Google me top rank pane ki bahut sari tips and bahut sare tarike aapne padhe or sune honge magar aaj main aapko google search engine me top rank pane ki 3 SEO tips bta raha hu. Agar aap in three ways ko follow kar lete ho to google and other search engines me aapki site ki posts and pages top me show hongi. In 3 tariko ko follow karne ke liye aapko kisi bhi tarah ka search engine optimization karne ki jarurat nahi hogi. Koi bhi website owner and blogger inko follow karke apni blog site ki search rank better bana sakta hai.
Kisi bhi website ko success banane ke liye us par good Organic Traffic hona bahut jaruri hai. Without search traffic ke site ko successful banana bahut mushkil hai. Google adsense and other advertisement ho ya other koi bhi earning source ho website se earning karne ke liye search traffic most important hai.
- Google 0 Position Kya Hai – Google Me 0 Position Kaise Paye
- Search Engine Me Site Ki Top Ranking Banaye Rakhne Ki 100 Tips
Har koi chahata hai ki uski site par jayda se jyada audience aaye or uske pas millions traffic ho shayad aap bhi aesa hi chahate hai. So agar ha to is post me btayi information ko carefully read kare or achhe se samajh kar in 3 SEO tips ko follow kare kyuki in three ways ko follow kiye bina aap kisi bhi tarike se apni site par organic search traffic nahi la sakte.
Table of Contents
Website Ko Google Me Top Position Me Lane Ki 3 SEO Tips
Aar aap ek blogger hai to aapne bahut sare SEO factor ke bare me padha or suna hoga or unme kahi na kahi in tips ke bare me bhi btaya hoga. So aapko lag sakta hai ki inka to mujhe pahle se pata hai. Aesa na soch kar in 3 SEO tips par dhyan de or in par achhe se kaam kare taki aapki site ki search ranking increase ho sake.
Koi bhi search engines yahi chahata hai ki wo apne visitors ko sahi or achhi jankari provide kare taki user jo search kare unhe uski right information mil sake. Google bhi yahi chahata hai ki uske users ko sahi jankari mile taki use jyada se jyada log pasand kare or us par wishwas kar sake.
But kuch website owner ya bloggers search engines me wrong information share karke cheating karte hai or bad content share karke users ko bharmit karte hai. In bad content owners se bachne ke liye or user ko sahi jankari provide karne ke liye google jo policy terms banata hai unhe follow karne ke liye hum jo ideas banate hai wo SEO kahlata hai.
Ek second ke liye hum SEO ko bhool kar ye soche ki google humse kya chahata hai to humare dimag me 3 points honge.
- Content Quality
- User Support
- Website Linking
Yani hum jitna achha content write karenge utne hi jyada audience hume pasand karenge or utna hi jyada humari website ko dusre website owners link karenge. Inhi 3 SEO tips par search engine tika hua hai. Agar aapki site in 3 points me pass ho jati hai to search engines khud be khud aapki site ko achhi rank denge. Because google clear kahta hai ki aapki site ko jitne jyada users like karnege hum aapki site ko utni hi achhi rank denge.
To chaliye ab main aapko in three points ke bare me achhe se samajhata hu ki google kis tarah se aapki site ke pages ko in points se top rank me show karega.
1. Quality Content
Hum sab jante hai ki hum jitna achha work karenge people hume utna hi jyada pasand karenge or utni hi jyada humare kaam ki sarahna hogi. Blogging me ye formula bilkul same tarike se kaam karta hai. Aap jitna achha content likhoge log aapko utna hi support karenge.
Jab user google me koi keyword search karta hai to google use better se better page dikhana chahata hai taki use uske pasand ki jankari mil sake or google ko ye millions websites me se kuch websites ko top me lana hota hai. Iske liye wo apne robots ke through aesa content search karta ho jo bilkul user ke dwara search kiye gaye keywords se related ho.
Yani google bhi wohi chahata hai jo hum chahate hai ki jo humari site par aaye use uske kaam ki sahi jankari mile. But kuch log un keywords se traffic pane ke liye aadha adhura content likh kar content share kar dete hai. Yani ye log topic ke liye sahi jankari share na karke sirf jaruri keyword ka istemal karte hai jo ki bilkul galat hai.
