Maine pichli post Backlinks Kya Hai? or Ye Blog SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hote Hai me backlink ke bare me details se btaya tha ki backlinks kya hote hai or blog ke liye backlinks ki kya jarurat hoti hai. Aaj is post me hum apni site par quality backlinks prapt karne ke bare me bat karenge.
SEO yani search engines optimization koi simple process nahi hai. SEO ke main to part hote hai first On page SEO and second Off page SEO. On site SEO aapki site ko google me fast index karne, google bots ko aapki site ko samajhne me help karta hai. Jisse aapki site ki SERPs me achi position banti hai. But aapko sirf on page SEO par hi focus karne ki jarurat nahi hai. Aap off page SEO par bhi focus kare or apni site ki SERPs me better position banaye.
- No Follow Vs Do Follow Link Dono Me Kya Difference Hai [Basic SEO]
- (101) Blog Ki Traffic Kaise Badhaye 101 Popular Tarike 2025
Backlinks off page SEO ka hi part hai. Hum apni site par quality backlink bana kar apni site ko search engine me first page par la sakte hai. Agar aapke blog par higher backlinks honge to aapki site ki search engine me high pagerank hogi.
- Blog Ke Liye Long Tail Keywords Search Karne Ki 5 Best Tools
- New Website Blog Ko 2 Day Me Search Engine Me Kaise Laye [Fast Indexing]
So abhi se apni site par quality backlinks pana shuru kar dijiye. I promise aapke blog ko 100% organic traffic milega. In this article, Mai yaha aapko site par quality backlinks pane ke 20 parbhavi (Effective ways) tarike bta raha hu.
Apni Site Par Quality Backlinks Kaise Banaye 20 Badiya Tarike
Backlinks blog ki search position me major role play karte hai. Or jis site par adhik quality backlink hote hai wo SERPs me 1-10 rank par hoti hai. Kya aap bhi chahate ho ki aapki site SERP me achi position me ho.
- Apne blog se related other blog par comments kare.
- Social media sites se aapki site par quality backlinks nahi milte hai. Kyuki wo nofollow link use karte hai. Isliye aap direct social post me apni site ka link add karke dofollow link pa sakte hai.
- Apni site ke liye koi question answer form bana sakte hai.
- Yahoo question answer page par apni site ke page se related question puch sakte hai or usme apni site ke page ka link add kar sakte hai. Sath hi aap dusro ke sawalo ke jawab bhi de sakte hai.
- High quality articles likhne ki koshish kare. Jise sabhi pasand kare or share karna chahe. Agar aap aysa karne me safal hote hai to jaise jaise aapki post viral hogi or reader uske link ko share karenge to aapki site ko backlinks milenge.
- Apni site ke articles ko stumbleupon.com me submit kare.
- Apni site ke liye google and yahoo groups create kare.
- Apni site ke top links ki ek widget create kare or use dusre blog par add kare.
- Agar aapko WordPress ya blogger ki coding aati hai to blog template or theme taiyar kar uske footer me apni site ka link add kare.
- Start blog developing work and add your site link their blogs.
- Numeric se start hone wali post likhe jaise: 5 blogging tips to increase search ranking. Aysi post jaldi viral hoti hai or inse jyada backlinks milte hai.
- Agar aap image design kar sakte ho to apni images free stock image site par hsare kar sakte hai. Or uske sath apni site ka link add kar sakte hai.
- Apni site ke liye ek acha banner banaye or uske bare me apni site par widget add kare. Jo reader aapko really me pasand karte hai wo apni site par aapki site ka banner lagana pasand karenge.
- Apni site ke link ko YouTube par submit kare or YouTube se dofollow backlinks receive kare.
- Dusri sites, company and person ke bare me articles likhe jaise: top 10 blogger AdSense se sabse adhik paise kamane wale.
- Ho sake to upcoming news or event par post likhe. Or is bare me sabse pahle post likhne wale person bane.
- Apne blog se related dusre blog par guest post kare.
- Agar aapka blog WordPress par hai to uske liye blogger par ek blog banaye or usme apne blog ki post ka link share kare.
