Web ya world wide web jaisa ki hum kahte hai 20 December 2024 ko 27 year ki ho jayegi. Lagbhag 3 dashak pahle British Engineer and Scientist Tim Berners-Lee ne NeXT Computer par duniya ki First Website launch ki thi. Is mauke par aaj main aapko duniya me sabse jyada use hone wali top 10 websites World Most Popular Top 10 Websites ke bare me bta raha hu.
In 27 saalo me internet par itni sari websites or blogs available hai ki aapko internet par har type, har category ki information aasani se mil jayegi. Aapko koi bhi jankari chahiye to google me search karne par aapko uski ek nahi kai thousand, lakhs, crore ya fir millions results mil jayenge.
But millions websites ke hone ke bad sirf kuch hi websites aesi hai jinka sabse jyada istemal hota hai. Main India me sabse jyada use hone wali websites ke bare me India Me Sabse Jyada Use Hone Wali Top 10 Websites post me ba chuka hu. Aaj is post me aapko duniya me sabse jyada use hone wali websites ke bare me btaunga.
Table of Contents
World Me Sabse Jyada Use Hone Wali Top 10 Websites
Kya aap pahle se jante hai ki world ki top 10 famous website konsi hai, agar haa to bahut achhi bat hai or agar nahi to is post ko padhne ke bad aap is bare me jan jayenge.
Top 10 Most Popular Websites in the World
1. Google.com
Google ek search engine hai jo duniya bhar ke sath india me bhi no.1 hai. All world me sabse jyada istemal isi website ka hota hai. Duniya bhar me 97% desktop users or 79% mobile users google ka istemal karte hai.
Google me aap web pages, images, maps, Videos, News, Books, Flights etc. sabki jankari hasil kar sakte ho. Duniya ka har person daily lagbhag 7 minutes 55 seconds google ka istemal karta hai.
2. YouTube.com
Youtube internet par video dekhne ke liye duniya ki sabe badi website hai. India ke sath duniya bhar ke kai countries me youtube ko google ke bad sabse jyada istemal kiya jata hai. TV ke bad people youtube par hi sabse jyada videos dekhte hai.
YouTube par aapko movies, TV Serials, TV Channel, Comedy, Entertainment, Horror, Hollywood, Bollywood, Short Videos, News Videos and other har type ki video mil jayegi. Duniya bhar ke log roj lagbhag 8 minutes 21 second youtube use karte hai.
3. Facebook.com
Google or youtube ke bad facebook duniya ki sabse badi website hai. Social network sites me facebook number one par hai. Sirf world me hi nahi india me bhi facebook 3th par aati hai.
Facebook ki help se aap duniya bhar me kahi bhi kisi se bhi bat kar sakte ho. Duniya bhar me har aadmi lagbhag 10 minute 7 second daily FB ka istemal karta hai.
4. Baidu.com
Baidu ek Chinese Language Search Engine hai. Jo china people ke liye simple and reliable tarike se jankari provide karta hai. Khas bat ye hai ki china me iska istemal sabse jyada kiya jata hai.
China ke alawa bhi kai or desho me baidu ka istemal hota hai. Duniya ki bat kare to har aadmi daily lagbhag 7 minute 38 second is site par spend karta hai.
5. Wikipedia.org
Wikipedia ek free encyclopedia website hai jo aaj duniya me internet ka sabse bada encyclopedia ban gaya hai. Iski stating 2001 me huyi thi or aaj ye kaha hai aap jan sakte hai. Wikipedia.org par likha gaya lekh duniya me kisi bhi vyakti ke dwara edit kiya ja sakta hai.
Duniya me ye 5th number ki top most popular website hai. Har roj lagbhag 4 minute 14 second log wikipedia.org website par spend karte hai.
6. Yahoo.com
Google ke bad yahoo duniya ka sabse bada search engine hai. India ke alawa kai desho me google ke bad yahoo.com search engine ka hi istemal hota hai. Ek time tha jab yahoo google se bhi jyada use hota tha.
Yahoo hi tha jisne internet ko duniya ke samne khol kar rakh diya tha. Agar me kahu ki duniya me internet ko yahoo ne hi promote kiya tha to galat nahi hoga. Aaj bhi duniya me 4 minute 6 second har roj log yahoo site use karte hai.
7. Google.co.in
Google.in google.com ka hi indian version hai jiska istemal india me sabse jyada hota hai. India me google.co.in no.1 position par hai. India me aap jab bhi browser me google.com open karoge wo google.co.in par redirect ho jayega.
Kuch indian search engine hone ke bavjud google india me top search engine bana hua hai. Har roj puri duniya me lagbhag 7 minute 26 second iska istemal hota hai.
8. Reddit.com
Reddit ek American social news aggregation website hai. Ye web content tating and discussion website hai jisme aap register kar apne content ka link submit kar sakte ho. Link ke alawa aap isme images and text posts bhi submit kar sakte hai.
Har saal reddit par lakho users millions posts submit karte hai. All world me per user daily lagbhag 15 minute 54 seconds reddit website par spend karta hai.
9. Qq.com
Qq website china ki largest and sabse jyada use hone wali internet portal website hai. November 1998 me Tencent ne banaya tha. Iska maksad users ko “one-stop online life service” provide karna hai.
Iski ek community hai jisme QQ.com, QQ Games, and PaiPai.com shamil hai. Duniya bhar me har person daily 4 minute 31 second is site ka istemal karta hai.
10. Amazon.com
Amazon duniya ki sabse badi online shopping site hai. Sirf duniya me hi nahi india me bhi internet shopping ke liye sabse jyada amazon.com site ka hi istemal hota hai. Is site par aap koi bhi product online buy kar sakte ho.
Digital world me aaj bahut si cheezo ko online purchase kiya jata hai. Duniya bhar ke log daily lagbhag 8 minute 23 second amazon site par spend karte hai.
Finally, Ye thi world ki top 10 most popular websites jo duniya me sabse jyada istemal hoti hai or sabse jyada famous hai. Inke alawa twitter or instagram bhi most popular websites hai but wo top 10 ki list me shamil nahi hai.
Agar aap soch rahe hai ki whatsapp isme add kyu nahi kiya gaya to main aapko bta du ki whatsapp ka only app jyada use hota hai website nahi.
- 100 Useful Websites Jo Har Internet User Ke Kaam Aati Hai
- Online Ghar Baithe Internet Se Paise Kaise Kamaye – Aasan Tarike
I hope you like this information. Agar aapko ye article sach me pasand aaye to ise social media par dusre logo ke sath share jarur kare.
Sir Top 100 Hindi Keywords Ki List Share Kijiye.
आपने बहुत ही अच्छी जानकारी अपने शेयर किया है
Awesome Article hai Sir and Hindi Word Konse Jyada Search Hote Hai Uske Bare Me Bhi Article likhe Please – I’m your biggest Fan
Bhai kya Reddit me hum apne blog ki posts ko share kar skte hai ?
Yes kar sakte ho.
Yes sir it was very helpful for me.
thanks sir.
nice jankari bhai kya ham apni blog ko sabhi search engine me sumbit kar sakte hai
Yes kar sakte ho.
Bhai baidu.com search engine me Apne blog Ko Kaise submit Kare Q ki Maine aapke blog Ko search kiya to aa raha Hai lekin mera blog search result me nahi aa raha Hai.
Aapki site google me show honi chahiye kuch time bad baidu bhi index kar lega.
Awesome knowledge