Is tutorial me mai aapko “How to add favicon to WordPress blog” ke bare me information de raha hu. Yaha mai WordPress blog par favicon set karne ke 3 best tarike (method) bta raha hu. Agar aapke blog par kinhi karano se favicon show nahi ho raha hai to aap in tariko ko try kar sakte hai.
WordPress par Blog Install karne ke bad hume blog me jo important settings karni hoti hai. Unhi me se ek hai apne blog ke liye favicon icon add karna. Jo humari site ki pahchan hota hai. Or sabhi chahate hai ki uski site ki alag pahchan bane.
Agar aapka blog blogspot.com platform par hai to aap Blogspot blog par favicon kaise add kare article padh kar apne blog par favicon add kar sakte hai.
Mostly .jpeg, .png file favicon par work nahi karta hai. Site par favicon add karne ke liye aapko small size ka favicon banana hota hai. Starting me favicon inhi reason se show nahi hota hai. Wese kei bar .JPEG OR .PNG file ka favicon bhi work karta hai. Yaha mai aapko faivcon ke liye kuch points bta deta hu.
- Favicon ka recommended size 16×16, 512×512, 150×150 ya 12×12 ka hona chahiye.
- Favicon ko FTP (File Transfer Protocol) se change karke upload karna chahiye.
- File favicon.ico support hona chahiye. .jpeg or .png kei bar work nahi karte hai.
Site ke liye favicon banane ke liye aap favicon banane wali website use kar sakte hai. In my case, Maine apne blog ka favicon www.favicon.cc site par banaya hai.
Table of Contents
WordPress Blog Par Favicon Kaise Add Karte Hai ?
WordPress blog par aap jo theme use kar rahe ho. Usme bhi favicon add karne ka features hota hai. But kuch free WordPress theme me favicon set karne ka option nahi hota hai. Ayse me aap niche btaye tariko se apne blog me favicon logo set kar sakte ho.
Method 1: Add Favicon By WordPress Directory
WordPress 4.4.2 me favicon add karne ka features diya hua hai. Jisse aap direct WordPress customize option se favicon add kar sakte ho.
Apne WordPress blog admin panel par ja kar log in kare or blog ka homepage open kare. Ab top sidebar me Customize par click kijye. Agar top sidebar show na ho to users > your profile par ja kar “Show Toolbar when viewing site” ke samne tick kare.
- Ab Select Image par click karke favicon upload kare.
- Save & publish par click kare favicon add kare.
Method 2: Add Favicon By Using Plugin
Second method me aap WordPress plug-in use karke favicon add kar sakte hai. Iske liye aap apne WordPress blog ke administration panel par jaye or Plugins > Add New par click karke favicon plugin upload kare. WordPress par favicon add akrne ke liye aapko bahut sare plug in mil jayenge. Jaise All in One Favicon, Custom Favicon or Favicon by RealFaviconGenerator. Isme All in One Favicon plugin ko 200,000 se jyada log download kar chuke hai. Custom Favicon ko 30,000 se jyada users download kar chuke hai or Real Favicon Generator ko 90,000 se jyada log download kar sakte hai. Aapko jo pasand aaye use kar sakte ho.
Method 3: Add Favicon By Directory Using FTP
Third method me aap direct blog me code paste kar favicon add kar sakte ho. Iske liye aapko blog theme ke edit option me ja kar header.php me favicon ka code paste karna hai.
WordPress admin panel par jaye or Apearance > Editer open kare. Ab right sidebar me “header.php” par click kar open kare. Ab yaha <head> ke niche ye code paste kar de.
<link rel="shortcut icon" href="yoursite.com/faviconurl" type="image/x-icon"/>
Is code me link me “yoursite.com/faviconurl” ki jagah apni site ke favicon ka link change kar le. (Favicon .png, .jpeg, .ico ya kisi bhi format ka ho sakta hai.)
Agar upar di three method se bhi aap favicon set nahi kar pao to mai aapko suggest karunga ki aap All in One Favicon plugin use kare.
I hope aapko is post me WordPress favicon ki achi jankari milegi. Or aap isme btaye tarike follow karke apne WordPress blog me aasani se favicon set kar sakte ho. Agar fir bhi aapko koi problem ho to niche comment me puch sakte ho. Ya fir aapke pas iske alawa bhi koi or tarika hai jisse WordPress blog par favicon set kar sake to aap comment me apne vichar share kar ke humare readers ki help kar sakte ho.
- Blogger Blog Ko WordPress Par Import Kaise Kare: Simple Way
- Blogspot Blog Ko WordPress Par Trasfer Kaise Kare
Agar aapko ye article pasand aaye to ise social media par apne friends or other WordPress user ke sath share jarur kare.
