India Me Sabse Jyada Use Hone Wali Top 10 Websites

Duniya bhar me hi nahi bharat (india) me bhi internet ka sabse jyada istemal hota hai. Aap or main hum sabhi log internet use karte hai par kya aap jante hai ki india me sabse jyada konsi websites use hoti hai, india me top most popular website konsi hai ya fir indian sabse jyada kis website ka upyog karte hai. Is post me main aapko ek nahi balki india me sabse jyada use hone wali 10 website ke bare me bta raha hu.

India Me Sabse Jyada Use Hone Wali 10 Websites

Aaj har kaam internet par online hone laga hai. Technology din pe din tarkki kar raha hai or humara desh bharat bhi. USA, UK Countries ki tarah india me bhi young people smartphone, computer, laptop, tablet ka istemal karte hai.

Agar aap internet istemal karte hai to aapko internet ki basic knowledge hona jaruri hai. Main iske bare me already article likh chuka hu agar aap is bare me janna chahate hai to humari Internet category wali posts read kare. Is post me hum india me sabse jyada use hone wali top 10 website ke bare me janenge.

Bharat Me Sabse Jyada Use Hone Wali Top 10 Websites

Sabse buri bat ye hai ki top 5 websites me se ek bhi website kisi indian ki nahi hai balki hum USA and other country ki websites ka istemal karte hai.

Top 10 Most Popular Websites in India

1. Google.co.in

Ye duniya ki most popular or sabse jyada famous website google ka indian version hai jo English, Hindi, Bengali, Telugu, Marathi, Tamil and other kai indian languages me available hai.

Ye ek search engine hai jisme aap kuch bhi search kar sakte hai. Indians is website par daily 7 minute or 26 second spend karte hai. Har visitors is site se lagbhag daily 10-11 pages read karta hai.

2. YouTube.com

India ki dusri sabse jyada use hone wali website hum sabka pyara dulara YouTube hai jo hum puri duniya ki videos free me dikhata hai.

Hum sabhi bhartiya youtube website par daily lagbhag 8 minute 20 seconds bitate hai. Wese bhi india me videos ko jyada hi like kiya jata hai. Aap chahe to youtube se paise bhi kama sakte ho iski jankari yaha hai.

3. Google.com

Ye google ki site ka main version hai. Mostly hum google ko google.com type karke hi open karte hai but wo country level domain ke according redirect ho jata hai.

India me har internet user lagbhag daily 7 minute 52 second google.com website ka istemal karta hai.

4. Facebook.com

Social networking sites me india me facebook ka sabse jyada istemal hota hai. Koi bhi internet user ho jo social media ke bare me janta hai uska facebook account jarur hota hai.

Facebook ka istemal apne friends, related people se connect rahne or ek dusre ke sath jankari share karne ke liye kiya jata hai. Hum indian daily 10 minute se bhi jyada time facebook par spend karte hai.

5. Yahoo.com

Yahoo google ki tarah ek search engine hai. Bas dono me fark itna hai ki yahoo kisi website ki tarha nazar aata hai kyuki ye search box ke sath cricket, news, liestyle etc. articles data bhi dispaly karta hai.

Google ke bad india me yahoo search engine sabse jyada use hota hai. Hum lagbhag 4 minute 6 second yahoo site par spend karte hai.

6. Amazon.in

Amazon.in online shopping site hai jo amazon.com ka hi ek part hai. Halanki iske alawa Flipkart, Snapdeal jaisi kai or shopping site bhi hai but amazon india sabse top me hai.

India me online shopping ke liye iska sabse jyada istemal hota hai. Hum bhartiy daily lagbhag 9 minute 44 second amazon.in site par spend karte hai.

7. Wikipedia.org

Wikipedia ek free online encyclopedia site hai jis par biography articles share hote hai. Maje ki bat ye hai ki iske articles ko duniya bhar me koi bhi edit kar sakta hai or koi bhi is par article publish kar sakta hai.

