SWIFT BIC Code Kya Hai Apni Bank Ka SWIFT Code Kaise Pata Kare

Swift BIC code kya hai or apni bank brach ka Swift BIC code Kaise pata kare? Is sawal ka jawab lagbhag har ek AdSense user janna chahata hai. Swift code ki wajah se bahut logo ko google AdSense ka payment nahi mil pata hai. Isliye mai is article me aapko swift bic code ke bare me kuch important bate bta raha hu. Sath hi kisi bhi bank ka swift code pata karne ka tarika bhi bta raha hu.

What-is-SWIFT-BIC-Code-All-Information-About-SWIFT-Code

Google AdSense india me wire transfer ke throw payment karta hai. Jiski full information maine Adsense Me Apna Bank Account Kaise Add Kare post me already btayi huyi hai. Adsense par apna bank account add karne ke liye hume IFSC or SWIFT Code ki jarurat hoti hai.

IFSC code to hum aasani se pata kar lete hai but SWIFT BIC code sabhi bank branch khas kar ke local bank branch me available nahi hota hai. Jisse hume swift code pata karne me bahut confusing hoti hai. But is post ko padh kar aapki ye confusing dur ho jayegi.

Google AdSense me swift code galat add karne se bhi AdSense us bank ko payment kar deta hai. Isliye swift code ke bare me ache se confirm karke hi AdSense payment form me sahi information bhare. Jisse aane wale time me aapko payment mil sake.

SWIFT BIC Code Kya Hai – What is SWIFT BIC Code?

Swift code Business Identifier Codes ka standard format hota hai. Isko internation money transfer ke liye use kiya jata hai. Swift code se bank country, bank location, bank branch or bank ka pata chalta hai. Swift code me in charo ke code hote hai. Ise hum is screenshot se samajh sakte hai.

Swift BIC Code Example

Is screenshout se aapko aasani se samajh aa gaya hoga ki swift code kya hai.Or ye kya kaam aata hai. Ab humko apni bank branch ka swift code janna hai. To chaliye iske bare me bhi mai aapko details se bta deta hu.

SWIFT BIC Code Kya Hota Hai Or Kisi Bhi Bank Branch Ka SWIFT Code Kaise Pata Kare

Apni bank branch ka swift code pata karne ke liye mai aapko yaha par jo tricks bta raha hu unhe ache se padhe or samajhe uske bad hi action le. Kyuki jara si galati se aapko AdSense ka payment nahi milega.

Bahut si local bank branch me swift code available nahi hota hai. Ayse time me hum apni bank branch ke najdeeki kisi or bank branch ke swift code ko google AdSense me use kar sakte hai. But swift code usi bank ka hona chahiye. Google iski hume permission deta hai.

Example, Aapka account state bank of india me hai to aap najdeeki kisi state bank of india ka hi swift code istemal kar sakte ho. Google AdSense me swift code use karne ke 2 tarike hai.

  1. Apni bank branch ka swift bic code use kare.
  2. Or agar aapki bank branch me swift code available na ho to apni bank ke sabse pass wali bank ka swift code use kare.

Ab mai yaha aapko swift code pata karne ka jo tarika bta raha hu. Use carefully padhe. Mai chahata hu ki aapko swift code ke bare me ek ek step samajh me aaye or aapko koi problem na ho.

Sabse pahle aapko pata karna hai ki humari bank branch me swift code available hai ya nahi. Iske liye aap apni bank ke customer care me call kar sakte ho. Agar unka jawab na ho to humare pas second option hai ki hum kisi najdiki bank ka swift code use kare. Iske liye hum online internet ki help lenge. Internet par aysi bahut si site hai jo aapko sabhi banks ke swift bic code ki information deti hai. Mai yaha aapko aysi hi ek site ke bare me bta raha hu.

  1. Sabse pahle aap ifscswiftcodes.com site par jaye or sabse upar SWIFT Code par click kare.
  2. Ab apne country yani india par click kare ya fir ye link open kare All swift code in INDIA.
  3. Aapka kis banke me account hai uska name select kare .Jaise state bank me hai to state bank select kare.
  4. Apna state select kare.
  5. Apna city select kare.
  6. Apni branch select kare. Agar aapki branch me swift code available nahi hai to apni bank ke sabse pass wali bank select kare.
  7. Yaha par aapki bank ka swift code hoga. Or iske niche uski sari information hogi.

