Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye

Blog traffic kitna jaruri hai, ye bat har ek blogger janta hai. hum apne blog par traffic badhane ki sabhi koshishe try karte hai. but sabse important tricks ko hum ignore kar dete hai. wo hai top list articles, jisse hum 1 month me 100,000 se jyada visitors prapt kar sakte hai. badhiya article likhna hi blog ki traffic badhane ka no.1 tarika hai.

Get 100,000 Visitors in 1 Month

Aapki post me jitna acha talent hoga utne jyada visitors aayenge. ye bat maine conform ki hai. or ab mai aapko pure wishwas se kah sakta hu ki ek achi post se aap ek mahine me 100,000 se bhi jyada visitors kama sakte ho.

24-dec-2024 ki sham 6pm ko maine Happy New Year 2024 Wishes Quotes post share ki thi. rat 11:59pm tak is post par 5,000+ pageviews ho chuke the. post ka high score 403 pageviews per hours raha. 800 google+ visitors, 132 facebook visitors and 600+ search engine result se visitors hasil huye hai. is post ko ab tak total 270 share mil chuke hai. agar is post ki ek mahine ki traffic pata ki jaye to iski monthly traffic hogi 600,000 pageviews to ab aapko ye to pata chal hi gaya hoga ki ek top listed post 10 contentless posts se jyada traffic kama sakti hai.

Is post sirf 500+ words hai fir bhi itna traffic iski wajah hai sirf iska topic “Happy New Year 2024 Wishes Quotes” jo is time internet par sabse jyada search kiya jane wala topic hai. to ab aap ye to samajh hi gaye honge ki ek acha or popular post topic se kitna traffic badh sakta hai. mai aapko is post me or bhi tricks bta raha hu apna 5 minute ka time de kar post ko ache se pade or achi lage to social media par share bhi kare. or in 6 ghanto ke andar mujhe AdSense se 16.40 US dollar mile hai. yani itne kam time me maine lagbhag 1,000 rupees kamaye hai. ye mere liye ek sapne ke jaisa hai. or is khushi ko mai aapke sath share kar raha hu. kyuki aap hi ki help se ye sab hua hai.

Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye?

Jaisa ki maine upar top list post ke bare me btaye hai. wese hi agar hum kuch or step follow karke post likhe to hume search engine se itna traffic mil sakta hai ki hum soch bhi nahi sakte. jinme se kuch step mai aapko bta raha hu. abhi mai aapko utna hi bta raha hu jitna mai janta hu. future me bhi mai apna experience aapke sath share karta rahu, iske liye aap bhi is post ko share karke meri help kijiye.

1) Top List Post Topic (Title)

Top List yani sabse jyada search kiye haye words ki top 10, 20 , 50 ,100 number ki list. aapki post ka title inme jis ranking ka hoga. utna jyada traffic aapko milega. upar maine aapko isi ke result ke bare me btaya hai. post topic ko top list me lane ke liye ye step follow kare.

  1. post title me numric use kare jaise 10, 20, 50, 100, 200 etc.
  2. post title me popular keywords use kare. jaise Top, Most, Best, Better and other.
  3. post title me kya, kaise, kyu jaise question words use kare.
  4. post title minimum 40 character or maximum 70 character ka hona chahiye.
  5. post title aysa ho jise internet par sabse jyada search kiya jata hai.
  6. post title ko dekhte hi visitors use par visit karna pasand kare.
  7. happy new year jaise most time se sambandhit post title likhte rahe.
  8. post title post se related hona chahiye, jise search engine ranking badhti hai.
  9. post title me extra words jarurat padne par hi use kare. jaise se, me, ko etc.
  10. post title me jitna ho sake utne jyada fomous, top ranking keywors use kare.

upar diye step follow karke likhe gaye post topic is tarah ke hone;

2) Top List Article

Jab google search engine aapki post ko index karta hai to sabse pahle post ki images or keywords ko dekhta hai. so agar aap chahate hai ki aapki post search me sabse upar aaye to aapki post me kam se kam 2,000 words hone chahiye. kyuki post me jitne jyada words honge utne jyada keywords bhi honge. or jitne jyada keywords honge search enginbe utna acha result dega. sath hi post me 2-5 images bhi use kare. images aysi honi chahiye jo puri tarah post se related ho or jise dekhte hi visitors ko post samajh me aa jaye. yad rahe bina wajah faltu ki photos use karne se search engine aapki post ko block kar sakta hai.

Exaple ke liye aap ye post pad dekh sakte hai:

  1. Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
  2. Smart Phone Ki Battery Life Badhane Ke 10 Android Apps
  3. Smart Phone Kar Sakta Hai Ye 10 Kaam, Kya Aap Ne Kabhi Try Kiya Hai
  4. Computer Vs Laptop Kounsa Behtar Hai, 10 Bato Se Samajhe
  5. Kya Aap Jante Hai Google Chrome Ki Ye Interesting Tricks

3) Post Talent

Jab post talent ka name aata hai to kuch bloggers sochte hai ki hum me itna talent nahi ki top ranking me aa sake. but mai aapko btana chahunga ki talent humare andar nahi rahta hume banana padta hai. blog post ke talent ki bat kare to isme aapko sirf itna karna hai ki post me aap jo kuch bhi likho wo sabkuch post topic se related hona chahiye. or post ki bhasha aysi ho jise visitors aasani se samajh sake. bina kam ke boring words post me use nahi kare. ek line me kahu to post aysi honi chahiye jiske photos, writing ko dekhte hi samajh aa jaye ki is post me kya jankari di gayi hai.

