Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye

Blog traffic kitna jaruri hai, ye bat har ek blogger janta hai. hum apne blog par traffic badhane ki sabhi koshishe try karte hai. but sabse important tricks ko hum ignore kar dete hai. wo hai top list articles, jisse hum 1 month me 100,000 se jyada visitors prapt kar sakte hai. badhiya article likhna hi blog ki traffic badhane ka no.1 tarika hai.

Get 100,000 Visitors in 1 Month

Aapki post me jitna acha talent hoga utne jyada visitors aayenge. ye bat maine conform ki hai. or ab mai aapko pure wishwas se kah sakta hu ki ek achi post se aap ek mahine me 100,000 se bhi jyada visitors kama sakte ho.

24-dec-2025 ki sham 6pm ko maine Happy New Year 2025 Wishes Quotes post share ki thi. rat 11:59pm tak is post par 5,000+ pageviews ho chuke the. post ka high score 403 pageviews per hours raha. 800 google+ visitors, 132 facebook visitors and 600+ search engine result se visitors hasil huye hai. is post ko ab tak total 270 share mil chuke hai. agar is post ki ek mahine ki traffic pata ki jaye to iski monthly traffic hogi 600,000 pageviews to ab aapko ye to pata chal hi gaya hoga ki ek top listed post 10 contentless posts se jyada traffic kama sakti hai.

Is post sirf 500+ words hai fir bhi itna traffic iski wajah hai sirf iska topic “Happy New Year 2025 Wishes Quotes” jo is time internet par sabse jyada search kiya jane wala topic hai. to ab aap ye to samajh hi gaye honge ki ek acha or popular post topic se kitna traffic badh sakta hai. mai aapko is post me or bhi tricks bta raha hu apna 5 minute ka time de kar post ko ache se pade or achi lage to social media par share bhi kare. or in 6 ghanto ke andar mujhe AdSense se 16.40 US dollar mile hai. yani itne kam time me maine lagbhag 1,000 rupees kamaye hai. ye mere liye ek sapne ke jaisa hai. or is khushi ko mai aapke sath share kar raha hu. kyuki aap hi ki help se ye sab hua hai.

Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye?

Jaisa ki maine upar top list post ke bare me btaye hai. wese hi agar hum kuch or step follow karke post likhe to hume search engine se itna traffic mil sakta hai ki hum soch bhi nahi sakte. jinme se kuch step mai aapko bta raha hu. abhi mai aapko utna hi bta raha hu jitna mai janta hu. future me bhi mai apna experience aapke sath share karta rahu, iske liye aap bhi is post ko share karke meri help kijiye.

1) Top List Post Topic (Title)

Top List yani sabse jyada search kiye haye words ki top 10, 20 , 50 ,100 number ki list. aapki post ka title inme jis ranking ka hoga. utna jyada traffic aapko milega. upar maine aapko isi ke result ke bare me btaya hai. post topic ko top list me lane ke liye ye step follow kare.

  1. post title me numric use kare jaise 10, 20, 50, 100, 200 etc.
  2. post title me popular keywords use kare. jaise Top, Most, Best, Better and other.
  3. post title me kya, kaise, kyu jaise question words use kare.
  4. post title minimum 40 character or maximum 70 character ka hona chahiye.
  5. post title aysa ho jise internet par sabse jyada search kiya jata hai.
  6. post title ko dekhte hi visitors use par visit karna pasand kare.
  7. happy new year jaise most time se sambandhit post title likhte rahe.
  8. post title post se related hona chahiye, jise search engine ranking badhti hai.
  9. post title me extra words jarurat padne par hi use kare. jaise se, me, ko etc.
  10. post title me jitna ho sake utne jyada fomous, top ranking keywors use kare.

upar diye step follow karke likhe gaye post topic is tarah ke hone;

2) Top List Article

Jab google search engine aapki post ko index karta hai to sabse pahle post ki images or keywords ko dekhta hai. so agar aap chahate hai ki aapki post search me sabse upar aaye to aapki post me kam se kam 2,000 words hone chahiye. kyuki post me jitne jyada words honge utne jyada keywords bhi honge. or jitne jyada keywords honge search enginbe utna acha result dega. sath hi post me 2-5 images bhi use kare. images aysi honi chahiye jo puri tarah post se related ho or jise dekhte hi visitors ko post samajh me aa jaye. yad rahe bina wajah faltu ki photos use karne se search engine aapki post ko block kar sakta hai.