Search Swift BIC Code

Is tarah se aap online kisi bhi bank ka swift code pata kar sakte ho. But yaha ek sabse badi problem hai ki aap jis nearby bank ka swift code use kar rahe ho. Wo real me aapki bank branch se sabse jyada pass me hai ya nahi. Agar aapko ye confusing hai to chaliye mai aapko iska bhi tarika bta deta hu.

Sabse Najdeeki (Nearby) Bank Ka Konsi Hai Kaise Pata Kare?

Agar aapne galat bank ka swift code AdSense me add kar diya to AdSense to us bank ko payment kar dega. But wo bank aapko payment nahi karegi. Isliye carefully apni bank ke sabse najdeeki bank ka hi swift code use kare. Iske liye aap google ki madad le sakte ho.

  1. Upar btay site par aap Country > Bank / institution > State tak aasani se pahuch jate ho.
  2. Uske bad aata hai City, jisme un cities ke name hote hai jaha par swift code wali bank hoti hai.

Aapko yaha par jitne bhi cities ke name mile aap un sabhi ki apni bank branch ke address se duri pata kare. Iske liye aap google search engine me ye topic search kare. “Your Bank Address Name to Swift Code Bank Address Name Kilometers“. Jaise:- Alwar to Neemrana Kilometers. Ab jaise hi aap enter key button dabaoge aapke samne ek maps open hoga. isme aapko sari infomrmation mil jayegi.

Check Your Nearby Bank Branch Swift Code

Is tarah aap sabhi bank ki duri pata kare or jo aapki bank ke sabse najdeeki ho usi bank ka swift code use kare. Confirm karne ke liye ek bar apni bank ke customer care me call jarur kare or apni nearby bank ka swift code confirm jarur kare.

Finaly, Mai aapse ke bar fir se kahna chahunga ki swift code AdSense me add karne se pahle aap ache se confirm kar le ki aap sahi code use kar rahe ho ya nahi. Is post me btaye tarike se aap sabkuch pata kar sdakte ho. Fir bhi mai aapse kahunga ki  aap ek bar customer care me call karke confirm jarur kare.

Agar aapko is post me share ki gayi janakri better lage to is post ko social media par apne friends ke sath share jarur kare.

Reader Interactions

Comments (140)

  1. Sir please reply
    Sir मेरा खाता “बड़ौदा राजस्थान क्षेत्रीय ग्रामीण बैंक” (Baroda Rajasthan Kshetriya Gramin Bank) में है लेकिन जब मैं वहाँ गया तो उन्होने कहा यह होता क्या है फिर मैं नजदीक वाली साखा मे गया तो उनका भी यही जबाब नहीं मिला
    क्या करू?

    • Aap is post me btayi site se nearby bank ka swift code use kar sakte ho.

  2. Sir mei apni nazdik bank ka swift code use to karunga leki money mere hi branch account me yahi sir ki jis bank ka swift code use karunga usme aaygi.
    Plz help me sir.

    • Paisa apake hi branch wale account me aayega.

  3. Sir namaskar mera Acount ICICI Bank me hai aur net par check kiya to india me kewal 54 ICICI bank ke paas swift code hai. Mera acount raigarh chhattishgarh me hai aur net par mera najdiki swift code waala branch Bhuwneshwar odissa me bata raha hai jo 411 KM door hai dusra indor me 990 KM hai. Sir bhuwneshwar 411KM waala daal sakta hoon na jayaada doori hone ki wajah se koyi problem to nahin hogi?
    Ak sawaal aur sir Raigarh me SBI ka aswift Code hai kya mai sbi ka Acount khulwaa kar use kar sakta hoon? Adsense acount khilte wakt ICICI bank ka acount daala tha kya ab sbi daalne se koyi problem to nahin hogi please jawwab zaroor dein samajh nahin aa raha kya karoon?

    • Yes, aap j osabse kareeb hai uska swift code use karo, good, SMI adsense payment ke liye sabse best hai.

    • sir plz jawab dein mai kya karu branch gaya to wo mumbai ka swift code de rahe hain aur bol rahe hain ke wahin se humaare branch me paisa aata hai aur aapke post ke anusaar nazdiki branch ka swift code dalna hai wo bhuwneswar me hai main kya karu branch waalon ka diya mumbai ka swift code daalu ya nazdiki branch bhuwneshwar waala I AM TOTALY CONFUSE PLEASE HELP ME

      • Aap nearby wala use karo.

  4. Sar ji me bhiar se hu or mera A/ c jharkhand hai to koyi dikat hai kya

    • Nahi, bank account wala address adsense address se match hona chahiye.

