Site crawling SEO ka ek important hissa (aspect) hota hai. Agar aap crawl errors ko fix nahi karoge to aapki site ki search rank par negative effect pad sakta hai. Isi problem ki wajah se aapki site ke bahut se pages, posts google me index nahi ho pati hai. EWebsite blog ke liye ye jaruri hota hai ki uski post search engine me minuntes me index ho jaye. Is articles me mi aapko crawl rate increase karne ki kuch tips bta raha hu jinhe follow karne ke bad aapki site rank improve hogi or aapki post ko search engines jaldi index bhi karega.
Google crawl rate ko increase karne ke bahut se tarike hai but mai yaha aapko kuch aasan tricks bta raha hu. Jisse aapki site google search engines me fast indexing hogi. Search engine aapki site ko index karne ke liye spiders and robots ko use karta hai. Or jab user aapki site se related keywords and links search karte hai to google aapki site ke content ko search results me show karta hai.
Is articles me btayi tips ko follow karke aap apni site ki search ranking increase kar sakte ho or apni site ki google me visibility badha kar site ko search me or jyada popular kar sakte ho.
Table of Contents
- Blog Ki Google Crawl Rate Increase Karne Ki 10 Best Tips
- 1. Update Articles Regularly
- 2. Make Your Site Fast Loading
- 3. Don’t Share Duplicate Content
- 4. Create and Submit Sitemap
- 5. Block unwanted page via Robots.txt
- 6. Add Internlinks in Your Post
- 7. Optimize Your Blog Images
- 8. Add Sitemap and other links In Footer
- 9. Choose Uptime Hosting Server
- 10. Increase Crawl Rate Using Google Webmaster Tools
Blog Ki Google Crawl Rate Increase Karne Ki 10 Best Tips
Google crawl rate ko increase karne ke liye google webmaster tool aapki bahut help karta hai. Jaise aap crawl errors and URL parameters ko fix kar sakte hai. Iske alawa bhi aap apne blog par kuch or tarike se bhi crawl rate ko increase kar sakte ho. Aayiye iske bare me vistar se bat karte hai.
1. Update Articles Regularly
Google search engines ko wo site bahut pasand aati hai jin par regularly content update kiya jata hai. Or ji website par fresh and original content publish kiya jata hai google unhe or bhi jyada like karta hai sath hi ayse articles ko minutes me index karta hai.
Aap or hum sabhi apni site and blog par post publish karte hai but agar aap daily post share karne lag jaye or original content share kare to aapki site ki search engine rank 101% increase hogi.
Bahut se blogger apni blog par regular content update karte hai. But sirf yahi kafi nahi hai. Mai aapse kahna chahunga ki aap jitna kar sako Original Content hi publish kiya kare. I promise yeh tarika aapki site ke liye helpful sabit hoga.
2. Make Your Site Fast Loading
Google search engines and readers koi bhi downtime wali site ko like nahi karte hai. Ek servey ke anusar 90% peoples 4 second se kam time me open hone wali site ko hi pasand karte hai.
Agar aapki site open hone me adhik time leti hai to google robot ko aapki site ko index karne me time lagta hai. Or ho sakta hai search engine aapke latest articles ko slow loading ki wajah se ignore bhi kar de.
99% website or blog fast loading hoti hai. So agar aap chahate hai ki aapki site par jyada traffic aaye or aapki new post seconds me google me index ho to apni site ko abhi se optimize karna shuru kar de or site ka open hone ka time 4 seconds se jyada nahi hona chahiye. Aap pingdom or GTmetrix par apni site ka loading time check kar sakte ho.
Copied content se crawl rate humesha dcrease hoti hai. Search engine copy ki gayi post ko index nahi karta hai or ho sakta hai iski wajah se aapki site google search engine me se ban bhi ho jaye.
Dusro ki post content copy kar apne blog me publish karne se aapko kabhi bhi search engine se traffic nahi mil sakta. Isse aapki site ki search rank ghatati hai or aapki site ko google ignore karne lag jata hai.
