Maine pichli post Backlinks Kya Hai? or Ye Blog SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hote Hai me backlink ke bare me details se btaya tha ki backlinks kya hote hai or blog ke liye backlinks ki kya jarurat hoti hai. Aaj is post me hum apni site par quality backlinks prapt karne ke bare me bat karenge.
SEO yani search engines optimization koi simple process nahi hai. SEO ke main to part hote hai first On page SEO and second Off page SEO. On site SEO aapki site ko google me fast index karne, google bots ko aapki site ko samajhne me help karta hai. Jisse aapki site ki SERPs me achi position banti hai. But aapko sirf on page SEO par hi focus karne ki jarurat nahi hai. Aap off page SEO par bhi focus kare or apni site ki SERPs me better position banaye.
- No Follow Vs Do Follow Link Dono Me Kya Difference Hai [Basic SEO]
- (101) Blog Ki Traffic Kaise Badhaye 101 Popular Tarike 2024
Backlinks off page SEO ka hi part hai. Hum apni site par quality backlink bana kar apni site ko search engine me first page par la sakte hai. Agar aapke blog par higher backlinks honge to aapki site ki search engine me high pagerank hogi.
- Blog Ke Liye Long Tail Keywords Search Karne Ki 5 Best Tools
- New Website Blog Ko 2 Day Me Search Engine Me Kaise Laye [Fast Indexing]
So abhi se apni site par quality backlinks pana shuru kar dijiye. I promise aapke blog ko 100% organic traffic milega. In this article, Mai yaha aapko site par quality backlinks pane ke 20 parbhavi (Effective ways) tarike bta raha hu.
Apni Site Par Quality Backlinks Kaise Banaye 20 Badiya Tarike
Backlinks blog ki search position me major role play karte hai. Or jis site par adhik quality backlink hote hai wo SERPs me 1-10 rank par hoti hai. Kya aap bhi chahate ho ki aapki site SERP me achi position me ho.
- Apne blog se related other blog par comments kare.
- Social media sites se aapki site par quality backlinks nahi milte hai. Kyuki wo nofollow link use karte hai. Isliye aap direct social post me apni site ka link add karke dofollow link pa sakte hai.
- Apni site ke liye koi question answer form bana sakte hai.
- Yahoo question answer page par apni site ke page se related question puch sakte hai or usme apni site ke page ka link add kar sakte hai. Sath hi aap dusro ke sawalo ke jawab bhi de sakte hai.
- High quality articles likhne ki koshish kare. Jise sabhi pasand kare or share karna chahe. Agar aap aysa karne me safal hote hai to jaise jaise aapki post viral hogi or reader uske link ko share karenge to aapki site ko backlinks milenge.
- Apni site ke articles ko stumbleupon.com me submit kare.
- Apni site ke liye google and yahoo groups create kare.
- Apni site ke top links ki ek widget create kare or use dusre blog par add kare.
- Agar aapko WordPress ya blogger ki coding aati hai to blog template or theme taiyar kar uske footer me apni site ka link add kare.
- Start blog developing work and add your site link their blogs.
- Numeric se start hone wali post likhe jaise: 5 blogging tips to increase search ranking. Aysi post jaldi viral hoti hai or inse jyada backlinks milte hai.
- Agar aap image design kar sakte ho to apni images free stock image site par hsare kar sakte hai. Or uske sath apni site ka link add kar sakte hai.
- Apni site ke liye ek acha banner banaye or uske bare me apni site par widget add kare. Jo reader aapko really me pasand karte hai wo apni site par aapki site ka banner lagana pasand karenge.
- Apni site ke link ko YouTube par submit kare or YouTube se dofollow backlinks receive kare.
- Dusri sites, company and person ke bare me articles likhe jaise: top 10 blogger AdSense se sabse adhik paise kamane wale.
- Ho sake to upcoming news or event par post likhe. Or is bare me sabse pahle post likhne wale person bane.
- Apne blog se related dusre blog par guest post kare.
- Agar aapka blog WordPress par hai to uske liye blogger par ek blog banaye or usme apne blog ki post ka link share kare.
- Apni site ke liye blog communities use kare. Example – indiblogger
- Pinterest par apni profile banaye or usme apni site ka link add kare. Pinterest par site link add karne ke bad use verify jarur kare.
Final Word:
In sabhi tariko ke alawa sabse badiya tarika hai apne blog par original content share kare or regularly update kare. Isse aapke reader aapko jyada pasand karenge or aapki post ko jyada se jyada share karenge. Aapke bare me apne friends ko btayenge. Jisse aapko apne aap quality backlinks milenge.
- Unlimited Backlinks Check Karne Ki Best Free Tools; OpenLinkProfiler
- Blog Post Me High Quality Keywords Kaise Aur Kaha Use Kare
Agar aapko ye article pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.
Keshav
bhot acha blog hai.
Darshan Lal
hello sir, nice post.
Rajas Restaurant
Nice work
Subhash Kumar
आश्चर्य होता है, की आप कैसे इतने कमेंट पर प्रतिक्रिया दे पाते है, क्या आप अपना ब्लॉग्गिंग रणनीति साझा करना चाहेंगे ?
Harinandan Malhotra
Really i appreciate your hard work and amzing priceless information provided by you. One of the most important blog i read continiously.
Ranjeet Huda
Really i appreciate your hard work and amzing priceless information provided by you. One of the most important blog i read continiously.
Seema Sachan
I want a guest post or backlink on your blog post. Apka article bahut hi shandar hai aur bahut hi important cheeze batai hai. Mujhe bahut achhi lagi apki post.
जुमेदीन खान
at this time, we are not accept guest posting.
Sahil Gupta
bahut badhiya sir jankari di hai aapne
Suraj
Hi, apka article bahut hi informative tha. meri ek problem hai mene apna blog abhi create kiya hai, iske link ko Facebook ne block kr diya hai kya aap bta sakte hain ki me ise Unblock kese kar skta hun. please help me. iske alaba kya aap ek bar mere blog ko check krke bta skte hain koi issue to nhi hai.
जुमेदीन खान
facebook को contact करो
Bhawani Singh
Aapne bahut hi acchi tarah se backlink ke bare me bataya thanks for information.
ujaala yadav
bhai bhut kuch sikha hai aapse aapki lagbhag sabhi post padh li hai jaha jo link aapne diya wahan jakar us post ko bhi padhti jaati hu mai bhi ek nai bloger hu mujhe likhne ka to bhut shok hai lekin apne blog ko chalaana nahi aata ab kuch kuch sheekh rahi hu mai km se km 60 post likh chuki hu beauty and health se raleted lekin mere blog par koi visit hi nahi karta aapse backlink banane ke baare me jaankar bhut achha laga aap ek baar mera bhi blog dekhe or mujhe btaye ki kmi khan par hai pease bhai
जुमेदीन खान
Aap apne blog ka design achha karo, koi achhi theme use karo.
Aakash Nishad
Good information thank u so much
gyanimaster
bahut achi jankari di hai bhai aapne .. sabse alag or sabse umda .. thnks
Ahmed Nawaz
Bhai backlinks kitne dinon me Index hojate hen?