Example ke liye ye posts dekhe.

4) Share Post On Social Network

Post likhne ke bad sabse important kam hota hai post ko new visitors tak pahuchana. iska simple tarika hai social media facebook, google plus, twitter, linkedin, pinterest, reddit and other social networking sites. agar aap ye tips follow nahi karte ho to aaj se shuru kar sakte ho. social media par post share karne ka sahi time hota hai sham 6pm to 9pm is samay social media par 90% user active rahte hai. ye mai aapko confirm karne ke bad bta raha hu. aap try karke result check kar sakte hai.

aap ye post follow karke bhi blog ki traffic badha sakte hai.

5) Complete SEO

Search engine se traffic pane ke liye sabse important aapke blog ka SEO complete hona chahaiye. mai blog SEO ke bare me bahut post kar chuka hu. jinhe follow karke aap apne blog ko seo friendly bana sakte ho or search engine se acha traffic prapt kar sakte ho. iske liye aapko first seo ki puri jankari honi jaruri hai. seo ke bare me janne ke liye aap humari site ki SEO se related post padiye or apni site ko seo friendly banayiye. blogger blog ko seo ready banane ke liye mai aapko kuch step bta raha hu.

  1. Blog me Meta tag add kare.
  2. blog ko sabhi search engine se submit kare.
  3. blog ka sitemap banaye or sabhi search engine me sitmap add kare.
  4. blog ki template seo or mobile friendly ho.
  5. Blog SEO ki compelete guide pane ke liye yaha click kare.

6) Fast Loading Blog

Visitors fast load blog or websites ko sabse jyada pasand karte hai. agar aapke blog ki loading speed 80% se jyada hai to aapko 30% traffic jyada milega. sath hi search engine bhi fast loading sites ko jyada pasand karta hai. us blog ko jaldi inex karta hai.

aap Getmetrix par site speed % check kar sakte hai.

Supportmeindia loading speed

 

7) Site speed 4 second se kam ho

Google ne ek servuy kiya tha ki visitors kitni second me load hone wali sites jyada use karte hai. is servuy se pata chala ki 70% visitors 4 second se kam time me load hone wali sites ko sabse jyada pasand karte hai.

aap Pingdom par site ki speed second me check kar sakte ho.

Supportmeindia loading speed pingdom

 

8) Optimize Database

Database yani aapke blog ki puri data ka size, website ki speed is par sabse jyada depend karti hai. is liye agar aap blogger free blog use karte hai to aapko database optimize karne ki koi jarurat nahi hai. kyuki aapke blog ka database google ke throw automaticly optimize hota rahta hai. bas aapko post image sahi format me use karni hai. image optimize ki jankari ke liye aap Blogger Images Ko SEO Friendly Kaise Banaye post pade or post me 50kb ke lagbhag size ki hi photos use kare. or agar aap WordPress user hai to w3 cache plugin, super cache plugin use kar sakte hai. in plugin se aap automaticly database optimize kar sakte ho.

9) Post Heading

Post ko adhik seo friendly banane ke liye post me 2-5 post heading jarur add kare. isse search engine ko post content index karne me aasani hoti hai. heading post title se related hi honi chahiye. jisse visitors ko post ko samajhne me or bhi aasani ho.

Jaise aapki post ka title hai “Blog ki traffic kaise badhaye 5 aasan tarike” to aap post me isse related heading add karo.

  1. Blog traffic kya hai?
  2. traffic kaha se kama sakte hai?
  3. traffic badhane ka sabse aasan tarika
  4. blog ki traffic kaise badha sakte hai?

is tarah se aap post me post topic se related heading add kar sakte hai. agar aap post me achi or post content se sambandhit heading use karne me success ho pate hai to aapki post ki search ranking bina heading ki post se 50% jyada hogi.

10) Post Summary

Maine aapko is post me jo bate btayi hai. agar aap unhe follow karke 10-15 top list article likh lete ho to aap 100% monthly 100,000 visitors recieve kar sakte ho. aapne suna hoga ki ek acha beta 100 bekar beto se behtar hota hai. or wo akela ma parents ko pal sakta hai. bilkul usi tarah ek achi post aapko itna traffic de sakti hai. jo 100 bekar post nahi de sakti. isliye mai aapko personalu suggest karunga ki har post me kam se kam 1,000 words to jarur use kare or agar isse jyada use kar sako to or bhi achi bat hai. post puri tarah complete karke hi blog par share karo.

