10 Computer Mistakes Jo Kisi Bhi User Ko Nahi Karni Chahiye

Jab bhi koi user naya computer, laptop leta hai to usse kuch aesi badi galtiya ho jati hai jinka use pata bhi nahi hota hai. Is post me main aapko Top 10 Computer Mistakes ke bare me btaunga jo aapko kabhi bhi nahi karni chahiye. Is guideline ko padhne ke bad aap apne PC ki security badha sakte hai aur apne device ko safe rakh sakte hai.

Top 10 Computer Mistakes

Koi bhi person fully perfect nahi hota. So jaruri nahi hai ki aap newbie bhi to hi aapse galti hogi ya aap expert ho to aapse galti nahi hogi. Ek beginner user se le kar expert user tak har kisi se galtiya hoti hai. So aap is post ko carefully read kare ho sakta hai apa bhi inme se koi ek mistake kar rahe ho.

Desktop ho laptop har device ke liye security bahut important hai. Agar aap apne system ki safety ka khyal nahi rakhoge to aapke sath kabhi bhi kuch bhi ho sakta hai. Agar aap internet par online rahte ho to computer security aapke liye aur bhi jyada important hoti hai.

Top 10 Computer Mistakes Jo Kabhi Nahi Karni Chahiye

Agar aapne abhi abhi new computer liya hai ya fir lene wale ho to pahle is articles ko carefully read kar le taki aap apne computer ko secure rakh sako.

1. Important Files Ka Backup Nahi Banana

Sabse badi computer mistake yahi hai aur bahut se computer user ye galti karte hai. Bahut kam log hote hai jo apne personal and important information wale file aur folders ka backup bana kar rakhte hai.

Aapko chahiye ki aap apni important files ka backup bana kar rakhe agar aapne unhe kisi secure folder me save kiya hua hai fir bhi kisi dusre folder me uski copy bana kar rakh le.

2. Bad Software Download Install Karna

New computer lene ke bad user unknown aur bekar ke software ko apne PC me download aur install kar leta hai. Use ye pata nahi hota ki ye software uske PC ke liye kitna danger ho sakta hai.

Aapke dwara download aur install kiye gaye software me virus, malware and other problem ho sakti hai. Kabhi bhi internet se direct download kar free software ka istemal na kare.

3. Without Reading “Next” aur “OK” Par Click Karna

Mostly people aesi computer mistakes karteh hai. Agar aapke pas computer hai to jahir hai aap daily uska istemal karte honge aur agar aap internet chalate ho to jahir hai kafi time tak social media par online rahte honge.

Kya aap “Next” and “OK” button par click karne se pahle padhte ho ko system aapko kis par click karne ko kah raha hi. I think bahut se user aesa anhi karte hai kyuki unke pas itna time nahi hota.

Security ke lyie better hai ki kisi bhi tarah ka action lene se pahle uska reason jarur check kar le. Agar aap PC me koi application install kar rahe ho ya koi bhi site par visit kar rahe ho to uske policy terms ko bina padhe accept na kare.

4. System Up-to-date Nahi Rakhna

Aapka system aur software tabhi tak secure hai jab tak hackers use access karne me success nahi ho jate hai. System ki security banaye rakhne ke liye use time to time update kiya jata hai aur usme aayi bug aur other problems ko fix kiya jata hai.

Agar aap apne system ko update nahi karoge to aapke device ki security weak ho jayegi. Isiliye better hai ki aap apne system aur software ko up to date rakhe.

5. Password Protection Enable Na Karna

Ye bhi wek common computer mistakes hai. Kuch log apne PC me password protectino enable karke nahi rakhte. Unhe ya to bar bar password type karne me problem hoti hai ya fir unhe iske bare me pata nahi hota hai.

Password protection na hone par koi bhi aapke PC ko open kar aapki personal information dekh sakta hai. So better hai aap PC ko lock karke rakhe taki koi bhi aapke PC ko open na kar sake.