Jumedeen khan
Depend on index jitni jaldi search bots use index karenge utni jaldi index hoga.
Voguefeed
kya Fivver se backlink banwana safe hai ?
Jumedeen khan
Its danger, google ko pata chal gaya ki aapne backlink buy kiye hai to site ko penalty de sakta hai.
Asif khan
Achi post hai…very informative hai sir
Prakash Bhai
apane very good idea diye hain free stock wedsite batakar
Ravi verma
backlinks ke bare me itne aasan shabdon me samjhane ke liye aapka dhanyvad jumedeen bhai. mera ek sawal hai aapse sir kya blog commenting par milne wale no-follow links bhi seo me effective hote hain?
Jumedeen khan
Yes hote hai lekin dofollow link banana jyada better hai.
sachin
Hallo bhai men Google per search kar raha tha do follow back link kese banaye aapni website ke liye to mujhe aapka article mila men full padha to mujhe kafhi nolega
Mili kese backlink banate h or article renk kese karaye aapka article very help full h
Sohail Khan
thank u sir for sharing this info with us its really help me ,,,,,,
Bishal Bhati
Sir Agar Mai kisi website par comment karke backlink banana chahta hu to jab mai us website par comment karta hu to mujhe direct sirf website ka link dalna chahiye ya phir website ki kisi post ka link. Kya isse back link back link quality par koi fark padta hai in dono me se Konsa tarika better hai jarur bataye.
Jumedeen khan
Dono kar sakte ho post lekin post link wale comment se link ko adhiktar site author delete kar dete hai. Aapke post link add karne se samne wale ko lagta hai ki aap sirf backlink ke liye comment kar rahe ho.
Bhaskar papnai
Useful post
Vandana
Sir free me website ki backlink ko check kr skte hai jisse sabhi backlinks dikh jaye.
GanRaj
Hello sir I am big fan of you… I just started website …niche bollywood hai so mujhe Kaha se back links MIL sakate hai
Jumedeen khan
Is topic par bahut sari site hai google search karo.
Rushikesh
Sir, meri website programming related hai to main kahase backlinks le skta hu?
Jumedeen khan
programming content se related bahut site hai gogole search karo aur backlinks banao.
Afreen
Great Article sir
i really needed so thank you so much for sharing this
Sachin
Bahut accha post likha hai thank you..
VK Raj
Hi sir
Aapne backlink ke ware me bahut achi post share ki hai and aapse ek sawal hai ki
mene kisi or ka backlink ke bare me article read kiya jisme indexkings tool ke dwara 15ooo quality backlink receave kar sakte hai aisa unho ne daaba kiya hai.
me aapse puchna chahta hu ki ye quality link hogi ya spam
aap aise hi yes ya no mat bolna is tool ke bare gahrai se jankari karke batana ki ye sahi hai ya galat.
Jumedeen khan
Bro better hai ki aap manually quality backlinks banao. Koi bhi tools aapko quality backlink provide nahi karega. Ye kuch search egnines aur search sites me aapki site ko add kar dega jo aapki site se related bhi nahi honge.
yogesh
thanks for sharing this post its helpful..
vijendra singh
hi sir
Aapse mere kuch sawal hai
1. jab me blogspot par tha to search console > Search analytics click result acha tha lekin jabse wp par aaya hu tab se search anlalytics click zeero show kar raha hai
2. search console >Links to Your Site me No data available show kar raha hai.
3. jab me apni site Open Site Explorer me link chack karta hu to DOMAIN AUTHORITY 14, PAGE AUTHORITY 20 lekin Inbound Links show nahi ho rahi hai.
4. sir wp par transfer hue muhe 1 year ho chuka hai traffic bhi bahut kam mil raha hai ye sab kaise sahi kare
Jumedeen khan
Aap site par traffic badhao sabhi data how hone lag jayega aur analytics code ko blog me sahi se add karo.
yogesh
thanks for sharing information..keep on blogging
VIJENDRA SINGH
hi sir
Aap header me kis type ki ad use karte hai me 728×90 responsive ad use karta hu jo ki mobile me cut ho jata hai lekin aapka full show hota hai plz help me.
Jumedeen Khan
Main responsive ad unit use karta hu.
shanker
Bhai dusro ke site me apni site ka back link kese add kare
Jumedeen Khan
Comment ya guest posting se.
shanker
Guest posting kya hota he Bhai
Jumedeen Khan
Kisi or ke blog par post karna guesting hota hai.
Aditya Singh
Thanks for sharing and keep it up.
bhai mai apni site par dropdown menu button use krna chata hu wo bhi responsive . aap ki help chaheye..
Jumedeen Khan
W3schools site par aapko ek se badh kar ek drop-down menu mil jayenge free me.
Afreen Bano
Great information. Thanks for sharing this………
tom alex
acha article hain.
DEEPAK KUMAR
V.V.V.V NICE POSR SIR
anoop bhatt
bhut badiya post hai sir blogger ke liye dhnyabad
Raghuvar
aapne bohat aacha article share kara
hema
sir aapne bahut jankari diye hain aap plz bataye ki adsense se jaldi kaise aproval kaise kartay hain plz bataye
Jumedeen Khan
Website ka design and setup jaldi complete karo or jaldi traffic badhao. Agar aap ye kaam ek din me complete kar sakte ho tu usi din adsense ke liye appy kar sakte ho.
praveen
Really Nice post bro
vishal
jumedin bhai kya backlink badhane ke liye Hindi blogger ke liye Googleping tool kitna better hai ?
Jumedeen Khan
Nahi, check google latest update.
sapna
ow!Really nice.Thanks for sharing quality full back links .It’s very useful to me.you deserve 1000 Rating
kamal singh
bhut aacha post tha iss post se bhut new bloggero ko bhut madat milegi thank sir
Arjun
aapki post bahot hi achi he sirr..ye post padhkar bahot sare confuzan dur ho gaye…sir muzhe ye jaanna tha ki blogs me comment karne se backlinks mil jati he to aur konsa tarika he ki vaha se backlinks tayar ho sakti he…..pls answer me sirr
Jumedeen Khan
Guest posting.
Nityananda boro
Bro…. Free backlink banaye hai…comment, url submit, other site linking..etc ..kitna din mai result milta hai…plz koi idea bataye
Jumedeen Khan
Is post ko carefully read karo free backlinks ke bare me puchne ki jarurat nahi padegi.
Deepanshu Saxena
Sir kya hindi blog k liye english blog pr backlink bnana sahi rhta h….
mera blog hindi blog h but mujhe US se jyada traffic mil rha h, india se km …kya ye sahi h..??
Jumedeen Khan
Agar aap apni site se related sites se backlink banaoge to jyada achha hoga.
Deepanshu Saxena
Sir kya hm Blog commenting se dofollw backlink bna sakte h….??
Pls suggest kre
Kya guest post se dofollow backlink milta h.
Jumedeen Khan
Nahi, yes guest post se bana sakte ho.
shivaay singh
Hello sir , aaPKI post padkar sayad aisa koye nhi hoga jiska confusion dur na huwa ho . Because app post me apni bato ko etne easy tarike se batate hai ki . Ek bar me hi samajh aa jata hai .
