Maine pichli post Backlinks Kya Hai? or Ye Blog SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hote Hai me backlink ke bare me details se btaya tha ki backlinks kya hote hai or blog ke liye backlinks ki kya jarurat hoti hai. Aaj is post me hum apni site par quality backlinks prapt karne ke bare me bat karenge.
SEO yani search engines optimization koi simple process nahi hai. SEO ke main to part hote hai first On page SEO and second Off page SEO. On site SEO aapki site ko google me fast index karne, google bots ko aapki site ko samajhne me help karta hai. Jisse aapki site ki SERPs me achi position banti hai. But aapko sirf on page SEO par hi focus karne ki jarurat nahi hai. Aap off page SEO par bhi focus kare or apni site ki SERPs me better position banaye.
- No Follow Vs Do Follow Link Dono Me Kya Difference Hai [Basic SEO]
- (101) Blog Ki Traffic Kaise Badhaye 101 Popular Tarike 2025
Backlinks off page SEO ka hi part hai. Hum apni site par quality backlink bana kar apni site ko search engine me first page par la sakte hai. Agar aapke blog par higher backlinks honge to aapki site ki search engine me high pagerank hogi.
- Blog Ke Liye Long Tail Keywords Search Karne Ki 5 Best Tools
- New Website Blog Ko 2 Day Me Search Engine Me Kaise Laye [Fast Indexing]
So abhi se apni site par quality backlinks pana shuru kar dijiye. I promise aapke blog ko 100% organic traffic milega. In this article, Mai yaha aapko site par quality backlinks pane ke 20 parbhavi (Effective ways) tarike bta raha hu.
Apni Site Par Quality Backlinks Kaise Banaye 20 Badiya Tarike
Backlinks blog ki search position me major role play karte hai. Or jis site par adhik quality backlink hote hai wo SERPs me 1-10 rank par hoti hai. Kya aap bhi chahate ho ki aapki site SERP me achi position me ho.
- Apne blog se related other blog par comments kare.
- Social media sites se aapki site par quality backlinks nahi milte hai. Kyuki wo nofollow link use karte hai. Isliye aap direct social post me apni site ka link add karke dofollow link pa sakte hai.
- Apni site ke liye koi question answer form bana sakte hai.
- Yahoo question answer page par apni site ke page se related question puch sakte hai or usme apni site ke page ka link add kar sakte hai. Sath hi aap dusro ke sawalo ke jawab bhi de sakte hai.
- High quality articles likhne ki koshish kare. Jise sabhi pasand kare or share karna chahe. Agar aap aysa karne me safal hote hai to jaise jaise aapki post viral hogi or reader uske link ko share karenge to aapki site ko backlinks milenge.
- Apni site ke articles ko stumbleupon.com me submit kare.
- Apni site ke liye google and yahoo groups create kare.
- Apni site ke top links ki ek widget create kare or use dusre blog par add kare.
- Agar aapko WordPress ya blogger ki coding aati hai to blog template or theme taiyar kar uske footer me apni site ka link add kare.
- Start blog developing work and add your site link their blogs.
- Numeric se start hone wali post likhe jaise: 5 blogging tips to increase search ranking. Aysi post jaldi viral hoti hai or inse jyada backlinks milte hai.
- Agar aap image design kar sakte ho to apni images free stock image site par hsare kar sakte hai. Or uske sath apni site ka link add kar sakte hai.
- Apni site ke liye ek acha banner banaye or uske bare me apni site par widget add kare. Jo reader aapko really me pasand karte hai wo apni site par aapki site ka banner lagana pasand karenge.
- Apni site ke link ko YouTube par submit kare or YouTube se dofollow backlinks receive kare.
- Dusri sites, company and person ke bare me articles likhe jaise: top 10 blogger AdSense se sabse adhik paise kamane wale.
- Ho sake to upcoming news or event par post likhe. Or is bare me sabse pahle post likhne wale person bane.
- Apne blog se related dusre blog par guest post kare.
- Agar aapka blog WordPress par hai to uske liye blogger par ek blog banaye or usme apne blog ki post ka link share kare.
- Apni site ke liye blog communities use kare. Example – indiblogger
- Pinterest par apni profile banaye or usme apni site ka link add kare. Pinterest par site link add karne ke bad use verify jarur kare.
