Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye

Blog traffic kitna jaruri hai, ye bat har ek blogger janta hai. hum apne blog par traffic badhane ki sabhi koshishe try karte hai. but sabse important tricks ko hum ignore kar dete hai. wo hai top list articles, jisse hum 1 month me 100,000 se jyada visitors prapt kar sakte hai. badhiya article likhna hi blog ki traffic badhane ka no.1 tarika hai.

Get 100,000 Visitors in 1 Month

Aapki post me jitna acha talent hoga utne jyada visitors aayenge. ye bat maine conform ki hai. or ab mai aapko pure wishwas se kah sakta hu ki ek achi post se aap ek mahine me 100,000 se bhi jyada visitors kama sakte ho.

24-dec-2025 ki sham 6pm ko maine Happy New Year 2025 Wishes Quotes post share ki thi. rat 11:59pm tak is post par 5,000+ pageviews ho chuke the. post ka high score 403 pageviews per hours raha. 800 google+ visitors, 132 facebook visitors and 600+ search engine result se visitors hasil huye hai. is post ko ab tak total 270 share mil chuke hai. agar is post ki ek mahine ki traffic pata ki jaye to iski monthly traffic hogi 600,000 pageviews to ab aapko ye to pata chal hi gaya hoga ki ek top listed post 10 contentless posts se jyada traffic kama sakti hai.

Is post sirf 500+ words hai fir bhi itna traffic iski wajah hai sirf iska topic “Happy New Year 2025 Wishes Quotes” jo is time internet par sabse jyada search kiya jane wala topic hai. to ab aap ye to samajh hi gaye honge ki ek acha or popular post topic se kitna traffic badh sakta hai. mai aapko is post me or bhi tricks bta raha hu apna 5 minute ka time de kar post ko ache se pade or achi lage to social media par share bhi kare. or in 6 ghanto ke andar mujhe AdSense se 16.40 US dollar mile hai. yani itne kam time me maine lagbhag 1,000 rupees kamaye hai. ye mere liye ek sapne ke jaisa hai. or is khushi ko mai aapke sath share kar raha hu. kyuki aap hi ki help se ye sab hua hai.

Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye?

Jaisa ki maine upar top list post ke bare me btaye hai. wese hi agar hum kuch or step follow karke post likhe to hume search engine se itna traffic mil sakta hai ki hum soch bhi nahi sakte. jinme se kuch step mai aapko bta raha hu. abhi mai aapko utna hi bta raha hu jitna mai janta hu. future me bhi mai apna experience aapke sath share karta rahu, iske liye aap bhi is post ko share karke meri help kijiye.

1) Top List Post Topic (Title)

Top List yani sabse jyada search kiye haye words ki top 10, 20 , 50 ,100 number ki list. aapki post ka title inme jis ranking ka hoga. utna jyada traffic aapko milega. upar maine aapko isi ke result ke bare me btaya hai. post topic ko top list me lane ke liye ye step follow kare.

  1. post title me numric use kare jaise 10, 20, 50, 100, 200 etc.
  2. post title me popular keywords use kare. jaise Top, Most, Best, Better and other.
  3. post title me kya, kaise, kyu jaise question words use kare.
  4. post title minimum 40 character or maximum 70 character ka hona chahiye.
  5. post title aysa ho jise internet par sabse jyada search kiya jata hai.
  6. post title ko dekhte hi visitors use par visit karna pasand kare.
  7. happy new year jaise most time se sambandhit post title likhte rahe.
  8. post title post se related hona chahiye, jise search engine ranking badhti hai.
  9. post title me extra words jarurat padne par hi use kare. jaise se, me, ko etc.
  10. post title me jitna ho sake utne jyada fomous, top ranking keywors use kare.

upar diye step follow karke likhe gaye post topic is tarah ke hone;

2) Top List Article

Jab google search engine aapki post ko index karta hai to sabse pahle post ki images or keywords ko dekhta hai. so agar aap chahate hai ki aapki post search me sabse upar aaye to aapki post me kam se kam 2,000 words hone chahiye. kyuki post me jitne jyada words honge utne jyada keywords bhi honge. or jitne jyada keywords honge search enginbe utna acha result dega. sath hi post me 2-5 images bhi use kare. images aysi honi chahiye jo puri tarah post se related ho or jise dekhte hi visitors ko post samajh me aa jaye. yad rahe bina wajah faltu ki photos use karne se search engine aapki post ko block kar sakta hai.