Exaple ke liye aap ye post pad dekh sakte hai:

  1. Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
  2. Smart Phone Ki Battery Life Badhane Ke 10 Android Apps
  3. Smart Phone Kar Sakta Hai Ye 10 Kaam, Kya Aap Ne Kabhi Try Kiya Hai
  4. Computer Vs Laptop Kounsa Behtar Hai, 10 Bato Se Samajhe
  5. Kya Aap Jante Hai Google Chrome Ki Ye Interesting Tricks

3) Post Talent

Jab post talent ka name aata hai to kuch bloggers sochte hai ki hum me itna talent nahi ki top ranking me aa sake. but mai aapko btana chahunga ki talent humare andar nahi rahta hume banana padta hai. blog post ke talent ki bat kare to isme aapko sirf itna karna hai ki post me aap jo kuch bhi likho wo sabkuch post topic se related hona chahiye. or post ki bhasha aysi ho jise visitors aasani se samajh sake. bina kam ke boring words post me use nahi kare. ek line me kahu to post aysi honi chahiye jiske photos, writing ko dekhte hi samajh aa jaye ki is post me kya jankari di gayi hai.

Example ke liye ye posts dekhe.

4) Share Post On Social Network

Post likhne ke bad sabse important kam hota hai post ko new visitors tak pahuchana. iska simple tarika hai social media facebook, google plus, twitter, linkedin, pinterest, reddit and other social networking sites. agar aap ye tips follow nahi karte ho to aaj se shuru kar sakte ho. social media par post share karne ka sahi time hota hai sham 6pm to 9pm is samay social media par 90% user active rahte hai. ye mai aapko confirm karne ke bad bta raha hu. aap try karke result check kar sakte hai.

aap ye post follow karke bhi blog ki traffic badha sakte hai.

5) Complete SEO

Search engine se traffic pane ke liye sabse important aapke blog ka SEO complete hona chahaiye. mai blog SEO ke bare me bahut post kar chuka hu. jinhe follow karke aap apne blog ko seo friendly bana sakte ho or search engine se acha traffic prapt kar sakte ho. iske liye aapko first seo ki puri jankari honi jaruri hai. seo ke bare me janne ke liye aap humari site ki SEO se related post padiye or apni site ko seo friendly banayiye. blogger blog ko seo ready banane ke liye mai aapko kuch step bta raha hu.

  1. Blog me Meta tag add kare.
  2. blog ko sabhi search engine se submit kare.
  3. blog ka sitemap banaye or sabhi search engine me sitmap add kare.
  4. blog ki template seo or mobile friendly ho.
  5. Blog SEO ki compelete guide pane ke liye yaha click kare.

6) Fast Loading Blog

Visitors fast load blog or websites ko sabse jyada pasand karte hai. agar aapke blog ki loading speed 80% se jyada hai to aapko 30% traffic jyada milega. sath hi search engine bhi fast loading sites ko jyada pasand karta hai. us blog ko jaldi inex karta hai.

aap Getmetrix par site speed % check kar sakte hai.

Supportmeindia loading speed

 

7) Site speed 4 second se kam ho

Google ne ek servuy kiya tha ki visitors kitni second me load hone wali sites jyada use karte hai. is servuy se pata chala ki 70% visitors 4 second se kam time me load hone wali sites ko sabse jyada pasand karte hai.

aap Pingdom par site ki speed second me check kar sakte ho.