But sir sorry mujhe ek bat samajh nahi aa rahi hai ki jab hum dusare blog par comment karte hai to us se hume kaise backlinks milti hai . Or comment se backlinks pane ke liye kya koye or tarika hai jo mujhe pta nahi . So plz help me .
Jumedeen Khan
Commenting se nofollow backlinks milte hai yes iske bare me maine btaya hai Dusre Blog Par Comment Kar Ke Backlink Kaise Badhaye
Himanshu kumar
अगर मैं अपने site पर किसी app के downloading का link लगता हूँ तो इसके लिए do follow या no follow link का इस्तेमाल करूँ
Jumedeen Khan
nofollow
Prajjwal Dixit
Sir meri post ko 5 din ho gaye aur wo google mein index nahin hui. Main aapki indexing waali techniques bhi use kari tab bhi index nahin ho rahi hai. Please sir bataiye wo post kaise index hogi.
Jumedeen Khan
Dear dixit aap english content likh rahhe ho wo bhi short me jabki aapko pata hona chahiye ki yaha competition bahut jya hai. So aapko dusro se behtar work karna hoga tabhi google me top par aa sakoge.
Prajjwal Dixit
Sir wo koi baat nahin. Lekin post index hi nahin ho rahi toh competition se kya lena dena
Jumedeen Khan
Look here aap achha content likhoge to hi google use index karega.
Purbita Detecha
Thank you ji bahut hi achchi article share ki hai apne.
Himmat singh
Very needful content
Thanks for sharing
Neha Prajapati
jab hum apne post se related others ke post par comment karte hai.
to kabhee to 4 boxes jaise name, email, comment and website ate hain to kya hame apna link only website box mein hee dena chahiye?
aur jb only 3 boxes ate hain like comments, name and email. tab hame apna link kaha add karna chahiye.
aur link sirf domain name ka hee dena chahiye ya post ka url link??
Jumedeen Khan
yes link only URL box me dalo. Jis box me jo btaya hai wo add karo like URL box me URL name box me name or email box me email address.
Neha Prajapati
You share good knowledge… m aksar apke blog par visit karti hu. backlinks ke bare mein mere kai doubts hai. aur m apse puchna chahati hu ki
kya backlinks generator tools use karke hum dofollow backlinks pa sakte hain? Is that way safe or not? aur agar safe hai to kon se tools ap suggest karoge?
pl kya ap meri site ek bar visit kar sakte hai? (sarijankari.com)
bas confirm karna hai ki sab kuch sahee hai ke nahee?
backlinks banane ke liye kaisi sites ko search kare aur?
I will wait for your answer….
Jumedeen Khan
Thanks for like my blog.
Nahi tools e dofollow backlinks nahi bana sakte.
Sabkuch sahi hai.
Jayanta ray
Sir blog post me focus keyword kaha kaha use kare aur 500 word ke post me hum kitne bar keywords ko use kare sakte hai.
Jumedeen Khan
Aapko SEO ke bare me padhna chahiye. Y e2 line ka matter nahi hai.
Rahul Chandra
thanks sir bahut achi post hai ye post mere bahut kam ki hai realy thanks sir.
mai apke blog ko padhta hu to mujhe bahut acha lagta hai sir mujhe bhi ap jaisa banne ka sauk hai support me sir kya karu help kare meri
Nirvik
Backlink k liye comment me blog ki link dalna jaruri hai??
Jumedeen Khan
Nahi URL box me link add karo.
arpi singh
bahut hi achha article likha hai aapne
aap ye sab cheeje matlab article ke liye topic aur content kaha se uthate ho.
Arman khan
Bahut badhiya jankari hai backlink ke bare me. mai new blogger hu muze blog ki backlink me ke bare me kuch bi idea nahi tha. isiliye aapko thanks kahna chahunga, kyoki aapke sabhi post bahut helpful hote hai. http://www.abletricks.com yah mera blog hai. plz muze bataiye ki isme kya kami hai. aur ho sake to backlink bhi dijiye.
abdul razique
Site link or backlink me Kya difference HAIN.
Jumedeen Khan
Site links aapki site ke lins hote hai isme post pages aati hai or backlinks aapko kisi or site milne wale links ko kahte hai.
Rahul Kumar
Nice post..
satya
Jumedeen bhai mai abhi blogging start kiya hu aur mai aapse kuchh suggestion chahta hu aap meri blog par visit karke kuchh suggestion dijiye plz
Jumedeen Khan
Good blog sabkuch theek hai ab bas aap badhiya content likho.
mahendra
mene avi tak 11 post likhee hai or in me se 6 hi google index hui in 6 me se 4 page hai or ak home page hai matar 1 hi post index hui jabki muje index kiye huye 2 mahine ho chuke hain
or jab mai apne blog ko google me search karta hu to kuchh nahi aata hai
please ak bar mere blog ko chaker karein
Jumedeen Khan
Follow google guidelines carefully.
Vinod
मेने आपका ब्लॉग पढ़ा और मुझे इससे बहुत हेल्प मिली जिससे अभी में अपनी साईट के लिए क्वालिटी Backlink बना रहा हु thanks इतनी अच्छी जानकारी देने के लिए
vivek kumar
bahut badhiya jaankari di hain jume bhai aapne, mera ek sawal hai, kya cloudfare ki free service thik hogi WordPress k liye??
Jumedeen Khan
Nahi free service me error aata hai.
suresh kumar gautam
sir ab bhi share nahi ho raha hai plss sir aap ek baar meri website ko check karke dekho plss sir
Jumedeen Khan
Aapka blog sahi se open nahi ho raha only text version open ho raha hai. Aapke lbog par CSS coding me error hai use solve karo.
suresh kumar gautam
hello sir , ek problem ho rahi hai jab mai apni website par post ko share karna chahta hu to bo share nahi ho pati hai or likha aata hai (this page is not available )
to sir ye kaise theek hoga or mai apni post ko kaiae share karoonga plzzz sir koi solution batao
Jumedeen Khan
Browser ki cache history delete karke karo ho jayega.
suresh kumar gautam
hello sir , ye Active Search Result kya hai or isko kaise index karte hai , sir mujhe iske baare me batao plzzzz
Jumedeen Khan
Ye google, yahoo ki tarah ek search engine hai. Iske homepage par hi iske bare me likha hua hai ki isme abhi millions site index hai baki bhi index ho jayegi. But google sabse netter hai.
Harry
sir thank you so much aisi information hindi mein post karne ke liye really thanx sir
Naresh
Sir aapke hisaab se konsi theme ya template best hai jo fast loading ho.
Jumedeen Khan
Maine bahut sari theme use ki but mujhe sabse best genesis hi lagi.
Naresh
Sir aap bahut achi article post karte ho or hume jaldi se samj me bhi aa jata hai….
Bhale hi humari site par traffic nhi hai…
Lekin aapke article se esa mehsoos hota ek na ek din traffic badega jarur….
Jinka pura srey aapko jata hai….
.
Or aap humari site chack kar ke batayiye ki konshi kami hai traffic pe effect pad raha hai ….
Thanks
Jumedeen Khan
Humara vishwas hi hume aage le jata hai. bas apne aap par bharsoha banaye rakho.
