Google search console (google webmaster tools) site ki search ranking increase karne ki most important or free tool hai. Har koi janta hai ki Organic Traffic Website ke liye sabse jyada important hota hai. Search engine se high traffic recieve karne ke liye site ka SEO friendly or site ki good search ranking hona jaruri hai. Google webmaster tool isme sabse jyada helpful tool hai. Bas aapko GWT ko use karne ka tarika aana chahiye.
Jis blogger ko google webmaster tool ke bare me achi jankari ho gayi or use pata chal gaya ki GWT kaise kaam karti hai or hum kis tarah se search console ki help se apni site ki search ranking badha sakte hai to uska blog ek din top 100,000 ki ranking me hoga.
- Blog Ko Bing Webmaster Tools Se Submit Kaise Kare
- Blog Ko Google, Bing, Yahoo Search Engines Se Kaise Submit Kare
In this post, Mai aapko google search console ko use karne ke kuch important features ke bare me bta raha hu. Submit sitemap to search console, fix crawl error and set up other services. Is post me btaye step follow karke aap aasani se apni site ki search ranking improve kar sakte ho.
Table of Contents
Google Webmaster Tools Ko Use Kaise kare High Traffic Pane Ke Liye
Google search console me bahut sare features hai. Sabke bare me ek sath btane ke liye 10000 words ka article likhna padega. So mai search console ke bare me alag alag feature ki alag alag post likhunga. Filhal is post me mai aapko 7 important features ke bare me bta raha hu. Jo site ki better search ranking ke liye sabse jyada jaruri hai.
1. Sitemap Submission
Google webmaster tools me website ka sitemap submit karne ka feature hota hai. Jab hum site ke sitemap ko search console me submit kar dete hai to google robot humari site ki new post ko bahut jaldi index kar leta hai. Jisse humari site ki post thode se time me search result me show hone lag jati hai. Iski puri jankari ke liye aap How to create sitemap for your site post padh sakte ho. Google webmaster tools ka ye bahut hi important feature hai. Isko ignore karne ka matlab hai ki aap apni site par organic traffic dekhna nahi chahate ho.
2. International Targeting
Agar aap kisi international country ko focus karke blogging kar rahe ho or us country me apni site ki achi ranking dekhna chahate ho to ye features aapke bahut kaam ka hai. Aap is features ki help se apni site ko kisi bhi country ke liye target kar sakte ho. Target karne se us country me aapki site ki search ranking badh jati hai. Mai iske bare me already Google Webmaster Tools Me Targeting Country Kaise Set Kare post me bta chuka hu. Aap is post ki help se apne blog ke liye target country select kar sakte hai. But aap sirf top-level domain ke sath hi target country select kar sakte ho. .in or .pk jaise country-level domain ke sath nahi. Country level domain ko search console usi ke country par fucus kar deta hai.
3. Fix Set Crawl Errors
Crawl Error google search console ka bahut hi acha or helpful features hai. Jisse hum apni site ke error 404 page not found jaise expire links ko fix kar sakte hai. Crawl error links ko fix karne se humari site ki search ranking increase hoti hai. Google Webmaster Tools Me Site Crawl Errors Fix Kaise Kare – GWT Guide articlem me maine crawl error ke bare me or crawl error links ko fix karne ki puri jankari details se btayi hai.
4. Control URL Parameters
Jab user socail sites, feedburner feeds, email se humari site par aate hai to site ki post ke links ke sath refferal codes jud jate hai. Search engine inhe index kar leta hai. Jisse site ki search rank low ho jati hai. Google webmaster me inhe bhi fix karne ka URL Parameters feature hai. But url parameters feature ko use karne se pahle iske bare me puri jankari pata kar le. warna aapki site par bad effect bhi pad sakta hai. Iski adhik jankari ke liye Google Search Console Me URL Parameters Kaise Use Kare post padhiye.
5. Sitelinks Settings
Maine What Is Google Sitelinks and How To Remove Sitelink post me google sitelinks ke bare me details se btaya tha ki sitelinks kya hote hai or inse humara ka fayda hai. Search engine me humari site ke name ke niche jo 2 linkes me links hote hai unhi ko sitelinks kahte hai. Google search console ke is features ki help se hum sitelinks ko hide or remove kar sakte hai. Iske bare me adhik jankari ke liye yaha click kare [link..]