  5. jumedeen bhai mera bank account allahabad back me hai aur me jabalpur mp se hoon par swift code sirf bhopal ka bata raha hai jabalpur ka nahi kiya ham bhopal ka use kar sakte hain

    • Main already bta chuka hu ki aap nearby bank ka use kar sakte hai ab aapke sabse karib konsi bank hai ye aap mujshe behtar jante hai.

  6. sir swift code ki jagah ifsc code dikha raha hai site me

    • Check carefully.

  7. Plz Help Me Sir,

    mere adsence account me 137 doller ho chuke he but mere village ki bank me swift code availval nhi he kisi bhi brance ka, mere village se kareeb 70 kilometter ke dusre city lucknow me usi bank ke 5 branch ka swift code availval he kya mai unhi me se kisi ek branch ka swift code use kar sakta hu

    • Dear main fir se yahi kahunga ki nearby branch ka code use kar sakte ho.

  8. Hello sir , mere chhote bhai ka youtube channel bana He but uska bank account nhi He kya Mai apna bank account google adsence me dal sakta hu plz

    • Nahi aap uske name se adsense account banwa sakte ho, wese adsense forum me iske liye haa kaha gaya hai aap ek bar waha confirm kar le.

  9. Thanks for reply sir! bahut achha kaam kar rahe hain app. Ham sabhi visitors ki duwayen apke saath hai ekdam Dil se! Request hai ki aage bhi aap hamari aise hi help Karte rahen!

  10. Sir 1) apne swift code ke liye nearest bank branch hona chahiye Aisa kaha hai. kya iski vajah ye hai ki isse money transfering charge Kam katega ya kuchh aur ? Please teach me sir!

    • Nahi iski wajah ye nahi hai.

  11. Hello sir please muje answer do me bahot pareshan hoo mene adnow advertisers se 200 se jyada USD Earn kiye aur payment method me mene wife select kiya tha aur unhone yesterday yani 22 september ko raat 8pm को payment send kiya payment history me paid show ho raha hai lekin muje bank account me mila nahi hai
    Problem ye hai ki mene swift code me sbi ka (sbininbb) use kiya tha lekin bad me muje pata chala ki isme last 3 code hote hai jo mene nahi dale the meri brach ka swift nahi hai bad me mene branch me contact kiya to unhone bataya ki aap apne district branch ka code use kar sakte hain
    Lekin mene payment diteils me pura code submit kiya hi nahi tha
    Bad me muje ye post mili aur pata chala ki sweet code 11 anko ka hota hai lekin mene jaha swift code submit kiya vaha likha tha 8 ya 11 anko ka swift code dale
    To kya muje payment bank me milega??
    Koi idea do sir kya hoga payment ka mene badi mushkil se earn kiye the

    • 3-5 days wait karo agar aapne swift code sahi add kiya hai to payment mil jayega. Warna cancel ho jayega or aap adnow walo ko kah kar fir se payment le sakoge.

    • Sir,1) apne swift code ke liye nearest bank branch hi kyun bataya hai kya swift code wala bank branch jitna najdik hoga to money transfering ka paisa utna Kam katega isliye? 2) ya koi aur vajah hai to please bataiye sir!

      • Ye maine nahi google ne btaya hai.

  12. Sir ek problem hai
    Raipur SBI branch me 3 swift code hai jisme

    Commercial branch ka -91 kilometres

    Sme br – Raipur ka- 89kilometre 2hr 11min. Hai

    Sme branch Raipur ka- 89kilometre 2hr 11min. Hai

    Dono brach ki duri same bta rha hai plz btao sir dono branch me se kiska swift code use karu plz reply sir

    • Aap branch ja kar confirm kar le ki konsi branch ka swift code use karna hai.

  13. Sir swift code dalne se pahile kya un bank se permission leni padti he kya

    • Nahi.

  14. bhai mere jile me kisi bhi sbi bank ka swift code nahi uplabh hai mai kya kar sakta hu

    • Kisi nearby sbi bank ka code use karo.

  15. bhai plz mera bank ka swif code pata kar do…Plzz …Mai India se hu bank ka Nam central bank of India …branch …Dharampur hai
    State …Bihar

    plzzz swif code pata kar ke do mujhse nhi ho raha hai

    • Sorry vivek main aapko guide kar sakta hu aap swift ke bare me bank branch ja kar pata kar sakte hai.

  16. sir mera ghar gaun mein hai aur sabse nazdiki bank 100 km door hai kya main tab bhi swift code use kar sakta hoon

    • Yes agar usse jyada near koi or bank nahi hai to use kar sakte ho.