I hope aapko ye post pasand aayi hogi. or aapko isme koi achi jankari bhi mili hogi. agar mai sahi hu to apna 30 second ka time de kar is post ko share kare. jisse meri or kisi or ki help hogi. sath hi comment me apne thought jarur likhe. kyuki aapke vicharo se mujhe new post likhne ki jankari milti hai. sath hi ye bhi pata chalta hai ki aapko meri wajah se kitni madad mili, jisse future me mai aapko or behtar sikha saku. so comment or is post ko share jarur kare.

Mujhe blogging me 4 month se jyada time ho gaya hai. or ab mai blog SEO ke bare me aapko completly guide kar sakta hu. iske bare me allready post kar chuka hu or aage bhi karta rahunga. in my case mere blog par sabse jyada visitors search engine se hi aate hai. agar aap bhi chahate hai ki aapke blog par search engine se jyada se jyada traffic mile to blog ka seo complete kijiye. fir dekhiye aapke blog ki traffic kaise badhti hai.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (142)

  1. Avatar for SHIV KUMARSHIV KUMAR

    Helpful article thanks for sharing

  2. Avatar for umeda khanumeda khan

    Jumme Deen Bhai mahine me 10.000

    Kamane KE liye kitna traffic hona chahiye

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aap adsense use karte ho to daily 2,000 to 3,000 traffic hona chahiye monthly 10,000, 20,000 easily kama sakte ho.

  3. Avatar for Roushan kumar PanjiyaraRoushan kumar Panjiyara

    mujhe aapke share key hua article se bhaut help mili.mujhe jab bhi problem hoti hai toh aap ke blog par aana like karta hu.

  4. Avatar for ranjot singhranjot singh

    Sir m blogging start krna Chahta hu to mujhe is platform se shuru krni chahiye …and sir shuru m paid blog bnaye ya fir shuru m free blog use kr skte …
    2.. sir blogger.com pr free blog Shi h or bad m is blog ka domain change kr sakta hu or free blog success ho skta h or free blog ko bad m kisi paid plan pr transfers kr skte h or agr kr skte h to

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. WordPress always better hai agar aapke pas budget hai to warna blogger use kar sakte ho.
      2. Yes ho sakta hai but blogger par wordpress ke jitne feature nahi hai.

  5. Avatar for shivaay singhshivaay singh

    Hello sir . Aapki post mere liye hamesa he usefully rahi hai. Kon ki aapke likhne or use details me samjhane ka tarika or blogger se bahut he alag hai.
    Sir mera aapse yah questing hai ke mujhe apne blog ke liye post kahan se likhne chahiye. Matlab post ke liye content kahan se laye. plz sir help me i m your regular reader.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Google me sarch kiya karo or apne competitor ke blog bhi.

  6. Avatar for VishalVishal

    Bhai blog se 15000-20000 monthly kamane ke liye daily kitne visitors hone chahiye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      10,000 visitors se isse bhi jyada kama sakte ho.

      • Avatar for AshwaniAshwani

        sir g maine ek blog banaya hai. aksmartsupport.in ke naam se, is par maine abhi lagbhag 40 post dali hai. par post view lagbhag 100 hi hoti hai par day. sunday ko ye cross kar jati hai.abhi mujhe ek mahina hone wala hai, kya shuruaat me aisa hi traffic milta hai, ise improve karne ke liye kya karu please bataye.

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Good thoda promotion bhi karo.

  7. Avatar for Anand singhAnand singh

    Bro…mai ek baat samajh nahi pa raha hu ki agar hame apni iss post ko social networking site me share karna hai to kaya kare ?????

    Matlab jo aapne ye pura articals likha hai usko copy karke apne frd logo ko send kar de ……….. I m right na

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi sirf iska lin kshare karo.

  8. Avatar for urdu mein helpurdu mein help

    Ok thank you maine ap ki post read kar li hai , ik aur question hai, samjhne ki koshish karna bhut important hai, hum blogger post h1 h2 h3 heading me likhte hain to google search mein post title ke niche jo keyword ate hain wo kis heading ke under hote hain h1 h2 etc ya other ke.

  9. Avatar for shehzaadshehzaad

    Thanks mr jumedeen khan ap ne bhut umda article likha hai ik dum proper h yr, acha mujhe ye pochna tha an AdSense ne apni policy chenge kr di h kia ab hum ik post me 10 add use kr sakte hn kia 🙂 zara jaldi btana yr , janta hun ajkl ap ke paas time ki bhut kami hai.!

  10. Avatar for ishaan yadavishaan yadav

    Bhai mene ek blog bnaya h us par per day 800se 1200 visitor h daily ke but muje nhi pta ke earning kese hogi or adsens kese lgate h to bta skte ho kia??

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap apne blog ke liye ek domain buy karo uske bad apa AdSense account banao or jab aapka account approved ho jaye to aap AdSense ke ads blog par lagao uske bad apaki earning shuru ho jayegi. Iske bare me aap humari AdSense or blogging se related post padho.

  11. Avatar for VishalVishal

    Bhai meri ek post ka seo good hai. but usme kush kaisa likha aa raha hai . he kya hai

    The copy scores 1.2 in theFlesch Reading Easetest, which is considered very difficult to read. Try to makeshorter sentences, using less difficult words to improve readability.