6. Robot.txt File
Robot.txt File google webmaster tools ka bahut hi important part hai. Iska kaam hota hai ki site ki kounsi jankari search me dikhani hai or kounsi nahi dikhnai hai. So is features par dhyan dena bahut hi jaruri hai. Kyuki jara si galti hai agar aapse galat Robot.txt File add ho gayi to aapki site ki ranking par bahut bura asar pad sakta hai. Robot.txt File ko use karne ki jankari ke liye Robot.txt Kya Hai or Robot.txt File Blog Me Kaise Use Kare post par visit kare. Yad rahe agar aapko iski jankari nahi hai to aap robot.txt file use na kare to hi behtar hai.
7. Data Highlighter
Data Highlighter google webmaster ka ek aysa feature hai. Jisse aap google ko apni website ke author, language, keywords, logo and other bahut sari jankari bta sakte ho or apni site ki google se achi pahchan kara sakte ho. Aap google search console me aasani se data highlighter ko use kar sakte ho. Jisse google search engine ko aapk site ke bare me or bhi ache se pata chalega.
Next time google aapke btaye tarike se aapki site ko index karega. Jaise man lijiye aap google search console me (name, location, date, and so on) option select kar Data Highlighter karte ho to google aapki agli post ko inhi topic ke aadhar par index karega.
- Blog Sitemap Ko Yandex Webmaster Me Kaise Submit Kare
- Blog Sitemap Ko Yandex Webmaster Me Kaise Submit Kare
Google webmaster tools google ki free service hai. Jo humari site ko google search engine se acha result dilane me humari help karti hai. Google duniya ka no.1 search engine hai so sab chahate hai ki unki site google me achi ranking me search me aaye. Isliye google search consoloe ko dhyan or full carefuly use karna chahiye.
I hope aapko ye post pasand aayegi or aapko isme good information milegi. Agar ha ato is post ko social media par share jarur kare.
Shamsher Khan
It’s interesting to read your blog, the language you use in this blog is very very easy to understand.
shubham palkhe
hello sir …. nice information
sir mujhe puchna tha ki ek email id se google web master account me kitne website ko attched kar sakte h..aap bata sakte ho kya
जुमेदीन खान
अपनी सभी वेबसाइट को attach कर सकते हो
Kiran
Hello sir… I just want to know hume sitemap one time hi submit krna hota hai??
Jumedeen khan
Yes, one time karna padta hai uske bad aapki new post apne aap google me index ho jati hai.
Somnath
Hi Sir,
1)Maine Google Webmaster me mere Blog ko Submit kiya,first maine Sitemap submit kiya lekin vo sitemap pending tha isliye maine dusra sitemap submit kiya.Ab Webmaster me aisa aa raha hai ki,’2 Url submitted and 1 Url indexed’.aisa kis liye aa raha hai?
2)Maine mere Blog me 3 Post kiye the,lekin ab tak ek bhi post Index nahi hue aur Google Search me bhi ek bhi Post nahi dikhai de rahi hai,to kya karu?
3)Mera blog kaisa hai?koi changes karne ho to batana.
Jumedeen Khan
1. Google me aapke 2 URL submit hai jinme se google ne ek ko index kar liya hai.
2. SEO optimizing karo aa jayegi.
3. Achha blog hai. no changes.
VISHAL
Bhai me aapki m mail id par block resources ki list mail kar rahu hu please ek bar check kijiye ho sakta ho aap problem ko samajh paye.me nahi samajh pa raha hu ki google ne pages ko block kyo kiya hai
Jumedeen Khan
Ok main check karke aapko reply kar dunga.
VISHAL
Bhai kya Search Conslole me jo block resources mek links show hoti hai kya unpe traffic nahi milti.
block pages ko reindex karne ke liye kya karna chahiye
Jumedeen Khan
Nahi milti check karo ki URL ko google ne kyo block kiya hai us issue ko solve karo.
VISHAL
search console me block resources kya hai.
mere Google search console account me 175 pages with block resources aa raha hai. ye kya hai
Jumedeen Khan
Aapne robots.txt and other mrthod se jo links google se block kiye huye hai ya fir google ne aapke jin links ko block kiya hai unki details yaha hoti hai.
pawan
Sir mera site hai techwlan.com aur Maine usme do post dala hai ek me photo show Kr rha hai par dusre artical me nhi Kr rha pura open krne par aa rha hai please aap help kro
Jumedeen Khan
Aap us post ke edit option me jao or right side sidebar me sabse niche featured image select karo.