6. Device Ko Shut Down Nahi Karna

Laptop ki LID close karne se wo shut-down nahi hota hai. lid close karne se laptop only sleep hota hai. Kuch beginners ko is bat ka pata nahi hota ya fir wo is par dhyan nahi dete hai aur apna kaam khatm karne ke bad laptop lid band karke rakh dete ho.

Aesa nahi karna hai aur apna kaam khatm karke laptop ko power off karna hai. Iske liye aap power button ya Alt+F4 ki ka istemal kar sakte ho.

7. Antivirus Software Use Na Karna

Ye bhi big computer mistakes me se ek hai. Ye problem hoti hai sirf kuch paise bachane ke liye. Kuch log 30,000 ka computer buy kar sakte hai lekin 500, 1,000 rupees ka paid anti-virus buy nahi kar sakte.

Agar aap 30k PC ke liye kharch kar sakte ho to 1k kharch karke ek achha anti-virus software le kar apne PC ko secure kar sakte ho.

8. Temporary File Delete & Disk Clean Nahi Karna

Aapke PC me work karne se usme bahut si temporary file save ho jati hai. Agar aap temporary file ko delete nahi karte ho to ek time me bad aap system ki speed slow ho jayegi aur aapka computer hang hone lagega.

Isiliye better hai ki aap time to time temporary files ko delete aur disk clean karte rahe. Temporary file ko delete karne ke liye aap Windows+R key button press kar “%temp%” open kare aur jo files dikhayi de un sabko delete kar de.

Disk clean karne ke liye aap Windows me “Disk Cleanup” type kar search kar disk cleanup ko open karke disk clean kar sakte ho.

9. Infected Mail Attachments Open Karna

New user aksar ye mistake karte hai. Wo bina dekhe aur soche samjhe apne gmail account me mail attachment ko open kar lete hai. Kuch mail virus aur malware se infected hote hai aur aapke mail open karne se aapke computer me aa jate hai.

Attacher aur hacker aapke device ko access karne ke liye aapke email address par phishing, spam mail send karte hai. Aapko koi bhi mail mile use open na kare sirf apne kaam ke aur pahchan wale email message ko open kare aur baki sabhi ko direct delete kar de.

10. Unsecured External Device Connect Karna

Aksar jab hum new desktop, laptop buy karte hai to humare hi kuch khas dost ya koi related hume memory card, Pen Drive me music, song, video, movie dalne ke liye kahta hai. Agar aapke PC me anti-virus nahi hai to aesa karna aapke liye danger ho sakta hai.

Kyuki aap jis device ko connect kar rahe hai agar usme virus, malware problem huyi to wo aapke PC me enter ho jayegi aur aapke system ko crack ya dead kar degi. Anti-virus installed ho to aap us device ko scan kar uske virus delete kar sakte ho.

Ye 10 computer mistakes hai jo aapko kabhi nahi karni hai. Agar aap in bato ka khyal rakhoge to aapko kabhi bhi computer security problem nahi hogi.

Ye bhi padhe,

Agar aapko meri ye computer security mistakes wali post achhi lage to ise apne dosto ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (34)

  1. Avatar for van mavan ma

    Quick Heal vs Kaspersky aap kaun sa antivirus recommond karenge ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Quick Heal

  2. Avatar for yashdeep vitthalaniyashdeep vitthalani

    bhai aapne mera ip block kiya hai main aapki website access nahi kar pa raha
    abhi proxy se open ki hai aapki website

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi, aesa kuch nahi hai. Nameserver change kiya hai kuch time bad problem sovle ho jayegi.

      • Avatar for yashdeep vitthalaniyashdeep vitthalani

        ok bhai ab access ho rahi hai proxy laga ke kari tab huyi thi idliye aisa laga
        muje bhai guest post karni hai kya aap muje backlink denge
        main post bilkul aapke blogs ki post ki tarah karunga aur aapke jo terms or condition ho vo dhyan main rakhunga

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Contact me on mail.

  3. Avatar for Madhav NetamMadhav Netam

    आपका साईट बहुत बढ़िया बना है आप wordpress से बनाये हो की blogger से
    और आप कौन से Theme उपयोग करते हो ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Main WordPress platform par genesis framework use karta hu.

