Blogging me Image ki jarurat har post me padti hai. or agar hum kisi or ki images use kare to copyrighting hoti hai. to aakhir blog me photo kaha se use kare. ye problem har blogger ko hoti hai. images blog post me add karna better SEO ke liye jaruri hota hai. important bat ye hai ki fir blog ke liye images kaha se download kare. chaliye is post me mai aapko 15 free stocks images websites ke bare me bta raha hu.
Blog ke liye photo kaha se download kare. iske bare me bahut se log google se direct image download kar lete hai. ayse me agar aapki photo copyright huyi to originol photo wali websites aap par case kar sakti hai. or aapki website ban ya search engine par bloxk ho sakti hai. so copyright image se jitna ho sake utna bachna hi chaiye. iske bare me maine pahle hi Blog Post Ke Liye Photo Kaha Se Download Kare – Sabse Aasan Tarika post me copyright image ke bare me details se btaya hai.
Blogging me har post ke liye images ki jarurat padti hai. ayse mai agar aap copyrighting se bachna hai to aap in websites se image download kar use kar sakte ho. ye sabhi website free image sell karti hai. agar aapko free image par copyrighting ka dar hai to aap in websites se bahut kam keemat me bahut sari images buy kharid bhi sakte ho.
Is post me maine aapko jin 15 websites ke bare me btaya hai. unse aap free me photo download kar ke apne blog post me use kar sakte ho. ye free jarur hai but ye 100% copyright nahi hogi. iski koi guaranty nahi hai. aap ache se try kar ke hi iamges use kare.
Top 15 Websites To Download Free Stocks Images For Your Blog
Mai un sabhi website owners ko thanks kahna chahunga jinhone free stocls images website bana kar blogging ki bahut badi prolem ko solve kar diya hai. bloggers ke liye jo image ache se design nahi kar sakte ye websites bahut important hai or wo yaha se image download kar ke apne blog me use kar sakte hai.
1. Flickr
Flickr free sabse achi website hai free photo download karne ke liye. starting me maine bhi ye site use ki thi or aaj bhi karta hu. jab kabhi mujhe apni post ke liye koi image ki jarurat padti hai to mai sabse pahle flickr par visit karta hu. flickr se image download karne ke liye aapko bas is par apne hisab se category select karni padegi or image search karni padegi. uske bad aapko bahut sari images mil jayegi. aapko jo pasand aaye use kar sakte ho.
2. Stock Snap
Stocksnap site par daily 1000ro new images upload ki jati hai. or adhiktar images HD quality ki hot ihai. achi bat ye hai ki aap is site se free me photo download kar apni site par use kar sakte ho. is par se download ki gayi copyright hone ka dar bahut kam hota hai. becoz is par aapko new update yani hal hi me upload ki gayi image mil jayegi. jo abhi tak kisi ne bhi use na ki ho.
3. Designer spics
Iski sari image free hai. aap inhe free me dwonload kar ke apni site par use kar sakte ho. aap flickr ki tarah se hi is site se bhi free stocks photos download kar sakte hai. in my case mai bhi is site se bahut se photos download kar ke apni site par use kar chuka hu.
4. Split Shire
Ye free photos download karne ke liye ek bahut hi achi site hai. iski sari photos ek se badh kar ek desgining ki huyi hai. but is ki sari images free nahi hai. achi or bestimages hone ki wajah se ye ab paid ho chuki hai.
5. Morgue File
Morgue file website ki images best photos me se ek hai. jaha aapko apne kam ki images aasani se mil jayegi. isme aapko navigation drop down wali bahut sari images milegi. is site se bhi aap free me photo download kar sakte ho.
6. Gratisography
Gratisograph site par total images category wise hoti hai. aap aasani se apne blog ke liye is site se image search kar sakte ho. iski bhi images free hai. yaha par aapko bade se bade size ki images mil jayegi.
7. Start Up Stock Photos
is site par adhiktar kisi work ko start karne ki image jyada milti hai. ayse mai jin logo ko starting me images ki jarurat padti hai. wo is site ko istemal kar sakte hai.
8. Free Digital Photos
FreeDigitalPhotos par aapko free royalty photos milegi. iski sari photos free hai. iske alawa aap is site se powerpoint, word , educational projects, photoshop projects and or bhi bahut sari images download kar sakte ho.
9. Stokpic
Is site ki images aap blog ke alawa apne kisi bhi business par use kar sakte ho. iski sari photos free hai. is site par aapko har tarah ke photos mil jayenge.