  17. Bro mera bank account he sbi me but us branch me SWIFT code nahi he but sabse najdik 2.2km dur or ek sbi branch he jiska SWIFT code he or dono branch ka PIN code same he or city alag he kya me us branch ka SWIFT code use kar sakta hu…plz reply first????

    • Yes use kar sakte ho.

  18. Bhai union bank of india ka swift code serch kerte hain to bihar ka option hi nahi aa raha hai jharkhand ka ya uttar pardesh ka aa raha hai main kiya karun

    • Aap ek bar bank branch ja kar bat karo.

      • Bank gaye wo bol raha hai UBI ka BIHAR ka swiftcode nahi hai utter pardesh ke varanasi ka de raha hai swiftcode

        • Mujhe bas itna pata hai ki aapko nearest bank ka swift code use karna hai agar is bank me nahi hai jo SBI, HDFC ya ICICI bank me account khulwa lo.

  19. Hello sir, mere adsense account me galat swift code add ho chuka hai. aur ab edit bhi nahi ho raha hai. Primary : show kar raha hai. kaise edit karu swift code ko…

    • Dusri bank details add karo fir use primary set karke old details ko remove kar do.

  20. Hello Sir Me SWIFT-CODE ke liye bank me gaya to bank wale puch rahe he ki paise konse County se aane wale he, to konsi County batau sir

    • USA

  21. Bhai main jhunjhunu me khetri se thoda door hu mere village me sbi ka bank hai par but main online search karta hu to swift code nahi mil raha hai to kya main khetri vala swift code use kar sakta hu kya.

    • Deepak ek bar is post ko pur padh lo uske bad searching karo. Aapko apne najdiki branch a swift code use karna hai. Iske liye aa apni ban kbranch se contact kar sakte ho.

  22. Bhai mene check kiya mere ass pass sirf meri main city jo 80km door hai ke bank pr hi swift code available hai pr is pr click krne pr city main aur commercial do option hai

    • Aap mujhe apni city ka name btao main check karta hu.

  23. bhai Swift code ke liye city choose krne ke time mera town to nahi aa rha pr main city aa rhi hai aur usme bhi main city aur commercial ke liye swift code aa rha hai to commercial choose krna hoga na

    • Nahi aap apne nearby bank ka swift code use karo.

      • bhai pan card ki jaroorat kb pdti hai

        • Aap 18+ ho ya nahi uske liye pan card ki jarurat padti hai.

          • Ha me 18+ hu pr mere pass pan card nahi hai adhar card hai

          • Nahi hai to banwa lo future me iski jarurat pad sakti hai.

      • nearby bank usi branch ka hona chahiye ya koi bhi chalega

        • Usi bank ka matlab jaise aapka account SBI ka hai to sbi bank ki nearby bank ka swift code use kar sakte ho. Post me already bta chuka hu thoda carefully read kiya karo.

  24. Sir kya pan card ki jrurat padti hai kya

    • Yes padti hai.

  25. Sir agar o sabse najdeek ka swift code na ho galti se dur ka dal jaye to kya hoga ya fir pass se thote dur ka dale to kya hoga sir
    Kyuki duri google map google me pta nhi chal rha hai
    Kya kru
    Kya mai dusre branch se khata khulva lu kya
    Jha swirt code avilable ho
    kya mai dusre ke khata ko use kar sakta hu kya
    OR dusre person ka khata khulvake uska use kar sakta hu kya

    • Fir adsense aapko payment nahi karega or karega to galat swift code wali bank aapke account me payment nahi bhejegi yani aapko paisa payment nahi milega. Aap apne bank ke manager se bat kare unhe kahe ki mujhe payment lene ke liye swift code ki jarurat hai.

      Dusri bank me khulwa sakte ho but usi ke name se jiske name se adsense hai.

  26. sir mai panipat (haryana) ka rhne wala hu or pure panipat me sbi ke 2 hi branch hai jisme SWIFT BIC Code hai. 1 branch mere bank branch se 19.3 kilometer ki duri pr hai or 2 dusra branch mere bank branch se 21 kilometer ki duri pr hai to mai kon se bank branch ka code use kru.

    • 19.3KM wali branch ka.

