Google search console (google webmaster tools) site ki search ranking increase karne ki most important or free tool hai. Har koi janta hai ki Organic Traffic Website ke liye sabse jyada important hota hai. Search engine se high traffic recieve karne ke liye site ka SEO friendly or site ki good search ranking hona jaruri hai. Google webmaster tool isme sabse jyada helpful tool hai. Bas aapko GWT ko use karne ka tarika aana chahiye.
Jis blogger ko google webmaster tool ke bare me achi jankari ho gayi or use pata chal gaya ki GWT kaise kaam karti hai or hum kis tarah se search console ki help se apni site ki search ranking badha sakte hai to uska blog ek din top 100,000 ki ranking me hoga.
- Blog Ko Bing Webmaster Tools Se Submit Kaise Kare
- Blog Ko Google, Bing, Yahoo Search Engines Se Kaise Submit Kare
In this post, Mai aapko google search console ko use karne ke kuch important features ke bare me bta raha hu. Submit sitemap to search console, fix crawl error and set up other services. Is post me btaye step follow karke aap aasani se apni site ki search ranking improve kar sakte ho.
Google Webmaster Tools Ko Use Kaise kare High Traffic Pane Ke Liye
Google search console me bahut sare features hai. Sabke bare me ek sath btane ke liye 10000 words ka article likhna padega. So mai search console ke bare me alag alag feature ki alag alag post likhunga. Filhal is post me mai aapko 7 important features ke bare me bta raha hu. Jo site ki better search ranking ke liye sabse jyada jaruri hai.
1. Sitemap Submission
Google webmaster tools me website ka sitemap submit karne ka feature hota hai. Jab hum site ke sitemap ko search console me submit kar dete hai to google robot humari site ki new post ko bahut jaldi index kar leta hai. Jisse humari site ki post thode se time me search result me show hone lag jati hai. Iski puri jankari ke liye aap How to create sitemap for your site post padh sakte ho. Google webmaster tools ka ye bahut hi important feature hai. Isko ignore karne ka matlab hai ki aap apni site par organic traffic dekhna nahi chahate ho.
2. International Targeting
Agar aap kisi international country ko focus karke blogging kar rahe ho or us country me apni site ki achi ranking dekhna chahate ho to ye features aapke bahut kaam ka hai. Aap is features ki help se apni site ko kisi bhi country ke liye target kar sakte ho. Target karne se us country me aapki site ki search ranking badh jati hai. Mai iske bare me already Google Webmaster Tools Me Targeting Country Kaise Set Kare post me bta chuka hu. Aap is post ki help se apne blog ke liye target country select kar sakte hai. But aap sirf top-level domain ke sath hi target country select kar sakte ho. .in or .pk jaise country-level domain ke sath nahi. Country level domain ko search console usi ke country par fucus kar deta hai.
3. Fix Set Crawl Errors
Crawl Error google search console ka bahut hi acha or helpful features hai. Jisse hum apni site ke error 404 page not found jaise expire links ko fix kar sakte hai. Crawl error links ko fix karne se humari site ki search ranking increase hoti hai. Google Webmaster Tools Me Site Crawl Errors Fix Kaise Kare – GWT Guide articlem me maine crawl error ke bare me or crawl error links ko fix karne ki puri jankari details se btayi hai.
4. Control URL Parameters
Jab user socail sites, feedburner feeds, email se humari site par aate hai to site ki post ke links ke sath refferal codes jud jate hai. Search engine inhe index kar leta hai. Jisse site ki search rank low ho jati hai. Google webmaster me inhe bhi fix karne ka URL Parameters feature hai. But url parameters feature ko use karne se pahle iske bare me puri jankari pata kar le. warna aapki site par bad effect bhi pad sakta hai. Iski adhik jankari ke liye Google Search Console Me URL Parameters Kaise Use Kare post padhiye.
5. Sitelinks Settings
Maine What Is Google Sitelinks and How To Remove Sitelink post me google sitelinks ke bare me details se btaya tha ki sitelinks kya hote hai or inse humara ka fayda hai. Search engine me humari site ke name ke niche jo 2 linkes me links hote hai unhi ko sitelinks kahte hai. Google search console ke is features ki help se hum sitelinks ko hide or remove kar sakte hai. Iske bare me adhik jankari ke liye yaha click kare [link..]
