Online Business ko successful banane ke liye internet security bahut jaruri hai. Bhale hi aap ek content share karne wale blogger ho lekin aapko bhi apni website me HTTPS Enable kar lena chahiye. Iske liye aapko Paid SSL Certificate buy karne ki jarurat nahi hai. Yaha main Top 10 Best Free SSL Certificate Providers ke bare me bta raha hu. Ek content sharing blog ke liye ye kafi hai.
SSL yani Secure Socket Layer ek Security Technology hai jo browser and web server ke bich ke connect ko secure karta hai, matlab web page link ko encrypt karta hai. Ise ab TLS yani Transport Layer Security bhi kaha jata hai.
Mostly, Agar aapki site par online transaction hota hai to aapko SSL certificate buy karne ki jarurat hai. Sirf content sharing blog par aap free SSL certificate apply kar apni site secure kar sakte hai. Let’s Encrypt and CloudFlare Flexible Free SSL iska sabse bada example hai.
To chaliye ab bat karte hai SSL Certificates providers ke bare me jo hume jo hume Free SSL Certificate provide karte hai.
Table of Contents
Top 10 Free SSL Providers Website Me HTTPS Enable Karne Ke Liye
Humare top blogger Harsh Agarwal and Amit Agarwal bhi apni sites par Cloudflare Free SSL aur Let’s Encrypt free ssl istemal karte hai. Aap bhi kar sakte ho. Blog ke liye best free ssl certificate providers 2024.
1. Let’s Encrypt
Let’s Encrypt sabse better aur trust free ssl certificate provider hai. Sabse jyada isi ka istemal hota hai. Ye hume SSL Certificate free of cost deta hai. Siteground, Facebook, Akamai etc. site par let’s encrypt ssl hi use hota hai.
Let’s encrypt certificate three months yani 90 days ke liye valid hai uske bad renew karna padta hai. Aap chahe to automatic renew setting kar sakte ho.
Let’s Encrypt life time free hai lekin aapko ise 90 days ke bad renews karna hoga. Renew karne ka koi charge nahi hai.
2. CloudFlare Flexible SSL
Cloudflare CDN, security ke sath free ssl bhi provide karta hai. Agar aap cloudflare cdn use karte ho to aap Lifetime Free SSL enable kar sakte ho. But iski sabse badi problem hai ye all browser support nahi karta.
So agar aapki site par modern device user hai to aap cloudflare ssl istemal kar sakte ho. Iski sabse achhi bat ye hai ki aap apne subdomain par bhi free https enable kar sakte ho.
Cloudflare Free ssl use karne ki guideline yaha hai,
- WordPress Blog Me CloudFlare Free HTTPS SSL Setup Kaise Kare
- Cloudflare CDN Se Blog Ko 200% Fast Loading Kaise Banaye
- CloudFlare Free CDN Use Karne Ke Fayde or Nuksan (Pros and Cons)
In 3 articles ko read karne ke bad aap cloudflare easily setup kar na sirf site par https enable kar sakte ho balki apni site ko speed up bhi kar sakte ho.
Cloudflare Free SSL lifetime free hai aur ye three month tak valid hai lekin ye automatic renew ho jata hai. Aapko manually kuch bhi karne ki jarurat nahi hai.
3. Comodo
Comodo pure world me ssl certificate provide karne ki sabse best company hai yani ye global leader hai. Ye paid SSL ke sath free ssl bhi provide karta hai. Iske free trial ki limit 90 days hai. Ye all browser support karta hai aur sabhi browsers me green lock show karta hai.
Iski validity 90 days hai uske bad aapko ise renew karna hoga. Ye top class ssl provider hai lekin free ssl only 90 din ke liye hai.
4. Godaddy
Godaddy Open source project ke liye free ssl provide karta hai jo 1 year tak valid hai. For website aur blog is par free ssl to nahi milta lekin ye sabse cheapest ssl certificates provider hai. Is par aapko only under 500 rupees me ssl certificate mil jayega.
5. SSL For Free
SSL For Free free ssl buy karne ki ek aur achhi website hai ye humesha ke liye free ssl provide karta hai yani aapko ise kabhi pay karne ki jarurat nahi hai. Sabse achhi bat iske certificate 99.9% browsers ko support karte hai.