Rahu
Hello sir, Maine sitemap bana liya aur apne blog ko varify bhi kar liya fir me sitemap ko add kar raha hu to eror aa raha hai . Asa kyu ? Maine sare step ko achhe se kiya hai .. eror par click karne par ye msg aata hai
Descripation-
We encountered an error while trying to access your Sitemap. Please ensure your Sitemap follows our guidelines and can be accessed at the location you provided and then resubmit.
Example-
Network unreachable: robots.txt unreachableWe were unable to crawl your Sitemap because we found a robots.txt file at the root of your site but were unable to download it. Please ensure that it is accessible or remove it completely.
Sir maine robot.txt ko disable kiya hai.. fir ye kaisi problem hai ..
Plz help me sir..
Jumedeen Khan
Robots.txt ko disable mat karo bas usme kuch bhi use mat karo. or sitemap sahi se create karo. read this guide
1. Robot.txt File Blog Me Kaise Add Karte Hai
2. Apni Website (Blog) Ke Liye Google Sitemap Kaise Banaye
Rahul
Sir mera sitemap sahi se creat hai aap check kar sakte ho . Mai bahut bar try kar chuka hun. But nahi ho pa raha hai eoror hi bata raha hai .. maine aapke wo 2 post bhi padh liye aur sabko maine achha se hi follow kiya hai but fir eoror ki problem dur nahi ho rahi hai
Jumedeen Khan
Don’t worry kuch time bad error apne aap fix ho jayega.
Rahul
Hello sir ab tak nahi huwa aap se ummid hai aap plz help karo ..
Jumedeen Khan
Rahul jo solution tha bta chuka hu. Ab wo kb tak fix hoga wo google par depend karta hai. Aap iske bare me searchconsole me feedback send kar sakte ho.
Rahul
Hello sir maine website ko vrify domain se kiya tha kyuki html tag se varify fail ho jata tha but domain se varify ho gya tha to sir aap ye batawo ki isase koi problem to nahi hui hogi n! Waise maine google ko feefback bhi kiya hai but reply nahi aaya ab tak.
Jumedeen Khan
Nahi koi problem nahi hai.
nitsesh
jume deen bhai aap mera blog zra dekh ke btaye ki kesi hai mere blog pr trafic bahut hi kam hai
Jumedeen Khan
Traffic badhane ke ek sabse acha tarika hai. aap google guidelines ko follow karke post likho.
rupa roy
bahut hi badhiya info di he sayad inke baare me bahut log nahi jaante he
az ansari
nice. post sir ..kya hm blog me mobile se template badal sakte….
Jumedeen Khan
Ha badal sakte ho.
aman gupta
SMS sending se paise kama sakte hai Agar kama sakte hai to site ke name bataye please Replay me
Jumedeen Khan
Nahi
dev
bhayi me jab apni post ko twitter par share karta hu apni site me tweet widget se dekhta hu to jo tweet widget me post dali huyi he un post ka link meri site he usi tarah se simple hota he par mene or logo ke tweet widget check kiya to unme unki site ke post ka link kuch istra se hota he http.goo.gljdl kuch istrah se yani koi smgh na ske ye kya antar he mere widget or unke widget me post ka link dikhayi dena ka..
Jumedeen Khan
Den aapko sirf post share karne se matlab hona chahiye, url ko Twitter ke upar chod do. Isse aapko koi problem nahi hai.
Sandeep Kumar
webmaster rule क्या है बताइये
Jumedeen Khan
Maine jitni post webmaster ke bare me likhi hai wo gwt ki guideline hi hai.
abdul khan
hello frnds sabse pahele aapka bahut bahut sukhriya ….aapki ki wajah se bahut kuch sikhne mila ,aur aaj mera AdSense account bhi approve hogaya hai,,,thankyou so much for guide me………..aapka bahut bahut dil se dhanyewaad sir ji….mujhe ek information ye chahiye tha ki mera site me adense approve hogaya hai , lekin traffic kam hai to aage chalke kuch problm ho sakta hai kiya….me ye soch raha tha ki abhi advertise mat show karun, mene ek code generate karke daala tha kal apply karte samye aur aaj msg aaya hai ki approve hogaya aur advertise bhi show horha hai,,,,agar me code ko abhi nikaal dun aur kuch month baad traffic jab achha aane lage tab advertise show karun to sahi rhega kiya, aur mujhe wapas to apply nahi karna padega na ,,sirf code generate krke daalunga next month show hone lagega na ya wapas apply karna padta hai…..plz fast reply den sir………..
