Blog Par Quality Backlinks Kaise Banaye 20 Effective Ways

Maine pichli post Backlinks Kya Hai? or Ye Blog SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hote Hai me backlink ke bare me details se btaya tha ki backlinks kya hote hai or blog ke liye backlinks ki kya jarurat hoti hai. Aaj is post me hum apni site par quality backlinks prapt karne ke bare me bat karenge.

20 Effective Ways To Get Quality Backlins On Your Site

SEO yani search engines optimization koi simple process nahi hai. SEO ke main to part hote hai first On page SEO and second Off page SEO. On site SEO aapki site ko google me fast index karne, google bots ko aapki site ko samajhne me help karta hai. Jisse aapki site ki SERPs me achi position banti hai. But aapko sirf on page SEO par hi focus karne ki jarurat nahi hai. Aap off page SEO par bhi focus kare or apni site ki SERPs me better position banaye.

Backlinks off page SEO ka hi part hai. Hum apni site par quality backlink bana kar apni site ko search engine me first page par la sakte hai. Agar aapke blog par higher backlinks honge to aapki site ki search engine me high pagerank hogi.

So abhi se apni site par quality backlinks pana shuru kar dijiye. I promise aapke blog ko 100% organic traffic milega. In this article, Mai yaha aapko site par quality backlinks pane ke 20 parbhavi (Effective ways) tarike bta raha hu.

Apni Site Par Quality Backlinks Kaise Banaye 20 Badiya Tarike

Backlinks blog ki search position me major role play karte hai. Or jis site par adhik quality backlink hote hai wo SERPs me 1-10 rank par hoti hai. Kya aap bhi chahate ho ki aapki site SERP me achi position me ho.

  1. Apne blog se related other blog par comments kare.
  2. Social media sites se aapki site par quality backlinks nahi milte hai. Kyuki wo nofollow link use karte hai. Isliye aap direct social post me apni site ka link add karke dofollow link pa sakte hai.
  3. Apni site ke liye koi question answer form bana sakte hai.
  4. Yahoo question answer page par apni site ke page se related question puch sakte hai or usme apni site ke page ka link add kar sakte hai. Sath hi aap dusro ke sawalo ke jawab bhi de sakte hai.
  5. High quality articles likhne ki koshish kare. Jise sabhi pasand kare or share karna chahe. Agar aap aysa karne me safal hote hai to jaise jaise aapki post viral hogi or reader uske link ko share karenge to aapki site ko backlinks milenge.
  6. Apni site ke articles ko stumbleupon.com me submit kare.
  7. Apni site ke liye google and yahoo groups create kare.
  8. Apni site ke top links ki ek widget create kare or use dusre blog par add kare.
  9. Agar aapko WordPress ya blogger ki coding aati hai to blog template or theme taiyar kar uske footer me apni site ka link add kare.
  10. Start blog developing work and add your site link their blogs.
  11. Numeric se start hone wali post likhe jaise: 5 blogging tips to increase search ranking. Aysi post jaldi viral hoti hai or inse jyada backlinks milte hai.
  12. Agar aap image design kar sakte ho to apni images free stock image site par hsare kar sakte hai. Or uske sath apni site ka link add kar sakte hai.
  13. Apni site ke liye ek acha banner banaye or uske bare me apni site par widget add kare. Jo reader aapko really me pasand karte hai wo apni site par aapki site ka banner lagana pasand karenge.
  14. Apni site ke link ko YouTube par submit kare or YouTube se dofollow backlinks receive kare.
  15. Dusri sites, company and person ke bare me articles likhe jaise: top 10 blogger AdSense se sabse adhik paise kamane wale.
  16. Ho sake to upcoming news or event par post likhe. Or is bare me sabse pahle post likhne wale person bane.
  17. Apne blog se related dusre blog par guest post kare.
  18. Agar aapka blog WordPress par hai to uske liye blogger par ek blog banaye or usme apne blog ki post ka link share kare.
  19. Apni site ke liye blog communities use kare. Example – indiblogger
  20. Pinterest par apni profile banaye or usme apni site ka link add kare. Pinterest par site link add karne ke bad use verify jarur kare.

Final Word:

In sabhi tariko ke alawa sabse badiya tarika hai apne blog par original content share kare or regularly update kare. Isse aapke reader aapko jyada pasand karenge or aapki post ko jyada se jyada share karenge. Aapke bare me apne friends ko btayenge. Jisse aapko apne aap quality backlinks milenge.