SSL For Free aapko Let’s encrypt ssl certificate bundle provide karta hai jo lifetime free hai yani aapko ise kabhi bhi payment karne ki jarurat nahi padegi.
6. WoSign Free SSL Certificates
WoSign site par aapko free domain validation certificates milenge jo “WoSign CA Free SSL Certificate” ke dwara issued hai. Free ssl certificate only one domain support karta hai. Matlab agar aapko mutiple domain ya subdomain use karne hai to US$1.99 per year pay karna hoga.
7. Geo Trust
GeoTurst bhi free ssl certificate offer karta hai lekin only 30 days ke liye uske bad aapko ise pay karna hoga. Ye iska trial version hai 30 din ke bad aapko iska permium plan lena hoga. ye 256 – bit encryption ssl provide karta hai.
8. Go Get SSL
Go Get SSL bhi ek good SSL Certificate provider hai. Is par apa 5 minute me free ssl setup kar sakte ho. Ye 90 days ka free trial offer karna hai uske bad aapko pay karna hoga.
Iske certificate all major browsers, all smartphone, android browser, mobile browser chrome, firefox, internet explorer opera, safari etc. sab support karta hai.
CAcert ne sabse pahle free ssl certificate provide karna shuru kiya tha aur aaj bhi ye free me ssl provide karta hai. Iske certificate sixth month tak valid hote hai lekin user ke email address verify karne ke bad aap ise 24 month yani 1 saal tak free use kar sakte ho.
10. Free SSL
SSL.com website par bhi aapko free ssl certificate mil jayenge. Iska basic SSL certificate product 90 days ke liye free hai jo ki single domain ke liye hai.
ye 10 provider free ssl certificate provide karte hai. Aapko inme se jo best lage aap uska SSL certificate istemal kar sakte hai aur apni website ki search engine ranking improve kar sakte ho.
Main Kya Suggest Karunga?
Main aapko in sabhi Free SSL Certificates me se Let’s Encrypt and CloudFlare Flexible SSL recommend karunga. Main in dono ko try kar chuka hu aur mujhe positive response mila hai.
To friends aapko in free ssl providers ke hote huye paid ssl purchase karne ki koi jarurat nahi hai. Aap apne blog website ko inme se kisi ek ke SSL certificate se secure kar sakte ho.
Google announcement kar chuka hai ki HTTPS ab ranking signal hoga aur aane wale time me chrome browser http site ke liye Not secure warning show karega.
Ye bhi padhe,
- Website Ka Content Safe Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare
- 10 Important Page Jo Har Blog Par Hone Chahiye (Bahut Jaruri Hai)
Agar aapko ye article pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.
kumar
jumedin ji mera blog bilkul naya h or https://www ke sath setup kiya hua h. problem ye h ki me jab bhi apne blog ki performance check karta hu mujhe minimize redirect ka sujhav milta h jo website ke server response or loading me sabse badi problem create kar raha hai.
btaiye mujhe kya karna chahiye hosting hostgator se h
Jumedeen khan
apki site one time me http to https://www, https to https://www, http://www to https://www redirect honi chahiye na ki http to www than https://www
srikant prasad
sir maine apke kahe anusaar theme change kar liya hain lekin mere website ke url ke aaage lock icon me yellow color ka symbol kyun aaaat ahain ye lock icon green kyun nahi rehta . isko main kaise thik karu plz mujhe btaye????
Jumedeen khan
Aapke blog par 100+ URL http wale hai un sabme https add karo.
srikant prasad
matlab sir kha se karna hoga https . kya edit html me ja kar jitna bhi http hain usko https karna hoga?
Jumedeen khan
First aap blogger settings me ja kar https enable karo uske bad theme >> edit html par ja kar http to https replace karo.
srikant prasad
sir http ko https se replace karne ke baad wo problem jo tha lock icon wala thik ho gya lekin jab mai home page pe rehta hu tabhi thik rehta hain lekin jaise hi mai koi post open karta hu tab wapas se lock icon pe yellow wala aa jata hain.
Jumedeen khan
Posts me abhi http links hai unhe bhi https me replace karo.
srikant prasad
sir mera website me logo ke bagal me ajib sa sign aaat ahian wo kya hain plz btaye mujhe
Jumedeen khan
Header background image hai. Aap iska link blogger edit html me ka kar delete kar sakte ho ya fir dusri theme use karo.