    2. keywords density 1.1 % hai kya ye sahi hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Hindi me aap readability better nahi kar sakte, keywords denisity 2% karo.

  12. Avatar for pari Lohiapari Lohia

    sir aap ye bta skty hey ki mey apny blog key maine page mey Tags ki list kesy add kro pleases sir without plugin btana Pleases sir jaldi reply krna.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap WordPress dashboard par jao or widget select karke categories wala widget select karke “Display as dropdown” ke samne tick karo.

  13. Avatar for Lalit MakwanaLalit Makwana

    Hello sir apani khud ki website kaise banate hain please tell me

  14. Avatar for An kitAn kit

    Bhai apse se nivedan hai ki ap ji jo bhi,post padta hu usme related post,aane ke Karan,koi bhi post sahi tarike se padh niii milta hai aur confusan ho jata hai ki kaun sa padhu ya kaun sa na padhu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Are ankit bro related post add karna jaruri hota hai. isliye karta hu. Aap kaho to ise hata dunga.

  15. Avatar for IrfanIrfan

    Nice kya bahtreen post like ha aap. Is se tamam blogger KO bht achi help mile ge.
    Thanks

  16. Avatar for namdevnamdev

    Bahut hi achhi jaankari di apne jab bhi demotivate hota hu to apki blog se relative post padh ke fr se boost (motivate) ho jata hu thnkyu
    mujhe apse call pr ya fb pr bat krke help chahiye agr apke pas time ho to help krna

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ap mujhe sham 8pm ke bad facebook par chat kar sakte ho.

  17. Avatar for MilhanMilhan

    bro, blog create karke konsa Article dalu? i mean blog me agar technology ke bareme articles du to Kis Website se collect karu sbse pehle or blog me world ke kisi bhi country ke bareme news de sakta hu kya pls reply ???

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Jo kuch aapko aata hai. I mean apne talent se koi bhi topics par post likh sakte ho.

  18. Avatar for krishnachandra baghelkrishnachandra baghel

    sir aapne bahut achhi jankariya di hai thank u sir maine abhi abhi blogging suru kiya hai plz mere blog ke liye koi tips dijiye awr meri kamiyo ko bataiye mai lagbhag roj aapke articalls padhta hun mai ancient indian history awr ancient aliens in indian history par artical likhna chahta hun plz gide kijiye jisse mujhe jyada se jyada traffic mile ..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Bro aapka blog open nahi ho raha hai. Sahi link btao.

  19. Avatar for satish kushwahasatish kushwaha

    बहुत ही अच्छी जानकारी है,,क्या आप मेरे ब्लॉग के लिए कोई सलाह देंगे ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap SEO ke bare me sikh kar post likha karo jisse aapko search engine se jyada traffic mile.

  20. Avatar for vikramvikram

    sir mere blog post me jo link add karta hu unka colour #999 hai jo mujhe achha nhi lagta hai …main isko change karna chahta hu sir please detail se batao kaise karun …..main templet me #999 search karke usko dusre colour se bhi replace karke dekh liya par nhi ho rha hai

  21. Avatar for Harpreet KumarHarpreet Kumar

    Bhai ek swaal mera post title “apna mobile number kaise jane .” Isme me konsa focus keyword rakhu. Ap suggest kro

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      First to aap post title me or word add karo post title 35 to 65 word ka hona chahiye. isme aap mobile number focus keyword use karo.

  22. Avatar for deepeshdeepesh

    hello jume din sir aap ne bahot achhi information share ki sir aap mera blog dekh kar bata sakte ho ki usme kya kami hai please sir

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Deepash aapko sabse pahle SEO ke bare me janna chahiye. Mujhe lagta hai aapko iski shkat jarurat hai.

  23. Avatar for Rajesh SharmaRajesh Sharma

    Bhut achhi post
    aap meri site ko chek karke btaye usme kya kya kmiya h.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap SEO friendly post likhna sikho.

  24. Avatar for vakil shaikhvakil shaikh

    jumedeen bhai mai bank gaya tha mager unone kaha ki aapka bada ccount hona chaiye to aap bata sakte hai ki kis bank ka account mai kholu jisse us bank me 500 ru.bhi hoto domain kharid saku kya aap nahi de sakte domain kharid kar mai aapko paise de duga please bhai itane sare paise nahi hai mere pass ki or ek bank ka account khol saku.
    2.
    or haa kya mai blogspot per add laga sakta hu 10 month to hoi gaye hai site ko ya koi problems aayegi.or haa jab AdSense hamare bank me paise transfer karta hai to vaha bhi otp code dena padta hai kya please bataiye aaap . aapne kaise kiya bank me otp pane ke liye thoda deatils me batyena konsa bank hai jo massage allowed karta hai mera khata state bank of india ka hai.mager hamare gave me jo shakha hai vahper maine khta khola ttha kya karu koi help kar sakte hai aap .ya fir domain purchase karke de dijiye na bhai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Vakil aap mujhe facebook par contact karo. ya fir aapke pas mere contact number hai to mujhe call karo. Aap yaha nahi samajha paunga.