Mai aapko suggest karunga ki humesha apni site par original or fresh content share kare. Or sabhi se alag sabhi se hat kar blogging kare. Jo user aapko or aapki post ko pasand kare. Sath hi search engine se adhik traffic pane ke liye aap apni post content ka search engine optimization kare.
Mai yaha aapko ek aasan solution btata hu. Aap apne blog ki post ki copyrighting check kare or apne talent ko dusro se alag karke apni alag pahchan banaye. Iske liye aap ye article follow kar sakte ho. Blog Content Kisi Or Se Match Ho Raha Ho To Kaise Pata kare.
4. Create and Submit Sitemap
Apni site ko google search engine me fastly index karane ke liye Sitemap submission most important part me se ek hai. Iske liye aapko 2 work karne hai. Sabse pahle apne blog ke lye sitemap create karn hai or uske bad sitemap ko google, bing and other search engines me submit karna hai.
Google webmaster tools me to site ka sitemap submit karna bahut jaruri hai. Isse google bots ko aapki site ke content ko samajhne me aasani hoti hai or aapke newest post bahut jald index ho jati hai.
Agar aap blogspot free blog user ho to aap iske liye Blogger sitemap ko google console me kaise submit kare post read kare. Or agar aap WordPress user ho to aap WordPress yoast SEO plugin use kare jiski jankari aapko humare english blog par How To Set Up Yoast SEO Plugin For Higher Search Ranking post me mil jayegi.
5. Block unwanted page via Robots.txt
Search engine crawl rate ko increase karne ka ye ek or best way hai. Aap unwanted access page or post ko robots.txt file se search engine se hide kar sakte ho. Jaise:-
- Blog admin pages.
- Delete kiya gaya post and apge content.
- Blog navigation pages.
- Personal content.
Maine in sabhi ke bare me Blogspot User Google Webmasters Tools Kaise Use Kare – SEO Guide post already btaya hua hai. Or agar aap WordPress user hai to aap yoast seo plugin se aasani se in sabhi option ko search engine se hide kar sakte ho.
6. Add Internlinks in Your Post
Interlinks sirf aapki site par pageviews badhane ka kaam anhi karti hai. Balki isse aapki site ki crawl rate bhi increase hoti hai or aapko search engine se adhik clicks milte hai.
Ek post me dusri post ke links add karne se aapki site par pageviews to badhte hi hai sath hi aap jab kisi post me apni other post ka link add karenge to aap usme top keywords use kar sakte hai.
Isse jab koi aapki us post se related keyword search karega to aapki dusri post bhi search me aayegi. Example ke liye aap mere blog ka koi bhi topic search karke dekh le uske sath meri wo sabhi post bhi search me aayegi jinme maine aapke dwara search ki gayi post ka link add kiya hoga.
7. Optimize Your Blog Images
Crawler direct aapki post images ko read nahi kar sakta. Iske liye aapko image me alt tags or description add karni hogi. Agar aap apni post me photos use karte ho to ye aapke liye very important hai. Ek image 2000 words ke barabar hoti hai. But agar aap images ko optimize nahi karoge to image ko post me add karne se koi fayda nahi hota hai. Read this post Blogger Images Ko SEO Friendly Kaise Banaye
So mai aapse kahna chahunga ki images ka bhi post ko jaldi index karane me major role hota hai. isliye aap post images ko search engine optimization yani SEO friendly banaye. Images ko optimize kar ke aap apni site ki search rank ko 20% tak increase kar sakte ho.
Apne blog ke footer me sitemap links add karna bhi crawl rate increase karne ka ek best tarika hai. I hope har success blogger aysa karta hai. Isse visitor or google bots dono ko aapki site ke sitemap ko read karne me aasani hoti hai.
Or sabse badi bat agar aap footer me apne blog ke kuch or jaruri pages ke links add kare to isse user or search engines dono ka aapki site par wishwas badhta hai.
Agar aap baki links add nahi karna chaho to mai aapko suggest karunga ki blog footer me aap sitemap ka link to jarur add kare. Isse aapke reader or search robots ko aasani se aapki site ka sitemap mil jayega. Jisse google aapki sabhi posts ko ache se index kar sakta hai.