- Apni site ke liye blog communities use kare. Example – indiblogger
- Pinterest par apni profile banaye or usme apni site ka link add kare. Pinterest par site link add karne ke bad use verify jarur kare.
Final Word:
In sabhi tariko ke alawa sabse badiya tarika hai apne blog par original content share kare or regularly update kare. Isse aapke reader aapko jyada pasand karenge or aapki post ko jyada se jyada share karenge. Aapke bare me apne friends ko btayenge. Jisse aapko apne aap quality backlinks milenge.
- Unlimited Backlinks Check Karne Ki Best Free Tools; OpenLinkProfiler
- Blog Post Me High Quality Keywords Kaise Aur Kaha Use Kare
Agar aapko ye article pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.
Harry
sir thank you so much aisi information hindi mein post karne ke liye really thanx sir
Naresh
Sir aapke hisaab se konsi theme ya template best hai jo fast loading ho.
Jumedeen Khan
Maine bahut sari theme use ki but mujhe sabse best genesis hi lagi.
Naresh
Sir aap bahut achi article post karte ho or hume jaldi se samj me bhi aa jata hai….
Bhale hi humari site par traffic nhi hai…
Lekin aapke article se esa mehsoos hota ek na ek din traffic badega jarur….
Jinka pura srey aapko jata hai….
.
Or aap humari site chack kar ke batayiye ki konshi kami hai traffic pe effect pad raha hai ….
Thanks
Jumedeen Khan
Humara vishwas hi hume aage le jata hai. bas apne aap par bharsoha banaye rakho.
Aapki site par traffic ka na hona iska reason aapki template me hai blog ki template chagne karo ye sahi se open nahi hoti.
Rihaan Kumar
ab aap affiliate marketing smi par use kyu ni karte ?
Jumedeen Khan
Karta hu.
Shailesh chaudhary
Bahut acchi jankari di apne.. Thanks
Ajay
Bhai agar google+ me jyada post share karu new gmail id bana kar to new wali id block hone ki chances hogi ya mera blog hi block ho jayega mean mai us email se post share nahi krunga jis pe blog h…..
Jumedeen Khan
Sir aapki ID block hogi blog nahi.
yasir khan saqlaini
bahut hi badhiya bro.. apke blog ko padhne wala kabhi blogging me fail nahi hoga
Deepak kakasiya
Bahut accha post likha hai jdk bro maine mere blog ko kuch design kiya hai aap check karke bata sakte hai ki koi kami hai.
Jumedeen Khan
Blog par home page me sidebar ki lenth layout se jyada hai usme se widget kam karke kam layout se kam karo.
Jandail
bohot achcha ! sir backlinks lene se traffic par effect padta hai ya nahi ?
Jumedeen khan
Yes, aapki site ki search rank better hoti hai.
vivek raj
bro,mai ye janna chahta hu ki backlink banane ke liye.Guest post ya dusre blog par commenting karna jaruri hai kya.
kya blog par daily post dalkar,roj blog ko update karne se kya block ko backlink nhi milegi. plz iske bare me jarur bataye
Jumedeen Khan
Viveck agar aap badiya content likhoge to log khud aapki post ka link apne blog me add karenge or aapko quality backlinks milenge.
Nikhil Jain
sir mai ek nya blogger hoon aur aapke blog ki sari ki sari hi jaankari kaafi fayidemand hai,,shukria new bloggers ki itni help krne k liye kyunki mujh jaise aur bhi kaafi honge jo aapke blog ko parkar use apne blog par use krte honge .
mera ek questionn hai, mera blog hindi stories se related hai to mai use YouTube se kaise backlink kar skta hoon,yeh baat nai smjh ayi,kya YouTube ki videos par jakar comment me apne blog ka naam likhu? ya fir aap kuch hr keh rhe hai? help me.