10. Pixabay
Poxabay site par aapko is waqt 550,000 se bhi jyada Free High Quality Images, free photos mil jayegi. ye sab free hai or aap in images ko apne blog ya aap jaha chaho use kar sakte ho.
11. Pic Jumbo
Is site par aapko no.1 images milegi. or sab ki sab images top quality ki hai. bas isme problem ye hai ki is par adhiktar images paid hot hai. jiska aapko monthly charge dena padega. but aapko images waki me kamal ki milengi. aap agar payment kar sakte ho to bilkul is site ko use kar sakte ho.
12. Stock Photos For Free
Stock Photos For Free website most popular free photo download karne ki site hai. is par se users ab tak 9,00,000 se jyada photos download kar sakte hai. so aap soch sakte hai ki ye site kitni popular hogi. iski bhi images free hai. aap apne blog ke liye yaha se kaisi bhi photo download kar sakte ho.
13. IM FREE
Baki website ki tarah is site se bhi aap free me photos download kar sakte ho. is par bhi aapko unlilited photos mil jayegi. jinhe aap apne blog post me use kar sakte ho.
14. Photogen
Photogen personal work ke liye free images offer karta hai. is site par aapko animals, cultures, nature, business jaisi bahut si categories ki photos mil jayegi. jinge aap free me download kar apne personal work me use kar sakte ho. photogen aapko ek se ek quality ki photos download karne ke liye deta hai. jo ek dam best quality ki images hoti hai.
15. Free Range Stock
aap Free Range Stock se apne blog ke liye images use kar sakte hai. iske liye bas aapko kuch simple step follow karne honge. or Free Range Stock par registration karna padega. sath hi agar aap ek achhe photographer bhi hai to aap Free Range Stock par apne photo upload kar ke online money bhi earn kar sakte ho. sath hi is site par image edit karne ka option bhi hai. finaly ye sabse better site hai photo download karne ke liye.
Note:- Is post me maine aapko jitni bhi websites ke bare me btaya hai. aap un sab se free me image download kar sakte ho. but mai aapko suggest karunga ki kisi bhi websites ki photos use karne se pahle uski terms abd privacy pad le. warna aapki photo copyright ho sakti hai. adhik jankari ke liye ye post pado images download karne ka sabse acha tarika.
- Smart Phone Kar Sakta Hai Ye 10 Kaam Kya Aap Ne Kabhi Try Kiya Hai
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
I hope aapko is post ke padne ke bad images download karne ki problem nahi hogi or aap aane wale time me success banoge. in sari sites ki images free hai. but fir bhi unki terms & conditions pad le to achi bat hai. Agar aap kisi bhi free stocks images site ki photos use karne se pahle uski terms pad loge to future me aapko copurighting ki problem nahi hogi.
By the way post pasand aaye to apna 5 second ka time de kar post ko share jarur kare. or post ke bare me comment jarur kare.
sush
sir…blog ke liye movie poster kaha se download karte hai…bina copyright strike wale photos.
Arhaan malik
Sir ham Kisi ki personal pic LGA sakte hai blog mai jese Sandeep maheshwari motivational speaker toh pic Kaha SE le
Jumedeen khan
Celebrities ki laga sakte ho, no problem.
Jitender singh
JDK bhai kiya hum inn website se image download kar kr youtube par use kar saktey hai kiya youtube allow karega isko yaa iss images se bad mai koi dikaat toh nhi ayegi
Jumedeen Khan
Yes kar sakte ho.
Vishal
Blog post ke liye festival like Diwali Dhanteras etc. Ke liye kaha SE image le sakte hai. In site par to nahi mil rahi hai
hamza
Bhai ek Problem hy
Me Jub bhi apny blog ki post ko fb par share karta hu to post ki pic k bajaey blogger ki background pic show hoti hy
kiya karu me
Jumedeen Khan
Blog ki template change karo.
Muktar Nohri
Bhai mera blog Bollywood News se related h me pic kaha se download kru
2.agar me kisi site se pic download krke post krdu vo site mujh par action nhi lena chahti to kuch nukshan to nhi hoga
3.in jo aapne 15 site ke name btaye h inmse konsi site par mujhe movie se related pic milegi
plz reply fast bro….
Jumedeen Khan
1. Bollywood image aap kahi se bhi use kar sakte ho but kisi ki special nahi. Public photos jo har site par available hai.
