Blog Ko Google Search Engine Me Index Karane Ki 5 Jabardast Tips

Google me website ko index karane ke liye sirf google webmaster tool me site ko submit karna kafi nahi hota balki google search engine se better results pane ke liye aapko kuch or bhi most important tips follow karni hoti hai. Jisse blog content search engine me fast index hota hai or site par organic traffic jyada aane lagta hai.

Google Search engine me site index karne ki best tips

It is possible, Aap sirf 1 article likh kar use kuch hi time me google search engine me top position par show kara sakte ho. Kya wakai aap aysa chahate ho agar ha to is post me btayi information aapke bahut kaam aa sakti hai. So read carefully and follow tips.

Google ki terms time to time change hoti rahti hai isiliye aapko google ki latest update ki notification rahni chahiye kyuki OLD SEO tips se aap apne pages ko google search engine me first page postion me nahi la sakte. Old SEO ko follow karna black tricks, black hat SEO me aata hai. Iske liye aapko google SEO ke naye rules follow karne honge.

Yaha mai aapko jo tips bta raha hu wo ek new blogger ke liye bahut jaruri hai. Ye thodi hard tips jarur hai but i sure inse aap blog ki position ko better kar paoge.

New Website Ko Google Search Engine Me Index Karane Ki 5 Jabardast Tips

1. What You are Targeting:

New website banane ke bad use search me lane ka sabse acha tarika hai apni site ke liye target choose karna ki aapko kis country se traffic chahiye. Ye aapki site ko proper first page par lane ki success tips hai. Aapko tay karna hai ki aap kis liye blogging kar rahe ho or aap kis type ke keywords use kar rahe ho or aap blog par kis type ki information provide karte ho.

Aap google search console me blog ke liye main target select kar sakte ho iske bare me main already Google Webmaster Tools Me Targeting Country Kaise Set Kare post me btaya hua hai. Second aapko post content target karke likhna hai. Examples jaise mai ye post new site ko google search engine me index karane ke bare me likh raha hu. Isme mera target new site ko google me fast index karana hai.

Aap jab bhi content likho to usme Long Tail Keywords ka istemal kare kyuki long tail keyword use karne wale 80% contnent ko search engine se badiya traffic milta hai. Sath hi humesha keywords research karke post likhe. Bina keywords use karne ki jankari ke post content ko quality content banana mushkil hai.

2. Make Sure You Have a Search Optimized Foundation:

Only search engine optimization ke bare me basic information rakhne se aap high quality content nahi likh sakte. Agar aapko SEO ki achi jankari nahi hai to aap ulta low quality content likh baithoge. CMS (Content Management System) SEO ki foundation hai. So aapko ye achi tarah pata kar lena chahiye ki aapko search optimizing foundation ke bare me full information hai or aap isme expert ho.

Mai aapko suggest karunga ki aap new post content likhne ke bad uski keyword density check kare. Ya fir agar aap WordPress user hai to Yoast SEO plugin use kare jo aapki CMS me bahut badiya help karta hai. Yoast mera favorite SEO plugin hai or mere alawa bhi bahut se blogger ise pasand karte hai. Agar aapko abhi tak iske bare me pata nahi ho to ab try kar sakte ho.

Content Management system me blog ki theme / template yani blog ka design major role play karta hai. Aap apne blog ke liye koi badiya design choose kare jo mobile friendly ho, Full responsive ready ho or SEO ke liye better ho. Agar aap free theme use kar rahe ho to aapko use optimize karna hoga ya fir aap kisi site developer or designer se blog ki template design karwa sakte ho.

3. Write Powerful Content:

Success blogger kahte hai ki 5-10 effective post 100 simple post se jyada behtar sabit ho sakti hai. Is bat me koi fark nahi hai. Aapki post jitni badiya hogi visitors or search engine use utna hi jyada pasand karte hai. So apni site par itna powerful content likho jo puri duniya me viral ho jaye. SERPs me achi postion ke liye aapko quality content likhna hoga.

Maine ke post me btaya tha ki sirf post me bahut sare words use karne se wo quality content nahi ban jata hai. Iske liye aapko gagar me sagar bharne jaisa kaam karna hoga. Aysa content likho ki 1000 words ki post me hi 10,000 words ki information mile. Agar aap 2,000 words ki badiya post likh sakte ho to aapki post 101% google search engine me first position par show hogi.