9. Choose Uptime Hosting Server
Agar aapka blog blogger par hai to aapko koi hosting server lene ki jarurat nahi hai. But agar aap WordPress user hai to aap better server select karke bhi apni site ki crawl rate increase kar sakte hai.
Ji ha, aapko ye sach nahi bhi lage par ye sach hai ki site ki crawl rank increase karne or search engine se better result pane ke liye aapki site ka uptime hona jaruri hai.
Isliye apne blog ke liye badiya web hosting server choose kare. Mere hisab se bluehost.com or hostgator.com good service deti hai. Halanki inse bhi badiya or bahut hai. But maine bahut se bloggers ko dekha hai jo jyadatar inhi par apn isite host karte hai.
10. Increase Crawl Rate Using Google Webmaster Tools
Finaly mai aapko site crawl rate increase karne ka ek free or easy way bta raha hu aap google webmaster tools par site ko optimize karke bhi site ki search rank ko improve kar sakte ho. Iske liye aap ye step follow kare.
- Sabse pahle aap google webmaster tool par jaye.
- Ab aapko jis site par crawl rate setting karni hai us par click kare.
- Ab right side me setting gear icon > site settings par click kare.
- Yaha “Limit Google’s maximum crawl rate” par click kare or apne hisab se crawl rate settings kare.
Google webmaster tools par crawl rate setting karne ki puri information ke liye aap change googlebot crawl rate help support form par jaye.
- Google Search Console Me URL Parameters Kaise Use Kare [Handling URL]
- Blog Par Search Engine Optimized Top Articles Kaise Likhte Hai
To ye thi google crawl rate increase karne ki kuch tips jo aapki site ko google search engine me fast index karne me aapki help karegi or aapko search engine se adhik traffic mil sakega.
Agar aapko inke alawa kisi or tricks ke bare me pata hai to aap comment secton me apni thoughts share kar ke humare readers ki help kar sakte hai.
I hope aapko ye articles pasand aayega or aapko isme useful information milegi. Agar ha to is post ko social media par apne friends ke sath share kar ke humari bhi help kare.
Muhammad Rehan
Ap ne google crawl k zabar dast tips batay i liked it. mere ek Question hai ap se.
Ma off-page SEO kar sakta ho tu kya ma online off-page k zary pasy kama sak ta hon?
Jumedeen Khan
Yes.
Suresh Rathi
Hello Dear Sir,
Webmaster tools per crawl rate change karne se kya benifit and kya lose hain ?
Jumedeen Khan
crawl error fix karne se aapki site ki search rank increase hoti hai. nahi karne se aapko search engine se kam traffic milta hai. Ye post padho Google Webmaster Tools Me Site Crawl Errors Fix Kaise Kare [GWT Guide]
Suresh Rathi
Nahi sir maine puccha crawl rate on webmaster tools not for crawl error! crawl rate badane ya ghatane se site main kya profit aur kya lose hota hain ?
Jumedeen Khan
Suresh is post me yahi btaya gaya hai ki crawl rate kya hai or crawl rate increase karne se kya fayde hai. Read carefully.
Rahul gupta
hello sir mai mafi chata hu ki mai apko baar baar comment krke parwahan kr RHA hu sir mai ye janana chata hu ki fetch as. Google use krna ka koi nuksaan h kya.
Jumedeen Khan
Rahul gupta agar hum kisi bhi kaam ko jarurat se jyada karenge to usme nukshan hoga hi. Example aap bike drive karte ho or use 180 to 240 ki speed hoti hai. But kabhi aap use full speed me nahi chalate ho. Same wese hi gwt me fetch ka option isliye diya hai ki hum google ko ye bta sake ki aapke blog ko author, category, title and information kya kya hai. So simple hai ye aap ek do post se bhi kar sakte ho. har post ko fetch karne ki jarurat nahi hai.
