Blog traffic kitna jaruri hai, ye bat har ek blogger janta hai. hum apne blog par traffic badhane ki sabhi koshishe try karte hai. but sabse important tricks ko hum ignore kar dete hai. wo hai top list articles, jisse hum 1 month me 100,000 se jyada visitors prapt kar sakte hai. badhiya article likhna hi blog ki traffic badhane ka no.1 tarika hai.
Aapki post me jitna acha talent hoga utne jyada visitors aayenge. ye bat maine conform ki hai. or ab mai aapko pure wishwas se kah sakta hu ki ek achi post se aap ek mahine me 100,000 se bhi jyada visitors kama sakte ho.
24-dec-2025 ki sham 6pm ko maine Happy New Year 2025 Wishes Quotes post share ki thi. rat 11:59pm tak is post par 5,000+ pageviews ho chuke the. post ka high score 403 pageviews per hours raha. 800 google+ visitors, 132 facebook visitors and 600+ search engine result se visitors hasil huye hai. is post ko ab tak total 270 share mil chuke hai. agar is post ki ek mahine ki traffic pata ki jaye to iski monthly traffic hogi 600,000 pageviews to ab aapko ye to pata chal hi gaya hoga ki ek top listed post 10 contentless posts se jyada traffic kama sakti hai.
Is post sirf 500+ words hai fir bhi itna traffic iski wajah hai sirf iska topic “Happy New Year 2025 Wishes Quotes” jo is time internet par sabse jyada search kiya jane wala topic hai. to ab aap ye to samajh hi gaye honge ki ek acha or popular post topic se kitna traffic badh sakta hai. mai aapko is post me or bhi tricks bta raha hu apna 5 minute ka time de kar post ko ache se pade or achi lage to social media par share bhi kare. or in 6 ghanto ke andar mujhe AdSense se 16.40 US dollar mile hai. yani itne kam time me maine lagbhag 1,000 rupees kamaye hai. ye mere liye ek sapne ke jaisa hai. or is khushi ko mai aapke sath share kar raha hu. kyuki aap hi ki help se ye sab hua hai.
Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye?
Jaisa ki maine upar top list post ke bare me btaye hai. wese hi agar hum kuch or step follow karke post likhe to hume search engine se itna traffic mil sakta hai ki hum soch bhi nahi sakte. jinme se kuch step mai aapko bta raha hu. abhi mai aapko utna hi bta raha hu jitna mai janta hu. future me bhi mai apna experience aapke sath share karta rahu, iske liye aap bhi is post ko share karke meri help kijiye.
1) Top List Post Topic (Title)
Top List yani sabse jyada search kiye haye words ki top 10, 20 , 50 ,100 number ki list. aapki post ka title inme jis ranking ka hoga. utna jyada traffic aapko milega. upar maine aapko isi ke result ke bare me btaya hai. post topic ko top list me lane ke liye ye step follow kare.
- post title me numric use kare jaise 10, 20, 50, 100, 200 etc.
- post title me popular keywords use kare. jaise Top, Most, Best, Better and other.
- post title me kya, kaise, kyu jaise question words use kare.
- post title minimum 40 character or maximum 70 character ka hona chahiye.
- post title aysa ho jise internet par sabse jyada search kiya jata hai.
- post title ko dekhte hi visitors use par visit karna pasand kare.
- happy new year jaise most time se sambandhit post title likhte rahe.
- post title post se related hona chahiye, jise search engine ranking badhti hai.
- post title me extra words jarurat padne par hi use kare. jaise se, me, ko etc.
- post title me jitna ho sake utne jyada fomous, top ranking keywors use kare.
upar diye step follow karke likhe gaye post topic is tarah ke hone;
- Top 25 tricks blog par adhik traffic badhane ke liye.
- Blogging me success hone ki top 7 wajah in hindi
- 20 stylies email subscribe widget for blogger blog.
- Top 50 badiya tarike blog ki traffic badhane ke.