Neil Patel jo ki ek VIP blogger hai ka kahna hai ki long content search engine me achi position banane ka simle or free tarika hai. Long content ki search me higher rank hoti hai. Magar yaad rahe aapki post ka all content audience ke liye helpful ho or har paragraph me high-quality and relevant information ho.

4. Create Fresh Content:

Agar aap dusro se related ya simple content likh rahe ho jo ki pahle se internet par same to same available ho to aapki site ko google search engine se jyada clicks recieve karna mushkil hoga. Kyuki googlebot freshless content ko avoid karta hai or ayse content ki search me achi position bana pana bahut mushkil hai.

Second agar aap khud ka original content likh rahe ho or aapke content me dusro se bilkul alag information hai to na sirf google aapki post ko pasand karega balki aapke readers post ko padhne ke sath share bhi karenge. Jisse aapke blog ka free promotion bhi hoga. Fresh content likhne ke liye mostly google me better position banane ke liye sabse acha tarika hai aap google webmaster guidlines and google algorithms ko follow karke content write kare.

Examples, Aap jis topic par post likh rahe ho use google me search kare or top position me show hone wale ek do content ko check kare ki unme kounsa keyword highlight ho raha hai jisse ye content first page me show ho rahe hai. Isse aapko post likhne ka ek new idea milega.

Ye neil patel ki btayi huyi trick hai or mai ise pichle bahut time se use kar raha hu. Jab mai unhe janta bhi nahi tha. Keyword research me google search mere liye sabse badiya tool hai jo hume baki sabhi tool se better idea offer karti hai. Bas hume ise sahi tarike se use karne ki jankari honi chahiye.

5. Promote Your Content:

Finally, Upar di gayi tips ko follow karne ke bad aap easily quality content likh loge to ab aapko jarurat hai content ko padhne ke liye readers ki jisse aapko post promotion bhi mil sake. Ye free way hai. Bahut bar badiya post likhne ke bavjud wo google search engine me jaldi index nahi hoti hai. Iska main reason hota hai post content ka social media sites par promotion nahi karna.

Google social site par share kiye gaye pages ko bahut jald index karta hai jisse hume site post ko jaldi indexed karane me help milti hai. Isliye post likhne ke bad use social networking site par share jarur kare. Jab google aapki site pages ko index karta hai to ise lagbhag 200 factors se pass hona padta hai. Iske bare me maine Google Search Work Kaise Karta Hai? post me btaya hua hai.

Jitne jyada log aapki post par soical media or search engine results me click karenge aapki post ki ranking utni hi badiya hogi. So jitna aapse ho sake apni post title ko eye catching banaye jis par jyada se jyada search user click kar sake. Content promotion ke liye aap ye tarike try kar sakte hai.

  1. Facebook par ads promotipn kare.
  2. Blog par email nresletters service use kare.
  3. Apne readers ko post share karne ke liye kahe.
  4. Facebook, google plus, twitter and other social site par apni post share kare.
  5. Post images me pinterest share button add kare.
  6. Question answer form me apni post ka link mention kare.
  7. Comments me readers ki post link bta kar help kare.

Kabhi bhi apne blog ke liye paid traffic buy na kare. Mostly, jab aap AdSense user hai to bilkul bhi traffic na kharide. Jitna ho sake apni mehanat par apne blog ka promotion kare or google search engine se adhik traffic handle karne ke liye google ki terms ko ache se follow kare. Mai aapk ek bar fir se kahna chahunga ki google search me better postion ke liye google algorithms ke bare me jankari recieve karte rahe.

Conclusion:

Sirf aap hi nahi or bhi bahut sare blogger aapki tarah hard work karte hai or wo sabhi bhi chahate hai ki unka content google search engine me first page par show ho. Google ek page me only 10-12 results show karta hai jabki internet par million website owner or blogger hai. Socho aapko apni post ko first rank me lane ke liyew kitni mehanat karni hogi. Iska ek free or simple tarika bhi hai ki aap hard work ke sath smart work bhi karo ye soch kar ke aapko un sabhi se behtar karke dikhana hai or apne content ko top position me lana hai. I sure aap aysa kar sakte ho.

I hope aapko ye post pasand aayegi or isme helpful information milegi. Is post ko social media par apne friends and other blogger ke sath sahre jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (93)

  1. Avatar for AaliaAalia

    Very amazing..m impressed sir.. very nice

  2. Avatar for Gulshan kumarGulshan kumar

    hello sir mujhe aapke article bahut pasand hai. aapke article se mujhe bahut help milti hai. Sir mere article google search engine me nahi aa rahe hai mujhe kya karna chahiye please suggest me.

