Maine pichli post Backlinks Kya Hai? or Ye Blog SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hote Hai me backlink ke bare me details se btaya tha ki backlinks kya hote hai or blog ke liye backlinks ki kya jarurat hoti hai. Aaj is post me hum apni site par quality backlinks prapt karne ke bare me bat karenge.
SEO yani search engines optimization koi simple process nahi hai. SEO ke main to part hote hai first On page SEO and second Off page SEO. On site SEO aapki site ko google me fast index karne, google bots ko aapki site ko samajhne me help karta hai. Jisse aapki site ki SERPs me achi position banti hai. But aapko sirf on page SEO par hi focus karne ki jarurat nahi hai. Aap off page SEO par bhi focus kare or apni site ki SERPs me better position banaye.
- No Follow Vs Do Follow Link Dono Me Kya Difference Hai [Basic SEO]
- (101) Blog Ki Traffic Kaise Badhaye 101 Popular Tarike 2025
Backlinks off page SEO ka hi part hai. Hum apni site par quality backlink bana kar apni site ko search engine me first page par la sakte hai. Agar aapke blog par higher backlinks honge to aapki site ki search engine me high pagerank hogi.
- Blog Ke Liye Long Tail Keywords Search Karne Ki 5 Best Tools
- New Website Blog Ko 2 Day Me Search Engine Me Kaise Laye [Fast Indexing]
So abhi se apni site par quality backlinks pana shuru kar dijiye. I promise aapke blog ko 100% organic traffic milega. In this article, Mai yaha aapko site par quality backlinks pane ke 20 parbhavi (Effective ways) tarike bta raha hu.
Apni Site Par Quality Backlinks Kaise Banaye 20 Badiya Tarike
Backlinks blog ki search position me major role play karte hai. Or jis site par adhik quality backlink hote hai wo SERPs me 1-10 rank par hoti hai. Kya aap bhi chahate ho ki aapki site SERP me achi position me ho.
- Apne blog se related other blog par comments kare.
- Social media sites se aapki site par quality backlinks nahi milte hai. Kyuki wo nofollow link use karte hai. Isliye aap direct social post me apni site ka link add karke dofollow link pa sakte hai.
- Apni site ke liye koi question answer form bana sakte hai.
- Yahoo question answer page par apni site ke page se related question puch sakte hai or usme apni site ke page ka link add kar sakte hai. Sath hi aap dusro ke sawalo ke jawab bhi de sakte hai.
- High quality articles likhne ki koshish kare. Jise sabhi pasand kare or share karna chahe. Agar aap aysa karne me safal hote hai to jaise jaise aapki post viral hogi or reader uske link ko share karenge to aapki site ko backlinks milenge.
- Apni site ke articles ko stumbleupon.com me submit kare.
- Apni site ke liye google and yahoo groups create kare.
- Apni site ke top links ki ek widget create kare or use dusre blog par add kare.
- Agar aapko WordPress ya blogger ki coding aati hai to blog template or theme taiyar kar uske footer me apni site ka link add kare.
- Start blog developing work and add your site link their blogs.
- Numeric se start hone wali post likhe jaise: 5 blogging tips to increase search ranking. Aysi post jaldi viral hoti hai or inse jyada backlinks milte hai.
- Agar aap image design kar sakte ho to apni images free stock image site par hsare kar sakte hai. Or uske sath apni site ka link add kar sakte hai.
- Apni site ke liye ek acha banner banaye or uske bare me apni site par widget add kare. Jo reader aapko really me pasand karte hai wo apni site par aapki site ka banner lagana pasand karenge.
- Apni site ke link ko YouTube par submit kare or YouTube se dofollow backlinks receive kare.
- Dusri sites, company and person ke bare me articles likhe jaise: top 10 blogger AdSense se sabse adhik paise kamane wale.
- Ho sake to upcoming news or event par post likhe. Or is bare me sabse pahle post likhne wale person bane.
- Apne blog se related dusre blog par guest post kare.
- Agar aapka blog WordPress par hai to uske liye blogger par ek blog banaye or usme apne blog ki post ka link share kare.
- Apni site ke liye blog communities use kare. Example – indiblogger
- Pinterest par apni profile banaye or usme apni site ka link add kare. Pinterest par site link add karne ke bad use verify jarur kare.
