Affiliate marketing internet se paise kamane ka no.1 tarika hai. jisme companies aapko visitors ke product kharidne par commissions deti hai. ye commission 100 rupee se le kar 5,000 tak ho sakta hai. affiliate program aapko product ke benefit ke hisab se commission degi. yani aapki income product par companies ke benefit par depend karta hai ki aapko us product se kitna ppersent milega.
Aaj hum baat karenge affiliate marketing ki top 7 sites ke bare me jo hamse kabhi bhi dhoka nahi karti hai. Kuch sites Aisi bhi hai jo hame cheat karti hai. Toh sabse pahle jaante hai ki affiliate marketing kya hai.
To chaliye bat kijiye humare guest author Rohit Kumar se jo aapko bta rahe hai un 7 affiliate marketing sites ke bare me jo aapke sath kabhi chiting nahi kar sakti.
Affiliate Marketing Kya Hai ?
Aaj kal affiliate marketing bhi paisa kamane ka sabse accha jariya hai. India me bohat si E-Commerce websites hai. Aaj kal jitne bhi E-Commerce sites ya marketers hai wo apna product ko promote karne ke liye affiliate marketing ko use karte hai.
Aaj kal intenet sabse fast paisa kamaya ja sakta hai. Affiliate marketing me kisi doosri website ya kisi e-commerce website ke product apne blog ya website ke dwara promote karte hai. Aur uske badle me wo site hame us product ko sell karwalne ka commission deti hai.
Affiliate Marketing Se Kamai Kaise Kare
Ab baat aati hai ise use karne ki. Toh isko use karna bohat hi saral hai. Affiliate marketing ke liye sabse pahle aapke pas ek website ya blog hona chahiya.
Jisme hum e-commerce sites ke product dikha sake. Iske baad job hi mai apko affiliate marketing site bataunga us sites me jakar aapko account banana padega.
Jab aapka account e-commerce sites me ban jaye uske baad aapko product ke text aur banner ads milenge. Wo apni site par kahi bhi laga sakte ho.
Jab aapki site me koi visit karega aur aapke lagaye gaye ads se koi product khareedega toh uska commission apko milega. Jisse hamari income hogi. Affiliate marketing kuch page me hi kaam karti hai.
Top 7 Affiliate Marketing Programs (Hindi)
mai affiliate marketing ki jankari dene se pahle aapko suggest karna chahunga ki affiliate marketing se income karne ke liye aapke blog par per day 10,000+ pageviews hone chahiye.
Kyuki affiliates company aapko visitors ke product kharidne par hi commission deti hai. ads par click karne ke liye nahi.
Agar aap ads dikha kar blog se paise kamana chahate hai to aa AdSense use kar sakte hai. AdSense ki puri jankari ke liye aap supportmeindia ki Adsense se related posts pade.
1. Flipcart
ek bohat purani e-commerce site hai. Isse bhi aap affiliate marketing karke acchi khasi income kar sakte hai. Agar apki site se koi produt khareedega toh flip kart apko ek product par 15% tak kama sakte ho.
2. Snapdeal
Snapdeal par sabhi prakar ka saaman milta hai, agar apki site par accha traffic hai toh aap snapdeal se se bhi acchi affiliate marketing kar sakte ho.snapdeal se aap 10% tak kama sakte ho mere hisab se snapdeal se affiliate karne ka accha tarikha hai. Kyoki snapdeal par logo ko bharosa bhi hai. Aur ye site kafi purani bhi hai.
3. Infibeam
Flipkart aur snapdeal jaisa hi infibeam hai is se affiliate marketing karke acchi khasi income ki ja sakti hai agar iske bhi ads aap apni web site par laga sakte ho. Ye site bhi hmare sath kabhi bhi cheat nhi karegi.
Is ap bharosa kar sakte. Isse affiliate marketing karke aap 10% tak product me commission paa sakte ho.
4. Jabong
Jabong site fashion aur kapdo ke liye bohat hi famous website hai jyadatar log fashion ka saaman jobong se hi lete hai. Ye bhi affiliate karne ka bohat accha tarikha is site par aap vishwas kar skte ho agar aap is site se affiliate marketing karte ho apko every product sell par 10% tak ka commison milega.
