSense members se bat ki thi to unhone nrearest bank ka swift code use karne ko kaha hai. Ho sakta hai aapki bank me mumbai ka swift code use hota hai. Jab bank wale aapko guarantee de rahe hai to aap wo code use kar sakte ho but main to aapko nearest bank ka code hi use karne ko kahunga.
Mahaveer Jain
Ji Thank you , Bank Manager se bat ki mene to usne ab bataya ki hamara contact mumbai se hi hai. to mene swift code mumbai wala daal diya hai……
thank you dear