Final Word:
In sabhi tariko ke alawa sabse badiya tarika hai apne blog par original content share kare or regularly update kare. Isse aapke reader aapko jyada pasand karenge or aapki post ko jyada se jyada share karenge. Aapke bare me apne friends ko btayenge. Jisse aapko apne aap quality backlinks milenge.
- Unlimited Backlinks Check Karne Ki Best Free Tools; OpenLinkProfiler
- Blog Post Me High Quality Keywords Kaise Aur Kaha Use Kare
Agar aapko ye article pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.
naseem
Sir mai jab bhi sitemap submit kart a hu to 404 not found ka error aata hair jab ki Maine crawl error fix kiya hua hai
Jumedeen Khan
Naseem pahle aap sitemap ache se banao. uske bad submit karo.
Deepak
Hello jumedeen sir Maine apni site mai changing kiya hai jara dhekh kar btaye Aur meri site kya kami hai Aur Maine semrush tool sahi jaga ragai hai.
Jumedeen Khan
Acha blog hai fast loading hai. Koi kami nahi hai.
Shibam Kar
Thanks sir bohot accha post tha. Main Indiblogger use karta hoo…
arun yadav
aap muje sportskeeda.com ke adsize batao please or wo konsa template use karrahe hai please batao
muje wo ads lagane hai apane site me please batao
Jumedeen Khan
Sorry mai aapko kisi or site ki ads details nahi bta sakta.
AKSHAY AWARKAR
1} Sir Kya Website Banane Ke Liye Course Karana Padata Hai Kya ?
2}Aur Youtube Me 1500000 View Ane Par $1500 Doller ki Income hoti Hai Kya ?
3}Sir Apane To HindiMeHelp Ko Bhi Piche Chod Diya
4}Sir Ab Appki Alexa Rank Kyu Nahi Bhadh Rahi hai ?
Jumedeen Khan
1. jaruri nahi aap tohid jankari ke bad bhi site bana sakte ho.
2. isse bhi jyada ho sakti hai agar original traffic ho.
3. nahi rohit bro abhi mujhse bahut aage hai.
4. abhi mai dusre kaam me busy hu or work nahi kar pa raha hu. Second yaha se aage dheere dheere hi increase hoti hai.
vinod sarode
mere blog par 55 post likh chuka hu main career ke baare main or ab 200-220 page per day view ho rahe hai kya ye sahi hai 55 post me 220 page view hee aaate hai ya kuch gadbad hai.
Jumedeen Khan
Sahi hai. traffic dheere dheere hi increase hota hai.
pavan choudhary
me jab search engine par kuch bhi search karta hu to mere blog ki heading ke baad mere blog ka naam bhi aa jaata hai exam. ” Leader और Leadership Qualities क्या है ? ~ Moral Mantra ” last me ” ~ Moral Mantra ” har heading ke baad aa raha hai ise kaise hatau ?
Jumedeen Khan
Aap post ka title bahut short use kar rahe ho. Lagbhag 55 words ka title use karo. post title ke bad sabhi ke blog ka name aata hai jo ki seo ke liye acha hai ise remove mat karna.
piyush
hlo sir
mera ek blog hai wo blog ka domain mene kisi or ko de diya h or ab agr me us par koi dusra domain add karu to uski saari post spam to nhi hogi na or agr koi bhi search kare to wo pehle wale domain k saath batata hai to wo apne aap hi chala jayega ya mujhe waps dusri post karni pdegi plz sir exaplain k saath batna
Jumedeen Khan
Thode time bad new domain se post show hone lag jayegi.
jitender singh
Sir Ad injection mein 4 box hai jis mein maine 3 mai 3 display and text add use kar liye per samz yeh nhi aa rhaa hai ki iske sath sath mai link ad kasie use karu
Jumedeen Khan
Ad injection me jo char box hai usme se aap second yani random box me ek hi ads code paste kar use 3 jagah par show kar sakte ho.
manish
Sir aapki mai ek baat janna chahata hu ki aapne apne blog me ads homepage pe nahi lagaye hai aapne sare ads apne post me lagaye hai to kya sir isse income icrease hoti hai kya sir please bataye?