2. nahi koi problem nahi.
3. aap search karke dekho.
Sekh Jasimuddin
1. Mera blog ke liye freeimages.com, dreamstime.com se image le sakta hu kya ?
2. Image par uss site ka url hai kaise pata karu ? yadi url hai to iss image use karu to mera blog ka nuksan hoga kya ?
Jumedeen Khan
1. Sekh kisi bhi free stock image provide karne wali site se le sakte ho.
2. pata karne ki jarurat nahi hai image ko hi dek hsakte ho URL likha hoga.
abhisingh71997
hlw JumeDeen Bhai
gr8 job big brother. ..
bhai m v bachpn se apni site bnana chahta tha bt apki help se ab jaa ke pura ho ska ylll tnkuuuuu so much bade Bhai. ..
apki site awesmooooo h ylll gr8 inspiration for all person also me…
But Bhai apka sath aur chahiye bht kuch sikhna baaki hai ylll plz help kr do..
meri pblm hai ki
.Ap kisi aise android app ka naam bta skte ho kya jo blog k liye photo editing k kaam aa jaye jaise ap krte ho matlab text add krna etc …
and bhai koi simple & best free blogger templets ka naam bta do ap plz plz plz
& bhai koi free logo banane wali site ka naam bta do jha se attractive logo ban ske plz & bhai ap plz sbi question ke ans do & plz m site pe jaa kr bta do ki kitna kaam abhi baaki h
Jumedeen Khan
1. Aap gogle me photo editer for android likh kar search karo.
2. aap gooyaabetemplate se template download karo.
3. logo aap photo editer me hi bana sakte ho online banane ki jarurat nahi hai.
shital kumar
sir aapne jo in website ke bare me jo bataye hai us website ka image ham blog post me dalenge to koi dikkat to nahi hogi.
Jumedeen Khan
Nahi nahi hogi aap inse image download karke kahi bhi use kar sakte ho.
Narendra Kurkure
Hii Bhai muje ek image or video bnane ka software btaoo na….
Jumedeen Khan
camatasia
vivek raj
kaise karenge bhai verify mai kuch samjha nhi bhai
Jumedeen Khan
Ye post padho Blog Ko Google, Bing, Yahoo Search Engines Se Kaise Submit Kare
vivek raj
bhai Maine 1 ghanta phle apne blog par domin lgaya.. link to gyanwebpoint.com aaraha hai par mai Jo Google me serch karta hu to mera website ke niche Jo link show hota hai na vo abhi Bhi gyanwebpoint.blogspot.com hai
ye sab thik hoga
Jumedeen Khan
vivek aapke new domain ko index hone me time lagega. Aapko apna name doamin google, bing and other sabhi search engine me fir se verify karna padega.
vivek raj
to bhai mai ab kya karu jisse Hamari Jo post hai uska tittle show ho na ki blog ka name
Jumedeen Khan
Post ke title me 50+ character use kiya karo. but 65 se jyada nahi.
vivek
bhai agr uski post matlv aapko post aage aati hai ..agr aapki post me acchi BATE hai to kaam se kaam mere post ka tittle v to aana chahiye na …ye kya aajata hai mere website ka nam gyanwebpoint ..usme zip se XML me kaise bnaye ye rahta hai ..aap ekbar serch kar pata kar btao na yesa kue hota hai …serch kro zip file ko xml Me kaise badle
Jumedeen Khan
Viveck maine aapki post search ki hai. Aapki post se pahle meri post show ho rahi hai or second me aapki post show ho rahi. Jo ki sahi hai. agar humari post ka title thoda short ho to post title ke last me humare blog ka name show hota hai. Or ha maine socho aapki post se pahle kisi or ki post show ho rahi hogi. But yaha to meri hi post show ho rahi hai. Isliye maine anjane me apni post ko best bta diya. Its my mistake. Mujhe pata hota ki meri hi post hai to mai aysa kabhi nahi kahta.
vivek raj
hello bro …
mai janna chahta hu mai apna ek Post hai jiska tittle hai zip file ko xml Me kaise badle…. ye tittle hai..
or mai jab Google Par serch karta hu zip file ko xml Me kaise badle to mera post serch me 1page ke 2nd line me show hota hai par. .uska tittle gyanwebpoint ye heading show hota hai ..ye kon sa problem hai bhai
Jumedeen Khan
Uski post me aapki post se behtar information hai Isliye.