Agar aapko ye article pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.

Reader Interactions

Comments (273)

  1. bhut important jankari di hai aapne bloggers ke liye

    mera ek sawaal hai

    mai WordPress par puree traha se shift ho gaya hu . Lekin traffic 0 ho gaya hai . ab mujhe yeh batao ki traffic ko fir se normally hone me kitne din ka time lag sakta hai .

    • aapki site ko fir se google me index hone me 5-10 day ka time lagega. uske bad traffic normal ho jayega.

  2. Wakai mai sir aap itni mehanat karne ki power kha se laate ho asie koun si chiz hai jo apko apks kaam k prati itna motivate karti hai

    Mera toh dimag gum jata hai

    Are sir WordPress k theme liye kuch site batye

    • Kuch nahi bas aysa karna meri hoby hai. aap WordPress.org par check kare.

  3. Sir Adsense ads k liye koun saa plugin best hai Ad injection ya Advance Ads

    • meri pasand to ad injection hai. but aapko jo better lage wo use karo.

  4. kya ham kisi education site ke sample paper ke downloading ke links apne blog me laga skte hai. Ye bi copyright mana jayega

    • agar aap kisi site ka link add karte ho to isme uska promotion hoga. so copyrighting nahi hogi.

  5. bhaiya ab kya karu, AdSense ko chhod du, ye kya avi tak iska na hi koi reply aata hai, maine aapko bhi bataya tha aapne bataya 5 th ko bhej dena but uske bad bhi Maine 6th ko aapko bola , aapne mere post ko approved hi nahi kiya, mujhe laga aap avi bhi busy honge, ab aap hi bataye

    • Ravi is time AdSense approved hone me bahut jyada time le raha hai. Bahut se blogger ko ye problem hai. Aapke pass AdSense ke active hone ka wait karne ke alawa koi rasta nahi hai.

  6. very nice information hai brother

  7. Very nice post jumedeen sir. Jumedeen sir mujhe affiliated marketing ka banned lagna apni site mai iss ke liya site mai traffic kitne chaiye affiliated lagne mai.

    • affiliate marketing se earning karne ke liye kam se kam 10,000 pageviews per day hone chahiye.

  8. Jume Deen sir iss time kisi bhi blog aur Website par Google Adsense ke ads kyon nahi dikhayi de rahe hain. About 4:10 PM 7 may 2016 hain, Aapki meri, Sabhi ki website blog par Adsense ke Ads nahi dikhayi de rahe hain. Kya wajah ho sakti hain?

  9. bhai mujhe lagta meri website ka traffic kisi aur ki website per ja rha hai isko kaise check krte hai?
    plz help me bro

    • Apni site ke stats par check karo ki aapki site par se kis site par kitne click mil rahe hai.

  10. hello
    mere blog me about author me biography daali aur image Bhi add kiya but meri site Pe show nahi ho Pa rahahe plz..check my site..

    • Aap jis page me photo add ki hai uska link btao.

      • bhai mene WordPress me jaake profile edit me jaake about author likha tha uske niche box tha wahape Mene mere baare me likh diya baadme update pe click kar diya lekin ham jahape comment Karte he wahape about author me likha hua show nahi kar rahahe jese aapme kar rahahe

        • Vivek aapne theme ki kahi se koi codibg chedi thi kya.

  11. Second step nahi samaj paya mai.

    • Social media par jab hum koi post share karte hai to hume usse koi backlinks nahi mita hai agar hum direct post me link add kare to milta hai.

  12. Mai WordPress par hosting hostgator are life hair Aur mai WordPress par apni site par aane wala traffic Kaiser Dekhu ..

    • Ok WordPress par aap jetpack plugin use karo.

  13. Jume Deen sir ek help chahiye, Aaj Google Adsense ka Account khola aur Ads performance mein Sites ko check kiya toh keywords-monitoring-your-success.com naam ki site bhi dikhayi di, Yeh link click dusre tab mein open karke dekha toh yeh mujhe Semalt.com par le gaya. Yeh kya hain, kya yeh mere Adsense ke liye khatra hain. Please help mein Mera Blogger ka platform hain. Please Isse kaise bache. Help me….