Jumedeen Khan
Congratulations bro and tnx,
Nahi aap abhi se apni site par ads lagao or uske bad sirf blog ki traffic badhane par dhyan do.
abdul khan
bahut bahut sukhriya sir ji…………me 6month ka wait kar raha tha AdSense apply karne ke liye lekin aaapki is website aur aapki mahenat se ,aur aapki sabhi post padhne ki wajh se bahut kuch sikhne mila aur mil raha hai , hamesha aese hi post daalte rahen sir….aapka bahut bahut dhanyewaad……..aaj meri site sirf 4month me hi approve hogyi hai ye sab aapke guidence aur mohd shakeel bhi ki guidence ki wajah se huyi….4 baar reject hua tha mera AdSense ..aapki post aur aapki mahenat se aur shakeel bhai aur aap ki guidence se ye sirf 25 post aur month me hi hogaya……
chetan kumar
Jumedeen Khan ji YouTube.com/channel/UCgJZTp9eGHl6StCN8XRLjTw. ye mera YouTube channel hai mere channel par mere 10 video hai “This channel has no content” yesa massag dikhata hai ab may kya karu. kya problem ho sakti hai.
Jumedeen Khan
Aapne copyright video upload kiye honge,
Rahul yadav
Sir, aap hi ki madad se ek domain khareeda tha besthinditips.com nam ka but wo jud nahi raha bahut pareshan hu please btaiye sir ki kaise jodu.
Jumedeen Khan
ye post follow karo. Blog Me Blogspot.com Ko Hata Kar Apni Pasand Ka Domain kaise Use Karte Hai
Sandeep Kumar
Brother problem kya hai . please meri site ko check kare. AdSense ka ye email hai.
Hello,
Thank you for your interest in expanding your Google AdSense account to implement ad code on your own website. Unfortunately, after reviewing your application, we’re unable to approve this application for the time being. Your existing AdSense account that allows you to show ads on partner sites is not affected by this disapproval.
We did not approve your application for the reasons listed below.
Issues:
– Site does not comply with Google policies
———————
Further detail:
Site does not comply with Google policies: We're unable to approve your AdSense application at this time because we feel that your site does not comply with Google AdSense policies or webmaster quality guidelines. It's our goal to provide our advertisers sites that offer rich and meaningful content, receive organic traffic, and allow us to serve well-targeted ads to users. We believe that currently your site does not fulfill this criteria. For more details, please read the webmaster quality guidelines at google.com/support/webmasters/bin/answer.py?answer=35769 and the AdSense program policies at google.com/support/AdSense/bin/answer.py?answer=48182.
———————
You can find more details and application tips at support.google.com/AdSense/bin/answer.py?answer=75109.
To update and resubmit your application, please make all the necessary changes as described in the disapproval message. Then you can visit the “Account setting” tab in your AdSense account and resubmit your request. Our specialists will review your account for compliance with our program policies, so please make sure to resolve all of the issues listed above before resubmitting.
For a complete list of AdSense criteria, please visit:
google.com/AdSense/policies?hl=en_US
google.com/AdSense/localized-terms?hl=en_US
If you have any questions, you’re welcome to contact us at support.google.com/AdSense/bin/request.py? at any time.
Regards,
The Google AdSense Team
Jumedeen Khan
Bro google terms ko ignore karoge to natija yahi hoga. Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare – Approved Tips post me maine btaya tha ki AdSense ke liye apply kab kare. but aapse is post me btayi 5-7 tips bhi follow nahi ki gayi. Itni jaldbazi nahi karni chahiye. google guidelines ko ache se follow karne ke bad hi AdSense ke liye apply karo.
hari narayan
bhai mera blog 2 mahine se chal rha hai lekin traffic 50 se 100 ke bich hi ata hai..kya karu bataye
Jumedeen Khan
Google guidelines ko follow karo. Jyada nahi isi post me btayi 7 tips ko hi follow kar lo.
chetan kumar
google account ban ho jaye to use vapas kaise apply kare lena chahiye eske liye kya karana padta hai.
Jumedeen Khan
Iske liye aapko google ko documents verify karne honge.
Anjali
Me janna chahati hu ki WordPress k liye free hosting lenese kaisa rahega ? ya fir premium hosting lena padega ?