Aapki site par traffic ka na hona iska reason aapki template me hai blog ki template chagne karo ye sahi se open nahi hoti.
Rihaan Kumar
ab aap affiliate marketing smi par use kyu ni karte ?
Jumedeen Khan
Karta hu.
Shailesh chaudhary
Bahut acchi jankari di apne.. Thanks
Ajay
Bhai agar google+ me jyada post share karu new gmail id bana kar to new wali id block hone ki chances hogi ya mera blog hi block ho jayega mean mai us email se post share nahi krunga jis pe blog h…..
Jumedeen Khan
Sir aapki ID block hogi blog nahi.
yasir khan saqlaini
bahut hi badhiya bro.. apke blog ko padhne wala kabhi blogging me fail nahi hoga
Deepak kakasiya
Bahut accha post likha hai jdk bro maine mere blog ko kuch design kiya hai aap check karke bata sakte hai ki koi kami hai.
Jumedeen Khan
Blog par home page me sidebar ki lenth layout se jyada hai usme se widget kam karke kam layout se kam karo.
Jandail
bohot achcha ! sir backlinks lene se traffic par effect padta hai ya nahi ?
Jumedeen khan
Yes, aapki site ki search rank better hoti hai.
vivek raj
bro,mai ye janna chahta hu ki backlink banane ke liye.Guest post ya dusre blog par commenting karna jaruri hai kya.
kya blog par daily post dalkar,roj blog ko update karne se kya block ko backlink nhi milegi. plz iske bare me jarur bataye
Jumedeen Khan
Viveck agar aap badiya content likhoge to log khud aapki post ka link apne blog me add karenge or aapko quality backlinks milenge.
Nikhil Jain
sir mai ek nya blogger hoon aur aapke blog ki sari ki sari hi jaankari kaafi fayidemand hai,,shukria new bloggers ki itni help krne k liye kyunki mujh jaise aur bhi kaafi honge jo aapke blog ko parkar use apne blog par use krte honge .
mera ek questionn hai, mera blog hindi stories se related hai to mai use YouTube se kaise backlink kar skta hoon,yeh baat nai smjh ayi,kya YouTube ki videos par jakar comment me apne blog ka naam likhu? ya fir aap kuch hr keh rhe hai? help me.
Jumedeen Khan
Nikhil iske bare me bhi aapko post mil jayegi ye post padho Youtube Se Dofollow Backlinks Kaise Receive Kare Blog Ke Liye
naseem
Sitemap kais banaw mene site banaya tha
Jumedeen Khan
ye post padho Apni Website (Blog) Ke Liye Google Sitemap Kaise Banaye
vivek raj
bro agr mere YouTube par AdSense ka ads show hone lagega to kya mai uska ads lekar apne blog par laga sakta hu kya
Jumedeen Khan
ha laga sakte ho. Bas iske liye aapko site management me apni site ka link add karna hoga.
vivek raj
bro maine apne blog ko fir se Google serch consol me add kiya bhai tab Bhi mere blog ka link blogspot se change nhi ho raha hai.. bhai Blog ka URL to .com me hai
par mai Google par gyanwebpoint serch karta hu na to gyanwebpoint ke niche ka link blogspot rahta hai. jabki upar ka URL .com. ye kaise thik hoga bhai please help karo.
agr domin lgane ke bad Bhi link blogspot raha to hme AdSense apply karne me v dikkt hoga na
Jumedeen Khan
Viveck thoda wait karo google aapke blog ki post ko jaldi hi index kar lega.
piyush
sir, blogger par new domain redirect karne k baad open hone me kitna tym lagta hai
Jumedeen Khan
10-30 minutes
Prince
Hello Jumedeen Sir
1. Aapse 2 baat puchhni hai ki aapne support me hindi aur mozedia ka theme badal kyun diya
Jabki pahle aapki teeno website me same theme thi
Sir theme badalne ka main reason kya tha
2. Sir aapne bataya h ki categories 20 se 30 bana sakte hain
Isse jyada banane se nuksaan hota h
Kis tarah ka nuksaan hota h
Jumedeen Khan
koi nukshan nahi hai. bas readers ko confusing hoti hai.
Prince
Okay sir thank you for information
But sir aapne ye to bataya hi nahi ki aapne hindi aur world wali website ka template badal kyun diya?
Koi main reason ke kasran ya waise hi
Jumedeen Khan
prince wese hi change ki thi. us theme ki speed fast thi isliye.
Prince
Okay Sir thank you for information
sunil bhargav
humari income clicks par hoti hai ya post me jo ads show hote hai un par clicks karne se and main jab bhi apne blog ka preview dekhta hu to ye msg show hota hai. “this content is not availbe in blog AdSense preview” iska matlab kya hai
Jumedeen Khan
ye aapki template problem ki wajah se erro aata hai aap template change karo.
Amaan
Bro jab me facebook page ka name change karta hun to page name change nhi to ye btata hai please ye kiya problem hai
Hi,
We’re unable to update your Page’s name because it looks like the name you requested doesn’t follow our guidelines for Page names. The name you requested suggests that the subject of your Page has changed, which can be confusing for people who like your Page.
Page name change requests that don’t meet our guidelines include changes that may be misleading (ex: renaming “I Love New York” to “I Love San Francisco”). Requests that meet our guidelines include removing descriptions from a Page’s name (ex: renaming “John Smith, Trainer” to “John Smith”).
To create a new Page name request that follows these guidelines, go to the About section of your Page, click Page Info in the left column, then click edit next to your current Page name.
To learn more about changing your Page’s name, visit the Help Center:
faceb ook.com /help/271 60779287 3806 /?ref=cr
If you think the name you requested meets these guidelines, you can ask us to review this decision again by replying to this email or by reopening the case in the Page Support section of your Page’s settings.
Thanks
Jumedeen Khan
Aap only kuch time hi facebook page name or url change kar sakte ho. Is report ke anusar aap ab change nahi kar sakte.
wajid
nice sir g… aapki jitni tarif ki jay utni kam he
Prince
Hello Sir
Main bahut dino se achchha template dhoondh raha tha
Aur ab ek template gooyaabitemplates.com se download kar liya h
Aap ek baar is template ko dekh le ki kaisa h aur kya mujhe apne blog ke liye ye template upload karna chahiye ya koi dusra download karu.
Jumedeen Khan
Acha template hai use kar sakte ho.
Prince
Okay Thank you for information
naseem
Sir mai jab bhi sitemap submit kart a hu to 404 not found ka error aata hair jab ki Maine crawl error fix kiya hua hai
Jumedeen Khan
Naseem pahle aap sitemap ache se banao. uske bad submit karo.
Deepak
Hello jumedeen sir Maine apni site mai changing kiya hai jara dhekh kar btaye Aur meri site kya kami hai Aur Maine semrush tool sahi jaga ragai hai.
Jumedeen Khan
Acha blog hai fast loading hai. Koi kami nahi hai.
Shibam Kar
Thanks sir bohot accha post tha. Main Indiblogger use karta hoo…
arun yadav
aap muje sportskeeda.com ke adsize batao please or wo konsa template use karrahe hai please batao
muje wo ads lagane hai apane site me please batao
Jumedeen Khan
Sorry mai aapko kisi or site ki ads details nahi bta sakta.