5. Shaadi.com
Shaadi.com bohat hi purani matrimonial website iske ads bhi aap apne site par laga sakte ho. Agar apki link se shaadi.com par membership lega toh apko commission ke sath sath bonus bhi milega.
Isse apko double fayda ho sakta aap isse achhi income kar sakte hai. Isme commission wo apne hisab se degi
6. MakeMyTrip
MakeMyTrip se aap affiliate marketing kar sakte ho is site me aap sign up karke iske ads paa sakte ho. Ye bhi bohat purani company hai jo apse kabhi bhi cheat nahi karegi.
Agar apke ads se koi hotel bookin, flight booking, etc karega toh apko iska commission milega aap aasani se apni site par iske ads dikha sakte ho.
7. Hostgator
Mere hisab hostgator no 1 site hai webhosting ki iske ads banner aap apnei site par laga sakte ho agar koi bhi visiter aapki site me visit karta hai aur apki link se hostgator me hosting buy karta hai toh apko kafi accha commission milega jiske madhyam se aap apni income bada sakte ho.
Toh ab maine apko batai Top 7 Affiliate Marketing Programs. Agar Apko Post Pasand aayi ho toh aap ise jarur share kare aur apne dosto ko bhi share karne ko kahe.
Agar koi bhi problem ho toh comment jarur kare hum aapke sawalo ke jabab jarur denge aur aapki sabhi problem ko solve karenge.
- Hostgator Hosting Par WordPress Blog Kaise Install Kare
- Hostgator India Se Hosting Kaise Kharide Hindi Me Jankari
Aaj kal internet se har koi paisa kamana chahta hai. Vese toh internet se paisa kamane ke bohat se Tarikhe hai. Jo hmare Jumedeen bro ne is site par bta rakhe hai.
Agar aapko ye article pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.
Balkishan rathor
Good work
Shivam verma
Aap ki post bahut hi jankari purn thi, affiliate sites ke baare me jaan kar bahut achha laga.
Monu khan
1. Sir mene apne blog ke liye Amazon afflilate account banaya he but me afflilate ko apne Facebook page par bhi permote karna chahta hu to Kya mughe Facebook page ke liye alag afflilate account banana hoga ya Jo mene blog ke liye afflilate account banaya he use se kaam chal jayega
2. Sir Jis product ka link hame Amazon afflilate se milega to vo link sociol media par kitne time Tak enable rahega ki jisse koi bhi us link se vo product buy Kare to mughe commission mile
Jumedeen Khan
1. Blog wale ko hi promote kar sakte ho.
2. aap wo link social media par share mat karo balki link cloak karke karo like supportmeindia.com/go/hostgator.
mohsin
meri website pe Affiliate marketing accounts approve hi nhi hotey. Kia ap smjhty ho k Infolinks k ads is me rukawat hain ?
Jumedeen khan
Nahi abhi aap apni site par thoda traffic badhao or ranking achhi banao.
Priya
Useful information, thanking you
saurabh mishra
mai affiliate amzone par ragister hu.lekin mujhe ye nahi pata unke product ko apne blog par lagaye kaise.
aur mere blog ke liye index kaise banaye.jisme likha ho technology,motivation ke liye yaha click kare.ling ye sab hedding kaise banaye.aur aapse kaha tha maine ki aap mujhe mauka dijiye apne liye vidio banane ka to aap meri sunte nahi ho.mai free me aap ke liye vido banaunga.
khan ji aap blogging kariye aur hum aapke liye vidio banayenge.
Jumedeen Khan
Aap apna sawal google me search kare har sawal ka jawba mil jaega. Agar aapko lagta hai ki aap video bana sakte ho to bilkul bana lijiye.