Final Word:
In sabhi tariko ke alawa sabse badiya tarika hai apne blog par original content share kare or regularly update kare. Isse aapke reader aapko jyada pasand karenge or aapki post ko jyada se jyada share karenge. Aapke bare me apne friends ko btayenge. Jisse aapko apne aap quality backlinks milenge.
- Unlimited Backlinks Check Karne Ki Best Free Tools; OpenLinkProfiler
- Blog Post Me High Quality Keywords Kaise Aur Kaha Use Kare
Agar aapko ye article pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.
yogesh
thanks for sharing this post its helpful..
vijendra singh
hi sir
Aapse mere kuch sawal hai
1. jab me blogspot par tha to search console > Search analytics click result acha tha lekin jabse wp par aaya hu tab se search anlalytics click zeero show kar raha hai
2. search console >Links to Your Site me No data available show kar raha hai.
3. jab me apni site Open Site Explorer me link chack karta hu to DOMAIN AUTHORITY 14, PAGE AUTHORITY 20 lekin Inbound Links show nahi ho rahi hai.
4. sir wp par transfer hue muhe 1 year ho chuka hai traffic bhi bahut kam mil raha hai ye sab kaise sahi kare
Jumedeen khan
Aap site par traffic badhao sabhi data how hone lag jayega aur analytics code ko blog me sahi se add karo.
yogesh
thanks for sharing information..keep on blogging
VIJENDRA SINGH
hi sir
Aap header me kis type ki ad use karte hai me 728×90 responsive ad use karta hu jo ki mobile me cut ho jata hai lekin aapka full show hota hai plz help me.
Jumedeen Khan
Main responsive ad unit use karta hu.
shanker
Bhai dusro ke site me apni site ka back link kese add kare
Jumedeen Khan
Comment ya guest posting se.
shanker
Guest posting kya hota he Bhai
Jumedeen Khan
Kisi or ke blog par post karna guesting hota hai.
Aditya Singh
Thanks for sharing and keep it up.
bhai mai apni site par dropdown menu button use krna chata hu wo bhi responsive . aap ki help chaheye..
Jumedeen Khan
W3schools site par aapko ek se badh kar ek drop-down menu mil jayenge free me.
Afreen Bano
Great information. Thanks for sharing this………
tom alex
acha article hain.
DEEPAK KUMAR
V.V.V.V NICE POSR SIR
anoop bhatt
bhut badiya post hai sir blogger ke liye dhnyabad
Raghuvar
aapne bohat aacha article share kara
hema
sir aapne bahut jankari diye hain aap plz bataye ki adsense se jaldi kaise aproval kaise kartay hain plz bataye
Jumedeen Khan
Website ka design and setup jaldi complete karo or jaldi traffic badhao. Agar aap ye kaam ek din me complete kar sakte ho tu usi din adsense ke liye appy kar sakte ho.
praveen
Really Nice post bro
vishal
jumedin bhai kya backlink badhane ke liye Hindi blogger ke liye Googleping tool kitna better hai ?
Jumedeen Khan
Nahi, check google latest update.
sapna
ow!Really nice.Thanks for sharing quality full back links .It’s very useful to me.you deserve 1000 Rating
kamal singh
bhut aacha post tha iss post se bhut new bloggero ko bhut madat milegi thank sir
Arjun
aapki post bahot hi achi he sirr..ye post padhkar bahot sare confuzan dur ho gaye…sir muzhe ye jaanna tha ki blogs me comment karne se backlinks mil jati he to aur konsa tarika he ki vaha se backlinks tayar ho sakti he…..pls answer me sirr
Jumedeen Khan
Guest posting.
Nityananda boro
Bro…. Free backlink banaye hai…comment, url submit, other site linking..etc ..kitna din mai result milta hai…plz koi idea bataye
Jumedeen Khan
Is post ko carefully read karo free backlinks ke bare me puchne ki jarurat nahi padegi.
Deepanshu Saxena
Sir kya hindi blog k liye english blog pr backlink bnana sahi rhta h….
mera blog hindi blog h but mujhe US se jyada traffic mil rha h, india se km …kya ye sahi h..??
Jumedeen Khan
Agar aap apni site se related sites se backlink banaoge to jyada achha hoga.
Deepanshu Saxena
Sir kya hm Blog commenting se dofollw backlink bna sakte h….??
Pls suggest kre
Kya guest post se dofollow backlink milta h.
Jumedeen Khan
Nahi, yes guest post se bana sakte ho.