AKSHAY AWARKAR
1} Sir Kya Website Banane Ke Liye Course Karana Padata Hai Kya ?
2}Aur Youtube Me 1500000 View Ane Par $1500 Doller ki Income hoti Hai Kya ?
3}Sir Apane To HindiMeHelp Ko Bhi Piche Chod Diya
4}Sir Ab Appki Alexa Rank Kyu Nahi Bhadh Rahi hai ?
Jumedeen Khan
1. jaruri nahi aap tohid jankari ke bad bhi site bana sakte ho.
2. isse bhi jyada ho sakti hai agar original traffic ho.
3. nahi rohit bro abhi mujhse bahut aage hai.
4. abhi mai dusre kaam me busy hu or work nahi kar pa raha hu. Second yaha se aage dheere dheere hi increase hoti hai.
vinod sarode
mere blog par 55 post likh chuka hu main career ke baare main or ab 200-220 page per day view ho rahe hai kya ye sahi hai 55 post me 220 page view hee aaate hai ya kuch gadbad hai.
Jumedeen Khan
Sahi hai. traffic dheere dheere hi increase hota hai.
pavan choudhary
me jab search engine par kuch bhi search karta hu to mere blog ki heading ke baad mere blog ka naam bhi aa jaata hai exam. ” Leader और Leadership Qualities क्या है ? ~ Moral Mantra ” last me ” ~ Moral Mantra ” har heading ke baad aa raha hai ise kaise hatau ?
Jumedeen Khan
Aap post ka title bahut short use kar rahe ho. Lagbhag 55 words ka title use karo. post title ke bad sabhi ke blog ka name aata hai jo ki seo ke liye acha hai ise remove mat karna.
piyush
hlo sir
mera ek blog hai wo blog ka domain mene kisi or ko de diya h or ab agr me us par koi dusra domain add karu to uski saari post spam to nhi hogi na or agr koi bhi search kare to wo pehle wale domain k saath batata hai to wo apne aap hi chala jayega ya mujhe waps dusri post karni pdegi plz sir exaplain k saath batna
Jumedeen Khan
Thode time bad new domain se post show hone lag jayegi.
jitender singh
Sir Ad injection mein 4 box hai jis mein maine 3 mai 3 display and text add use kar liye per samz yeh nhi aa rhaa hai ki iske sath sath mai link ad kasie use karu
Jumedeen Khan
Ad injection me jo char box hai usme se aap second yani random box me ek hi ads code paste kar use 3 jagah par show kar sakte ho.
manish
Sir aapki mai ek baat janna chahata hu ki aapne apne blog me ads homepage pe nahi lagaye hai aapne sare ads apne post me lagaye hai to kya sir isse income icrease hoti hai kya sir please bataye?
Jumedeen Khan
Homepage par ads lagane se site ki loading speed slow ho jati hai.
Murari Kumar
siteprice.org par kisi site ka income sahi batata hai kya
Jumedeen Khan
Koi bhi site kisi site ki fix report nahi bta sakti.
prashant
hlo sir
mene 1and1.com se domain kharida hai nut ab smj nhi aa raha hai ki blogspot par kaise add karu kyuki 1and1.com se kaise add hota sir plz bta dena
Jumedeen Khan
Prshant domain add karne ki process sabhi site par same hoti hai. Bas thoda options ka fark hota hai. Aap blog me custom domaon kaise add kare post padh kar add kar sakte ho.
Harpreet Kumar
Bhai apke blog me bahut se posts hai. Jab me ap new post likhte hotoh usme dusri post ke links dalte ho. Ab itni sari post ko yaad bhi ni rakh skte ..kya aap har ek poat ko chek krte ho usese related konsi post hai ya fer kisi plugin ka use karte ho ek post me duare post ke links dene ke liye.
Jumedeen Khan
WordPress par post me link dalte waqt hume sirf usse related keywords dalne hote hai. Wo post apne aap search ho jati hai fir use add kar dete hai.
coko
Bro,
AdSense k liye sigup kia to yeh mail aya
Thank you for your interest in Google adsense. Unfortunately, after reviewing your application, we’re unable to accept you into AdSense at this time.
We did not approve your application for the reasons listed below.
Insufficient content: To be approved for AdSense and show relevant ads on your site, your pages need to have enough text on them for our specialists to review and for our crawler to be able to determine what your pages are about.
To resolve this issue, please work through the following suggestions:
Make sure that your pages have sufficient text – websites that contain mostly images, videos or Flash animations will not be approved.
Your content should contain complete sentences and paragraphs, not only headlines.
Ensure that your website is fully built and launched before you apply for AdSense – do not apply while your site’s still in a beta or “under construction” phase or only consists of a website template.
Place the ad code on a live page of your website. It does not have to be the main page, but test pages that are empty except for the AdSense ad code will not be approved.
Provide a clear navigation system for your visitors so that they can easily find all of the sections and pages of your website.
Jumedeen Khan
Abhi aapki site AdSense ke liye taiyar nahi hai. Abhi aap apne blog par or post likho or or traffic badhao.
Kabir
Coko, Adsense team ne aapki Website ko isliye approve nahi kiya kyonki aapki koi bhi post kam se kam 500 words ki nahi hain, Maine check kiya tumhari site ko Shero-Shayari likhi hain, Vah bhi 20-30 words ki ek post mein, Adsense aapse Lambi post ki demaand kar raha hain. Kam se kam 500 se jyada words ki post likhna shuru karo, Uske baad hi Adsense ke liye apply karo…
vivek raj
bhai Maine setmap sumit kiya par par ye Jo blog par setmap ja page rahta hai wese mere blog par kaise add hoga
Jumedeen Khan
blog ki template me ja kar jaha or option hai waha add kar sakte ho.
Riya
I am sorry.maine sab comment check kiye bina hee 2nd comment post kiye.and thanks for help eveyone.
Riya
Aap comment ka reply karne me itna der kyu karte hain?
Jumedeen Khan
Riya bahut sare comments aate hai. sabko reply karna padta hai. Isliye thoda time lag jata hai.
Mo Aziz
Bhaut badiya 20 effectie ways bataye hai Jumedeen Bro Aapne
Agar koi bhi Blogger In 20 ways ko follow karta hai to 100% Back link Aur Traffic Bhi kafi milega.
Thanka
Jumedeen Bhai
Kuldeep Singh
To phir show kyon nahi Ho raha jabki Maine verify bhi kar diya hai
Jumedeen Khan
hoda wait karo jab aapke blog par traffic badhega to show hone lag jayegi.
Sandeep Kumar
Bro me blogger template use kar raha hu, aap meri site ko dekh lijiye popular post jaise option pata nahi kyo niche show ho raha hai
Jumedeen Khan
Ok, Ye aapki template me hi problem hai. Aap template ko fir se download karke blog me upload karo.
Kuldeep
Hello Sir, mera ek swaal hai ki alexa rank ke liye custom domain jaruri hai ya blogspot.com se bhi rank Show ho jata hai mere ek blog ka rank Show nhi ho raha maine verify bhi kar diya
Jumedeen Khan
Blogspot.com bhi show ho jata hai. Custom domain jaruri nahi hai.