Supportmeindia loading speed pingdom

 

8) Optimize Database

Database yani aapke blog ki puri data ka size, website ki speed is par sabse jyada depend karti hai. is liye agar aap blogger free blog use karte hai to aapko database optimize karne ki koi jarurat nahi hai. kyuki aapke blog ka database google ke throw automaticly optimize hota rahta hai. bas aapko post image sahi format me use karni hai. image optimize ki jankari ke liye aap Blogger Images Ko SEO Friendly Kaise Banaye post pade or post me 50kb ke lagbhag size ki hi photos use kare. or agar aap WordPress user hai to w3 cache plugin, super cache plugin use kar sakte hai. in plugin se aap automaticly database optimize kar sakte ho.

9) Post Heading

Post ko adhik seo friendly banane ke liye post me 2-5 post heading jarur add kare. isse search engine ko post content index karne me aasani hoti hai. heading post title se related hi honi chahiye. jisse visitors ko post ko samajhne me or bhi aasani ho.

Jaise aapki post ka title hai “Blog ki traffic kaise badhaye 5 aasan tarike” to aap post me isse related heading add karo.

  1. Blog traffic kya hai?
  2. traffic kaha se kama sakte hai?
  3. traffic badhane ka sabse aasan tarika
  4. blog ki traffic kaise badha sakte hai?

is tarah se aap post me post topic se related heading add kar sakte hai. agar aap post me achi or post content se sambandhit heading use karne me success ho pate hai to aapki post ki search ranking bina heading ki post se 50% jyada hogi.

10) Post Summary

Maine aapko is post me jo bate btayi hai. agar aap unhe follow karke 10-15 top list article likh lete ho to aap 100% monthly 100,000 visitors recieve kar sakte ho. aapne suna hoga ki ek acha beta 100 bekar beto se behtar hota hai. or wo akela ma parents ko pal sakta hai. bilkul usi tarah ek achi post aapko itna traffic de sakti hai. jo 100 bekar post nahi de sakti. isliye mai aapko personalu suggest karunga ki har post me kam se kam 1,000 words to jarur use kare or agar isse jyada use kar sako to or bhi achi bat hai. post puri tarah complete karke hi blog par share karo.

I hope aapko ye post pasand aayi hogi. or aapko isme koi achi jankari bhi mili hogi. agar mai sahi hu to apna 30 second ka time de kar is post ko share kare. jisse meri or kisi or ki help hogi. sath hi comment me apne thought jarur likhe. kyuki aapke vicharo se mujhe new post likhne ki jankari milti hai. sath hi ye bhi pata chalta hai ki aapko meri wajah se kitni madad mili, jisse future me mai aapko or behtar sikha saku. so comment or is post ko share jarur kare.

Mujhe blogging me 4 month se jyada time ho gaya hai. or ab mai blog SEO ke bare me aapko completly guide kar sakta hu. iske bare me allready post kar chuka hu or aage bhi karta rahunga. in my case mere blog par sabse jyada visitors search engine se hi aate hai. agar aap bhi chahate hai ki aapke blog par search engine se jyada se jyada traffic mile to blog ka seo complete kijiye. fir dekhiye aapke blog ki traffic kaise badhti hai.

Reader Interactions

Comments (142)

  1. meri website chek kre plzz mene ek post likhi hai google AdSense Approval kar e 5 din me kya v fake hai bhut sare bloggrr ne ye post daali to mene v use likha kya ve thik hai ya nhi mere blog par comment karke btana plzz .

    • Bro agar aap pahle se internet par mojud pst likhoge to wo search me first page par mushkil hi aayegi. ok mai aapki site par commnet kar dunga.

  2. ji mai jab post heading use karata hu to meri google ranking kam ho jati hai kya problem ho sakti hai. kya aap heading ke bare me puri ek post likh sakte hai kya.

  3. Sir kya me google se koi image ko copy kar uska title aur use optimiz kar blog post me daal sakta hu?

  4. bhai,, Mene Webhostingbuzz se Hosting Kharrde Thi,, Now Me Ab Uska Domain Change Karna Chahte hu Kaise Karunnnn

    • Aapne jis domain se hosting li hai use primary domain kate hai or hum hosting primary domain change nahi kar sakte hai ha ap hosting par dusra domain add kar sakte ho. iske bare me apni hosting customer care me bat kare.