Hum jis topic par likhe achhe se or har point ko explain karke likhe sath hi kisi or ke content ko copy na karke apne talent se dusro se alag or user ko aasani se samajh aane wali basha me likhe to google use baki content se jyada like karta hai.
For example, ek topic par 10 person content write karte hai to google ko unme se kisi ek ko top par show karna hoga iske liye wo un sabih ke content ka review karke us content ko top me show karta hai jisme topic ke bare me sahi jankari hogi or jisme sahi tarike se btaya gaya hoga.
2. User Support
Jaisa ki main upar bta chuka hu ki hume short content yani aadhi adhuri jankari na de kar kisi bhi matter ko sahi se explain karna hai. Kyuki user usi site par visit karna pasand karega jis par use har sawal ki right and full information mile.
User support isi se banta hai baki aap kitne bhi tarike follow kar lo traffic buy kar lo kuch time bad aapke pas utna hi support hoga. So agar aap chahate ho ki har koi aapki or aapki site ke content ki parshansa kare to aapko sahi se puri jankari share karni hogi.
“Kahte hai ki insan apne dharm se nahi apne karm se mahan banta hai.” Aap jitna achha kaam karoge log aapko utna hi pasand karenge. Bilkul wese hi aap apni site par jitna achha content share karoge utne hi jyada log aapke content ko read karenge or ek din aesa hoga ki aapke new article ka thousands people wait kar rahe honge.
Jis site par jitna jyada user support hoga google use utni hi achhi rank dega, Ye confirm hai. SEO expert aapko bahut sare terms and google algorithms ke bare me to bta denge but koi bhi ye nahi btayega ki google aapse ya aapki site se kya chahata hai.
Google koi bhi SEO service offer nahi karta hai or na hi wo kisi ko iski permission deta hai so SEO expert ke chakkar me padne se achha hai aap apni site par user support banaye. Bas itna yaad rakho ki aapki site ko jitne jyada log pasand karenge google bhi aapki site ko utna hi like karega.
3. Linking or Link Building
Google websites ko sirf ek nazar se nahi dekhta hai balki wo website content quality, user experience, site loading speed time, website design etc. ke aadhar par site ko value deta hai. Aapki site ki jitni jyada value hogi utni hi better search rank hogi.
For example, agar koi aapse behtar content likhta hai but uski site ki speed aapki site ke jitni better nahi hai to google speed value ke hisab se uske content se pahle aapke content ko show karega. But problem tab hoti hai jab sabhi tarah se 2 ya 2 se jyada site ke content ki value same hi ho. Aese me kise top me show karna chahiye ye decide karna mushkil hai.
Aesa hone par google linking ke aadhar par website ko rank deta hai. Jis site par jitne jyada backlink honge use utni hi jyada rank di jayegi. So quality content or user support ke alawa aapki site par quality backlinks ka hona bhi jaruri hai.
Backlink ka matlab hota hai kisi or site ke page me aapki site ke page ka link add karna. Simple words kisi or ki site par se users ko aapki site par aane ke liye referral link add karna.
But koi bhi robots, tools, software ki help se apni site ko bahut sari websites se link kar sakta hai. Iske liye google ne linking ko 2 part me bant diya hai. 1. High Quality backlink or 2. Low Quality backlinks.
Ek high quality backlinks 1000 low quality backlinks se jyada important hota hai. Yani site ko 1000 bekar ki sites se link karne ki jagah kisi ek achhi site se link karna jyada behtar hai. So jaha tak ho sake achhi website se hi banklink banaye.
Kisi bhi website se high quality content milega ya loq quality iske liye aap us site ki Domain Authority and Page Authority pata kar le. Iske liye aap moz rank tool Open Site Explorer ka istemal kar sakte hai.
Conclusion,
Ye 3 tarike hai jo aapki site ko uchaiyo tak le ja sakte hai. I know ye aapke liye bahut simple hai but sabse jyada karkar hai or aapki kamyabi ke liye jaruri hai. Bahut sari SEO terms par kaam karne se achha hai aap in 3 tariko ko follow kare aapki site ki search rank 101% increase hogi.
Agar aap real me apni site ko success banana hai to in points par kaam karna shuru kar de warna aap pahle ki tarah SEO formulas ko follow karke site search rank increase karne ki koshish karte rahe. Main apni taraf se aapko sirf salah de sakta hu.