  4. Avatar for Sagar BhosaleSagar Bhosale

    Thanks for sharing this useful post,
    Like always, great content, Keep up the good work!

  5. Avatar for kunal jadhavkunal jadhav

    sir google se traffic aana bilkul band ho gaya hai, pahale daily 1000+ traffic aati thi lekin do din se 8 ya 9 hi arahi hai..
    Google Search Console se muje kus is tarah ka message aaya.. ” Search Console has identified that your site is affected by 1 new Index coverage related issue. This means that Index coverage may be negatively affected in Google Search results. We encourage you to fix this issue. ” to iska kya matlab hai..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap google search console ka new version open karo or errors URL check karo. Wo kyu block hai uska reason pata chal jayega.

  6. Avatar for Dhaval GadhviDhaval Gadhvi

    Bahot achhi information bhai

  7. Avatar for ChandanChandan

    Maine aapke kai post padhe hai. Aap usme kabhi photoscape ka recommend karte hai. To kabhi photoshop.
    Vaise Aap kaun sa photo editer mostly use karte ho??? Featured image ke liye.?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Maine dono use karta hu but photoscape jyada easy hai.

  8. Avatar for Sharuf KhanSharuf Khan

    Bilkul Sahi Jankari Batai Hai Sir Thanks

  9. Avatar for arjunarjun

    jab Maine myaccount.Google.com ko apni gmail I’d se login kiya or fir device and security activity me jakar recent activity check ki to usmse ek notification yah thi

    your account is enabled in USA

    iska mtlb kya h plz sir jarur iski jankari dena kyoki me isko lekar bahot pareshan hu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Don’t worry aap google account setting me apni location change karo.

  10. Avatar for mukesh sainimukesh saini

    bahut hi badiya jankari di hai. aapka bahut bahut dhanyawad.

  11. Avatar for Anand KumarAnand Kumar

    Jab se new search console aaya hai mera blog views gir gaya hai, kya mujhe kuchh new setting wagairah bhi karna hoga?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi, traffic down hone ki wajah search console nahi hai.

  12. Avatar for hardeephardeep

    sir new search console se “Submitted URL marked ‘noindex’” warning fix kaise kare. mujhe search console me tag ke links show ho rahe hai error ke saath yeh kaise fix kare

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Tags ko index karne ki jarurat nahi hai aap ise avoid karo.

  13. Avatar for AshishAshish

    Quick Heal vs Kaspersky aap kaun sa antivirus recommond karenge ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Quick Heal

  14. Avatar for Hemant ManikpuriHemant Manikpuri

    बहुत अच्छी जानकारी दी है आपने । आपका बहुत बहुत धन्यवाद

  15. Avatar for kumarkumar

    computer ko cleanup karne k liye cc cleaner software bhi use kar sakte h ye system ki har catche file, temp, recycle bin sabki file ko saf kar deta h jo bekar me computer ki memory or hang jaisi problem karti h

  16. Avatar for Rajat DasRajat Das

    Bhai aap ek post likhiye jisme ki wordpress theme ke customization ke baare me ho … Jaise ki aapne apna blog banaya hai….

  17. Avatar for Azharuddin AnsariAzharuddin Ansari

    Good information Sir.
    I want to ask you how can we know which Software is Bad for our Computer and Please List some of the best antivirus for Computer

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Use quick heal antivirus.

  18. Avatar for अनूप भट्टअनूप भट्ट

    Bhut achi post hai
    isme reycycle bin bhi judh sakta tha kyunki bhut se log file delete to karte hai lekin recycle bin clen nahi karte

  19. Avatar for rajraj

    useful information , bhai hamen apne browser mein password saving ke option ko bhi disable rakhna chahiye aur browser mein addons ka bhi pryog soch samajhkar karna chahiye . i am right ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes right.

  20. Avatar for Anand SharmaAnand Sharma

    Sahi h bro.. Ye basic cheeje sabhi ko pta honi chahiye….

  21. Avatar for NehalNehal

    Yes it is very important isme se ek bhi point ka na follow karna matlab apne comuter ko risk me dalne ke barabar hai.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...