- 10 important tarike internet se paise kamane ke.
2) Top List Article
Jab google search engine aapki post ko index karta hai to sabse pahle post ki images or keywords ko dekhta hai. so agar aap chahate hai ki aapki post search me sabse upar aaye to aapki post me kam se kam 2,000 words hone chahiye. kyuki post me jitne jyada words honge utne jyada keywords bhi honge. or jitne jyada keywords honge search enginbe utna acha result dega. sath hi post me 2-5 images bhi use kare. images aysi honi chahiye jo puri tarah post se related ho or jise dekhte hi visitors ko post samajh me aa jaye. yad rahe bina wajah faltu ki photos use karne se search engine aapki post ko block kar sakta hai.
Exaple ke liye aap ye post pad dekh sakte hai:
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
- Smart Phone Ki Battery Life Badhane Ke 10 Android Apps
- Smart Phone Kar Sakta Hai Ye 10 Kaam, Kya Aap Ne Kabhi Try Kiya Hai
- Computer Vs Laptop Kounsa Behtar Hai, 10 Bato Se Samajhe
- Kya Aap Jante Hai Google Chrome Ki Ye Interesting Tricks
3) Post Talent
Jab post talent ka name aata hai to kuch bloggers sochte hai ki hum me itna talent nahi ki top ranking me aa sake. but mai aapko btana chahunga ki talent humare andar nahi rahta hume banana padta hai. blog post ke talent ki bat kare to isme aapko sirf itna karna hai ki post me aap jo kuch bhi likho wo sabkuch post topic se related hona chahiye. or post ki bhasha aysi ho jise visitors aasani se samajh sake. bina kam ke boring words post me use nahi kare. ek line me kahu to post aysi honi chahiye jiske photos, writing ko dekhte hi samajh aa jaye ki is post me kya jankari di gayi hai.
Example ke liye ye posts dekhe.
- Internet Se Ghar Baithe Online Paise Kaise Kamaye
- Hostgator Hosting Par WordPress Blog Kaise Install Kare
- Hostgator India Se Hosting Kaise Kharide Hindi Me Jankari
- WordPress Par Free Blog Kaise Banaye in Hindi
- Digital Ocean Par Free Hosting Kaise Kharide Cloudways Se
4) Share Post On Social Network
Post likhne ke bad sabse important kam hota hai post ko new visitors tak pahuchana. iska simple tarika hai social media facebook, google plus, twitter, linkedin, pinterest, reddit and other social networking sites. agar aap ye tips follow nahi karte ho to aaj se shuru kar sakte ho. social media par post share karne ka sahi time hota hai sham 6pm to 9pm is samay social media par 90% user active rahte hai. ye mai aapko confirm karne ke bad bta raha hu. aap try karke result check kar sakte hai.
aap ye post follow karke bhi blog ki traffic badha sakte hai.
- Blog Ki Traffic Ghatane Wali 10 Badi Mistakes
- Blog Ki Traffic Badhane Ke 50 Best Tarike in Hindi
- Google Plus Se Blog Ki Traffic Badhane Ke Top 5 Tarike
- Apne (Blog) Website Ki Traffic Kaise Badhaye Ki Jankari
- Blog Ki Traffic Badhane Ki Tips & Tricks
5) Complete SEO
Search engine se traffic pane ke liye sabse important aapke blog ka SEO complete hona chahaiye. mai blog SEO ke bare me bahut post kar chuka hu. jinhe follow karke aap apne blog ko seo friendly bana sakte ho or search engine se acha traffic prapt kar sakte ho. iske liye aapko first seo ki puri jankari honi jaruri hai. seo ke bare me janne ke liye aap humari site ki SEO se related post padiye or apni site ko seo friendly banayiye. blogger blog ko seo ready banane ke liye mai aapko kuch step bta raha hu.
- Blog me Meta tag add kare.
- blog ko sabhi search engine se submit kare.
- blog ka sitemap banaye or sabhi search engine me sitmap add kare.