Jumedeen Khan
Free hosting sirf WordPress sikhne ke liye hoti hai. WordPress full paid hai. us par aapko hosting leni hi padegi.
Aalam
Google search console me apne blog
Ka image bhi submit va index karvane
Ke kiya kya karna hoga
Jumedeen Khan
Aap bas search console me sitemap submit karo. image ko google apne aap index kar lega.
raj
yandex me WordPress blog verify kse kare yoast par to yandex ka option nhi h
Jumedeen Khan
Raj first to aap commnet me sahi language use karo. second mai aapko iska replyu kar chuka hu ki mozedia.com par post padho. yoast seo plugin me yandex verify option hota hai.
Imran
Jumedeen sir meri site khol dhekhna koi problem toh nahi hai .Aur Maine apni site mai jayad ads toh nahi lagaye. Aur mai site ko kaise improve kar sakta hu aap dhekh btaa do.
Jumedeen Khan
Yes, aapne 3 se jyada ads laga rakhe hai. ye post follow karo Blog ke 1 Page Me Adsense Ke Kitne Ads Laga Sakte Hai
Ankit Jha
Bhai aaj mere AdSense account mein ek naya category aaya hai optimization ka usme likha to waise detail mein hai lekin main aapko short mein bata deta hu 1) kya aap general category ke ads show karna chahoge apni income increase karne ke liye
2) Kya aap 18+ ads show karna chahoge income badhna ke liye
To bro mujhe iss condition mein kya karna chahiye ?
rohitkumar
agar ham koi post likhte hai. toh post ka url kitne din baad google me aa jata hai. mai sitemap pahle se submit kar chuka hu
Jumedeen Khan
Aapki post me share ki gayi jankari jitni best or new hogi. utni jaldi
chetan kumar
Jumedeen Khan ji may YouTube se paise kamata hu. meri Febbuary ki earning current balance, Payable earnings kab tak show hogi. kyu ki Febbuary me maine $25 kama liye hai wo abhitak show nahi kar rahi.
Jumedeen Khan
@Chetan
YouTube se ki gayi earning mahine me ek bar 21 tarikh ya 1 tarikh ke bad AdSense par show hoti hai.
Nitesh Nayak
Sir sabse jada earning kaun se size ke ads se hoti hai…
Jumedeen Khan
Ye aapke blog par share ki gayi jankari me use kiye gaye keywords par hai ki aapko kis size se jyada payout milega. aap defferanse size ke ads try kar sakte ho.
Rahul yadav
Sir aap ek bar mere blog ko visit karke btaiye ki mujhe AdSense apply karna chahiye ya nahi. Please sir mai bahut confusion me hu. Please agar nahi to kyo
Jumedeen Khan
Adsense ke liye apply karne ke liye ye post padho Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare
Sahil kumar
jumedin bhai ek baat puchani thi, muhje blog banaye lagbhag ek saal ho gya hai par fhir bhi google se traffic bahut kam aata hai. aap ne to mera blog dekha hai na, is ka koi reson bta sakte hai?
Jumedeen Khan
Bro aap post me high ranking keywords kam use karte ho. Or sabse badi bat aap hindi me post likhte ho. log hindi me padhna jarur chahate hai but search english me hi karte hai. So plz me english words bhi use kiya karo.
Akshay
1]HOSTING SE RANK BHADHATI HAI KYA ?
2]Blog Me To Hosting Ki Jarurat Nahi Hoti !
3]Jyadatar log website me Hosting Use Karate Hai
Jumedeen Khan
1. nahi.
2. WordPress par padti hai
3. nahi WordPress blog par hosting jaruri hai.
inderjit
kitne click pe kistne dollar means ki 10 clik me kittna millta hai AdSense se daily.aur mujhe je bataye ki ager hamare blog pe( 70) post hai hum ager post nahi b daalte tou kya google hume block kar sakta hai. aur ik baat aur hai jaise jaise hmara blog old hota jata hai kya traffic bi yaada aati hai, aur ik saawal aur karta hoon sir .> ager hamare blog me 800 visiter daily aate hai means ki 1000 ke bheech bheech me tou kya hume AdSense aprove kar lena chahiye ,mujhe kissi ne bola tha ki 5.000 traffic jab tak nahi ho jati aap AdSense ko aply nahi kar sakte jumedeen sab ke ans mujhe jaldi se jaldi dena and mera naam inder hai inder naam se ik baar mujhe b pukaar na taan ki mujhe bi pta chale ki aap really jumedeen hi ho ……………..thank u deen ……….