  3. Avatar for Abhishek tiwariAbhishek tiwari

    Very interesting aap ke blog se bahut kuch sikhne ko milta hai

  4. Avatar for sanjay kumarsanjay kumar

    sir cloudflare ka minimization function kese enable hoga maine kafi kosis ki lekin mujh se enable nahi ho pa rha hai plz ise enable karne ke bare me btaye

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Cloudflare dashboard open karo aur speed tab par click karo. Ab auto minify section me Aapko jo code (CSS, HTML, Javascript) minify karna ho uske samne tick karo.

  5. Avatar for prince kumarprince kumar

    namaste sir
    mera naam prince kumar hai humne apani ek website bani hai sir hamne apni website me sab kuch kar diya hai phir bhi adsense ka ads nhi dikh raha or sir mreri koi bhi post google search me nhi aati kya aap meri madat ar dege sir please sir

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aap sabkuch mat karo sif adsense policy follow karo.

  6. Avatar for parmeshwarparmeshwar

    kya post kitna bhi share kar sakte hai! jyada share karne se AdSense block ho sakta hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi aap kitni bar bhi post share karo AdSense ko koi problem nahi hai.

  7. Avatar for Deepak SahuDeepak Sahu

    sir aapne jo theme lagaya hai abhi wo kaun sa hai. aur isko kaha se download kar sakte hai.?plz sir mujhe bataiye kyu ki meri website loading me time le raha hai bahut..www.seoflock.com. isko dekh kar aap bataiye.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Main genesis framework use karta hu.

  8. Avatar for DipakDipak

    Sire meri blog Post google imdex nai kar rahi.he ..kitne dino.me vo index kar dega???

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ap google search console me ja kar post fetch karo 5 minute me ho jayegi.

      • Avatar for Bhiwaram yadavBhiwaram yadav

        Bhai maine fetch as google bhi kar diya lekin sitemap mein 8 me se 5 post hi index ho rahi hai please help

        • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

          wait baki bhi ho jayengi.

  9. Avatar for suraj yadavsuraj yadav

    Mere sitemap me 2 url index kr rha hai pura index ho iske liye kya krna pdega

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap apni site ke page link search console me fetch karo.

  10. Avatar for Mo AzizMo Aziz

    Jumedeen Bro Meri 2 Post Google me Search Nahi ho rahi hai ek kal Post ki thi ur Doosri Aj
    post 1. Android Smartphone ki Battery Life Save kaise kare
    Post 2. Instagram Kya hai? Instagram par Account kaise banaye
    Ye dono Post Google me Search nahi ho rahi aur maine inko
    Search console me bhi Submit kar diya
    jumedeen Bro ye Problem kyo Aa rhai hai Please Check karke Bataye
    Mai Aapke Answer ka Wait kar raha hoo

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      in dono topic par internet par pahle se bahut post hai so aapko in par post likhne par dusro se alag or badiya content likhna hoga tabhi wo google me fast index hoga. Aap posts ko search console me fetch karo

  11. Avatar for pawanpawan

    Sir me chitika ke ads remove karna chahta hu mene post se to remove kar diye he lekin html java me jo code add koye the vo ab bhi show ho tahe he me sare ads ko remove karna chahta hu kase karu kuch samj me nahi aa raha he plz help me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap chitika account ko delete kar do or apne blog ki template ya post sabhi me se ad code delete karo.

  12. Avatar for KassimKassim

    mere to 24 hr ho Gaye avi show nahi ho rahe hai, kya Kare, Kyuki maine Adsense Kisi aur ka use kar raha hu.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapne pahli bar ads lagaye hai to AdSense ke aapki site ko review karne ke bad hi ads show honge isme kei din lag sakte hai.

  13. Avatar for deepeshdeepesh

    Hello Jume deem sir. Maine hostgator .in se hosting li hai ab mujhe. Renew karana hai Kaise karaye. Sir puri. Detail me bataye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap hostgator ke customer care me call karo wo aapko sabkuch details se bta denge.

  14. Avatar for surendrasurendra

    mai aapse ye puchh raha hu, mera pin mil gaya dost ne batata, confirm ho raha hu,
    Q.pin kitne Digit ya kaisa hota hai aap example deke bataye, Jo ki wo Aapke us post me nahi hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      6 digit ka or maine us post me iske bare me clear btaya hua hai. But aap check nahi kar sakte.