Rahul gupta
sir Ap konsa AdSense plugin use krte ho aur kya vo apne app hi ad plugin krte h
Jumedeen Khan
Ad injection
Rahul gupta
bro Maine aaj post dale aur vo Google par lane ke liye har bar sitemap krna padega ya Google apne aap hi usse index kr lega.
Jumedeen Khan
aapko sirf ek bar site submit karne ki jarurat hai. Uske bad aapki new post apne aap index ho jayegi.
vijay panara
Sir aap ke post bahot acchi hai , aap aise post daal kar New blogger ko bahot help milte hai , mai aap se ek sawal puchana cahta hu ki kay hum TABLET mai blogging kar sakte hai ? Or is mai hum code add ya removed kar sakte Hai , is mai computers ke tarah he blogging kar sakte hai ya koi problem hogi , help me…
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho tablent ke sath ek chotaa sa keyboard bhi aata hai. Wo ek tarah se computer hi ban jata hai. But tablent windows version me honi chahiye. android version me ye fuction nahi honge.
vijay panara
Sir maine new post ke URL Ko google mai index kar diya hai ab 2 di ho gaye par mai is URL ko google mai search karta hu to kus nahi aata to kaya problam hogi plz..
Jumedeen Khan
vijay panara ye koi problem nahi hai. aapki post kitne time me index hogi ye aapke content par depend karta hai.
kassim
sir mera ek question hai, copyright se releted , jaise sir kisi aur example nahi aapka hi leta hu,
Q…….Aaapke blog ka Koi post ko maine puri copy kar li aur usse hum apne blog me sidhe paste kar di to, aur niche me maine https://www.supportmeindia.com ka link bhi add kar di
Q…..Google Adsense ki nazar me wo kitni % copyright kehalaiyegi, that mins isse AdSense approved hone me problem
Jumedeen Khan
Aap direct kisi or ki post ko copy nahi kar sakte. Ha aap usse related kuch content copy karke uske niche us site ka link add kar do to wo post copyright nahi hogi. Kyuki ayse me aap uska promotion kar rahe ho. jaise aap isi post ke bare me likh rahe ho to aap iske kuch content ko copy karke niche likh sakte ho ki adhik jankari ke liye supportmeindia par visit kare.
zishan ali gulzar
WordPress me home page ke image ko chhota kaise karte hai,,,i mean mai jitna bda image post me use karta hun ,,whi image home page ke latest post list me v show hota hai,,jo image thoda chhota rhta hai wo chhota dikhta hai,,,ise kaise thik kare,,ya koi plugin use karna padega
Jumedeen Khan
Zishan mere bhai iske liye aapko WordPress ki coding ki jankari honi chahiye. aapke pas do option hai.
1. aap apni pasand ki theme use karo.
2. aapko codibg aati hai to site coding se image optimize karo.
abhishek kumar
bhai mera AdSense ka option khul gaya hai lekin form fill karne ke bad “submit your application” me click karne par “Unfortunately, our records indicate that you’re not eligible to participate in AdSense at this time. Please be sure to review our Terms and Conditions.” aata hai please help.
Jumedeen Khan
Aap ye post padho or isme btaye step follow karo Adsense Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari
zishan ali gulzar
sir google AdSense ke liye konsa plugin use kare wordpres me,, ap kon sa plugin use karte hai
Jumedeen Khan
mai ad injection use karta hu
Jayanta
Sir I’v a question blog k AdSense account aur YouTube channel k AdSense account ek hi hoga toh chalega ya alag alag banana padega .
Jumedeen Khan
Ek hi AdSense account se aap YouTube or apne sabhi blog par ads laga sakte ho.
Rahul gupta
sir mere ek question h ki asal m Google crawl hota kya h?
aur Ap.meri website KO dekh kr bta skte h ki is me aur kya add krne ki jarurat h.