  27. SearchFind State Bank of India (SBI) Commercial Branch SWIFT CodeCountry NameBank / Institution State City BranchSWIFT Code of State Bank of India (SBI) Commercial Branch, Raipur CitySWIFT Code :SBININBB193Bank :STATE BANK OF INDIA (SBI)Branch :COMMERCIALAddress :RAIPURCity :RAIPURState :CHHATTISGARHCountryINDIA (IN)We always welcome all viewers who let us know If there is/are any discrepanc-y(ies)/mistake(s) in the provided information. SoFeedbackus to serve you better……………….

    uske bad dusra
    SearchFind State Bank of India (SBI) Sme Br-Raipurerstwhile Sb Indore Branch SWIFT CodeCountry NameBank / Institution State CityBranchSWIFT Code of State Bank of India (SBI) Sme Br-RaipurerstwhileSb Indore Branch, Raipur CitySWIFT Code :SBININBB714Bank :STATE BANK OF INDIA (SBI)Branch :SME BR-RAIPURERSTWHILE SB INDOREAddress :OPP. RAMKUMAR COLLEGE GATE G.E. ROAD RAIPUR 492001City :RAIPURState :CHHATTISGARHCountryINDIA (IN)We always welcome all viewers who let us know If there is/are any discrepanc-…………..

    uske bad 3ra

    Find State Bank of India (SBI) Sme Raipur Branch SWIFT CodeCountry NameBank / Institution State City BranchSWIFT Code of State Bank of India (SBI) Sme Raipur Branch, Raipur CitySWIFT Code :SBININBB646Bank :STATE BANK OF INDIA (SBI)Branch :SME RAIPURAddress :ZONAL OFFICE BUILDING BYRON BAZAR RAIPUR 492001City :RAIPURState :CHHATTISGARHCountryINDIA (IN)We always welcome all viewers who let us know If there is/a………….

    sir search karne par 3no dikha RHA hai branch raipur ka but samjh nhi arha hai kounsa use karna hai

    sir app btao n ki 3no me se kounsa use karna hai plz sir

    • In sabki apni branch se duri check karo or sabse nearest branch ka swift code use karo. Aap google map par duri check kar sakte ho.

  28. sir gariyaband me swift code nhi hai sbse pass Raipur ka dikha RHA hai plz reply jisme 3 swift code branch se dikha RHA hai app search kar btao kiska use karna hai plz

    • Aman already bta chuka hu sabse pas ki branch ka swift code use karo.

  29. sir mera khata sbi gariyaband me khulwaya hu but mera ghar janjgir champa ke ek village me rhta hu kha ka swif code use kru dusra swift code aur ifsc code alg hota hai kya

    • Apni bank ka ya apni bank ke sabse najdeek wali bank ka.

  30. Bhai jaise mere bank me swift code available nahi hai to mai apne sbse paas waale bank ka swift code use kar raha hu but IFSC code mujhe apne bank ka use karna hai ya jis bank ka swift use kar raha hu uska plss btaye¿¿

    • IFSC code apni hi branch ka use karna hai.

  31. sir aapne uper image me demo deke jo code btaya hai SBIINBB750 iske last me no. hai 750
    but maine apne pnb bank ka swift pta kiya to wo PNBINBBMBD dikha raha hai uske last me koi no. nahi hai balki MBD hai kya ye code bhi sahi hota hai ¿¿¿¿

    • Iske bare me aap bank customer care me bat karo.

      • Bhai unse pucha to unhone to delhi ka code dikha diya but delhi to bahut dur hai mere ghar se moradabad sabse jyada paas hai or uska code PUNBINBBMBD dikha raha hai

        • Its ok aap wohi ocde use karo jo aapki bank ke sabse najdeek hai aap bas customer care me call karke ye pata karo ki ye code sahi hai ya galat.

          • bhai kaise karu
            ek call lagi thi 2 din se try kar raha hu
            wo bhi usne tamiz se baat ni kari bus ye code bta ke bich me phone cut kar diya
            & mai kya apne paas wala code 3,4 website pe try karke daal du ¿¿¿

          • Ok internet par aap ek do bar achhe se check karke use kar sakte ho but confirm kar lete to achha hota.

  32. Jis bank me khata hai jaise SBI aur usme swift code nahi to ham kisi dusre sbi ka hi code use karenge ya kisi bhi bank jaise icici ,pnb , hdfc ka bhi use kar skte hai. . . Aur us state me kewal ek hi dist me swift code available h . To hamara sbi me khata h to usi bank ka use kare ya kilo meter ke hisaab se kare . Aur kilo meter me jyada difrence na ho jaise 5,10, km to hamare dist se us dist ke koi bhi bank ka swift code us kar sakte h kya .18*11*2016

    • sirf usi bank branch ka kar sakte ho kilo meters se matlab nahi hai jo sabse pas ho uska swift code use karo.