6. Robot.txt File
Robot.txt File google webmaster tools ka bahut hi important part hai. Iska kaam hota hai ki site ki kounsi jankari search me dikhani hai or kounsi nahi dikhnai hai. So is features par dhyan dena bahut hi jaruri hai. Kyuki jara si galti hai agar aapse galat Robot.txt File add ho gayi to aapki site ki ranking par bahut bura asar pad sakta hai. Robot.txt File ko use karne ki jankari ke liye Robot.txt Kya Hai or Robot.txt File Blog Me Kaise Use Kare post par visit kare. Yad rahe agar aapko iski jankari nahi hai to aap robot.txt file use na kare to hi behtar hai.
7. Data Highlighter
Data Highlighter google webmaster ka ek aysa feature hai. Jisse aap google ko apni website ke author, language, keywords, logo and other bahut sari jankari bta sakte ho or apni site ki google se achi pahchan kara sakte ho. Aap google search console me aasani se data highlighter ko use kar sakte ho. Jisse google search engine ko aapk site ke bare me or bhi ache se pata chalega.
Next time google aapke btaye tarike se aapki site ko index karega. Jaise man lijiye aap google search console me (name, location, date, and so on) option select kar Data Highlighter karte ho to google aapki agli post ko inhi topic ke aadhar par index karega.
- Blog Sitemap Ko Yandex Webmaster Me Kaise Submit Kare
- Blog Sitemap Ko Yandex Webmaster Me Kaise Submit Kare
Google webmaster tools google ki free service hai. Jo humari site ko google search engine se acha result dilane me humari help karti hai. Google duniya ka no.1 search engine hai so sab chahate hai ki unki site google me achi ranking me search me aaye. Isliye google search consoloe ko dhyan or full carefuly use karna chahiye.
I hope aapko ye post pasand aayegi or aapko isme good information milegi. Agar ha ato is post ko social media par share jarur kare.
Rakesh kumar Batu
nice post
specially for new bloggers
& aap ko meri ye post chek krni chahiye kyu ki ishmein mne new ideas aur post ko viral trike se likhne ka idea share kiya hai & also I mentioned some screenshot from your comnts
dev
bhayi ads approve karane ke liye apni photo about us page me add karni jaruri he ya nhi plz bhayi jaldi batana.
Jumedeen Khan
Nahi koi jaruri nahi hai.
zishan ali gulzar
sir ek prblm he apka home page me jis type se ek sath 6 post show krta he us type se apna blog me kaise bnaye, mera blog pe 1 post show krta he o v sirf title,, maine usko edit v kiya blog post me ja ke post show 10 kr diya fir v ek hi post show krta he , help me
Jumedeen Khan
Aapke blog me 1 se jyada post honi chahiye. aap template change karo.
sanju dangar
Hallo jime din sir, meri ak chhoti si problem he.
adsense se ak mail aaya he
email-Coppy
(
We did not approve your application for the reasons listed below.
Issues:
Unable to review your site: While reviewing hindiloveshayari143.com/2015/11/very-sad-love-story.html?m=1, we found that your site was down or unavailable. If you applied through an AdSense host partner, such as YouTube or Blogger, your hosted site was not available or not found (removed) at the time of the review.)
Sir maine ye poso pahele se hi rimove kar di he
Sir aap hi kus meri help kar sakate ho pleas
Jumedeen Khan
Adsense ki report me di gayi post ko delte ya remove karo. bro aap bar bar AdSense ke liye apply mat karo. warna AdSense aapko ban kar sakta hai. pahle apni site ki kamiya ache se theek kar lo.
mangaldeep
Bro jume deen apki help chahiye…. Mera AdSense me parso hi 10$ complete ho chuki hai, avi tak mujhe koi notification nhi aya jo pin verify karao , aap mujhe yeh bataye hame khud pin ke liye kuch karna padega ya AdSense team apne aap hi mere address pe pin send kar degi plz bataye.
Mangal deep
bro notification aa chuka hai but problem ye hai mene aaj hi subha apne AdSense accout me address shi kiya to kuch problem to nhi hogi na ???
Jumedeen Khan
Nahi koi problem nahi hai. AdSense jab aapko post send karega. to aapko address verify option me uski date mil jayegi. uske 20-30 day bad aapko post mil jayegi.