  5. Aap w3 cache ya super cache plugin use karo.

  6. sir maine apni site ke liye domain register kiya tha godaddy se usko maine apni blogger blog se connect bhi kar liya hai par site open nahi horahi hai 24 Hours ho chuke hai pls site open karke dekhe kya problem ho sakti hai

    • Aap godaddy care me bat karo.

  7. page ki speed check karane ke liey bahut hi acchi sites batayi hai aapne

  8. Bhai maine phantom template ko blog mai active kiya tha lekin us mai to uper msine page mai koi post he show nahi hota baki sub kus aata hai POPULAR POST , EMAIL, ALEXA RENK, etc, sub kus aata hai par pahele page mai humare 3 se 4 post hote hai wo nahi aarahe kaise tbik kare

    • Mujhe aapki site ke front page par 3-4 post dikhayi de rahi hai.

      • Ye to dusra template hai mai next time phantom template uplod kiya tha ye bahut assa hai is liye fast page mai 3 4 post kaise laye blog mai

        • vijay bahut simple hai us template me hi problem hai. Aap use fir se download karke apne blog me upload karke try karo.

  9. sir meri website ko jab google me search karta hu to ….jo post ki heding hai uski jagah post ki link show kar rha kya problm ho sakti hai aa p dekh ke batao please ….

    • Aap google webmaster tools me ja kar pata karo ki aap koi extra robot.txt file to use nahi kar rahe ho. or robot.txt file ki jankari nahi hai to use use mat karo.

  10. thanks for my answer jumedeen bhai mai aapke jaisa kab banuga bhai mager mera ek sawaal hai ki aise to bahut se hindi blogger hai jo same hi information post karte hai kya isse unka blog band nahi hota hai, unki bhi to post index hoti hai or ve paise bhi kama rahe hai ya fir hum koi bhi post khud kikhkar kar post karege to aisa nahi hoga. ya koi problems hoti hai bhai.

    • Ha agar aap koi bhi post khud likhoge to aysa nahi hoga. Aap bas apne kaam ko imandari se karo.

  11. Jumedin brother reported good enough to have a very good article to write, making us even more motivation to introduce blogging blogging in which we try to move on .What we thank you very much without OTP code domains brother buy क्या हम बिना OTP code ke domain nahi kharid sakte.please ans jaldi dena bhai.

    • Nahi nahi kharid sakte kyuki aap uska payment nahi kar sakte. Aap ek bar apni bank ke customer care me call karke bat kar lo ki OTP code kya hota hai. ya kahi se iske bare me ache se jaan lo.

  12. post me meta tag kase add kare?

  13. kya hum apni site ko search me jyada lane ke liye apni site ko dusre site par bhi promate karte hai

    • ha kar sakte ho. but wo dusri site aapki nahi kisidusre ki honi chahiye.

      • mai ye janna chahta hu ki kya maine jo site banae hai usko delet karke uske post ko mai apne dusre site par rakh sakta hu kyoki mere pehle wala jo site hai aur mai pehle sikhne ke liye banaya tha ab aapki madad se sikh gaya hu to mai chahta hu ki koi koi sikhne me galti hone ke karan search me nahi aaraha hai koi dikkat to nahi aayegi na mere dusre site par aur kya mai apne purine wale ko sudhar karne ke liye kaise jan sakta hu ki maine ye ye galtiya ki hai kaise pata chalega jaise metatag,search console,sitemaps,html editor me kuch galti ho mai ye kaise jaan sakta hu aap thoda detail me bataeye ga

        • Nahi aapko dusri site banane ki koi jarurat nahi hai. aap apni purani sites par hi galatiya theek kar sakte ho. aap supportmeindia par blogging se related post padho or jaise jaise aap post padho unme btaye step follow kar ke apni galatiya sudharte raho. ek din sabkuch theek ho jayega.