- blog ki template seo or mobile friendly ho.
- Blog SEO ki compelete guide pane ke liye yaha click kare.
6) Fast Loading Blog
Visitors fast load blog or websites ko sabse jyada pasand karte hai. agar aapke blog ki loading speed 80% se jyada hai to aapko 30% traffic jyada milega. sath hi search engine bhi fast loading sites ko jyada pasand karta hai. us blog ko jaldi inex karta hai.
aap Getmetrix par site speed % check kar sakte hai.
7) Site speed 4 second se kam ho
Google ne ek servuy kiya tha ki visitors kitni second me load hone wali sites jyada use karte hai. is servuy se pata chala ki 70% visitors 4 second se kam time me load hone wali sites ko sabse jyada pasand karte hai.
aap Pingdom par site ki speed second me check kar sakte ho.
8) Optimize Database
Database yani aapke blog ki puri data ka size, website ki speed is par sabse jyada depend karti hai. is liye agar aap blogger free blog use karte hai to aapko database optimize karne ki koi jarurat nahi hai. kyuki aapke blog ka database google ke throw automaticly optimize hota rahta hai. bas aapko post image sahi format me use karni hai. image optimize ki jankari ke liye aap Blogger Images Ko SEO Friendly Kaise Banaye post pade or post me 50kb ke lagbhag size ki hi photos use kare. or agar aap WordPress user hai to w3 cache plugin, super cache plugin use kar sakte hai. in plugin se aap automaticly database optimize kar sakte ho.
9) Post Heading
Post ko adhik seo friendly banane ke liye post me 2-5 post heading jarur add kare. isse search engine ko post content index karne me aasani hoti hai. heading post title se related hi honi chahiye. jisse visitors ko post ko samajhne me or bhi aasani ho.
Jaise aapki post ka title hai “Blog ki traffic kaise badhaye 5 aasan tarike” to aap post me isse related heading add karo.
- Blog traffic kya hai?
- traffic kaha se kama sakte hai?
- traffic badhane ka sabse aasan tarika
- blog ki traffic kaise badha sakte hai?
is tarah se aap post me post topic se related heading add kar sakte hai. agar aap post me achi or post content se sambandhit heading use karne me success ho pate hai to aapki post ki search ranking bina heading ki post se 50% jyada hogi.
10) Post Summary
Maine aapko is post me jo bate btayi hai. agar aap unhe follow karke 10-15 top list article likh lete ho to aap 100% monthly 100,000 visitors recieve kar sakte ho. aapne suna hoga ki ek acha beta 100 bekar beto se behtar hota hai. or wo akela ma parents ko pal sakta hai. bilkul usi tarah ek achi post aapko itna traffic de sakti hai. jo 100 bekar post nahi de sakti. isliye mai aapko personalu suggest karunga ki har post me kam se kam 1,000 words to jarur use kare or agar isse jyada use kar sako to or bhi achi bat hai. post puri tarah complete karke hi blog par share karo.
I hope aapko ye post pasand aayi hogi. or aapko isme koi achi jankari bhi mili hogi. agar mai sahi hu to apna 30 second ka time de kar is post ko share kare. jisse meri or kisi or ki help hogi. sath hi comment me apne thought jarur likhe. kyuki aapke vicharo se mujhe new post likhne ki jankari milti hai. sath hi ye bhi pata chalta hai ki aapko meri wajah se kitni madad mili, jisse future me mai aapko or behtar sikha saku. so comment or is post ko share jarur kare.
- Blog Ko Google, Bing, Yahoo Jaise Search Engines Se Kaise Submit Kare
- Blog Ke Sitemap Ko Google Search Console Me Submit Kaise Kare
Mujhe blogging me 4 month se jyada time ho gaya hai. or ab mai blog SEO ke bare me aapko completly guide kar sakta hu. iske bare me allready post kar chuka hu or aage bhi karta rahunga. in my case mere blog par sabse jyada visitors search engine se hi aate hai. agar aap bhi chahate hai ki aapke blog par search engine se jyada se jyada traffic mile to blog ka seo complete kijiye. fir dekhiye aapke blog ki traffic kaise badhti hai.