  15. Avatar for surendrasurendra

    bhai muje mera ans. nhi mil raha he sayad wo comment box update karne ki wajah se ho gaya he newer and older wale ki wajah se..warna aap ans jaldi hi dete ho..

    well, mere sawal he ki muje Fb group ka banner blog par lagana he to plz jara details se bata do..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap sabse pahle facebook banner yani image bana kar use blog post me upload karo uske bad html section par click karke uski coding copy kar lo. Ab blogger layout option me ja kar header ya aap jaha chaho waha widget par click karke html/javascript par click karke image ka code paste karo. Sath hi code me href= ke bad ke link ki jagah apne facebook group ka link add kar lena.

  16. Avatar for KassimKassim

    Q….sir AdSense Ka koi bhi add banaye, usse active hone ke kitne der bad, Wo show ho jati hai,

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      5-10 minutes

  17. Avatar for surendrasurendra

    Bro aapne jo bataya, Pin ke bare me Mere dost ke address pe AdSense pin gaya hai, Mai unse Pin puchh raha hu, wo confused ho raha hai, Aap Hame ye bataye,
    Q1- Pin kitne Digit ka hota hai,Aur wo kaisa hota hai,ex– Kuchh bhi bataye, wo mai mujhe 6 digit ka bataya Kuchh aisa — 123456 ( imagery) … Yahi hai kya.

    Q2-Pin to maine dusre ke address pe magaya, but bank account mai apna dal raha hu, any koi problem…Adsense ko.

  18. Avatar for GauravGaurav

    Sir jab ham WordPress.com par login kar rahe hai to har option par click karne par esa show ho ra hai “There was an error retrieving your site settings. Make sure your Jetpack is up to date” jetpack update hai… tab bhi esa kyu show ho ra hai..?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap jetpack plugin ko uninstall karke fir se install karo or agar fir bhi problem aaye to apni hosting care me contact karo.

  19. Avatar for Sandeep JinagalSandeep Jinagal

    Bhai mein Apne Blog ke Mobile Version mein SideBar hide Karna Chahte hu. Koi code btao jo isse mobile version mein hide kar de. or desktop mode mein show kare

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap blog ko pen karo or right click karke inspect par click karo. Ab check karo ki sidebar ki coding konsi hai. us code ko style.css me mobile screen ke bad ad karo .code { display: none }

  20. Avatar for zishan ali gulzarzishan ali gulzar

    Sir Ji,,,Mera blog WordPress pe he,, bahut jyada 404 error ata hai, maine pahle bhi aapko bataya tha, aap link batane ke liye bole the,,problem ye hai ki jaise mai koi post karta hun jaise MAHATMA GANDHI QUOTES IN HINDI to uska link – achhigyan.com/mahatma-gandhi-quotes-in-hindi/ Banta hai, par 404 error me jab error ka link dekhte hai to usme – achhigyan.com/mahatma-gandhi-quotes-in-hindi/zishanali0909 Ya achhigyan.com/mahatma-gandhi-quotes-in-hindi/zishanali0909/achhigyan, rahta hai,,,ye link automatic search console me error show hota hai, ur jaise link ke bad zishanali0909 show hota hai wo mera email id hai zishanali0909@ gmail.com to ye kaise ban jata hai,,,,ise kaise thik kare,,, aur har link me banta hai na isliye sabko fetch karna muskil hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Right ab aap mujhe iska screenshor dikhao yaha nahi to facebook par send kar dena mai waha reply kar dunga.

  21. Avatar for Qaisar AbbasQaisar Abbas

    jumedeen bhaiya mujhe sirf yeh poochna hai ke Alexa rank men jitni traffic rank show hoti hai blog ke end pe kia blog ki traffic real me utni hoti hai ya nahi??

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi wo sirf ek idea hoti hota hai.

  22. Avatar for pawanpawan

    Sir muje mere blog ke liye images ki jarurat he Dharm se sambandit God,devi-devta ke or technology or maps ki jarurat he to me kaha se download karu free me jo copyright nahi ho plz help sir thanks

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      God devi devtao ki photos copyright nahi hoti kahi se bhi use kar lo second aap free stock images sites se photo downalod kar blog me use kar sakte ho.

  23. Avatar for vikramvikram

    sir please meri site chek karke batao koi problem nazar aa rahi hai kya–sir please post ke bare me batana sahi likh rha hu na

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap ek bar comment policy padh lo.

  24. Avatar for rohaanrohaan

    plugin ko update karne se phir se settings karni padegi kya, mere blog ka youst plugin update karne bol raha kya karu bro aap batao?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nah iupdate karne ke bad bhi setting wohi rahegi jo aapne set ki thi.