      • Bhai mera account jabalpur ka hai . aur me Bhopal shift ho gya hu . to me kaun sa swift code use karunga . Jo site apne batai hai . usme jabalpur show nahi kar raha hai . plz help

        • Raaz mai already post me detail se explain kar chuka hu step sahi se padho.

  33. bhai mai afzalgarh me rehta hu or yahan pe swift code availble nahi hai or hamare sbse paas me moradabad ki branch hai bt uska swift code maine 2 website pe chek kiya un par alag alag aa raha hai plss help me n kya aap iska sahi code pta kar sakte ho sbi bank moradabad u.p.

    • Aap customer care me call karke swift code confirm kar lo.

  34. Your post is valuable.

  35. सर मेरे एडसंस payment method मे निचे एक मॅसेज Intermediary bank (ask your bank)
    If your wire transfer is going through an intermediary bank, it must be based in the United States.
    Intermediary bank name (optional)

    Intermediary SWIFT-BIC (optional)

    FFC or FBO (ask your bank)
    If your bank requires For Further Credit (FFC) or For Benefit Of (FBO), add the instructions exactly as your bank specifies.
    For further credit / For benefit of (optional)
    यहीं लिखा है। तो यहा मै क्या लिख सकता हू।

    • Is sari details ko edit karo or apni sahi details add karo.

  36. सर मेरे गाँव के आसपास यवतमाल,चंद्रपूर, अकोला है। मुझे सिर्फ अकोला के बँक का SWIFT CODE नागपुर, आैर मुंबई का swift code मिला अकोला नजिक है, नागपुर उपराजधानी आैर मुंबई मेरे राज्य की राजधानी है। इसमे मै किस बँक का कोड युज कर सकता हूं

    • जो आपकी बैंक ब्रांच के ज्यादा नजदीक हो

  37. सर्वप्रथम यह इंफर्मेशन देनेको धन्यवाद सर ।सर मेरा गाँव यवतमाल जिलेमें है ।मैने दूसरा जिला चंद्रपूर जो मेरे गाँव के आसपास है, इस जिले का SWIFT -BIC कोड एडसंसमे युज किया तो चलेगा क्या सर?

    • Yes chalega.

  38. mera bank account badarwas mein he jiski district shivpuri he badarwas bank branch ke sabhi transaction shivpuri head branch se hote hein but shivpuri head branch mein bhi swift code nhi he/ kya mein kisi or dist. ka swift code use kar sakta hun. guna jo ki shivpuri se bhi nazdeek head branch he jismein swit code available he.

    • Main aapko already kah chuka hu ki aapko apni ban kbranch ke nearest bank ka swift code use karna hai. Ab aa ye easily pata kar sakte ho ki aapke aaspaps kis bank me swift code hai main iske bare me website bhi bta chuka hu.

  39. Dear sir,, Swift code ke regarding mujhe ek issue hai. apne kaha ki pass wali bank ka swift code chahiye……
    Mera HDFC me account hai.
    Me Bharatpur RAjasthan se hu aur Mere Near Ahmedabad aur Delhi Ke Swift code wali Bank pass hai.
    Par me bank gya to unhone mujhe HDFC ka swift Mumbai Branch ka diya aur bole ki tension na lo apka paisa account me aa jaye……..

    I Got little confuse about it……

    I Hope ki Mera swift code sahi ho

    • Maine is bare me jab mujhe swift code ki jarurat thi to AdSense members se bat ki thi to unhone nrearest bank ka swift code use karne ko kaha hai. Ho sakta hai aapki bank me mumbai ka swift code use hota hai. Jab bank wale aapko guarantee de rahe hai to aap wo code use kar sakte ho but main to aapko nearest bank ka code hi use karne ko kahunga.

      • Ji Thank you , Bank Manager se bat ki mene to usne ab bataya ki hamara contact mumbai se hi hai. to mene swift code mumbai wala daal diya hai……
        thank you dear

  40. thanks sir very useful post and your site help
    and thanks for just reply…
    swift code ke bare me apki help chahie
    me haryana se hu
    state bank of patiala me mera account hai
    mere account branch or distic me swift code nhi hai …mene net par search kiya hai apke link par.
    meri bank branch se sabse najdik hissar distic hai vhanha swift code avilable hai
    distic change hone par…..payement hogi ya nhi..

    • Aap ek bar ye customare care me call karke confirm kar lo.

      • sir mene try kiya
        but unhone kha ki bank brach me jao or info lo

        • Aap fir se call karo or unhe kaho ki humare district me kaha kaha par swift code available hai.

