Blog Par Quality Backlinks Kaise Banaye 20 Effective Ways

Maine pichli post Backlinks Kya Hai? or Ye Blog SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hote Hai me backlink ke bare me details se btaya tha ki backlinks kya hote hai or blog ke liye backlinks ki kya jarurat hoti hai. Aaj is post me hum apni site par quality backlinks prapt karne ke bare me bat karenge.

20 Effective Ways To Get Quality Backlins On Your Site

SEO yani search engines optimization koi simple process nahi hai. SEO ke main to part hote hai first On page SEO and second Off page SEO. On site SEO aapki site ko google me fast index karne, google bots ko aapki site ko samajhne me help karta hai. Jisse aapki site ki SERPs me achi position banti hai. But aapko sirf on page SEO par hi focus karne ki jarurat nahi hai. Aap off page SEO par bhi focus kare or apni site ki SERPs me better position banaye.

Backlinks off page SEO ka hi part hai. Hum apni site par quality backlink bana kar apni site ko search engine me first page par la sakte hai. Agar aapke blog par higher backlinks honge to aapki site ki search engine me high pagerank hogi.

So abhi se apni site par quality backlinks pana shuru kar dijiye. I promise aapke blog ko 100% organic traffic milega. In this article, Mai yaha aapko site par quality backlinks pane ke 20 parbhavi (Effective ways) tarike bta raha hu.

Apni Site Par Quality Backlinks Kaise Banaye 20 Badiya Tarike

Backlinks blog ki search position me major role play karte hai. Or jis site par adhik quality backlink hote hai wo SERPs me 1-10 rank par hoti hai. Kya aap bhi chahate ho ki aapki site SERP me achi position me ho.

  1. Apne blog se related other blog par comments kare.
  2. Social media sites se aapki site par quality backlinks nahi milte hai. Kyuki wo nofollow link use karte hai. Isliye aap direct social post me apni site ka link add karke dofollow link pa sakte hai.
  3. Apni site ke liye koi question answer form bana sakte hai.
  4. Yahoo question answer page par apni site ke page se related question puch sakte hai or usme apni site ke page ka link add kar sakte hai. Sath hi aap dusro ke sawalo ke jawab bhi de sakte hai.
  5. High quality articles likhne ki koshish kare. Jise sabhi pasand kare or share karna chahe. Agar aap aysa karne me safal hote hai to jaise jaise aapki post viral hogi or reader uske link ko share karenge to aapki site ko backlinks milenge.
  6. Apni site ke articles ko stumbleupon.com me submit kare.
  7. Apni site ke liye google and yahoo groups create kare.
  8. Apni site ke top links ki ek widget create kare or use dusre blog par add kare.
  9. Agar aapko WordPress ya blogger ki coding aati hai to blog template or theme taiyar kar uske footer me apni site ka link add kare.
  10. Start blog developing work and add your site link their blogs.
  11. Numeric se start hone wali post likhe jaise: 5 blogging tips to increase search ranking. Aysi post jaldi viral hoti hai or inse jyada backlinks milte hai.
  12. Agar aap image design kar sakte ho to apni images free stock image site par hsare kar sakte hai. Or uske sath apni site ka link add kar sakte hai.
  13. Apni site ke liye ek acha banner banaye or uske bare me apni site par widget add kare. Jo reader aapko really me pasand karte hai wo apni site par aapki site ka banner lagana pasand karenge.
  14. Apni site ke link ko YouTube par submit kare or YouTube se dofollow backlinks receive kare.
  15. Dusri sites, company and person ke bare me articles likhe jaise: top 10 blogger AdSense se sabse adhik paise kamane wale.
  16. Ho sake to upcoming news or event par post likhe. Or is bare me sabse pahle post likhne wale person bane.
  17. Apne blog se related dusre blog par guest post kare.
  18. Agar aapka blog WordPress par hai to uske liye blogger par ek blog banaye or usme apne blog ki post ka link share kare.
  19. Apni site ke liye blog communities use kare. Example – indiblogger
  20. Pinterest par apni profile banaye or usme apni site ka link add kare. Pinterest par site link add karne ke bad use verify jarur kare.

Final Word:

In sabhi tariko ke alawa sabse badiya tarika hai apne blog par original content share kare or regularly update kare. Isse aapke reader aapko jyada pasand karenge or aapki post ko jyada se jyada share karenge. Aapke bare me apne friends ko btayenge. Jisse aapko apne aap quality backlinks milenge.