  25. Avatar for satyam kumarsatyam kumar

    brother aap semaine ek help mangi thi lekin aapne uska jaba nhi diya hai . maine ek blog banay ah hai jo ki aapki helps se hi sambhav hua hai lekin mujhe usame traffic nhi mil paa rahi hai ek baar aap usame check kar le ki koi kami to nhi hai kami ki taraf thoda sa dhyan dena . aur mujhe jyada traffic ke liye aur kya karna cahiye yah bhi bataye mai aapke jabab ka intarjar karungaa

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapke blog me koi kami nahi hai. Or jo thodi bahut hai wo aap dheere dheere sikh jaoghe . hindi blog par traffic aane me time lagta hai. Aap sirf blogging par dhyan do traffic apne aap increase ho jayegi.

      • Avatar for satyam kumarsatyam kumar

        thanks to brother
        apne mere rply kiya
        dusari baat hai ki aapne mera blog dekha to usme maine abhi free template use kar raha hun . mai uske liye template buy karun kya ya fir abhi nhi . usame domain bhi add karne ke liye kya salah hai . blogger me jo page veiws dikhate hai kya vah sahi hote hai . maine usame dekha hai ki jab bhi mai apnblog ko browser me kholta hun to mera bhi usame pageveiw me badh jata hai . mere kahane ka matlab hai ki pageveiw blogger wale sahi hai ya galat hote hai

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          blogger par paid template use karne ki jarurat nahi hai. Aap bas domain le lo second blogger pageviews sirf anuman hote hai. 100% fix nahi.

          • Avatar for satyam kumarsatyam kumar

            thanks bother bahut hi achchha anuvhab hai aapse salah milne ka
            aage bhi jarurat hogi to aapse salaha jarur lungaa
            thanks for you

  26. Avatar for dilipdilip

    bro me apka interview lena chahta hu fb par kya fb pR interview lekar use blog par post krne se copyright to nhi hoga ya email se le

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Dilip aap kuch or day blogging karo uske bad interview lena.

  27. Avatar for HardeepHardeep

    sir maine godaddy customer care se baat ki toh unho ne kaha apne godaddy ki setting me NS Nameservers hota hai usko add kare yaha se apni hosting li hai unse contact kare aur maine 4 ip address ad kiye hai woh bhi unhno ne kaha ek hi add karna hai woh bhi apko yaha se hosting li hai waha se pata chalega ke sahi ip adress kaunsa hai mera blog toh blogger par hai pls help kare mujhe kuch samj nahi aa raha hai

  28. Avatar for zishan ali gulzarzishan ali gulzar

    sir,,ek hosting me do blog banaye to page loading me koi effect pdega

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi page loading me koi effect nahi padta. agar aapke pas multiple domain plan hai to aap us hosting par kitne bhi blog bana sakte ho.

  29. Avatar for Love JeetLove Jeet

    meri website chek kre plzz mene ek post likhi hai google AdSense Approval kar e 5 din me kya v fake hai bhut sare bloggrr ne ye post daali to mene v use likha kya ve thik hai ya nhi mere blog par comment karke btana plzz .

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Bro agar aap pahle se internet par mojud pst likhoge to wo search me first page par mushkil hi aayegi. ok mai aapki site par commnet kar dunga.

  30. Avatar for kiran pawarkiran pawar

    ji mai jab post heading use karata hu to meri google ranking kam ho jati hai kya problem ho sakti hai. kya aap heading ke bare me puri ek post likh sakte hai kya.

  31. Avatar for HimanshuHimanshu

    Sir kya me google se koi image ko copy kar uska title aur use optimiz kar blog post me daal sakta hu?

  32. Avatar for Ankit MishraAnkit Mishra

    bhai,, Mene Webhostingbuzz se Hosting Kharrde Thi,, Now Me Ab Uska Domain Change Karna Chahte hu Kaise Karunnnn

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapne jis domain se hosting li hai use primary domain kate hai or hum hosting primary domain change nahi kar sakte hai ha ap hosting par dusra domain add kar sakte ho. iske bare me apni hosting customer care me bat kare.

  33. Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

    Aap w3 cache ya super cache plugin use karo.

  34. Avatar for HardeepHardeep

    sir maine apni site ke liye domain register kiya tha godaddy se usko maine apni blogger blog se connect bhi kar liya hai par site open nahi horahi hai 24 Hours ho chuke hai pls site open karke dekhe kya problem ho sakti hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap godaddy care me bat karo.

  35. Avatar for Umesh ChavanUmesh Chavan

    page ki speed check karane ke liey bahut hi acchi sites batayi hai aapne

  36. Avatar for vijay panaravijay panara

    Bhai maine phantom template ko blog mai active kiya tha lekin us mai to uper msine page mai koi post he show nahi hota baki sub kus aata hai POPULAR POST , EMAIL, ALEXA RENK, etc, sub kus aata hai par pahele page mai humare 3 se 4 post hote hai wo nahi aarahe kaise tbik kare

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Mujhe aapki site ke front page par 3-4 post dikhayi de rahi hai.