SHOAIB ANSARI
Kya blogger pe affiliate marketing kar sakte hain ki nhi or affiliate marketing ke lie products kaha se lae
जुमेदीन खान
Bilkul kar sakte hai, apne blog ke content se related product wale affiliate program join karo.
tekchand choudhary
ha bhai aap kaha ke rahne vale ho
Kishor Rana
Sir mera ek sawal hai, jaise ki maine suna hai, adsense ads click paisa deta hai, Adsense visitor se honewale pageview pe paisa nahi deta kya ?
Agar deta hai to dailly 1000 pageview pe kitna deta hai.
Jumedeen Khan
Nahi sirf ad par click hone par deta hai.
Ravi Pratap Pathak
मेरे पास अपनी वेबसाइड नहीं है, न हीं कोई ब्लॉग साइट है लेकिन एफिलेट मार्केटिंग से जुड़ना है। क्या करूँ? मेरे ईमेल पर बता सकते हैं हिंदी में।
Jumedeen Khan
Aap social media par affiliate link share kar earning kar sakte ho but affiliate se good earning karne ke liye blog ya site hona jaruri hai. Kyuki iske liye user trust hona jaruri hai.
Sachin
Sir, Aap bhi affliate marketing programs aap konsa affliate program use karte ho?
Jumedeen Khan
Main hosting affiliate program use karta hu.
Ayush bisht
Bahout hi Acchi Jaankari … Dhanyawaad
Sunil
मुझे और जानकारी चाहिए
ash
thanks for the information!!!!
Ashok
bahut achhi jankari di hai Rohit kumar ji ne, mai unka dhanyabad karta hu
Anas khan
A/S sir main Anas khan hu sir main aabhi new Hu blogging main aabhi he Blog banaya hai to aap pls muje yea batao oose ads kaise dale or Os blog ko famous kaise kre
Sir pls aap muje ek Complete Blog bana kai dedea bcoz muje aabhi Jada use mRNA ni aata pls sir
Jumedeen Khan
Aap first blogging ke bare me or sikh lo uske bad ads lagane ke bare me sochna. Maine iske bare me post ki hai aap supportmeindia ki blogging se related post padho.
krishna
sir flipkart account ko comfirm hone time lagta hai kya ? mujhe ye msg display kar raha hai .
Your documents are uploaded, we shall verify the same as soon as you cross the threshold limit (Rs.1000/- in EFT Mode & Rs.250/- in EGV Mode). We require 10-15 working days to verify the same. Also, we will give our feedback in case of any mismatch/discrepancies and the same shall reflect in your account panel (‘My Account’ section).
Jumedeen Khan
Aapko jald hi iska message mil jayega ye iska maximum time hai.
Viresh Kumar
sir flipcart affiliate marketing me , payment deteils fill karne ke baad usme niche
upload documents or cancel chaque ka option aa rha he me kya karu
Jumedeen Khan
Aap apne identy card ya aadhar card ka screenshot le kar yaha upload karo.
Shailesh Bhoir
Namaste sir,
mai ye janana chahata hu ke, agar mai apani web site par HTML code copy karke affiliate marketing karu to ye jaruri hai kya muze apani web site legally register karni padagi. agar ha.. to kahape aur kaise kare..??? maine Godaddy se apni site banvai hai.
Please reply..
Jumedeen Khan
Nahi aapko kahi par site register karne ki jarurat nahi hai aap wese hi affiliate marketing product sell kar sakte ho.
A Rohitash Panwar
Sir har post me affiliate kese lagae. M blogger use karta hu or alag-alag post par alag-alag ad lagana chahta hu. Please sir blogger ke liye batae
Jumedeen Khan
direct code paste kiya karo html section me.
Abhishek prasad
hello sir mujhe ek baat bato apne alag alag page me alag alag affilate progarm ke ads laga sakte hai
Jumedeen Khan
Ha laga sakte hai.
Abhishek prasad
website par traffc ki reqiuement ki jarurrat tho nhi hai
Jumedeen Khan
Website par traffic hona hi sabse jaruri hai. Agar site par traffic hi nahi hai to kuch bhi nahi hai.
varun mishra
Dear Blogger i want to submit my guest article on your website, Did you accept guest blog
Jumedeen Khan
Yes, you can contact me on admin@supportmeindia.com