- Google Search Engine Se Traffic Na Milne Ke 5 Reasons
- Google Me Achi Ranking Pane Ke Top 15 SEO Factors 2024
Finally, main itna kahunga “chor ko pakadna chahate ho to chor ke piche mat bhago chor ki maa ko pakado wo khud be khud aapki bat manega. Search engine ke liye mat likho apni site ke users ke liye likho google khud hi aapki site ko achhi rank dega.” Maine bahut sari SEO tricks dekhi or follow ki hai but in 3 seo tips ke jitni koi bhi kargar nahi huyi hai.
Agar aapko ye jankari pasand aaye to ise social media par pane friends and other bloggers ke sath share jarur kare.
Sujata Shah
Hello
Such a great and informative article. Thanks for sharing
lakshman
sir,
main aapse ek jankari chahata hu ki ki me aapne blog ka domain name ko change karna chahata hu. kya aisa karne se humare blog
ki Rank ya kisi bhi prakar ki koi probalam to nhi hogi .Pls hel me sir.
Jumedeen
Domain name change karne se aapke blog ki rank 0 ho jayegi.
Neha
sir, meri travel ki website hai…ush mein ek problem hai mera keyword har country mein ranking mein aa rha hai but india mein nahi aa rha hai aise kyu….
nitesh
Jumedeen bhai site pr daily bad backlink ate hai pta ni kyu meri site un pr nahi hai jisse roj disawo tool ka use kr na pdta hai ye sahi hai jya ya koi duara option bhi hai
Jumedeen Khan
Aap backlinks checker tool me check kare or jo link waha mile on diswao karo baki daily wale ko avoid karo.
nitesh
Kya Bad backlink pta krne ka tarika hai koi
Jumedeen Khan
Yes apni site ka review karo.
SahiL
sir aap jatna bhi seo post karte hai wo sabhi post mere liya kafi helpfull rahte hai isliya main aapka website me sirf seo se reletet post padta hoon kyuki aap seo king hai thanks for share your knowledge keep publish on seo post
Shailesh Chaudhary
Bhai, Mera ye swal hai ki Main jab bhi Website me AMP Ka Use karta hu to traffic Down ho jata hai. Kya mujhe AMP Use karna chahiye ya nahi iske bare me batao
Jumedeen Khan
Agar problem ho rahi hai to mat karo.
Ajabpost
Sch me bhai 1 high quality backlinks 1000 low quality backlinks se jyada important hota hai.
I love #supportmeindia
I really appreciating
ANOOP VAISH
hello sir phle to aapko dhanyavad behtr jankari dene ke liye
mai janana chahta hun aapki site ki image par cursor le jane par ye chamkne kaise lagti hai
Jumedeen Khan
Its CSS effect.
Pursottam
Hello sir, maine apke kafi post padhe hai or unko apne blog pe implement bhe karne ka try kiya hai but abhi tak mujhe koi success nahi mila hai kay aap mujhe koi tips de sakte hai takki me acha organic traffic gain ker saku.
Thanks for this great article
Jumedeen Khan
Acha content likho or apna market banao. Jitna ho sake logo se judo bund bund se ghada bharta hai.
sk yadav
aap image editing ke liye kaun sa software use karte hain?
Jumedeen Khan
photoshop
Sachin
bahut hi acchi jankari.
kya app bata sakte hain ki main godaddy ke dwara apne domain se subdomain kaise bana sakta hun
Jumedeen Khan
Aap godaddy customer care me bat kar sakte ho. 18001210111,
Manoj
Sir mujko apna site ka SEO increase karna h mara website http://www.hindisupport.com h please help me
Jumedeen Khan
Iske liye aap humare seo wale article read karo.
nitesh
Bhai mujhe is site se backlink mil rahi hai is disavow krna chahiye kya is pr drugs aur ulte sulte product hai
Jumedeen Khan
Yes karna chahiye.
kavya
hello sir mere customercaresupportinfo.in ess blog par 10,000 seh upar traffic aata the par 8, 10 din seh traffic 7,000 poch gya kya aap bta skty hai traffic kyu kam ho rha hai post be daalti ho fir be kam hai help me reply jaror kry.
