WordPress Blog Ke Liye Top 10 Premium Themes 2024

WordPress world famous blogging platform hai. Agar aap apne WordPress blog ke liye Top WordPress Themes search kar rahe ho to ye post aapke liye hi hai kyuki is post me main aapko Top 10 Most Popular WordPress Themes & Templates ke bare me bta raha hu.

Top 10 Premium WordPress Themes

Agar website ka design better nahi hai to good content hone par bhi user ko aapki site pasand nahi aayegi. Aapko chahiye ki aap ek achhi Premium WordPress Theme ka use kare. Aapki site ka design behtar hoga to har koi aapki site aur content ko like karega.

Is post me main Top 10 Premium WordPress Themes ke bare me bta raha hu jinhe top blogger istemal karte hai aur jo 100% Responsive, Mobile Friendly & SEO Optimized hai. Ye theme aapki blog me 4 chand laga dengi.

Aap is post ko Top 10 WordPress Theme Providers ki tarah bhi dekh sakte ho kyuki sirf ye themes hi nahi inke providers bhi top ten list me shamil hai.

Top 10 Premium WordPress Themes 2024

Top 10 WordPress Themes, WordPress Ke Liye Top Premium Themes, WordPress Ke Liye Top 10 SEO Friendly Themes, Best User friendly themes, Top SEO Friendly Mobile Friendly Themes, Sabse Jyada Use Hone Wali Best WordPress Themes, Fully Responsive Mobile & SEO Optimized WordPress Themes.

WordPress Blog Ke Liye Top 10 Most Popular Themes 2024

1. Genesis

Genesis Framework - Top Premium WordPress Theme

Genesis framework industry ka sabse jyada use hone wala aur most popular framework hai, ise studiopress team n banaya hai. Aap iske sath apni pasand anusar genesis child theme and third party child theme use kar sakte ho. Iska setup bahut hi easy aur simple hai.

Main last 2 year se apne sabhi WordPress blog par genesis framework use kar raha hu. In my experience, ye wordpress blog ke liye sabse best aur simple design hai. Sabse achhi bat ye fast loading, fully SEO friendly, Responsive design, responsive menu ke sath aata hai.

Agar iske all features ki bat kare to isme Accessibility Ready one-column two-columns three-columns left-sidebar right-sidebar fixed-width custom-background custom-header custom-menu full-width-template theme-options layout aate hai.

2. Divi

Divi - Top Premium WordPress Theme

Agar aapko colorful design chahiye to divi aapke liye sabse better hai. Ise Elegant themes team ne banaya hai. Iska price $69 hai jisme aapko 87 theme package access milta hai.

Divi ek tool ki tarah hai. Iska sabse best feature hai ki Divi Builder jiski help se aap kisi bhi category ki website design kar sakte hai. Iske liye aapko kisi tarah ki programming language, coding work ki knowledge ki jarurat nahi hogi.

Aap manually divi builder ke basic options se homepage, front page, landing page, custom page, layout features select karke apni pasand anusar wordpress blog design kar sakte ho.

3. Avada

Avada - Top Premium WordPress Theme

Avada bahut hi clean, super flexible and fully responsive wordpress theme set hai. Ye wordpress theme selling me number 1 hai. ThemeForest ke according ye most popular premium wordpress themes collection hai aur sabse jyada sell hota hai.

Agar aap kisi project par kaam kar rahe hai aur uske liye WordPress site banana chahate hai aur use different category k anusar design karna chahate hai to avada theme collection aapke liye best hai. Iske settings options se aap sabkuch easily kar sakte ho.

Ye theme mostly, photography , agency, gym, business, church, cafe, fashion, travel, ecommerce, and many more types of website ke liye designed ki gayi hai. Agar aap inme se koi site banana chahate hai to isko select kar sakte ho.

4. Newspaper

Newspaper - Top Premium WordPress Theme

Newspaper theme un wordpress blogs ke liye hai jo news and magazine se related hai. Ye excellent responsive wordpress theme hai jise specially news and magazine websites ke liye banaya gaya hai.

Iske feature clear, flexible aur use karne ke aaan hai koi bhi blogger ya newbie isko aasani se settings up kar sakta hai.