  25. Avatar for HimanshuHimanshu

    Bro mujhe apki help chahiye me ab jab bhi koi new post likh rha hu to vo pc me to ache se show ho rhi h lekin mobile me us post ki aadhi line right me chali jati h jiski vagh se puri lines show nhi hoti h me isko kse thik kru phle asa nhi tha lekin ab pta nhi kyu asa ho rha h kya m koi mistake kr rha hu pls btaiye kse thik kru ise

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapne template ki coding me editing ki hogi. Aap template ko fir se upload karo ya fir koi or template use karo jo mobile friendly ho.

  26. Avatar for Tushar chauhanTushar chauhan

    Bro pingback accept karne hote ya nhi.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Pingback sirf aapko notification dene ki service hai unge publish karne se koi fayda nahi hai.

  27. Avatar for mahendra kumarmahendra kumar

    hello sir, Affiliate Marketing ke liye amzone se add kaise lete hain….mujhe amzone ka banner apne blog me lagana hain….??

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap amazon affiliare likh kar google me search karo aapko iski terms mil jayegi usme iske bare me sabkuch details me btaya hota hai.

  28. Avatar for GauravGaurav

    sir aapne ye uper ka header kese banaya jisme date,wp guide,blogging guide etc aa ra hai ? or isme date kese set ki jo utomatic change ho jate hai..?
    or menu me submenu’s kese add karain? WordPress me… @detail me bataye pls…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye sab coding se hota hai. Aap kisi blog designer se design karwa lo.

  29. Avatar for ujjalujjal

    Ma Mera blog ma infolink ka ads lagana cahta hu…2,3 Post Likhe kar use kar sakta hu keya?Daily Visitor Kitini Hona Paranga?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Abhi aap apne blog par traffic badhao. kam se kam 500 pageveiws daily ke honge to hi kuch earning hogi.

  30. Avatar for Md sabanMd saban

    Sir…apki ek help chahiye…. Sir maine godady se ek .com domain kharida hai aur hostgator par maine Rs1 ki hosting kharidi hai….please mujhe bataye ki main WordPress kaise install karu…..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Maine iske bare me post ki hai aap WordPress se related post padho or sath hi comment policy bhi padh lo.

  31. Avatar for NadeemNadeem

    आपकी पोस्ट काफी अच्छी है और आपने बहूत सही ढंग से guide किया realy you are best blogger…
    आपकी जितनी भी तरीफ की जाए कम है….
    मैं भी एक ब्लॉगर हूँ….और आपकी इस पोस्ट को पढ़कर काफी कूच सीखने को मिला….
    ……

  32. Avatar for Vishnu KantVishnu Kant

    Bro hamane blogger se WordPress par successfully sift to kar liya hai par kuch post ke image import nahi huye hai to ab kya kare?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Wo image aapko manually upload karne honge yani fir se upload karni hogi.

  33. Avatar for vijay panaravijay panara

    Jdk sir bahot badiya post hai new blogger ke liye bhai hum post ko upload karne se pahle kaise pata kar sakte hai ke ye SEO Ready hai hai ke nahi..

  34. Avatar for vivek choudharyvivek choudhary

    jumedeen ji header ke neeche ad kaise lagate hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      index.php me first 3 lines ke bad ads code paste karo.

  35. Avatar for abhisek mohantyabhisek mohanty

    bhai mujhe aap ki jaroort hai.
    so plz aap mujhe aapna whatsaap no. de sakte ho.
    nhi ta aap mujhe mere wa no. 8018734087 pe msg karsakte ho.
    kuch jankari lenatha aap se.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Abhishek aap yaa comment me apne sawal puch sakte ho, contact form me message kar sakte ho, facebook par message send kar sakte ho.

  36. Avatar for Umesh ChavanUmesh Chavan

    Bro Maine Kal Rat Bhar Youtube pe search kiya ki AdSense ki ads blank kyon show ho rahi hai. Waha pe maine jitne bhi video dekhe usme yahi script di hai. aur ye work bhi hoti hai, text/images ads ke liye but kya yesa karana sahi hai ya galat. Kyon ki normal code se meri site pe ads show nahi ho rahi hai. Please help me.

    google_ad_client=”AdSense id”;
    google_ad_host=”AdSense id”;
    google_ad_width=728;google_ad_height=90;
    google_ad_type=”text_image”;
    google_color_border=”FFFFFF”;
    google_color_bg=”ffffff”;
    google_color_link=”0000ff”;
    google_color_text=”000000″;
    google_color_url=”008000″;
    google_page_url=”site name”//–>

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Google ads code ko edit karne ki permission nahi deta. Agar aap fir bhi aysa karna chaho to apni risk par kar sakte ho.