          • thanks sir
            mene just call kiya..
            wo kah rhe hai hamare pass iski koi jankari nhi hai..
            branch me pata karo..
            branch maneger kahata hai ye swift code kya hota hai…
            sir mene apke link swiftcodeinfo par click kiya..
            1st baar me my distic sirsa and near distic hissar me total 17 branch show hui but no swift code show
            2nd search kiya to only hissar distic search hua or 1 branch show hui with swift code

          • Aap mujhe contact form me message send karo. main iska solution bta dunga.

  41. Sir,i m from ajmer and my account is in pnb bank.swift code is not available for ajmer,koi nearest branch samaj nahi aarhi hai konsi nearest branch lu bhilwara ya jaipur.or agar swift code me bhilwara ya jaipur pnb bank ka dalunga tho payment meri ajmer wali branch me yani mere account me kese aayega.how it is possible .??

    • Aap bas apne sabse nearest wali bank ka swift code use karo payment aapke bank account me aa jayega. Aapke pas bhilwara or ajmer ki bank ke swift code available hai to aap dono ki duri apni bank se check kar lo ye duri aap google me check kar sakte ho.

      • Bhai ajmer city me hi mera account hai lakin jaipur or bhilwara dono alag alag city hai,or ajmer city me swift code nahi hai
        Bhilwara or jaipur me swift code available hai, kya karu?

        • Aapko already bta chuka hu ki google me search karlo jo bank aapke sabse pas hai uska swift code use karo. Post ko ache se padh lo.

  42. sir me ye janna chata hu ki agar jis bank me mera acc. h us bank me swift code na ho to hum apne nazdiki kisi b bank ka swift code use kar sakte h per kya jab AdSense hme pyment karega to kya jis bank ka humne code dala h us bank me money aayega ya jis bank me hamara acc. h usme ?

    • Payment aapke bank account me aayega. yani aapki bank branch me.

  43. kya swift code dusre jagah use kar sakta hu.. mera account samebank se dusri jagah se khulwaya ha.. jaise maine azamgarh me account open karwaya to isme duser place as varanasi ka swift code use ho sakta ha…

    • Ha kar sakte ho but wo bank aapki bank ki hi honi chahiye jaise aapka account sbi me hai to aap sbi ka hi swift code use kar sakte ho.

  44. SWIFT-BIC NEAREST CITY USE KARNE SE PAYMENT SURE ATA HAI.

    • Aapki bank ke jo sabse najdeeki bank hai usi ka swift coed use karo.

  45. Bhai mere blog par AdSense kyun nahi approve ho RHA hai jabki mere blog par 37post 800 page views hai bhai help me

    • 500 pagevies daily hone chahiye

  46. Great post, i learnt many things from this post.

  47. Pahele to ek baat kahunga, ki aap hindi bhasha ke ek bahetrin blogger hai.

    Mera saval google AdSense ke bare me hai, maine google AdSense ka ek account banaya tha, unfortunaltly mera application reject ho gaya tha,

    Ab muje blog update & repair kar ke fir se apply karna tha, par galati se maine vah application rejection vala mail delete kar diya tha

    Ab muje samj nahin aa raha tha ki application re submit kese karu.

    Usi chakkar me maine dusra mail id bana kar us se apply karne ki koshis ki,

    Google AdSense ne mera pahele vala account hi deseble kar diya kyun ki vah par head 1 hi AdSense ac. Allow karte hain.

    Aur dusre naye account se bhi error aane lagi hai ki …

    “Aap ko google AdSense programe ke liye is vakt allow nahin kar sakte hai..”

    Ek account=disabled
    Dusra=open with error

    Ab aap hi koy solution batao…

    3rd id banau ki kuch aur karu?

    Note=maine google policy ke hisab se content bhi edit & polish kar liya hai.. bas khali…

    Application
    Re submission ka link source hi nahi mil raha hai…

    • Aapko first to usi id se apply karna tha. Ab aapke pas do option hai. ya to aap pahli gmail id ko recover karo oya fir diffrence address se udsri id se AdSense ke liye apply karo. Iski information old account se match nahi honi chahiye.

  48. sir maine apna blog ka jetpack plugin update kiya th,,but uske bad mera blog ka dashboard me ‘site stats’ show nhi kr rha he kya kare,,,

    • Jetpack plugin setting me ja kar site stats ka feature active karo.

  49. mai jana chahta hu ke AdSense cpc ” kya kar rahe ho, क्या कर रहे हैं
    matab hindi me or hindi english me post likane se ko farke padata hai kya

    kya m ek post me dono basa use kat sakta hu
    eg. wwe news in hindi-English

    • Nahi nahi kar sakte. aap ek hi languages me writing karo.