Jumedeen Khan
@Inderjit
1. ye aapki cpc par depend karta hai ki aapko kitne click se kitne paise milenge. ye post padho Adsense Ki CPC Kaise Badhaye Top 6 Excellent Tips
2. Nahi aap kitne din bhi post nahi karoge to bhi google aapko block nahi karega.
3. ha jaise jaise blog purana hoga uske bare me jyada logo ko to pata hi chalega.
4. Ha kar sakte ho.
5. nahi 5000 traffic ki koi jarurat nahi hai aap 500+ pageviews se AdSense ke liye apply kar sakte ho.
Aman Chauhan
Adsense Ki Is Month ki Earning Kab Redeem Hogi Bro
Jumedeen Khan
1 tarik ke bad.
amit
bhai mene 1 web page bnaya h jis par sare visiter apne question ke answer le sakte h kya me aapki site pr post daalkr uska prmotion kar sakta hu kya mujhe 3-4 website admin ne haa bol di aap bhi apna answer de sakte ho
Jumedeen Khan
Mai usse pahle aapka sawal jawab forum check karna chahunga.
Rakesh kumar Batu
nice post
specially for new bloggers
& aap ko meri ye post chek krni chahiye kyu ki ishmein mne new ideas aur post ko viral trike se likhne ka idea share kiya hai & also I mentioned some screenshot from your comnts
dev
bhayi ads approve karane ke liye apni photo about us page me add karni jaruri he ya nhi plz bhayi jaldi batana.
Jumedeen Khan
Nahi koi jaruri nahi hai.
zishan ali gulzar
sir ek prblm he apka home page me jis type se ek sath 6 post show krta he us type se apna blog me kaise bnaye, mera blog pe 1 post show krta he o v sirf title,, maine usko edit v kiya blog post me ja ke post show 10 kr diya fir v ek hi post show krta he , help me
Jumedeen Khan
Aapke blog me 1 se jyada post honi chahiye. aap template change karo.
sanju dangar
Hallo jime din sir, meri ak chhoti si problem he.
adsense se ak mail aaya he
email-Coppy
(
We did not approve your application for the reasons listed below.
Issues:
Unable to review your site: While reviewing hindiloveshayari143.com/2015/11/very-sad-love-story.html?m=1, we found that your site was down or unavailable. If you applied through an AdSense host partner, such as YouTube or Blogger, your hosted site was not available or not found (removed) at the time of the review.)
Sir maine ye poso pahele se hi rimove kar di he
Sir aap hi kus meri help kar sakate ho pleas
Jumedeen Khan
Adsense ki report me di gayi post ko delte ya remove karo. bro aap bar bar AdSense ke liye apply mat karo. warna AdSense aapko ban kar sakta hai. pahle apni site ki kamiya ache se theek kar lo.
mangaldeep
Bro jume deen apki help chahiye…. Mera AdSense me parso hi 10$ complete ho chuki hai, avi tak mujhe koi notification nhi aya jo pin verify karao , aap mujhe yeh bataye hame khud pin ke liye kuch karna padega ya AdSense team apne aap hi mere address pe pin send kar degi plz bataye.
Mangal deep
bro notification aa chuka hai but problem ye hai mene aaj hi subha apne AdSense accout me address shi kiya to kuch problem to nhi hogi na ???
Jumedeen Khan
Nahi koi problem nahi hai. AdSense jab aapko post send karega. to aapko address verify option me uski date mil jayegi. uske 20-30 day bad aapko post mil jayegi.
Jumedeen Khan
Aap AdSense par apna sahi address set karo. jab AdSense aapko mail send karega to aapko AdSense par uski notification mil jayegi.
murari
apne blog me comment box kese lagaye
Jumedeen Khan
Commmnet box pahle se blog me hota hai. apne blog ka url btao mai check karke btata hu.
manish
1.sir meri website ko dekhe aur bataye ki muje ads nikal chahiye kahi se ya phir wo ad sahi jagah par hai
2.Aur sir maine homepage pe 5 ads lagai hai to ye kya sahi hai
Jumedeen Khan
sabse pahle to aap Apni Website (Blog) Ke Domain Ko Bina WWW Ke Kaise Set Kare post padh kar site ko bina www ke set karo.