  37. Avatar for surendrasurendra

    Bro AdSense ne pin bheja ya nahi, Koi revived kiya ya nahi , ye kaha dikhayega, Adsense me , ek AdSense me message ka options aata hai,jaha batata hai, AdSense Ka koi message nahi hai, Aap hame bataye ye kaha pe likh hoga, AdSense pin bheja gaya ya nahi

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap AdSense me payment option me check karo waha pin send karne ki date likhi hoti hai.

  38. Avatar for vakil shaikhvakil shaikh

    bahut badiya jankari di hai aapne jumedeen bhai thanks

  39. Avatar for prasad suraseprasad surase

    sir, bahoot achhi janakari share ki aapane. me ise jaroor follow karunga. taaki hamari posts bhi Google me top par aa sake. sir hamane abhi WordPress par shift kiya hai. Aur hame aapaki ye theme bahoot pasand aayi hai. muze lagata hai ki ye ribbon theme hai.. hai na.? sir kya aap muze is theme ka pura name bata sakate ho. mene ribbon likhakar search kiya toh vaha par aisi koi theme nahi dikha rahe. me kya karu. plz full name batana sir isaka.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Mai mythemeshop ki ribbon theme use karta hu.

  40. Avatar for surendrasurendra

    Hello bro maine Adsense apply kiya tha, us time maine galat address de diya, Aur pin veryfi me bhi Wahi tha, Uske Bad maine change kar diya, Ab ye confused hu, Hai kahi wrong address pe pin bhej diya gaya ho to, ab mai kya karu, naya address pin verify me avi maine apna original address diya hai, Ab kya hoga, agar hame AdSense Ka pin nahi milega, to mai kya karunga. Please help me.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap AdSense par ja kar check karo ki pin post send ki gayi hai ya nahi agar kar bhi di hai to aap new address par dusri pin ke liye apply kar sakte ho.

  41. Avatar for deepeshdeepesh

    hello jumedeen sir bahot badiya information di hai apne sir WordPress blog me nevigation kaise sett kare

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap aysi theme use karo jisme pahle se navigation menu ho ya fir aap navigation menu ka plugin user karo.

      • Avatar for deepeshdeepesh

        sir me ribbon theme use kr raha hu kya esme pahle se navigation nahi hota h

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          hota hai aap iska demo dekh sakte ho.

  42. Avatar for Umesh ChavanUmesh Chavan

    agar mai dusari template upload karata hu aur maine pahale template ka backup le rakha hai. Mujhe nayi template pasand nahi aayi maine purani template phir se upload ki to kya mujhe sabi code phir se lagane hoge jaise google analytic, meta tag, alax verification etc

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi wo sab already aapke backup me rahte hai.

  43. Avatar for RusheekRusheek

    Bro
    मैंने आपके कांटेक्ट पेज पर एक ईमेल भेजा है प्लीज जितना हो सके उतना जल्दी उसका रिटन जवाब दीजिए

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Rusheek abhi mai busy hu or aapka kaam nahi kar sakunga. Aap kisi or blogger se contact kar sakte ho.

  44. Avatar for pradip mandalpradip mandal

    maine mara blog helpchahiye.com ke template change kye tha. Ab Problems he ki jab Post ko Facebook me share karta hu to link me post ka Fast photo show nehi hota. Third ya forth Number photo show hoti hai. please help me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapki template me coding problem hai or aap agar alag se sharing button use kar rahwe ho to usme problem hai.

  45. Avatar for HimanshuHimanshu

    Nice post bro, mujhe apse h1,h2,h3 in sabke bare me puchna h ye mere samj me nahi arhe jaise apki ye post me h1 konsa h h2 konsa h or h3 konsa h muje ye smj nhi ata.

  46. Avatar for Harpreet KumarHarpreet Kumar

    achi janakri batati hai apne bhai. google search engine me agar galti se 2 baar ek hi hi link submit kar de toh kya koi problem ho ti hai bhai?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi koi problem nahi hai.

      • Avatar for Harpreet KumarHarpreet Kumar

        ok bro. par kabhi kabhi new post publish karne ke baad jab webmaster tool me aubmit karta hu toh eror a jata hai aisa kyu.

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Kya error aata hai. Plz full question post kiya karo.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...