Jumedeen Khan
Aap AdSense par apna sahi address set karo. jab AdSense aapko mail send karega to aapko AdSense par uski notification mil jayegi.
murari
apne blog me comment box kese lagaye
Jumedeen Khan
Commmnet box pahle se blog me hota hai. apne blog ka url btao mai check karke btata hu.
manish
1.sir meri website ko dekhe aur bataye ki muje ads nikal chahiye kahi se ya phir wo ad sahi jagah par hai
2.Aur sir maine homepage pe 5 ads lagai hai to ye kya sahi hai
Jumedeen Khan
sabse pahle to aap Apni Website (Blog) Ke Domain Ko Bina WWW Ke Kaise Set Kare post padh kar site ko bina www ke set karo.
ads kaha lagane hai or kaha nahi uske liye ye post padho Adsense Ke Ads Kaha Kaha Nahi Laga Sakte or ek page me 3 se jyada ads mat lagao.
maharshi bhatt
Bhai hum jo go daddy se domain lete hai uske paise har month dene hote hai ya phir ek hi baar
Jumedeen Khan
Nahi sirf sal me ek bar dene hote hai.
rohiti Gupta
sir aap meri site open karke dekho. usme realeted post aur posts sahi se nahi aa rahi hai. hai wo bilkul kinaro par chipki rahti hai. aap unhe theek karwa do plz sir
Jumedeen Khan
Aapka blog blogger par hai ya WordPress par or aap konsi template or them use kar rahe ho.
rohitkumar
sir meri site blogger me hai aur mai ribbon template use kar raha hu
Jumedeen Khan
Bro isi me to problem hai aap plz blogger template use kijiye.
atul
hello dear khan,
tumne apni doosri website mozedia ki alexa ranking sirf teen post me hi 6 lack kaise kar lee hai, aur kya mai tumharei templates ka design copy kar sakta huu apne blog ke liye.
Jumedeen Khan
Bro ise hi to techlology kahte hai. Sorry bro aap aysa nahi kar sakte.
atul
Mujhe bta to sakte ho ki rank kaise kam ki hai sirf 3 post mai.
Jumedeen Khan
Is blog par isi ke bare me post karta hu. Aap google webmaster ki guideline follow karke blogging karo.
Dilip
Mubarak ho 80 hajar ke andar a hyi h rank
Rajesh
meri ek website ki kuch post delete kar ke wo hi post main apni dusari website pai post karu to usme copyright ka kuch problem hoga
Jumedeen Khan
Nahi hogi. But aapko old site se post delete karni hogi.
dev
bhayi mene internation target usa kar diya tha phir abi hata diya meri website english me he ab me ye janna chahta hu ki ab meri site kis country me jyada search me ayegi yani ab kon sa desh target hoga mene to tick hata diya usa se plz iska ans jarur dena.
Jumedeen Khan
Maine iske bare me post me already btaya hai. aap post padh sakte ho.
Aalam
Lekin site delete karne se koi fayada
Nahi kyoki jab mai site ko fir se add
Kar raha hoo to sab kuchh vahi fir
Se aa raha hai
ASHOK SAINI
Bahut Badiya Knowledgeable Information Of Google Web Master Tools.
Aalam
Mai apna google search console
Account delete karna chahta hoo
Pleas help me
Jumedeen Khan
Google search console par se aap apni sabhi sites ko delete kar do.
Harshad Bataviya
sir aapne uper Sitemap Submission topic ki image lagayi hai usme webpage aur image index ho rahi hai esa bataya gaya hai…. par mene jo sitemap submit kiya hai us me sirf webpages index ho rahi hai esa aata hai to me image index karne ke liye kya karu
Jumedeen Khan
Google robot apne aap aapki image index kar lega.
Harshad Bataviya
sir mere blog ki image index nahi ho rahi hai to kya karu…. pls help me…
Jumedeen Khan
Google aapki wohi image index karega jo post se full related ho. agar aap post me extra iamge add karoge to google index nahi karega.
Harshad Bataviya
sir me post se related hi image add karta hu extra image add nahi ki hai….aap ek bar mera blog visit karke batayega sir….
Jumedeen Khan
Fir koi problem nahi hai. don’t worry google image ko index karne me time leta hai. dheere dheere index kar lega.
dev
Data highlighter ke bare me abi tak apne post dali nhi h mughe lagta h ki apko is post ko b dalni chahiye dhanyabad..
Suraj Kumar
Hello brother mera nam Suraj Kumar h. Aapka shyad yad hoga ki mere blog pe AdSense k ads show nhi ho rhe the. To fir aapne fir se ads lagane ko bola. To maine laga diye bt fir v ads show nhi hua.Ads laga k 10-12 din ho gye h abhi jab AdSense account open kiye to usme ad unit me no data dikha RHA H. Bt Maine to ads bana k rkhe huye the. Plz meri madad kare.
Jumedeen Khan
Aap fir se bhi ads bana sakte ho.
Nitesh Nayak
Sir very good post
Lekin sir ek ques hai ki kya AdSense me pageviews se bhi earning hoti hai ya sirf ads me click karne par hihoti hai..
Jumedeen Khan
Sirf ads par click karne income hoti hai.