Sultan Singh
Bahut hi badiya post bhai
Shivam
Sir meri website new hai or maine apne website par favicon add kiya tha or wo show bhi ho raha tha kam se kam wo 50 to 60 days show hua par abhi kuch din se favicon show hona band hogaya Or site ki domain rating 4 the wo 2 show karne lagi aisa kyu ho raha hai sir. Website WordPress par hai.
जुमेदीन खान
अभी आपकी साईट पर फ़ेविकॉन शो हो रहा है
Shivam
Sir PC me show ho raha hai par mobile me nahi.
जुमेदीन खान
cache clear karke check karo.
subham
Aapne bahut hi usefull jankari diya hai, maine aap ke method se hi fevicon upload karta hu
arti maurya
sir humne kai baar fevicon add krne ki koshish ki lekin nahi hua. aur site icon bhi show nahi ho raha hai. ab aapke bataye hue tarike se try karege.
Jumedeen khan
Favicon add karne ke bad page refresh karo.
Dharmesh rajput
SIR MAI HTTP TO HTTPS ME JANA CHAHTA HUN. ISE START KARNE ME KOI GALTI HO JAYE , TO MERI WEBSITE PAR ISKA BURA EFFECT TO NAHIN PADEGA.
SIR PLEASE REPLY
Jumedeen Khan
Yes bura effect padega. Aapko traffic kam ho jayega. So pahle ise achhe se samajh lo tab move karna.
धर्मेश
Nice आर्टिकल
Rohit
मैने अपने blog मे https:// enable किया, अब मेरा blog https:// से ही open होता है लेकिन google पर मेरे blog title के नीचे जो url दिखता है उसमे https:// नही दिख रहा है। करीब 7-8 दिन हो गये है।
Jumedeen Khan
Aap search console me apna blog https ke sath submit karo uske bad google aapke http wale links ko index karega.
VIJENDRA SINGH
hello sir
aap jo post me heading ke liye blu color ki patti ke liye konsi plugin use karte hai
Jumedeen Khan
Main koun koun se plugin use karta hu wo aap wpthemedetector.com iste par check kar sakte ho.
suraj yadav
Mere me favicon nhi add ho rha h. Pls mujhe btayenge me kya kru ki mera add ho jaye,mai WordPress use krta hu ribbon theme h
Jumedeen Khan
Aap favicon ke liye plugin use karo.
Tads Mandal
me bhi apne site me favicon add karna chata hu, lakin ise add karne se Seo me koi faieda ya fark padhta hai kya .
Jumedeen Khan
Koi fark nahi padega. ye aapki site ki pahchan ke liye hai.
ashutosh singh
bahut hi achi jankari hai jummedin bro
mai aapke likhne ke style ka aur hum jaise ko samjhane ka jo aapka style hai mujhe bahut acha lagta hai
aur mai ye keh sakta hu ki aap samjhane ki jyada kosis karte ho
amit
bhai plz mere visiter wait kar rahe h jaldi meri post publish karen
or haa jaisa h plz vaisa hi post karen
sab sahi h mene cheak kar liya h
plz plz plz
Jumedeen Khan
Maine aapko email par reply kiya hai. aap check kar lena.
dev
bhayi mene sitelinks demote kar di par abi b aa rhi he search me jab ki mene 5-6 phle ki thi abi tak to ho jana chahiye tha
Jumedeen Khan
Nahi ye jaroori nahi hai ki sitelinks 100% hide ho jayegi. ye google par nirbhar hai.
amit
bhai meri post me koi kami nahi h mene sab cheak kar liya h aapko jo kmi lagti h aap btao
me thik karke phir se bhej dunga
Jumedeen Khan
Mujhe aapki post nahi mili hai aap admin@supportmeindia.com par post send karo.
Rahul yadav
Jumedeen bhai vakai me aap ek blogger ke sath-sath ek insan ho. Aapki tareef bhi karu to kya karu. Lekin ek bat jarur confirm hai ki aapko jindgi me bahut kuch pana hai ye to kuch bhi nahi hai. Really thanks sir.
Jumedeen Khan
@Rahul
It’s my pleasurew rahul. Mai ab blogging field me aa chuka hu or mai chahata hu ki bloggers ke har ek question ka answer de saku. Bas yahi mai pana chahata hu.
Ashish sahu
Nice one bro, jume deen mujhe keyword search karne aur right keyword select karne me problem hota hai, keyword planner ke alawa aur koi tool ho to batao yaar, keyword kitne wOrd ka hona chahiye aur kitni baar post me use karna chahiye. Mujhe bahut confusion hota hai yaar.
Jumedeen Khan
Ashish yaha par villager language use mat karo plz. Aap google adwords use karo. keywords 2 se 5 words ka hona chahiye. post me kitne keywords or kaha use karne hai ye post ke content par depend karta hai. agar aapki post me 500-700 words hai to aap ek keywords ke 7-10 bar use kar sakte ho.