      • Avatar for vijay panaravijay panara

        Ye to dusra template hai mai next time phantom template uplod kiya tha ye bahut assa hai is liye fast page mai 3 4 post kaise laye blog mai

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          vijay bahut simple hai us template me hi problem hai. Aap use fir se download karke apne blog me upload karke try karo.

  37. Avatar for vikramvikram

    sir meri website ko jab google me search karta hu to ….jo post ki heding hai uski jagah post ki link show kar rha kya problm ho sakti hai aa p dekh ke batao please ….

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap google webmaster tools me ja kar pata karo ki aap koi extra robot.txt file to use nahi kar rahe ho. or robot.txt file ki jankari nahi hai to use use mat karo.

  38. Avatar for vakil shaikhvakil shaikh

    thanks for my answer jumedeen bhai mai aapke jaisa kab banuga bhai mager mera ek sawaal hai ki aise to bahut se hindi blogger hai jo same hi information post karte hai kya isse unka blog band nahi hota hai, unki bhi to post index hoti hai or ve paise bhi kama rahe hai ya fir hum koi bhi post khud kikhkar kar post karege to aisa nahi hoga. ya koi problems hoti hai bhai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha agar aap koi bhi post khud likhoge to aysa nahi hoga. Aap bas apne kaam ko imandari se karo.

  39. Avatar for vakil shaikhvakil shaikh

    Jumedin brother reported good enough to have a very good article to write, making us even more motivation to introduce blogging blogging in which we try to move on .What we thank you very much without OTP code domains brother buy क्या हम बिना OTP code ke domain nahi kharid sakte.please ans jaldi dena bhai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi nahi kharid sakte kyuki aap uska payment nahi kar sakte. Aap ek bar apni bank ke customer care me call karke bat kar lo ki OTP code kya hota hai. ya kahi se iske bare me ache se jaan lo.

  40. Avatar for rajraj

    post me meta tag kase add kare?

  41. Avatar for ashutosh singhashutosh singh

    kya hum apni site ko search me jyada lane ke liye apni site ko dusre site par bhi promate karte hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ha kar sakte ho. but wo dusri site aapki nahi kisidusre ki honi chahiye.

      • Avatar for ashutosh singhashutosh singh

        mai ye janna chahta hu ki kya maine jo site banae hai usko delet karke uske post ko mai apne dusre site par rakh sakta hu kyoki mere pehle wala jo site hai aur mai pehle sikhne ke liye banaya tha ab aapki madad se sikh gaya hu to mai chahta hu ki koi koi sikhne me galti hone ke karan search me nahi aaraha hai koi dikkat to nahi aayegi na mere dusre site par aur kya mai apne purine wale ko sudhar karne ke liye kaise jan sakta hu ki maine ye ye galtiya ki hai kaise pata chalega jaise metatag,search console,sitemaps,html editor me kuch galti ho mai ye kaise jaan sakta hu aap thoda detail me bataeye ga

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Nahi aapko dusri site banane ki koi jarurat nahi hai. aap apni purani sites par hi galatiya theek kar sakte ho. aap supportmeindia par blogging se related post padho or jaise jaise aap post padho unme btaye step follow kar ke apni galatiya sudharte raho. ek din sabkuch theek ho jayega.

          • Avatar for ashutosh singhashutosh singh

            mai aapse ye janna chahta hu ki maine jo pehle wale purine post me bahut hi kam keyword ka use kiya hai to mai usme aur keyword edit karke jod sakte hai ya nahi kyoki uska link maine google me fetch kiya hua agar mai apne post ka tital change kar sakta hu google fetch ko koi dikkat to nahi aayegi na aur mai ye janna chahta hu ki kya mai online kuch tricks ko sikh kar apne blog par mai apne tarike se post kar sakta hu koi dikkat to nahi hai na

            aur aapse reques hai ki aap mera site dekhkar bataye ki isme kya kya add karu aur mere site ka design kaise hai atacha hai ya nahi

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            aap apni koi bhi post ka title, content sabkuch edit kar sakte ho. actually search engine to allrady kahta hai purani post ko update karne ko. isse aapko koi problem nahi hogi. ha apne tarike se kar sakte ho. par ye aapke talent par hai ki aapka tarika kaisa hai.
            aapki site me koi kami nahi hai. but 1 post me kam se kam 1000 word use kiya karo.

          • Avatar for ashutosh singhashutosh singh

            aapne jo mujhe permament link ko chota karne ka link diya tha maine wo try kiya lekin kuch samah me nahi aaya hai aapne 2 option diye hue hai lekin permament link ko customize karne par 3 option aaraha hai aap mujhe yahi comment me kisi tital ka use karke 3 option me bataye
            1 blog tital me kya dale
            2 link ko chota kaise banaye
            3 mime type me kya dale

            aap se request karta hu ki aap aap yahi pe batade kisi bhi tital ka use karke

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            1. post ka title add karo.
            2. post ke link me se kya, kyu, kaise, ke ,ko jaie word ko hata do.
            3. mime e kuch bhi select karo.
            aap jab post me na samajh paye to comment me kaise samajhoge

          • Avatar for Ravi RanjanRavi Ranjan

            बहुत ही अच्छी knowledge दी हैं आपने। क्या आप मेरे ब्लॉग के लिए कुछ सलाह देंगे

  42. Avatar for raazraaz

    sir hume aapke blog par guest post karna hai

  43. Avatar for rajaraja

    Apne blog Ka email Id change karna h sir WO kaise kare

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      blog ke dashboard>>settings>>basic par jao or Permissions me Blog Authors ke samne add author par click karke dusri email id add kar lo.