Agar aapko ye article pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.

Reader Interactions

Comments (273)

  1. Hi, apka article bahut hi informative tha. meri ek problem hai mene apna blog abhi create kiya hai, iske link ko Facebook ne block kr diya hai kya aap bta sakte hain ki me ise Unblock kese kar skta hun. please help me. iske alaba kya aap ek bar mere blog ko check krke bta skte hain koi issue to nhi hai.

    • facebook को contact करो

  2. Aapne bahut hi acchi tarah se backlink ke bare me bataya thanks for information.

  3. bhai bhut kuch sikha hai aapse aapki lagbhag sabhi post padh li hai jaha jo link aapne diya wahan jakar us post ko bhi padhti jaati hu mai bhi ek nai bloger hu mujhe likhne ka to bhut shok hai lekin apne blog ko chalaana nahi aata ab kuch kuch sheekh rahi hu mai km se km 60 post likh chuki hu beauty and health se raleted lekin mere blog par koi visit hi nahi karta aapse backlink banane ke baare me jaankar bhut achha laga aap ek baar mera bhi blog dekhe or mujhe btaye ki kmi khan par hai pease bhai

    • Aap apne blog ka design achha karo, koi achhi theme use karo.

  4. Good information thank u so much

  5. bahut achi jankari di hai bhai aapne .. sabse alag or sabse umda .. thnks

  6. Bhai backlinks kitne dinon me Index hojate hen?

    • Depend on index jitni jaldi search bots use index karenge utni jaldi index hoga.

  7. kya Fivver se backlink banwana safe hai ?

    • Its danger, google ko pata chal gaya ki aapne backlink buy kiye hai to site ko penalty de sakta hai.

  8. Achi post hai…very informative hai sir

  9. apane very good idea diye hain free stock wedsite batakar

  10. backlinks ke bare me itne aasan shabdon me samjhane ke liye aapka dhanyvad jumedeen bhai. mera ek sawal hai aapse sir kya blog commenting par milne wale no-follow links bhi seo me effective hote hain?

    • Yes hote hai lekin dofollow link banana jyada better hai.

  11. Hallo bhai men Google per search kar raha tha do follow back link kese banaye aapni website ke liye to mujhe aapka article mila men full padha to mujhe kafhi nolega
    Mili kese backlink banate h or article renk kese karaye aapka article very help full h

  12. thank u sir for sharing this info with us its really help me ,,,,,,

  13. Sir Agar Mai kisi website par comment karke backlink banana chahta hu to jab mai us website par comment karta hu to mujhe direct sirf website ka link dalna chahiye ya phir website ki kisi post ka link. Kya isse back link back link quality par koi fark padta hai in dono me se Konsa tarika better hai jarur bataye.

    • Dono kar sakte ho post lekin post link wale comment se link ko adhiktar site author delete kar dete hai. Aapke post link add karne se samne wale ko lagta hai ki aap sirf backlink ke liye comment kar rahe ho.

  14. Useful post

  15. Sir free me website ki backlink ko check kr skte hai jisse sabhi backlinks dikh jaye.

  16. Hello sir I am big fan of you… I just started website …niche bollywood hai so mujhe Kaha se back links MIL sakate hai

    • Is topic par bahut sari site hai google search karo.

  17. Sir, meri website programming related hai to main kahase backlinks le skta hu?

    • programming content se related bahut site hai gogole search karo aur backlinks banao.

  18. Great Article sir

    i really needed so thank you so much for sharing this

  19. Bahut accha post likha hai thank you..

  20. Hi sir
    Aapne backlink ke ware me bahut achi post share ki hai and aapse ek sawal hai ki
    mene kisi or ka backlink ke bare me article read kiya jisme indexkings tool ke dwara 15ooo quality backlink receave kar sakte hai aisa unho ne daaba kiya hai.
    me aapse puchna chahta hu ki ye quality link hogi ya spam
    aap aise hi yes ya no mat bolna is tool ke bare gahrai se jankari karke batana ki ye sahi hai ya galat.

    • Bro better hai ki aap manually quality backlinks banao. Koi bhi tools aapko quality backlink provide nahi karega. Ye kuch search egnines aur search sites me aapki site ko add kar dega jo aapki site se related bhi nahi honge.