Jumedeen Khan
Google crawl google ki wo perocessing hai. Jisme googlebot aapki site ki new post ko index karta hai. JIsme kitna time lagta hai. wohi Google crawl rate hotahai.
mohd shariq
bro me apki site ke daily reader hu.. mera name mohd shariq he.. meri site clickmeworld.blogspot.com he. agar hum apne phone ke screenshot se liya hua photo blog per upload kare to kya bo copyright he.. pls tell me
. jume deen bhai pls aap meri site ko ek baar check karke bata dijiye ki muje apni site me aur kya kya karna he.. kya mene apni site ka name sahi rakha he. ya mujhe iska name kuch aur rakhna chahiye.plss help me bro
Jumedeen Khan
Mohd dusro ki cheaz dusro ki hi hoti hai. agar hum kisi or ki photo use karenge to wo humare khilaf action le sakta hai. jaha tak ho sake khud ki images use kiya karo. aap Top 15 Websites To Download Free Stocks Images For Your Blog post me btayi sites se photo download kar use kar sakte ho.
Aapki site open nahi ho rahi hai. Jo mai aapko suggest kar saku.
surendra
aapne wo post abhi tak publish nhi kari fb group auto approval band karne ki…
Jumedeen Khan
Surendra bro time ki problem hai thode se personal kaam karne hai is wajah se blogging me wapasi karne me kuch day lag sakte hai. Plz understand my problem.
Priyanshi Mishra
Bahot hi acchi jaankari, Jumme deen ji,,, Me Ummed karti hu k aap bahot upar jaenge… Aise hi hamari blogging me madad karte rahiye
Jumedeen Khan
Thanks Priyanshi ji aapke muh se aysi bat sun kar acha laga. Your welcome
Umesh Chavan
Another Nice One Post. Thanks for sharing…….:)
zishan ali gulzar
sir WordPress me meta tag search description post me lgana padta hai? kaise ad kare jaise blogspot me lagate the,, WordPress me option kaha rahata hai,,,,
Jumedeen Khan
ap yoast seo plugin use karo. jab aap new post likhoge to aapko iska option mil jayega.
Kabir
Bahut hi acchi tips hain, Mera ek question hain ki meri nayi post ko google console (Webmaster tools) kam se kam 1 hafte baad ya isse bhi zyada time ke baad index karta hain. Kya mera blog blogger par hain, isliye google webmaster ise ek hafta laga deta hain index karne mein. Aur main yeh bhi janna chahta hoon ki WordPress wali websites ki nayi post ko google webmaster tool kitne dino ya hours mein index kar deta hain. Thanks … please reply dijiyega.
Jumedeen Khan
Nahi kabir aysi koi bat nahi hai. google WordPress or blogger dono ki post ko same time me index karta hai. bas iske liye aapki site seo optimize honi chaiye.
kassim
Aap kaise jawab dete ho, puchha kuchh aur ja raha hai, to aap bata kuchh aur rahe ho, aapne bataya koi fix time nahi wo to sahi but jayadatar aadmi ko kitne din lag jate hai, koi average to hogi hi na
Jumedeen Khan
Koi avarage nahi hai. Ye aapki site ke content par depend karta hai. agar approved ho jaye to 1 hours me ho jata hai. ya fri 5+ day bhi lag sakte hai.
Debasish panda
bro,me bigrock se domini kharida hu or usko wapka par dala hu wapka.mobi hotake .com dia hu ta 1 yr ke bad bigrock ko renwl charage dena podega kya
Jumedeen Khan
Ha dena padega isme puchne ki kya bat hai.
suraj deshmukh
Hi sir mere blog ki traffic ek jagah stick ho chuki hai improve hi nahi ho rahi hai. 1 month se daily 3000 Page views hi hai. Seo bhi karta hu aur blog daily update karta hu then what is the reason.
Jumedeen Khan
Aap guest post and social media par apni site ka promotion kiya karo.
kassim
Ha maine padh li but mere to 6 month ho gaye, hai mai utna nahi mere puchhne ke matlab account banane ke kitne time bad approva ho jayega, laghbhag koi bhi time bataye
Jumedeen Khan
Nahi iska koi fix time nahi hai.