Sid
Bhai header me to sirf ek hi image add kia ja sakta hai jo mene apna logo add kita hai, usko nije kese lagaye jese aapne lagaya…
Ek alag link deke…
Iska option mujhe layout me nehi mila
Jumedeen Khan
aap jo template use kar rahe ho usme ye options nahi hoga. aap aysi template use karo jisme header ka option ho.
Sandesh Gupta
Aap jaise niche select categories and YouTube subscribe lagaye hai humko bhi bata dijiye kaise hoga detail me..
Jumedeen Khan
Ok iske bare me mai details post kar dunga. Wo pad lena
rohit
sir aap meri site check kijiye maine template change kiya hai ab usme logo sahi se nhi aa rha isme kis size ka logo lgega
Jumedeen Khan
website logo 16×16, 80×80, 150×150 jo bhi size aapko best lage bana sakte ho.
Ankit Jha
Thank you very much bro i got all the helpful answers from you one last question i have agar main blogger se WordPress par move karta hu toh kya mere SEO aur traffic par effect padega ? Kya mujhe dobara sitemap googel console mein submit karna padega ?
Jumedeen Khan
agar aap old domain par hi WordPress par move karte ho to seo par koi fark nahi padta. or wese bhi WordPress par WordPress seo plugin hota hai. jo aapki blog ko complete seo ready bana deta hai.
rohit
Aap meri site check keejiye
Usme opera mini me post nhi dekh rhi hai
Aur sir btaiye kya kami hai
Plz help me
Jumedeen Khan
Site me koi kami nahi hai. opera mini me aysi problem hoti hai. kyuki ab puri duniya me chrome use hota hai. opera old version ho chuka hai. aap chrome me check karo problem nahi hogi.
Ankit Jha
Bro WordPress.com achcha hai ya WordPress.org or aap monthly hosting ke kitne paise pay karte ho or konse website se aap supportmeindia host karte ho
Jumedeen Khan
Mai hostgator ka bussiness paln use karta hu jiska ek sal ka lagbhag 8,000 ka payment karna hota hai. WordPress.com or WordPress.org ek hi hai. aapko kisi par bhi blog banane ki jarurat nahi hai. jab aap hosting loge to aapke cpanel me WordPress blog install karna ka option milta hai. us par hum WordPress blog install karte hai to hume admin link mil jata hai. jaha se aap apna worspress blog manage kar sakte ho. aap ye post pado or ache se samajho Hostgator Hosting Par WordPress Blog Kaise Install Kare
rohit
agar mai apko guest post send kru toh aap aaj hi publish kar doge
Jumedeen Khan
ha kar dunga. but usse pahle aap guest policy pad lo. aap chaho to hindi.supportmeindia.com par contributer ban kar post kar sakte ho.
Sid
Bhai aapke blog ka jo logo hai uske niche make money online bolke aapne ek link dia hai pic ke saath wo kese du…
Mujhe pata nehi
help me bro
Jumedeen Khan
blog ke layout me jao or widget me image ka link add karo.
NeilLewis
There are some interesting points in time on this article however I don
Pramod
Jab hum off page seo karte hai tab wo homepage ka kare? ya har ek post ka kare?
means we have to apply seo on each single post or just have to do seo of our homepage? and if we build link just for our main page then other single post will increse rank or not?
Jumedeen Khan
Homepage or simgle dono ke liye SEO jaruri hai.
Jumedeen Khan
Homepage or single dono ke liye SEO jaruri hai.