  44. Avatar for rajaraja

    Sir mai to blog me category,archives tags ki widgets kaise lagate h aur widgets kaha SE aayega sir mai nya hu Jo mai an blogging start kiya hu to aap kuch bhi iske bare me suggestkigiye

  45. Avatar for RAJA KUMARRAJA KUMAR

    Jume Deen ji aapne ek achha blog banaya hai. Aur aspke hi post se inspire hoke Maine bhi ek blog banaya hai. Kripya aap ek baar dekhkar bataye Isme Koi Kami to nahi hai. Aur mai kam se kam kitna post aur dalu ki absence aprove ho jaye Mere blog par Hame aapke comment ka intezar hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      aapne blog to acha banaya hai. but mujhe us par popular post, archieves, categories, tags ki koi widget nahi mili hai. jo mai aapko koi suggestion de saku. par fir bhi mai aapko bta du ki AdSense approved hone ke liye aapke blog par 300 se jyada per day pagevies hone chahiye.

  46. Avatar for Rahul devRahul dev

    June Deen ji aapne ek achha blog banaya hai. Aapne Sahi Kaha hai ki aapne Seo se related bahut saari post daali hain. Aapke blog se logo ko achhi madad mil Rahi hai. Maine bhi ek blog banaya hai. Kripya aap ek baar dekhkar bataye Isme Koi Kami to nahi hai. Mere blog par Hame aapke comment ka intezar hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      acha blog hai. template bhi fast loading hai. well done, main comment ki hai aap check kar lena.

  47. Avatar for surajsuraj

    sir ek banda hai jo meri har ek post copy kar raha hai aur shayad aapki bhi kar raha hai images ke sath puri content copy kar raha hai toh isme mera toh koi nuksan nahi hoga na.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi isme aapko koi nukshan nahi hoga. usi ko hoga uska AdSense account ban ho jayega.

  48. Avatar for SidSid

    Bhai aapne hi templete dia tha mujhe aur mujhe ye templete bohot accha lagta hai aur dusra koi templete nehi hai mere paas…
    Tnank you bro

  49. Avatar for SidSid

    Bhai header me to sirf ek hi image add kia ja sakta hai jo mene apna logo add kita hai, usko nije kese lagaye jese aapne lagaya…
    Ek alag link deke…
    Iska option mujhe layout me nehi mila

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      aap jo template use kar rahe ho usme ye options nahi hoga. aap aysi template use karo jisme header ka option ho.

  50. Avatar for Sandesh GuptaSandesh Gupta

    Aap jaise niche select categories and YouTube subscribe lagaye hai humko bhi bata dijiye kaise hoga detail me..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ok iske bare me mai details post kar dunga. Wo pad lena

  51. Avatar for rohitrohit

    sir aap meri site check kijiye maine template change kiya hai ab usme logo sahi se nhi aa rha isme kis size ka logo lgega

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      website logo 16×16, 80×80, 150×150 jo bhi size aapko best lage bana sakte ho.

  52. Avatar for Ankit JhaAnkit Jha

    Thank you very much bro i got all the helpful answers from you one last question i have agar main blogger se WordPress par move karta hu toh kya mere SEO aur traffic par effect padega ? Kya mujhe dobara sitemap googel console mein submit karna padega ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      agar aap old domain par hi WordPress par move karte ho to seo par koi fark nahi padta. or wese bhi WordPress par WordPress seo plugin hota hai. jo aapki blog ko complete seo ready bana deta hai.

  53. Avatar for rohitrohit

    Aap meri site check keejiye
    Usme opera mini me post nhi dekh rhi hai
    Aur sir btaiye kya kami hai
    Plz help me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Site me koi kami nahi hai. opera mini me aysi problem hoti hai. kyuki ab puri duniya me chrome use hota hai. opera old version ho chuka hai. aap chrome me check karo problem nahi hogi.

  54. Avatar for Ankit JhaAnkit Jha

    Bro WordPress.com achcha hai ya WordPress.org or aap monthly hosting ke kitne paise pay karte ho or konse website se aap supportmeindia host karte ho

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Mai hostgator ka bussiness paln use karta hu jiska ek sal ka lagbhag 8,000 ka payment karna hota hai. WordPress.com or WordPress.org ek hi hai. aapko kisi par bhi blog banane ki jarurat nahi hai. jab aap hosting loge to aapke cpanel me WordPress blog install karna ka option milta hai. us par hum WordPress blog install karte hai to hume admin link mil jata hai. jaha se aap apna worspress blog manage kar sakte ho. aap ye post pado or ache se samajho Hostgator Hosting Par WordPress Blog Kaise Install Kare

  55. Avatar for rohitrohit

    agar mai apko guest post send kru toh aap aaj hi publish kar doge

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ha kar dunga. but usse pahle aap guest policy pad lo. aap chaho to hindi.supportmeindia.com par contributer ban kar post kar sakte ho.