Exaple ke liye aap ye post pad dekh sakte hai:

  1. Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
  2. Smart Phone Ki Battery Life Badhane Ke 10 Android Apps
  3. Smart Phone Kar Sakta Hai Ye 10 Kaam, Kya Aap Ne Kabhi Try Kiya Hai
  4. Computer Vs Laptop Kounsa Behtar Hai, 10 Bato Se Samajhe
  5. Kya Aap Jante Hai Google Chrome Ki Ye Interesting Tricks

3) Post Talent

Jab post talent ka name aata hai to kuch bloggers sochte hai ki hum me itna talent nahi ki top ranking me aa sake. but mai aapko btana chahunga ki talent humare andar nahi rahta hume banana padta hai. blog post ke talent ki bat kare to isme aapko sirf itna karna hai ki post me aap jo kuch bhi likho wo sabkuch post topic se related hona chahiye. or post ki bhasha aysi ho jise visitors aasani se samajh sake. bina kam ke boring words post me use nahi kare. ek line me kahu to post aysi honi chahiye jiske photos, writing ko dekhte hi samajh aa jaye ki is post me kya jankari di gayi hai.

Example ke liye ye posts dekhe.

4) Share Post On Social Network

Post likhne ke bad sabse important kam hota hai post ko new visitors tak pahuchana. iska simple tarika hai social media facebook, google plus, twitter, linkedin, pinterest, reddit and other social networking sites. agar aap ye tips follow nahi karte ho to aaj se shuru kar sakte ho. social media par post share karne ka sahi time hota hai sham 6pm to 9pm is samay social media par 90% user active rahte hai. ye mai aapko confirm karne ke bad bta raha hu. aap try karke result check kar sakte hai.

aap ye post follow karke bhi blog ki traffic badha sakte hai.

5) Complete SEO

Search engine se traffic pane ke liye sabse important aapke blog ka SEO complete hona chahaiye. mai blog SEO ke bare me bahut post kar chuka hu. jinhe follow karke aap apne blog ko seo friendly bana sakte ho or search engine se acha traffic prapt kar sakte ho. iske liye aapko first seo ki puri jankari honi jaruri hai. seo ke bare me janne ke liye aap humari site ki SEO se related post padiye or apni site ko seo friendly banayiye. blogger blog ko seo ready banane ke liye mai aapko kuch step bta raha hu.

  1. Blog me Meta tag add kare.
  2. blog ko sabhi search engine se submit kare.
  3. blog ka sitemap banaye or sabhi search engine me sitmap add kare.
  4. blog ki template seo or mobile friendly ho.
  5. Blog SEO ki compelete guide pane ke liye yaha click kare.

6) Fast Loading Blog

Visitors fast load blog or websites ko sabse jyada pasand karte hai. agar aapke blog ki loading speed 80% se jyada hai to aapko 30% traffic jyada milega. sath hi search engine bhi fast loading sites ko jyada pasand karta hai. us blog ko jaldi inex karta hai.

aap Getmetrix par site speed % check kar sakte hai.

Supportmeindia loading speed

 

7) Site speed 4 second se kam ho

Google ne ek servuy kiya tha ki visitors kitni second me load hone wali sites jyada use karte hai. is servuy se pata chala ki 70% visitors 4 second se kam time me load hone wali sites ko sabse jyada pasand karte hai.

aap Pingdom par site ki speed second me check kar sakte ho.

Supportmeindia loading speed pingdom

 

8) Optimize Database

Database yani aapke blog ki puri data ka size, website ki speed is par sabse jyada depend karti hai. is liye agar aap blogger free blog use karte hai to aapko database optimize karne ki koi jarurat nahi hai. kyuki aapke blog ka database google ke throw automaticly optimize hota rahta hai. bas aapko post image sahi format me use karni hai. image optimize ki jankari ke liye aap Blogger Images Ko SEO Friendly Kaise Banaye post pade or post me 50kb ke lagbhag size ki hi photos use kare. or agar aap WordPress user hai to w3 cache plugin, super cache plugin use kar sakte hai. in plugin se aap automaticly database optimize kar sakte ho.

9) Post Heading

Post ko adhik seo friendly banane ke liye post me 2-5 post heading jarur add kare. isse search engine ko post content index karne me aasani hoti hai. heading post title se related hi honi chahiye. jisse visitors ko post ko samajhne me or bhi aasani ho.

Jaise aapki post ka title hai “Blog ki traffic kaise badhaye 5 aasan tarike” to aap post me isse related heading add karo.

  1. Blog traffic kya hai?
  2. traffic kaha se kama sakte hai?
  3. traffic badhane ka sabse aasan tarika
  4. blog ki traffic kaise badha sakte hai?

is tarah se aap post me post topic se related heading add kar sakte hai. agar aap post me achi or post content se sambandhit heading use karne me success ho pate hai to aapki post ki search ranking bina heading ki post se 50% jyada hogi.