Ye kitni achhi site hai iska andaza aap iski domain authority se laga sakte hai jo ki 100 hai. Hum indians daily karib 4 minute 14 second wikipedia site par bitate hai.

8. Onlinesbi.com

OnlineSBI SBI yani State Bank of India ka internet banking portal hai jo aapko all world me kahi bhi aapke account me secure access provide karta hai.

Is site ki help se aap bina bank branch gaye online transaction karne ke sath or bhi kai kaam kar sakte ho. India me har person lagbhag 6 minute 32 second daily onlinesbi.com site par bitata hai.

9. Flipkart.com

Amazon.in ke bad india me online shopping ke liye flipkart.com website ka sabse jyada upyog hota hai. Is par aap Mobile, Fashion (Clothes/Shoes), Electronics, Home Appliances, Books, Jewelry, Home, Furniture,Sporting goods, Beauty & personal care etc. ki shopping online kar sakte ho.

Hum bhartiya har din lagbhag 5 minute 56 second ka time flipkart.com par spend karte hai.

10. Newstrend.news

Ye name sun kar aap shayad chauk sakte hai. Kyuki india ki top 10 websites me twitter, instagram jaisi most popular sites ka name ho kar is site ka name aa raha hi. Actually, india me instagram.com 20th number or twitter.com 21th number par aati hai.

India me news website me sabse jyada istemal newstrend.news site ka hota hai. Matlab ye site bhaskar, patrika, jagran, NDTV se bhi jyada use hoti hai. Har bhartiya daily is site par 3 minute 39 second ka time spend karta hai.

Finally, ye 10 websites india me sabse jyada istemal hoti hai. Agar aap soch rahe hai ki whatsapp ka name isme kyu nahi hai to main aapko bta du ki whatsapp app jyada use hota hai uski website nahi or time time aankde badalte rahte hai so future me isme different bhi ho sakta hai.

Agar aap duniya me top 10 most popular websites ke bare me janna chahate hai to ye post check kare, Duniya Me Sabse Jyada Use Hone Wali Top 10 Websites.

I hope aapko ye post pasand aayi hongi agar haa to ise social media me apne friends ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (12)

  1. Avatar for Durgesh kumarDurgesh kumar

    Sir, kis type ki website banaye jo sabse km h Pr sabse jyada use hoti h

  2. Avatar for Nazim khanNazim khan

    Very helpful for me keep sharing bro

  3. Avatar for Atul mauryaAtul maurya

    Search 4 website Ka Naam Bata dijiye Aapne 4 website ka naam nahi dala hai aur nahi Uske baare mein kuch aur to please Sir 4 website ke baare mein Bata dijiye thoda Uske baare mein thanks

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Thanks bro, issue fix ho chuka hai aap ek bar review kar sakte hai.

  4. Avatar for Jitender SinghJitender Singh

    Maan Gaye Sir Apko Ki KIya Jaankari di hai apne Greattt job Sir

  5. Avatar for Mahipal MMahipal M

    wow nice information. bhai mai ye bahut dino se janna chahta hu facebook profile blue batch ke sath kaise verify hoga. please aap is bare me kuchh bataye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Dear ye celebrity people ke liye hai.

  6. Avatar for anoop bhattanoop bhatt

    dhnyabad sir aapka jo aapne bhut important jaankari di

  7. Avatar for Aditya SinghAditya Singh

    Awesome Article hai Sir and Hindi Word Konse Jyada Search Hote Hai Uske Bare Me Bhi Article likhe Please – I’m your biggest Fan

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ok, thanks.

  8. Avatar for rahul vishwakarmarahul vishwakarma

    Ye newstrend Koi official news nahi deti alag type ki news hai kahaniyo jaisi .
    isliye log jada type spend karte hain and bounce rate bhi and page view dono better hoga hai iska

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Kuch bhi ho but top 10 ki list me shamil hai.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...