Kabir
Custom Domain Lene se aapko Alexa Rank mein zyada fayda hota hain, Kyonki Blogspot.com Country ke hisaab se divided ho jati hain, Maslan India mein Blogspot.in, Pakistan mein Blogspot.com, UK mein Blogspot.co.uk aise hi sabhi countries mein Blogspot.com ke url change ho jate hain, Jiski Wajah se Alexa alag-alag Blogspot ke url ki ranking karti hain. Jisse usay alag-alag Blogspot Url ke alag-alag Ranking karni padti hain. Custom Domain ka sabse badhiya fayda yeh hain ki Isse Alexa ko Sirf ek hi Website ko rank karna padta hain aur aapki Website ko acchi tarah se rank deti hain. Mera Blog Blogspot par hain, Isliye Iska Url Blogspot.in Par iski jyada Ranking hoti hain, Lekin Agar mere paas Custom Domain hota toh mujhe aur bhi zyada fayda hota. Kuldeep ji aapne accha kiya ki aapne Custom domain ko set kar liya. Main ab bahut aage nikal aaya hoon, Agar main Custom Domain Set karoon toh Mere Blog ki ranking bahut naye seere se start hogi. Custom Domain ka Fayda toh hain, Maine naya blog banaya hain aur uspar Custom Domain bhi set kiya hain. Thanks…
Jumedeen Khan
Kabir aapki sabh ibate sahi hai. But aap abhi bhi custom domain use kar sakte ho. Agar aapke pas original traffic hai to domain ki ranking increase hone me jyada time nahi lagega.
Riya
mere mobile par maine ek dictionary app download kiya hain.uska size hain 18.45 mb.us appko install karne ke baad us app se koi word search karne ke baad us app ka size 48.71 mb ho jata hain.aisa kyu?
Jumedeen Khan
Caching ki wajah se hum koi bhi application, software or website ko bina caching ke use nahi kar sakte. Humari activities ko yaad rakhne ke liye chaching apne aap save ho jati hai. Aap unhe setting me ja kar delete kar sakte ho.
vivek raj
bro meri post Kabhi Kabhi 2 kue show hoti hai serch me..
mai apna koi Bhi post Google pe serch karta hu to 1 post 2 bar dikhti hai .jabki mai post 1 share kiya hu ek jaisa to 2 kue dikhta h
Jumedeen Khan
Kabhi kabhi aysa ho jata hai ye google searchbot ki problem hai apne aap solve ho jayegi.
Rahul Thakur
agar main referral wali post ko index nahi karwata toh mere blog ke original post toh index honge na ?
Jumedeen Khan
Ha honge.
lucky
mujhe domain chaiye to sabse kam prise me domain kaha se milega
Jumedeen Khan
godaddy se
Rahul Thakur
aapka ek post padha hai maine URL parameter wala usme aapke “No URL” select karne ko bhi kaha hai lekin google form yeh saaf likha hai ki “No URL” select karne se aapka jo bhi post uss parameter ke sath hoga wo index nahi ho payega. Fir jab index hi nahi hoga toh fir google se hamein traffic kaise milega ?
Jumedeen Khan
Rahul aap bilkul sahi kah rahe ho. But hume referral link wali post index nahi karani hai blog ki post index karani hai .Isliye un posts ko search engine se hide karne ke liye kah raha hu. Aap wo post puri ache se padho samajh jaoge.
Umesh KB
Sir apne bahut hi badhiya post Likhe ho.Sir meri website allposthindi.Tk dhekh kar btaye ki koi problem toh nahi hai Aur koi kami to nahi hai aur sir mai kab AdSense apply karu pless
Jumedeen Khan
Blog me koi kami nahi hai. Nahi abhi nahi abhi apne blog par or traffic badhao uske bad AdSense ke liye apply karna.
shubham sharma
nice paji … aapki jitni tarif ki jay utni kam he… bhai muje apna blog word press me chang karna he.. kiya ho jayega.. ???
Jumedeen Khan
Ha ho jayega. Maine iske bare me post ki hai wo padh kar follow kar sakte ho.
Sandeep Kumar
Aap ek bar meri blog open karke dekh lijiye.
Home par post long aur short me show kar raha hai
Jumedeen Khan
Sandeep aapka blog blogger par hai or aap WordPress theme use kar rahe ho. Yahi aapki problem hai blogger template use karo.
Ravi Kumar
Kya mai aapna mail & password bheju
Jumedeen Khan
abhi nahi sham ko 5pm ke bad.
vikram
sir maine aapko bataya tha ki jab main apni website ko google me search karta hu to wha par post ke title ki jagah post ka url show ho rha hai……
sir aapne kaha tha ki wait karo apne aap thik ho jayega
lekin 10 day ho gaye ab tak thik nhi huaa hai
please sir meri help kro
yah mere liye bahot badi problem hai
agar aap iss problem ko solve karne ke rupaye lene chaho to main dene ke liye tayar hu
main aapko meri template bhej dunga
Jumedeen Khan
Vikram mujhse paiso ka lalach mat do mai blogging apne shok ke liye karta hu. aap mujhe facebook par apni id password bta dena mai check karke bta dunga. 5pm ke bad
Pradeep Tyagi
Backlinks bahut hi jaruri hai kisi bhi blog ke liye khaaskar agar kisi Achhi rank wali blogs se mile toh. Bahut hi badiya jaankari di apne bhai.
Ravi Kumar
phir bhi mai aap pe bahrosa karte hue, kya aap mujhe apni 5 min time denge, mujhe doubt hai kahi hu add lagaye ya kaise banaye bahut bate kahi mujhme hi to koi problem nahi, mai aapko apna mail password fb pe bhej dunga, jaisi aapki marzi
Jumedeen Khan
Ok mai aapki site or AdSense check karke dekh lunga.
Milhan
hi bhai, mujhe apse kuch questions the… pls reply jarur krna han
1. Google par konsa topic sabse Jada Search hota hai ?
2. or konsa blog Jada famous hota hai ? news ka technology ka ya kuch dusra ?
3. Ma to bangladesh se hu to india ke Website se Domain or hosting kara sakta hu ?
4. blog ko ache se Design karne ki koi Option hai ? blog pe
5. YouTube par koi funny Video Download karke uski language change karne ki koi app hai ?
yhi kuch ques hai pls ho sake to reply karna help ho jaegi
Jumedeen Khan
1. google adwords planner tools par check karo.
2. blog koi sa bhi ho aapki mehanat se blog ko fomus kar sakte ho.
3. kyu bangaladesh se bhi kar sakte ho.
4. ye post padho Blog Ko Acha Design Karne Ki 20 Important Tips Janiye Hindi Me
5. nahi nahi hai.