Deepak
Very nice article jumedeen sir . jumedeen sir jaise hum Facebook apne site ka link dalte hai Aur jaise comment maarte hai toh ya backlinks maanta hai ya nahi
Jumedeen Khan
Ha banta hai.
Bhavna Jain
Sir mujhe template ban na hai but mujhe samjh ni a raha ki me images kese use karu mujhe image insert karte to aati he but bana ni pa ri Kya karu help me
Jumedeen Khan
Aap photoshop software use karo.
Md Barkat
Main blog ko WordPress.com par hosting lena chahta hun kaise le Sakte hai Uska details bataye.
Jumedeen Khan
Ye post padho Hostgator India Se Hosting Kaise Kharide
haresh
sir agar koi cream ka review karna hai toh uski thumbling photo kaha se milegi ??
Jumedeen Khan
upar post me di free sites se mil jayegi. kisi me bhi search kar lo.
aarif raza
sir Google pe kya search kis tarah search kare? agar copyright raha to kya likh k ayega aur agar nhi h to kya likh k ayega?
Jumedeen Khan
jab aap google me koi photo search karo to uske link ko open karo. or check karo ki wo image ki post aapki post se match to nahi ho rahi hai. agar ho rahi hai to wo image use mat karo.
Nitesh Nayak
Sir mujhe samajh nahi aa raha hai mai bohot sara templatr use kiya lekin uska layout accha nahi tha aap koi template meri email id me bhej dijiye aap apna purana template bhej dijiye jab aap blogger me post upload karte the…
Jumedeen Khan
mai ab blogger use nahi karta. so mere pas template nahi hai.
Nitesh Nayak
Sir mere blog ke liye koi aacha template bataiye seo freindly…..
Jumedeen Khan
ye post pado Blog Ke Liye Template Download Karne Ki Top 10 Websites
aarif raza
sir hame kese pata chalega ke yeh photo copyright h ya nhi?
sir copyright pata karne ka koi tarika bata dijiye
Jumedeen Khan
google me search karke dekh sakte ho. wo photo kisi or blog par to nahi hai.
Ravi Kumar
thanks bhaiya aapne meri itni help,you great bhaiya,
mai template ka link aapko mail kar di hai, aap mujhe convert karke bhej dijiyega, aur email se kaise usse received karunga, mujhe mail se download karna padega actually maine aisi file Dekhi hi nahi,
mujhe ummid hai aap meri puri help karoge
Jumedeen Khan
mai aapko jo mail send karunga usme template download karne ka option hoga. us par click karke download kar lena.
sandeep kumar
Merit website open nahi ho rahi hai.
404 nat found as raha hai.
Please bataye kaya problem hai .
Mughe kaya karna chahiye
Jumedeen Khan
maine open ki hai aapki site open ho rahi hai. koi problem nahi hai.
kamlesh
sir
mujhe apne blog ka url jaise example.blogspot.com hi WordPress par trasfar karna hai aur kuch nahi transfer karna hai please sir detal me bataiye
Jumedeen Khan
nahi aysa nahi kar sakte WordPress full paid hai. or us par aap hosting le kar hi apne blog ko transfer kar sakte ho. aap chahate ho ki aapka free blogspot.com domain uspe transfer ho jayega to aysa nahi ho sakta. WordPress par blog banana hai to per month 800-1000 rupees payment karni padegi.
dev
bro mene feedburner use kiya or post ka email aya par jo post he wo email me hi full post show ho rhi thi me chahta hu ki email me sirf post ka title aye puri post wo mere website par hi jakar pad ske iske liye kuch bataieye
Jumedeen Khan
feedburnewr par ja kar publicize par click karke delivery setting set karo.
dabbu
bro kya aap hame asi hi koi related themes bata skte he jo me apni site me use kar saku?
Jumedeen Khan
WordPress.org par search karo bahut mil jayegi.