Jumedeen Khan
Google ab real time update dikhata hai. Matlab ab ek hi site show nahi hoti iska asar sabhi sites par pad raha hai. So no problem traffic apne aap badh jaeyga.
Tumul Shankar
sir mujhe yeh bataye jab hum google mein apki website ka nam likhtey hai toh search result mein
jo pattern naraz ata hai wo kasie hota hai mera matlb
like— Support me India- Internet ki puri jaankari hindi me
uske niche 2 coloumn income report , blog, aboutus,
Support me india seo ready , guest post on support me India, adsense
isko kasie laya jata hai koi post toh uska link de
Jumedeen Khan
Ye sitelinks hai aapki site par thoda traffic badhne ke bad aese hi resutls show hone lag jayenge.
nityananda boro
bhai…Quik index korne ke liye tarika bataye
Jumedeen Khan
Search console me ja kar post url ko fetch karo.
sanju dangar
AAPNE SAHI KAHA SIR, 100 SEO TIPS FOLLOW KARNE SE BAHETAR HOGA KI IN THREE SEO WAY USE KARNA KAFI FAYDEMAND HOGA, AAPKI IS BAAT SE ME BHI SAHMAT HU KYU KI MERI SITE POST BHI HAI JO BINA KEYWORD KI SHARE KI THI, FEER BHI BAKI SAB ARTICLE SE VO TOP PAR SHOW HOTI HAI, MINS KI USER FRIENDLY KO GOOGLE JYADA LIKE KARTA HAI, SIR AAPKE PAAS TIME HO TO MAINE AK NEW BLOG BANAYA HAI PLEASE AK BAAR VISIT KARKE BATAIYE KI ISME AB KYA KARNE KI JARURAT HAI,
Kavya
Hi sir Mujhe apny blog ki post mey table banani hai taki mey service centre address llikh sako all over India ki Kya sir aap bta skty hai vo kese banygi wordpress par
Jumedeen Khan
Aap mujhe contact form me ek example sned kar de taki main aapko sahi solution bta saku.
Nishaan
Sir jab bhi main koi nayee post apne blog par publish karta hoon aur phir apne post title ko google me search karta hoon tab wahan meri post ka google plus share link show ho raha hai post title nahi kya karon.
Jumedeen Khan
No worry sabhi social sites par share ki gayi post search me aati hai. Problem aapke blog ki post top me aani chahiye so aap site ki SEO setting sahi se karo or SEO friendly content likho.
Ravi Sharma
Hello Jumedin sir
Mere Blog Post Jo Pahle likhi thi wo google me Bahut Jaldi Search Engine me Aa Jati thi but Mai 10-15 Din se Notice kar raha hu ki jo maine new post likhi like 10-15 se Wo Google Me Nhi Aa Rahi hai Please Koi Solution Bataye.
Jumedeen Khan
Kai bar google content ko index karne me time laga deta hai. Aap google search console me jao or apni kuch posts ko fetch as google karke dekho index hoti hai ya nahi. Agar hoti hai to do not worry baki bih ho jayegi or nahi ho to mujhe btao.
Jitender Singh
bhai aap http://www.google.com/addurl pr jaa kar apni post ka link list kar do apki post zald hi google search box mein dikhai degi
Sarik Ansari
Sir aapne bahut acchi jankari di, Thanks. mai bhi es tips ko follow kr rha aur mere site ki ranking improve hone ke sath-sath jldi index hone rha.
danish
Hi, very useful article for new blogger,
thanks for sharing bro
deep shikha
Mera ek swal hai, WordPress me AMP Add karne ke bad Traffic Kam kyo jata hai? Isko kaise sahi kar sakte hai.
Jumedeen Khan
Jab tak aapki site par AMP proper work nahi karega traffic kam rahega. AMP ke sahi se work karne par traffic badh jayega.
Mohd Amir
Nice article bhai..
thanks for sharing
Pankaj
Bhai mujhe ye btaye
Mene parso bloggspot pr blog bnaya tha or 5 post ki hai ab tk jiske 900 pageview ho chuke hai
Ab agr mai domane buy karta hun kya mujhe uska fayda hai adsense me
Kyoki adsense 6 mahine baad lagti hai
Agr mai ab domain buy kar leta hun to 6 mahine to uska koi use hi nhi hoga plz help me
Jumedeen Khan
Aap custom domain par kabhi bh iadsense use kar sakte ho 6 month example.blogspot.com ke liye hai.