Rahul yadav
Superb article, vakai me bahut achchi information hai. Sir aapse ek request hai ki aap WordPress ke liye adhik se adhik post likhe kyoki blogger ki jankari to bahut uplabdh hai but WordPress ko install karne ke bad koi information hi nahi milti. Jiski logo ko jyada jarurat hoti hai uski koi jankari hi nahi mil pati.
1.Ek question aur hai ki plugins hume khareedne hote hai ki free uplabdh hai.
2. Plugins ko delete kar sakte hai ki nahi.
3. Wp theme ko .zip formet me hi upload karna hai ya kisi aur me.
4. Hume hosting agar renew karna ho to kis din kare. Jis din expire ho rahi ho us din ya uske agle din.
5. Agar humare pas ek domain 3 lack ranking wala ho aur 100 alexa backlink ho to use kaise bechu. Bech sakta hu ya nahi.
6. Jab hum ek hi site ke liye ek se jyada domain use karte hai to main domain ko rank milti hai ya dono ko. Sir please reply jarur karna
Jumedeen Khan
Rahul koshish to yahi kar raha hu. Aap mozedia.com WordPress ke bare me post padh sakte hai. Abhi maine us par ye post ki hai. Aapke kaam aa sakti hai. how to Get More Page Views Using Roost Web Push WordPress Plugin
1. free plugin bahut hai paid use karne ki jarurat hi nahi padti. lagbhag 50,000 se jyada free plugin hai.
2. yes kar sakte ho.
3. .zip me hi upload karna hai. WordPress .zip file hi support karta hai.
4. expire hone se pahle kabhi bhi kar satke ho. are nahi agle din tak aapki hosting expire ho jayegi. 5-10 day pahle hi kar lena chahiye.
5. Aapne jis site par se domain register kiya hai usi par sell kar sakte ho. ya kisi fomous form me iske bare me post kar sakte ho.
6. dono ko but main ko jyada. kyuki addon domain par se koi visitor aapki site par aata hai to wo main domain par ek se jyada post bhi padh sakta hai.
zishan ali gulzar
sir mera feed burner account ban gya he ur use blog me bhi adress set kr diye but jb koi subscribe krta he to subscribe nhi hota ye msg ata he — the does not have subscription by email embaded,, kya kare
Jumedeen Khan
Iske bare me mai post likhne wala hu. Mer iagli post isi ke bare me hogi. Wo follow kar lena.
amit
bhai meri guest post ka kya huwa or haa jaldi lgaye plz mene apne sare visiters ko aapki site ka bol diya h
or usme jo mene likha agr aap usse edit karen to ba den plz meri rkbbusiness.com
or me facebook hacking ki post bhi hta raha hu
Jumedeen Khan
Amit aapki post supportmeindia ki policy follow nahi karti hai. Guest post policy ache se padho. uske bad article likho or article me 100 se jyada words hone jaruri hai.
Vijaypal
Bhai kuch or questions he ki
1.aapne konsa plan choose kara he hosting me or monthly charges kitna lagta he jara details me bata dena..
2.or kya WordPress par saare plugin paid hote he…3.Jyada plugin use karne se site ki speed kam ho jati he…
4.and kya hum sirf ek month hosting lekar WordPress use kar sakte he uske baad wapis blogger par aa jaye to site rank kam to nhi hoti he na…
5.or last me aap ne free hosting wali post likhi thi par usme WordPress install kaise kare aapne ye nhi.bataya plz saare doubt clear kardena…
Jumedeen Khan
1. Mai hostgator ka business lan use karta hu.kitna charge lagta hai aap hostgator site par business plan check kar lo.
2. Nahi aysa kuch bhi nahi hai. WordPress par bahut sare free plugin hai. aap chaho to ek bhi mat karo.
3. aap 3 se bhi jyada plugin use kar sakte ho. Kuch ayse plugin hote hai jo site ko slow kar dete hai. aap unhe use hi mat karo.
4. Nahi nahi hogi. mai aapko suggest karunga ki aap apne blog ko blogger par hi rahne do. Digital Ocean Par Free Hosting le kar aap ek new blog bana kar try karo. jab aapko ek month me wapis blogger par hi aana hai to WordPress par move karne ki jarurat nahi hai.
5. Bahut simple hai aapka digital cloud se jo admin link milta hai us par aap WordPress blog use kar sate ho. Thoda wait karo iske bare me mai post likh dunga.
Dil
godaddy se domain Lena chahta hu to kaise payment karu
Jumedeen Khan
ATM card se.
Surendra
Bhai Bahut hi badiya jankaari he sach me aapka koi tod nhi he ..ek questions tha — plz doubt clear kar dena ….–“Blogspot blog ko WordPress par transfer karne ke baad hame koi dikkat aati he WordPress par to kya hum fir se blogspot par la sakte he hamare blog”.?
Jumedeen Khan
Ha la sakte ho. Same process hai.