    • Don’t worry kei bar server problem ki wajah se aysa ho jata hai. Agar is site par aapke ads add hone to AdSense par aapko warning message mil jayega.

  14. post me kitne target keyword use kar sakte hai?

    • 1.5%

  15. ha par pc me wifi chalu kaise karu

    • agar aapke pas laptop hai to wifi driver dalwa lo or agar desktop hai to 500-700 ka lag se wifi lena padega.

  16. bhai ek trick he android se pc me internet chalane ki jisme hum mobile me hotspot chalu kar ke USB Cable apne pc ya laptop me lagate he to usse net hum pc,laptop me chala sakte he ohhk..
    my question- me ye sab chiz karta hu to mera mobile charging hone lagta he aisa kyo.?

    • Aap data caple lagaoge to mobile charge hoga hi. Aap bina data cable use kiye bhi hotspot chalju karo or wifi se android mobile se pc ko connect karo. Iske liye data cable lagane ki jarurat nahi hai.

  17. HELLO SIR JIASE AAPKE BLOG MEIN ABOUT BLOG OWNER PAGE HAI YE KAISE BANAYE PLEASE BATAIYYE

    • Kisi bhi page me apne bare me likh lo.

  18. sir pata nahi aapko kaise nahi dikh raha hai meri site par jo paytm, facebook, game download karne ka button add ho chuka hai. kabhi ye show ho raha hai ki window download kar lo, kya ye sab copyrights images lagane se to nahi hota hai, kyoki jab maine blogging start ki thi to maine kuchh post me copright imge use kar li thi kyoki us samay mujhe pata nahi tha. agar aapko meri site par ye ads (paytm, facebook,game ) ye button show nahi ho rahe hai to inko hatane ka koi upay hai kya jisse main inhe hata saku. and maine copyright image ko post se hata diya hai.

    • maine aapko facebbok par pic. bhi send ki hai aapko meri baat par vishwas ho jayega. aap unhe ek baar dekhe or bataye ki iska solution kya hai

      • k mai check karke aapko facebook par reply kar dunga.

    • Aap mujhe screenshot dikha sakte ho.

  19. Great Tips, Quality Back Links paane ke acche tips hain, Ek baat aur main puchna chahta hoon ki Social Media par Post kaise likhe, Example dijiyega ya phir iske baare mein koi naya article likhiyega, Jisse hame Do-Follow BackLink mil sake. Mere blog ki problem hain ki Log mere blog par aate hain aur direct comment karne ki jagah Aisa likhte hain “Nice Post” aur apna link daal dete hain. 2 se 3 words ka hi sirf istemal karte hain aur backlink daal dete hain. Kai baar toh hud hi ho jati hain kai mahasya aise hote hain jo comment mein Article se related koi baat nahi karte hain aur apna Back Link daal dete hain, bina kisi baat ke. Aise kai comments aate rahte hain, Ab main kya karoon, Aap hi batayiye? Kai aise user hain jinhe meri post se koi lena-dena nahi hain, Apni Website/Blog ka Backlink paane ke liye comment bhi karte hain toh sirf apni website/blog ki link ka. Main kya karoon? Main dartta hoon ki agar unke comment publish na karoo toh isse shayad veh mere daily visitor ho aur shayad veh naraaz na ho jaye.? Please suggestion dijiyega ki aise comments ka kya karna chahiye? Please Reply Jume Deen Bro….

    • Kabir aapne to mere dil ki bat kah di. Actually ayse log aapke reader nahi. aapke blog ki traffic ko apne blog par lane ki ki koshish karte hai. Inhe aapki post se koi matlab nahi sirf inko aapki site se traffic chahiye. Aysi comment ko approved karna bevkufi hai. darne se koi fayda nahi jo user aapko real me pasand karte hai wo aapki or aapki site ki izzat karenge. Or jo aapki site par sirf link add karte hai. Unse aapko nukshan hi hai koi g]fayda nahi. Social media par post karne ki jarurat nahi hai sirf apni post ka link add karo.

  20. Aapki mehnat ki jitni taarif karo utni kam hai. aapki lagan apne blog ke prati dino din badhte hi badhte hi jaa rahi hai. aap ek din india ke top 1 blogger banoge. hamari duaaen aapke saath hai.

    • Thanks vivek. Thanks for support me.