Kavish Jain
Sir me site ki template kafi acchi aur simple hai but site speed chake karne par kafi kam show ho rahi hai….Ab Isme Kya Kami Hai please Blog Check kar bataye..
Jumedeen Khan
Aapke blog ki speed kafi achhi hai ab bas aap achha contnet likhne par dhyan do.
Deepesh Pandole
Sir wordpress blog ke liye koi badiya theme bataye jise pnb dabit card se purchase kiya jaa sake
Jumedeen Khan
Sorry bro theme ke liye aapko credit card ki jarurat padegi.
Kavya
Hello sir Kafi helpful post hai sir aapse ek choti seee help chaiye thi.
1. Sir mujhe apny post key bich mey text ads lagani Kya aap bta skty hai kese Lagoo.
Mera blog WordPress par hai
Jumedeen Khan
Very simple aap adsense me ja kar ad create karte time ad type me text ads select karo or uske code ko aapko jaha ad dikhana hai waha par paste karo.
Ramanand Mehta
JDK sir really teeno seo tips effective hain. ye sahi hai ki google 200 se bhi jyada tariko ka use karta hai hmare content ka rank karne ke liye par i think agar en teeno SEO tips ko agar sahi se follow kiya jaye to 100% hmara content search result me top pe aa sakta hai SO thanks for this knowledgeful post.
nitesh
bhai yadi koi hmari site ka poora ka poora content chura ke apne pr dal rha ho to kya krna hai
Jumedeen Khan
Uski DMCA forum me reprot karo.
nitesh
abhi mene us site ki report bhi nahi ki vo ab open hona hi band ho gai hai blogspot pr bnai lagti hai to kya google ne use block kr diya kya
Jumedeen Khan
Yes google blogspot par aesa akr sakta hai.
Pankaj
Bhai mujhe ye btaye ki agr domain buy na kre phir bhi adsense blog pr lagai ja sakti hai kya or is se bhi earning ho skti hai kya bhai
Jumedeen Khan
Yes without domain bhi blogspot.com par ad laga sakte ho.
Jitender Singh
sir mujhe yeh janna hai ki agar hum jasie ek post page mai article likhte hai aur sath hi uper hum wo link text mein dal date hai jo article humne usi post mai likhe hai tabhi jasie uss link pr click karte hai toh wo link humhe usi post page ke uss article pr le jata hai jaha humne wo article likha tha
toh sir yeh kasie hota hai plz bataye
Jumedeen Khan
Iski jankair yaha hai Blog Ki Post Me Dusri Post Ke Link (URL) Kaise Add Kare
Jitender Singh
sir aap iss link ko kholo aur apko sab se phle 3 links dhikhai denge aur jab aap unn par click karoge toh niche diye gaye article par puch jaoge
toh sir yeh kasie hota hai bataye zara iske bare mai thoda bata do.
Jumedeen Khan
Uh iska matlab aap scrolling table ki bat kar rahe ho. Aap jab post likho to har heading me id add karo like id=”heading-1″ uske bad top me table ad karke us post ke link ke bad #heading-1 add karna hai. Uske bad jab bhi us link par click karega to wo us id wale content par pahuch jayega.
Jitender Singh
Sir try kiya magar kuch samaz nhi aya apni nazar mai koi article ho toh muje uska link de do yeh mere kaffi important hai sikhana iske bina agge badna thoda muskil hai muje ummed hai aap meri problem ko samzege
Jumedeen Khan
Ok jitendar main jaldi hi iske bare me detail se article likh dunga.
Jitender Singh
Sir Agar apke pass time naa ho toh aap asia karo mujhe cooment box main hi thoda explain kar do ki kasia kiya karna hai matlb koun se haeding ki baat bata rahe hai aap jo hum title mai use karte hai yaa post mai use karte hai matlb aap thoda expalin kar ke bata do taki meri yeh help ho jay plz reply
mera maksad apka zada pareshaan karne ka nhi hai bus yeh mere ko jaan naa zada zaruri hai
Deepak sahu
post revision kaise stop kare?