Actually, ise banaya to news aur magazine ke liye hai lekin aap ise kisi bhi type ke content wali site par apply kar sakte ho ye har type ke content ke liye fit hai. Isi wajah se ye theme day by day trend kar raha hai aur wordpress users ki pasand banta ja raha hai.

5. ENFOLD

ENFOLD - Top Premium WordPress Theme

Enfold responsive and multi-purpose wordpress theme hai. Ise business website, shop website aur jo neat portfolio site par apne work ko showcase karna chahate hai ke liye banaya gaya hai.

Iski average rate 4.85 hai jo ki dusri kisi bhi wordpress theme ki nahi hai. Rated k according ye top sells themes me se ek hai. Aap ise kisi bhi browser size ke anusar resize kar sakte ho.

Aap apni pasand anusar color, font style, background, link color, font-awesome icons choose kar sakte ho. In simple words, aap single click se is theme ko setup kar sakte ho.

6. Sahifa

Sahifa - Top Premium WordPress Theme

Sahifa ek elegant WordPress theme hai jisme powerful admin panel hota hai jisme aapko site settings and configure karne ke liye 400+ design option milenge. Theme powerful hone ke sath simple hai but highly customizable hai.

Aap apni jarurat ke anusar layout width, box and full width set kar sakte ho. Iske drop and down builder feature and multiple block layouts se aap chahe jaisa homepage design kar sakte ho.

Iska sabse better feature live search box hai jisse aapke user ko important content search karne me aasani hoti hai. Sahifa simple but feature-rich theme hai.

7. Salient

Salient - Top Premium WordPress Theme

Ye WordPress theme corporate site owners ke liye hai. Ise gorgeous pages build karne ke lyie banaya gaya hai. I mean agar aap apni site par beautiful post page design karna chahate ho to is theme ka use kar sakte ho.

Ye better se better khoobsurat pages banane me help karta hai. Iski madad se aap site ko more attractive bana sakte ho. Iska extra visual composer kamal ka hai.

Kuch bhi ho ek colorful website design karne ke liye ye theme sabse badiya hai. Agar aap flower, color, nature category ki site bana rahe ho to ye premium themes aapke liye hi hai.

8. Betheme

Salient - Top Premium WordPress Theme

Betheme ek fully responsive and multi-purpose wordpress theme hai. Ye 290+ prebuilt website, most intuitive intaller ke sath aati hai.

Is theme ko khastor par new blogger, beginner, newbie ke liye build kiya gaya hai. Ye fully user-friendly aur use karne me simple hai. Aap ise quickly design kar sakte ho.

9. X

X - Top Premium WordPress Theme

Ye ultimate WordPress theme hai jo multiple and unique designs ke sath aati hai. Iska live customizer aur iski 20+ extensions ise aur bhi behtar banati hai.

Live customizer and 20+ extensions ki wajah se people isko purchase karna chahate hai. Ye feature aapki ek behtar aur good looking site design karne me help karte hai.

10. OptimizePress

OptimizePress - Top Premium WordPress Theme

OptimizePress ek bahut hi simple and professional wordpess theme hai jise specially blogging, affiliate marketers ke liye banaya gaya hai. Ye theme squeeze pages, sell letters, landing pages create karne ke liye better hai.

Agar aap Create Sales Pages, Converting Landing Pages, Membership Portals, Complete Launch Funnels, Registration Page, Authority Blog Sites features wali theme search kar rahe hai to ye themes aapke liye hi hai.

Ye thi top 10 WordPress theme. Ye sabhi Premium themes hai aur sabse jyada use hoti hai. Agar aapko ek behtar blog banana hai without coding work ke to aap inme se kisi ek ko choose kar sakte hai.

Which WordPress Theme I Suggest: Main in sabhi top premium WordPress themes me se aapko Genesis recommend karunga. Ye bahut hi simple aur customized hai. Aap child theme ke through ise chahe jaise customize kar sakte ho.

Note:- Is Top Premium WordPress Themes list ko dekh kar aapko lag sakta hai ki main kaisi themes ke bare me bta raha hu lekin ye list Top WordPress Themes ki hai na ki Best WordPress Themes ki nahi.