10) Post Summary

Maine aapko is post me jo bate btayi hai. agar aap unhe follow karke 10-15 top list article likh lete ho to aap 100% monthly 100,000 visitors recieve kar sakte ho. aapne suna hoga ki ek acha beta 100 bekar beto se behtar hota hai. or wo akela ma parents ko pal sakta hai. bilkul usi tarah ek achi post aapko itna traffic de sakti hai. jo 100 bekar post nahi de sakti. isliye mai aapko personalu suggest karunga ki har post me kam se kam 1,000 words to jarur use kare or agar isse jyada use kar sako to or bhi achi bat hai. post puri tarah complete karke hi blog par share karo.

I hope aapko ye post pasand aayi hogi. or aapko isme koi achi jankari bhi mili hogi. agar mai sahi hu to apna 30 second ka time de kar is post ko share kare. jisse meri or kisi or ki help hogi. sath hi comment me apne thought jarur likhe. kyuki aapke vicharo se mujhe new post likhne ki jankari milti hai. sath hi ye bhi pata chalta hai ki aapko meri wajah se kitni madad mili, jisse future me mai aapko or behtar sikha saku. so comment or is post ko share jarur kare.

Mujhe blogging me 4 month se jyada time ho gaya hai. or ab mai blog SEO ke bare me aapko completly guide kar sakta hu. iske bare me allready post kar chuka hu or aage bhi karta rahunga. in my case mere blog par sabse jyada visitors search engine se hi aate hai. agar aap bhi chahate hai ki aapke blog par search engine se jyada se jyada traffic mile to blog ka seo complete kijiye. fir dekhiye aapke blog ki traffic kaise badhti hai.

Reader Interactions

Comments (142)

  1. Thanks mr jumedeen khan ap ne bhut umda article likha hai ik dum proper h yr, acha mujhe ye pochna tha an AdSense ne apni policy chenge kr di h kia ab hum ik post me 10 add use kr sakte hn kia 🙂 zara jaldi btana yr , janta hun ajkl ap ke paas time ki bhut kami hai.!

  2. Bhai mene ek blog bnaya h us par per day 800se 1200 visitor h daily ke but muje nhi pta ke earning kese hogi or adsens kese lgate h to bta skte ho kia??

    • Aap apne blog ke liye ek domain buy karo uske bad apa AdSense account banao or jab aapka account approved ho jaye to aap AdSense ke ads blog par lagao uske bad apaki earning shuru ho jayegi. Iske bare me aap humari AdSense or blogging se related post padho.

  3. Bhai meri ek post ka seo good hai. but usme kush kaisa likha aa raha hai . he kya hai

    The copy scores 1.2 in theFlesch Reading Easetest, which is considered very difficult to read. Try to makeshorter sentences, using less difficult words to improve readability.

    2. keywords density 1.1 % hai kya ye sahi hai

    • Hindi me aap readability better nahi kar sakte, keywords denisity 2% karo.

  4. sir aap ye bta skty hey ki mey apny blog key maine page mey Tags ki list kesy add kro pleases sir without plugin btana Pleases sir jaldi reply krna.

    • Aap WordPress dashboard par jao or widget select karke categories wala widget select karke “Display as dropdown” ke samne tick karo.

  5. Hello sir apani khud ki website kaise banate hain please tell me

  6. Bhai apse se nivedan hai ki ap ji jo bhi,post padta hu usme related post,aane ke Karan,koi bhi post sahi tarike se padh niii milta hai aur confusan ho jata hai ki kaun sa padhu ya kaun sa na padhu

    • Are ankit bro related post add karna jaruri hota hai. isliye karta hu. Aap kaho to ise hata dunga.

  7. Nice kya bahtreen post like ha aap. Is se tamam blogger KO bht achi help mile ge.
    Thanks

  8. Bahut hi achhi jaankari di apne jab bhi demotivate hota hu to apki blog se relative post padh ke fr se boost (motivate) ho jata hu thnkyu
    mujhe apse call pr ya fb pr bat krke help chahiye agr apke pas time ho to help krna

    • ap mujhe sham 8pm ke bad facebook par chat kar sakte ho.

  9. bro, blog create karke konsa Article dalu? i mean blog me agar technology ke bareme articles du to Kis Website se collect karu sbse pehle or blog me world ke kisi bhi country ke bareme news de sakta hu kya pls reply ???

    • Jo kuch aapko aata hai. I mean apne talent se koi bhi topics par post likh sakte ho.

  10. sir aapne bahut achhi jankariya di hai thank u sir maine abhi abhi blogging suru kiya hai plz mere blog ke liye koi tips dijiye awr meri kamiyo ko bataiye mai lagbhag roj aapke articalls padhta hun mai ancient indian history awr ancient aliens in indian history par artical likhna chahta hun plz gide kijiye jisse mujhe jyada se jyada traffic mile ..

    • Bro aapka blog open nahi ho raha hai. Sahi link btao.

  11. बहुत ही अच्छी जानकारी है,,क्या आप मेरे ब्लॉग के लिए कोई सलाह देंगे ?