  56. Avatar for SidSid

    Bhai aapke blog ka jo logo hai uske niche make money online bolke aapne ek link dia hai pic ke saath wo kese du…
    Mujhe pata nehi
    help me bro

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      blog ke layout me jao or widget me image ka link add karo.

  57. Avatar for NeilLewisNeilLewis

    There are some interesting points in time on this article however I don

  58. Avatar for PramodPramod

    Jab hum off page seo karte hai tab wo homepage ka kare? ya har ek post ka kare?
    means we have to apply seo on each single post or just have to do seo of our homepage? and if we build link just for our main page then other single post will increse rank or not?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Homepage or simgle dono ke liye SEO jaruri hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Homepage or single dono ke liye SEO jaruri hai.

  59. Avatar for Ankit JhaAnkit Jha

    bhai main post mein 2 ads hi use karta hu lekin widget mein maine 2 ads or laga rakhe hai ek large or ek medium or widget wala ad har page mein popular post ke neeche show hota hai toh kya fir bhi block ho jayega mera account main toh jabki post mein 2 ads hi laga rakhe hai. Or bro main sirf 3 ad units use karta hu apne blog mein aapka jo bhi suggestion ho please batana mujhe apna AdSense account secure rakhna hai bro

  60. Avatar for amitamit

    bhai pass 1 guest post h bhai

  61. Avatar for Ankit JhaAnkit Jha

    bro mujhe achcha lagta hai aap hamare har question ke answer dete ho or bro mere kuch questions ke anwser bata do please

    1) Bhai ek tutorial banao jisme yeh ho ki AdSense ads kaise post mein show karte hai

    2) bro mera link ad kabhi kaam nahi karta

    3) Bro mere 3 ad units hai or main apne har post mein 1 ad title ke neeche dusri post end hone ke baad 3 medium ad popular post ke neeche 4 large ad sabse neeche use karta hu link ad use nahi karta Overall main 4 ads every post par use karta hu kya AdSense mera account deactivate kr dega ???? please answer i am waiting

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. ye post pado Adsense Ke Ads Blog Me Kaise Lagate Hai
      2. iternet slow connection ki wajah se ads load nahi ho pate hai.
      3. bilkul kar dega. aap post me sirf 3 ads hi use kar sakte ho. jyada karoge to AdSense block ho sakta hai.
      agar aap AdSense ke rules ache se follow karoge to future me aapko AdSense ka better result milega.

  62. Avatar for devdev

    Bhayi kya me fb par group join karke us group me apni post dalke share jisse mghe kuch traffic mile uspar post dalne par koi prblm to nhi hogi ya me kis tarike se us group me post share karu jisse mera traffic b bad jaye or koi brblm b na ho.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      aap chahe to facebook group me apni puri post share kar sakte ho. isse koi problem nahi hogi.

  63. Avatar for sanju dangarsanju dangar

    Sukriya sir par maine,comment ke baare mai isliye kaha ki AdSense approve karne me
    Kam comment se problem to nahi hogi na?

    Ab dar lagata he ak baar disebal huaa tha
    Aapko bataya tha maine

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Don’t worry AdSense commnet nahi post content dekhta hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      mere or supportmeindia ke bare me janne ke liye aap About us forum par jaye or income ke liye ye post pado Support Me India Monthly Traffic & Income Report

  64. Avatar for devdev

    Bhayi meri site to freecharge online shopping offer is type to bhayi me kese traffic increase karu kyo ki new year best wishes is tarah ki ye post to me dal nahi skta

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Kyo nahi dal sakte. wo aapka blog hai or aap usme kuch bhi share kar sakte ho. agar aapki bat mane to mera blog blogging par hai so mujhe bhi happy new year ki post nahi karni chahiye.

  65. Avatar for rahul kumarrahul kumar

    awesome post !
    isme aapne ek a cha point bataya ki trend ke anusar article likne par jyada visitors aate he thanks

  66. Avatar for sanju dangarsanju dangar

    Bahut hi archi post ki aapne
    Sir meri hi baat karu to meri site pe par dey 200 wives milate the but maine new year ki 5 post post ki he
    20 -12 -15 se maine stat ki thi
    Or ab par dey 1000+ visiter aate he or vo bhi jyada to search se hi aate he
    3 month se jitana visiter nahi mile ita na to sirf 5 day me mil gaya

    Par ak problem he sir comment bahut kam milati he

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye problem nahi hai. agar post par jyada comment hogi to post loading time jyada hoga. or wese bhi faltu ki comment ki koi jarurat nahi hoti. wait karo bahut jald comments bhi aane lag jayenge.

  67. Avatar for Suraj KumarSuraj Kumar

    Bahut achhi jankari di hai aapne thank you

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...