I hope aapko ye article useful and helpful laga hoga. Agar haa to ise apni social profile par dusre WordPress blogger ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (24)

  1. Avatar for Vikash guptaVikash gupta

    Sir Abhi konsi theme Sabse achhi rahegi blogging ke liye divi ya genretpress

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      genretpress

  2. Avatar for ANAND KUMARANAND KUMAR

    जेनेसिस के डिफ़ॉल्ट चाइल्ड थीम में मैंने अपने तरह से मॉडिफाई किया है तो क्या मैंने उसे सेल (बेच) कर सकता हूँ? यदि हाँ, तो क्या ये कानूनी गलत भी होगा.

    • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

      नहीं

  3. Avatar for kumarkumar

    namskar bhai mene aap ke liye msg bheja hai facbook par css use karne k baare me plz ek baar jarur padhe or jawab de

  4. Avatar for Sandeep kushwahaSandeep kushwaha

    Genesis theme edit करना कैसे सिख सकता हूँ

    • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

      गूगल सर्च करो, इसके लिए बहुत सारे टुटोरिअल मिल जाएंगे।

  5. Avatar for VISHAL JAISWALVISHAL JAISWAL

    Self-designed genesis child theme jo aap use kar rahe hai. Kya ye khud se design karna hoga ya pehle se design kara hua milega. Aur iski cost kitni hogi please help me. Main apne blog pe ye theme use karna chahta hu kyoki mera theme bahut time leta hai load hone mein.

    • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

      Studiopress पर आपको कई सारी designed थीम मिलेंगी, अगर आप कौन में से कोई पसंद नहीं आती है तो आपको खुद से डिजाइन करनी होगी, आप चाहे तो किसी डालो पर विषय भी अपने लिए थीम डिजाइन करवा सकते हैं

  6. Avatar for Vikram BheelVikram Bheel

    sir me meri site par business5 wp theme ka upyog karna chahta hun. lekin me usme kuch bhi modify nahi kar pa raha hun isme right sidebar ke alava kisi bhi sidebar ko modify karta hun to wah par inme se koi bhi sidebar show nahi hota hain please mujhe aap bataiye ki yah theme modify kaise nahi ho rahi hain.

  7. Avatar for Aman DubeyAman Dubey

    Thanks,

    Apne bahot ache Suggestions diye hai Best Premium WordPress themes ke liye

  8. Avatar for AMAN KUMAR SINGHAMAN KUMAR SINGH

    Bahut acchi theme hai. iske alawa Solded aur voice bhi bahut acchi wordpress theme hai

  9. Avatar for Md qureshiMd qureshi

    Sir me apne blog ke liye best themes purchase karna chahta hun jo adsense optimized ho aap please koi theme suggest kare

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Main genesis framework suggest karunga ye sabse best hai.

  10. Avatar for PRABHAPRABHA

    SIR WORDPRESS pr meri theme ko phele to mene customize kr apne according changes kr lie the >pr 2-3 days se appearence>> customize open krne pr wo khaali aata hai aap ye link dekhe
    aese kyu ho rha hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sorry image clear nahi hai clear image dikhao ya fir aap apna sawal forum par puche.

  11. Avatar for Rajat DasRajat Das

    Aapne apna child theme kaise banaya aur ham kaise bana sakte hai ek post banaiye please.

  12. Avatar for Manoj YadavManoj Yadav

    Mai Hindi Me Technology Par Videos upload karta hu ,
    Videos ka title English me likhu ya Hindi me….

    Mai yesa isliye kah raha hu kyuki English title wali videos ko jyada rank mil rahi hai.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      You can try both.

  13. Avatar for RanvirRanvir

    Thank you so much. mere comment ka jabab dene ke liye. And sir aap pahle se jyada smart lag rahe hai.

  14. Avatar for Nitesh kashyapNitesh kashyap

    Ok sir aap jo apna front static page banaye hai blog ke name se wo aap kiske dwara banaye hai plz mujhey bataye.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Main self designed child theme use karta hu.

  15. Avatar for DeepeshDeepesh

    Hello Jumedeen sir Aap Photo edit karne ke liye kon sa software use karte ho

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...