          • mai aapse ye janna chahta hu ki maine jo pehle wale purine post me bahut hi kam keyword ka use kiya hai to mai usme aur keyword edit karke jod sakte hai ya nahi kyoki uska link maine google me fetch kiya hua agar mai apne post ka tital change kar sakta hu google fetch ko koi dikkat to nahi aayegi na aur mai ye janna chahta hu ki kya mai online kuch tricks ko sikh kar apne blog par mai apne tarike se post kar sakta hu koi dikkat to nahi hai na

            aur aapse reques hai ki aap mera site dekhkar bataye ki isme kya kya add karu aur mere site ka design kaise hai atacha hai ya nahi

          • aap apni koi bhi post ka title, content sabkuch edit kar sakte ho. actually search engine to allrady kahta hai purani post ko update karne ko. isse aapko koi problem nahi hogi. ha apne tarike se kar sakte ho. par ye aapke talent par hai ki aapka tarika kaisa hai.
            aapki site me koi kami nahi hai. but 1 post me kam se kam 1000 word use kiya karo.

          • aapne jo mujhe permament link ko chota karne ka link diya tha maine wo try kiya lekin kuch samah me nahi aaya hai aapne 2 option diye hue hai lekin permament link ko customize karne par 3 option aaraha hai aap mujhe yahi comment me kisi tital ka use karke 3 option me bataye
            1 blog tital me kya dale
            2 link ko chota kaise banaye
            3 mime type me kya dale

            aap se request karta hu ki aap aap yahi pe batade kisi bhi tital ka use karke

          • 1. post ka title add karo.
            2. post ke link me se kya, kyu, kaise, ke ,ko jaie word ko hata do.
            3. mime e kuch bhi select karo.
            aap jab post me na samajh paye to comment me kaise samajhoge

          • बहुत ही अच्छी knowledge दी हैं आपने। क्या आप मेरे ब्लॉग के लिए कुछ सलाह देंगे

  14. sir hume aapke blog par guest post karna hai

  15. Apne blog Ka email Id change karna h sir WO kaise kare

    • blog ke dashboard>>settings>>basic par jao or Permissions me Blog Authors ke samne add author par click karke dusri email id add kar lo.

  16. Sir mai to blog me category,archives tags ki widgets kaise lagate h aur widgets kaha SE aayega sir mai nya hu Jo mai an blogging start kiya hu to aap kuch bhi iske bare me suggestkigiye

  17. Jume Deen ji aapne ek achha blog banaya hai. Aur aspke hi post se inspire hoke Maine bhi ek blog banaya hai. Kripya aap ek baar dekhkar bataye Isme Koi Kami to nahi hai. Aur mai kam se kam kitna post aur dalu ki absence aprove ho jaye Mere blog par Hame aapke comment ka intezar hai.

    • aapne blog to acha banaya hai. but mujhe us par popular post, archieves, categories, tags ki koi widget nahi mili hai. jo mai aapko koi suggestion de saku. par fir bhi mai aapko bta du ki AdSense approved hone ke liye aapke blog par 300 se jyada per day pagevies hone chahiye.

  18. June Deen ji aapne ek achha blog banaya hai. Aapne Sahi Kaha hai ki aapne Seo se related bahut saari post daali hain. Aapke blog se logo ko achhi madad mil Rahi hai. Maine bhi ek blog banaya hai. Kripya aap ek baar dekhkar bataye Isme Koi Kami to nahi hai. Mere blog par Hame aapke comment ka intezar hai.

    • acha blog hai. template bhi fast loading hai. well done, main comment ki hai aap check kar lena.

  19. sir ek banda hai jo meri har ek post copy kar raha hai aur shayad aapki bhi kar raha hai images ke sath puri content copy kar raha hai toh isme mera toh koi nuksan nahi hoga na.

    • Nahi isme aapko koi nukshan nahi hoga. usi ko hoga uska AdSense account ban ho jayega.

  20. Bhai aapne hi templete dia tha mujhe aur mujhe ye templete bohot accha lagta hai aur dusra koi templete nehi hai mere paas…
    Tnank you bro