Umesh
Blogger par https enable karane ke baad ads show nahi hoti hai.
Jumedeen khan
HTTPS enable karne ke bad analytics aur search console me https property add karo uske bad new ad unit bana kar ad lagao 10-20 minute me ad show hone lag jayenge.
RAJEEV KUMAR
धन्यबाद सर बहुत बढ़िया पोस्ट शेयर की है आपने.
kamal
Sir,
Blogger.com > Setting > Basic > HTTPS availability > YES
Kiya but do din bad bhi, link copy karne par site ka url “http” hi rah raha h.
So maine, esi settings option me eske nichi diye option
“HTTPS Redirect”, ko
YES
kar diya isse url “https” to ho ja raha h but site open n hokar ye likha aa raha h
“The page isn’t redirecting properly
Firefox has detected that the server is redirecting the request for this address in a way that will never complete.
This problem can sometimes be caused by disabling or refusing to accept cookies.”
>>Others Browser par bhi aisa hi h but “HTTPS redirect” ko “No” karne par site pahle ke tarah “http” k sath open hone lag rahi h. So Kya Mujhe “HTTPS redirect” Ko “Yes” karke wait karna chahiye ya kya karna chahiye
Jumedeen khan
Yes aap http enable karne ke bad thoda wait karo aur browser cache clear kar check karo.
AMAN KUMAR SINGH
Cloudflare ssl enable krne ke baad meri blog not secure error aa rhi hai
Ise fix kaise kare ka koi trika?
Jumedeen khan
Aap apni site ke domain URL me sabhi jagah http ki jagah https set karo.
Sarthak upadhyay
dosto, sabse badhiya free ssl hai, yah let’s encrypt se juda hua hai, iske istemal me koi dikkat nahi hai aur bahut hee aasaan hai.
sir, maine cloudflare use kiya , error ho raha tha ab free ssl use kar lia hu badhiya chal raha hai,
agar koi error ho to dekh ke bata dijie, ha ise renew karaane ka koi charge nahi hai lekin, 3 maheene baad renew karana hoga, iskaa seo par bad effect to nahi hota hai na
Jumedeen khan
No worry cloudflare flexible ssl auto renew ho jayega aapko kuch bhi karne ki jarurat nahi hai.
Sarthak upadhyay
सर आप क्वेश्चन अच्छी तरह से नै समझे हैं, मैंने ssl for free use kiya hai.
cloudflare me isue ho raha tha,
ssl for free 3 maheene me renew karana hoga, haalaaki renew ka paisa nahi lagega,
lekin, iskaa seo par bad effect to nahi hoga na, matlab har 3 maheene me renew karana padega to kya google trust karegi.
ssl for free let’s encrypt ssl deta hai.
Jumedeen khan
Oh! aap expire hone se pahle renew kara loge to koi problem nahi hogi.
Sarthak upadhyay
sir, maine apne website me koi ssl service enable nahi ki hai, lekin, phir bhi mere kuch article jo google me index hai https se index ha.
ye article- गुलाब का फूल देता है ये 18 फायदे, गुलाब के औषधीय गुण || gulab ke fayde search kariye first position me meri website se hoga, ise open karenge to https se opoen hoga aur privacy error bataega,
mere website me kyaa dikkat ho sakti hai. pleaase bata dijiye si.
main aapko screenshot bhi mail kar diya hu, please dekh lijiye aur answer bata dijjie
Jumedeen khan
Aap https to http redirect set karo taki https se open karne par http URL open ho.
Sarthak upadhyay
kaha se set karu sir,
Jumedeen khan
Ye code .htaccess file me add karo.
# Redirect HTTPS to HTTP
RewriteCond %{HTTP:X-Forwarded-Proto} =https
RewriteRule ^(.*)$ http://%{HTTP_HOST}%{REQUEST_URI} [L,R=301]
Sarthak upadhyay
ऐड कर दिया हूँ, फिर भी नहीं हो रहा
Sarthak upadhyay
kya mai ssl enable kar doo, aur karu to kaun sa cloudfare ya let’s encrypt. let’s encrypt ko kaise use kare . kya isse google rank to kam nahi hogi.
kya ssl enable karane ke bad page open hone lagega
Jumedeen khan
let’s encrypt ke liye coding knowledge honi chahiye ya fir aap aesi hosting use karo jo let’s encrypt ssl provide karti hai otherwise cloudflare ssl better hai.