Ravi Kumar
thanks bhaiya aapne bataya mobile se bhi hum template upload kar sakte hai,
to jaise maine koi bhi template ko download kiya,
ab uske bad mai sidhe apne blog par upload kar satka hu,
ya fir ye problem to nahi na aayegi template ko is file se us file me karo, aisa koi situation to nahi hai,
mera matlab::—mai download karke sidhe upload kar du, isse koi file me change to nahi na karni padegi,
kyuki maine aapko pahele hi bata diya mere ilake me computer ki veavstha nahi hai,
Jumedeen Khan
template download karne ke bad aapko wo zip file se xml file me convert karni padegi. aapke pas computer nahi hai to koi bat nahi aap admin@supportmeindia.com par mujhe template send karke bta dena mai convert kar dunga.
dabbu
Site ka URL Abelelo.com or ye blog blogger par Hi h
Jumedeen Khan
ye site blogger par hi hai. or blogger par template ka pata nahi kar sakte WordPress par kar sakte hai.
sandeep kumar
Q.1- Maine 2nd code bhi try karke dekha liya hai kam nahi kar raha hair.
Q.2 – Jo post maise blogger se WordPress par kiya hai open karne par not found aa raha hai.
Jumedeen Khan
apne WordPress blog par permalink set karo. code kam karega. aap sahi se add karoge to. WordPress par url change ho jate hai. isliye last me html code ke4 bina open honge.
Ravi Kumar
Affiliate Marketing Kya Hai or Isse Income Kaise Hoti Hai
is post me maine aaj se kuchh din pahele comment ki hai, us comment me maine apni site ka link dal di thi, please aap us comment ko delete kar De please ab se mai kisi site pe link nahi dalunga,
aur aapne bhi public ka diya, please bhaiya delete kar dijiye ek request
Jumedeen Khan
koi bat nahi ravi. aysi galti karne wale aap pahle inshan nahi ho. it’s ok
Sandeep kumar
ye code maine blogger ko redirect karne ke liye apke post’ blogger ko WordPress par kaise transfer kare ‘ se liya hai
blogger ke template me code dalne par ye error aa raha hai.
Error parsing XML, line 3, column 11: The content of elements must consist of well-formed character data or markup
apko is error ka screenshot niche link me hai.
Jumedeen Khan
maine post me 2 code diye hai. agar aap pahla code add nahi kar pate ho to dusra code add kar sakte ho.
rovin singh
sir mujhe AdSense par ad ke liye apply karna hai mujhe kya karna hoga kaise me AdSense par account create karu or kya karu
Jumedeen Khan
ye post pado Apna Adsense Account Approved Kaise Kare 4-5 Din Me
vijay singh panwar
Bhai iska kya matlab.???
Hello,
Your contact information associated with Google AdSense was changed on Jan 28, 2016.
For your security, please contact us if you didn’t make this change.
To review your contact information:
Sign in to your AdSense account.
Click the gear icon in the upper right corner of any tab, then, from the drop-down list, select “Payments”
Jumedeen Khan
aapne 28 january, 2016 ko AdSense par date change kiya hai. uska message hai. agar nahi kiya hai to AdSense par ja kar dekho aapka address sahi hai ya nahi.
Ravi Kumar
bhaiya , kya hum mobile se template uploads kar skate hai,
jaise maine apne blog ka icon ya title ko upload karna chaha nahi ho saka , error batane lagta , mai Dar raha hu kahi template ke sath bhi aisa na, ho please guide
actually mere pass pc nahi hai, aur mere aas pass koi subercafe bhi nahi hai,
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho. error network connection ki wajah aata hai. computer or mobile ki same processing hai.
dabbu
Sir kya aap bata sskte he ki ye website ka admin konsi themes use kar raha h or iska blog blogger par Hi WordPress par nhi
Jumedeen Khan
ha bta sakta hu. site ka url btao.
Nitesh Nayak
Sir mere blog ke liye koi aacha template mere email id me send kar dijiye please.
kamlesh
mera blog ka url jaise example.blogdpot.com hai toh woh WordPress par shift ho jayega
Jumedeen Khan
nahi uske liye aapko custom domain lena padega or hosting leni padegi. Blogspot Blog Ko WordPress Par Trasfer Kaise Kare is post par jao sabke bare me bta chuka hu.
Nitesh Nayak
Sir mera blog lock kyu ho gaya hai kya aap bata sakte ho, maine apna naya blog bana liya hai lekin ye lock kyu hua aap bata sakte hain kya
Jumedeen Khan
aapka blog delete ho chuka hai. isliye open nahi ho raha hai.
vijay singh panwar
AAp mere blog ka aaj ka post pado iss tarike se mene AdSense ke ads laagye he lekin wo mobile me sirf yellow plain sheet hii kyo dikh rahi he?
Jumedeen Khan
aapka AdSense jab aapki site ko check kar lega tabhi ads show honge.