Ankit Jha
bhai main post mein 2 ads hi use karta hu lekin widget mein maine 2 ads or laga rakhe hai ek large or ek medium or widget wala ad har page mein popular post ke neeche show hota hai toh kya fir bhi block ho jayega mera account main toh jabki post mein 2 ads hi laga rakhe hai. Or bro main sirf 3 ad units use karta hu apne blog mein aapka jo bhi suggestion ho please batana mujhe apna AdSense account secure rakhna hai bro
Jumedeen Khan
Aap 3 text/display and 3 links ads ads post me or 2 sidebar me ads laga sakte ho. Isko jyada jankari ke liye ye post pado Adsense Ke Ads Blog Me Kaise Lagate Hai
amit
bhai pass 1 guest post h bhai
Jumedeen Khan
aap admin@supportmeindia.com par email me bhej sakte ho.
Ankit Jha
bro mujhe achcha lagta hai aap hamare har question ke answer dete ho or bro mere kuch questions ke anwser bata do please
1) Bhai ek tutorial banao jisme yeh ho ki AdSense ads kaise post mein show karte hai
2) bro mera link ad kabhi kaam nahi karta
3) Bro mere 3 ad units hai or main apne har post mein 1 ad title ke neeche dusri post end hone ke baad 3 medium ad popular post ke neeche 4 large ad sabse neeche use karta hu link ad use nahi karta Overall main 4 ads every post par use karta hu kya AdSense mera account deactivate kr dega ???? please answer i am waiting
Jumedeen Khan
1. ye post pado Adsense Ke Ads Blog Me Kaise Lagate Hai
2. iternet slow connection ki wajah se ads load nahi ho pate hai.
3. bilkul kar dega. aap post me sirf 3 ads hi use kar sakte ho. jyada karoge to AdSense block ho sakta hai.
agar aap AdSense ke rules ache se follow karoge to future me aapko AdSense ka better result milega.
dev
Bhayi kya me fb par group join karke us group me apni post dalke share jisse mghe kuch traffic mile uspar post dalne par koi prblm to nhi hogi ya me kis tarike se us group me post share karu jisse mera traffic b bad jaye or koi brblm b na ho.
Jumedeen Khan
aap chahe to facebook group me apni puri post share kar sakte ho. isse koi problem nahi hogi.
sanju dangar
Sukriya sir par maine,comment ke baare mai isliye kaha ki AdSense approve karne me
Kam comment se problem to nahi hogi na?
Ab dar lagata he ak baar disebal huaa tha
Aapko bataya tha maine
Jumedeen Khan
Don’t worry AdSense commnet nahi post content dekhta hai.
Shivraj
Sir ap is https://www.supportmeindia.com se hr month kitne paise kma lete ho or ye site bni kitne year ho gye he btaiye sir
Jumedeen Khan
mere or supportmeindia ke bare me janne ke liye aap About us forum par jaye or income ke liye ye post pado Support Me India Monthly Traffic & Income Report
dev
Bhayi meri site to freecharge online shopping offer is type to bhayi me kese traffic increase karu kyo ki new year best wishes is tarah ki ye post to me dal nahi skta
Jumedeen Khan
Kyo nahi dal sakte. wo aapka blog hai or aap usme kuch bhi share kar sakte ho. agar aapki bat mane to mera blog blogging par hai so mujhe bhi happy new year ki post nahi karni chahiye.
rahul kumar
awesome post !
isme aapne ek a cha point bataya ki trend ke anusar article likne par jyada visitors aate he thanks
sanju dangar
Bahut hi archi post ki aapne
Sir meri hi baat karu to meri site pe par dey 200 wives milate the but maine new year ki 5 post post ki he
20 -12 -15 se maine stat ki thi
Or ab par dey 1000+ visiter aate he or vo bhi jyada to search se hi aate he
3 month se jitana visiter nahi mile ita na to sirf 5 day me mil gaya
Par ak problem he sir comment bahut kam milati he
Jumedeen Khan
Ye problem nahi hai. agar post par jyada comment hogi to post loading time jyada hoga. or wese bhi faltu ki comment ki koi jarurat nahi hoti. wait karo bahut jald comments bhi aane lag jayenge.
Suraj Kumar
Bahut achhi jankari di hai aapne thank you