Jumedeen Khan
Homepage par ads lagane se site ki loading speed slow ho jati hai.
Murari Kumar
siteprice.org par kisi site ka income sahi batata hai kya
Jumedeen Khan
Koi bhi site kisi site ki fix report nahi bta sakti.
prashant
hlo sir
mene 1and1.com se domain kharida hai nut ab smj nhi aa raha hai ki blogspot par kaise add karu kyuki 1and1.com se kaise add hota sir plz bta dena
Jumedeen Khan
Prshant domain add karne ki process sabhi site par same hoti hai. Bas thoda options ka fark hota hai. Aap blog me custom domaon kaise add kare post padh kar add kar sakte ho.
Harpreet Kumar
Bhai apke blog me bahut se posts hai. Jab me ap new post likhte hotoh usme dusri post ke links dalte ho. Ab itni sari post ko yaad bhi ni rakh skte ..kya aap har ek poat ko chek krte ho usese related konsi post hai ya fer kisi plugin ka use karte ho ek post me duare post ke links dene ke liye.
Jumedeen Khan
WordPress par post me link dalte waqt hume sirf usse related keywords dalne hote hai. Wo post apne aap search ho jati hai fir use add kar dete hai.
coko
Bro,
AdSense k liye sigup kia to yeh mail aya
Thank you for your interest in Google adsense. Unfortunately, after reviewing your application, we’re unable to accept you into AdSense at this time.
We did not approve your application for the reasons listed below.
Insufficient content: To be approved for AdSense and show relevant ads on your site, your pages need to have enough text on them for our specialists to review and for our crawler to be able to determine what your pages are about.
To resolve this issue, please work through the following suggestions:
Make sure that your pages have sufficient text – websites that contain mostly images, videos or Flash animations will not be approved.
Your content should contain complete sentences and paragraphs, not only headlines.
Ensure that your website is fully built and launched before you apply for AdSense – do not apply while your site’s still in a beta or “under construction” phase or only consists of a website template.
Place the ad code on a live page of your website. It does not have to be the main page, but test pages that are empty except for the AdSense ad code will not be approved.
Provide a clear navigation system for your visitors so that they can easily find all of the sections and pages of your website.
Jumedeen Khan
Abhi aapki site AdSense ke liye taiyar nahi hai. Abhi aap apne blog par or post likho or or traffic badhao.
Kabir
Coko, Adsense team ne aapki Website ko isliye approve nahi kiya kyonki aapki koi bhi post kam se kam 500 words ki nahi hain, Maine check kiya tumhari site ko Shero-Shayari likhi hain, Vah bhi 20-30 words ki ek post mein, Adsense aapse Lambi post ki demaand kar raha hain. Kam se kam 500 se jyada words ki post likhna shuru karo, Uske baad hi Adsense ke liye apply karo…
vivek raj
bhai Maine setmap sumit kiya par par ye Jo blog par setmap ja page rahta hai wese mere blog par kaise add hoga
Jumedeen Khan
blog ki template me ja kar jaha or option hai waha add kar sakte ho.
Riya
I am sorry.maine sab comment check kiye bina hee 2nd comment post kiye.and thanks for help eveyone.
Riya
Aap comment ka reply karne me itna der kyu karte hain?
Jumedeen Khan
Riya bahut sare comments aate hai. sabko reply karna padta hai. Isliye thoda time lag jata hai.
Mo Aziz
Bhaut badiya 20 effectie ways bataye hai Jumedeen Bro Aapne
Agar koi bhi Blogger In 20 ways ko follow karta hai to 100% Back link Aur Traffic Bhi kafi milega.
Thanka
Jumedeen Bhai
Kuldeep Singh
To phir show kyon nahi Ho raha jabki Maine verify bhi kar diya hai
Jumedeen Khan
hoda wait karo jab aapke blog par traffic badhega to show hone lag jayegi.
Sandeep Kumar
Bro me blogger template use kar raha hu, aap meri site ko dekh lijiye popular post jaise option pata nahi kyo niche show ho raha hai
Jumedeen Khan
Ok, Ye aapki template me hi problem hai. Aap template ko fir se download karke blog me upload karo.