ads kaha lagane hai or kaha nahi uske liye ye post padho Adsense Ke Ads Kaha Kaha Nahi Laga Sakte or ek page me 3 se jyada ads mat lagao.
maharshi bhatt
Bhai hum jo go daddy se domain lete hai uske paise har month dene hote hai ya phir ek hi baar
Jumedeen Khan
Nahi sirf sal me ek bar dene hote hai.
rohiti Gupta
sir aap meri site open karke dekho. usme realeted post aur posts sahi se nahi aa rahi hai. hai wo bilkul kinaro par chipki rahti hai. aap unhe theek karwa do plz sir
Jumedeen Khan
Aapka blog blogger par hai ya WordPress par or aap konsi template or them use kar rahe ho.
rohitkumar
sir meri site blogger me hai aur mai ribbon template use kar raha hu
Jumedeen Khan
Bro isi me to problem hai aap plz blogger template use kijiye.
atul
hello dear khan,
tumne apni doosri website mozedia ki alexa ranking sirf teen post me hi 6 lack kaise kar lee hai, aur kya mai tumharei templates ka design copy kar sakta huu apne blog ke liye.
Jumedeen Khan
Bro ise hi to techlology kahte hai. Sorry bro aap aysa nahi kar sakte.
atul
Mujhe bta to sakte ho ki rank kaise kam ki hai sirf 3 post mai.
Jumedeen Khan
Is blog par isi ke bare me post karta hu. Aap google webmaster ki guideline follow karke blogging karo.
Dilip
Mubarak ho 80 hajar ke andar a hyi h rank
Rajesh
meri ek website ki kuch post delete kar ke wo hi post main apni dusari website pai post karu to usme copyright ka kuch problem hoga
Jumedeen Khan
Nahi hogi. But aapko old site se post delete karni hogi.
dev
bhayi mene internation target usa kar diya tha phir abi hata diya meri website english me he ab me ye janna chahta hu ki ab meri site kis country me jyada search me ayegi yani ab kon sa desh target hoga mene to tick hata diya usa se plz iska ans jarur dena.
Jumedeen Khan
Maine iske bare me post me already btaya hai. aap post padh sakte ho.
Aalam
Lekin site delete karne se koi fayada
Nahi kyoki jab mai site ko fir se add
Kar raha hoo to sab kuchh vahi fir
Se aa raha hai
ASHOK SAINI
Bahut Badiya Knowledgeable Information Of Google Web Master Tools.
Aalam
Mai apna google search console
Account delete karna chahta hoo
Pleas help me
Jumedeen Khan
Google search console par se aap apni sabhi sites ko delete kar do.
Harshad Bataviya
sir aapne uper Sitemap Submission topic ki image lagayi hai usme webpage aur image index ho rahi hai esa bataya gaya hai…. par mene jo sitemap submit kiya hai us me sirf webpages index ho rahi hai esa aata hai to me image index karne ke liye kya karu
Jumedeen Khan
Google robot apne aap aapki image index kar lega.
Harshad Bataviya
sir mere blog ki image index nahi ho rahi hai to kya karu…. pls help me…
Jumedeen Khan
Google aapki wohi image index karega jo post se full related ho. agar aap post me extra iamge add karoge to google index nahi karega.
Harshad Bataviya
sir me post se related hi image add karta hu extra image add nahi ki hai….aap ek bar mera blog visit karke batayega sir….
Jumedeen Khan
Fir koi problem nahi hai. don’t worry google image ko index karne me time leta hai. dheere dheere index kar lega.
dev
Data highlighter ke bare me abi tak apne post dali nhi h mughe lagta h ki apko is post ko b dalni chahiye dhanyabad..
Suraj Kumar
Hello brother mera nam Suraj Kumar h. Aapka shyad yad hoga ki mere blog pe AdSense k ads show nhi ho rhe the. To fir aapne fir se ads lagane ko bola. To maine laga diye bt fir v ads show nhi hua.Ads laga k 10-12 din ho gye h abhi jab AdSense account open kiye to usme ad unit me no data dikha RHA H. Bt Maine to ads bana k rkhe huye the. Plz meri madad kare.
Jumedeen Khan
Aap fir se bhi ads bana sakte ho.
Nitesh Nayak
Sir very good post
Lekin sir ek ques hai ki kya AdSense me pageviews se bhi earning hoti hai ya sirf ads me click karne par hihoti hai..
Jumedeen Khan
Sirf ads par click karne income hoti hai.