Ravi Kumar
ohhhh 6 months hone ke bad apply kiya taki thodi-modi problem bhi hongi to wo approved ho jayega, Avi apply kiye 1 month hone ko hai, total-7 month Approved hone me laghbhag 2 month lag hi jayenge 9 month, Uske bad start hogi low cpc ke sath income yani 1 click me 2-4 rupya Wo bhi muskil se ,
meri mehnat 9 month ka 9*30=270 days
1 days me kam se kam 5 hour to 5*270 days ==1350 hr
aur kahi aap work karoge to aapko 1 hr ka kam se kam 80 rupe mil jayenge, (Mai jub coaching padhta uska experience ke hisab) yani 1350hr*80=108000 yani 1 lakh kahi bhi invaste karte to isse aasani se hoti 2 lakh bhai 2 lakh ko chhod ke mai Google ke pichhe pad gaya,
such kahu to AdSense team ko iski region late kam se kam reply karna chahiye kyuki, post ko ikhne aur kaise likhne hai, kitna dimag lagana padta hai, aapko mujhse 550% jayada pata hoga, Aur aap 1000% samajh bhi rahe hai,
Jumedeen Khan
Ravi mai aapki problem samajhta gu. But sabr ka fal humesha mitha hota hai. Khud ko taklif mat do or thande dimag se wait karo. Google ke pas bahut sare AdSense user hote hai. So kabhi kabhi jyada time bhi lag sakta hai. Plz wait AdSense team aapko mail jarur bhejega.
sunil bhargav
Kya hum AdSense me ad unit apne naam se ya kisi bhi naam se bana sakte hai. Ya fir blog se releted name se hi ad unit banaye. And sir aapne Facebook par reply nahi kiya.
Jumedeen Khan
Kisi bhi name se bana sakte ho.
Sandeep Jinagal
सर में भी पिछले मार्च से हिंदी ब्लॉग्गिंग स्टार्ट करी है . और अब्ब तक में ३०+ पोस्ट लिख चूका हु |
सर बाकि का तो मुझे ज्यादा ज्ञान नहीं है ,पर में एक बात जरुर कहना चाहुंग की Blogging और SEO टिप्स पढने से कुछ नहीं होता | फरक पड़ता है उन्हें try करने पर | क्योकि SEO टीप्स तो में ३ साल से पढ़ रहा हु पर फरक कुछ नहीं पड़ा | लेकिन में पिछले मार्च 2016 से ब्लॉग्गिंग कर रहा हु ..और मेरी पहली और 31 वी पोस्ट में जमीन असमान का फरक है | मतलब ये मुझे सिर्फ प्रैक्टिस करने से ही पता चला है और इस्सी से सिखा है. और आज में जब भी अपनी पहली और 31 वी पोस्ट देखता हु तोह चेहरे पर हलकी सी मुस्कान आ जाती है | मुझे इस बात से कोई फरक नहीं पड़ा की मुझे ब्लॉग्गिंग नहीं आती थी या नहीं आती है पर हाँ में कुछ सिख चूका हु | दिल से मेहनत करना | और अगर सच कहू तोह सर पूरा तोह नहीं कह सकता पर हाँ आपका इसमें 50% सहयोग है.
| धन्यवाद जुमेदीन भाई | धन्यवाद इंडिया | धन्यवाद हिंदी |
Jumedeen Khan
भाई आपने जो बात कही है की सिर्फ पढने से कुछ नहीं होता फॉलो करने से होता है वाकई में मैं तो आपका कायल हो गया आपकी बहुत अची सोच है एक दिन बहुत बड़े ब्लॉगर बनोगे
Sandeep Jinagal
भाई इस बात का तोह मुझे बता नहीं की में कितना बड़ा ब्लॉगर बनुगा . वो तोह टाइम बता देगा क्योकि ये सब मेरी मेहनत पर निर्भर करता है. की में कब तक हर नहीं मानता . क्योकि ब्लॉग्गिंग आदमी के सबर की प्रिक्स्य लेती है की एक आदमी कब तक टिक सकता है. मैंने ब्लॉग्गिंग पैसे कमाने के लिए नहीं की .अगर में ऐसा कहू तोह झूट होगा. पर हाँ ऐसा सिर्फ ३०% ही है .| पर हाँ में खुदा में यकीन रखता हु. | और मेरा एक क्वालिटी BackLink वह भी हैं |
rovin
mera AdSense account fully approved ho gya ha kuch ads bhi active hai par mere blog par koi bhi ads show nhi ho raha hai plzz problm ka solution de.
Jumedeen Khan
Aapne AdSense par ads bana kar blog me add kar liye hai to AdSense ke message ka wait karo. Second nahi kiye hai to AdSense par ad bana kar blog me add karo.
Sandeep Kumar
Hello bro aap mera blog check karo pata nahi kyo post long short show kar rahi hai
Jumedeen Khan
long short show kar rahi hai ka matlab me kya samajyu. Second aapki site ki jagah godaddy ki site open ho rahi hai.
Minsa
Meri online shopping web h
sunil bhargav
sir main jo bhi AdSense par add unit banata hu wo 4-5 din me gayab ho jaati hai, and jab main advanced filter par clicks par clicks karta hu to wo gayab hui saari ad unit mujhe hidden or idle me show hoti hai. main kya karu
Jumedeen Khan
jab hum koi ads bana kar use use nahi karte hai to wo hide ho jata hai. aap ads bana kar use blog me ache se add karo.
surendra rsdp
bhut important jankari di hai aapne bloggers ke liye
mera ek sawaal hai
mai WordPress par puree traha se shift ho gaya hu . Lekin traffic 0 ho gaya hai . ab mujhe yeh batao ki traffic ko fir se normally hone me kitne din ka time lag sakta hai .
Jumedeen Khan
aapki site ko fir se google me index hone me 5-10 day ka time lagega. uske bad traffic normal ho jayega.
jitender singh
Wakai mai sir aap itni mehanat karne ki power kha se laate ho asie koun si chiz hai jo apko apks kaam k prati itna motivate karti hai
Mera toh dimag gum jata hai
Are sir WordPress k theme liye kuch site batye
Jumedeen Khan
Kuch nahi bas aysa karna meri hoby hai. aap WordPress.org par check kare.
jitender singh
Sir Adsense ads k liye koun saa plugin best hai Ad injection ya Advance Ads
Jumedeen Khan
meri pasand to ad injection hai. but aapko jo better lage wo use karo.
rohit
kya ham kisi education site ke sample paper ke downloading ke links apne blog me laga skte hai. Ye bi copyright mana jayega
Jumedeen Khan
agar aap kisi site ka link add karte ho to isme uska promotion hoga. so copyrighting nahi hogi.
Ravi Kumar
bhaiya ab kya karu, AdSense ko chhod du, ye kya avi tak iska na hi koi reply aata hai, maine aapko bhi bataya tha aapne bataya 5 th ko bhej dena but uske bad bhi Maine 6th ko aapko bola , aapne mere post ko approved hi nahi kiya, mujhe laga aap avi bhi busy honge, ab aap hi bataye
Jumedeen Khan
Ravi is time AdSense approved hone me bahut jyada time le raha hai. Bahut se blogger ko ye problem hai. Aapke pass AdSense ke active hone ka wait karne ke alawa koi rasta nahi hai.
Umesh Chavan
very nice information hai brother
Deepak
Very nice post jumedeen sir. Jumedeen sir mujhe affiliated marketing ka banned lagna apni site mai iss ke liya site mai traffic kitne chaiye affiliated lagne mai.