    • Aap SEO ke bare me sikh kar post likha karo jisse aapko search engine se jyada traffic mile.

  12. sir mere blog post me jo link add karta hu unka colour #999 hai jo mujhe achha nhi lagta hai …main isko change karna chahta hu sir please detail se batao kaise karun …..main templet me #999 search karke usko dusre colour se bhi replace karke dekh liya par nhi ho rha hai

  13. Bhai ek swaal mera post title “apna mobile number kaise jane .” Isme me konsa focus keyword rakhu. Ap suggest kro

    • First to aap post title me or word add karo post title 35 to 65 word ka hona chahiye. isme aap mobile number focus keyword use karo.

  14. hello jume din sir aap ne bahot achhi information share ki sir aap mera blog dekh kar bata sakte ho ki usme kya kami hai please sir

    • Deepash aapko sabse pahle SEO ke bare me janna chahiye. Mujhe lagta hai aapko iski shkat jarurat hai.

  15. Bhut achhi post
    aap meri site ko chek karke btaye usme kya kya kmiya h.

    • Aap SEO friendly post likhna sikho.

  16. jumedeen bhai mai bank gaya tha mager unone kaha ki aapka bada ccount hona chaiye to aap bata sakte hai ki kis bank ka account mai kholu jisse us bank me 500 ru.bhi hoto domain kharid saku kya aap nahi de sakte domain kharid kar mai aapko paise de duga please bhai itane sare paise nahi hai mere pass ki or ek bank ka account khol saku.
    2.
    or haa kya mai blogspot per add laga sakta hu 10 month to hoi gaye hai site ko ya koi problems aayegi.or haa jab AdSense hamare bank me paise transfer karta hai to vaha bhi otp code dena padta hai kya please bataiye aaap . aapne kaise kiya bank me otp pane ke liye thoda deatils me batyena konsa bank hai jo massage allowed karta hai mera khata state bank of india ka hai.mager hamare gave me jo shakha hai vahper maine khta khola ttha kya karu koi help kar sakte hai aap .ya fir domain purchase karke de dijiye na bhai.

    • Vakil aap mujhe facebook par contact karo. ya fir aapke pas mere contact number hai to mujhe call karo. Aap yaha nahi samajha paunga.

  17. brother aap semaine ek help mangi thi lekin aapne uska jaba nhi diya hai . maine ek blog banay ah hai jo ki aapki helps se hi sambhav hua hai lekin mujhe usame traffic nhi mil paa rahi hai ek baar aap usame check kar le ki koi kami to nhi hai kami ki taraf thoda sa dhyan dena . aur mujhe jyada traffic ke liye aur kya karna cahiye yah bhi bataye mai aapke jabab ka intarjar karungaa

    • Aapke blog me koi kami nahi hai. Or jo thodi bahut hai wo aap dheere dheere sikh jaoghe . hindi blog par traffic aane me time lagta hai. Aap sirf blogging par dhyan do traffic apne aap increase ho jayegi.

      • thanks to brother
        apne mere rply kiya
        dusari baat hai ki aapne mera blog dekha to usme maine abhi free template use kar raha hun . mai uske liye template buy karun kya ya fir abhi nhi . usame domain bhi add karne ke liye kya salah hai . blogger me jo page veiws dikhate hai kya vah sahi hote hai . maine usame dekha hai ki jab bhi mai apnblog ko browser me kholta hun to mera bhi usame pageveiw me badh jata hai . mere kahane ka matlab hai ki pageveiw blogger wale sahi hai ya galat hote hai

        • blogger par paid template use karne ki jarurat nahi hai. Aap bas domain le lo second blogger pageviews sirf anuman hote hai. 100% fix nahi.

          • thanks bother bahut hi achchha anuvhab hai aapse salah milne ka
            aage bhi jarurat hogi to aapse salaha jarur lungaa
            thanks for you

  18. bro me apka interview lena chahta hu fb par kya fb pR interview lekar use blog par post krne se copyright to nhi hoga ya email se le

    • Dilip aap kuch or day blogging karo uske bad interview lena.

  19. sir maine godaddy customer care se baat ki toh unho ne kaha apne godaddy ki setting me NS Nameservers hota hai usko add kare yaha se apni hosting li hai unse contact kare aur maine 4 ip address ad kiye hai woh bhi unhno ne kaha ek hi add karna hai woh bhi apko yaha se hosting li hai waha se pata chalega ke sahi ip adress kaunsa hai mera blog toh blogger par hai pls help kare mujhe kuch samj nahi aa raha hai

  20. sir,,ek hosting me do blog banaye to page loading me koi effect pdega

    • Nahi page loading me koi effect nahi padta. agar aapke pas multiple domain plan hai to aap us hosting par kitne bhi blog bana sakte ho.