  50. sir maine godady se domain name aur web. builder liya hai pr mughr ribbon theme lagani hai website builder me koi upload ka option nahi hai please help me..

    • Aap godaddy customer care me call karo. wo aapko sabkuch ache se samajha denge.

  51. Sir IFSC CODE KYA HOTA HAI

    • Bank ki passbook par likha hota hai. Wo dekh lo.

    • Naveen bhai. IFSC (Indian Financial System code) ek unique alphanumeric code hota hai. jo RBI ke through sabhi bank ko alag-alag diya jata hai. IFSC codes ka use Electronic payment jaise Real Time Gross Settelment, Wire Transfer, Internet Banking, Fast Payment, Centralised Fund Management System ke liye kiya jata hai. Ye 11 alpha numeric character ka hota hai isme pahle ka 4 character Bank ko represent karta hai, 5th character zero, Last 6 character branch ko represent karta hai. Yeh code apko apki passbook me mil jayaga or agar aap Internet banking use karte hai toh waha bhi hota hai. iske ilava aap direct bank se bhi le sakte hai.

  52. Sir maine apke sabhi steps follow kiye par AdSense ki cpc nahi badh rahi hai. 0.02 Cpc hai. Mai ise badhana chahta hu ye kaise badhegi.

    • Rohit aapki post me koi kami nahi hai. Bas aap ye strp follow karo.
      1. post me same size ke 1 se jyada display ads use mat karo.
      2. Post me links ads use karo is waqt links ads ki cpc jyada hai.
      3. Post me jaruri keywords use kiya karo. high cpc wale. Mai next post isi ke bare me karunga. Ussre aapko high cpc keywords ke bare me pata chalega.

  53. bhaiya Mai ye nahi samjha jaise maine AdSense me jo account add kiya hai, usi ka swift code hona chahiye , ya aaspass ke koi bhi bank ka to us bank me phir se account khulana to nahi padega

    • Nahi us bank me account nahi khulwana hai. Agar aapki bank me swift code avaiable nahi hai to sabse pass wali bank ka swift bic code use kar sakte ho.

  54. Aap every comment ka answer deto ho, ye bahut achhi thing hai. Thanks for article, good job

  55. Bro aap mere liye apne hi site par ek kisi phone par post write kar dijiye jaise apne mujhe samjya tha, agar aap post ko apne site publish nahi karna chahte hai hai to mere liye write kar dijiye , apka bahut help ki jarurat hai, bro Maine abhi site start kara hai, apki help ki jarurat hai. Please mere liye post write kar dijiye……please bro

    • ok, mai is bare me hindi.supportmeindia.com par post karunga.

  56. Sabse Najdeek 1st number par Jaipur Aor 2nd number par Nimraana

    mahwa to jaipur – 121 KM
    mahwa to Nimraana – 154 Km

    • Fir aapne sahi code add kiya hai. ab agar aapka bank account name or AdSense payee name same hai to aapko payment mil jayega.

  57. Bhai aap meri baat samaj kyu nahi rahe hai . maine totaly check kar liya hai ki dausa me kahi bhi swift bic code nahi hai Yaha tak ki SBI costumer care ne bhi yehe bola hai ki Dausa ke kishi bhi branch Me Swift bic code available nahi hai Aor costumber ne mujhse kha ki mai Jaipur ka use kar sakta hu .

    Ab last suggestion yehi hai ki ek baar aap puree traha check karo aor mujhe batao

    Aor haan sahi traha se check karna kyu ki aap sirf Naam dekhkar mujhe bata rahe ho isliye aap bhi traha check karo

    • Surendra duasa me swift code available nahi hai. maine aapko galati se swift ki jagah ifsc code bta diya. Aap is post me btayi last trick se check karo ki jaipur ki bank aapki bank ke sabse karib hai ya nahi.

  58. OK ap ko koi template pata ho to bataye Jo edit ho jata ho

    • Aap google me search karo bahut mil jayenge.

  59. helpful jankari aap itni achhi jankari kaha se late ho

    mene browser ki history delete ki fir bhi tamplate edit karte time kuchh bhi remove nhi hota hai attribution me true likha h uski jagah false nhi hota hai yani true rwmove nhi ho RHA h

    • Dilip kuch tmeplate me hacking code hota hai. Jab hum unhe edit karne ki koshish karte hai to edt html option hack ho jata hai. Aap ek bar template ka backup le kar template change karke dekhe.