S K Pathan
aapne aapke blog par konsi theme use kee hai
Jumedeen Khan
ribbon
kassim
sir maine account to bana li but AdSense ki tarf se koi mail nahi aaya hai, Mai kya samjhu
Jumedeen Khan
Aap ye post padho Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare – Approved Tips
kaasim
aapke kehne ka matlab hai, account banane ke bad add laga sakte ho, but ye add kitne time me show hoga, aise approved hone me kai din lagte hai, to avi add kyu lagaye, Mai confusion me hu, approved kab hoga, add pahele laga le to show kab hoga
Jumedeen Khan
ads lagane ke bad AdSense aapki site ka reivew karega uske bad 2-3 day me AdSense activate hoga tab ad show honge.
vakil shaikh
hello jumedeen bhai aaap bahut hi best article share kar rahe ho muje bhi aapke tararh banaa hai so please ekbaar meri site check karke bataiye ki or kya add karu jisse AdSense account open ho jaye or haa ek problems or hai ki jab mai apne post share karta hu to koi or hi photo aa jata hai share karte vakt aisa kyu ho raha hai.
Jumedeen Khan
Aap sabse pahle domain buy karke apne blog me domain add karo.
Rajesh
Bro restrict app background data kya hota hain?
Jumedeen Khan
iski jankari ke liye yaha click kare
kaasim
sir maine aapke sare AdSense se releted post padha, sir aap hame ye batao, Google AdSense approved hone bad add banane ka options deti hai, ya sir hum AdSense me account banaye add banane ka options mil jayega, maine avi account nahi banaya , bus sir aapse ek bar confirm ho leta hu
Jumedeen Khan
Ha AdSense account banane ke bad aapko ads banane ka option mil jayega. ye post padh lo Adsense Par Ads Kaise Banate Hai in Hindi
Ravi Kumar
please bhaiya apna hi fayada sirf mat dekhiye, aapke blog kholte hi, hame har ek post me pata chal jati thi, kon sa post me kitne comments aaya hai, but ab aapke hat ek post ko open karna padta hai, please isse sahi aise me hum sirf post padhenge, aur din me ek bar kholte total comments padh lenge, aapne socha hoga hat waqt mere post ko sabhi open kare,
mujhe maf kijiyega, bhaiya but mere jagah aap hote to yahi karte,
Jumedeen Khan
Are nahi ravi wo mai blog ko thoda customize kar raha tha. Just wait wo comments option enalbe kar dunga.
Harpreet Kumar
Bahut achi jaankari di hai bhai
naveen
Social media plugin kaun sa use kiya hai
Jumedeen Khan
sumome
shubham mittal
par books m se to PD kr likh skte h ya Google un par bhi kaam krta h
Jumedeen Khan
Ha likh sakte ho but apne hisab se. Same book ke jaisa nahi.
shubham mittal
bro kya hum kisi APK apps m se thoda data copy krke likh skte h ya Google android apps ki bhi jankari rakhta h aur usse bhi copyright manta h
Jumedeen Khan
Nahi hum kahi se bhi copy karke nahi likh sakte hai.
Naveen Poonia
Aapne apni featured image ki setting kaise ki h ? koi plugin install kiya kya ?
aap jo featured image show krrhi h uska size kya h ?
aapki website kafi fast h iska karan ?
koi plugin ?
Jumedeen Khan
Navin iske liye maine apni site ki theme ko optimize kiya hai.
Kuldeep
Sir agar hum WordPress pr blog banaye hosting kharidkr to hum uspr kitni post likh sakte hai maan lo mai regular posting karne lagu or 4-5 saal lakho posts kr sakta hu yadi yes to ek WordPress blog pr kitna kharcha aa jata hai custom domain+hosting+security+design sbka milakr
Jumedeen Khan
domain+hosting+security+design ka monthly charge aapko lagbhag 2000 bharna padega.