Jumedeen Khan
affiliate marketing se earning karne ke liye kam se kam 10,000 pageviews per day hone chahiye.
Kabir
Jume Deen sir iss time kisi bhi blog aur Website par Google Adsense ke ads kyon nahi dikhayi de rahe hain. About 4:10 PM 7 may 2016 hain, Aapki meri, Sabhi ki website blog par Adsense ke Ads nahi dikhayi de rahe hain. Kya wajah ho sakti hain?
Jumedeen Khan
Kabir aysa kuch bhi nahi hai. Sabhi ki site par ads dikhayi de rahe hai. Aap chrome browser me site open kiya karo.
chaitanya yadav
Sir aap catogary kaise bnate ho
Jumedeen Khan
ye post padho Blogger Me Label Kaise Use Kare Post Categories Ke Liye
kamal jyani
bhai mujhe lagta meri website ka traffic kisi aur ki website per ja rha hai isko kaise check krte hai?
plz help me bro
Jumedeen Khan
Apni site ke stats par check karo ki aapki site par se kis site par kitne click mil rahe hai.
Vivek Darji
hello
mere blog me about author me biography daali aur image Bhi add kiya but meri site Pe show nahi ho Pa rahahe plz..check my site..
Jumedeen Khan
Aap jis page me photo add ki hai uska link btao.
Vivek Darji
bhai mene WordPress me jaake profile edit me jaake about author likha tha uske niche box tha wahape Mene mere baare me likh diya baadme update pe click kar diya lekin ham jahape comment Karte he wahape about author me likha hua show nahi kar rahahe jese aapme kar rahahe
Jumedeen Khan
Vivek aapne theme ki kahi se koi codibg chedi thi kya.
Prabhjit
Second step nahi samaj paya mai.
Jumedeen Khan
Social media par jab hum koi post share karte hai to hume usse koi backlinks nahi mita hai agar hum direct post me link add kare to milta hai.
naseem
Mai WordPress par hosting hostgator are life hair Aur mai WordPress par apni site par aane wala traffic Kaiser Dekhu ..
Jumedeen Khan
Ok WordPress par aap jetpack plugin use karo.
Kabir
Jume Deen sir ek help chahiye, Aaj Google Adsense ka Account khola aur Ads performance mein Sites ko check kiya toh keywords-monitoring-your-success.com naam ki site bhi dikhayi di, Yeh link click dusre tab mein open karke dekha toh yeh mujhe Semalt.com par le gaya. Yeh kya hain, kya yeh mere Adsense ke liye khatra hain. Please help mein Mera Blogger ka platform hain. Please Isse kaise bache. Help me….
Jumedeen Khan
Don’t worry kei bar server problem ki wajah se aysa ho jata hai. Agar is site par aapke ads add hone to AdSense par aapko warning message mil jayega.
rohaan
post me kitne target keyword use kar sakte hai?
Jumedeen Khan
1.5%
surendra
ha par pc me wifi chalu kaise karu
Jumedeen Khan
agar aapke pas laptop hai to wifi driver dalwa lo or agar desktop hai to 500-700 ka lag se wifi lena padega.
surendra
bhai ek trick he android se pc me internet chalane ki jisme hum mobile me hotspot chalu kar ke USB Cable apne pc ya laptop me lagate he to usse net hum pc,laptop me chala sakte he ohhk..
my question- me ye sab chiz karta hu to mera mobile charging hone lagta he aisa kyo.?
Jumedeen Khan
Aap data caple lagaoge to mobile charge hoga hi. Aap bina data cable use kiye bhi hotspot chalju karo or wifi se android mobile se pc ko connect karo. Iske liye data cable lagane ki jarurat nahi hai.
rashid ali
HELLO SIR JIASE AAPKE BLOG MEIN ABOUT BLOG OWNER PAGE HAI YE KAISE BANAYE PLEASE BATAIYYE
Jumedeen Khan
Kisi bhi page me apne bare me likh lo.
sunil bhargav
sir pata nahi aapko kaise nahi dikh raha hai meri site par jo paytm, facebook, game download karne ka button add ho chuka hai. kabhi ye show ho raha hai ki window download kar lo, kya ye sab copyrights images lagane se to nahi hota hai, kyoki jab maine blogging start ki thi to maine kuchh post me copright imge use kar li thi kyoki us samay mujhe pata nahi tha. agar aapko meri site par ye ads (paytm, facebook,game ) ye button show nahi ho rahe hai to inko hatane ka koi upay hai kya jisse main inhe hata saku. and maine copyright image ko post se hata diya hai.
sunil bhargav
maine aapko facebbok par pic. bhi send ki hai aapko meri baat par vishwas ho jayega. aap unhe ek baar dekhe or bataye ki iska solution kya hai
Jumedeen Khan
k mai check karke aapko facebook par reply kar dunga.
Jumedeen Khan
Aap mujhe screenshot dikha sakte ho.
Kabir
Great Tips, Quality Back Links paane ke acche tips hain, Ek baat aur main puchna chahta hoon ki Social Media par Post kaise likhe, Example dijiyega ya phir iske baare mein koi naya article likhiyega, Jisse hame Do-Follow BackLink mil sake. Mere blog ki problem hain ki Log mere blog par aate hain aur direct comment karne ki jagah Aisa likhte hain “Nice Post” aur apna link daal dete hain. 2 se 3 words ka hi sirf istemal karte hain aur backlink daal dete hain. Kai baar toh hud hi ho jati hain kai mahasya aise hote hain jo comment mein Article se related koi baat nahi karte hain aur apna Back Link daal dete hain, bina kisi baat ke. Aise kai comments aate rahte hain, Ab main kya karoon, Aap hi batayiye? Kai aise user hain jinhe meri post se koi lena-dena nahi hain, Apni Website/Blog ka Backlink paane ke liye comment bhi karte hain toh sirf apni website/blog ki link ka. Main kya karoon? Main dartta hoon ki agar unke comment publish na karoo toh isse shayad veh mere daily visitor ho aur shayad veh naraaz na ho jaye.? Please suggestion dijiyega ki aise comments ka kya karna chahiye? Please Reply Jume Deen Bro….
Jumedeen Khan
Kabir aapne to mere dil ki bat kah di. Actually ayse log aapke reader nahi. aapke blog ki traffic ko apne blog par lane ki ki koshish karte hai. Inhe aapki post se koi matlab nahi sirf inko aapki site se traffic chahiye. Aysi comment ko approved karna bevkufi hai. darne se koi fayda nahi jo user aapko real me pasand karte hai wo aapki or aapki site ki izzat karenge. Or jo aapki site par sirf link add karte hai. Unse aapko nukshan hi hai koi g]fayda nahi. Social media par post karne ki jarurat nahi hai sirf apni post ka link add karo.
vivek choudhary
Aapki mehnat ki jitni taarif karo utni kam hai. aapki lagan apne blog ke prati dino din badhte hi badhte hi jaa rahi hai. aap ek din india ke top 1 blogger banoge. hamari duaaen aapke saath hai.
Jumedeen Khan
Thanks vivek. Thanks for support me.