Jumedeen khan
Then use https. Aap cloudflare free ssl use kar sakte hai CloudFlare Free HTTPS SSL Setup Kaise Kare
Prem Singh
sir cloudflare ka free wala https lgane se bad me koi problems to nhi hogi
jaise kabhi site band ho gyi ye sab to nhi hoga na agar hoga to uska solution btao plz
Jumedeen khan
Main 1 year se use kar raha hu mujhe koi problem nahi huyi baki aap review karke use karo.
Adip Gaurav
Acchi post hai. wese bloggers ke cloudflare free ssl best hai. i think aap bhi wo he use karte hai?
Kamran Zaidi
Free ssl lgane se koi nuksaan to nhe hai ..
Blog ki ranking pr to asar nhe pdta hai..!!
Jumedeen khan
Koi nuksan nahi hai. Main already post me bta chuka hu ki top blogger bhi ye use karte hai.
Pipan Sarkar
Sir, Website ke adds placement par ek post banaye.
Jumedeen khan
Already hai aap adsense category post check karo.
Radha sowami
Sir kiya aap batynge ki mere pass share hosting hai our do website hi par jo primary hai usme to SSL Lag gaya par second me problem ho rahi hai kiya aap batenge
Jumedeen khan
Kya aap bhi btayenge ki aapko kya problem ho rahi hai aur aap second domain par SSL kyo nahi laga pa rahe hai.
Juned
Bhai mujhe ye btao kya him apne blog ka Jo old name hai usko change kar sakte hai or kya hanara traffic issue decrease hojayega..??
Jumedeen khan
Agar aap sahi tarike se move karoge to traffic kam nahi hoga.
Surendra Kumar
Bhai Thora H1 , h2 heading ke baare me puchna tha ,
1. Jo aapne Post me ” top 10 free ssl provider ” Wali heading dali hain wo konse level ki hain matlb H1 , H2
2. Website me heading ko ulta seedha use kar sakte hain kya jaise ki H1 phele baad me h3 or phir baad me h2 ya ek level me karni chahiye 1 , 2 , 3 , 4….
3. Jo aapne 10 Ssl Name Dale Hain unko heading me use karte hai ya phir Bold Me
4. Jo title ham yoast Seo Me ad karte hai Wo H1 me hota hain . agar ham post me Bhi H1 Title Ad Kare Or Usme Yoast Seo Title se Alag Keyword Use Karen Toh Search Engine ko Confusion Hogi Ya Nahi .
5. Kya post me H1 Use Karna Jaruri Hain .
Jumedeen khan
1. H2
2. Yes jarurat ke anusar kar sakte hai.
3. dono me kar sakte ho.
4. Yoast SEO me title tabhi add karo jab aapko search engine me different title show karna ho.
5. Post ka title already h1 tag me hota hai aapko fir se post body me add karne ki jarurat nahi hai.
Rahul maurya
Sir maine cloudflare ka SSL use kiya kuch dino tak to theek chla lekin kuch month baad WordPress ke dashboard me post edit ya new post likhne wale box me sab blank show kr rha hai aur kuch type nhi ho rha jaise hi SSL htaya to sab normal ho gya please btayiye sir ise kaise theek kru.
Thank you sir.
Jumedeen khan
Aap wp-config.php me ye code add ka fir check karo.
define('FORCE_SSL_ADMIN', true);
Sanjay
Khan sahab mujhe 301 redirection k bare me btaiye kya hota h
Jumedeen khan
Kisi bhi URL ko dusre URL par permanent redirect karna 301 redirection hota hai. Iska use website domain change karne ya HTTP to HTTPS move karne ke liye karte hai.
Chandan Gupta
Usefull post ..
For beginners.
Kamal
Blogger.com par custom Domain use karne wale, apke dwara suggest -Let’s Encrypt, cloudflare ka free plan use ker sakte he Ya nahi
Ager nahi to second best option kaun h for free
Jumedeen khan
Blogger ab custom domain par https support karta hai aapko inme se koi bhi use karne ki jarurat nahi hai.
Kamal
Wah, kya bat bataye bro aapne. Thanks
Have a nice day