Jumedeen Khan
cpanel par file manager me ja kar public_html par click karo ab wp-config.php file me ye code add karo.
define( 'WP_POST_REVISIONS', false);
deep
Bahut Hi Bafiya Seo Ki Tips Share Ki Hai Aapne. Kya lengthy Contents jayada or jaldi ranking hasil karte hai kya?
Jumedeen Khan
Bilkul nahi, Sirf jarurat ke anusar likho bewajah content ko long karne se koi fayda nahi hota.
Anand Kumar
Ye bahut hi achchhi jankari di hai aapne lekin poori post padhne ke baad mere man mein kuchh sawal aa gaye hain…..
Choonki main Hindi font mein post likhta hoon, lekin Hindi font wala blog search mein pichhe rah jata hai. Isliye ismein kuchh English keyword dalna pad jaata hai. But mere khyal se aise mein readers ko mera post padhne mein dikkat hota hoga.
Lekin is post mein aapne saaf kaha hai ki hamara post reader ke anusar ho, to aise mein to mujhe apne post mein English keyword use nahin karni chahiye. Tabhi to readers ko padhne mein aasani hogi?
Lekin yadi main aisa karta hoon to fir meri samasya fir se Search mein na aane ki ho jayegi. To ab aap hi bataiye ki kis tarah se Hindi font mein likhun ki readers ko bhi pareshani na ho aur search engine bhi mere post ke quality ke aadhar par mujhe rank de, na ki Font ke aadhar par?
Saath hi aap ek baar aur mujhe guide karein ki Hindi font mein likhna filhal ke liye sahi hai ya aapke jaise Hinglish mein likhne par hi achchha rank mil sakta hai?
Jumedeen Khan
Nahi wrong, popular, special etc. keyword ke bare me har koi janta hai or aap post me inka istemal kar sakte ho. Mana ki user hindi me padhna chahate hai but to search hinglish ya english me hi karte hai. So iske liye aapko keywords ka istemal karna hoga.
No matter aapko jis type ke users ko target karna hai us language me likho like hinglish me likhne se hinglish searching karne wale user aayenge or hindi me likhne se hindi wale.
Aman
Hello There, First of all nice post… May be mera question post se related nahi hai but fir bhi mujhe 1 question puchna tha…
Mera blog hai thetechsecrets.com . uspe mai or mere kuch friends post lilhte hai. mai apne posts ko full english me likhta hu or mere friends hindi me. watch here
To question ye hai ki “kuch post english me or kuch hindi me likhne se google seo pe kya effect pdega?” Aur “kya mujhe post sirf 1 hi language me likhne chahiye?”
Jumedeen Khan
Koi problem nahi bas aap apni site me Hreflang tag use karo taki google ko pata chal sake ki aapki site par kitni language me likha jata hai or kis content ko kaha dikhana hai.
Tumul Shankar
Sir mujhe pata nhi ki apne bataya hai yaa nhi but aap mujhe yeh bataye ki ek achi se achi image ko kasie banaya jay jasie aap bantey ho
Jumedeen Khan
Content se related simple image use kaor or jitna jaruri ho utne hi image par text add karo.
Jitu
Jumedeen sir Kiya Article likha hai ,
sir maza aa gaya ji
Shaikh Muneer
Bahut hi badhiya jankari share ki aapne jumedeen backlink bahut hi important part hai ager post ko first rank pe lana hai to lekin iske liye backlink ka quality bahut jaruri hai jitna acha quality backlinks utna acha site result fir backlink do follow ho ya nofollow koi mayne nhi rakhta.
Vijay panara
Thanks sir आप ने बहुत बढ़िया पोस्ट पब्लिश किया है , ओर ये 3 टिप्स हर ब्लॉगर को फॉलो करनी चाहिए,
मेरा आप से एक सवाल है कि मेरे wordpress ब्लॉग की पोस्ट मे इमेज की क्वॉलिटी low दीख रही है जिन से विजिटर्स को इमेज अछा नहीं लगता है तो इमेज का रिज़ल्ट Hd जैसा बनाने के लिये कोई apps या pluggin बताओ जिन से hd इमेज बनाने मे हेल्प मिले ओर क्वालिटी low ना हो
Jumedeen Khan
Aap photoscape software use karo jisse image ki quality kam nahi hoti or size bih kam ho jata hai.