Dharmendra
Sory samajh aa gaya hai apki baat esa mat bolo brother main bhi apke blogging skill ka fan hoon , aap kisi ke baat ka jawab itne cool style me dete ho mujhe bahut achha lagta
Jumedeen Khan
Dharmendra agar hum kisi or ki post se related post likte hai to usse hume jyada fayda nahi hota hai. kyuki user use pahle se padh chuke hote hai. Ye SEO ka rules hai. Ab aap ise har post me to follow kar nahi sakte. Ye sirf ek tips hai search engine se jyada traffic pane ki. Ye bilkul wesa hi hai jaise aap 10 post sabse alag likh lo or 100 post dusro se related likh lo. I sure aapko un 10 posts se 100 posts se jyada traffic milega. Ab aap ise kisi bhi nazar se dekh sakte ho. Nahi Dharmendra aysi koi bat nahi hai. But aap is par gor nahi kar rahe the isliye aapko ignore karne ke liye kah diya. Wese jaise jaise aap blogging me old ho jaoge sab samajh jaoge.
Dharmendra
Thank you brother itne achhe tarike se samjhane ke liye,
dilip
mene blog ka template change kr diya h kya hame fir se template me search console ka HTML code dalkar verify karna hoga
Jumedeen Khan
Ha fir se karna padega. Ek h isawal ko bar bar repat mat karo plz.
Dharmendra
Website/blog banane ki jaankari to pahle se internet par thi to phir apne isi topic par post kyun kiya? Maine pahle ise rohit mewada ke website pe padha tha
Jumedeen Khan
Dharmendra aap rahne do aapko samajhna bekar hai ye bat aapke samajh me nahi aayegi. Aapko chahiye ki aap is topic ko ignore kar do.
PRADEEP KUMAR
Sir; Main apke es Crawl Rate/Crawl Error/Robots.txt ke POST ka wait kar rha tha….Thanks
Apne Bataya hai ki Site Speed “Crawl/Traffic Increase” ke liye most important hai;….
I think isliye mere April Month ka Traffic (Earning bhi) kam ho gai hai….
Kya main blog ke Templates ko Dusre “Fast Template” me change kr skta hu……. with Adsense Ads ke sath………. Account Ban/Disable to hai hoga; Sir……..
Jumedeen Khan
Nahi nahi hoga. Aap template change kar sakte ho.
PRADEEP KUMAR
Very Thanks for Giving Suggestion; sir….!!
dilip
bro abhi opera browser se mera blog open karo service unavailable show ho RHA h
Jumedeen Khan
aapka blog opera browser me is time se sahi open ho raha hai. operabrowser me internet slow connection ki wajah se kei bar ye error aata hai. don’t worry.
Dharmendra
Brother apne upar bataya ki milte julte post bhi nahi karna chahiye, lekin maine aise bahut se post dekhe hai jo ek jaise hote hai phir bhi google search karne par show hote hai , jaise ‘website kaise banaye’ is topic par to kai post padhe hai aur sabhi post lagbhag ek jaise hote hai.
Jumedeen Khan
Yes maine bhi aysi nbahut si post dekhi hai. But aap ek bat socho aap inme se kisi ek post ko padhne ke bad kisi or ko padhna chahoge. Shayad nahi. Theek wese hi sabhi user sochte hai or ek jaisi post milne par wo aapki site par visit karna pasand nahi karenge. ummid hai samajh joage.
Rajesh Jat
thanks sir mere abhi crawl stat me , high ,med,low me low “0” hai or sir mene template bdla hai to kya muje fir search console me property verify krani hogi ?
mere is blog me ” tophinditips.blogspot.com ” me mene hindi me content likha hai kya ab me hinglish me likhu to koi problem nhi hai?
or hinglish me likhne ke bad me target international set rkhu ya india hi ?
sir ap ek bar mera blog dekh ke muje btaye me shi to ja rha hu na ? mene apse phle bhi reqst ki thi
Jumedeen Khan
ha aapko fir se apna apne blog ki template me verify code add karna hoga. target country india select karo. aap SEO par dhyan do or post likhne ke rules follow karo.
Ansari
Bahot hi acha post hai Thanks for this information
Ravi Kumar
thanks aap 10 tarike bataye increase karne ke liye , bus ab follow karna hai