Jumedeen Khan
Nikhil iske bare me bhi aapko post mil jayegi ye post padho Youtube Se Dofollow Backlinks Kaise Receive Kare Blog Ke Liye
naseem
Sitemap kais banaw mene site banaya tha
Jumedeen Khan
ye post padho Apni Website (Blog) Ke Liye Google Sitemap Kaise Banaye
vivek raj
bro agr mere YouTube par AdSense ka ads show hone lagega to kya mai uska ads lekar apne blog par laga sakta hu kya
Jumedeen Khan
ha laga sakte ho. Bas iske liye aapko site management me apni site ka link add karna hoga.
vivek raj
bro maine apne blog ko fir se Google serch consol me add kiya bhai tab Bhi mere blog ka link blogspot se change nhi ho raha hai.. bhai Blog ka URL to .com me hai
par mai Google par gyanwebpoint serch karta hu na to gyanwebpoint ke niche ka link blogspot rahta hai. jabki upar ka URL .com. ye kaise thik hoga bhai please help karo.
agr domin lgane ke bad Bhi link blogspot raha to hme AdSense apply karne me v dikkt hoga na
Jumedeen Khan
Viveck thoda wait karo google aapke blog ki post ko jaldi hi index kar lega.
piyush
sir, blogger par new domain redirect karne k baad open hone me kitna tym lagta hai
Jumedeen Khan
10-30 minutes
Prince
Hello Jumedeen Sir
1. Aapse 2 baat puchhni hai ki aapne support me hindi aur mozedia ka theme badal kyun diya
Jabki pahle aapki teeno website me same theme thi
Sir theme badalne ka main reason kya tha
2. Sir aapne bataya h ki categories 20 se 30 bana sakte hain
Isse jyada banane se nuksaan hota h
Kis tarah ka nuksaan hota h
Jumedeen Khan
koi nukshan nahi hai. bas readers ko confusing hoti hai.
Prince
Okay sir thank you for information
But sir aapne ye to bataya hi nahi ki aapne hindi aur world wali website ka template badal kyun diya?
Koi main reason ke kasran ya waise hi
Jumedeen Khan
prince wese hi change ki thi. us theme ki speed fast thi isliye.
Prince
Okay Sir thank you for information
sunil bhargav
humari income clicks par hoti hai ya post me jo ads show hote hai un par clicks karne se and main jab bhi apne blog ka preview dekhta hu to ye msg show hota hai. “this content is not availbe in blog AdSense preview” iska matlab kya hai
Jumedeen Khan
ye aapki template problem ki wajah se erro aata hai aap template change karo.
Amaan
Bro jab me facebook page ka name change karta hun to page name change nhi to ye btata hai please ye kiya problem hai
Hi,
We’re unable to update your Page’s name because it looks like the name you requested doesn’t follow our guidelines for Page names. The name you requested suggests that the subject of your Page has changed, which can be confusing for people who like your Page.
Page name change requests that don’t meet our guidelines include changes that may be misleading (ex: renaming “I Love New York” to “I Love San Francisco”). Requests that meet our guidelines include removing descriptions from a Page’s name (ex: renaming “John Smith, Trainer” to “John Smith”).
To create a new Page name request that follows these guidelines, go to the About section of your Page, click Page Info in the left column, then click edit next to your current Page name.
To learn more about changing your Page’s name, visit the Help Center:
faceb ook.com /help/271 60779287 3806 /?ref=cr
If you think the name you requested meets these guidelines, you can ask us to review this decision again by replying to this email or by reopening the case in the Page Support section of your Page’s settings.
Thanks
Jumedeen Khan
Aap only kuch time hi facebook page name or url change kar sakte ho. Is report ke anusar aap ab change nahi kar sakte.
wajid
nice sir g… aapki jitni tarif ki jay utni kam he
Prince
Hello Sir
Main bahut dino se achchha template dhoondh raha tha
Aur ab ek template gooyaabitemplates.com se download kar liya h
Aap ek baar is template ko dekh le ki kaisa h aur kya mujhe apne blog ke liye ye template upload karna chahiye ya koi dusra download karu.
Jumedeen Khan
Acha template hai use kar sakte ho.
Prince
Okay Thank you for information